Friday, August 12, 2016

HUQOOQ-E-ZAOJEN

     ☞✧«※HUQOOQ-E-ZAOJEN※»✧☜

●∴▼MIYAN BIVI K HAQ KA BAYAAN▼∴● ------------------------------------------------

Miyan Bivi Men Na It'tefaqi Aur Jhagde Ki Asal Wajah Ek Dosre K Haq Ko Ada Na Karna Hai. Quran Majeed Me Jis Tarahn Ye Hukm Aaya Ki الرجال قوامون علی النساء Jis Se Mardon Ki Badai Zahir Hoti Hai. Is Tarahn Ye Farmaya Ki عاشرو ہن بالمعروف Jis Ka Saf Matlab Ye Hai Ki Aurton K Sath Acchi Ma'ashirat Karo. Lehaza Agar Ek Dosre K Sab Haq Pure Taor Se Ada Kare To Deen Dunya Ki Tamam Kharabiyon Aur Aaps Me Jhagde Fasad Se Bach Jaye Aur Zindagi Aram Se Guzre Yahan Chand Hadeesen Likhte Hain Taki Har Ek K Huqooq Maloom Ho Jayen. -------------------------------------------------

         ●MARD KA AURAT PAR HAQ●

"HADEES-E-PAK" Rasool Allaahﷺ Ne Farmaya Aurat Par Sab Aadmiyon Se Ziyada Haq Uske Shaohar Ka Hai Aur Mard Par Uski Maa Ka

Ref⇛(Hakim Al-Mustadrak) ------------------------------------------------- "HADEES-E-PAK" Rasool Allaahﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Agar Mai Khuda K Siwa Kisi Aur Ko Sajda Karne Ka Hukm Deta To Aurat Ko Hukm Deta Ki Shaohar Ko Sajda Kare Khuda Ki Qasam Aurat Apne Rabb Ka Haq Ada Na Karegi Jab Tak Shaohar K Kul Haq Ada Na Kare.

Ref⇛(Ahmad, Ibn-e-Maja,.....) ------------------------------------------------- "HADEES-E-PAK" Rasool Allaahﷺ Ne Farmaya Shaohar Ne Aurat Ko Bulaya Aurat Ne Inkar Kar Diya Aur Shaohar Ne Gusse Me Raat Guzari To Subah Tak Us Aurat Par Farishte La'anat Bhejte Rahte Hain. Aur Dosri Riwayat Me Hai Ki Jab Tak Shaohar Usse Razi Na Ho Allaahﷻ Us Aurat Se Naraz Rehta Hai.

Ref⇛(Bukhari Shareef, Muslim Shareef) ------------------------------------------------- "HADEES-E-PAK" Rasool Allaahﷺ Ne Farmaya Ki Shaohar Ka Haq Aurat Par Ye Hai Ki Apne Nafs Ko Usse Na Roke Aur Siwa-e-Farz K Kisi Din Bila Uski Ijazat K Rozah Na Rakhe Agar Rakh Liya To Gunahgar Hoi. Bila Shaohar K Ijazat K Aurat Ka Koi Amal Qubool Nahi Agar Aurat Ne Bila Ijazat Kar Liya To Shaohar Ko Sawab Hai Aurat Par Gunah, Beghair Ijazat Uske Ghar Se Na Jaye Agar Aesa Kiya To Jab Tak Toba Na Kare Allaahﷻ Aur Uske Farishte Us Par La'anat Karte Hain Arz Ki Gai Ki Chahe Shaohar Zalim Hi Ho Farmaya Chahe Zalim Hi Ho.

Ref⇛(Abu Dawood, Tialasi, Ibn-e-Asakar) ------------------------------------------------- "HADEES-E-PAK" Rasool Allaahﷺ Ne Farmaya Jo Aurat Is Hal Me Mari Ki Shaohar Razi Tha To Oh Jannat Me Dakhil Hogi.

Ref⇛(Tirmizi) ------------------------------------------------- "MAS'ALA" Har Mubah Cheez Jisse Shaohar Mana Kare Aurat Par Uska Man'na Wajib Hai.

Ref⇛(Fatawa Hindiya, Radd-UL-Mohtar) ------------------------------------------------- "MAS'ALA" Shaohar Banawo Singar Ko Kehta Hai Yeh Nahi Karti Ya Oh Apne Pas Bulata Hai Aur Ye Nahi Aati Is Surat Me Aurat Ko Marne Ka Bhi Haq Hai Aur Agar Namaz Nahi Padhti To Talaq Deni Jaiz Hai Chahe Maher Dene Par Qadir Na Ho.

Ref⇛(Fatawa Hindiya, Bahar-e-Shariat) ------------------------------------------------- "MAS'ALA" Aurat Ko Mas'ala Pochne Ki Zarorat Ho To Agar Shaohar Aalim Ho To Usse Poch Le Aur Aalim Nahi To Usse Kahe Oh Poch Aaye Aur In Surton Me Aurat Ko Khud Aalim K Yahan Jane Ki Ijazat Nahi Aur Yeh Surten Na Ho To Ja Sakti Hai.

Ref⇛(Fatawa Hindiya, Bahar-e-Shariat) ------------------------------------------------- "MAS'ALA" Aurat Ka Baap Apahiz Hai Aur Uska Koi Nigra'n Nahi To Aurat Uski Khidmat K Liye Ja Sakti Hai, Chahe Shaohar Mana Karta Ho Tab Bhi Ja Sakti Hai.

Ref⇛(Fatawa Hindiya, Bahar-e-Shariat) -------------------------------------------------

------------------------------------------------- ●AURAT KA HAQ MARD PAR● ------------------------------------------------- Mahroti Kapda Aur Dosri Zarori Baton K Elawa Aurton Se Acchi Tarahn Pesh Aana Bhi Mardon K Zimme Hai. Zra Zra Si Baat Par Marna Gali Dena Gussa Karna BejaSakhti Karna Mana Hai. ------------------------------------------------- "HADEES-E-PAK" Rasool Allaahﷺ Ne Farmaya Tum Me Acche Woh Log Hain Jo Aurton Se Acchi Tarahn Pesh Aayen Aur Farmaya Musalman Mard Momina Aurat Ko Magboz Na Rakhe Agar Iski Ek Aadat Buri Maloom Hoti Hai Dosri Pasand Hogi Yani Sab Aadaten Kharab Na Hongi Jab Ki Acchi Buri Har Qism Ki Baten Hongi To Mard Ko Na Chahiye Ki Kharab Hi Aadat Ko Dekhta Rahe Balki Buri Aadat Se Chashm Poshi Kare Aur Acchi Aadat Ki Taraf Nazar Kare.

Ref⇛(Muslim Wa Mirqat Ogera) ------------------------------------------------- "HADEES-E-PAK" Aur Farmaya Koi Shaks Apni Aurat Ko Na Mare Jaise Ghulam Ko Marta Hai Phir Dosre Waqt Usse Mjamat Karega. -------------------------------------------------------------------------------

"NOTE"☞ Aayat Aur Hadees Se Ye Zahir Hai Ki Aurat Ko Marna Na Chahiye Magar Is Surat Me Ki Bawjood Samjhane Bujhane Nasihat K Kaha Na Mane Aur Na Farmani Kare To Batawor Tanbih K Kuch Mar Sakta Hai Lekin Is Me Bhi Sakht Mar Na Mare Aur Munh Par Hargiz Na Mare. ---------------------------------------------------------------------

🔵🔘🔵🔘🔵🔘🔵🔘🔵⏮
  🔂 TO BE CONTINUED
            POSTED BY

        ⤵ FROM
👑 GULAM-E-AALA-HAZRAT 👑

🌻  TALIB E DU'AA
💐Jamaluddin Raza

🌸 VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS

💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1

💻 https://plus.google.com/116611277293695153777

💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
⏩🔘🔷🔘🔷🔘🔷🔘🔷🔘⏪

No comments:

Post a Comment