Thursday, July 27, 2017

ARBAYEEN E SHIDDAT Album 2

Album 2

ARBAYEEN E SHIDDAT:

Hadees 67:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain. Masaahib ko masaahib par qayaas karo.
(Dost ko dost par qayaas karo yaani jo jiska dost hai woh usi ke jaisa hoga).

(Rawaah Ibne Adi An-Ibne Mas'ood رضي الله عنه )

Hadees 68:

HUZOOR MEHBOOB E KHUDA sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Bure hum-nasheen se door bhaag ke tu usi ke saath mash'hoor hoga.
(Rawaah Ibne Asaakir An-Anas رضي الله عنه)

Hadees 69:

HUZOOR RAUF O RAHEEM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Aadmi ka hashr usi ke saath hoga jis se mohabbat rakhta hai.

In ahaadees e mubaaraka se musalmaanon ko sabaq haasil karna chaahiye aur bad-mazhabon, bad-deenon, murtaddon ke saath yaaraana gaanthne aur bhai-chaara rakhne se parhez karna chaahiye.

Hadees 70:

HUZOOR SAYYEDINA NE'MATULLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Jo Imaan daar MERA ummati daulat e duniya na rakhta ho ke sadqa kare to us ko chaahiye ke ALLAH aur ALLAH ke RASOOL ke dushmanon yahood par laanat kiya kare.

( Rawaah Al-Dailmi fi Masnad Al-Firdaus)

Yaani nadaar musalmaan agar yahood o imsaalahum (aur uske misl) KHUDA aur RASOOL ke dushmanon par laanat karta rahe To us musalmaan ko sadqa ka sawaab milega.

SUBHANALLAH.

Hadees 71:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Jo kisi qaum ke saath mohabbat rakhega ALLAH ta'ala usey unhi logon ke giroh mein uthayega.

( Rawaahul Tibrani fi Al-Kabeer)

Hadees 72:

Hazrat Allama Ahmad bin Mohammad Makki Hanfi Mudarris madrasa Ahmadiya Makkah Moazzama ne apni tasdeeq fatawa Al-harmain Barjaf Nadwatul Main mein naql farmayi, woh Hadees yeh hai.
Beshak arsh ke gird ALLAH ta'ala ke liye 6 laakh jahaan farishton se aabaad hain, woh sab farishte Abubakr o Umar رضي الله عنهما  ke dushmanon par laanat kiya karte hain.

Hadees 73:

HUZOOR REHMATULLIL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

MUJHE APNI ummat par dajjaal ke siwa aur logon ka zyada andesha hai, woh gumraah karne waale leader peshwa honge.

( Rawahul Imam Ahmed An Abi-Zarar رضي الله عنه)

Is hadees sharif mein RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne congresi, ahraari,' muslim leagi wa khaaksaari wagairhum leaderon ki khabar di hai. Musalmaanon ko in gumraah leaderon se door rehna chaahiye.

Hadees 74:

HUZOOR SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Bohot aabid jaahil hote hain Aur bohot Aalim badkaar, To jaahil Aabidon aur badkaar Mulla'on se bacho.

( Rawaah Ibne Adi wa Al-dailmi)

Hadees 75:

HUZOOR SAYYED UL QAAHIREEN ALA A'DA E RABBUL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

MUJHE APNI ummat par sab se zyada andesha har us shakhs ka hai jo dil ka munaafiq aur zabaan ka maulvi leader reformar qaayed ho.

(Rawaahul Imam Ahmed)

Bad-mazhab maulvi leader lechturaar qaayed se bohot ziyada door rehna chaahiye aur musalmaanon ko un se door reh kar hi kamyaabi o falaah o behboodi haasil ho sakti hai.

Hadees 76:

Kitaab Mustataab "Tabyeenul Mahaarim" mein hain.

ALLAH ta'ala ne Wahi farmayi Yoshaa' bin Noon alaihissalaatu wassalaam ko ke MAIN Teri basti se chaalis hazaar achhe nek log aur sattar hazaar bure aadmi halaak karunga. Hazrat Yoshaa' alaihissalaam ne arz ki ILAAHI !  bure to bure hain Magar achhe kyun halaak kiye jaayenge. ALLAH ta'ala ne farmaya is liye ke jin par MERA gazab tha Un nekon ne un par apni naaraazi zaahir na ki balke un ke saath khaana peena rakha yaaraana gaantha.

( Rawaah Ibne Abi Al-duniya wa Abu Al-Shaikh An Ibraheem bin Umar رضي الله عنه)
Dekho bad-mazhabon ke saath nafrat o bezaari na rakhne aur un se yaaraana dostaana karne ka kya nateeja hua aur suleh kulliyat o policy baazi kaisi bad-balaa hai.

Hadees 77:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne irshad farmaya.

Ek basti par azaab utra us basti mein atthaara hazaar log the jin ke amal Ambiya alaihimus salaatu wassalaam ke se amal the.

Sahaba e kiraam رضي الله عنهم ne arz ki ya RASOOLALLAH! un atthaara hazaar nekon par kyun azaab hua? Irshaad farmaya is liye ke woh log ALLAH ke liye bad-mazhabon par gazab aur naaraazi na karte the. Aur na acchhi baat ka hukm karte the na buri baat se rokte the.

( Tabyeenul Mahaarim )

Aziz musalmaanon! Dekho bad-mazhabon ke saath mel-jol rakhne aur haq baat na bataane aur suleh kulliyat baratne par ALLAH ta'ala kitna gazab farmata hai.

Hadees 78:

HUZOOR E AKRAM sallallahU alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Jo koyi tum mein se kisi munkar (bure kaam) ko dekhe to un ko haath se mitaaye agar haath se mitaane ki quwwat rakhta ho aur agar haath se mitaane ki qudrat nahi hai to zabaan se manaa kare aur agar is ki taaqat nahi hain To dil mein zaroor us ko bura jaane aur yeh Imaan ka sab se zyada kamzor darja hai.

( Rawaah Muslim )

Tagyeer ( tabdeeli ) o inkaar e qalbi mein wahaan se chala jaana zaroori hai agar wahaan se chale aane ki isteta'at rakhte hue bhi wahin baitha rahega to gunahgaar hoga. Aur Imaan ke sab se zyada kamzor darje se bhi bahukm e hadees mehroom rahega.

Mudkhal Ibne Alhaaj, jild awwal me hain:
Agar siwa dil ke haath aur zabaan se tagaiyyur par qaadir na ho to khada ho jaaye aur wahaan se chala jaaye aur agar baitha rahega to inkaar e qalbi karne waala bhi nahin hoga aur gunahgaar hoga. Hadees e paak aur is sharah se Ulema o Mashaikh ko pukhtagi wa tasallub wa haq goyi o haq pasandi ka sabaq haasil karna chaahiye.

Hadees 79:

Sawayeq e moharriqa mein IMAM Ibn e Hajar Haitmi ne ek hadees naql farmaayi ke AAQA E NAAMDAAR MEHBOOB E PARWARDIGAAR sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ila yaumil qaraar farmaate hain.

Jab fitne zaahir hon ya bad-mazhabiya phailein aur MERE Sahaba ko bura kaha jaaye to Aalim ko zaroori hai ke apne ilm ko zaahir kare yaani bad-mazhabon ka hasb e isteta'at khullam khulla radd kare aur jo aisa na karega to us par ALLAH ta'ala aur sab Farishton aur tamaam aadmiyon ki sab ki laanat hai. ALLAH ta'ala us ka farz qabool kare Na nafil.

(Akhrajah Al-Khateeb Al-Bagdaadi fi Al-Jama'e wagairah)

Hadees 80:

HUZOOR PURNOOR SULTAAN BAGHDAAD SAYYEDINA GAUS E AAZAM PEERAAN E PEER DASTAGEER  رضي الله عنه  "Guniyatut taalibeen" sharif mein Hadees naql farmate hain ke HUZOOR REHMATALLIL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Jis ne kisi bad-mazhab ko ALLAH ke liye nafrat se dekha, ALLAH ta'ala uske dil ko Amn aur Imaan se bhar dega. Aur jis ne bad-mazhab ko ALLAH ke liye bezaari se jhidak diya, ALLAH ta'ala usey Amn ataa farmayega aur jisne bad-mazhab ko zaleel samjha, ALLAH ta'ala Jannat mein uske sau (100) darje buland karega. Aur jo bad-mazhab se khushi o musarrat se mile to yaqeenan us ne halka jaana us ko jo ALLAH  ta'ala ne naazil farmayi HUZOOR MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam par.

Hadees 81:

Ek shakhs do kapde surkh rang ke odhe hue haazir hua aur salaam arz kiya to RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne uske salaam ka jawaab na diya.

( Rawaah Al-Tirmizi )

Jab surkh rang ke range hue kapde pehenne waale musalmaan ke salaam ka jawaab HUZOOR REHMAT E MUJASSAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne nahi diya to bad-mazhab ke salaam ka kaisa shadeed hukm hoga. Phir bad-mazhab o murtad se yaaraana karne ka kaisa ashad hukm hoga.

Hadees 82:

RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ek qaum mein jalwa farma huwe. Un logon mein ek shakhs zaafraan mili hui khushbu lagaata tha. To HUZOOR ne un logon ki taraf nazr e karam farmayi aur salaam farmaya. Aur us khushbu lagaane waale se ru gardaani farmaayi. Us ne arz ki SARKAAR ne mujh se ae'raaz farmaya. To HUZOOR ne usey jhidka Aur farmaya ke us ki donon aankhon ke darmiyaan chingaari hai.

( Rawaahul Bukhaari )

Hadees 84:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hai.
KHUDA ki qasam zaroor kuch log MERI ummat ke apni qabron se bandaron aur suwwaron ki soorat mein niklenge, gunaahon mein policy baazi karne, madaahnat baratne aur nahi anil ma'aasi se chup rehne ke sabab baawajood yeh ke woh haq baat kehne aur buri baat se mana karne ki taaqat rakhte the.
(Muntakhib Kanzul Amaal, jild awwal, safha 149, an ibn e Umar رضي الله عنه )
Ulema aur Mashaaikh, Peeron aur  Murshidon ko khaas taur par tambeeh farmaayi ja rahi hai ke bani israail ke Ulema o Mashaaikh to baawajood yeh ke khud shari'at ki na-farmani nahi karte the balke shari'at ki na-farmaani karne waalon ke saath mukhaalitat ( ghul-mil jaana ) wa majaalisat ( uthna baithna ) wa mawaakilat (khana peena) wa mushaarabat (peena ) hi karne ke sabab Bandar aur suwwar bana diye gaye. Is ummat ko sabz gumbad ke makeen arsh e aazam ke masnad nasheen sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke tufail duniya mein maskh (bigdi) soorat ke azaab-e-aam se mehfooz rakha gaya hai. Lekin is ummat ke Peer o Murshid aur Aalim o Molvi kehlaane waale agar ALLAH o RASOOL jalla jalaaluhu o sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke mukhaalifon par shar'ee radd o tard se khaamoshi bartenge to qayamat ke din apni apni qabron se Bandar aur suwwar bana kar uthaye jaayenge. Isi mazmoon ko Hazrat Maulana Jalaalul millat waddeen Roomi رحمت لله عليه  Masnawi sharif mein yun bayaan farmate hain.
"Andareen ummat nashad maskh e badan,

laik maskh e dil buwad aye bulfitan."
Yaani is ummat mein jismon ka maskh to HUZOOR E AKRAM REHMAT E MUJASSAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke tufail aam taur par na hoga. Lekin ahqaaq e haq wa abtaal e baatil se khaamosh rehne waalon ke dilon ko bandaron aur suwwaron ke quloob ke misl bana diya jaayega.

Hadees 85:

HUZOOR E AKRAM MEHBOOB E MOHTARAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Beshak awwal bani israail mein jo kharaabi aayi woh aise aayi ke aalim doosre shakhs se milta to kehta ke aye shakhs ALLAH ta'ala se darr aur jo buri baatein tu kar raha hai un ko chhod de. Yeh tere liye jaayez nahin hai. Phir doosre roz us se mila to us badkaar ko manaa na kiya, us ke saath khaana, peena, baithna, uthna ikhteyaar kiya aur ahqaaq e haq o abtaal e baatil ko chhod diya. Phir jab unhone yeh tareeqa ikhteyaar kiya to ALLAH ta'ala ne un ke quloob ko ek doosre par maar diye.

( Muntakhab Kanzul Amaal, jild awwal, safha 146, An Ummul Momineen Umme Salma رضي الله عنها )

Yahaan bhi ulema o mashaaikh aur molviyon peeron ko taaleem o tambeeh farmaayi jaa rahi hai ke agar fisq o bad-mazhabi o kufr o irtedaad par ba-wajood isteta'at radd karna chhod doge to tum bhi unhi jaise ho jaaoge.

Hadees 86:

HUZOOR E SARWAR E AMBIYA sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

ALLAH ta'ala farmata hai MERI mohabbat waajib hai un logon ke liye jo MERE liye mohabbat karte hain, Aur MERE liye ALLAHWAALON ke paas baithte hain aur MERE liye mulaaqaat karte hain. Aur MERE liye maal kharch karte hain.

Yaani ALLAH ta'ala farmaata hai jo MERE liye mohabbat karte hain qayamat ke din un ke liye noor ke mimbar honge ke un par Ambiya e kiraam alaihimussalaat o salaam aur shohda gibta (rashk) farmayenge.

Yaani agarche unse shohda e kiraam fazal e kulli mein badhe huwe honge aur Hazraat e Ambiya e uzzaam alaihimussalaat o salaam to har ek gair NABI par fazal e kulli mein beshumaar darje bartar o baala hain lekin baroz e qayaamat shohda wa Ambiya alaihimussalaat o salaam bhi apne dilon mein tamanna farmayenge ke kaash in mut'haabeen fillaah ki yeh juzee fazilat bhi hamein ataa hoti.

( Rawaah Maalik an Ma'az bin jabal رضي الله عنه  )

Yeh inaamaat hubbu fillaah aur bugzu fillaah ki jazaa mein hain.

Hadees 87:

HUZOOR SAYYEDUL MURSALEEN sallallahu alihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Ek musalmaan apne bhai se milne gaya jo ke doosre gaon mein rehta tha to ALLAH TA'ALA ne ek farishta us ke raaste par muqarrar farmaya. Us farishte ne us se kaha ke kahaan ka iraada hai? Us ne kaha mera bhai is aabaadi mein rehta hain us se milne aaya hoon. Us farishte ne kaha kya tera us par koyi ehsaan hai jis ko tu zaayed karna chaahta hai? Us ne kaha nahi magar yeh ke beshak us ko dost rakhta hoon ALLAH ke liye. Farishte ne kaha main ALLAH ka bheja huwa hoon, teri taraf yeh bashaarat laaya hoon ke beshak ALLAH tujhko dost rakhta hai. Jaise tu apne bhai ko ALLAH ke liye dost rakhta hai.

( Rawaah Muslim an Abi Hurairah رضي الله عنه )

Hadees 88:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Beshak ALLAH ta'ala qayaamat ke din farmayega Ke kahaan hain MERI wajah se mohabbat o dosti rakhne waale aaj ke din MAIN un ko saaya e rehmat mein jagaah dunga. Jis din MERE saaya e rehmat ke siwa koyi saaya nahin hai.

( Rawaah Muslim an Abi Hurairah رضي الله عنه )

Hadees 89:

HUZOOR E AKRAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
jis bande ne kisi bande se ALLAH ke liye mohabbat o dosti ki, to dar- haqeeqat ALLAH ta'ala ki taazeem o takreem ki.

( Rawaah Al Imam an Abi Amamah رضي الله عنه  )

Dekho hubbu fillaah wa bugzu fillaah ke sile mein ALLAH ta'ala kya kya inaam farmata hai.

Hadees 90:

Hazrat e Abu hurairah رضي الله عنه  farmate hain.
Main HUZOOR e AKRAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ki hum-rakaabi mein tha to HUZOOR ne irshaad farmaya.
Beshak jannat mein chand sutoon hain yaqoot ke un par zabarjad ke baala khaane bane huwe hain. Un mein darwaaze hain khule huwe aur roshan hain. Jaise roshan sitaare to Sahaba e kiraam رضي الله عنهم ne arz ki YAA RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam un baala khaanon mein kaun rahenge. HUZOOR ne irshaad farmaya jo log ALLAH ke liye mohabbat rakhte hain aur ALLAH ke liye logon ke paas baithte uthte hain aur ALLAH ke liye mel-jol mulaaqaat karte hain.

(Rawaah al Bahiqui fi sha'bul Imaan an Abi Hurairah رضي الله عنه )

Hadees 91:

HUZOOR SAYYEDNA RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Bad-mazhabi waale jahannamiyon ke kutte hain.
( Rawaahul Imaam Abu Haatim Al-Khazaa'i رضي الله عنه )

Hadees 92:

RASOOLALLAH sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya bad-mazhab log dozakhiyon ke kutte hain.( Rawaah al Imam Daarqutni )

Hadees 93:

HUZOOR SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Bad-mazhab log sab aadmiyon se bad-tar sab jaanwaron se bad-tar hain.
( Rawaahul Imam Abu Naeem fil-Hilyaah an Anas bin Maalik رضي الله عنه )

Hadees 94:

HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain. Beshak ALLAH ta'ala ke bandon mein se zaroor kuch aise log hain jo na to Ambiya hain na Shohda lekin qayaamat ke din ALLAH ki taraf se jo martabat o manzilat unko milegi us ke sabab Hazraat e Ambiya e kiraam alaihimussalaat o salaam aur Shohda e izzaam رضي الله عنهم (jo un logon par fazl-e-kulli mein ba-darjaha buland o baala hain woh) bhi unke is fazl-e-juzee par gibta ( rashk ) farmayenge ke kaash yeh fazl-e-juzee hum ko bhi milta.

Sahaba-e-kiraam  رضي الله عنهم ne arz ki YAA RASOOLALLAH ! Huzoor hum ko khabar dein ke woh kaun log hain.
Huzoor RASOOL E AAZAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya woh aise log hain jinhon ne na apne aapas ke rishton ki bina par, na un baaton ke sabab se jin ka aapas mein lain-dain karte ho balke sirf Kitabullah aur mohabbat e Ilaahi ki bina par aapas mein ek doosre se dosti wa mohabbat rakhi to KHUDA ki qasam beshak zaroor unke chehre noor honge.

Aur beshak zaroor woh log noor par honge, woh log na darenge jab log darte honge aur na unko kuch ranj-o-gam hoga, Jab log ranj-o-gam mein mubtala honge aur HUZOOR E AAZAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne yeh aayat e kareema tilaawat farmayi.

Yaani   "sun lo beshak ALLAH ke waliyon par na kuch khauf hai na woh gamgeen honge."

(Rawaah Abu Dawood an Umer e Farooque رضي الله عنه )

Hadees 94

mein HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne hubbu fillaah ke muta'aliq irshaad farmaya ke ALLAH TA'ALA hi ke liye jo shakhs ALLAH wa RASOOL jallajalaaluhu wa sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam par imaan rakhne waalon ke saath mohabbat rakhega woh qayamat ke din Auliya Allah mein shumaar hoga. Us badi ghabraahat waale roz usko na kuch dar hoga na kisi qism ka ranj hoga. Us ko ALLAH TA'ALA aisi jaaye aasaaish par mutamakkin farmayega (thehraayega) Ke Hazraat e Shohda رضي الله عنهم balke Hazraat e Ambiya e kiraam alaihimussalaat o salaam jo un se balke ALLAH azza wa jalla ki saari makhluqaat mein sab se afzal o aala hain woh bhi unki is raahat o aasaaish par gibta (rashk) farmayenge.

(agarche Ambiya e kiraam alaihimussalaat o salaam ka mushahida e jalaal e Ilaahi ke sabab us roz nafsi nafsi farmana Hazraat e Auliya e kiraam رضي الله عنهم ki is raahat o aasaaish se badarjaha afzal o aala hoga).

Hadees 95:

HUZOOR sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.

Musalmaan hi ke liye musalmaan hi par chhe (6) haq hain maaroof ke saath (yaani unko shariyat e mutaahra ki pahonchaayi huwi hadon ke andar rehte huwe adaa kiya jaaye) isko salaam kare jab us se mile aur usko jawaab de (yaani uske bulaawe ko qabool kare) jab woh isko bulaaye,
aur usko yarhamukallah kahe jab woh chheenke,
aur uski ayaadat kare Jab woh bimaar ho,
aur uske janaaze ke saath jaaye Jab woh mar jaaye,

aur uske liye woh baat pasand kare jo khud apni zaat ke liye pasand karta hai.

(Rawaahul Daarmi an Ali رضي الله عنه )

Hadees 95

mein saaf irshaad farma diya gaya ke mulaaqaat par salaam karna, bulaane par bulaawe ko qabool karna, cheenkne par yarhamukallah kehna, bimaar hone par ayaadat karna, mar jaaye to janaaze ke saath jaana aur uske liye wohi pasand karna jo khud apni zaat ke liye pasand karta hai. Yeh huqooq ek musalmaan ke doosre musalmaan par hain. Kisi musalmaan par kisi bad-mazhab, bad-deen, la-mazhab, be-deen ke yeh huqooq hargiz nahin. Is hisr par sila-e-lilmuslim ki taqdeem daleel-e-waazah hai. Wallaahulhamd phir bilmaaroof ki qaid ne aur roshan farma diya ke musalmaanon ke bhi yeh huqooq jo doosra musalmaan adaa kare to woh bhi shariyat e mutaahra ki pehchaani huwi hadon se tajaawuz na kare, woh muslim ki haq guzaari na hogi balke shariyat e Muhammadiya alaa sahibuha wa aalihissalaat wattahiyaat ki haq talfi hogi.

Hadees 96:

HUZOOR REHMATULLIL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne Apne RAB e KAREEM azza wa jalla ki baargaah mein dua arz ki.
Aye ALLAH hamaare shaam mein barkat de. Aye ALLAH hamaare liye yaman mein barkat farma.

najd waalon ne arz ki aur hamaare liye najd mein barkat ki dua bhi farmayein.
HUZOOR E ANWAR sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne dua ki Aye ALLAH hamaare shaam mein barkat farma. Aye ALLAH hamaare liye hamaare yaman mein barkat de.

najd ke logon ne arz ki Yaa RASOOLALLAH ! aur hamaare najd mein barkat hone ki dua farmayein to main gumaan karta hoon ke HUZOOR E AKRAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne teesri baar mein farmaya wahaan zalzale aur fitne hain aur wahaan se shaitaan ka seeng niklega.

( Rawaahul Bukhaari wa Muslim an ibne Umer رضي الله عنهما )

Hadees 96

Ne roshan farma diya ke HUZOOR REHMATALLIL AALAMEEN sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam jo khule huwe kuffaar o mushrikeen ke liye bhi jin ki qismat mein Imaan ka muqaddar hona mulaahiza farma rahe the dua e hidaayat o barkat o rehmat farmate hain. Lekin najdiyon ke haq mein na to dua e barkat farmate hain na dua e hidaayat farmate hain. Balke Apne RAB azza wa jalla ke ataa farmaye huwe ilm e muheet maa kaana wamaa yakoon se yeh gaibi khabar sunaate hain ke najd se fitne utthenge, najd mein zalzale aayenge, wahaan se shaitaan ka seeng niklenga. Is Hadees shareef mein Saahibul khulqil Azeem alaihi va aala aalihissalaat o tasleem ne muhammad bin abdul wahaab najdi aur uske saathi ko qarnush shaitaan ka laqab diya.
walillaahil hujjatul baaliga.

Hadees 97:

Ek shakhs khidmat e Aqdas HUZOOR SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam mein haazir huwe. Sone ki angoothi pehne the.

SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne unki taraf se munh pher liya. Jab unhone dekha ke HUZOOR alaihi va aala aalihissalaat o salaam ko naagawaar hua, chale gaye aur woh angoothi utaar kar lohe ki banwaayi, usey pehan kar khidmat e Aqdas mein haazir huwe. SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya yeh us se bhi badtar hai. Yeh dozakhiyon ka zewar hai. Woh waapas chale gaye usey phenka aur chaandi ki angushtari pehni is par NABI e KAREEM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne sukoot farmaya.

(Rawaahul Bukhaari )

Sab jaanwaron mein kutte aur suwwar bhi hain.

Hadees shareef mein bad-mazhabon, gumraahon ko jahannamiyon ke kutte aur sab jaanwaron se bhi badtar farmaya. Yaani jab kutte, suwwar ke saath uthna baithna, khana pina kisi musalmaan ko gawaara nahin ho sakta to bad-mazhabon, bad-deenon ke saath uthna baithna, khana pina usey kyun kar pasand ho sakta hai. Woh to kutton, suwwaron se bhi badtar hain.

Hadees 97

Ne gulaamaan e SARKAAR E RISAALAT ala saahibiha wa aalihissalaatu wattahiyaah ko taaleem di ke jo shakhs sone ki angoothi hi pehne yaani agarche musalmaan saahib e Imaan hi ho lekin kisi haraam ya makru e tehreemi hi ka elaaniya murtakib ho to zajran o taubikhan
( daant peet aur laanat o malaamat ) uski hidaayat o nasihat ke liye us se bhi munh pher lena saahibul khulqil Azeem MUSTAFA pyare sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ki sunnat e sunniya hai, phir woh musalmaan kehlaane waale jo bad-mazhabi o be-deeni mein mubtela aur KHUDA wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu ta'ala alaihi va aala aalihi wasallam ki takzeeb o tanqees ke murtakib ho, un se aeraaz karna, unki taraf se munh pher lena, un par radd o tard karna, kaisa zabardast mokid hukm e sharee' hoga.
walillahil hujjatus saamiyah.

Hadees 98:

HUZOOR SAYYED E AALAM sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam qasam kha kar farmate hain.
Jo shakhs kisi qaum se mohabbat rakhega, ALLAH ta'ala usey unke saath kardega.

Is Mubarak hadees aur hadees 71 wa hadees 87 mein jis tarah bashaarat hai ke jo musalmaan ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke mehboobeen e izaam o muhabbeen e kiraam ke saath sachchi mohabbat rakhega woh khud bhi ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ka muhib o mehboob ho jaayega. Isi tarah in hadeeson mein tehzeer (aagaah karna) bhi hai, Ke jo shakhs ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke dushmanon, mukhaalifon ke saath qalbi mohabbat rakhega Woh khud bhi ALLAH wa RASOOL jalla jalaaluhu wa sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ke dushmanon mukhaalifon mein shumaar kiya jaayega.

(Wallahul hujjatul qaahirah.)

Aur yahi mazmoon in teen lafzon waali mukhtasar si hadees e  mutawaatir mein HUZOOR E AQDAS sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam ne farmaya ke Aadmi jis se mohabbat rakhega usi ke saath hoga.

Hadees 99:

HUZOOR SAYYEDUNA O MAALIKINA O MALIKAANA sallallahu alaihi va aala aalihi wasallam farmate hain.
Kadari ( taqdeer ke inkaari ) log is ummat e marhooma ke majoosi hain agar woh bimaar padein to ayaadat na karo aur mar jaayein to janaaze par na jaao.
(Rawaah Abu Dawood An Ibne Umer رضي الله عنه )

Dekhiye bad-mazhabon, bad-deenon se milne-julne ki kitni shadeed mumaaniyat farmayi, ke marz aur maut ki haalat mein bhi unke saath shaamil na hona chaahiye.
Wallahul hujjatul baaligah.

to be contd.....

No comments:

Post a Comment