Saturday, April 30, 2016

MERAJ-UN-NABI ﷺ" KA TAFSEELI JAYEZA...

MERAJ-UN-NABI ﷺ" KA
TAFSEELI JAYEZA...

↘Part :- 01.

🔀TOPIC...

①AYATE ASRA KI TAFSEEL...

②MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL...

③ME'RAJ KYU???

④ME'RAJ MAKKAH MUKARRAMA SE HI KYU ??

⑤BAYTUL MUQADDAS SE SAFARE AASMAN KI IBTEDA KYU ??

⑥AMBIYA-E-KIRAM SE MULAKAT KI HIQMATE...

⑦ME'RAJ RAAT ME KYU ??

⑧ME'RAJ JISMANI...

⑨ME'RAJ KESE HUYI...

⑩ME'RAJ ME 7(SAAT) AASMAN KI TAFSEEL...

⑪ARSH SE LA-MAQA TAK...

⑫DANA FATA DALLA-FA-QANA QABA KAWSAYNE AW-ADNA...

⑬BAHISHT(JANNAT)..

⑭DOZAKH..

⑮SAFARE ME'RAJ SE WAPSI..

⑯TAZKIRA-E-ME'RAJ BA-ZABANE RISALAT..

⑰BAAQIYAAT..

⑱ME'RAJ PAR AITRAAZ AUR USKE JAWABAT...

🎆KALSE INSHAA'ALLAH IN SARE TOPIC KO EK-EK KARKE APKE SAMNE TAFSEEL SE PESH KARENGE HUMARA MAKSAD SIRF YAHI HAI KI HUZUR ﷺ KA EK AZEEM MO'JIZA ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL LOGO TAK PAHUCHE AUR MASLAKE HAQ MASLAKE ALA HAZRAT KA KAAM HO...

🎇ALLAH TAA'LA MARTE DUM TAK AHLE SUNNAT-W-JAMA'AT JISE AAJ KE DOUR ME PEHCHAN KE LIYE MASLAKE ALA HAZRAT KEHTE HAI USI PAR QAYAM-W-DAYAM RAKHE AUR HAQ BOLNE KI HAQ LIKHNE KI AUR HAQ SAMAJNE KI TOUFIQ ATA FARMAYE.....

آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين
📿
↘Part :- 02

🌃SARKAR ﷺ KI MERAJ KA BAYAN QURAN SHARIF ME AAYA HAI.....

⬇QURAN:-

سُبْحَٰنَ ٱلَّذِىٓ أَسْرَىٰ بِعَبْدِهِۦ لَيْلًا مِّنَ ٱلْمَسْجِدِ ٱلْحَرَامِ إِلَى ٱلْمَسْجِدِ ٱلْأَقْصَا ٱلَّذِى بَٰرَكْنَا حَوْلَهُۥ لِنُرِيَهُۥ مِنْ ءَايَٰتِنَآ ۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلْبَصِيرُ

📓(SUREH BANI ISRAEEL, AYAT-01)

⬇TARJUMA :-

🎆Paki Hai Use Jo Apne Bande ko Rato Raat Le gaya Masjid E Haram Se Masjid e Aqsa Tak Jiske Gird O Gird Humne Barqat Rakhhi Ke Use Apni Azeem Nishaniya Dikhae Beshak Wo Sunta Dekhta Hai......

📓(TARJUMA KANZUL IMAAN)

🌃SHAAN-E-NUZUL :-

🎇Jab Saiyed E Alam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Meraj Ki Raat Me Buland Martabe Aur Unche Darjo Par Faiz Hue To Rab Taa'la Ne Khitab Farmaya Aapse Kaha Muhammad صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ye Fazilat O Sharf Mene Kyo Ata Farmaya Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Arz Kiya Is Liye ki Tune Muje Abdiyat Ke Sath Apni Taraf Mansub Farmaya Isper Ye Mubarak Ayat Nazil Hui...

📚(TAFSIR-E-KHAZIM)

🎇Meraj Sharif Allah ke Mehboob صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ka Ek Bahot Bada Zalil-ul-Qadr Moziza Aur Allah Taa'la Ki Niyamat Hai Aur Isse Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ka Wo Qamal E Qurb Aur Allah ke Sabse Nazdeek hona Zahir Hota hai Jo Allah ki Makhluk me Kisi ko Muyassar nahi....

🎆Elan E Nabuwwat ke 20 ve saal SARKAR صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Meraj Se Nawaze Gae Mahine me Ilhtilaf hai Magar Jyada Mashoor Rajjab Sharif ke 27 Mi Shab ko Meraj Hui Makka Muqarrama Se Baytul Muqaddas Tak Raat ke Thode Hisse me Tashrif le Jana Quran Se Sabit hai....

🎇Meraj ka Na Manne wala
Quran se inkar karne wala hai Aur beshak Kafir hai Aur Aasmano ki Ser aur Manzile Qurb me Pahochna Sahi Aur Mashoor Qutabo Se Sabit hai Iska Munkir Gumrah Hai....

🎆Meraj Sharif Ba-Halat E Bedari me Hui Ye aalame Islam ka Aqeeda hai Aur Ashabe Rasool صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ki Bahot si Jamate Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ke Jalilul Qadr Sahaba Isi Ke manne Wale hai.........

📚(TAFSIR-E-NAEEMI)
📿
↘Part :- 03.

🌃KHALEEK-E-KAYNAT NE APNE MEHBOOBE PAAK KE SAFARE ME'RAJ KA TAZKIRA KIS PYARE ANDAAZ ME FARMAYA HAI USKO HUM APKE SAMNE AYATE ASRA KI TAHSRIF SE BATATE HAI...

🌠LAFZ(سُبْحَٰنَ)SUBHAAN...

🎆Hafiz Ibne Kaseer Ne Apni Tafseer Me Likha Hai ke Tasbih Ka Lafz (سُبْحَٰنَ) Ke Lafz Ke Maane Pakar Aur Tasbeeh Ke Maane Paki Bayan Karne ko Hote hai Umure Azeem (Bhot Bada Ya Azeemushaan Kaam) Ke Liye Hota hai...

🎇YE Tasbeeh Umur-E-Azeema ke Liye Istemal Hoti Hai Agar Ye Waqiya(Me'raj) Khawab Ka Hota to Fir Esi Azeem Shey Na Hoti Jiske Liye Tasbeeh ka Lafz Istemal Hota Upar ki Sharah se Ye bat Asani se Samaj me Aati hai Ke Ayate Asra ke Shuru me Lafz "SUBHAAN" Ka Hona Is Baat ki Taraf Ishara Hai Ke Me'raj Koi Kashaf Ya Khawab Ka Waqya Nahi Balke Ye Halate Bedari Ka Mubarak Waqiya hai...

🎆Allah Taa'la Alim Aur Khabeer hai(Sabkuch Janne wala) Wo Janta tha Ke Ye Batin ke Andhe Aur Haqiqat se Na Waqif Logo ke Samne Jab Bhi Me'raj Ka Zikr hoga To Woh Apni Tang Nazri Aur Jahalat ki Wajah se Me'raj Ka Inkar Karenge Unko Ikrar Karne ki Toufeek Na hogi..

🎇"SUBHAN" Lafz Hone me Hiqmat Ye hai Ke Un Batin Ke Andhe Logo ko Khabar ho Jaye Ke Jab Unki Nazar Me'raj Ke Ajeeb-O-Garib Waqiye Par Pade Aur Woh Kahe Ke Ye Kese ho Sakta hai To "SUBHAN" Lafz Is Haqiqat Se Wakif Kar de Ke "JISNE ME'RAJ KARAYI WO SABSE BADA KUDRAT WALA HAI" Aazizi Aur Bekasi Aur Majboori se Paak Hai Aur Aazizi Aur Bekasi Uske Liye Na'mumkin Aur Muhal hai Uske Liye Me'raj Se Apne Habib ko Nawazna Kuch bhi Mushkil Nahi....

🎆Arabi Zuban Ke Qanoon Ke Mutabik "SUBHAN" Lafz (ح/ب/س) Ke Maade Se Bana Huwa Hai Aur Lugat Ke Aetebar se Uske Mayne Tez Raftar Ke Hote hai Jesa Ke Arab Ke logo Ka Dastoor hai Ke Jis Waqt Ghoda Tezi se Doudta Huwa Nikal Jaye To Kehte hai "SABHA" Isliye Lafz "SUBHAN(سُبْحَٰنَ)" Ne Is Baat Ka Elaan Kar Diya Ke Aane Wale Mazmoon Me Kisi Khaas Tez Raftar ka Bayan Hone Wala hai....

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-20/21)

↘Part :- 04.

🌠AYATE ME'RAJ KI TASHREEH....

🌃LAFZ(ٱلَّذِىٓ)"AL'LAZI":-

🎆Ye Ism'e Mosul Hai Mayne Hote hai Wo Zaat Halanke Ye Ayesa Lafz Hai Ke Har Cheez Par Wo Aa Sakta hai Magar Jis Zaat Ko Qameel Pure Tour se "Al'lazi" Kaha Ja Sakta hai Woh Zaat Hai Parwardigare Aalam Ki Wohi Ma'bood Barhaq Ibadat Ke Layak hai Aur Usi ke Liye Wuzube Zaati(Yani Uski Zaat ka Hona Zaruri Uske Bager Duniya Ka Wajood Ho Nahi Sakta) Lazim Hai Aur Wuzube Zaati "Al'lazi" Ka Kamal Hai Lafz Al'lazi (Yani Daleel Ya Saboot Dene Wala) Aur Allah ki Zaat Madlul Hai...

🌃LAFZ (أَسْرَىٰ) "ASRA":-

🎇ASRA Ka Lafz Waha Par Aata hai Jaha Sair(Ya Kahi Par Jana) Halate Bedari(Hosh Hawas) Me Ho Khawab Ya Kashaf Ki Halat Me Sair Ke Liye Nahi aata Quran me hai..

🌈FARISHTE BOLE AYE LOOT TUMHARE RABB KE BHEJE HUWE HAI WO TUM TAK NAHI PAHUCH SAKTE TO APNE GHAR WALO KO RAATO RAAT...

🎆Aur Hazrate Moosaعليه السلام Ke Waqiye me Hai...

🌈YANI MERE BANDO KO RAATO RAAT LE NIKAL ZAROOR TUMHARA PICHA KIYA JAEGA..

🎇Lafz ASRA Ke Mayne Hai "LE GAYA" Aur Azhab Aur Zahba Ke bhi Mayne Hai "LE GAYA" Lekin "ASRA Aur AZHABA-W-ZAHBABEHI" Ke Mayne Me Ek Fark Hai Woh Ye Ke Agar Jane Wale ke Sath Le Jane Wala Khud Bhi hai To Lafz Asra Bola Jaega Lekin Azhab Aur Zahbabehi Me Jane Wale Ke Sath Le Jane Wale Ka Hona Zaroori Nahi, Aur Lafz ASRA Musarrat W Khushhali Par Laya Jata Hai Magar Azhaba Aur Zahbabehi Me Ye Khusussiyat Nahi...

🎆Lihaza Jo Log Huzur ﷺ Ki Me'raj Jismani Ke Munkir Hai Aur Kehte Hai Ke Insan Ke liye Itni Jaldi Itna Taweel Safar Aur Ajeebo Garib Bato ka Mushaheda Na Mumkin hai Aur Ye ho hi Nahi Sakta  To Yahi Lafz ASRA Unko Jawab De Raha hai Ke Jane Wale Mehboob Ke Sath Lejane Wala Muhib Yani Tamam Aalam Ka Payda Karne Wala Allah Taa'la Bhi to Hai Jiske Liye Ye kaam Zarra Barabar Bhi Mushkil Nahi Yane Ye Lafz Sarkar ke Jismani Me'raj Ki Khuli Huyi Daleel Aur Saboot hai...

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-21/22)

↘Part :- 05.

🌠AYATE ME'RAJ KI TASHREEH....

🌃LAFZ(بِعَبْدِه) "BE'ABDIHI" :-

🎇Hafiz Ibne Kaseer Aur Imam Tibri Ne Tashrih Ki Hai Yane Bataya hai Ki Isme Jo Abdaka Lafz Aya Hai Jiska Itlak Rooh May Jasd Par Hota Hai Yani Rooh Ke Sath Jism Ka hona Lazimi Aur Zaroor Haq Sirf Rooh ko Abd Nahi Kaha Ja Sakta, Qurane Paak Me Jaha bhi Abd Aya Hai Rooh Ke Sath Jism Bhi Murad hai...

🌃AL-QURAN:-

🌈AUR AGAR TUMHE KOI SHAK HO JO USME HUMNE APNE UN KHAAS BANDE PAR UTARA....

🌈AUR HUMARE BANDE AIYUB KO YAAD KARO..

🌈BESHAK MERE BANDO PAR TUMHARA KUCH QAABU NAHI..

🌈AASMANO AUR ZAMEEN ME JITNE HUM SAB USKE HUZUR BANDE HOKAR HAZIR HONGE....

🎆Shabe Me'raj Nabi-E-Kareem ﷺ Ki Sair Yane Allah Ki Taraf Jana Aur Allah Ka Banda Hone Ko Sair Allah Aur Raf'a Elas'sama Se Khaas Nisbat Hai Isliye Hazrat Isa عليه السلام Jinhone Apne Apko Abdullah Hone ka Elaan Kiya Unke Liye Bhi Sair Allah Aur Aasman Ki Taraf Ru'ju Hona Bhot Hi Munasib Hai...

🎇Mgar Fark Ye Hai ke Huzur ﷺ Ki Abdiyat Yane Banda Hona Allah Ta'ala  Farma Raha hai Aur Isa عليه السلام Apne Aap Allah Ka Banda Hone Ka Khud Elaan Farma Rahe hai Baat Zahir hai ke Banda Hone Ka Elaan Jo Allah Ki Taraf Se Ho Uska Banda Hona Usse Buland Hai Jo Bazaate Khud Apni Taraf Se Banda Hone Ka Elaan Karta hai Usse Zahir hai Ke Hazrat Isa عليه السلام Aur Nabi-E-Kareem ﷺ Ki Bulandi Me Sama-E-Saani Se Lekar Dana Fatadalla Tak Ka Tafawat Payda Ho Gaya...

🎆Allah Taa'la Is Ayate Kareema me Lafz Abd Se Apne Mehboob Ka Zikr Kiya, Rasool Ya Nabi Ya Habib Ka Lafz Yaha Laya Na Gaya Iska Kuch Maqsad hai...

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-23/24)

↘Part :- 06.

🌠AYATE ME'RAJ KI TASHREEH....

🌃LAFZ(بِعَبْدِه) "BE'ABDIHI" :-

①.
🎇Hazrat Isa عليه السلام Ko Yahoodiyo ne Jab Qatl Karna Chaha To Allah Taa'la ne Unko Aasman Ki Bulandiyo Par Bula Liya Isa عليه السلام Ki Ye Fazilat Aur Kamal Ko Dekhkar Isaiyo Ne Unko Allah Ka Beta Kehna Shuru Kar diya Jo Khula Huwa Shirk Hai, Allah Taa'la Is Ayat me Apne Mehboob Ki Abdiyat Yani Banda Hone Ka Elaan Farmakar Shirk Ki Jadd Kaat di Aur Batla Diya ke Isa Se Bhi Aage Jane Wala Na Khuda hai Na Khudayi Ka Sharik Balke Khuda Ka Azmato Izzat Wala Mehboob Banda hai...

②.
🎆Jab Huzur ﷺ Aali Maqam Aur Buland Darjo Par Pahoche To Allah Taa'la Ne Sawal Farmaya Ke Aye Mehboob Tumhe Ye Fazlo Kamal Kis Wajah se Hasil Huwa Huzur ne Arz kiya Aye Rabb Ye Tamam Azmat Buzurgi-W-Sharf Abdiyat Bandagi Ki Wajah se Hasil Hai, Usi Waqt Allah Taa'la Ne Ye Ayate Kareema Nazil ki Yani Mehboob Apne Liye Sifat ko Pasand kiya Usi Sifat ke Sath Chahne Wale Allah Taa'la Ne Apne Mehboob ko Yaad Farmaya...

③.
🎇Risalat Ka Hasil Khuda ki Janib Se Chalkar Bando ki Taraf Aana Hai Aur Abdiyat Ka Hasil Makhlook Aur Aalam Ko Chodkar Moula-W-Aqa Ki Taraf Jana hai...

↘Part :- 07.

🌠AYATE ME'RAJ KI TASHREEH....

🌃LAFZ(بِعَبْدِه) "BE'ABDIHI" :-

⬇④
🎇Bandagi ka Sabse Bada Kamal Ye hai ke Allah Taa'la Ka Qurb Hasil Ho Jaye, Me'raj Ki Raat Jo Qurbe Khaas Huzur ﷺ Ko Hasil Huwa Woh Na Aapse Pehle Kisi Ko Aur Na Aapke Bad Kisi ko Hasil Hoga...

⬇⑤
🎆Allah Taa'la Is Baat ko Zahir Karna Chahta hai Ke Me'raj Mere Mehboob ki Pehli Sifat Bandagi Ka Sabse Aala Aur Uncha In'aam Hai Ab Is Baat se Ye Andaza Lagana Bhot Hi Mushkil hai Ke Jab Huzur Ki Sabse Pehli Sifat Yane Sifate Bandagi Ki Shaan Raf'iat Aur Itni Buland Hai To Apki Sifat Jo Nabuwwat Risalat-W-Mehboobiyat Hai Uska Kitna Azeem Martaba hoga..

⬇⑥
🎇Ye Lafz Abd Me'raj Jismani Par Ek Nihayat Umda Daleel Hai Isliye Ke Abd Ke to Sirf Na to Jism Ya Rooh ko Kehte hai Ya'ne Jaha bhi Lafz Abd Bola Jayega Usse Jism Aur Rooh Dono Murad Honge Isi liye Ayat Me Lafz Abd Ye Bata Raha haj Ke Safar Me'raj Ka Talluk Khawab-O-Khayalo Ki Duniya se Nahi hai Balke Me'raj Ke Azmat Aur Buzurgi Wale Musafir ka Jisme Athar Aur Rooh Munawwar Ek Sath Muqame Kurb Me Pahoche Aur Musharraf Huwe...

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-24/25)

↘Part :- 08.

🌠AYATE ME'RAJ KI TASHREEH....

🌃LAFZ(لَيْلًا) LAYLAM..

🎇Lafz Laylam Arabi Zaban Ke Kayde Ke Hisab Se Nakera Hum Aur Nakera Taklil Ke Liye Aata hai Yane Kisi Cheez Ki Kami Aur Killat Bayan Karne Ke Waste Yaha Par Is Ayat me Laylam ki Tankir se Zahir hota hai...

🎆Logo Ko Maloom Ho Jaye Ke Me'raj Ka Safar Puri Raat Me Nahi Balke Raat Ke Thode Hisse Me Huwa Aur Is Lafz LAYLAM Se bhi Jismani Me'raj Ka Behtarin Saboot Milta hai Ke Agar Me'raj Ka Safar Roohani Hota to Rooh ka Itni Jaldi Safar Kar Dena Koi Ta'jjub Ki Aur Ajab Baat nahi..

🎇Balke Rooh ki Tez Raftari Ke Liye to  Lafz LAYLAM Bhi Kafi Nahi, Yakinan Ye Mubarak Safar Jismani Tha Aur Esi Tez Raftari Ke Sath ke Safar se Wapsi Par Bistar Mubarak Garam Aur Zanzir Bhi Hilti Mili..

🎆ASRA Ke Mayne Hai Raat Me Safar Karne ke Lekin LAYLAM Lafz Ko Yaha Isi Liye Laya Gaya Ke Ye Cheez bhi Zahir Ho Jaye Ke Me'raj Puri Raat me Nahi Balke Ek Khaas Aur Thode se Hisse me Huyi....

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-25/26)

↘Part :- 09.

🌠AYATE ME'RAJ KI TASHREEH....

🌃LAFZ(ٱلْمَسْجِدِ ٱلْحَرَام) AL-MASJID'IL HARAM...

🎇Masjide Haram Se Murad Khana-E-Qaba Bhi hai, Aur Woh Mubarak Masjid Bhi Jiske Bich me Khana-E-Qaba Hai, Ye Dono Mayne Le Sakte hai Kyonke Kuch Hadees Batati Hai Ke Aap Harame Qaba Me Tashrif Farma The Aur Kuch Hadeeso Se Ye Maloom Hota hai Ke Aap Hateem Me Tashrif Farma The Jaha Se Apko Me'raj Huyi..

🎆Ba'az Riwayato Me Hai Ke Hazrat Umhani رضی الله عنہ Ke Makan Me Tashrif Farma Hone Ka Zikr Hai Lekin Isse Is Ayate Kareema Se Ikhtelaf Ya Mukhalifat Zahir Nahi Hoti Kyonki Aap Hazrate Umhani Ke Ghar Tashrif Rakhe The Fir Waha se Harame Qaba Ya Hateem Me Ronak Afroz Huwe Jaha se apko Me'raj Mubarak Naseeb Huyi...

🌃LAFZ(ٱلْمَسْجِدِ ٱلْأَقْصَا) AL-MASJID'IL AQSA..

🎇Masjide Aqsa Se Murad Baytul Muqaddas hai Aur Isi Par Tamam Musalman Ulema Ka Ittefaq hai, Lekin Kuch Ulema Ka Ye Kehna hai Ke Masjid ke Mayne Hai Sajda Karne ki Jagah Aur Aqsa Ke Mayne Hai Muntaha Yani Woh Sajda Karne Ka Aakhri Muqam Jiske Bad Koi Makan Ya Jagaj Ka Hona Mumkin Nahi Aur Woh Muqam To Arshe Azam hai In Ulema Ki Tehqiq Se Ye Zahir hota hai Ke Meraj Ke Safar ki Sharu'at Makkah Se Aur Khatam Arshe Azam par hai...

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-26/27)

↘Part :- 10.

🌠AYATE ME'RAJ KI TASHREEH....

🌃LAFZ(بَٰرَكْنَا حَوْلَهُۥ) BA'RAKNA HAWLAHU...

🎆Baytul Muqaddas Ko Pehle Guzre Huwe Ambiyao Ka Markaz Hone ka Sharf Hasil hai Aur Unke Mubarak Qadmo ke Tufail Aur Barkat se Sirf Baytul Muqaddas hi Nahi Balke Atraf ke Muqamat Aur Jagah bhi Allah Ke Noor Aur Barkat ka Chasma Aur Khazana Ban Gaya Isi Liye Yaha Kaha gaya "(بَٰرَكْنَا حَوْلَهُۥ) BA'RAKNA HAWLAHU" Iske Aaspas Humne Barkate Rakhi Aur Ye Barkate 2 Tarike Ki hai...

🎇HASTI:- Aabadiya - Khubsurat Baagh Bagiche...

🎆ROOHANI:- Ambiya-E-Kiram Ke Muqaddas Mazarat "BARAKNA FIHE" Na Farmaya Gaya Ke Humne Is Masjid me Barkate Rakhi Hai Kyonke Esa Farmaya Gaya'Hota to Masjid me Barkat ka Saboot Ho Jata Lekin Aaspas ki Barkato ka Saboot na Hota Lekin "HAWLAHU" Farmane Se Is Baat Ki Puri Safayi Ho Gayi Ke Jab Aaspas Barkate Hai To Masjid me hona Awwal Darje Par Sabit hai...

🌃LAFZ(لِنُرِيَهُۥ مِنْ ءَايَٰتِنَآ) LI-NOORIYAHUM MIN AYATINA....

🎇Urf Me Ayat Ka Itlak Azmato Kamal Par Hota hai Aasmani Ayat Zameeni Ayat se Zyada Ajeeb Aur Qamil hai, Isliye Tafsil Rooh'ul Ma'aani Me Hai..

🌈TAKI DIKHAYE HUM UNKO APNI KUDRAT KI NISHANIYA YANE HUM UNKO LE JAYE AASMANO PAR TAKE WAHA PAR JO DEKHNE KE QABIL AJEEB-O-GAREEB NISHANIYA HAI UNKO DIKHAYE...

🎆Lafz Ayaat Ja'maa hai Aur Mutakallim Ki Zameer ki Janib Muddaf Bhi hai Lihaza Usool Ke Qayde se Is Surat me Istagra ke Mayne Payda Ho Jate hai Lihaza Is Tashrih Ki Beena Par Ayate Kareema Ka Maqsood Ye Hoga Ke Me'raj Mubarak Ka Ba-Azmat Safar Isliye Darpesh Aya Ke
Nabi-E-Kareem ﷺ Kudrat ki Tamam Nishaniyo ka Mushahida Farma le...

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-27/28)

↘Part :- 11.

🌠AYATE ME'RAJ KI TASHREEH....

🌃LAFZ(إِنَّهُۥ هُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلْبَصِيرُ) INNA'HU HUWASS SAMI-UL-BASIR..

🎆INNAHU Ki Zameer Yaa To Allah Ki Taraf Ru'jua Hoti Hai Ya Sarkare Do Aalam ﷺ Ki Zaat Ba'Barkat ki Taraf...

🎇Jesa Tafseer Rooh-Ul-Ma'aani Me Hai Ke Ba'az Mufassirin Ne Farmaya Ke Innahu Ki Zameer Ko Allah Ki Taraf Ishara Maana Jaye To Bhi Jaiz Aur Huzur ﷺ Ki Taraf Mana jaye To Bhi Jaiz...

🎆Agar Innahu Ki Zameer Allah Ke Liye Agar Mani Jaye To Matlab Ye Hai Ke Inkar Karne Wale Aur Aetraaz Karne Walo Ko Is Me'raj Ka Khouf Aur Darr Dilaya Ja Raha hai Ke Tum Jo Mere Mehboob ki Me'raj Ka Inkar Karte ho To Hum Usko Sunte aur Dekhte hai Apne Is Jurm ki Bina Par Tum Mere Azaab Se Bach Nahi Sakte Jo Ke Azab Shadid Hai Sakht hai Aur Tumko Pakad Me lega...

🎇Ya Ke Me'Raj Ka Mubarak Taweel Lambi Safar Hai Rawangi Waqt Na Azeezo Aqarib Yane Rishtedar Aur Dost Ahbab Moujud hai Naa hi Jaan Dene Wale Sahaba-E-Kiram Moujud Hai Jo Ke Rukhsat Aur Alvida Ke Alfaz Kehkar Aapke Qalb Mubarak(Dil Ko) Tasalli De...

🎆Ese Waqt Me Parwardigare Aalam Dariya-E-Mohabbat Me Josh Payda Hota hai Aur Har Mouje Mohabbat Zabane Haal se Pukar-Pukar Kar Kehti hai Aye Mehboob Musafir-Zameeno Aasman Ka Ye Mukaddas Safar Mubarak Ho Ghabhrane Ki Baat Nahi Tumhara Chahne Wala Khuda Tumhari Hifazat Karne Wala hai Aur Wohi Tumhari Ek Baat Ka Sunne Wala Aur Har Kaam ko Dekhne Wala hai..

🎇Aur Agar Innahu Ki Zameer Huzur ﷺ Ki Taraf Samji Jaye To Iska Matlab Ye Hoga Ke Kudrat Ki Woh Nishaniya Jo Sunne Ke Qabil Thi Unhe Unhone Aap ﷺ Ne Suna Aur Jo Dekhne ke Layak thi Woh Dekhi..

🎆Zurqani Sharif me Allama Zurqani رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ Se Isi Baat Ko Naql Farmate hai Ke Matlab Ye Huwa Kudrat ke Tamam Waqeyat Apne Is Trah Mushahida Farmaye Yaane Dekhe Ke Mushahida Karne Ka Yane Dekhne Ka Haq Hai...

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-28/29)

↘Part :- 12.

🌠MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL....

🌃ME'RAJ-E-ADAM عليه السلام...

🎆Allah Taa'la Ne Adam عليه السلام Ko Payda Kiya Aur Uske Bad Farishto ko Huqm Diya Ke Adam عليه السلام Ko Sajda Karo Tamam Farishto Me Allah Ke Huqm Se Adam عليه السلام Ko Sajda Kiya Lekin Iblees Ne Inkar Kiya Aur Hamesha Ke liye Usko Allah ki Bargah se Nikal Diya gaya...

🎇Hazrate Adam عليه السلام Ko Huqm Huwa Ke Jannat me Jakar Rahiye Jannat me Dakhil Hone ke Bad Apko Tamanna Huyi Ke Koi Apka Sathi Bhi ho To Allah Taa'la ne Hazrate Hawwa Ko Payda Kiya Aur Adam عليه السلام Ki Ye Tamanna Puri Kar Di Aur Jab Gandum(Gehu ka Dana) Khane ki Wajah se Jannat se Zameen Par Tashrif Laye To Aapne Saalo Tak Ro'kar Aur Gidgidakar Jab Sarkare Do Aalam ﷺ Ke WASEELE Se Duwa ki Aur Arz Kiya..

🌈ALLAHUMMA INNI AS'ALOKA BI'HAQQI MOHAMMADIN ﷺ...

⤵Tarjuma:-

🌈AYE ALLAH ME TUJHSE HUZUR MOHAMMAD ﷺ KE WASEELE SE DUWA MANGTA HU...

🎆Ispar Allah Taa'la Ka Farman Huwa Ke Aye Adam Tumne Mere Habib ko Kese Pehchana Aapne Arz Kiya Ke Aye Allah Mene Tere Arsh Par Tere Naam ke Sath Unka Naam Likha Huwa Dekha tha Usi Waqt se Mene Jaan liya tha Ke Ye Tere Mehboob Ke Alawa Aur Kisi Ka Naam Ho Nahi Sakta...

🎇Allah Taa'la ne Farmaya Aye Adam Tumne Sach Kaha Yaqinan Ye Mere Mehboob Hai Isi Liye Jab Tumne Unke Waseele se Duwa Ki Hai To Me Tumhari Duwa Zaroor Qabool Karunga....

🌈TO SABIT HUWA KI JANNAT ME REHNA AUR WAHA KI CHEEZO SE FAYDA HASIL KARNA YE ME'RAJ HAI HAZRAT ADAM عليه السلام KI..

↘Part :- 13.

🌠MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL....

🌃ME'RAJ-E-IDREES عليه السلام...

🎇Ek Baar Aap Dhoop ki Tapish Me Sakht Garmi me Tashrif Le Ja Rahe the Dophar ka Waqt tha Apko Salkht Taklif Huyi Apko Khayal Aya ke Jo Farishta Aaftab(Suraj) Me Rakha Gaya hai Usko Kitni Taklif Hoti Hogi Aapne Arz Kiya ke Aye Allah Us Farishte Ki Taklif ko Kum Kar..

🎆Fouran Duwa Qabool Huyi Aur Farishte Par Taklif ki Kami Ho Gayi Us Farishte ne Pucha Aye Allah Ye Kami Kis Vajah se Huyi, Allah Taa'la ne Irshad Farmaya Mere Bande Idrees ne Tere Liye Duwa ki Thi Mene Uski Duwa Ko Qabool Ki...

🎇Farishte ne Arz Kiya Aye Allah Tu Muje Ijazat De Ke Me Unki Khidmat me Hazir Howu Ijazat Milne  Par Aapki Khidmat me Hazir Huwa Tamam Waqiya Bayan Kiya Aur Kaha Idrees عليه السلام Se Matlab ho To Kahe Aapne Farmaya Farishte se ki Muje Ek Martaba Jannat me Le Chalo Usne Kaha Ye To Mere Bas ke Bahar ki Baat hai Mere Kaam ka nahi...

🎆Lekin Izraeel Malekul Mout se Mera Dostana hai Usko Lata hu Shayad koi Tadbeer Ya Tarkib Chal Jaye Izraeel عليه السلام Aaye Aapne Unse Farmaya Izraeel عليه السلام Ne Arz kiya Huzur Bagair Mout Ke to Jannat Me Jana Ho Nahi Sakta Idrees عليه السلام Ne Izraeel عليه السلام Se Farmaya Meri Rooh Qabz Kar lo..

🎇Izraeel عليه السلام Ne Khuda Ke Huqm se Apki Rooh Apke Jism Se Badan se Qabz Kar li Aur Fouran Jism Me Daal Di, Aapne Farmaya Muje Jannat Aur Dozakh ki Sair Karwao...

↘Part :- 14.

🌠MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL....

🌃ME'RAJ-E-IDREES عليه السلام...

⤵Cont...

🎆Hazrat Izraeel عليه السلام Dozakh Par Laye Aur Jahannam Ke Tabak Khulwaye Gaye Aap Dekhte hi Behosh Hokar Gir Pade, Izraeel عليه السلام Waha Se Idrees عليه السلام Ko Le Aaye Jab Hosh Aaya To Arz Kiya Ye Taklif Aapne Apne Hatho se Uthayi Fir Jannat Me Le Gaye Waha ki Sair Karne ke Bad Izraeel عليه السلام Ne Apse Chalne Ko Arz kiya Aapne Khayal Na Ka Kiya Fir Dobara Arz Kiya Aapne Jawab Na Diya..

🎇Fir Unhone Arz Kiya To Farmaya Ab Chalna Kesa Jannat me Aakar Bhi Koi Wapas Jata hai Allah Taa'la Ne Ek Farishte ko Unke Darmiyan Faisla Karne ko Bheja Usne Aakar Hazrat Izraeel عليه السلام Se Sabse Pehle Waqiya Suna Fir Idrees عليه السلام Se Arz Kiya Ke Kya Aap Nahi Jate ?? Aapne Irshad Farmaya Ke Allah Taala Farmata hai..

🌈HAR JANDAR KO MOUT KA MAZA CHAKHNA HAI..

🎆Aur Me Mout ka Maza Chakh Chuka hu Aur Farmata hai "TUMME SE HAR EK JAHANNAM KI SAIR KAREGA" Aur Me Jahannam ki Sair Kar Aaya Aur Allah Taa'la Farmata hai "WO LOG JANNAT SE KABHI NAA NIKLENGE" Ab Me Jannat Me Aa Gaya Kyo Jau...

🎇Huqme Ilahi Huwa Ke Mera Banda Idrees Saccha hai Use Chor Do...

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-34)

↘Part :- 15.

🌠MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL....

🌃MERAJ-E-IBRAHIM KHALEELULLAH عليه السلام...

⤵Allah Taa'la Irshad Farmata hai.

🌈AUR ISI TRAH HUM IBRAHIM(عليه السلام)KO DIKHATE HAI SARI BADSHAHI AASMANO AUR ZAMEEN KI AUR ISLIYE KE WO AY'NUL YAKEEN WALO ME HO JAYE...

🎆Tafseer Rooh'Ul'Ma'ani Me hai Ke Hazrat Ibrahim عليه السلام Ke Safar ki Me'raj Ki Tafseel Is Tor par Ki Gayi Hai Ke Buraq Se Tez Raftar Par Sawar Hokar Aasmani Duniya me Tashrif Le Gaye Waha Par Aapki Nigah Se Tamam Parde Hata Diye gaye Aur Aapko Ek-Ek Jagah Nazar Aane Lagi Aur Tamam Makhlook Ke Halaat se Aap Waqif Ho Gaye...

🎇Is Darmiyan Aapne Ek Saksh ko Zameen Par Gunaah Karte Huwe Dekha Us Gunaah Se Nafrat Farmate Huwe Aapne Uski Halaqat aur Barbadi ki Duwa ki Allah Taa'la Ne Us Gunagar ko Wahi HALAK Kar Diya Fir Ibrahim عليه السلام Ne Dobara Nazar ki To Dusre Aadmi ko Gunaah Karta Huwa Paya Uske Liye bhi Halakat ki Duwa ki Wo bhi Mar Gaya Is Trah Ek-Ek Karke 4 Aadmi ko Apne Gunaah Karte Huwe Dekha Aur Jab Uski Halakat ki Duwa ki to Allah Taa'la ne Irshad Farmaya..

🌈AYE IBRAHIM MERE BANDO KI HALAKAT KI DUWA NA KARO ISI LIYE APNE BANDO KE SATH MERA BARTAV 3 TRAH KA HAI...

🎆PEHLA:- Agar Mera Banda Gunaahgar hai Aur Wo Touba Karke Marega To Me Uske Gunaah Muaf Kar Dunga...

🎇DUSRA:- Uski Nek Aulad Payda Hogi Jo Meri Ibadat Karegi Aur Meri Zameen ko Sajdo se Bhar Degi..

🎆TEESRA:- Mera Banda Qayamat ke Din Mere Samne Pesh Hoga To Me Uski Bakshish Kardu Ya  Chahe Use Azab me Daal Du Ye Meri Marzi Hai..

🎇Uske Bad Huqm Hota hai Ke Aye Mere Khaleel Mere Bando ko Halak Hone se Pehle Ab Aap Zameen Par Tashrif Le Jaye...

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-01, SAFA-35)

↘Part :- 16.

🌠MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL....

🌃ME'RAJ-E-MOOSA KALIMULLAH عليه السلام...

🎆Hazrat Moosa عليه السلام Ne 40 Roz Tak Roza Rakhne Ke bad Wuzu Karke Paakiza Libas Pehna Aur KOOHE'TOOR Par Tashrif Laye Allah Taa'la ne Ek Badal Ka Tukda Esa Bheja Jisne Charo Taraf se Koohe'Toor Pahad ko Is Trah Dhanp Liya Ke Woh Logo ki Nigaho Se Chup Gaya..

🎇Uske Bad Har Tarah Ke Janwar Yaha Tak ke Chinti(कीडी) Balke Farishto ko bhi Koohe'toor se 21 Meel Door Kar Diya Gaya, Taki Allah Se Moosa عليه السلام Ki Mulakat Aur Batchit Ho Aur Koi Jandar Maloom na Kar sake..

🎆In Tamam Intezam ke Bad Ab Hazrat Moosa عليه السلام Ki Nazro se Tamam Parde Utha liye gaye Aapne Dekha ke Farishte Hawa me Qayam hai Allah Ke Lohe Mehfooz Ke Kalmo ki Awaz Suni Aur Be'Parda Aur Be'Hijab Allah Taa'la ke Arsh Ka Mushahida Farmaya Iske Bad Allah Taa'la Ne Aapse Kalam Farmaya Apne Rabb Ka Kalam Sunkar Apko Wo Qaif Aur Maza Hasil Huwa Ke Deedar-E-Ilahi Allah Ke Deedar ki Tamanna Apke Qalbe Mubarak Me Huyi Apne Arz Kiya Aye Mere Parvardigar Muje Tu Apne Deedar Ka Sharf Ata farma Quran-E-Paak me Iska Zikr Moujud hai..

⤵TARJUMA:-

🌈Aur Jab Moosa Humare Wade Par Hazir Huwa Aur Usse Uske Rabb ne Kalam Farmaya Arz ki Aur Mere Rabb Mere Muje Apna Deedar Dikha Ke Me Tujhe Dekhu Farmaya Tu muje Hargiz Na Dekh Sakega Haan Is Pahad ki Taraf dekh Ye Agar Apni Jagah Thehra Raha To An'qareeb Tu Muje Dekh Lega Fir Jab Uske Rabb ne Apna Noor Chamkaya Use Pash-Pash Kar Diya Aur Moosa Gira Behosh Fir Jab Hosh Huwa Bola Paaki Hai Tujhe Me Teri Taraf Ruju'a Laya Aur Me Sabse Pehla Musalman Hu...

↘Part :- 17.

🌠MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL....

🌃ME'RAJ-E-MOOSA KALIMULLAH عليه السلام...

⤵CONT...

🌈TAFSIR ARA'ESUL BAYAN KE HAWALE SE SEERATE HALBIYAH JILD-01, SAFA-438 PAR YE IBARAT MANQOOL HAI..

🎇Hazrate Abu Huraira رضی الله عنہ Se Riwayat hai Ke Jab Moosa عليه السلام Ne Koohetoor Par Allah Taa'la ka Deedar Aur Kalami Ka Sharf Hasil Kiya To Apke Kaano Ke Sunne ki Taqat Itni Badh Gayi Ke 30 Meel Door Andheri Raat me Saaf Patthar Par Chalne Wali Chunti(कीडी) Ki Aawaz Ko Sun Liya Karte the..

🎆Allah Taa'la Ke Deedar ke Bad Apka Chehra Is Qadr Itna Jalal-W-Noor se Bhar Gaya Tha ke Kisi ki Taqat na Thi Ke Apke Chehre Par Nazar Daal Sake Isliye Aap Apne Chehre Mubarak Par(Naqab) Parde Daale Rehte the..

🎇Ek Martaba Apki Biwi ne Arz kiya Ke Chehre Mubarak Par Parda Hone ki Wajah Se Meri Aankhe Apke Deedar Ko Taras Gayi Hai Kum Se kum Ek Martaba To Chehre Mubarak Dekhne ke liye De, Apne Farmaya Acha Me Apni Aankhe Band Karke Apne Chehre Se Parda Hatata Hu Tum Jee Bharkar Deedar Kar lo Tum Mera Chehra to Dekh Sakti ho Lekin Nigahe Nahi Dekh Sakti...

🎆Isliye ke Allah Taa'la Ke  Jalwa-E-Deedar ke Bad Meri Aankho me Itni Nooraniyat Aa Gayi hai Ke Agar Tumhari Nazre Meri Nazro se Mil Gayi To Tumhari Aankhe Bahar Nikal Ayegi, Apki Biwi Saheba ne Arz Kiya Huzur Aap Chehre se Naqab Hatakar Aankhe Khuli Huyi Rakhe Me Ek Aankh Band Karke Ek Aankh se Deedar Kar Lungi Aankh Jaegi Lekin Apki Aankho ke Waseele se Allah Taa'la Ke Noor ka Jalwa Nazar Ayega...

🎇Hazrat Moosa عليه السلام Ne Farmaya Acha Tum Apni Ek Aankh Band Kar lo Me Apne Chehre se Naqab Hatata hu Biwi Saheba ne Ek Aankh Band Kar li Hazrat Moosa عليه السلام Ne Jese hi Chehre Mubarak Se Parda Hataya Aur Apki Biwi Saheba Ki Aankh Jese hi Apki Aankho se mili Fouran Biwi Saheba ki Ek Aankh Bahar Nikal Aayi Lekin Is Aankh ka Bahar Nikalna tha ki Aapne Dusri Aankh bhi Khol Di Aur Woh Aankh bhi Bahar Nikal Aayi..

🎆Hazrate Moosa عليه السلام Ne Farmaya Ye Tumne Kya Kiya Dono Aankhe Zaya(Barbad) Kar di Kya Tumhe Taklif ka Ehsas na huwa Biwi Saheba Ne Arz kiya Ke Huzur Jese hi Mene Apki Aankho me Allah Ka Noor Chamakta Huwa Dekha Achanak Be'khabri me Dusri Aankh bhi khul Gayi Taklif to Zaroor Huyi Lekin Allah ki Tajalli ka Deedar Itna Qaif-O-Suroor Aur Dil Ko Sukoon Dene Wala Tha Ke Taklif Maloom Tak nahi huyi...

↘Part :- 18.

🌠MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL....

🌃ME'RAJ-E-MOOSA KALIMULLAH عليه السلام...

⤵CONT...

🎇Sochiye Ke Janab Moosa عليه السلام Ne Allah Taa'la Ki Zaat Ko Nahi Balke Unki Ek Tajalli Ko Dekha tha Woh Bhi Nigah Bharkar Nahi Dekh Sake Balke Behosh Hokar Gir Pade Lekin Ye Majra Tha ki Koi Na Aapse Nazre Mila Sakta tha Aap Chehre Mubarak Par Parda Daal Ralhte the, To Fir Woh Zaat Aali Martabe Wali Jisne Faqat Jalwo Ko Nahi Balke Khaas Allah Ki Zaat ko Dekha Aur Is Andaz Se Dekha ke Palak Kabhi Na Jhabki Tak'taki Baandhkar Dekha Us Chehre Mubarak Ka Haal Kya hoga...

🎆Konsi Aankh hai Jo Dekh Sake Magar Iske Bawajood Bhi Siddiq-E-Akbar, Farook-E-Azam, Usman-E-Ghani, Aur Ali-E-Murtuza Shere Khuda رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Is Chehre Mubarak Aur Khuda Ke Deedar Karne Wali Aankho ka Rozana Dekhte The Kayi-Kayi Bar Jee Bharkar Dekhte The Aur Bhot Nazdik Se Dekhte the Esa kyu ??

🎇Mulla Ali Qari رضی الله عنہ Farmate hai Ke Mustafa ﷺ Ke Chehre Mubarak Ke Jamal Ka Partav Deewaro Par Padta tha To Wo Deeware Aayine Ki Trah Jagmaga Uthtti Thi Aur Us Kamal Ke Sath Samne Wala Saksh Is Roshan Deewaro Me Apni Surat Ka Aqs Dekh Liya Karta tha Yane Aayine Ki trah Apna Chehra Usme Dekh Liya karta tha...

🌈ALLAH TAA'LA NE APKE HUSNO JAMAL KA AKSAR HISSA APKE SAHABA SE CHUPA DIYA THA ISLIYE KE RASOOLE KAREEM ﷺ KA HUSNO JAMAL AGAR TAMAM-W-KAMAL ZAHIIR HO JATA TO KISI KO AAPKI TARAF MAJALE NAZAR NA HOTI JESA KE BA'AZ ULEMA-E-KIRAM KA QOUL HAI...

🎆Yaha Par Moosa عليه السلام Aur Habib Huzur ﷺ Ka Ek Fark Bhi Samje Ke Kaleem Ko To Apne Chehre Ke Jalwo Aur Nooriyat Ko Chupane ke Liye Khud Parda Dalna Pada Lekin Mehboob Ke Chehre Par Machalne Wale Jalwo Ke liye Kudrat Ne Khud Apni Janib Se Hijabe Bashariyat Ka Intekhab Farmaya Chahne Walo Ki Taqat ke Mutabik Mustafa  ﷺ Ke Jamal Ko Zahir Farma Diya Aur Sare Husn Ko Libase Bashri Me Lapet Liya "RAHA JAMAL PE TERE HIJABE BASHARIYAT"....

↘Part :- 19.

🌠MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL....

🌃MERAJ-E-ISAA عليه السلام...

🎆Ek Martaba Aap Mimbar Par Tashrif Farma Hokar Aam Majme me Isa عليه السلام Wa'az Farma Rahe the, Is Darmiyan Me Aapne Farmaya Ke Allah Taa'la Ne Tourat Me Moosa عليه السلام Ke Liye Sanichar(Saturday) Ka Din Mubarak Bataya Tha Us Din Siway Ibadat ke Tamam Kaam Najaiz The..

🎇Lekin Ab Allah Taa'la Ne Is Huqm Ko Radd Kar Diya Aur Injeel Me Farmaya Hai ke Sanichar(Saturday) Ke Badle Itwar(Sunday) Ka Din Mubarak Hai, Aye Logo Itwar Ke Din ki Izzat Karo Aur Is Din Ibadat Ke Siwa Duniya ke Tamam Kaamo Se Bacho...

🎆Is Huqm Ka Sunna Tha Ke Yahoodi Gabhra Gaye Unke seene Me Gaiz-O-Gazab Aur Gusse ki Aag Bhadak Uthi Kehne Lage Moosa عليه السلام Baad Bhot Se Ambiya-E-Kiram Tashrif Laye Lekin ye Elaan Na Kiya Ke Shariyat Ko Radd Kar Diya Gaya Aur Ye Humari Shariyat Mabsookh(Radd Batate) Hai Ye Humare Bardasht Bahar ki Baat hai...

↘Part :- 20.

🌠MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL....

🌃MERAJ-E-ISAA عليه السلام AUR AY'NAS-ALUKA...

⤵Cont..

🎆Yahoodiyo ne Aapas me Mashwara Kiya Ke Hazrat Isa عليه السلام Ko Qatl Kar de, Jab Isa عليه السلام Ko Yahoodiyo ki Is Shetani Sazish Ka Ilm Huwa To Aap Apne Sathiyo Ko Lekar Ek Makan Me Tashrif Le Gaye Jiska Naam AY'NAS-ALUKA" Tha Yahoodiyo Ne Is Makan Me Ghuskar Apko Qatl Kar De Lekin Usse Pehle ke Yahoodi Makan Me Dakhil Hote Allah Taa'la Ne Jibraeel عليه السلام Ko Huqm Diya Ke Jao Aur Makan ki Chatt Me Surakh Karke Mere Maseeh (Isa عليه السلام) Ko Lakar Chouthe(4th) Aasman Par Pahocha Do...

🎇Hazrat Isa عليه السلام Aasman Par Pahochne ke Bad Farishto se Is Qadr Ghul Mil Gaye Ke Unhe Chorkar Fir Zameen Par Aana Pasand na kiya...

🎆Idhar Ye Halat Huyi Ke Isa عليه السلام Ke Qatl Ke Irade Se Sabse Pehle "YASU'A" Naam Ka Ek Yahoodi Jo Yahoodiyo ka Sardar tha Makan me Dakhil Huwa, Usne Makan Ka Kona-Kona Talash Kiya Lekin Isa عليه السلام Ko Na Paya To Hairan Ho Gaya, Itne me Ek Yahoodiyo ki Jama'at Makan me Dakhil Huyi Unhone "YASU'A" Ko Isa عليه السلام Ki Soorat Par Dekhkar Pakad Liya Kyonki Allah Taa'la ne "YAS'UA" ko Makan Me Dakhil Hote hi "YASU'A" Ko Isa عليه السلام Ki Soorat Jaisa Hum Shakal Bana Diya Tha...

🎇Isliye Yasu'a Cheekhta Raha ki Me Isa Maseeh Nahi Hu Me Yasu'a Hu Muje Chor Do Lekin Yahoodi Kehte Rahe Ki Agar Tu Yasu'a Hai to Isa Maseeh Kaha Gaye Aur Fir Teri Soorat bhi to Yasu'a Jesi Nahi Yasu'a Laakh Chillaya Magar Yahoodiyo Ne Uski ek Naa Suni Aur Uska Qatl Kar diya....

↘Part :- 21.

🌠MUKHTALIF AMBIYA-E-KIRAM KI ME'RAJ AUR USKI TAFSEEL....

🌃HUZUR SAIYED'UL'AMBIYA MOHAMMAD MUSTAFA ﷺ KI ME'RAJ...

🎆Pichle Parts Me Aapne Kuch Ambiya-E-Kiram Ki Me'raj Ki Tafsil Ko Padha Aur Jana, Jaha Tak Rasool-E-Khuda ﷺ Ki Me'raj Ka Mu'ammla Hai Wo Bhot Hi Mumtaz(Sabse Aala Aur Afzal) Aur Munfarid Hai,

🎇Allah Ke Habib Buraq Par Sawar Hokar Farishto Ki Bhot Si Jama'at Ke Sath Harame Qaba Se Masjide Aqsa Tashrif Laye Yaha Par Ambiya-E-Kiram ki Imamat Farmayi Fir Aasmano ki Sair Farmate Huwe Sidratul Muntaha Aur Arsh Se Guzar Kar La'maka Me Tashrif Le Gaye...

🎆Zaate Bari(Allah Taa'la) Ko Ser ki Aankho Se Taktaki Bandhkar Dekha Fir Digar Ajaeeb-W-Garaeeb ko Bi'tafsil Mushaheda Farmate Huwe Zameen Par Tashrif Laye..

🎇Garaz Ke Me'raje Rasoole Kareem ﷺ Har Aetebar Se Munfarid-W-Mumtaz Hesiyat Rakhti hai Jiski Tafsil Ab Aap Aane Wale Parts Me Mulahiza Karenge...

🌹HUZUR ﷺ KI MERAJ KO YAAD KARKE IMAM-E-ISHQ O MOHABBAT IRSHAD FARMATE HAI...

🎆Namaz-E-Aqsa main tha yehi seer Ayan Hoon Ma’ani Awwal Akhir..

🎇Ke Dast Basta The Pichey Hazir Jo Salatanat Aagay kar Gaye Thay.

↘Part :- 22.

🌠ME'RAJ KYU ????

🌃HAQQUL YAQEEN :-

🎇Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. To Allah Taa'la Ki Tajalliyo ko Barabar Dekhte Rahe Lekin Meraj Isi liye Karai Gai ke Kisi Cheez ka Sunne Se Guzar Kar Khud Dekhne Tak Pahoch Jae Manzil E Ilmul Yaqeeb Se Aage Badhkar Aynul Yaqeen ki Manzil par Faaiz Ho Uske Bad Zevar e Haqqul Yakeene Se Aarasta ho Jae.....

🌃AZMATE BARTARI :-

🎆Apki Fazilat-O-Buzurgi Ambiya par Sabit ho jae Isliye Jab Ap Baitul Muqaddas Me Tashrif Lae To yaha Adam Aleyhissalam Se Leker Isa Aleyhissalam Tak Ek ek Nabi Aur Rasool ne Aap Ki Iqtida me Namaz Ada Karke Padhi Aur Apni Ita"at Ka Shuaari Ka Saboot Pesh Kiya Aur Jab Aap Aasmano par Tashrif le Gae to Baytul Mamur me Farishto ne Apko Apna Imaam Banaya Aur Apki Azmato Bartari Yane Buland Aur Tamam Me Afzal Hona Usko Pure Tor se Qubul Kiya.....

🌃KHAZANE KI KUNJIYA:-

🎆Badshah Jab Kisi ko Apna Muqarrab Banata hai To Apne Khazano ki Chabiya Uske Hawale Kar deta hai Aur Apna Khazana Uske Supurd Kar deta Hai Isliye Sarkar E Do Alam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Allah ke Mehboob Hai To Chahne Wale Malik O Moula Ne Shab e meraj Me Apne Pas me Bulakar Apne Khazano ki Kunjiya Apko Ata Farmai Jaisa Ke Khud Sarkar e do Alam Sallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya...

⤵HADEES :-

🎇ZAMEEN MERE WASTE LAPETI GAI YAHA TAK KE USKE MASHRIK AUR MAGRIB MUJE DIKHAE GAE.....

🎆AUR IS INAAM O IQRAM KE SATH APKO YE IKHTIYAR BHI DIYE GAE KI JISKO APKI SHAFAA'AT KA MUBARAK SHARF ATA FARMA DE WO MUBARAK O MAQS'OOD HO JAEGA......📿

↘Part :- 23.

🌠ME'RAJ KYU ????

🌃AZAAN KI TALEEM...

🎇Allah Ki Ye Mashiyat Huyi Ke Apne Pyare Habib ﷺ Ko Azan Ki Taleem Di jaye Jaisa Ke WAQIYATE Meraj Shahid-W-Gawah hai Ke Jab Aap Aasmano Ko Paar Karke Arsh-W-Kursi Loh-w-Kalam Ki Haddo se Guzarkar Hijaye Khaas ke Pas Jalwa Afroz Huwe Yani Allah ke Khaas Qareeb Me Pahoche to Waha Aapko Azan Ki Aawaz Sunayi Di...

🌃SHAR'FE DEED...

🎆Kyonke Islam Ka Shuru Zamana tha Makkah Wale Islam Ki Tabligh ko Rokne ke Liye Hamesha Kammar Bandhe The Aur Qadam-Qadam Par Aapki Raah me Mushkilo Aur Taklifo Ke Pahad Khade Kar dena Chah Rahe the, Mushriko Aur Kafiro ki Ye Zyadti Ki Wajeh se Aapka Qalbe Paak Ghumgin Tha Lihaza Bari Taa'la Ki Ye Marzi Huyi Ke Apko Apne Kurbe Khaas Me Yane Apne Khaas Qareeb Bulakar Sharfe Deedar Se Nawaza Taki Aapke Qalbe Paak ko Taskin Ho Jaye...

🌃SARI QAYNAT ZERE QADME RASOOL ﷺ...

🎇Tamam Cheeze Arsh Ke niche hai Aur Shabe Me'raj Arsh Sarkar ke Qadme Paak Ke Niche Tha, Jiska Saaf Matlab Ye Hai ke Qaynat Ka Ek-Ek Zarra Mere Aqa Ke Zere Qadam Hai, Do Jaha Aapke Niyazmand Hai Lekin Aap Apne Rabb Ki Bargah ke Siwa Kisi Ke Niyazmand nahi...

🎆Isi Liye Yun Alfaz Badalkar bhi Kaha Ja Sakta hai Ke Har Cheez ko Aapki Gulami Ki Nisbat Par Fakhr Ho Jaye Jaisa Ke Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya hai..

🌃HADEES:-

🎇ME PEHLA SAKSH HU JO ZAMEEN SE BAHAR AAKAR MEDANE QAYAMAT ME AAUNGA AUR YE KUCH FAKHR KI BAAT NAHI, AUR LAWAUL HAMD MERE HATH ME HOGA AUR YE KUCH FAKHR KI BAT NAHI HAZRAT ADAM عَلَيـهِ السَّــلَام AUR UNKE ALAWA MERE JHANDE TALE HONGE AUR YE KUCH FAKHR KI BAAT NAHI, JANNAT KA DARWAZA SABSE PEHLE ME KHAT'KHATAUNGA  AUR YE KUCH FAKHR KI BAAT NAHI...

🎇Is Hadeese Paak Ka Matlab Ye hai ke Ye Bat Sarkar ke Liye Ba'ees E Fakhr nahi Balke Zaat-E-Risalat Ma'aab ﷺ Ke Sath Nisbat Payda Kar Dene Se In Cheezo Ko Fakhr Hasil hai...

↘Part :- 24.

🌠ME'RAJ KYU ????

🌃WAHI-BIL-WASTA...

🎆Wahi Ki Kuch Kisme hai Pehle Tarike Ki Wahi Ye Hai ke Ke Jisme Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ko Bhi Wasta Naa ho Isiliye Shabe Me'raj Bari Taa'la Ne Jibraeel Ke Waste Ke Bager Apne Habib Se Kalam Kiya Jese Quran Me Irshad Farmaya..

🌈"FA-AWHA ILA ABDIHI MA AWHA"

🎇Mufassirin Farmate hai Ke Sureh Baqar ki Aakhri Ayate Huzur ne Me'raj ki Raat me Bila Wasta-E-Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام  Barahe Rast Allah Taa'la Se Suni thi Yani Aap ﷺ Ne Ye Ayate Khud Khuda Taa'la Se Suni Thi Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ye Ayate Lekar Na Aaye The..

🌃UMMAT KI BUZURGI...

🎆Is Raat me Apko Apki Ummat ke Liye Khas-Khas In'aam-W-Ikram Diye Gaye, Jinki Wajah Se Ummat ko Azmat-W-Buzurgi Aur Izzat Hasil Ho Jaye Yahi Wajah Hai Ke Qayamat Ke Roz Adam عَلَيـهِ السَّــلَام Se Lekar Isa عَلَيـهِ السَّــلَام Tak Har Nabi Ki Zaban Par Nafsi-Nafsi Hoga Lekin Aapki Zaban Mubarak Par Ummati-Ummati Ki Aawaz Hogi..

🎇Zahiri Tor Par Ye Bat Kahi Ja Sakti Hai Ke Bajaye Ummati-Ummati Ke Agar Rabbi-Rabbi Hota to Kitna Acha hota Ke Is Houlnaak Mouke Par Allah Ka Zikr Zyada Behtar Hota Lekin Ye Bilkul Satthisi  Baat hai Agar Gour Se Socha Jaye To Is Ummati-Ummati Me Rabbul Aalameen Allah Taa'la ki Yaad bhi Chupi Huyi hai Isiliye Ke Ayse Haybat Naak Mouke Par Ummati-Ummati Kehne Ka Matlab Ye Hai ke Aye Bari Taa'la Me'raj ki Raat me Tune Meri Ummat ke Liye Jo In'aam Dene Ka Wa'da Kiya jai Unhe Ata Farma....

↘Part :- 25.

🌠ME'RAJ KYU ????

🌃ITMINAN-E-QALB...

🎆Qayamat Ka Din Bhot Hi Haybatnaak Hoga Har Saksh Apne-Apne Muammle me Esa Pareshan Hoga Ke Dusro Ki Taraf Use Tawajjo Karne Ka Aur Khayal Karne ka Mouka Hi Na Milega Sirf Sarkar Rehmate Aalam ﷺ ki Zaat-E-Paak Hogi Jo Ummat ki Yaad Me Bechain Hogi Aur Ummati "ANA'LAHA-ANA'LAHA" Kehkar Gunahgaro ko Apne Damane Shafa'at Me Panah Lene Kr Liye Awaz De rahi hogi..

🎇Isi Liye Huzur ﷺ Ko Khuda Ne Shabe Meraj Malkoot ki Sair Karayi Aur Jannat Aur Dozakh Ke Darjo ko Bataye Gaye Taki Qayamat Ki Howlnaaki Se Qalb Mubarak Pareshan Na ho Aur Qayamat ki Is Ghadi Me Bila Kisi Jhijhak Gunahgaro Ki Shaf'at Farmaye..

🎆Isko Yun Samaj Lijiye Ke Insani Fitrat Ka Taqaza Hai Yane Insan ki Adat Hai Jab Koi Khaas Bat Achanak Samne Aati hai To Insan Ka Dil Pareshan Ho Jata Hai Aur Wohi Cheez Bar-Bar Samne Aaye To Darr, Khouf, Ghabrahat Ka Naamo Nishan Nahi Rehta...

🎇Jesa Ke Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Fir'on Ke Darbar Me Jane se Pehle Jab Allah Ke Huqm se Apne Asa Ko Zameen Par Dalte hai To Wo Azdaha(Saanp) Ban Jata Hai Aur Jab Usko Pakad Lete hai To Fir Asa Ban Jata hai, Fir'on Ke Darbar Me Jane se Pehle Allah Taa'la Ne Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Ko Is Haqiqat Ka Mushahida Isi Liye Karwa Diya Take Jab Fir'on Ke Samne Asa Azdaha Ban Jaye To Hazrate Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Pareshan Na ho jaye Balke Pure Sukoone Qalb se Fir'on Ka Dandaan Shiqan Jawab Dete Rahe...

🎆Isi Trah Sarkar Ne Shabe Me'raj Duniya-W-Aakhirat Ke Waqiyat Ka Tafsili Mushahida Farma Liya Take Qayamat Ke Howlnaak Waqt Me Qalbe Mubarak Kisi Sadma-W-Malal Se Do-Char Na Ho Jaye Balke Puri Himmat-W-Tawanayi Ke Sath Ummat Ki Shafa'at ke Liye Kosha Rahe...

↘Part :- 26.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃GUNAAH ZYADA HAI YA REHMATO MAGFIRAT KA DARIYA..*

🎆Ek Raat Sarkare Do Alam ﷺ Apne Makan Me Aaram Farma Rahe the Hazrate Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Aapki Bargah Me Hazir Hokar Arz Karte hai Ke Allah Taa'la Aap Par Salam Bhejta hai Aur Irshad Farmata hai Ke Ummat ki Bakshish ki Duwaye Mange, Itna Paygam Arz Karne ke Bad Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Apko Batha-E-Makkah Me Le Gaye Jaha Apke Ummatiyo ke Chote Bade Gunaah Moujud the Allah Taa'la Ka Irshad Huwa Ke Jis Nabi Ki Ummat Itni Gunaahgar ho Kya woh Nabi Aaram Ki Neend So Sakta hai...

🎇Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Arz Kiya ke Parvardigar Kya Esi bhi koi Soorat hai Ke Jisse Mere Ek-Ek Ummati ke Gunaho ki Muafi Ho Jaye...

🎆Irshade Ilahi Hota hai Ke Aapki Ummat Ke Gunaho Ki Muafi Aapka Raat Bhar Jagne Se Wabasta hai, Agar Puri Ummat ko Bakshwana hai To Puri Raat Jage Aur Aadhi Ummat ko Bakshwana hai To Aadhi Raat, Aur Teesre Hisse ki Ummat ko Bakshwana hai To Tihayi Raat Tak Meri Ibadat Kare..

🎇Aur Agar Ummat Ke Do Tihayi Gunaho ki Bakshish Ka Khayal ho To Do Tihayi Raat Tak meri Ibadat Kijiye Maksood Ye hai Ke Apke Ummatiyo Ke Gunaho ki Bakshish Aapki Shab Bedari Par Moukuf hai....

↘Part :- 27.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃CHAR(4) MASAEEL...*

🎇Barbaka-E-Muhamadiya Sharhe Tarika-E-Mohammadiya Me Ye hai Ke Meraje Rasoole Kareem ﷺ Me Ek Nukta Ye bhi Hai ke Bade Darje Ke Farishto Me 4000 Saal Se 4 Mas'alo Par Bahas Ho Rahi Thi Lekin Wo Uska Hall Nahi Kar Pate The....

🎆Jab Allah Ke Rasool ﷺ Is Aalam Me Tashrif Laye To In Farishto Ne Is Bat Par Yakeen Kar Liya Ke Ab Inke Charo Mas'ale Hal Ho Jaenge Isi Liye Allah Taa'la ko Badi Aazizi Ke Sath Arz ki Ke Aye Allah Humari Mushkil Ko Asan Kar, Allah Taa'la Ne Apne Habib ko Apni Taraf Bulaya Aur "QABA KOUSAIN" Aur *"AW -ADNA FA AWHA ILA ABDI FI MA'AWHA"* Ke Mukam Se Musharraf Kiya...

🎇Is Qurb Ke Muqam Me Jo Wahi Huyi Usme Se Ek Ye Hai Ke Sarkar Ne Irshad Farmaya ke Mene Apne Rabb Kareem Ko Sabse Behtarin Surat Ya'ni *AHSAN* Surat Me Dekha Fir Mere Rabb Ne Farmaya Ke Aye Mehboob Wo Konse Mas'ale Hai Jisme Bade Darje Ke Farishte Behas Kar Rahe hai, Mene Kaha Aye Mere Rabb Tu Hi Khoob Janta hai Allah Taa'la Ne Apna Be'misal Mere Dono Kandho Ke Darmiyan Rakha Yaha Tak Ke Allah Ke Faiz Ka Zahoor Mene Apne Seene me Paya...

🎆Uske Bad Allah Taa'la ne Farmaya Aye Pyare Mohammad Jante ho wo Konsae Mas'ale hai Jinme Bade Darje ke Farishte Behas Kar Rahe hai Aur Uljhe Huwe hai, Aur Uska Hall Nahi Kar Sakte Mene Arz kiya Haan Wo Char Mas'ale *"KUFARAT, MUNJIYAT, DARJAT, MOHLEKAT"* Hai..

🎇Allah Taa'la Ne Farmaya Sach Kaha Tune Aye Pyare Mohammad ﷺ Uske Bad Allah Taa'la ne Farishto Se Irshad Farmaya Mere Farishto Ab Tum Apni Mushkilat Hal Karne Ka Mouka Paa Liya Tumhe Chahiye ke Apni Mushkile Hal Karwa Lo Chunache Hazrat Israfil عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Kaha *KAFARAT* Kya hai ( yani Wo Konse Kaam hai Jinki Wajah se Allah Taa'la Bando Ke Gunaah Baksh Deta hai)....

↘Part :- 28.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃CHAR(4) MASAEEL...*

⤵Cont..

🎇Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Wo 3 Kaam Ye hai Ke *"SAKHT SARDI ME PURA WUZU KARNA YANI TAMAM AAZA-E-WUZU PAR ACHI TRAH PANI BAHANA TAKI WUZU QAMEEL HO JAYE AUR GUNAHO KI MAGFIRAT KA SABAB BANE Dusra Ye Ke NAMAZ KO JAMA'AT SE ADA KARNE KI NIYYAT SE PEHLE MASJID JANA, Aur Teesra Ye ke EK NAMAZ KI ADAYGI KE BAD DUSRI AANE WALI NAMAZ KA INTEZAR KARNA..*

*🌃DARJAT:-*

🎆Fir Mukaeel Aalame Arz Kiya "DARJAT KYA HAI" Yani Wo Konse Kaam Hai Jinse Insan Ke Darje Buland Hai..

🎇Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Allah Taa'la ki Khushi Hasil Karne Ke liye Bhooko Ko Khana Khilana Aur Salam Ko Logo me Aam Karna Aur Raat Ke Waqt Nafil Namaz Padhna Jab Log Soye ho...

*🌃MUNJIYAT:-*

🎆Fir Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Arz Kiya Munjiyat Kya Hai "Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya Zahiri Aur Batini Halat me Har Trah Aur Hamesha Allah Taa'la Ka Khouf Rakhna Aur Kisi Bhi Haal me Miyanarvi Ikhtiyar Karna Aur Gazab Aur Narmi me Adal Aur Insaf Ikhtiyar Karna..

*🌃MOHLEKAT:-*

🎇Fir Hazrate Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Arz Kiya Ke MOHLEKAT Kya hai(Yani Wo Konse Kaam Hai Jisko Karne se Insan Halak Ho Jata hai) Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Bukhl ki Ita'at Ki Jaye ke Ek Bukhl Jis Trah Huqm De Uspar Amal Kare Dusra ye ke Khahishe Nafsani Ki Itteba Ki Jaye Teesri Ye ke Insan Apne ko Dusre se Acha Jane..

🎆Ab Iske Bad Allah Taa'la Ka Irshad Hota hai Muhammad ﷺ Ne Sab Bato ke Jawab Durust Bataye Hai Aur sach Kaha hai...

*🌈"JO UKDA MALAYIK HALL NA KARE, KAYI MUDDAT SAAL HAZARO ME, WOH RAAZ IS KAMLI WALE NE, BATA DIYA KUCH ISHARO ME...*

↘Part :- 29.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃ZAMEEN, AASMAN, KURSI, LOH-O-KALAM, ARSH...*

🎆Allah Taa'la Ne Jab Qaynat Yane Aalam Ko Payda Kiya To Sabse Pehle Zameen Ne Fakhr ke Sath Kaha Ke Me HAIWANAT Ki Rozi Ka Khazana hu, Meri Goud Me Padhe, Jhaad, Wigere Palte Hai Me Hi Mewa Wagera Ke Payda Hone Ka Muqam Hu Mere Bare me Allah Taa'la Irshad Farmata hai *"AUR ZAMEEN KO HUMNE BICHAYA"*..

🎇Aasman Ne Kaha Khubsurat Sitare Mere Dum Se Roshan Hai Aur Muje Allah Taa'la ne Zinat Dene Wala Banaya Allah Taa'la ki Beshumar Ne'mat ka Me Amin hu, Yani Mujme Be'shumar Ne'mate hai..

🎆Kursi ne Kaha *"AYAT-UL-KURSI"* Meri Hi Shaan Me Nazil Huyi Hai, Loh Ne Kaha Me Ishq Aur Sohbat Ka Ganjina Hu Gaibi Ilmo Ka Mazhar Huqme Ilahi Aur Muqaddas Anwar Ka Khazana Hu..

🎇Kalam Ne Kaha Me *"WAL-KALME"* Ka Razdar Hu, Arsh Ne Kaha Me Rehman Ki Rehmat Ka Jalwgaah Yani Zahir Karne Wala hu Aur *"ALAL ARSHIS'TAWA"* Ki Ayate Mubaraka Meri Hi Shaan me Nazil Huyi hai...

🎆In Sabko Rabb Taa'la Ka Irshad Hota hai Ke Humara Ek Mehboob Hai Tumhari Ye Tamam Azmat Aur Bulandi Uske Samne Is Trah Hai Jis Trah Aaftab Ke Samne Ek Zarra Ya Dariya ke Samne Ek Qatre ki Misal Tab In Tamam Ne Kaha ke Aye Parwardigar Humare Wajood ko Unke Qadme Paak Ke Sharf Hasil Kar Allah Taa'la Ne Unki Darkhawast ko Qabool Farmaya Aur Sarkare Do Aalam ﷺ Ko Aasmano Par Buland Farmaya Take In Sabko Kasbe Faiz Ka Mouka Mil Jaye...

↘Part :- 30.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃ZAMEEN-O-AASMAN...*

🎆Jab Huzur ﷺ Apne Jisme Aqdas Ke Sath Zameen Par Tashrif Laye To Zameen Ne Aasman Par Fakhr Kiya Aur Kaha Ke Mera Martaba Tujhse Zyada Ho Gaya Isliye ke Mujhpar Allah Ke Mehboob Jalwa Farma Hai...

🎇Zameen Ki Ye Bat Sunkar Aasman Ne Bargahe Ilahi Me Arz Kiya Aur Duwa Ki Ke Aye Parwardigar Apne Mehboob ko Mere Upar Bulandi De Taki Muje Bhi Unki Qadam Bosi Ka Sharf Hasil Ho Jaye, Allah Taa'la Ne Zameen Aur Aasman Ko Barabari Ka Darha Dene Ke Liye Apne Mehboob Ko Aasman Par Bulwaya Aur Me'raj Karwayi Take Aasman Ko Zameen Ke Barabar Ki Izzat Hasil ho..

*🌃SHOKH-E-ZIYARAT...*

🎆Aasman Ke Crodo Farishte Ese Hai Jo Zameen Par Nahi Aa Sakte Lekin Unke Dil bhi Huzur ﷺ Ki Ziyarat Ke Liye Bechain The, Isiliye Allah Taa'la Ne Unki Duwa Qabool Farmayi Aur Huzur ﷺ Ko Meraj Ke Liye Aasman Par Bula Liya Taki Farishto ki Ziyarat Ka Shokh Bhi Pura Ho Jaye...

↘Part :- 31.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃ITMINAN KA TIRYAK...*

🎇Waqiyat ki Duniya Me Surate Haal Ye Hai ke Pehle Musibato Aur Taklifo Se Guzarna Padta Hai Uske Bad Bulandi Raf'at Aur Izzat Hasil Hoti hai Shoab Aabi Tallib me Pure 3 Saal Qaid Rehne ke bad Jab Sarkare Do Aalam ﷺ Apne Makan Par Tashrif Laye To Thode hi Dino me Yani Takriban Ek Mahine Me Abu Talib Aur Hazrate Khadija رضي الله تعالى عنها Ka Inteqal Ho Jane se Aap ﷺ Ko Bhot Sadma Pahucha Tha Makkah Sharif Me Har Jandar Ke Liye Panah thi Lekin Rasool-E-Khuda ﷺ Ke Liye Makkah ki Ek-Ek Inch Zameen Khatre se Khali na thi...

🎆Jis Waqt Musibat Aur Taklif ke Siyah Badal Aap ﷺ Ke Ser Par Chaye Huwe The to Allah Taa'la Rahim Kareem ne Apne Lutfo Karam Se Sukoon-O-Itminan Ka Tiryak Ata Kiya, Qudsi Aur Paak-W-Muqaddas Sifat Wale Nabi-W-Mehboob Is Khaakdan Zameen Se Shabe Me'raj Uske Khalik ki Bargah me Pahuche Jiski Shaan hai *"NOOR'USS SAMAVATI WAL ARD"*...

↘Part :- 32.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃SALTANAT-E-ISLAMIYA KI RAJDHANI...*

🎇Jis Trah Duniya me Hukumat Ke Intezam Aur Mamlo ko Baki Rakhne Ke Liye Aur Hukumat Ke Huqm Ko Jari Karne ke liye Badshah Apne Nayib Ya Madadgar Aur Dusre Wazeer Wagera Qayam Karte hai Isi Trah Zameen-O-Aasman Ke Payda Karne Wale Allah Taala Ne Zameen Par Apni Marzi Aur Na'marzi Aur Apni Raza Aur Narazgi ko Zahir Karne ke liye Apne Nayib Aur Khaleefawo Ko Duniya me Bheja Jinko Nabi Ya Rasool Kaha Jata hai...

🎆Jis Trah Badshah ke Wazeer-O-Wazra Bharose Wale Hote hai Ese hi Ambiya-E-Kiram Aur Tamam Rasool ALLAH TAA'LA Ke Farmano Aur Huqmo ki Khabar Rakhne Wale Aur Raazdar hote hai..

🎇Kabhi Esa Bhi Hota hai Ke Saltanat ke Khaas Aur Bhedi Kaam Aur Bat Jo Kisi Bhi Trah Use Zahir Karna Munasib Nahi Hota Badshah Apne Ek Khaas Nayib Ko Bulakar Bhot hi Ehtiyat Ke Sath Apne Darbar me Bulakar In Khaas Aur Bhedi(Raaz) Ki Bato Ko Aur Sarkari Khufiya Policy ko Aur Tamam Raaz ko Batla Deta hai..

🎆Isi Trah Allah Taa'la ne Apne Nayibo ko Unke Martabo ke Mutabik Izzat Bakshi Isiliye Hazrate Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام Ko *"MALAKUSSAMAWATI, WAL'ARD"* Yane Zameen-O-Aasman Ka Mushahida Karaya, Yani Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام  Ki Meraj thi, Hazrat Moosa Kalimullah عَلَيـهِ السَّــلَام  Ko Waadi-E-Seename Bulakar Koohetoor Par Hum Kalami Ki aur 10 Ehkam Diye Ye Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام KI Meraj Thi...

🎇Lekin Apne Sabse Bada Aur Azeem Nayib Tamam Rasoolo Ke Sardar Aur Tamam Ambiyawo Ke Imam Janab-E-Akram Noor-E-Mujassam, Ahmade Mujtaba, Mohammad Mustafa ﷺ Ko Shab-E-Meraj Jo Aezaz O Izzat Bakshi Wo Sabse Azeem Badi Aur Mumtaz Aur Behter thi...

↘Part :- 33.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃SALTANAT-E-ISLAMIYA KI RAJDHANI...*

⤵Cont..

🎆Meraj Ke Safar ki Khalik-O-Malik Ki Taraf se Us Waqt Talab Huyi Ke Jab Aap ﷺ Ne 12 Saal Tak Musibat Aur Pareshaniyo Me Guzare Iske Ba'wajood Bhi Aap ﷺ Islam ki Tabligh Aur Islam ko Tarakki Dene me Mashgool Rahe, woh Karam Jaha Har Jandar ko Panah Thi Amaan Tha Lekin Kuffar ki Sarkashi Aur Zulm Ka Ye Haal Tha Ke Allah Ke Mehboob Aur Unke Gulamo Ko Haram ki Mukaddas Aur Paak Zameen Par bhi Satate Aur Apne Zulmo Sitam Ka Nishana Banane se Pargez nahi Karte the Balke Uspar Fakhr Karte th...

🎇Unhi Halat Ke Peshe Nazar Aayinda Saal Sarkar ko Aur Apke Ja'nisar Sahaba ko Makkah Se Hijrat Karke Madina Munawwara Jise Kudrat Ne Apne Mehboob ki Aakhri Aaramgaah Aur Saltanate Islamiya ki Rajdhani ke Liye Chuna tha Uspar Islami Aadil Aur Insaf Wali Hukumat ka Qiyam Amal Me Aya tha Aur Yahi se Islam Ka Danka Bajne Wala Tha..

🎆Ye Kis Qadr Aham Khaas Aur Bade Azeem Waqiye Ke Zahir Hone Ka Khaas Waqt Tha, Isliye Bargahe Ilahi Se Tabalka Parwana Lekar Hazrat Jibraeel Aap ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Hote hai, Safare Meraj Ka Sara Intezam Kudrat ki Taraf se Kiye Gaye The Aur Fir Raaz Ki Raaz Rakhne Ke Liye Sawari Aur Rufqa Yani Sathi Sabke Sab Barghe Rabbul Alameen Hi se Aye the...

🎇Muhib(Allah Taa'la) Aur Mehboob (ﷺ) Ke Darmiyan Jo Guftagu Aur Raaz-O-Niyaz Ki Baate Huyi Aur Bari Taa'la Ne Jo Raaz Aap Par Zahir Kiye Unko Dekhne Me Apki Aankh ki Palak Tak Na Jhabki Aur Dil bhi Na Dhadhka Aankhe Jo Kuch Dekhti Rahi Dil Barabar Uska Idrak Karta Raha Yani Qabool Karta raha Aur Anakhe Wahi Dekh Rahi thi Jiska Sath Dil Aur Dimag De Rahe the Yani Huzur ﷺ Ne Hosho Hawas Aur Dilo Dimag Ki Bedari Me Allah Taa'la ki Zaat Ka Didar Kiya Aur Raaz-O-Nyaz ki Bate ki....

↘Part :- 34.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃TAQMEEL-E-SAHADAT...*

🎇Khuda Ki Zaat-O-Sifat Kousar Aur Tasnim Jannat Dozakh Sawab Aur Azab ki Khabar to Har Ek nabi Aur Rasool Ne Di Magar Unka Khabar Dena Wahi Aur Ilham Ke Zariye Tha Khuda ko Dekhkar Aur Uske Qareeb Bethkar Bat Karna Nahi Farmaya tha..

🎆Yani Unki Gawahiya Apni Aankh Se Dekhi Huyi na thi Balke Suni Huyi Thi Aur Sahadat Usi Waqt Mukammal Aur Puri Tor se Hoti hai Ya To Sahadat Dene Wale Ne Hone Wale Waqiyat Khud Apni Aankh Se Dekha ho Ya Dekhne Wale Se Suna ho Isliye Zarurat thi Ke Ambiya Ki Jama'at Me Ek Esi bhi Hasti Ho Jisne Apni Muqaddas Aankho Se In Sabko Dekha ho..

🎇Shab-E-Meraj Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Allah Taa'la Ki Zaat Aur Sifat Aur Jannat Aur Dozakh Ko Apni Aankho se Dekha Isliye Aaj Ye Pehla Mouka hai Ke Duniya Ne Apni Aankho se Allah Ko Dekhne Wale Ko Paa liya Jisne Sunkar Nahi Balke Apni Mathe Ki Aankho se Dekhkar Har Cheez Ki Gawahi Di Aur Hamesha Ke liye Fayda ke Khaas Aham Maksad Ki Taraf Duniya ki Rehnumayi Ki Yane Aapne Apni Aankho se Mushahida Karke Duniya ko Sacchi Aur Nek Raah Batayi..

🎆Allah Taa'la ne Quran Me Irshad Farmaya "AYE MEHBOOB HUMNE TUMKO GAWAHI DENE WALA AUR BASHARAT DENE WALA AUR DARR SUNANE WALA BANAKAR BHEJA HAI..

🎇Is Ayat me Isi Janib Ishara Hai Aur Yahi Wajah Hai ke Huzur ﷺ Khatimul Ambiya Kaha Gaya Kyonke Apki Apni Sahadat ne Sahadat ki Takmeel Farmayi Aur Ab Kisi Dusri Sahadat ki Koi Zarurat Baki nahi...

↘Part :- 35.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃TAQMEEL-E-SAHADAT...*

⤵Cont..

🎆Agar Hindustan Ka Director Of Education Urope Ke Doure Par Jaye Take Waha Ke Taleem Aur Uske Usool Ko Dekhkar Uski Roshni Me Hindustan Ki Talim Ko Aala Aur Behtar Banaye Aur Yahi Director Sahab Urope Jakar Jise Dekhna Chahate hai Wo Urope Ki Chupi Huyi Qitabo Me bhi Moujud hai Jinko Director Sahab Padh Chuke hai..

🎇Lekin Ek Kahawat Mashoor hai *"SUNI HUYI CHEEZ KESE DEKHI HUYI KE BARABAR HO SAKTI HAI"* Isi Liye Director Sahab Ki Koshish Aur Shokh Aur Talab ki Tarkib Aur US Waqt Tak Na Hogi Jab Tak Ke Woh Jakar Apni Aankho se Dekh Na Le Aur Is Hakikat se Inkar Nahi Kiya Ja Sakta Ke Mua'yna Aur Dekhta Apni Nazro Ke Bad Naye-Naye Nukte Samne Aate hai Jo Sunne se Bilkul Hasil nahi hote..

🎆Isliye Urope se Wapsi Par Director Sahab Apne Tajurbe Se Aur Urope Ke Tarike se Mulk Ke Talim Ke Nizam Aur Bandobast Me Islah Aur Sudhar Aur Tabdili Karte hai Jisme Tamam Mulk ko Fayda Hota hai Aur Mulk Apne Ser ko Fakhr se Uncha Kar Leta hai..

🎇Huzur ﷺ Ne Safare Me'raj Se Wapas Aane Ke Bad Insani Jahan Aalame Insaniyat ke Ilm Me Izafa Kiya Aur Roohani Tarakki ke Liye Roshni Ata ki Wahi Par Aalame Insaniyat Ko Fakhr Se Ser Uncha Karke Ye Kehne Ka Mouka Naseeb Huwa Ke Humare Hidayat Karne Wale Ba'kamal Ke Ilm Aur Ma'refat Ka Roshni Ka Diya Be'Guzar Saaf-Suthra hai..

🎆Iska Ilm Sirf Ilhami Allah Ke Wali Ke Dil Par Allah Ki Taraf se Ek Farishta Jo Baat Dalta hai Wo Ilham Kehlata hai Aur Qitabi Haddtak Ya Kisi Se Sunna Ki Hadd me Mehdood Nahi Raha Balki Aankh Se Dekhi Huyi Roshni se Iska Ilm Aaftabe Darakhsha ki Trah Roshan Jagmaga Raha hai...

↘Part :- 36.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃JAAM-E-US'SIFAT..*

🎆Jis Nabi Ko Jo Bhi Martaba-W-Kamal Hasil Huwa Wo Zaat-E-Muhammad ﷺ Me Jama Hai Jaise Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام Aap Par Aag Gulzar (Bagicha) Ho Gayi To Janab Muhammad ﷺ Ka Ye Moziza Ke Apne Jis Dastarkhwan Se Apne Hath Mubarak Aur Munh Sharif ko Poncha tha Wo Tandoor ki Aag Me Bhi Na Jala..

🎇Hazrate Isa عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Murdo ko Zinda Kiya Aur Unse Apni Nabuwwat Risalat ki Gawahi Di To Huzur ﷺ Ne Sookhi Lakadiyo Aur Kankariyo ko Zinda Karke Kalma Padhwaya Hazrate Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Apna Asa(Ek Trah Ki Laathi) Patthar Par Markar Nadiya Jari ki To Huzur ﷺ Ne Hudebiya ke Mouke Par Apni Ungliyo Ke Bich se Pani Ke Chahsme Jari Kar Diye Jisse 1500 Sahaba-E-Kiram Ne Wuzu Banaya Pani Piya Aur Apne Janwaro ko Bhi Sairab Kiya Aur Apne Mashkize bhi Bhar liye..

🎆Isi Trah Hazrate Moosa عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Koohetoor Par Allah Ki Tajalli Ko Dekha Aur Hum Kalami Bhi Ki Aur Hazrate Isa Chouthe Asman Par Tashrif Le Gaye Isi liye ye Zaroori Tha ke Humare Sarkar Ko bhi Me'raj Ka Sharf Hasil Ho Jo Sabse Afzal Aur Behter hai...

🎇Ise Yun Kahiye Ke Moosa Kalimullah To Koohe Toor Par Tashrif Le Gaye Aur Isa Chouthe Aasman Par Lekin Allah Ke Habib ﷺ Aasmano Se Door Arsh Se Aage La'maqa Me Tashrif Le gaye...

↘Part :- 37.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃JANNAT QEEMAT ME..*

🎆Qayda Hai Ke Jiske Marefat Koi Souda Hota hai To Us Saksh Ke Liye Zaroori Hai Ke Woh Keemat Ko Bhi Janta ho Aur Maal bhi Uska Dekha Huwa ho, Is Usool Ke Hisab se Agar Is Ayat Par Gour Kiya Jaye To Me'raj Mubarak Badi Pyari Hikmat Samaj Me Aati hai..

*🌈TARJUMA:-*

🎇Beshak Allah ne Musalmano se Unke Maal Aur Jaan Khareed Liye hai Iske Badle me Unke liye Jannat hai..

*📓(Qur'an)*

🎆Lene Wala Khuda Pesh Karne Wale Musalman Aur Ye Sab Kuch Janab Muhammad ﷺ Ke Marefat Ho Raha hai, Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Musalmano Ki Jaano Aur Maalo Ko To Dekh Hi Liya Tha Momino ki Har Cheez Aur Har Ghadi Sarkar Ki Nazro Ke Samne Hai, Isliye Zaroori Huwa ke Keemat Bhi Yani Jannat Ko bhi Dekh Le Taki Koi Kasar Na Reh Jaye..

*🌈SAWAL:-*

🎇Agar Ye Kaha Jaye Ke Jaan-O-Maal To Momino Ka Hai Ke Jannat Ko to Musalmano ko Dekhna Chahiye Naa ki Sarkar ko...

*🌈JAWAB:-*

🎆Ye Sawal To Us Waqt Payda hota hai Ke Momineen Apni Jaano Ke Malilk hote Magar Qur'an Me Allah Taa'la Irshad Farmata hai *"YE NABI MUSALMANO KA UNKI JAAN SE ZYADA MALIK HAI"* Isi Liye Nabi-E-Kareem ﷺ Hi Ko Keemat Dekhne Aur Souda Karne Ka Haq Hai Momino Ke Dekhne ka Koi Sawal hi nhi..

🎇FIQHA Ka Qanoon Hai *"IMAM KI QIR'AT MUQTADI KI QIR'AT HAI"* Imam Ke Piche Muqtadi ki Qir'at Zaroori Nahi Imam Ka Padhna Kafi hai, Isi Liye Sarkar ka Jannat ka Mushahida Karna Ummati Ka Mushahida Karna Hai Sarkar ﷺ Aage Rehne Wale Imam Aur Peshwa hai Aur Momin Muqtadi Piche Apke Nakshe Qadam par Chalne Wale hai...

↘Part :- 38.

*🌠ME'RAJ KYU ????*

*🌃TAKLIF KA SILA:-*

🎆Makkah Ke Kuffaro Ne Huzur ﷺ Aur Sahaba Kiram Ko 3 Saal Tak Shabi Abi Talib Me Is Trah Qaid Rakha Tha Ke Zindagi Ke Sare Zariye Kaat Diye Gaye, Musibato Aur Taklifo ka Ek Toofan Tha Jo charo Taraf se Umad Kar Aa Raha tha Itna Sakht Bycott Tha ke Isse Zyada Khayal Bhi Nahi Kiya Ja Sakta...

🎇Magar Ek Qayda Hai Ke Agar Koi Cheez Ek Taraf se Dabayi Jaye to Dusri Taraf Uska Ubharna Zaroori Hai, Jab Ek Taraf se Taklifo Aur Musibato Ka Dabaw Badhta Gaya To Parwardigare Aalam Ne Is Sabr ke Badle Sarkar Ko Me'raj Sharif Se Nawaza Taki Allah Ke Nabi Ke Mitane Wale Unki Bulandi Aur Rif'ate Aur Bulandiya Roz-Ba-Roz Badhti Jaengi Mitne Aur Ghatne Ka Khayal Bhi Nahi Kiya Ja Sakta...

*🌃MUQAME ASLI:-*

🎆Huzur ﷺ Ka Noor Tamam Makhlook Se Pehle Allah Taa'la Ke Nooor Se Payda Huwa Aur Na Jane Kab Tak Ye Noor Bargahe Rabb Me Apne Rabb ko Hamd-O-Sana Karta Raha Aur Fuyooz-O-Barkat Se Malamal Hota Raha, Lekin Jab Libase Bashri Me Is Duniya me Jalwa Afroz Huwa To Duniya Me Aane ke Bad Fir *MUQAME ASLI* Ka Shokh Payda Huwa Isliye Shabe Meraj Allah Taa'la Ne Apne Khaas Qurb Me Bulakar Sukoon Aur Karar Ki Doulat Di..

*🌃DARMIYANI DEEN, DARMIYANI UMMAT:-*

*🎇ELAN-E-NABUWWAT* Karne Ke Bad Huzur ﷺ23 Saal Duniya Me Tashrif Farma Rahe Jiska Aadha 11 Saal Aur 6 Mahine Hai Me'raj Sharif Nabuwwat Ke Zahir Karne ke 11 Saal Aur 6 Mahine Bad Rajab Ke Peer ki Raat Ko Huyi, Nabuwwat Ke Elaan Ka Saal Rabi-Ul-Awwal Sharif Se Shuru Hota hai Rajab Saal Ka Darmiyani Mahina Hai Isiliye Sharayi Tor par Hafte Ki Shuru'at Jumma se Hoti hai Isi Liye Peer Hafte ka Darmiyani Din hai...

↘Part :- 39.

*🌠ME'RAJ MAKKAH MUKARRAMA SE HI KYU ??*

*🌃ANWARE TAJALLIYAT...*

🎆Allah Taa'la Ne Apne Fazl-O-Karam se Makkah Sharif Aur Madina Sharif ki Darmiyani Zameen ko Is Tarike se Nawaza Ke Apne Habib-E-Paak Ko Makkah sharif Se Me'Raj Karwayi Take Shabe Mer'aj Anwar-E-Tajalliyat*(ALLAH KE NOOR AUR TAJALLI)* Ki Jo Barish Ho Uske Faiz Se Makkah Sharif Se Lekar Madine Sharif Tak ki Zameen Munawwar Aur Mujalla Aur Roshan Ho Jaye..

🎇Aur Me'raj Ki Barkato Se Malamal Ho Jaye, Warna Agar Madina Sharif Se Me'raj Karayi Hoti To Makkah Sharif Aur Madina Sharif Ke Bich Ki Zameen Barkato Se Mehroom Reh Jati Aur Hamesha Ispar Afsos Karti Rehti...

*🌃BAYTULLAH:-*

🎆Jis Trah Bacche ki Maa Ke Pet Me Naaf Se Giza(Khana) Milti Hai Ese Hi Zameen Ko Tamam Barkate Baytullah Sharif Se Milti Rehti hai Isiliye Usko Zameen ki Naaf Kaha Jata hai..

↘Part :- 40.

*🌠ME'RAJ MAKKAH MUKARRAMA SE HI KYU ??*

*🌃BAYTUL MUQADDAS..*

🎆Baytul Muqaddas Qayamat ke Roz Logo ke Jama Hone ki Jagah hai Us Din Barkat ke Haqdar Logo ko Jo bhi Barkate Milengi Wo Baytul Muqaddas Se Milengi Yahi Wajah Hai Ke Zameeni Safar Ki Shru'at Makkah Sharif Se Huyi Aur Aakhri Band Hona Baytul Muqaddas Me Huwa Taki Duniya Aur Akhirat Ki Barkato Ke Ye Dono Nadiya Sarkare Do Aalam ﷺ Ke Anwar Se Faiz Hasil Kar Le, Jo Is Me'raj ki Raat me Zahir Huwe..

*🌃MASAWAT:-*

🎇Makkah Sharif Se Meraj Ki Shur'uat Isliye Huyi Take Shuru'at Aur Aakhir Me Barabari Rahe, Yane Meraj Sharif Ka Wo Safar Jiski Nisbat Zameen Se hai Ek Khana-E-Qaba se Shuru Hokar Dusre Baytullah(Baytul Muqaddas) Me Khatm Hai Is Haqiqat Ko In Lafzo Me bhi Kaha Ja Sakta hai Ke Allah Ke Mehman Allah ke Ghar se Chala Allah Ki Taraf ja Raha hai Allah Taa'la ke Ghar me Gaya (मिन्हुल बिदाया व अलैहिन्न्नहाया) Isi Se Shuru Hai Aur Isi Tak Maksood ki Inteha hai...

*🌃ISMI MUNASIBAT:-*

🎆Makkah Sharif Ka Ek Naam (हुदा लील आलमीन) Bhi hai Aur Humare Huzur ﷺ Rehmatullil Alameen Hai Isi Liye Aapke Safare Meraj Ke Liye Munasif Yahi Tha Ke (हुदा लील आलमीन) Se Uski Ibteda Ho Taki Makkah Sharif Aur Sarkar Ke Naam Mubarak Me Jo Jo Munasibat Hai Usme Aur Nazdiki Payda ho Jaye...

↘Part :- 41.

*🌠BAYTUL MUQADDAS SE SAFAR-E-AASAMAN KI IBTEDA KYO ??????*

*🌃AYAT-E-QUBRA.....*

🎆Masjid-e-Aqsa se Safare Meraj Shuru Hone ki Vajah ye hai Ke Waha Par Allah Taa'la Li Ayate Qubra*(BADI NISHANIYA)* Hai Jo Ambiya Aur Unke Jaise Pakeeza Hazrat ki Rooh-e-Anwaro Barqat Hai Aur Wahi Par Masjid-e-Aqsa Ke Pas Toor-e-Sina Aur Toor-e-Zeta hai...

🎇Aur Hazrat Ibrahim Hazrat Musa Hazrat Isa Aleyhissalam Ke Muqamat Muqaddas hai Aur In Muqamome Me Ese Bhi Muqamat hai Jaha Haqeeqato Ka Zuhur Aur Inqeshaf Hota hai Isi Liye Allah Taa'la Ne Farmaya...

*🌈HUMNE ISKE AASPAS BARQATE RAKHI HAI TAKE APNE HABIB KO MERAJ KI RAAT ME APNI QUDRAT KI BAQI NISHANIYA DIKHAE JO HUMARE MUSHAHIDE PAR DALALAT KARTI HAI TAKI QUDRAT KI NISHANIYA DEKHNE KE BAD HUMARE DEKHNE KE AADI HO JAO AUR IN QUDRAT KI NISHANIYA HO JAE TAKE MALQUT KI BADI NISHANIYA MULAHEZA FARMA SAKE YE AADAT ALLAH KE MUTABIQ HAI WARNA ALLAH TABARAK WA TAA'LA KO HAR TARAH KI QUDRAT HAI WO CHAHE TO FOURAN SAB KUCH SIKHA DE......

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-1 PAGE NO 73)

↘Part :- 42.

*🌠BAYTUL MUQADDAS SE SAFAR-E-AASAMAN KI IBTEDA KYO ??????*

*🌃MOHAR-E-KHAMOSHI:-*

🎆Baytul Muqaddas se Safar Aasman Ki Ibteda Me Ye bhi Hiqmat hai Ke Aitraaz Karne walo Aur Mukhalifo Par Haq Bat Puri Trah Samne Aa jae..

🎇Isi liye Ke Agar Makka Sharif Se hi Aasman Ki Taraf Safar Karte To Dushmano ki Zidd Zor Mukhalifat Ke Muqable Me Wazahat Aur Haq Bat ka Zahiri Tor se Koi Zariya Na Hota...

🎆Lekin Baytul Muqaddas kyonke Unka Dekha hua Tha Aur Waha ki Nishaniyo Se bhi Unko Waqfiyat Thi Wo Log Jante the Aur Makka Se Baytul Muqaddas Tak ka Fasla Bhi Unko Maloom tha Isi liye Jab Baytul Muqaddas Se Aasmani Safar Ke Aagaz Ka Tazkira Mukhalifo ne Suna To Puchne Lage Ke Baytul Muqaddas Ki Alamate Kya hai ???

🎇Aapne Ek Alamat Bayan Farma Di Qaflo ke Haal Maloom kiye To aapne Unke Tafsili Halat Balke Aane Tak ka Waqt Din Aitraz Karne wale Apne Aitraaz Ke Masqut Jawab Pakar Mabhut Reh Gae Aur Khamosh Ho gae...

📔(MAWAHIB-E-LADUNNIYA)

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-1 PAGE NO 74)

↘Part :- 43.

*🌠BAYTUL MUQADDAS SE SAFAR-E-AASAMAN KI IBTEDA KYO ??????*

*🌃SUTUN KI TAMANNA :-*

🎆Masjid-e-Aqsa Sharif Ke Ek Sutun Ne Arz kiya Aye Parwardigar Muje Tere Har Nabi ki Barqat Se Sharf Mila hai Ab Mujko Hazrat Muhammad Mustufa صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ki Ziyarat ka Sokh hai Bas Humari Dua Qabool Farma Aur Unki Ziyarat ka Sharf Ata Farma de...

🎇Is Mubarak Sutun Ki ye Dua Bargah-e-Ilahi me Qubul hoti hai Aur Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ke Safar e Meraj Ki Shuruat Baytul Muqaddas se Hoti hai Take Ye Sutun Apne Mubarak Maqsad ko Paye aur Uski Ye  Tamanna Puri Ho jae...

📔(TAFSIL FATHUL MANAAN)

*🌃UMMAT KE LIYE AASANI :-*

🎆Baytul Muqaddas Se Safar e Aasman Ki Ibtida Isliye Hui Ke Aapke Qadam Sharif Ke Asar Se Waha Barqat Aa jae Aur Is Barqat Ke Sabab Qayamat Ke Din Waha Par Aapki Ummat Ko Aasani Ho Kyoke Wohi Tamam Makhluk Ke Jama Hone ka Muqam hai.....

📒(FATHUL MANAAN)

*🌃DO HIJRATE :-*

🎇Baytul Muqaddas Se Safare Aasman Ki Ibteda Ka Sabab Apko Dono Hijrato Se Faizyab Karna Hai Kyonki Baytul Muqaddas Aksar Ambiya-E-Qiram Ki Hijrat Gaah Hai Isi liye Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم.Ko Meraj Ki Raat Waha ka Safar Darpesh Hua Take Is Safar Ke Sabab Aap Mukhtalif Tarah Tarah ke Fazail Jama Kar le.....

📚(MERAJ-UN-NABI JILD-1 PAGE NO 74/75)

↘Part :- 44.

*🌠BAYTUL MUQADDAS SE SAFAR-E-AASAMAN KI IBTEDA KYO ??????*

*🌃DARWAZA-E-AASMAN...*

🎆Kyonke Aasman Ka Darwaza Baytul Muqaddas Ke Samne Waqey Aaya huwa hai Isiliye Baytul Muqaddas se Safare Aasmani Ka Aagaz Huwa Aur Wapsi Par Bhi Waha se Guzre Jese Burhanuddin Halbi Likhte hai..

*🌈BAYTUL MUQADDAS SE ME"RAJ HONE ME EK HIKMAT YE BHI HAI KE AASMAN KA DARWAZA JAHA SE FARISHTE UPAR CHADHTE HAI JISE MAS'OOD-E-MALAYKA KAHA JATA HAI WO BAYTUL MUQADDAS KE BILKUL MUKABIL YANE SAMNE HAI ISI LIYE MALOOM HUWA KE WAHAZSE AASMANO PAR JANE KA RASTA SIDHA HAI TEDHA NAHI...*

📔(SEERAT-E-HALBIYA)

*🌃FARISHTE UTARTE CHARTE HAI...*

🎆Huzur ﷺ Ko Baytul Muqaddas Se Me'raj Isi Liye Huyi Ke Zameen Se Aasman Par Jane ka Rasta Allah Taa'la ke Nazdik Is Sidhi se Mukarrar Hai Jis Sidhi se Sarkar Bazri-E-Buraq Me'raj Gaye, Aur Aaye, Is Sidhi Ke Bare me Buzurgo Ne kaha Ke Naz'aa Ke Waqt(Jab Aakhri Saans Li Jaye Us Waqt) Insan ko Ye Sidhi Nazar Aa Jati hai Jisse Usko Farishte Chadte Aur Utarte Nazar Aate hai *Yahi Wajah Hai Ke Us Waqt Insan ki Aanakhe Khuli Ki Khuli Reh Jati hai Jese Koi Cheez Dekh Raha ho...*

↘Part :- 45.

*🌠AMBIYA SE MULAKAT KI HIKMATE...*

*🌃IBLIS KI DUSHMANI :-*

🎆Adam Aleyhissalam ko Jannat Se Zameen Par Tashrif Lana Pada Goya Iblees Ki Dushmani Ki Vajah Se Pareshaniyo Ka Samna Hua Aur Jannat Se Bahar Tashrif Lae Isi Trah Makka Walo ne Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ke Sath Dushmani ki Inteha Kardi To Sarkar ko Makke Sharif Se Hijrat Karke Madina Sharif Tashrif le Jana Pada....

🎇Aur Jis Trah Adam Aleyhissalam Ka Zameen Par Tashrif lana Beshumar Hiqmato Se Khali Nahi Isi Trah Sarkar ka Madina Sharif Tashrif le Jana bhi Hiqmato Se khali nahi Bahot si Hiqmate Hai....

*🌃YAHOOD KI SARKASHI:-*

🎆Jis Trah Hazrat Isa Aleyhissalam Aur Yahya Aleyhissalam Ko Yahoodiyo Ne Sataya tha Ese hi Hijrat Ke Bad Madina Munawwara Me Yahoodiyone Sarkar Ko bhi Taklife Di Kabhi Zeher Se Bhara Hua gosht Khilaya Aur Kabhi Deewar ke Upar Se Vazandar Paththar Ser Mubarak Par Girana Chaha Wagera.....

*🌃IZHARE NADAMAT PE BARISH-E-REHMAT:-*

🎇Jis Trah Hazrat Yusuf Aleyhissalam ko Allah Taa'La Ne Huqumat Takht-o-Taj Ki Nemato Se Nawaza Aur Apke bhai Dil me Zazba-E-Nadamat Liye Hue Yane Afsos Zahir Karte hue Hazir hue To Aapne Irshad Farmaya *"LA TASRIBA ALAYKUM-LYOUM"* Aaj Tum Par Koi Malamat nahi....

🎆Isi Trah Jab Fateh Makka Ke Din Ahle Makka Ummid Aur Khouf Aur Darr Ki Halat me Sarkare Do Alam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. KI bargah me Hazir hue To Aapne bhi Irshad Farmaya Ke Aaj Me Tumse Wohi Kahunga Jo Hazrat Yusuf Aleyhissalam ne Apne Bhaiyo Se Kaha tha Yane *"LA TASRIBA ALAYKUM-LYOUM"* Aaj Tum Par Kisi Trah ki Koi Malamat Nahi....

*🌈AUR FARMAYA TUM LOG AAZAD HO TUMNE APNE KIYE KA ANZAM DEKH LIYA AUR MENE APNE RAB KI MEHERBANIYO KA HUZUM DEKHA...*

*📚(MERAJ-UN-NABI JILD-1 PAGE NO 79/80)*

↘Part :- 47.

*🌠AMBIYA SE MULAKAT KI HIKMATE...*

*🌃IMAAMUL HARMAIN :-*

🎆Qutub-E-Saab ( PEHLE KI AASMANI QITABE JO AMBIYA PAR UTRI) Me Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ka Ek Laqab Imamul Harmain Bhi Bayan Kiya Hai Haram-E-Qaba Me To Sarkar Imamat Farma Rahe the. Lekin Aaj Shab-E-Meraj Baytul Muqaddas me Ambiya Ki Imamat Farma Rahe hai Jisse Apke Is Laqab-E-Paak Yane *IMAAM-UL-HARMAIN* Ki Muqammal Yane Puri Tasdeeq Ho Rahi hai.....

*🌃AWWAL AUR AAKHIR :-*

🎇Sarkar E Do Alam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم.Ki Sifat Awwal Hona Bhi hai Aur Aakhir hona bhi hai Aakhir hona to Is Tor  par Sabit hai ki Aap Tamam Ambiya ke Bad Tashrif Lae Lekin Aaj Masjid-E-Aqsa Me Tamam Ambiya Saf Bandhe Piche khade hai Aur Sarkar صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Sabke Aage Imamat Ke Musalle Par Tashrif Farma hai Aur Apki Sifat Awwal Hone ka Puri Trah Se Zahir Ho Raha hai....

🌈ISI LIYE IMAAM E ISHQ O MOHABBAT NE KUCH YUN FARMAYA....

*NAMAZ-E-AQSA ME THA YAHI SIRR...*

*AYA HO MA'NE AWWAL AAKHIR...*

*KE DAST BASTA HAI PICHE HAZIR...*

*JO SALTANAT AAGE KAR GAE HAI...*

↘Part :- 48.

*🌠ME'RAJ RAAT ME HI KYU ???*

*🌃MUQAM-E-MUHABBAT...*

🎆Meraj Ko Raat Me Khaas Karna Ke Raat Mohabbat ke Muqam ke Liye Khaas hai Kyonke Allah Taa'la Ne Huzur ﷺ Ko Apna Habib Aur Khaleel Banaya Hai Aur Raat Dosto Ko Jama Karne Ke liye Banayi Gayi hai Aur Muqam-E-Khuluwat Jo Raat Ko Hasil Hota hai Wo Din Ko Hasil nahi Hota...

*📚(TAYBUL'WARDA)*

*🌃IMAAN-BIL-GAIB....*

🎆Bahot Se Aalimo Ne Farmaya Ke Me'raj Ka khaas Tor par Raat Ko Mukarrar Hona Isiliye hai ke Imaandar Logo Ke Iman Bil Gaib(Yani Gaib Ki Bato Par Iman Lane) Me Zyadti Ho jaye Aur Kafiro ka Fitna Aur Zyada Ho Jaye Iski Wajah Ye hai ke Raat ke Kaam Din Ke Aetbar Se Chupe Huwe Hote hai...

🎇Isi Liye Ke Jo Maan Lenge Unka Imaan Bil Gaib Zyada Ho Jaega Aur Jo Inkar Karenge Unka Kufr Zahir ho Jaega Yani Is Me'raj Ke Waqiye se Saccha Aur Kafir Aur Kafiro se Bhi Badttar Me Imtiyaz Aur Fark Maloom ho Jaega...

↘Part :- 49.

*🌠ME'RAJ RAAT ME HI KYU ???*

*🌃QAYNAT KE WAJOOD KA SURAJ...*

🎆Ba'az Ulema-E-Kiram Ne Kaha Hai Ke Ek Martaba Din Ne Raat se Kaha Muje Tere Upar Fazilat hai Me Tujhse Behter hu Isi liye ke Suraj Mere Andar Chamakta hai, Allah Taa'la ki Janib Se Khitab Huwa Aur Farmaya ke Aye Din Tujhe Ye Zeba Nahi Ke Fakhr Kare Agar Tere Waqto me Duniya ka Suraj Chamakta hai To Qaynat Ke Wajood Aur Zahoor ka Suraj Raat Ke Waqt Aasman Par Tulu'a Hoga Yani Aasman Par Chadega..

*🌃DIL JOYI-E-SHAB...*

🎇Ba'az Aarifo ka Qoul hai Ke Raat Me Me'raj Hone Me Hiqmat Ye hai Ke Jab Allah Taa'la ne Raat ki Nishani ko Mita Diya Aur Din ki Nishani ko Dekhne Ke Liye Baki Rakha To Raat Ghumgin Aur Pareshan Ho Gayi Thi Isi Wajah Se Allah Taa'la ne Huzur ﷺ Ko Raat Ke Waqt Me'raj Karayi Take Din Aur Raat Me Barabari Ho Jaye Addal Aur Insaf Ya Barabari Kayam Rahe..

📚(TAYBUL WARDA)

🎆Allama Jalauddin Suyuti رضی الله عنہ Apni Is *Tafsire Ittekan* Me Farmate Hai Ke Allah Taa'la Ne Chand Aur Suraj Ki Pehle Barabar Roshan Payda Kiya tha Jiski Wajah Se Raat Aur Din Me Pehchan Mushkil Thi Lihaza Allah Taa'la Ne Hazrate Jibraeel Ko Bheja Unhone Apne Parr se Chand Ki Roshni ko Kum Kar Diya Aur Unhi Parr Ke Asar Se Chand me Ek Daag Bhi hai Jab Chand ki Chandani Suraj se Kum Ho Gayi To Din Aur Raat me Kafi Fark Nazar aane Laga Allah Taa'la Ne Quran-E-Paak Me Irshad Farmaya..

*🌈AUR HUMNE RAAT AUR DIN KO DO NISHANIYA BANAYA TO RAAT KI NISHANI MITI HUYI RAKHI AUR DIN KI NISHANIYA DIKHANE WALI..*

🎇Lugat ki Istelah Me Ayse Izale ko Kehte hai Jisme Kuch Asbat Baki Ho...

↘Part :- 50.

*🌠ME'RAJ RAAT ME HI KYU ???*

*🌃JUDAYI GAWARA NA HOTI....*

🎆Agar Me'raj Din Ko Hoti Aur Hazrat Jibraeel عَلَيـهِ السَّــلَام Farishto Ko Lekar Aate Taki Aapko Buraq Par Sawar Karke Aasmano Par Le Jaye To Wo Sahaba Jo Aap Par Apni Jaan Nisar Karte the Wo Apki Judayi Kese Bardasht Karte Aur Unko Kese Sabr Aur Sukoon Hasil hota..

🎇Sab Ke Sab Apke Daman Se Lipatkar Arz Karte ki Aaqa Hum Apki Judayi Bardasht Nahi Kar Sakte Aur Fir Huzur Rehmatullilaalamin Hai Sahaba Ke Is Rone Par Kese Gawara Farmate Ke Unse Daman Chudakar Aage Badhe Isiliye ke Apki Sifat hai *"BIL MOMENINA RAUF'URR RAHIM"* Yahi Sabab Hai Ke Raat ko Meraj Huyi Take kisi bhi Trah Apke Raste me Rukawat na aaye...

*🌃RAAT DIN SE PEHLE HAI....*

🎆Ba'az Ulema Ne Farmaya Ke Raat Me Me'raj Hone ki Wajah Ye bhi Hai Ke Huzur ﷺ Choudwi Raat Ke Chand Ke Misl the Aur Chand Raat me Aasmano Me Tulu'a Hota hai Isi liye aap bhi Raat hi ko Aasman Par Tashrif Le Gaye Ya Fir Ye Wajah bhi Ho Sakti hai Ke Quran-E-Paak me Raat Ko Din Se Pehle Bayan Kiya Gaya Hai...

*🌈AUR HUMNE RAAT AUR DIN KO DO NISHANIYA BANAYA...*

🎇Neez Musalmano Ka Saal Aur Mahina Chand Ke Hisab se Hai Suraj ke Hisab se Nahi...

*🌃BHALAYI AUR BURAYI....*

🎆Ye Ke Yaha Par Firqa-E-Sanviya Ka Radd hai Jinka Aqeeda hai Ke Din Bhalayi Payda Karta hai Aur Raat Burayi Payda Karti hai Isi Liye Allah Taa'la Ne Apne Habib ko Raat me Meraj Ki Azmat Aur Bartari Farmakar Ye Zahir Kar diya ke Bhalayi Aur Burayi Dono Allah Taa'la Ke Ikhtiyar me Hai....

↘Part :- 51.

*🌠ME'RAJ RAAT ME HI KYU ???*

*🌃JUMMA KA HAM PALLA....*

🎆Jis Raat Me'raj Huyi wo Peer ki Raat thi Allah Taa'la Ne Chaha ke Peer ki Raat ki Shaan Jumma Ke Ham Palla Ho Jaye..

📚(ROOHUL BAYAN)

🎇Aur Ye Bat ke Huzur ﷺ Raat Me Kyo Bulaye Gaye To Ye Sarkare Do Aalam ﷺ Ka Khaas Hone Ki Wajah Se Hai Isliye ke Raat Ka Waqt Akelepan Ki Lutf Aur Khushi ki Ghadiyo Ko Apne Andar Liye Huwe hai Aur Badhshao Ki Majlis Mehfile Zamana Ka Khaas Waqt Yahi Hai Aur Ye Sab Jante hai Ke Badshah Us Waqt ki Khaas Nazam Aur Bethak Me Siwaye Apne Khaas Qareeb Ke Aadmiyo Ke Aur Kisi ko Nahi Bulata...

*🌃CHIRAG AUR CHAND*...

🎆Isi Bare me Allama Ibne Jauzi Radiallahu Anhu Ne Bahot hi Ajeeb Bat Bayan ki Hai Aap Farmate hai Ke *Sarkare Do Aalam ﷺ Ek Chirag Hai Aur Chirag Raat ke Alawa Aur Koi Waqt Me Roshan Nahi Kiya Jata Ya Ye Ke Apki Zaat Maah-E-Qameel(Pura Choudhvi ka Chand) Aur Chand Ka Safar bhi Aasman Par Raat hi Ki Andheriyo Me Shuru Hota hai...*

*📚(ROOHUL MA'AANI)*

↘Part :- 52.

*🌠ME'RAJ JISMANI....*

*🌃IMAAN QAMEEL:-*

🎆Jo Saksh Allah Taa'la Ko Zaat-Wa-Sifat Ilm Wa Qudsi Azmat Wa Hiqmat Ko Qabool Kar Chuka hai Aur Pura Imaan La Chuka hai Aur Sath hi Sath Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. Ki Nabuwwat Aur Risalat Aur Sadaqat Aur Qamalat Ko Sacche Dil Se Tasdiq Qabool Kar Chuka hai Wo Kisi Bhi Waqt Aur Kisi Bhi Haal me Meraj Ke Waqie Inkar Nahi Kar Sakta....

🎇Isliye ke Agar Allah Taa'la Apne Habib KO Buraq Bhej Kar Zameen Se Arsh Par Bulae Aur Waha ki Ajeeb-O-Gareeb Bato ko Dikhakar Fir Vapas Apne Ghar Pahocha De to ye Cheez Is Qadire Mutlaq(ALLAH TAA'LA) ke Liye Kuch Bhi Dushwar nahi Konsi Cheez Hai Jo Allah Taa'la Ke Bich Me Hail Ho Jae Aur Rukawat Kar Sake....

🎆Is liye Jo Muhammad صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم.Ki Meraj ka Inkar Karne Wala hai Wo Dar asal Allah Taa'la Ki Qudrat ka Inkar Karne Wala Hai...

🎇Isi Shak Ko Door Karne ke Liye Ayat-E-Asra Ki Shuru Me Lafz "SUBHAN"Kafi Hai Ke Jo Saksh Allah Taa'la Ki Zaat ko Be Aib Janta Ho Wo Muhammad صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم. KI Meraj Ko Aqal Ki Kasoti Par Janchne Ki Himmat ya Jurrat to Kya Wo Tasawwur Ya Khayal Bhi Nahi Karega....

🎆Madni Aqa Ki Meraj Jismani Thi Aqabeer Sahaba E Kiram Isi Ke Manne Wale Hai Aur Jamhur Salaf Wa Khalf Yane Tamam Ulema Zahiri Aur Batini Bhi Yahi Aqeeda Rakhte  Hai...

↘Part :- 53.

*🌃QURAN-E-MAJEED....*

🎆Meraje Jismani Ke Daleelo Me Se Ek Daleel Ye Bhi hai Ke Huzur ﷺ Ko Me'raj Jismani Huwi Wo Daleel Allah Taa'la ka Irshad Hai *"ASRA BE ABDIHI"* Isi Liye Ke Lafz "ABDAKA" Aana Hamesha Rooh Aur Jism Dono Par Hota hai..

📚(TAFSEER-E-SIRAJ-E-MUNIR)

🎇Jaise Quran Me hai *Moosa Mere Bando(Bani Israeel) Ko Raat Ke Waqt Misr se Bahar Le Chalo Kyonki Din Ho Gaya to Qabti Tumhara Picha Karenge Aur Jane Nahi Denge..

🎆Isiliye Koi Saksh "ASRA BE ABDIHI" Ke Ye Mayne Bayan Kare Ke Allah Taa'la Apne Bande Muhammad ﷺ Ko Halate Khawab Me Roohani Tor se Makkah Se Baitulla Muqaddas Ki Taraf Le Gaya To Is Dusri Ayat ke Ye Mayne Ho Jate hai ke Aye Moosa Mere Bando ko Neend ki Halat me Misr se Kinaan ki Taraf Le Jao Jo Ke Ye Mayne Kisi Bhi Soorat me Theek Aur Durust nahi ho Sakte...

🎇Maloom Huwa Ke Parwardigare Aalam Apne Habib Mukarram Ko Izhar Ke Liye(Jisko Zahir Karne ke liye) Ayate Karima Me Lafz "ABDI" Ko Laya Gaya Agar Meraj Roohani Hoti To Quran Me Asra Be Abdihi Roohihi Nazil Hoti....

↘Part :- 54.

*🌃ME'RAJ JISMANI....*

🎆Isliye Sochne ki Baat Hai Ke Agar Lafz "अब्द" Se Murad Sirf Rooh Hai To Ek Saksh Namaz Ke Waqt Bethe-Bethe Keh Sakta Hai Ke Janab Muje Jane ka Mouka Nahi Meri Rooh Masjid me Namaz Padhne Gayi Huyi Hai Lekin Uski Ye Bat Hargiz Qubool Na ki Jaegi,..

🎇Ya Agar Lafz "अब्द" Se Murad Sirf Jism Hai To Marne Ke Bad bhi Murde Par Namaz Ka Ada Karna Wajib Hona Chahiye Lekin Esa Nahi Hai Isse Maloom Huwa Ke "अब्द" Ka Lafz Wahi Bola Jaega Jaha Jism Aur Rooh dono Moujood hai Na Sirf Rooh
"अब्द" Hai Aur Na Sirf Jism "अब्द" Hai...

🎆Qur'ane Paak Me Saaf Maujood hai Ke Allah Taa'la ne Apne Bande Khaas ko Sair Karayi To Maloom Huwa Ke Fakat Jism Ya Faqat Rooh se Sair Nahi ki Balke Jism Aur Rooh Dono Ne Sath-Sath Sair ki Aur Ayate Rabbani Ka Mushahida Kiya..

🎇Upar ki Sharah se Ye Bat Sabit ho Gayi Ke Huzur ﷺ Ki Meraj Jismani Par Qurane Paak ki Badi Mazboot Sahadat Pesh Kar Raha hai Jisse Inkar ki Koi Gunjaish Nahi....

🔮📿🔮📿🔮📿🔮📿🔮📿

*🕋ME'RAJ-UN-NABI ﷺ" KA TAFSEELI JAYEZA...*

🔮📿🔮📿🔮📿🔮📿🔮📿

↘Part :- 55.

*🌃ME'RAJ JISMANI HUYI ???*

⤵HADEES SHARIF...

🎆Beshak Rasool-E-Khuda ﷺ Ne Farmaya Ke Jab Mujko Quraish Ne Jhootlaya To Me Hateem Me Mizabe Rehmat ke Niche Thahar Gaya Allah Taa'la Ne Mere Samne Baitul Muqaddas Ko Zahir Farma Diya Fir Mene Unko Uski Nishaniyo ki Khabar Deni Shuru Ki Halanke Me us Waqt Baytul Muqaddas ki Taraf Dekh Raha tha...

*🎇Tafseer-E-Rooh ul Kabeer* Wagera Jesi Mustanad Qitabo Me Hai Ke Ye Hadeese Paak Meraje Jismani Ki Roshan Aur Mazboot Daleel hai Kyonke Meraj Khawab Ka Waqiya Hota to Kuffar ko Jhootlane ki Zarurat hi Kya thi, Aur Fir Jis Waqt Sarkar ne Kuffare Makkah ke Jawab Dete Huwe Nishan Bataye Unki Sacchai Par unhe Inkar ki Gunjaish Na Mili Neez Qaflo ke Jo Halat Bataye Lafz-B-Lafz Sach Sabit Huwe...

🎆Muqaam-E-Rooha Par Thehre Huwe Qafle Ke Jis Pyale Se Sarkar Ne Pani Nosh Farmaya Us Pyale Ka Khali Milna, Buraq Ki Tez Raftar ki Aawaz se Darrkar Ount ka Kudna Aur Uspar se Sawar Aadmi Ka Zameen Par Gir Jana Aur Hath ki Kalayi Toot Jana Wagera Waqiyat Is Baat Ka Behtareen Saboot hai Ke Sarkar ﷺ Ki Meraj Roohani Nahi Ballke Jismani Thi Warna Rooh Pani Nahi Piya Karti Pani Jism Pita hai Sawari Rooh Nahi Karti Balke Ye Jism Ka Khassa hai To Agar Me'raj Roohani Hai to Pyale ka Khali Milna Aur Buraq Par Sawar hona Kya Mayne Rakhta hai...

🎇Natija Zahir hai Ke Hadeese Paak Ki Sahadat Meraj Jismani Ke Haq me Hai Jisse Bilkul Inkaar Nahi Kiya Ja Sakta Aur Agar Koi Inkar Karne Par hi Zidd Karta ho to Uske Liye Sirf Itna kaha jayega...

*🏟AANKH WALA TERE JALWO KA TAMASHA DEKHE...*

*🏟DEED-E-FURKO KYA AAYE NAZAR KYA DEKHE...*

No comments:

Post a Comment