Saturday, May 28, 2016

Nikah Quran O Hadees ki Roshni me

      🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
             MAQASIDE NIKAH QURAAN
                        KI ROUSHNI ME..
      🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Nikah karna ibadath hai  bashart ye k niyyat achhi ho, HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki pyaari sunnath per amal karna madsood ho, Quraan e paak ki aayate muqaddisa me nikah k maqasid ko nihayat wazeh andaaz me bayaan kiya
gaya hai, Is taalluq se chandh aayate mulaihiza kare:

AUR ISKI NISHANIYO SE HAI TUMHARE LIYE TUMHARE HI JINS SE JODE BANAYE KE INSE AARAAM PAO, AUR TUMHARE AAPAS ME MOHABBATH AUR RAHMATH RAKHI BESHAK ISME NISHANIYA HAI DHYAAN KARNE WALO KE LIYE.

📖(Surah Room : Aayat 21)

WOHI HAI JISNE TUMHARI EK JAAN SE PAIDA KIYA AUR ISME ISKA JODA BANAYA KE ISSE CHAIN PAYE

📖(Surah Aa’raaf : Aayat 189, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)

ALLAH NE TUMHE BANAYA MITTHI SE PHIR PAANI KI BOONDH SE PHIR TUMHE KIYA JODE JODE

📖(Surah faatir : Aayat 11, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)

ASMANO AUR ZAMEEN KA BANANE WALA TUMHARE LIYE TUMHI ME SE JODE BANAYE AUR NAR WA MAADA CHOUPAYE

📖(Surah Shu'raa : Aayat 11, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)

Mazkura aayate karima se wazeh hota hai ke zoujiyat qudhrate ilahiya ka
shoukaar hai, RABB taala ye pasand nahi
farmata k be zawaaj rahe, tanha rahe, Is liye RABB taala ne awwal al bashar sayyidna ADAM alaihisalaam ko tanha na
rahne diya balke inke baad

sabse pahle hazrath HOUWWA alaihisalaam ko paida farmaya aur jab
insaan ne is zameen per qadam rakha to wo 2 qadam nahi 4 qadam the, tanha nahi zawaaj the, Aur jannath se aane wala insaan jab jannath me jayega to waha bhi joda hi hoga, Jaisa k farmaane baari taala hai:

BESHAK JANNTH WALE AAJ DIL LE BAHLAO ME CHAIN KARTE HAI WO AUR INKI BIWIYA SAAYO ME HAI, TAQTO PER TAKIYA LAGAYE HUE

📖(Surah yasin : Aayat 55/56)

Insaan to insaan hai ALLAH taala ne tamaam ashiyaa ka joda banaya hai, Jaisa k farmaane baari taala hai:
HAMNE HER CHEEZ KE JODE BANAYE HAI KE TUM DHYAAN KARO

📖(Surah Thaariyaat : Aayat 49, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)

🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
           MAQASIDE NIKAH HADEESE
              KARIMA KI ROUSHNI ME :
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Nikah isliye karna taake HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki pyaari
sunnath per amal ho jaye to ye ibadath hai lekin agar khwaahishate nafsi ki taklmeel ke liye nikah kare to nikah to bahre haal hojayega magar sawaab se mahroom rahega, Abwo hadees mulaihza
farmaye jin me ALLAH azzawajal k pyaare HABIB ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne nikah k maqasid ko wazeh lafzo me bayaan farmaya hai:

🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
       NASLE INSAANI KI FARAASH KI
              NIYYAT SE NIKAH KARE :
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Hazrath ABUDAWOOD ba riwayat Hazrath Mu’aqal bin Yasaar Radhiallahu tahla anha bayaan karte hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: Mohabbath karne wali bachhe paida karne wali aurat se nikah karo kyu ki mai tumhare kasrat tedaad ke baa as (baroze qayamat) dusri ummato per faqr karunga.

📚(Abu Dawood Shareef Hadees 2052)

🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
  GUNAHO SE BACHNE KI NIYYAT HO:
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Hazrat ABDULLAH BIN MASOOD Radhiallahu tahla anha bayaan karte hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: Aye jawano: tum me se jo ghar basane ki taaqat rakhta ho wo nikah kare kyu ki ye nazro ko jhukata hai aur sharmjaho ko mahfooz rakhta hai aur jo iski taaqat na rakhta ho wo roza rakhe kyu ki isse khwashe nafsi marti hai.

📚(Muslim Shareef Hadees 3464)

Her insaan ke andar khwahishate nafsi audiyat kardi gayi hai, ab insaan k samne jinsi khwahishat ki takmeel ke liye makuha biwi ka hona zaruri hai, basurat digar aur gunaho ka martakab hoga KHUDAE jabbar ke ghazab ka mustahiq hoga lihaza istetaat hone ki surat me nikah karlena chahiye taake duniya aur aaqirat ki ruswayio se bach sake.

        🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
           NIKAH MERI SUNNATH HAI:
        🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

ADAYE SUNNATH KI NIYYAT SE NIKAH KARE Hazrath ABU Huraira Radhiallahu tahla anha irshad farmate hai: Jo meri sunnath se aaraza kare, wo mere tariqe per nahi.

📚(Bukhari Shareef Hadees 5063, Muslim Shareef Hadees 3469)

Aur ek hadees shareef me hai, Jo mujh se mohabbath karta hai ise meri sunnath per amal karna chahiye beshak nikah karna meri sunnath hai

📚(Kanzul A’amaal Hadees 44413)

Is hadees pak me HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne nikah ke apni sunnath qaraar diya hai aur nikah karne per tarqheeb aur na karne per tahyeed sunayi hai. HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Nikah Meri Sunnat Hai"

📚(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)

Hazrat Sahal bin sa'ad Radhiallahu tahla anha se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Nikah karo chahe (Mehr dene ke liye) Ek Lohe ki Anguthi hi ho

📚(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 80, Hadees no 136)

Aur irshad farmate he Pyare AAQA ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм: "Bande ne jab Nikah kar liya to Aadha Deen Mukammal ho jata hai Ab baki aadhe ke liye ALLAH Ta'ala se daro"

📚(Mishkat shareef, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
         MOHABBATH KE LIYE NIKAH
               SABSE ACHHA TARIQA:
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Hazrat Abdullah Ibne Abbas Radhiallahu tahla anha se riwayat hai ke HUZOOR
ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: Mohabbath karne walo ke liye nikah se badh ker koi cheez tumne nahi dekhi.

📚(Ibne Majah Shareef Hadees 1920)

Ghour kijiye ke nikah se pahle tak do aise log ke inme ek dusre ko jaanta hi nahi tha, kisi khaandan ka mard aur kisi khaandan ki aurat , ek arabi dusra ajami, ek ashyayi dusre faraqi, jab sharyi nikah hojata hai to ek dusre per nisar hojata hai aur ulfath wa mohabbath wo rang laati hai ke zindagi bhar saath nahi chodhta, Nikah ke zariye jo taalluq paida hota hai wo lamhati aur waqti nahi balke daayim hota hai.

             🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
                BARKAT WALA NIKAH
             🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Ummul momineen Hazrat Ayesha siddiqa Radhiallahu tahla anhuma se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: BADI BARKAT WALA NIKAH WO HAI JISME BOJ KAM HO.

📚(musnad ahmed, hadees 24583, safa 360)

HAKEEM UL UMMAT hazrat moulana mufti ahmed yaar khan alaihirahma , maraa tul manaajhe me is hadees k tahet likhte hai, Yaani jis nikah me farqeen ka kharch kam karaya jaye , mahr bhi mamuli ho, jahez bhaari na ho, koi janib maqrooz na hojaye, kisi taraf se shart na ho, ALLAH azzawajal ke tawakkal per ladki dijaye wo nikah bada hi ba barkat hai, aisi shaadi khaana aabadi hai, Aaj ham haraam rasmo se, behuda riwajo ki wajah se shaadi ko khaana aabadi balke khaanha (yaani bohat saare gharo ke liye baa as ) banalete hai, ALLAH pak is hadees shareef per amal ki toufeeq de- aameen

📚(maraa tul manaajhe, jild 5, safa 11)

   🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
       NIKAH KAHA KARNA CHAHIYE ?
   🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Ummul momineen Hazrat Ayesha siddiqa Radhiallahu tahla anhuma Hazrat Anas
Bin Malik, Hazrat Abdullah ibne umar Radhiallahu tahla anhum se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Apne Nutfe (Shaadi ke liye) Achchi jagah talash karo. apni Biradri me Byaah ho, aur Biradri se byaah karlo ki Aurate Apne hi Kunbe ke Mushaba (Milte hue Bachche) Janti hai"

📚(Ibne Maja Jild 1, Hadees no 2038, Safa 549, Bayhaqi Shareef wa Haaqim)

Hazrat imam Bukhari Radhiallahu tahla anhu Riwayat karte hai ki "Aur Must'hab (Behtar) Hai ke apni Nasl ke liye Behtar
Aurat chune Lekin ye Wajib nahi"

📚(Bukhari sharif Jild 3, Bab no 41, Safa 56)

Hazrat Abuhuraira wa Hazrat Jaabir Radhiallahu tahla anhum se Riwayat Hai
Ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Aurat se 4 chizo ki wajahse nikah kiya jata hai..

1. Uska Maal
2. Husn wa Jamal
3. Uska Khandan
4. Uske Deendar hone ki wajah se. Lekin tu Deendar Aurat Ko Hasil Kar"

📚(Bukhari shareef Jild 3, Safa 59, Tirmizi shareef, Jild 1, Safa 555)

HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya:  "Aurato se unke Husn ke sabab shaadi na karo ho sakta hai uska Husn tumhe Tabah kar de, na uske Maal ki wajah se shaadi karo ho sakta hai ke unka Maal tumhe gunaho me Mubtela
kar de,Balki Deen ki wajah se nikah kiya karo, Kali,Chapti,Bad -surat Londi agar Deendar ho to Behtar hai"

📚(Ibne maja, Jild 1, Hadees no 1926, Safa 522)

                  🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
                     Dua ki guzarish
                  🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
NIKAH KARNE KE BE SHUMAR FAIDE HOTE HAI AYIYE DALTE HAI EK NAZAR :
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈

Nikah k bohat saare fawaid hai yaha kuch ka zikr iqtesaran kiya jaata hai,

1. Nikah karne se nazro ki hifazat, paak damani aur gunaho se bohat had tak mahfooz hojata hai

2. Nikah karne se HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм Ki ek azeem o pyaari sunnat ada hoti hai

3. Neik aulad duniya aur aaqirat dono me kaam aayegi

4. Nikah ke zariye jo aulad hogi in ki achhi tarbiyat karke deen o millat ke istehkaam ke liye inka istemaal kar sakta hai

5. Aulad ki wajah se HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki seerate taiyyiba ke is hisse per amal ka mouqa mil sakta hai jis ka taalluq aulad se hai

6. ALLAH azzawajal aur uske pyaare HABIB ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ke wo ahkaam wa farmudaat jin ka talluq aulad se hai, aulad ki wajah se in ahkaam wa farmudaat per amal ka zariye mouqa milta hai

7. Insaan jab budha hojata hai aise mouqe per aulad sahara banti hai

8. Bachho ki kafalat ki zimmedari ke sabab insan ke dil me zyada se zyada kamane aur mahnet karne ka jazba paida hota hai

9. Aulad ki wajah se insan muashre me alag thalag nahi rahta balke isko izzath ki nigah se dekha jaata hai

10. Agar aulad daras gahe sunni me fout hojaye to maa baap ki shafaat karegi

11. Neik biwi insan ki zindagi k tamaam
malumaat me rafeeq hoti hai, moharam raaz hoti hai, gham ghusar hoti hai

12. Zahni aur jismani khurb jis qadr insan ko apni biwi se hota hai kisi aur se nahi
hota.

(Sharhey Sahih Muslim Summary by Allama Gulam Rasool Sa’eedi)

13. Nikah ke fawaid me ye bhi hai ke waldain ko aulad ki parwarish shafqat uthana padhti hai aur ye baat ajr-e azeem hai, Hazrat abdullah bin mubarak Radhiallahu tahla anha ek din jihad me
shareek the to us halat me apne sathiyon se farmaya, ke tum jante ho ke koi aisa bhi amal hai jo hamare is jihad wale amal se bhi fauqeeyat rakhta ho aur baaise ajr ho,

Doston ne arz ki huzoor baayan farmaye, Tab aap ne farmaya ,wo jihad se afazal amal ye hai ke kisi musalman ke
bachche ho,un bachchon ko raat sote me kapdhe utar jata hai to baap meethi neend chhodh kar un bachchon ko sanbhal ta hai,unko kapdhe se dhanpta
hai aur ye amal is jihad wale amal se afazl hai.

                    (subhan ALLAH)

14. HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya, ALLAH pak
jannat me kisi momin bande ke darje buLand karta hai to wo banda arz karta hai,ya ALLAH pak ye mere darje kis wajah se buland kiye gaye hai? ALLAH pak farmata hai ,aye bande tere bete tere liye duwa aur isal sawab kiya hai us wajah se tere darje buland kiye gaye hai. Isse maloom huwa ke insan ek aulad chhodh jaye to ye bahut bada ina’am hai aur ye se nikah ke samrat me se qahai.

15. Hazrat umar Radhiallahu tahla anha ka qaul hai imaan ke bad nek aurat se bahtar koi nemat nahi hai.

16. Nikah ke fawaid me se ye bhi hai ke shaadi ke baad agar insan badkari aur bad nigahi se bachna chahe to ba aasani bach sakta hai- Hazrat abdullah bin masood Radhiallahu tahla anha se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ka irshad hai, aye najawano jo koi tum me se nikah karne ki taqat rakhta hai to use chahiye ke wo shaadi kare kyu ke shaadi karne se bad nigahi aur bad kari se bach jaata hai,agar kisi ko nikah ki taqat na ho to wo roze rakhe kyu ke roze bachao ka zaria hai.

17. khuwaja abu talib kitab (quwwatul quloob ) me naqal karte hai ke jab aurat
ke saath uska shauhar khelta hai usko muhabbat karta hai to usko itni nekiyan milti hai jitni ALLAH ko manzoor hai, Aur jab dono gusl karte hai to ALLAH pak paani ke har qatre se ek farishta paida karta hai jo qiyamat tak ALLAH pak ki tasbeeh bayan karta hai aur us tasbeeh ka sawab dono khawind beevi ko ata karta hai.      (Subhan ALLAH)

Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN

             ●●►jazakALLAH khairan◄●●

♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾
      🔂 TO BE CONTINUED
               POSTED BY

⤵ FROM
👑"GULAM-E-AALA-HAZRAT"👑

🌹  TALIB E DU'AA
🌷  Jamaluddin Raza

🎈VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾

Nikaah Ek behtarin Sunnat Bhi Hai

     🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
      Nikaah Ek Behtareen Sunnat Bhi Hai
     🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

                          🌷» Nikaah «🌷

🌾Huzoor (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya, “Nikaah Meri Sunnat Hai, Agar Koi Meri Sunnat Par Amal Na Kare, Uska Mujh Se Koi Taalluq Nahi.”

📚(Ibne Majah 1846)

🌾Hazrat Ibne Abbas (Radiallaho Anhu) Se
Riwayat Hai Ke, Huzoor (Sallalaho Alayhi
Wasallam) Ne Irshad Farmaya, “Gawaho Ke Bagair Nikaah Karne Wali Aurate Jaaniya
(Zina Karnewali) Hai”.

📚(Tirmizi Sharif, Jild-1, Safa-563, Hadees No. 1095, Baab No. 751)

🌾Baaligh Aurat Ka Nikaah Uski Marzi Ke Khilaaf Koi Nahi Kar Sakta, Na Uska Baap Na Baadshah- E-Waqt.

📚(Bukhari Sharif)

🌾Hazrat Gause Aazam (Radiallahu Anhu) Farmate Hai, “Nikaah Jumerat (Thursday)
Ya Jumma (Friday) Ko Karna Must’hab Hai, Aur Subah Ki Bajaye Shaam Ke Waqt Nikaah Behtar Karna Hain.”

📚(Gunyatuttalebi -n, Baab No. 5, Safa : 115)

🌾Musalman Aurat Ka Nikaah Musalman Mard Ke Siwa Kisi Bhi Mazhab wale Se Nahi Ho Sakta.

📚(Qanoone Shariyat Jild :2)

🌾Jisne Apni Beti Ka Nikaah Sharabi Mard-Se Kiya, Tuo Usne (Beti Ko) Zina Karne Ke Liye Rukhsat Kiya.

📚(Tanbia Ul Gafilin. S:-169)

♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾
      🔂 TO BE CONTINUED
               POSTED BY

⤵ FROM
👑"GULAM-E-AALA-HAZRAT"👑

🌹  TALIB E DU'AA
🌷  Jamaluddin Raza

🎈VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾

NIKAH KE TALLUQ SE KUCH AHEM BAATE

              🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯
                  NIKAH KE TALLUQ SE
                    KUCH AHEM BAATE
              🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯

Aurat ko nikah ka paigam aur daawat dena aur baat cheet ke bad Shaadi ka ahad karna aur shaadi ki baat pukhta karlena mangni kahlata hai-

Mangni azdawaji zindagi ki pahli seedhi hai-ye pahla qadam soch samajh kar aur danish mandi se uthana chahiye,
Q k yaha se hi zindagi ki buniyad padhti hai,aur azdawaji zindagi ki buniyad mangni hi hai,is marhale me ladki aur ladka ka intekhab karte hai,aur ek doosre ko pasand karte hai,is marhale me jo intekhab hojata hai fir us intekhab ko nikah ke zariye rishta azdawaj me munsalik kardiya jaata hai.

Azdawaji zindagi ki kamiyabi ka inhesar is pahle qadam par hota hai,isliye zaroori hai ke ye qadam bade soch samajh kar chhan been karke ladke aur ladki ki zahni ham aahingi ko dekhte huwe uthana chahiye,isme kisi qism ki jald baazi sekaam nahi lena chahiye.

Zindagi ka pahla zeena ye hai ke mard apne liye kisi aisi aurat ka intekhab kare jo nek,pak ba saleeqa sha’ar ,taleem yafta aur husn-e akhlaq wali ho,aur mard ko aurat ki soorat par seerat ko tarjeeh dena chahiye,aur aurat ko aise khawind kaintekhab karna chahiye jo deen par amal karne wala ho aur akhlaq-e husna ka malik ho,taaleem yafta ho aql mand aur samjhdar ho…

Hadees pak me huzoor salllahu alaih wasallam ne ne irshad farmaya ke jabtumhare pas koi aisa shakhs nikah kapaigam bhejhe jiske deen aur akhlaq se tum razi ho to us se nikah kara do,agar aisa na karo ge to zameen me fitna aur lamba chauda fasad ronuma hoga.

ALLAHU akbar……

Ek aur hadees-e pak me hai?
Hazrat abu huraira radiallahu anh se riwayat hai ke nabi kareem sallallahualaih wasallam ne farmaya ke kisi aurat se char cheezon ki wajah se nikah kiya jata hai,uske husn-o jamal ki wajah se aur uske hasb-o nasb ki wajah se aur uske deen ki wajah se,lekin dekho tum deen wali aurat se nikah karna.

Afsos sad afsos aaj kal aksar log ye sab nahi dekhte balke ye dekhte hai ke ladki wale yaa ladke wale kitne maaldar hai,
Aur ladke walao ka to jawab hi nahi hota ladke walon ka to yahi kahna hota hai ke mujhe ladki haseen-o jameel ke saath saath daulat bhi milni chahiye,tarah tarah ki mange kijaati hai jahez k naam per ,
Bechara ladki ka baap rat ki tanhayeeme apne aansu baha baha ke zindagi basar karta hai.

Kya hamne kabhi socha is bat ko ek din hamare saath bhi yahi ho sakta hai ??,hamari bhi bari aasakti hai. ??
Tab ehsas hoga….  Isliye mere doston aap sabse meri ilteja hai aaj se ahad karle ham sab keapni zindagi ko khush gawar banayen ge aur apne nikah me nek seeerat ba akhlaq ba kirdar ladki ko layen ge aur jahez ki mang nahi karenge.
(In shaa ALLAH)

Ek aham bat ye hai ke , mangni ya nikah karne se pahle ladki ko dekhlene me koi harj nahi hai balke zaroor dekh lena chahiye,,  Hadees shareef me hai Nikaah Se Pehle Ladki ko Dekhna:

Hazrath Muhammad Salama Kehte Hai Ki Maine Ek Aurat Ko Nikah Ka Paighaam Diya, Mai Use Dekhne K Liye Us K Baagh Me Chhup Kar Jaya Karta Tha Yahan Tak Ki Maine Use Dekh Liya Kisi Ne Kaha
Aap Aisi Harkat Kyu Karte Hai

HalankiAap Huzoor K Sahabi Hai, To Maine Kaha Huzoor Ne Irshaad Farmaya
“Jab Allah Ta’ala Kisi K Dil Me Kisi Aurat Se Nikah Ki Khwahish Daale Aur Wo Use Paighaam De To Us Ki Jaanib Dekhne Me Koi Harj Nahi.

(Ibne Maja Vol: 01, Page: 523 , Baab No: 597 , Hadees No: 1931)

Yaha se ye baath sabit hui k nikah se pahle ladki ko ek nazar dekhlena jaiz hai…, ye ajeeb bat hai ke jinki shaadi honi hai aur dono ne ek doosre ka bistar banna hai aur jinhon ne ek saath zindagi basar karni hai unka ek doosre ko dikha na, ek doosre ko pasand karna bahut mayoob tasawwur kiya jata hai aur unko ek doosre se milne ki ijazat nahi dijati,joke islam ki taaleemat ke bilkul khilaf hai.

Nikah Meri Sunnat hai::::

Noor-E-Mujassam , Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriy a,Nabi-E-Rehmat , Shafa-E-Mehshar , Fakhar-E-Do aalam, Fakhar-E-Bani-E -Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Tajdare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:  “Nikah Meri Sunnat Hai”

(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)

ALLAH Rabbul izzat irshad farmata hai:
“Aur Nikah me lao jo aurate tumhe khush aaye”

(Tarjuma: Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 3)

Hazrate Sahal bin sa’ad Radiallahu anhu se riwayat hai ke Nabi-E-kareem Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“Nikah karo chahe (Meher dene ke liye) Ek Lohe ki Anguthi hi ho

(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 80, Hadeesno 136)

Aur irshad farmate he Pyare Aaqa Sallalahu Alayhi Wasallam:  “Bande ne jab Nikah kar liya to AadhaDeen Mukammal ho jata hai  Ab baki aadhe ke liye ALLAH Ta’ala se daro”

(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

Hazrat Abdullah Bin Masud RadiallahuTa’ala Anho Se Riwayat hai ke Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:  “Aye Jawano Jo tum me se Aurato ke Hukooq (Haq) ada karne ki takat rakhta hai  To wo Nikah zarur kare Kyunki NikahNigah Ko jukata hai   Aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur Jo iski takat na rakhe to woh Roza Rakhe Kyunki ye Shahwat Ko kam karta hai

(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 52, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa, 533)

             .........Jazakh ALLAH………..

❈✵✵✵❈✵✵✵❈✵❈✵✵❈✵✵✵❈
🔂 TO BE CONTINUED
              POSTED BY

↪ FROM
👑"GULAM-E-AALA-HAZRAT"👑

🌹  TALIB E DU'AA
🌹  Jamaluddin Raza

🔯 VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
❉✹✹✹✹❉✹✹❉•❉✹✹❉✹✹✹✹❉

NIKAH KI FAZILAT AUR MASAIL

🌹🌹🌹🌹NIKAH KI FAZILAT🌹🌹🌹🌹

♻  Nikah ka lugwi maana hai aisa contract jiske nateeje me mard aur aurat ek dusre par halaal ho jaayen

♻  “nikah karna sunnat hai iski haisiyat rakhne ke bawajood nikah na kare wah nabi  Sallallaho Alihe Wasallam ke tareeqe  par nahi hai jo shakhs zina se bachne ke liye nikah karta hai allah uski madad karta hai nikah na  karne se zameen me fasaad paida hota hai nikah karne se jitni miyan biwi  me muhabbat hoti hai aur kisi me nahi hoti, nikah aadha deen hai mardo ke liye aurton se badkar koi fitna nahi”

♻   “kunwari larki se nikah karna behtar hai maal wa khoobsoorti hasab  nasab ka khyaal na kare balki deen daar aurat se nikah kare, musalman ke liye nek aurat se badhkar  aur koi cheez nahi hai jis nikah me   kam kharch ho usme barkat zyada hoti hai,

♻  jis aurat se nikah karna chahta hai use ek baar dekh le kyonki ek baar dekhne se muhabbat paida hogi,   nikah ke waqt Aurat se izazat lena zaroori hai agar kunwari hai to  uska chup rahna kaafi hai aur talaaqshuda ko zabaan se kahna chahiye,   bina sarparast ke nikah sahi nahi agar koi wali na ho to haakim wali  hai ek aadmi ke paighaam ke hote
dusre ko paighaam dena mana hai”

            📚(mishkaat 262,266,269,268 )

               :JINSE NIKAH JAYEZ NAHI:

1- sauteli maa

2- sagi maa

3- beti

4-bahan

5- fufi

6- khala

7- bhateeji

8- bhaanji

9- dhoodh wali maa (daai)

10- saas

11- biwi ki beti jo pahle shauhar se ho

12- sage beton ki biwi se

13- do sagi bahno se ek saath

♻ Nikah me biwi aur uski fufi ko jama
karna  (yani ek sath inko nikah me rakhna haraam hai) aur isi tarah biwi wa uski kh
aala ka jama karna bhi haram hai, musalman mard ka nikah mushrika
aurat se aur musalman aurat ka nikah mushrik mard se haraam hai,  behtar hai ki mushrika ke mukaable me musalman laundi se  nikaah kare isi tarah iman wali aurat   ghulam se nikah kare magar mushrik mard se nikah na kare,

      📚( mishkaat, bukhaari, surah nisa)

       ::JAWAAN AULAAD KI SHAADI::

♻ “Jawan ladke aur ladkiyon ka nikah
kar dena chahiye, hadith me hai agar ladki 12 saal ki ho gayi ho aur uska nikah nahi huwa aur usse zina ho gaya to uska gunaah baap par hai, iski tarah jab ladka baaligh ho jaaye to fauran nikah kar dena chahiye   warna agar zina kar baitha to uska gunah baap par hoga”

                   📚(mishkaat 276)

“agar ek se zyada biwiyan ho to unke
beech insaaf wa baari muqarrar karna wajib hai, khilaane pilaane wa raat
guzaarne me insaaf karna wajib hai
magar muhabbat me kami zyadati me koi pakad nahi.

                   📚(mishkaat 276)

♻agar pahli biwi ke hote huwe kunwari
aurat se nikah kare to 7 raat kunwari
ke paas rahe phir baari muqarrar kare, aur shadi shuda aurat ko kunwari par kare to 3 raat uske paas rahkar baari muqarrar kare, agar aurton ke saath insaaf Na karega to qayamat ke din is haalat me allah ke saamme laaya jaayega ki uska aadha jism gira hoga..

♻  aur aurton ka mard par haq hai ki jo
khaaye waisa hi khilaaye jaisa pahle waisa hi pahnaaye iske munh par na maare, bura na kahe, naraazgi ki surat me ghar se bahar na soye agar zarurat pesh aaye to maamuli se maar maare, zabaan daraaz hai to talaaq de de”

              📚(tirmizi, mishkaat 279)

ALLAH hume kehne se jyada sunne se jyada amal karne ki toufiq ataa farmaye… AAMEEN

❈✵✵✵❈✵✵✵❈✵❈✵✵❈✵✵✵❈
🔂 TO BE CONTINUED
              POSTED BY

↪ FROM
👑"GULAM-E-AALA-HAZRAT"👑

🌹  TALIB E DU'AA
🌹  Jamaluddin Raza

🔯 VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
❉✹✹✹✹❉✹✹❉•❉✹✹❉✹✹✹✹❉

Wednesday, May 18, 2016

HUZOOR-TAJUSHSHARIAH-ARBAAB-E-ILM-KI-NAZAR-MEIN

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
   👑HUZOOR TAJUSHSHARIAH👑
            🌹ARBAAB-E-ILM-KI🌹
                🌷NAZAR MEIN🌷
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  ⚀⚀ POST-OF-NO-  [( 1 )] ⚀⚀
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌹✍ Huzoor Mufti-e-Azam Aalam-e-Islam  ”AKHTAR MIYAN Ab Ghar Mein Baithne Ka Waqt Nahi,
Yeh Log Jinki Bheed Lagi Huee Hai Kabhi Sukoon Se
Baithne Nahi Dete, Ab Tum Is Kaam Ko Anjam do,
Main Tumhare Supurd Kerta Hoon...?

🌹✍ Logon se Mukhatib Hoker Mufti-e-Azam Ne Farmaya,
Aap Log Ab Akhtar Miyan Sallamahu Se Ruju Kiya Karein Unhe Mera Qayem Maqam Aur JaNasheeen
Janein...?

📚[ Mufti-e-Azam Aur Unke Khulfaa jild1 P152 ]

🌹✍ Huzoor Qutub-e-Madeenah::
Mujhe Mere Murshid Huzoor Aalahazrat Radi Allahu Anhu Se Jo Kuch Mila Un Khanwade Ke Shehzaado Moulana Ibrahim Raza khan Moulana Rehan Raza
Khan Aur Moulana Akhtar Raza Khan ko Ataa Ker
Diya...?

            📚 [ Qutub-e-Madeenah ]

🌹✍ Huzoor Sayyad-ul-Olma Huzoor Sayyad-ul-Olma Mufti Shah Aal-e-Mustafa Barkati Marehrawi AlehiRehmah Ne Huzur
TajushShariah Ko Jamee’a Salaasil Ki Ijazat Wa Khilaafat Ataa Farmaai Aur Duaa’n se Nawaza...?

📚[ Mufti-e-Azam Aur Unke Khulfa =P162 ]

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  ⚀⚀ POST-OF-NO-  [( 2 )] ⚀⚀
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌹✍  Huzoor Mujahid-e-Millat Eik Saheb Ki Walida Huzoor Mujahid-e-Millat Se
Mureed Hona Chahi to Aapne Farmaya,
Miyan Sarkar Aalahazrat AlehiRehma Ke Shehzade
Hazrat Azhari Miyan Ki Moujoodgi Mein Aisa Kaise Ho Sakta Hain Ke Main Mureed Karoon Unhi Se Mureed Kerwaiye..?

🌹✍ Dusari Riwayat Hai Ke Huzur Mujahid-e-Millat ne Farmaya Ke Main Hazrat Azhari Miyan Saheb Ke
Samne Se Hoker Kaise Guzar Sakta Hoon Akheer Kaar Pichhle Darwaze Se Hoker Andar Tashreef Le Gaye Aur Farmaye Ke Koi Tez Aawaz Mein Na Bole Ke Hazrat Azhari Miyan Tashreef Farma Hain Aahista Bolo Shehzade Qayam Farma Hain...?

📚[ Raawi Hazrat Moulana Abdul Mustafa Hashmati
Rudoli Shareef ]

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  ⚀⚀ POST-OF-NO-  [( 3 )] ⚀⚀
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

🌹✍  Qazi Shamsh-ul-Olma Eik Din Hum Tamam Talib-e-Ilm Hazrat Qazi Sham-ul- Olma Allama Shamsuddin Razvi Jounpuri Talmeez Huzur SadrusShariah AlehiRehma Ke Dars Mein Moujood The Aur Hazrat Padha Rahe The,..

🌹✒ Eik Buzurg Sifat Insaan Tashreef Laaye, Qazi Saheb Ne Khade Hoker Unka Isteqbaal Kiya, Aane Waale ko Apni Masnad Per Bithaya, Aur Khud Muwaddab Ho Ker Baith Gaye Us waqt Talba Ke Zehen-o-Dimagh Mein Kiya Ta’assur Ubhra...?

🌹✒ Usko Main Nahi Bata Sakta, Albatta Maine Mehsoos Kiya Qazi Saheb Jaisi Shakhsiyat ,,, Allah Allah Unki ilmi Shaan-o-Shoukat Ka Yeh Aalam Tha Ke Bade Bade Unke Saamne Tifl-e- Maktab Maloom Hote The...?

🌹✒  Apne Asaataza Mein Se Kisi
Se Main Daryaaft Kiya Ke Yeh Hazrat Koun Hain..? Unhone Farmaya, ” Yeh Azhari Miyan Qibla Hain”

📚[ MOULANA SHAMSHAD HUSSAIN RAZVI BADAYOON SHAREEF ]

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   ⚀⚀ POST-OF-NO-  [( 4 )] ⚀⚀
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌹✍ Huzoor Ahsan-ul-Olma 14-15 Novembar 1984 Ko Marehrah Shareef Mein
Urs-e-Qasimi Ke Taqreeb Mein Hazrat Ahsan-ul-Olma
Moulana Mufti Sayed Hasan Miyan Barkati Sajjada Nasheen khanqah-e-Barkatiya Marehra Shareef Ne Jansheen-e-Mufti-e-Azam Ka Isteqbaal Qayem Maqam Mufti-e-Azam allama Azhari Zindabad Ke Naare Se Kiya

🌹✍  Aur Majma-e-Kaseer Mein Olma Wa Mashayekh Aur DanishWaro Ki Moujoodgi Mein JaNasheen-e-Mufti-Azam Ko Yeh Keh Ker
Faqeer Aastana-e-Aaliya Qadriyah Barkatiya Nooriya
Ke Sajjada Ki Haisiyat Se Qayem Maqam Mufti-e-Azam Allama Akhtar Raza Khan Saheb Azhari Ko Silsila-e- Qadriya Barkatiya Nooriya Ki Tamam Khilafat Wa Ijazat Se Mazoon Wa Majaz Kerta Hoon,

🌹✍ Poora Majma Sun Le
Tamam Barkati Bhai Sun Lein Aur Yeh Olma-e-Kiram Jo Urs Mein Moujood Hai Is
Baat Ke Gawaah Rahein

📚 [ Mufti-e-Azam Or Unke Khulfa P162 ]

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   ⚀⚀ POST-OF-NO-  [( 5 )] ⚀⚀
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

🌹✍  Huzoor Mufassir-e-Azam hind Dr. Abdul Naeem Azeezi Likhte Hain,
Walid Majid Mufassir-e-Azam Hind Ne Apne Farzand Arjmand Ko Qabl-e-Faraghat ilm-e-Aalahazrat Ka JaNasheen Banaya Aur Eik Tehreer Bhi Inaayat
Farmaai, Bawajhe Ilaalat Yeh Tawaqqo Nahi Ke Ab Ziyada Zindagi ho, Zaroorat thi Ke Dusara Qayem Maqam Ho Lihaza Akhtar Raza Sallamahu Ko Qayem Maqam Wa JaNasheen-e-Aalahazrat Bana Diya Gaya Janasheeni Ka Amama Bandha Gaya Aur Ibaa Pehnaai Gayi...?

📚[ Mahnama Aalahazrat or Mufti-e-Azam Aur Unke
Khulfa Pag 163 ]

🌹✍  Sadr-ul-Olma Allama Tehseen Raza Khan Al-Humdulillah Ke Hazrat Allama Azhari Miyan
Sallamahu Ne Bawajood Gonaagu’n Masroafiyaat Aur Ilaalat-e-Taba iska
                          [ Al-Motaqid ]

🌹✍ Tarjuma Farmaya Ta
Ke Uske Fayeda Aam Ho Jaye, Iska Bil-istiaab Mutala to Main Na Ker Saka Magar
Jasta Jasta Jo Maqamaat Meine Dekha Usse Badi Khushi Haasil Huee Ke Bahut Siles Aur Ba Muhawarah Tarjuma Kiya Hai..?

                 📚[ Al-Motaqid pag 38 ]

Tuesday, May 17, 2016

BADMAZHAB O SE MEL JOL KI MUMANEYAT

          📌🔪🔪🔪🔪🔪🔪🔪🔪🔪🔪📌  
                    📌BADMAZHAB📌
         📌🔪🔪🔪🔪🔪🔪🔪🔪🔪🔪📌

📌🔪 jo NABI ﷺ ka nahi wo humara nahi ..........Kyunki Unki UMMAT JAHANNUM Ka Mu Dekhle ye RASOOLE KHUDA Ko Gawara Nahi 

📌BadMazhabo se mel jol ki mumaneyat📌

📌🔪 BadMazhabo ki Sohbat Zahare Katil hai Unki Hum Nishini,  Unki RifakatUn Se Dosti,  ... Unke Saath Khana Pina Byah Karna
NAJAYEZ WA HARAM hai
Is Silsily me Chand Ahadise Karima Mulahiza ho...?

                       📚[ HADEES ]📚

🌷✒ Nabi ﷺ Sallallaho alaihi Wasallam ne farmaya:
Un Se Alag Raho Unhe apne Se Dur Rakho Kahi Wah Tumhe Bahka Na De,
Wah tumhe FITNE me na daal de

              📚[ MUSLIM SHARIF ]📚

                      📚[ HADEES ]📚

📌🔪 Wah bimaar Padhe To poochne Na Jao, Mar Jaye To Namaze Janaza Par Hazir Na Ho,
Jab Unhe Milo to SALAM na karo

             📚[ Abu Daud, Ibn E Maja ]📚

                        📚[ HADEES ]📚

Nabi ﷺ Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Mai Unse Bezaar Hu Wah Mujh Se beIlaka Hai, Unse Jihaad Aisa hai ki Kafirane Turq wa Dailam par..?

                          📚[ Dailmi ]📚

                        📚[ HADEES ]📚

📌🔪 Jab Kisi Badmazhab Ko Dekho to Uske roobaro Us se tursh rui Karo Isliye ki ALLAH ﷻ har Badmazhab ko DUSHMAN rakhta hai Unme koi Pul Siraat par Guzar Na Payenga Balke Tukde Tukde ho Kar Aag me gir padhenge Jaise tedi aur Makkhiya girti Hai..?

                        📚[ Ibn Asakir ]📚

                           📚HADEES📚
📌🔪 Jo Kisi Badmazhab Ki Taraf Uski Taukir Karne Ko Chale Usne Islam Ke Dhane me Iaanat ki

                          📚[ Tabrani ]📚

📝✒Ulama Farmate hai Ki 🔪BadMazhab🔪 Ka Hukm Us Se Bugz Rakhna, Use Zillat Dena,  Unka Radd karna, Use Door Hakna Hai.

📝✒ Faizul Bin Ayaaz ne Farmaya:
Jo Kisi Badmazhab se Mohabbat Rakhe Uske Amal Habt Ho Jayenge Aur Imaan Ka Noor Uske Dil Se Nikal Jayenge.

📝✒Aur Jab Allah Taala Apne Kisi Bande Ko Janne Ki Wah BadMazhaz se Bugz Rakhta Hai To Mujhe Ummid Hai Ki Maula Subhanahu Wa Taala Unke Gunah Bakhs De Agarche Amal Thode ho,
Jo Kisi Badmazhab Ko Rah Me Aata dekho To Tum dusri Raah lo..

📚[ Fatawa Razwiya JILD 6 SAFA 103, 104 ]

📌📌🔪🔪📌📌🔪🔪📌📌🔪🔪📌📌🔪🔪📌📌

«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»
●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●
         ◆◆TO BE CONTINUED◆◆
               ◆◆ POSTED BY ◆◆
    ●●GULAM-E-AALA-HAZRAT●●
◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆
💝💝 TALIB E DU'AA
👤👤 Jamaluddin Raza
◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆
●●●VISIT ALL PAGES●●●
💻 https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
📑www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●

Monday, May 16, 2016

ZINA ILLEGAL SEX

            🎋🎋🎋🎋🎋🎋🎋🎋🎋🎋🎋
                ZINA ILLEGAL SEX ZINA
            🎋🎋🎋🎋🎋🎋🎋🎋🎋🎋🎋

Sawal :   Zina Kya Hai..?

Jawab :      Agar Mard Ek Aesi Aurat Se Sohbat/ Humbistari/ Physical  Relation/    intercourse  Kare jo uski biwi nahi hai, to ye zina kehlata hai, zaurui nahi ki saath sone ko hi zina kahte hain, balki chhuna bhi zina ka ek hissa hai aur kisi parai aurat ko dekhna aankho ka zina hai.

Zina ko islam mein ek bahut bada gunah maana gaya hai, aur islam ne aesa karne walo ki duniya mein bhi saza rakhi hai aur marne ke baad Allaah iski sakht saza  dega. Zina ke baare mein Kuch Hadees aur quran ki ayat dekhiye-   Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – Momin (muslim) Hote Hue To Koi Zina Kar Hi Nahi Sakta”

(Bukhari Sharif, Jild:3, Safa:614 Hadees:1714)

Allah Quraan Me Faramata Hai “Aur (Dekho) Zina Ke Paas Bhi Na jaana, Beshak Wo Behayai Hai Aur Buri Raah Hai”.

(Al-quraan : Al-Isra: A-32)

Zina Ki Sazaa Aur Azaab :

Agar Zina Karnewale Shadi Shuda Ho To Khule Maidan Me patthar maar- maar kar Maar Daala Jaye Aur agar Kuwara Ho To 100 Kode Maare Jaye.

(Bukhari Sharif Jild Safa:615/615 Hadees:1715)

Aaj kal dekhne mein aya hai ki is gunah mein bahut se log shaamil hain, chahe ladka ho ya ladki. Aur phir is gunah ko karne ke baad apne dosto ko badi shaan se sunate hain, balki unko bhi aesa karne ki raay dete hain.

Dosto agar kuwara aesa kar raha hai to jaldi se shaadi kar len taaki is gunah se bach jaaye aur shadi shuda aesa kar rahe hain to chahe wo ek nikah aur kar len lekin is gunah se bachen. Agar koi kuwara ladka ya ladki koi galat kaam karta hai to iska gunah uske maa-baap ko bhi milta hai kyonki unhone unki jaldi shaadi nahi ki jiski wajah se wo galat kaam karne lage.

Aur ek jagah Allah ne quran mein farmaya ki paak daaman ladkiya, paak daaman ladko ke liye hain, iska matlab ye hai ki agar aap acche hain to Allah aapko bhi acchi biwi ya dulha dega aur kharab hain to samajh lijiye?….

Insan jo bhi galat kaam karta hai uski keemat uske baccho, ma ya bahan ko is duniya mein hi chukana padti hai. Imam Shaafai rehmatullah kehte hain ke: “Zina ek Qarz Hai, Agar Tu Ye Qarz Lega To Tere Ghar Se Yaani Teri Behan, Bahu, Beti Se Wasul Kiya Jaayega”…

Allahu Akbar Dosto, is bade guna ki aur bhi sazayen hain, isliye khud bhi bacho aur apne dosto ko bhi bachao, agar aapne apne sex ka kissa apne dost/ saheli ko sunaye aur uske dil mein bhi aesa karne ki baat aa gai aur usne wo kaam kar liya to uska gunah aapko bhi milega, kyonki aapne hi usko galat raasata dikhaya hai.

Aur aapke dost aage bhi jitne logo ko galat raasta dikhayega un sabka gunah bhi aapke account mein aayega. Allah hum sabko is bade gunah se bachaye.
                          “Aameen”

“ASTAG-FIRULLAHA RABBI MIN-KULLI ZANBIUN WATUBOO ILAEHI” Aaj aap ye msg agr kisi 1 ko bhi send karde, aap soch b nahi sakte kitne log “ALLAH” se tauba kar lenge In Shaa ALLAH

❈✵✵✵❈✵✵✵❈✵❈✵✵❈✵✵✵❈
🔂 TO BE CONTINUED
              POSTED BY

↪ FROM
👑"GULAM-E-AALA-HAZRAT"👑

🌹  TALIB E DU'AA
🌹  Jamaluddin Raza

🔯 VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
❉✹✹✹✹❉✹✹❉•❉✹✹❉✹✹✹✹❉

Saturday, May 14, 2016

●[ SHAB-E-BARA'AT QURA'AN ]● ●[O HADEES KI ROSHNI MEIN ]●

🌘🌟🌙🌟🌙🌄●🌅🌟🌙🌟🌙🌒
●[ SHAB-E-BARA'AT QURA'AN ]●
●[O HADEES KI ROSHNI MEIN ]●
🌘🌟🌙🌟🌙🌄●🌅🌟🌙🌟🌙🌒

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[①]]

✍🖌 Sha’baan Ki Pandharween Raat Ka Naam Aam Istilah Me Shab e Bar’at Hey.. Is Raat ki Fazilat Qur’an Paak Se Ba’az Sahaba e Kiram Ki Tehqiq Se Sabit Hey

📖[ Surah e Dukhan Aayat 1-4 ]

ALLAH ﷻ Ney Qasam Yaad Farma Kar Is Raat Ko
“LAILATUL MUBARAKA” Kaha..?

✍🖌 [ 1 ] Allama Aalusi :Hazrat e Akrama aur [1] Jamat e Sahaba Is Taraf Hey Ke Is Sey Muraad Sha’ban Ki Nisf Raat {Yani Pandharween Raat Jisey Shab e Bar’at Kaha Jata He} Hey....

       📚[ Tafseer e Roohul Mua’ani ]📚

✍🖌 [ 2 ]  Abu Saud; “Lailatul Mubaraka Se Murad Lailatul Bar’at {Nisf Shaban} Bhi Hey..?

         📚 [ Tafseer e Abi Saood ]📚

✍🖌 [ 3 ] Allama Imam Raazi: .Hazrat Akrama Aur Dusrey Sahaba Ne Kaha Ke Ye Lailatul Bara’at Hey Jo Sha’ban Ki [ 15th ] Hey”

             📚 [ Tafseer e Kabir ]📚

✍🖌 [ 4 ] Allama Sawi:. Lailatul Mubaraka Se Murad Sha’ban Ki [ 15th ] Hay. Yahi Qoul Akrama Aur Kayi Dusrey Sahaba Ka He Is Raat ke { 4 } Naam Hein..?
{ 1.Mubaraka }   { 2.Rehma }
    { 3.Bara’at }    { 4.Sak }  Aur is Raat Ibadat Karna Afzal Hay...?

                       📚[ Saawi ]📚

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[②]]

✍🖌 Muta’addid Ahadees Sey Is Shab Ki Fazilat Sabit Hey Sihah Ki 2 Kutub [Tirmizi, Ibn e Maja]   Ke Ilawa   [Musnad e Ahmed, Baheeqi]   [Musannaf Ibn e Abi Sheba]   Me Kayi Ahadees Iski Fazilat Par Mazkur Hein.

✍🖌 Kuch Ahadees Mulahiza Hon Jin Me Nabi Paak ﷺ  Ke Irshad Se Fazeelat Ki Wazeh Tayeed Hey..?

✍🖌 [ 1 ]  Hazrat Ali Say Marwi;
Huzoor Paak ﷺ Nay Farmaya; “Jab Sha’ban Ki Nisf Raat Aaye To Tum Raat ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho. Beshak Guroob e Aftab Se Subeh Sadiq Tak ALLAH ﷻ Paak Ki Rehmat ka Nuzool Aasman e Dunya Par Hota Hey...?

✍🖌 Rabb Ta’ala Ki Taraf Se Aawaz Di Jaati Hey,

                      ⚜[Khabardar]⚜
✍🖌  Hey Koi Jo Mujse Bakhshish Talab Karey, Mey Usey Bakhsh dun.

                      ⚜[ Khabardar]⚜
✍🖌 Hey Koi Rizq Ka Taalib Ke Usey Rizq Ataa Karun.

                     ⚜ [Khabardar]⚜
✍🖌 Hey Koi Musibat Zada Ke Mey Usey Aafiyet Ataa Karun.

          [Khabardar Koi Is Tarah Hay]
          [Khabardar Koi Is Tarah Hay]

📚[Ibn e Maja – Bab Ma Jaa’a Fi Lailatin Nisf Min Sha’ban Pag 99]

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[③]]

✍🖌  [ 2 ]
  [ Hazrat Abu Moosa Ash’ari Say Marwi ]
             Huzoor ﷺ Nay Farmaya;

✍🖌 Beshak ALLAH ﷻ Ki Rehmat Ka Sha’ban Ke Nisf Ki Raat Mey Zuhoor Hota Hay. ALLAH ﷻ Apni Tamam Makhlooq Ko Muaf Farma Deta Hay... Siwaye  Mushrik,
Logon Say Bughz Rakhnay Walay, Dushmani Karnay Waley”

                      📚[ Ibn e Maja ]📚

✍🖌 [ 3 ]      [ Hazrat Ayesha Say Marwi ]

Huzoorﷺ ; “Sha’ban Ki Nisf Raat May Saal May Paida Hony Aur Fout Hony Walon,
Baais e Rif’at Naik A’amal Aur Rizq Ke Asbab Likh Dye Jaaty Hen”

       📚[ Bahiqi ]📚        📚[ Mishkat ]📚

✍🖌 [ 4 ]    [ Hazrat Urwa Say Marwi; ]
                        [ Hazrat Ayesha ] 
“May Nay Ek Raat Rasulullah ﷺ Ko Gum Paaya To Apki Talaash Ke Liye Nikli..

✍🖌 Aap ﷺ Baqee (Qabrastan) Me Aasman KiTaraf Sar Uthaye Huey They. Huzoor ﷺ Nay Farmaya….

✍🖌 Beshak ALLAH ﷻ Paak Apni Rehmat e Kaamila Say Nisf Sha’ban Ki Raat (Shab e Bar’at)
Aasman e Dunya Par Nuzool Farmata Hay.
Banu Kalb Ki Bakriyon Ke
Baalon Say Zyada Magfirat Farmata Hay”

                     📚[ Tirmizi ]📚

✍🖌 Is Mazmun Ki Ahadees Muta’addid Asnad Say Warid Huin..?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[④]]

✍🖌 [ 5 ] Shab e Bar’at Ki Fazeelat Waly Baab Me
Hazrat Abubakar Say Bhi Tirmizi May Hadees Marwi Hay..?

✍🖌 [ 6 ] Huzur ﷺ Nay Farmaya; [ 15th ] Sha’ban Ko ALLAH ﷻ Paak (Ki Rehmat) Aasman e Dunya Ki Taraf Nuzool Farmata Hay...?

✍🖌 Is Raat Har Gunahgar Ki Bakhshish Hoti Hay Siwaye Mushrik wa Keena Parwar Ke..?

                      📚 [ Behiqi ]📚

✍🖌 [ 7 ] Muaz Bin Jabal Say Bhi Yahi Manqool Hay

✍🖌 [ 8 ] Ata Bin Yasar Say Marwi;  Koi Raat Lailatul Qadar Ke Baad  [ 15th ] Sha’ban Ki Shab Say Zyada Fazilat Wali Nahi..?

                      📚 [ Behiqi ] 📚

✍🖌 [ 9 ] Hazrat Ka’ab Say Marwi; “ALLAH ﷻ Jibraeel ko { 15 } Sha’ban Ki Shab Jannat Ki Taraf Bhejta Hay..
Ke Wo Aarasta Hony Ka Hukum Puhncha Dein.
Or Keh Dein Ke ALLAH ﷻ Is Raat May Aasman Ke  Sitaron, Dunya Ke Din Raat,
Darakht Ke Patton, Paharon Ke Wazan Aur Rait Ke Zarron Ki Ginti Ke Barabar Bandon Ko Aazad Karega”

                      📚 [ Baheeqi ] 📚

✍🖌 [ 10 ] Akrama Say Marwi; {15 Shaban} Khuda Ki Taraf Say Hikmat Waly Har Kaam Ka Faisla KyaJaata Hay Zinday Likhey Jaaty Aur Haji Qalamband Hoty Hen
Phir Is Say Na Koi Barhta Hay Aur Na Kam Hota Hay..?

📚[ Ibn e Jarir ]
📚[ Ibn e Manzar ]
📚[ Ibn e Abi Hatim ]

✍🖌 Mazeed Ahadees Bhi Paish Ki Jaa Sakti Hen...?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑤]]

✍🖌 Alhamdulillah Hum Ne Shab e Bar’at Par Hamara Moaqqaf Jaan Liya Is Hawalay Se Kye Jaane Waley Tamam Aetirazat
Naqis, Gair Mayari, Jahalat Par Mabni,Musalmano ko Ibadat Say Roknay Ki Na Paak Jasarat Aur Gumrah Karney Ki Shaitani Sazish Hein...?

🖌 [ Aaye ]  Ab Biltarteeb Inke Jawabaat Diye Jayenge..?

✍🖌 Jinhe Aetraaz Hey Agar Wo Arabi Parhay Huey Nahi To Kam Az Kam Hamary Islaaf Ki Is Hawaley Say Mustaqil Abwab Par Mabni Kutub Ke Urdu Tarajim Parh Len Jo Ba Aasani Mayassar Hein...?

[ Maslan Ma Sabat Bis Sunnah, Makashifatul Quloob, Gunyat u Talibeen,
Tuhfatul Ikhwan, Nuzhatul Majalis, Rukn u Din Etc ]
Unhe Beshumar Ahadees Ke Elawa Mutaqaddimeen wa Muta’akhireen Ke
Be Hisab Aqwal Mil Jaenge...  Phir Unhe Tamak Toiyan Maarnay Ki Haajat Na Hogi...?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑥]]

                   🍭[ Aetraaz {01} ]🍭
✍🖌 Amma Ayesha Wali Hadees In Par Bohtan Hay..
                       🍭[ Answer ]🍭
✍🖌 [ 1.1 ] Ye Buhtan Apke Khayal May Kis Nay Lagaya? Imam Ahmed Raza Nay Ya Hazrat Urwa Nay
(Ke Ye Amma Say Rawi Hein) Ya Tirmizi, Ibne Maja, Behiqi Aur Ibn e Abi Sheba Nay (Ke Ye Sab Naqil Hein)...??

✍🖌 [ 1.2 ] Kya Kisi Nay Is Hadees Ki Jarah wa Ta’deel Karty Huey Isko Mozu (Mangharat Ya Khud Sakhta) Kaha?

✍🖌 [ 1.3 ] Agar Tirmizi Nay Isey Zaeef Kaha Bhi To Kya Fazail May Zaeef Riwayat Mo’tabar Nahi Hoti...?

✍🖌 [ 1.4 ] Zuaf Ki Waja Ye Ke Rawiyon May Hajjaj Nay Yahya Say Aur Yahya Nay Urwa Say Nahi Suna, Ye Zuaf Buhat Naram Hay Hosakta Hay Barah e Rast Nahi, Bilwasta Suna Ho.
Ye Aeb Wo Nahi Jo Kizb Wagera Ki Tohmat Ke Sabab Paaya Jata Hay...?

✍🖌 Sabit Hua Agar Chey Rawi Siqa Nahi Magar Haqiqat May Ye Hadees Hi Hay.?. Aur Is Say Mustahibbat Sabit Ho Sakty Hein. Musalmano ka Aqeeda Hay Ke Is Shab Ki Ibadet Mustahib Hay Na Ke Wajib, Zaeef Hadees Say Bhi Iska Suboot Jaiz..?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑦]]

✍🖌 [ 1.5 ] Is Hadees ko Zaeef Kaha Gaya Magar Ye Nahi Kaha Gaya Ke Kisi Hadees Say Isko Ta’eed Hasil Nahi Hoti. Chun Ke Taeed Karnay Wali Kayi Ahadees Bayan Ki Jaa Chuki Lihaza Wazeh Hogaya Ke Ye Hadees Hasan Ligairihi Hay Aur Is Say To Ehkam e Wajiba Bhi Sabit Ho Saktay Hein..
Aur Bil Ittifaq Daleel Ke Tor Par Pesh Kiya Ja Sakta Hay..?

✍🖌 [ 1.6 ] Agar Maan Liya Ke Hazrat Ayesha Wali Hadees Zaeef Hay To Shab e Barat Ki Fazeelat Par Baqi Sahee Ahadees Ka Kya Hoga..?

                     🍭Aetraaz [ 02 ]🍭

✍🖌 Agar Ye Hadees Sahee Bhi Ho To Qur’an Ka Inkar Hay..?

                       🍭{ Answer }🍭
✍🖌 [ 2.1 ] Ibn e Abbas Farmatay Hein;::-

✍🖌 [ 15th ] Shaban Ko Tamam Umoor Ke Faisley Kar Liye Jaatay Hein
Aur [ 27Ramzan ] Ko Tamam Umoor Farishton K Supurd Kar Diye Jatey Hein”
Qura’an Paak Ki Aayat e Dukhaan, Hazrat Akrama Aur Dusrey Ashab Ke Bayan, Muta’addid Sahee Ahadees Aur Mustanad Mufassireen Ke Aqwaal Ke Baad Shab e Bar’at Ki Fazilat Mey Qura’an Ki Kis Aayat Say Takrao Ya Inkar Hay....?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑧]]

✍🖌 [ 2.2 ] Agar Bilfarz
Qur’an Paak Say Shab e Bar’at Ki Fazilat Sabit Na Bhi Ho To Sirf Hadees e Paak Say Sabit Hona Bhi Kafi Hay... Ke Ahadees Hi Say To Hum Arkan e Islam
(Namaz, Zakat, Roza, Hajj)
Ke Ehkam Sabit Karty Hen..
Agar Ahadees Ko Na Tasleem Kiya Jaye To Islami Ehkam Par Amal Mumkin Hi Nahi...?

                   🍭[ Aetraaz 03 ]🍭

✍🖌 Aurton Ka Qabrastan Jana Mana Hay To Amma Ayesha Kyun Gayin.....?
                      🍭[ Answer ]🍭
                  📚[ 3.1-Hadees ]📚

✍🖌 Qabron Ki Ziyarat Karnay Wali Aurton Par La’nat Ho”

                        📚[ Tirmizi ]📚

✍🖌 Ahl e Ilm Ka Is Hadees May Ye Aetqaad Ke Huzoor ﷺ Nay Qabron Ki Ziyarat Ka Jo Hukum Aur Rukhsat Farmayi, Ye Hadees Is Say Pehlay Ki Hay KyuKe Pehlay Mardon,Aurton Sabko Mumaniat Thi,.. Jab Ijazat Mili To Sab Ke Liye Mili Han, Aurten Sabar Na Karen
Aur Rona Peetna Ho To Inhe Mana Hoga.....?

                       📚[ Mishkat ]📚

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑨]]

✍🖌 [ 3.2 ] Ek Aur Hadees Jo Musnad e Ahmed O Mishkat May Hay Ke Hazrat Ayesha Roza e Rasool ﷺ Par Jab Ke Abu Bakar o Umar Bhi Madfun They Jaya Karteen Wazeh Hua Ke Aurton Ka Qabron Par Jana Mutlaqan Mana Nahi..?

✍🖌 [ 3.3 ] Ibn e Maja w
Tirmizi Ki Hadees May Bhi
Amma Ayesha Ka Qabrastan Jana Aur Huzur ﷺ Ka Na Rokna Is Baat Par Dalalat Karta Hay Ke La’nat Wali Hadees Pehlay Ki Hay Aur Ijazat Wali Hadees
[ Ibne Maja w Mishkat My ] Baad Ki Hay....?

✍🖌 [ 3.4 ] Ibn e Maja o Mishkat May Hazrat Ayesha Say Hi Marwi;:-  “Sahib e Qabar Ko Zaair Say Sukoon Milta Hay” Ibne Masud sy Marwi;:- “Qabar Ki Ziyarat Zuhad Aur Aakhirat Ki Yaad Ka Baais Hay..?

                     🍭[ Aetraaz 04 ]🍭

✍🖌 Baqee Madina May Hay To Fazilat Wali Surat Ka Nuzul Makkah May Kyun..?
                        🍭[ Answer ]🍭

✍🖌 [ 4.1 ] Deegar Jo Tamam Ahadees Bayan Kin Is May Baqee Aur Madina Paak Ka Zikar Kahan Hay..? Kya Ye Mumkin Nahi Ke Huzoor ﷺ Nay Shab e Bar’at Ki Fazilat To Makkah Paak May Bayan Farmayi Ho Aur Amma Ayesha Madina May Huzoor ﷺ Ke Paas Ayin,Is Liye Unhe Us Waqt Malum Chala Ye Bi Ho Sakta Hay Ke Inhe Ma’lum To Ho Magar Achanak Ye Khayal Na Aya Ke Huzoor ﷺ  Kahan Tashrif Le Gaye...?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑩]]

✍🖌 [ 4.2 ] Agar Aap Ye Samajhtey Hen Ke Makki Surton Ki Tamam Aayat Makki Aur Madni Soorton Ki
Tamam Aayat Madani Hen
To Ye Soch Sara Sar Baatil o Jhoot Hay...?
         { Allama Suyooti }
✍🖌 Kayi Surat Makki Hen
Magar Un My Ba’z Aayat Madani Hen” (Al-Itqan)
Pas Aapki Aetraaz Me Di Jane Wali Daleel Naqis Hay..?

                      🍭[ Aetraaz 05 ]🍭
✍🖌 Nabi ﷺ Paak Par Bohtan Hay Ke Itna Arsa Fazilat Ko Chupaya
                        🍭[ Answer ]🍭

✍🖌 [ 5.1] Huzoor Ke Muta’adid Farmudat, Kutub e Ahadees wa Tafaseer Ki Roo Say Hargiz Ye Lazim Nahi Aata Ke Huzoor ﷺ
Jo BASHIR O NAZEER Hein
Unhon Nay Kabhi Kisi Fazilat Ko Chupaya Ye Logo Ki Jasarat e Makruh Hay
Ke Ek Taraf Huzoor ﷺ Par Bohtana Laganay Ke Liye Maahol Paida Kiya Jaye Jab Ke Dusri Taraf Babarkat Raat May Musalmanon Ko Ibadat Say Door Rakhnay Ki
Shaitani Sazish Ko Taqwiyet Di Jaye Alhamdulillah
Shawahid o Dalail ke sath Jawab Mukammal Kye Is Dua Ke Saath Ke ALLAH ﷻ
Gumraho Sharr Say Tamam Aalam Ko Mehfooz Rakhey...?

🌹AAMEEN YA RABBUL AALMEEN🌹
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
🌷"TAMAM AALAM E AHLE ISLAM KO SAHAB-E-BARA'AT MUBARAK HO"🌷
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

               ⚠ THE END ⚠
❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖
↘ TO BE CONTINUED
            POSTED BY

⏭ FROM
👑 GULAM-E-AALA-HAZRAT 👑

📿  TALIB E DU'AA
🍁  Jamaluddin Raza
⚜ IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE  G.E.A.H  FACEBOOK PAGE LINK PE CLICK KRE....
https://m.facebook.com/1765594710320274/albums/1827081104171634/
⚜ IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE  G.E.A.H  BLOGEER LINK PE CLICK KRE....
http://gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com/2016/05/shab-e-bara-qura-o-hadees-ki-roshni-mein.html?m=0
🖥VISIT  G.E.A.H PAGES LINKE & COMMENTS
💻 https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
🎊🎌🎐📮🏮🏮📮🎐🎌🎊

Saturday, May 7, 2016

SHAB-E-QADR HAZAAR MAHINO SE BEHTAR

💫🌙💫🌙💫🌙💫🌙💫🌙💫🌙💫🌙💫🌙
🌃 SHAB-E-QADR HAZAAR MAHINO SE BEHTAR 🎇
💫🌙💫🌙💫🌙💫🌙💫🌙💫🌙💫🌙💫🌙

📃••PAGE-OF- NO•• [{ ① }]

✍📝 Poora saal hum sote hai ye kuchh azeem ratein aayi hai inme jaagkar bhi dekhlo shayed apki zindagi badal jaye IN raaton me khub ibaadat karen..?

🌃SHABE QADR ME IBADAT KA SAWAB:

  📖TARJUMA QURA'AN📖

✍📝 Shabe qadr hazaar mahino se behtar

         📖(SURE QADR)📖

✍📝 Magar shabe qadr taaq raato me poshida hai..?

🏮SAWAL:-

✍📝 Shabe qadr me ibadat ka
kya sawab hy..?

⏳🏺JAWAB:-

📖(Qur-aan ki roshni me)📖

✍📝 Shabe qadr hazaar mahino se behtar

📖(SURE QADR para 30)📖

✍📝 Magar shabe qadr poshida hy..?

🍭 KYA AAP JANTE HO:-

✍📝 Shabe Qadr me ibadat krne wale ko Sure Qadr ke mutabik  1000  maah se bhi ziyada ka sawab milta hy..?
MAGAR:- 
ye raat poshida hy..?

      🍭IN ME IBADAT KRO 🍭

📚HADEES:-📚

✍📝 Shabe Qadr ko ramzan ke
aakhri ashre ki taaq raato yaani
21vi   23vi   25vi   27vi   29vi
raato me tlaash kro

📚(SAHIH BUKHARI
jild-1 , page no-662 , hadis no-2020)

📃••PAGE-OF- NO•• [{ ② }]

👊🏻 LADAAI KA VABAL:-

✍📝Aaqa ﷺ (Alyhisslam ) hame
shabe qadr batane wale the
magar 2 shakhs zhagad rahe the to t’ayyun utha liya gaya..

📚(detail in BUKHARI jild-1-page no-663 -hadis no-2023)

🌻BEDA PAAR
✍📝 jo shabe qadr me ikhlaase
niyyat se nvafil padhega
uske agle pichhle gunah
muaaf ho jaenge

📚(RUHUL BYAAN jild-10 , page no-480)
lekin ye raat poshida hy.?

📿AAO HUM BHI AMAL KRE:

✍📝 buzurgaane din ramzan ke aakhri ashre ki har raat me 2 rk’at nafal shabe qadr ki niyyat se padha krte..

📚(RUHUL BYAAN jild-10 , page no-483)

📃••PAGE-OF- NO•• [{ ③ }]

⚜ SLAAMATI WAALI RAAT ⚜

✍📝 Shabe qadr me aandhi bijli aafaat vgera aisee baate jinse darr paida hota ho unse bhi slaamati hai..?

📚(RUHUL BYAAN
jild-10 , page no-485)

⚜SHABE QADR ME DUA'A KRE⚜

✍📝 Ae ALLAH ﷻ Hum kamzor hai tu taqat wala hai Hum aajiz hai tu beniyaaz hai. Ae ALLAH ﷻ hum maangte hai tu deta hai..
             📚 HADEES📚
✍📝 Agr Tum Chahte Ho Ke Tumhari Qabr Noor Se Raushan Ho Jae To Shabe Qadr Me Ibadat Kro...

📚(F.SHUHURI WAL AYYAM)

✍📝 AE ALLAH ﷻ  Tu maf karnewala hy Aur mafi ko pasand krta hy.Hume bhi maf farma..?

✍📝 Aap bhi is mubarak rat me sabki khata maf karde
MERE LIE BHI DUA KRE

                📚HADEES📚

⚜ SHABE QADR ME 4 QISM K LOGO KI MAGFIRAT NHI HOTI⚜

🎌 (1)Shrabi
🎌 (2)Waldaen Ka NaFrman
🎌 (3)Rista Todnewala
🎌 (4)Bugz O Kina Rakhnewala

📚(ATTARGIB WATTARHIB)
.
⚜HAZRAT ALI RADIALLA HU ANHU NE FARMAYA⚜

✍🎌 Jo Shakhs Shabe Qadr Me Surah Qadr 7 Bar Padhega, ALLAH ﷻ Use Hr Bala Se MAHFUZ Rakhega.

📚(NUZHATUL MAJALIS)

⚜SHABE QADR ME YE DUA PADHE⚜

🌷ALLAHUMMA INNAKA AFU-UN TUHIBBUL AFWA FA AFU ANNI🌷

📚(MUSTADRAK HAKIM Jild:1
Page:530)

📃••PAGE-OF- NO•• [{ ④ }]

✍📝 Jo shabe qadr me ikhlaase niyyat se nvafil padhega uske agle pichhle gunah muaaf ho jaenge..?

📚[RUHUL BYAAN jld-10 ,p-480]

🌷lekin ye raat poshida hay🌷

                     📖{QURA'AN}📖

✍📝 Beshak Hum Ne ise (QURAN KO) SHABE QADR ME UTARA Or Tumne Kya Jana Kya Hy Shabe Qadr..? Ye Hazar Mahino se Behtar Hay..?

                        📚{Hadees}📚

✍📝 Jo Shakhsh Lailatul Qadr Me iman Ke Saath Or Sawab Ki Niyyat Se Khada Hua Uske Pichhle Tamam Gunah Muaaf Hayn..?

                      📚{BUKHARI}📚

      🌹{SHAB-E-QADR-KI-ALAMAAT}🌹

✍📝 Ye Raat Na Zyada Garam Na Thandi, Is Raat Me Chand Khula Hua Nazar Aata Hai. is Raat Samandar Ka Pani Mitha Hota Hai..?

✍📝 HAR SAAL ME EK AISI RAAT BHI AATI HAI
JISME SAMUNDAR KA PAANI MITHA HO JATA HAI
WO RAAT RAMZAN KI 27VI SHAB-E-QADR-HAI...?

                 📚{TAFSIRE AZEEZI}📚

  🌹(SHAB-E-QADAR KI NISHANIYAAN)🌹

✍📝 {1} Us Din Soraj Bina Shua Yane Bohat He Halka Hoga.

✍📝 {2} Us Din Na Tou Gharmi Hogi Na Sardi Hogi.

✍📝 {3} Us Shab Aasmaan Main Sitare Bina Roshni Ke Honge.

✍📝 {4} Jis Ghar Main Momin Mard Ya Aurat Hogi Us K Jisim KE Ronghti Khare Ho jaenge Aur Un K Aankhoon Se Ashkoon Ke Moti Behrahe Honge.

               🌹(SUBHAN ALLAH)🌹

✍📝 Yeh Raat Tum Taak Raaton Main Dhondo Yane RAMAZAN MAIN {21}  {23}  {25}  {27}  {29}
Main

         📚(AJARE AZEEM)

🌹HAR TAAQ RAAT ME PADHIYE🌹

✍📝 Jo koi shabe qadr me
sure qadr {7} baar padhta hy {70000}  firishte uske liye
jannat ki duaa krte hain
farmaane maulaae kaainaat aliyyulmuruza shere khuda
(radiyyallau anhu)

📚[Nuzahatul mjaalis
jild-1 , page no-223]

📃••PAGE-OF- NO•• [{ ⑤ }]

✍📝🌹 ABDAH BIN ABI LUBABA SAHABI Kehte Hyn Main Ne Ramzan Ki 27vi Shab Ko Samandar Ka Paani Chakha To Bilkul Mitha Tha...

                       ⚜{HADEES}⚜
✍📝 Logo pr ek zmana aisa aaega ki msajid me dunya ki baate hongi tum unke saath mat betho ki unko ALLAH ﷻ se kuch kaam nahi..?

   📚[SHUABUL IMAN jild-3 hadis-2962]

                         ⚜{BEDARI}⚜
✍📝 Shab bedari ka matlab hay raat jaag kr ibadt krna..?
                       ⚜{MAGAR}⚜
kyi naujwan mubark raato me ghumfir kr shab bedari nahi SHAB BARBADI KRTE HY...?

                 ⚜{RAAT BARBAAD}⚜
✍📝 Mubark raato me sirf jagna sawab nahi balki ibadat me guzarna sawab hay..
                         ⚜{AFSOS}⚜
Kayei log ghumne firne me
ye raate guzar dete hay..?

                        🌃{RAMZAN}🌃
✍📝 27vi ramzan masjid me ibaadat kre to in aadab ko bja laiye
   {dunya ki baate n kre}
      {hasne se bachiye}
ISE MASJID KE BORD PAR LIKHE

               ⚜{NEKIYA BARBAAD}⚜
✍📝 Bila zarurat masjid me mubaah (jaiz) baat na kiyo ko is tarah khaa jati hy jaise aag lakadi ko..?

📚[DURRE MUKHTAR jild-3 page-441]

📃••PAGE-OF- NO•• [{ ⑥ }]

                      🍭{TAAKID}🍭
✍📝 Masjid me dunya ki baate sakht mana hay lihaza {27vi} ramzan me
thodi ibadat kar ke fir
gupshup me mshgul hokar
nekiya barbaad mt kar dena

        🍭{SHABE QADR KI {1} NISHINI}🍭

✍📝 Isme na zyada garmi hoti hay
na zyada sardi hoti hay..

📚[MUSNADE IMAM AHMED jild-8 , page no-414 , hadis no-22829]

✍📝 Ramzan ki aakhri {5} taaq raato me
ibadat kre..?

                 🍭{AAO DUAA KRE}🍭

✍📝 Ramzan ka aakhri ashrah (10din) jahnnam se aazadi ka hay {YA ALLAH ﷻ} hame azaabe naar se mahfuz farma AAMEEN YA RABBUL AALMEEN Taaq raato me ibadat kre...?

     🍭{HAR TAAQ RAAT ME PADHIYE}🍭

✍📝 Jo koi shab-e-qadr me sure qadr {7} baar padhta hay {70000} firishte uske liye jannat ki duaa krte hain farmaane maulaae kaainaat aliyyulmuruza shere khuda (radiyyallau anhu)

📚[nuzahatul mjaalis jild-1 , page no-223]

          🍭{FIRISHTO KI MULAKAT}🍭

✍📝 Jo koi shabe qadr me
ibadat me mashgul hota hay firishte us se salaam va
musafa krte hay..?

📚[SHUABUL IMAN jild-3 , page no-336 , hadis no-3695]

📃••PAGE-OF- NO•• [{ ⑦ }]

       ⚜[RAAT BADALTI RAHTI HAI]⚜

✍📝 Imam malik ke nazdik shab-e-qadr har saal ramzan ke aakhri ashre ki taaq raato me ghumti rahti hay...?

📚[TFSIRE SAAVI jild-6 , page no-2400]

       ⚜[SHABE QADR KI TLAASH]⚜

✍📝 Ramzan ke aakhri ashre ki taaq raato me itna zarur kre thodi ibadat.

        [Sure qadr [7] baar] 
 
                 [tauba]   

             [Istigfaar]     

                [Dua'a]  
           AAM KRE..?

      ⚜[SHABE QADR KI [1] NISHANI]⚜

✍📝 Is raat ke guzrne ke baad jo subah aati hay usme suraj bigair shuaa ke tulu hota hay..?

📚[MUSNADE IMAM AHMED
jild-8 , page no-414 , hadis no-22829]
Yeh msg ek tawil hadis se naql kiya gayaa hai

             ⚜[PAAK NAZARE  Q]⚜
✍📝 Shab-e-qadr ki kayi nishaniya hay magar hame nazar kyo nahi aati Aay ise to vohi dekh skta hay jise qalbi nazar ki neamat hansil ho..?

                  ⚜[SUSPENSE]⚜
✍📝 Shabe qadr poshida rakhne me ek hikmat ye bhi hy ki banda iski talab me mehnat kre aur is mehnat ka swab kmaye..?

📚[Imam fakhruddin raazi ki mashahur tafsir tafsire kabir jild-11 , page no-229]

📃••PAGE-OF- NO•• [{ ⑧ }]

                      🍭[TAAKID]🍭
✍📝 Agar badi raato me ibadat ka shauq hay to gaafil dosto se na mile varna apni raate bhi ghumne aur fuzul gupshup me barbaad ho sakti hay..?

                 🍭[BURI SOHBAT]🍭

✍📝 Kayi naujwano ko badi raato me ibadat ka shauq hota hay magar aawara dost ghumne aur fuzul gupshup me raat barbaad karva dete hay...?

               🍭[WAQT KI QADAR]🍭

✍📝 [27vi] Ramzan jaisi badi raato me ghumne firne aur fuzul “gupshup”me waqt barbaad karne ke bjae ibadat kar ke iski barkate lutiye..?

   🍭[{1}GALAT FAHMI KA KHULASA]🍭

✍📝 Agar [27vi] ko quraan-e-paak khatm ho jae tab bhi aakhri rmzan tak trawih pdhte rahe ki sunnate muakkda hay...?

     📚[AALMGIRI jild-1 , page no-118]

Friday, May 6, 2016

ROZE KE AHAM MASAIL

🌻🌹 ROZE KE AHAM MASAIL 🌻🌹

                🌠 “ROZA” ❇

🌠ROZAA me khud b khud kitni hi KAI (ULTI) ho jae is se rozaa nahi tut ta.

📇✒ KAAN me paani chalaa gayaa jab bhi razaa nahi tuta.

📇✒ MAKHI halkme chali gayi roza na gaya aur kasdan nigali to chalaa gayaa.

📇✒ Aansu mooh me chala gayaa aur aap use nigal gae agar katrah do katrah hai to roza naa gaya aur zyadaa tha ki us ki namkini pure mooh me mehsoos hue to jataa raha, paseene ka bhi yahi huqm hai.

📇✒ ROZE ki halat me har kism ka Attar sungh b sakte hai aur kapde par laga bhi sakte hai.

📇✒ GULAAB YA MUSK wagairah sunghna, dadhi moochh me teil lagana aur surma lagana makrooh NAHI hai.

📇✒ ROZE ki halat me NAAK me dawaa chadhaai to roza tut gaya aur iski KAZAA lazim hai.

📇✒ MASLA: =>HUQQA =>CIGARETTE =>TAMBAKU =>PAAN IN Sab Se Roza TootTa Hy Chunki Inka Asae Dimag Me Maloom Hota Hy

                      🍭 MASAIL 🍭

📇✒ 1> Munh Me Jama Thook Pine Se Roza Nhi Toota  2>Tel Ya Surma LagaNe Se Roza Nhi TooTa  3> Dhuwan Halaq Me Gaya To Roza Nhi TooTa

🍭 KIS HALAT ME ROZA NA RKHNE KI IJAZAT🍭

📇✒ Safar,Hamal,Bim ari,Budhapa,Bac hcheKo Doodh Pilana, jihad, is Uzr k Khatm Hote Hi Rozon Ki Qaza Wajib Hy,

                   🍭 MAS’ALA 🍭

📇✒ SHARI’AT Me Musafir Use Kahenge Jo 93.km Ke Distance Ka Safar Kar Raha Ho Us Musafir Ko Roze Se Nuqsan Ho To Na Rakhe

                  🍭══ZAKAT══🍭

📇✒ ZAKAT PEHLE Apne Bhai Bahen Unki Awlad,ChaCha Phuphi Unki Awlad,Mamu Khala Unki Awlad Phir Apne Gaon Ya Shaher Walon Ko Den

             🍭 AALAMGIRI MASLA 🍭

📇✒ APNE USOOL Aur FurooKo Zakat Ya Sadqaye Fitr Nahi De Sakta

                       🍭HADEES🍭

📇✒ Allah ﷻ Ta’ala Us Shakhs Ka Sadqa Qubool Nahi Farmata Jiske Rishtedar Uske Sulook Ke Mohtaj Ho Aur Ye Dusre Ko De.

📇✒ Zakat Farz Hy Uska Munkir Kafir Na Dene Wala Fasiq Or Qatl Ka Mustahiq Hy Dene Me Der Karne Wala GunehGar Hy Uski Gawahi Qubool Nhi Ki Jaygi.

                       📖QURA'AN📖

📇✒ Jo Log Sona Chandi Jama Karte Or Use Allah Ki Rah Me Kharch Nhi Karte Unhe DardNaak Azaab Ki KhushKhabri Suna Do

              📖Para-10,Surah Tauba📖

                         🍭HADEES🍭

📇✒ JO Maal Khushki  (Zameen)  Or Tari  (Pani)  Me BarBad Hota Hy Wo Zakat Na DeneSe Hota Hy MAS’ALA Jo Cheez Girwi Rakhi Ho Uski Zakat Na Rakhne Wale Ko Hy Na Jis Ke Pas Rakhi Use, Aur Chhudane Wale Par Bhi Nahi...

📇✒  D  Mukhtar Zakat Ki Shart Musalman Azad Aaqil BaligHo Maal Ka Malik Or QabizHo Mal Par Sal Guzre Mal Qarz Se KhaliHo Mal Hajate Asliya Se FarigHo

                      🍭 MAS’ALA 🍭

Zakat Aise Ko De Jo Qabza Karna Janta Ho Chhote Bachche Ya Pagal Ko Dene Se Zakat Ada Na Hui

                       🍭 MAS’ALA 🍭

📇✒ Jis k Paas Khane Aur Badan Chhupane Ke Liye Ho Use Bagair Majburi Aur Zarurat Ke Sawal Karna Haram Hai

                   🍭══TARAHWI:══🍭

📇✒ TARAHWI ka waqt ishaa ke frz padhne ke baad se subhaa sadik tak hai, ishaa ke frz adaa karne se pahele agar padhli to na hogi.

📇✒ AGAR LOGON KO SAK HO KE 20 HUI YA 18 TO 2 RAKAT TANHA TANHA PADHE.

📇✒ Hazrat Haris Ramzan Me 20 Rakat Taravih Ki Imamat Karte The Aur Vitr 3 Padhte The..

📚 {musannif ibne abi shaiba J:2,S:393} 📚

                         🍭 HADEES 🍭

📇✒ Huzoor Farmate Hain Meri Or Mere KHULAFA’E RASHIDEEN Ki Sunnat Ko Apne Upar Lazim Samjo

                         🍭 HADEES 🍭

📇✒ Tarawih Ki 20 Rakat Jamat Se Hazrat Umar Farooq Ne Shuru Ki, Aur imam Hazrat Ubai Bin Ka’ab Ko Banaya

                         🍭 HADEES 🍭

Hazrat Umar Ke DaorMe Tamam SAHABA 20 Rakat Taraveeh Ka Ehtemam Karte The,

📚{ASSUNANUL KUBRA Jild: 2,S:496}📚

                      🍭══EYTEKAF══🍭

📇✒  MAS’ALA Ramzan K 10 Din Ka Eytekaf”

SUNNATE MOAKKEDA KIFAYA
Hy Agar SabNe Chhoda To Sab Gunehgar Agar Ek Ne Bhi  Kiya To Sab Bari Hogaye

          🍭 Eytekaf 3 Tarah Ka Hai 🍭

📇✒ WAJIB:>     Jo Minnat Ka Ho.
SUNNATE MOAKKEDA:>
Ramzam me 10 Din. MUSTAHAB>   Eytekaf Ki Niyyat Se Thodi Der Bhi Masjid Me Rukna...

📇✒ EYTEKAF:    20 Ramzan Ka Suraj Dubte Waqt Masjid Me Shawwal Ka Chand Nikalne Tak Qayam Karna Eytekaf Kehlata Hai Ye 10 Din Ka Hai

                      🍭 MAS’ALA 🍭

📇✒ Eytekaf Wale Ko Zaruri Hai Ki Masjid Hi Me Khay Piye Soye in Kamo k Liye Bahar Gaya To Eytekaf TooT Gaya

                        🍭HADEES🍭

📇✒ Hazrat Aaisha Ka Bayan Hy Huzur Ne Farmaya Shabe Qadr Ko Ramzan k Aakhri Ashra Ki Taaq Raton Me Talash Karo 21 -23 -25 -27 -29  Me

                    ✳❇══EID══❇✳

                        🍭MAS’ALA🍭

📇✒  ❇Eid Ki Namaz Wajib Hy Magar Unhi Logo Par jin Par Juma Wajib Hy..Aurte’n Juma Aur Eid Ki Namaz Na Padhe Allah ﷻ amal ki toufiq de..? 

🌹🌷 AAMEEN YA RABBUL AALMEEN 🌷🌹