Saturday, June 11, 2016

UMRAH KA AASAN TARIKA.....

UMRAH KA AASAN TARIKA.....
     ﺃﻋﻮﺫ ﺑﺎﻟﻠﻪ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﺍﻟﺮﺟﻴﻢ

                                                                    ﺑِﺴْﻢِ ﺍﻟﻠﮧِ ﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِ ﺍﻟﺮَّﺣِﯿۡﻢ

                                                                     💐TOPIC

①.Istelahat..

②.Umrah Ke Faza'il...

③.Umrah...

④.Ghar se Rawangi..

⑤.Mardo ke Umrah Karne ka Tarika.

⑥.Aurto ke Umrah Karne ka Tarika.

⑦.Aurto Ke Mutallik Zaruri Masa'il..

⑧.Ghar Se Rawangi...

⑨.Mohrim..

⑩Ehram.

⑪Tawaf.

⑫Saee.

⑬Takseer.

⑮Zaruri Bate.

⑮Halk-Wa-Takseer..

⑯Makkah Sharif ki Ziyarat Gahe..

⑰Bargahe Mustufa ﷺ Ki Hazri Ke Aadab...

⑱Wapsi Ke Aadab..

⑲Madina Munawwara ki Ziyarat Gahe...

📢Apeel:-

⚡Ramzan Me Umrah Ko Jane Wale Hazrat In Topic ko Zarur Padhe Aur Apne Ilm Me Izafa kare Aur Ek Choti si Apeel Ye hai ki Umrah ke Liye jane Wale Hazrat Bargahe Risalat Muhammad Mustufa ﷺ Ke Roza-E-Aqdas Par Mera Salam Pesh Kare Aur Mujh Fakeer Ke liye Us Muqaddas Jagah Par Dua kare ki Allah Taa'la Meri Magfirat Farmae Aur Muje Us Jagah Ki Hazri Jald se Jald Naseeb Farmae......

🌹Summa Ameen....

🌀ISTELAHAT...

☀Umrah Ke Liye Jane Wale Hazrat In Bato ki Padhkar Achi Tarah Zehen Me Rakhe...

🌀QA'BA SHARIF :-

☀Roo-E-Zameen Par Sabse Pehla Ghar Qa'ba Sharif hai Ye Puri Duniya Ke Bich Me Waq'a Hai Aur Sari Duniya Ke Musalman Iski Taraf Rukh Karke Namaz Ada Karte hai...

🌀RUQAN :-

☀Qa'ba Sharif Ke Gisha Yani Kone Ko Ruqan Kaha Jata hai...

🌀RUQAN-E-YAMANI :-

☀Qa'ba Sharif Ka Dakshin pacchim Ka Kona Jo Yaman ki Taraf Hai RUQAN-E-YAMANI Kehlata hai...

🌀RUQAN-E-SHAMI :-

☀Qa'ba Sharif Ka Uttar pacchim Ka Kona Jo  Mulke Shaam ki Taraf Hai RUQAN-E-SHAMI Kehlata hai...

🌀RUQAN-E-IRAQI:-

☀Qa'ba Sharif Ka Uttar Purab Ka Kona Jo Iraaq Ki Taraf hai RUQAN-E-IRAQI Kehlata hai...

🌀RUQAN-E-ASWAD :-

☀Qa'ba Sharif Ka Dakshin Purab Ka Kona Jisme Hajre Aswad Hai RUQAN-E-ASWAD Kehlata hai...

🌀HAJRE ASWAD :-

☀Ye Mubarak Patthar Jannat ke Yaquto Me se Ek Yaqut hai..

⭐Hadees Sharif me hai Ke Hajre Aswad Jab Jannat se Duniya me Laya Gaya To Dudh Se Zyada Safed Tha Fir Aadmiyo ke Gunaho Ki Vajah Se Kala Ho Gaya...

☀Hajre Aswad ko Allah Taa'la Qayamat ke Din Is Halat me Uthaega Ke Uski 2 Aankhe Hogi Wo Dekhega Aur Zaban Hogi Jisse Wo Bolega Aur Har Us Saksh Ke Bare me Gawahi Dega Jisne Haq Ke sath Use Bosa Diya Hoga...

🌀BABUL QA'BA:-

☀Ba'ba Sharif Ka Darwaza Jo Ruqne Aswad Aur Ruqne Iraqi Ke Bich Purab Ki Deewar me Zameen se Kafi Bulandi par Aur Sone(Gold) Ka hai...

🌀HATEEM :-

☀Qa'ba Sharif Ki Uttar Ki Deewar Ke Bahar Dayre Ki Shakal me Ek Jagah Gher Di Gai hai Usko Hateem Kehte hai Ye Qa'ba Sharif Ka hi Hissa hai isme Dakhil Hona Qa'ba Me Dakhil Hona Hai...

🌀MIZAB-E-REHMAT :-

☀Qa'ba Ki Chatt Me Uttar ki Janib Ek Sone Ka Parnala Hai Jo Mijab-E-Rehmat Kehlata hai..

☀Hadees Sharif me hai Ke Jo Mijab-E-Rehmat Ke Niche Dua kare Uski Dua Qabool Hoti hai.....

🌀MULTAZIM:-

☀Hajre Aswad Aur Qa'ba Sharif Ke Darwaze Ke Darmiyan Jo Deewar Ka Hissa hai Multazim Kehlata hai....

🌀MUSTAJAB :-

☀Ruqa'n E Yamani Aur Ruqa'n E Aswad Ke Darmiyan Khana-E-Qa'ba Ki Dakshin Ki Puri Deewar Ko Mustajab Kehte hai "YAHA 70,000/- Farishte Dua Par Ameen Kehne Ke Liye Muqarrar Kiye Gae hai"

🌀MAQAM-E-IBRAHIM :-

☀Qa'ba Sharif Ke Darwaze ke Samne Shishe Ke Frame Me Ek Patthar Rakha hua hai Hazrat Saiyedna Ibrahim Aleyhissalam Ke Dono Qadmo ke Gehre Nishan Hai Isi ko Maqam-E-Ibrahim Kehte hai...

🌀BEER-E-ZAM-ZAM :-

☀Zam-Zam Ka Kuwa Jo Saiyedna Ismail Aleyhissalam Ki Muqaddas Ediyo ki Ragad se Jari Hua hai "Iska Dekhna, Pina Aur Badan Par Dalna Sawab hai, Aur Beemariyo Ke Liye Shifa hai Ye Kuwa Maqam-E-Ibrahim se Muttasil Dakshin ki Taraf hai...

🌀MASJID-E-HARAM :-

☀Qa'ba Sharif Masjid-e-Haram ke Bich Waq'a Hai...

🌀BABUS SALAM:-

☀Masjid-E-Haram Ka Wo Darwaza Jisee Pehli Bar Dakhil hona Afzal hai Ehad-E-nabawi Me log Isi Darwaze Se Masjid-E-Haram Me Dakhil hote the Ab Babussalam Kisi Darwaze ki Shakal me Nahi hai Albatta Iski Jagah Par Sung-E-Marmar ki Kali Lakeer Kheench Di gai hai Moujuda Waqt ne Jo Babussalam Ke Naam Se Jo Darwaza hai Wo Purane Babussalam Ke Muqable me hai...

🌀HARAM:-

☀Makka Muqarrama Ke Charo Taraf Kuch Door Tak Ki Zameen Haram Wa Takaddus Ki Wajah se Haram Kehlati hai Iske Hudud Par Nishan Lage hai Iske Shikar Karna Darakht Ghaas Wagera Katna Mana hai Siwae Azkhar(Makhsus Ghas) Ke Jo Log Hudud E Haram me Rehte hai Unhe Harmi Ya Ehle Haram Kehte hai...

🌀EHRAM :-

☀Ba-Niyyate Hajj Ya Umrah Ba Wuzu Ka Bagair Sili Safed Lungi Bandh Lena Aur Ek Chadar Ordh Lena Aur Aurat ka Apne Roz Marra ke Sile Hue Kapde Pehan Kar Do Raq'at Namaz Ba-Niyyate Ehram Padhna Aur Salam Ferne Ke Bad Hajj Ya Umrah ki Niyyat Karna Aur "LABBAIK" Padhna Ehram Kehlata hai....

🌀MATAF :-

☀Qa'ba Sharif ke Ird Gird Ki Zameen Jisme Tawaf Kiya jata hai Wo Mataf Kehlata hai...

🌀TAWAAF :-

☀Qa'ba Sharif ke Ird-Gird Chakkar Lagana Tawaaf Kehlata hai Ek Chakkar ko Sout Kehte hai...

🌀RAMAL :-

☀Mardo Ka Tawaf Ke Pehle 3 Fero Me Bahadduro Ki Trah Shaan-E-Hilate Hue Aur Jald Jald Chote Chote Qadam Rakhte Hue Chalna Ramal Kehlata hai....

🌀SAEE:-

☀Safa Wa Marwa Ke Darmiyan 7 Fere Lagana Saee Kehlata hai Safa Se Marwa Tak Ek Fera Hota hai 7wa Fera Marwa Par Pura Hota hai...

🌀MAS'AA:-

☀Safa-Wa-Marwa Ke Darmiyan Saee Karne ki Jagah ko Mas'aa Kehte hai...

🌀SAFA:-

☀Qa'ba Sharif Ke Dakahin Purab ke Kone Me Ek Choti Pahadi Hai Jaha se Saee Shuru Ki Jati hai...

🌀MARWA:-

☀Qa'ba Sharif Ke Uttar Purab ke Kone Me Ek Dusri Choti Pahadi hai Jaha se Saee Khatm Ki Jati hai...

🌀MILAIN AKHZRAIN :-

☀Safa-Wa-Marwa Ke Darmiyan Jitni Jagah Me Mardo Ka Doudna Sunnat hai Uske Dono Kinare Par Saee Karne Walo Ki Asani Ke liye Dae-Bae Sabz Nishan Laga Diye Gae Hai Unhi ko Milain Akhzarain Kehte hai...

🌀HALK :-

☀Ehram Se Bahar Hone ke Liye Mardo ka Hudud-E-Haram Me hi Pura Ser Mundana Halk Kehlata hai...

🌀UMRAH KE FAZA'EEL...

☀Huzur E Aqdas ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Ramzan Sharif me Umrah Karna Mere Sath Hajj Karne ke Barabar hai...

📚(Abu Dawood Sharif)

🌀HADEES -01.

☀Hajj Wa Umrah Karne Wale Allah Taa'la Ke Mehman Hai Wo Jo Dua Karenge Allah Taa'la Qabool Farmaega...

📚(Ibne Maja)

🌀HADEES -02.

☀Umrah Ek Umrah se Dusre Umrah Tak ke Darmiyan Sarzad Hone Wale Gunaho  Ka Kaffara hai Aur Hajje Mabrur Ki Jaza Jannat Ke Siwa Kuch Nahi...

📚(Bukahri Wa Muslim Sharif)

🌀HADEES -03.

☀Hajj Wa Umrah Mohtaji Aur Gunaho ko Ese Door Karte hai Jese Bhatti Lohe,Chandi,Aur Sone Ke Mel Ko Door Karti hai Aur Hajje Mabrur Ka Sawab Jannat hi hai...

📚(Tirmizi Sharif)

🌀HADEES -04.

☀Jo Hajj ke Irade se Chala Aur Raste me hi Inteqal Kar Gaya To Ab Qayamat Tak Uske Liye Hajj Ka Sawab Likha Jaega Aur Jo Umrah Ke Irade se Nikla Aur Raste me Use Mout Aa gai To Uske Liye Qayamat Tak Umrah ka Sawab Likha Jaega...

📚(Behayki Sharif)

🌀HADEES -05

☀Hajj Wa Umrah Karne Wale Allah Ki Jama'at Hai Agar Ye Allah Taa'la Se Dua Kare To Allah Taa'la Unki Dua Qabool Farmaega Aur Agar Allah Taa'la Se Magfirat Mange To Allah Taa'la Unhe Baksh Dega...

📚(Ibne Maja)

🌀UMRAH...

☀Umrah Sunnat-E-Moa'kkeda Hai...

⚡Bakra Eid Ki 9,10,11,12,13 Tarikho Ke Alawa Baitullah Sharif Ki Makhsus Ibadato Ke Sath Ziyarat Karna Umrah Kehlata hai....

☀Bakri Eid Ki 9,10,11,12,13, Tarikho Me Umrah Karna Makroohe Tehrimi hai...

⚡Umrah Me 2 Farz hai...

1⃣Ehram,

2⃣Tawaf,

☀Ehram me bhi 2 Farz hai.

1⃣Niyyat,

2⃣Labbaik,

☀Tawaf me Niyyat Farz hai...

⚡Umrah Me 2 Wajib hai...

1⃣Safa-Wa-Marwa Ke Darmiyan Saee Karna...

2⃣Ser ke Baal Mundana Ya Katarwana...

🌀GHAR SE RAWANGI KA TARIKA....

☀Chalte Waqt Apne Azeezo,Dosto se Mile, Apne Kasoor Muaf Karae Aur Chalte Waqt Sabse Duae Le Aur Un sabke Deen-O-Iman,Jaan w Maal Aulad Aur Tandurasti Wa Aafiyat Khuda ko Sonpe Ke Aap bhi Barkat Paenge Aur Wo Bhi Khuda Ki Hifazat me Rahenge...

⚡Safar Ka Libas Pehankar Ghar me 4 Raqat Naffil "Alhamdu wa Kull" Se Padhkar Bahar Nikle Ye 4 Raqat Wapas Aane tak Apke Ahal Wa Maal ki Nigehbani Karegi...

☀"Bismillah" Sharif Padh kar Ghar se Pehle Dahena Qadam Bahar Nikale Aur Darwaze ke Bahar Khade hokar Usi Waqt "SUREH KAFIRUN" "SUREH KULL" "SUREH FALAK" "SUREH NAAS" Ye Surte Bismillah Sharif ke Sath Padhkar Fir Aakhir Me Bismillah Sharif ke Sath Padhe, Fir Aakhir me Bismillah Shairif Aur Padhe Aur Usi Waqt "INNALLAZI Fa-Ra-Da Alaykal Quran Laradu-Ka-Ila Maa'd" Padh Le Raste Bhar Inshaa Allah Aaram se Rahenge Aur Kheriyat Se Wapas Ayenge...

🚫Note :-

☀Ghar Se Rawangi Ka Tarika Aurat Mard Dono ke Liye hai....

🌀UMRAH KARNE KA TARIKA....

☀Aap Apni Qayam'gaah Ya Airport se Ehram Bandh Le Ba-Wuzu Bager Sili Hui Safed Lungi Pehen Le Aur Ek Safed Chadar Orh Le,Ehram ka Libas Pehankar Badan Aur Kapdo Par Khushbu Lagae Ke ye Sunnat hai, Magar Khayal Rahe Ke Ehram Ke Kapdo par Khushbu Ka Daah Lagne na Pae....

⭐Agar Waqt-E-Makrooh Nahi hai to Ehram ki Chadar se Ser Dhank Kar Ehram ki Niyyat se 2 Raq'at Nafil Padhe Pehli Raq'at me Sureh Fateha ke bad "Sureh Kafiroon" Padhe Aur Dusri Raq'at me "Sureh Ikhlas" Padhe, Salam Ferne ke bad Ser se Chadar Hata le Aur Usi Jagah Bethe hue Is Trah Umrah Ki Niyyat kare...

🌠AYE ALLAH ME UMRAH KI NIYYAT KARTA HU TU ISKO MERE LIYE ASAN FARMA AUR USKO MERI TARAF SE QABOOL FARMA....

☀Umrah Ki Niyyat ke bad Ehram ki Niyyat se 3 Bar Darmiyani Aawaz se "LABBAIK" Kahe, Is Ke bad Durood Sharif Padhe Aur ye Dua Mange...

🌠AYE ALLAH ! ME TERI RAZA AUR JANNAT KA TALEEB HU AUR TERE GAZAB WA JAHANNAM SE TERI PANAH MANTA HU....

⭐Makkah Sharif me Apni Qayam'gaah Par Pahochkar Gusl-wa-Wuzu Karke Masjide Haram ki Taraf Chale, Raste me Nihayat Adab Se Labbaik Kehte hue Jae aur Masjid-E-Haram me Dahina Qadam Rakhkar Masjid me Dakhil hone ki Dua Padhe....

☀Aur Jab Khana-E-Qa'ba Par Pehli Nazar Pade To 3 Martaba "ALLAHU AKBAR" AUR 3 Martaba "La-ILAHA-ILLALLAH" Kahe....

⭐Mataf Me Dakhil Hokar Tawaf Karne se Pehle Izteba Karle Yani Ehram ki Chadar ko Dahni Bagal Ke Niche se Nikal Kar Dahna Kandha Khol De Aur Chadar ke Dono Kinaro ko Bae Kandhe par Daal de...

☀Fir Qa'ba Sharif Ki Taraf Munh Karke Sung-E-Aswad Ki Dahni Janib Sung-E-Aswad Ke Qareeb Is Trah Khade ho Ke Pura Sung-E-Aswad Apke Dahne Hath ki Taraf Rahe......

☀Ab Labbaik Kehna Band kar de Aur Hath Uthae Bagair Is Trah Tawaf ki Niyyat Kare..

⚡AYE ALLAH !
ME TERE IZZAT WALE GHAR KA TAWAF KARNA CHAHTA HU TU ISKO MERE LIYE ASAN FARMA AUR ISKI MERI TARAF SE QABOOL FARMA....

☀Niyyat Karne ke Bad Qa'ba Sharif Ki Taraf Munh Kiye hue Dahni Janib Chale Jab Sung-E-Aswad Ke Muqabil Aa jae to Kano Tak Dono Hath Uthae Ke Hatheliya Sung-E-Aswad Ki Janib Rahe Aur Ye Dua Padhe...

⚡BISMILLAHI WALHAMDULILLAHI WALLAHU AKBAR, WASSALTU WASSALAMU ALA RASOOLILLAH....

🌀TARJUMA:-

☀Aĺlah Taa'la Ke Naam ki Madad se Aur Sab Khoobiya Allah Taa'la Ke liye hai Aur Allah Taa'la Bhot Bada hai Aur Durood O Salam ho Allah Ke Rasool ﷺ Par...

⭐Iske Bad Sung-E-Aswad Ka Is Trah Bosa le Ke Awaz Na nikle Agar Huzum Ke Sabab Sung-E-Aswad Ko Choomne Ka Mouka Na Mil Sake To Huzum Me Na Auro Ko Taklif de Aur na Khud ko Taklif me Dale Balke Hath se Chòo kar Apne Hath Ko Hi Choom le...

☀Aur Agar Iska Bhi Mouka Na mil Sake To Door hi se Apni Hatheliyo Ko Sung-E Aswad Ki Taraf Karke Hatheliyo Ko hi Choom Le...

⭐Sung-E-Aswad ka Bosa Lene Ke Bad Ra'mal Ke Sath Tawaf Shuru Kare Ra'mal Ye Hai Ke Jald Jald Chote Chote Kadam Badhate Hue Aur Kandhe Hilate Hue Chale Doudne Aur Kudne ki Zarurat nahi...

☀Qa'ba Sharif ke Charo Taraf Ghoom Kar Sung-E-Aswad Ke Qareeb Pahochne Par Ek Fera Muqammal Hua Us Waqt Fir Sung E Aswad ko Pehle ki Trah Bosa De Aur Dusra Fera Shuru Kare Isi Trah 7 Fere Pure ho jae To Akhir me Sung-E-Aswad Ko Fir Bosa de...

⭐Khayal Rahe ke Tawaf Ke Pehle 3 Fero me Ra'mal Sunnat hai Aur Izteba Pure 7 Fero Me Sunnat hai Apbatta Tawaf Karne ke Bad Dino Kandhe Dhank le....

☀Tawaf Ke Bad Maqam-E-Ibrahim Par Aakar Ayat-E-Kareema "WATTAKHIZU MIM'MAKAMI IBRAHIM MUSALLA" Padhe Fir Maqam-E-Ibrahim Ke Piche 2 Raq'at Namaz Wajib'Ut Tawaf Padhe, Niyyat-E-Wajib'ut Tawaf Ki Niyyat Ye hai..

⚡Niyyat ki Mene 2 Raq'at Namaz Wajib'ut Tawaf Ki Waste Allah Taa'la Ke Munh Mera Taraf Qa'ba Sharif Ke Allahu Akbar....

☀Namaz Me Pehli Raq'at me Sureh Fatiha ke bad "SUREH KAFIRUN" Aur Dusri Raq'at Me "SUREH IKHLAS" Padhe Agar Kisi Wajah se Maqam-E-Ibrahim Ke Piche Namaz-E-Wajib'ut Tawaf Padhne ka Mouka na Mile To Pure Haram Sharif Me Jaha Chahe Namaz Padh le...

⭐Namaz-Wa-Dua se Farig Hone ke bad Agar Mouka Mile to Multazeem Ke pas aae Usse Lipte Apna Seena Aur Pet Aur Kabhi Dahina Rukhsar Aur Kabhi Baya Rukhsar Aur Kabhi Peshani Uspar Rakhe Aur Dono Hath Ser se Uncha Karke Deewar Par Felae Ya Apna Dahina Hath Darwaza-E-Qa'ba Ki Taraf Aur Baya Hath Sung-E-Aswad Ki Taraf Felae Hue Nihayat Aazizi Aur InkeSari Ke Sath Jo Chahe Dua Mange Aur Durood Sharif Bhi Padhe...

☀Agar Mouka Mil Jae To Multazeem se Farig Hokar Aabe Zam-Zam Pine Ke Liye Aae 3 Saanso Me Jitna Piya Jae Pet Bharkar Piye, Bismillah se Shuru Kare Aur Alhamdulillah Par Khatm Kare Aur Barkat Ke liye Ser,Munh,Aur Badan Par Daalkar Masah Kare Aur Zam-Zam Pite Waqt Jo Chahe Dua kare Qabool Hoti hai Aur Makka Sharif me Rehne Tak Bar bar Naseeb Hoga To Har Martaba Isi Tarike Par Khas Murado ke liye Zam-Zam Sharif Piye...

⭐Iske Bad Safa-Wa-Marwa ke Darmiyan Saee Karne Ke liye Fir Sung-E-Aswad Ka Bosa le Aur Durood Sharif Padhte hue Safa Par Chade Magar Bahot Ziyada Chadne Ki Zarurat nahi Bas Itna Chadna Kafi hai Ke Agar Deeware Darmiyan Me Haeel Na ho To Qa'ba Sharif Nazar aa jata....

☀Fir Qa'ba Sharif ki Taraf Munh Karke Dono Hath Kandho Tak Uthakar Dua Ki Tarah Fele Hue Uthae Aur Jitni Der me Sureh Baqar ki 25 Ayate Padhi Ja Sakti hai Itni Der tak Hatho ko Uthae Zikr Wa Durood Sharif Me Mashgool Rahe Dua ke Douran Apni Dono Hatheliya Aasman Ki Taraf Felae....

⭐Jab Dua Khatm Ho Jae to Hath Sahi Kar le Aur Is Trah Saee ki Niyyat Kare..

⚡AYE ALLAH ! ME SAFA WA MARWA KE DARMIYAN SAEE KA IRADA RAKHTA HU TU ISKO MERE LIYE ASAN FARMA AUR ISKO MERI TARAF SE QABOOL FARMA....

☀Fir Safa Se Utar kar Marwa ki Taraf Chale Zikr Wa Durood Sharif Barabar Jari Rakhe Fir Jab Pehla Sabz Nishan Nazar aaye To Darmiyani Raftar se Doudkar Chale Yaha Tak ke Dusre Sabz Nishan Nikal Jae Dusre Sabz Nishan Se Nikal Kar Aahista Chale Aur Marwa Tak Pahoche....

⭐Yaha Par Bhi Zyada Aur Chadne ki Zarurat Nahi hai Yaha bhi Qa'ba Sharif Ki Taraf Munh Karke Dino Kandho Tak Uthae Jese Pehle Safa Par Zikr wa Dua Kiya tha Wese hi Yaha bhi Kare....

☀Safa Se Marwa Tak Ye ek Fera hua Fir Marwa se Utar Kar Zikr Wa Durood Sharif Padhte hue Safa Ki Taraf Maa'muli Chal se Chale Aur Pehle ki Trah Sabz Nishano Ke Darmiyan Fir Doude Iske bad Aahista Chale Yaha tak ke Safa par Pahoch Jae Ye Dusra fera hua...

⭐Fir Isi Trah Marwa ki Taraf aae Aur Safa ki Taraf Jae Yaha tak ke 7wa Fera Marwa Par Khatm Kare...

☀Saee Karne ke Bad Hajamat Banwa Kar Ehram Khol de Apka Umrah Pura ho Gaya...

⭐Aap Jab tak Makkah Moazzama Me hai Jis Kadar Ho sake Umrah Karte rahe Tarika Ye Hoga ke Masjide Jei'rana Sharif Ya Taneem Sharif Jisko Masjide Ayesha Bhi Kehte hai Jakar Umrah Ka Ehram Bandhe Aur Upar Batae Hue Tarike par Umrah Karte Rahe.....

☀Allah Toufiq de To Jab Tak Aap Makkah Sharif Me hai Jis Tarah Ho sake Nafli Tawaf bhi Karte rahe....

🌀AURTO KE MUTALLIK ZARURI MASA'IL...

☀Aurte Agar Ghar se Rawangi ke Waqt Paaki Ki Halat me Na ho To Libas-E-Safar Pehankar Ba-Wuzu Dua Mangkar Rawana Ho jae...

⭐Musafir ki Surat me Aurto ke Sath Mohrim Ka Hona Zaruri Hai, Bager Mohrim Ya Sohar ke Aurto ka Safar Karna Haram Hai Chahe Hajj Wa Umrah Ka Safar ho Ya Koi Dusra Safar ho...

☀Mohrim se Murad Wo Mard hai Jisse Hamesha ke Liye Us Aurat ka Nikah Haram ho...

⭐Kisi Gair Mohrim Ko Farzi Mohrim Bana Lena Bhot Bura hai Maslan Kisi Ajnabi Ya Door ke Rishtedar Ko Munh bola Bhai Ya Chacha Ya Beta Bana Lena Aur Hajj Ya Umrah Ke Safar par Le Jana Is Trah Mohrim Banane Wali Aurte Aur Mohrim Banne Wala Mard Dono Mujrim Aur Azabe Ilahi Ke Mustahik hai Aur Dono Par Touba Lazim Hai...

🌀AURTO KA EHRAAM:-

☀Aurte Apne Roz Marra Ke Aam Istemali Sile Hue Kapdo Me Ehram Bandhe, Chahe Wo Rangeen ho Ya Safed Reshmi ho Ya Cotton Isse Ehram me Koi Fark Nahi Aata...

⭐Dupatta Itna Barik Na ho ke Balo Ki Syahi Bahar se Chamke Halate Ehram me Sakht Haram hai...

☀Aurto Ke Halate Ehram Me Bhi ser Dhakna Wajib hai Mardo Ki Trah Khula Na Rakhe...

⭐Ehram Ke Waqt Agar Aurte Halate Haiz Me Ho Jab Bhu Ehram Bandh Sakti hai...

☀Ehram Ke Waqt Agar Aurte Halate Haiz Wa Nafas Me Ho To Ehram Ka Libas Pehankar Surf Umrah Ki Niyyat Karke "LABBAIK" Keh le Aur Durood Sharif Padhkar Dua Mang Le Ehram Me Dakhil Ho Jaegi, Ehram Ke Waqt Mumkin ho to Naha Dho le Aur Agar Nahana Nuksan Deh ho To Sirf Wuzu Kar le...

⭐Ehram Band Lene ke bad Agar Haiz Aa jae To Ehram Fasid Nahi Hota Lihaza Ehram ke Tamam Usoolo Ki Pabandi Karni Hogi....

🌀AURTO KA TAWAAF....

☀Jo Aurat Haiz Wa Nafas Ki Halat me Makka Sharif Me Dakhil Hui Wo Bahar Se Masjide Haram ki Ziyarat Kar Sakti hai Jab Haiz Wa Nafas Se Paak Hogi Wahi Waqt Uske Tawaf wa Namaz Wa Saee Wagera Ka Hai Is Takhir Ki Wajah Se Wo Ind'asshra Gunahgaar na hogi Isliye ke Maa'zur thi...

⭐Aurat Tawaf Karne me Na Izteba Kare Aur na Ramal Kare Na Tez Raftar se Chale Na Mardo ki Trah Apne Kandho ko Uthae Balke Apni Roz Marra ki Raftar Ke sath Tawaf Kare...

☀Ek Aurat Tawaf Karne me Dusri Aurat ko Dhakka Na De Ke Ye Iza-E-Muslim Hai Aur Iza-E-Muslim Haram hai Jaha Tak Ho Sake Sharm Wa Haya Me Doob kar Tawaf Kare...

🌀SAEE:-

☀Aurte Safa-Wa-Marwa Ke Darmiyan Itminan Se Chale Sabz Nishano Ke Darmiyan Jaha Mard Doudte hai Aurte Hargiz Na Doude Balke Apni Aam Raftar Se Chale...

⭐Safa-Wa-Marwa Ki Bulandiyo Tak Na Chade Balke Mardo Ka Huzoom Ho to Safa-Wa-Marwa Ki Ibtedai Bulandiyo se Lout Jae Upar Jane ki Koshish Na kare...

☀Halate Saee Me Agar kisi Aurat Ko Haiz Aa Jae To wo Saee ko Na chode Balke Pura Kare Fir Us Saee ko Lotne ki Bhi Zarurat nahi...

🌀TAKSEER:-

☀Ehram Se Bahar Nikalne Ke Waqt Aurte Apna Ser ke Baal Gairo se Na Katwae Balke Khud Kaat le Ya Sohar Wa Mohrim se Katwae....

⭐Aurto ke Liye Ser ke Baal Katne ka Asan Tarika Ke Choti Ke Sire Ko Ungli Par Lapet Le Aur Ungli Ke ek Por se Kuch Zyada Kaat Dale Ke Pure Ser ke Balo Ka Sira Ek Por Ya kuch Zaeed Kat jae...

☀Agar Chothai Ser ke Balo Ka Sira Ek Por ki Miqdar Me Nahi Kat Saka to Aurte Ehram se Bahar Nahi Hongi Aur Ehram ki Khilaf Warzi Karne Par Dum Dena Hoga.....

🌀ZARURI TAMBEEH....

☀Aurto ke Liye Behter Ye hai Ke Raat ke 10 Ya 11 Baje Jab Mardo ka Hujoom Kum ho Jae To Tawaf Ke liye Jae...

⭐Aurte Namaze Apni Qayam Gaah Par hi Padhe "Jo Aurte Masjide Haram Wa Masjide Nabawi Me Jama'at ke Sath Namaz Padhti Hai Ye Unki Jihalat Hai, Isme Maqsood Sawab hai Balki Huzur ﷺ Ne Farmaya ke "AURTO KO MERI MASJID ME NAMAZ PADHNE SE ZIYADA SAWAB GHAR ME PADHNA HAI....

⭐Makka Moazzama Me Kum'az Kum Ek Baar Raat me Tawaf Kar liya Kare Aur Madina Taiyeba Me Subha Wa Shaam Salato Salam Ke liye Hazir Hoti Rahe....

🌀KUCH ZARURI MASA'IL...

☀Ye Masa'il Mardo Aurto Dono ke liye Hai....

🌀EHRAM:-

☀Ehram Niyyat Karne Aur Labbaik Padhne Ka Naam hai Kapda Pehen Lene ka Naam Ehram Nahi Ye to Ehram ka Libas hai...

🌀WO BATE JO EHRAM ME HARAM HAI...

⭐Aurat se Sehbat karna...

☀Sehwat ke Sath Gale lagana...

⭐Fahash Kalam Karna...

☀Gunaah Jo Hamesha Haram The Aur Sakht Haram ho Gae...

⭐Kisi se Ladai Jhagda karna...

☀Magar Deen ke liye Jhagadna Zaiz hai Balke Hasbe Zarurat Farz Aur Wajib hai...

⭐Khalis Khushboo Mushk,Jaafraan,Jawantri,Lawing,Ilaychi,Daar Chini,Zanajbill, Wagera Khana...

☀Itra Aur Khushboodar Oil Lagana, Zaitun Ya Till Ka Oil Agarche Be-Khushbu Ho Badan Ya Baal me Lagana...

⭐Jui Marna Ya Fenkna Wagera Ye Sari Bate Ehram me Haram hai...

🌀WO BATE JO EHRAM ME MAKROOH HAI...

☀Badan se Meil Door Karna...

⭐Baal Ya Badab Sabun Wagera Be Khusbu Ki Cheez se Dhona...

☀Kanghi Karna Ya Is Trah Khujana Ke Baal Tootne Ya Jhu Girne Ja Andesha ho...

⭐Khushbudaar Dental Cream Ya Powder Istemal Karna Wagera....

🌀EHRAM KI KHILAF WARZI....

☀Umrah Ka Ehram Bandhne Wala Agar Umrah Ka Tawaf Karne se Pehle Apni Biwi se Humbister Ho jae To Umrah Fasid ho Gaya Uspar Wajib Hai ke Dum Bhi de Aur Umrah ki Qaza bhi Kare...

⭐Agar Umrah Karne Wale Ne Tawaf Wa Saee Se Farig Hokar Ser Mundane Se Pehle Hum Bistari Ki to Umrah Fasid Nahi Hua Magar Dum Wajib ho Gaya...

☀Halate Ehram me Biwi ko Bila Sehwat Hath Lagana Zaiz hai...

⭐Halate Ehram me Sehwat Ke sath Biwi ka Bosa Lena Use Gale Lagana Aur Lipatna Zaiz nahi, Agar kisi Mohrim ne Esa kiya To Uspar Dum Wajib Hai Aur Touba bhi....

☀Halate Ehram me Agar Aurat ne Sehwat Ke Sath Sohar Ke Badan Ko Chuwa Ya Bosa liya Ya Apne Jism Se Liptaya To Uspar Bhi Dum Aur Touba Wajib Hai....

⭐Jis Waqt Sohar ne Sehwat ke Sath Biwi ko Liptaya Us Waqt Biwi ko Sehwat Nahi thi Fir Biwi Ko bhi Sehwat Aa gai To Dono Par Alag-Alag Dum Wajib hai...

☀Sehwat ke Sath Chuna Ya Bosa Lena Aur Bagar Gir Hona Sirf Sirf Biwi hi ke Sath Jurm nahi hai, Balke Kisi bhi Mard Wa Aurat Ke sath ho Haram hai, Aur Ehram ki Khilaf Warzi Hai Lihaza Is Surat me Bhi Dum Aur Touba Wajib hai...

⭐Halate Ehram Me Sote Waqt Chadar, Kambal Wagera ka Istemal Zaiz hai, Ba-Sharte Munh ko Na Dhanke...

☀Halate Ehram me Agar Neend Ki Halat Me Chadar Ya Kambal Chehre Par Kheench Liya Aur Isse Chehra Dhak Gaya Aur Ghanta 2 Ghanta Tak Isse Chehra Dhaka Raha To Ispar Sadka Hai Agar 4 Pehar Zyada Dhaka Raha To Dum Wajib hai...

⭐4 Pahar Se Murad Subha se Shaam Tak Ya Shaam se Subha Tak hai...

☀Ehram ki Halat me Jism ke Kisi Hisse Ka Baal Mundhna Katarwana Ukhadna Todna Tudwana Ya Baal Safa Powder ke Zariye Door Karna Sab Mana hai...

☀Agar Ehram se Bahar Aane Ka Waqt Aa gaya hai, Maslan Umrah Karne Wala Tawaf wa Saee Se Farig Ho Chuka hai To Ek Mohrim Dusre Mohrim Ka Se Mund Sakta hai Is Trah Dono Mohrim Ehram se Bahar Aa Jaenge...

⭐Umrah Karne Wale ne Tawaf Wa Saee Ke Bad Ser Nahi Mundwaya Na Taksir Karwai Balke Duare Umrah ki Niyyat Kar li To Ispar Dum Wajib ho Gaya...

☀Wuzu Ya Gusl Karte Waqt Nihayat Ehtiyat Se Pani Bahae Take Ser Darhi Aur Jism ke Baal Na Gire Agar Ragadne Ki Wajah Se Baal gir Gae 2 Ya 4 Hi Sahi To Sadka Wajib hai...

⭐Agar Baal Khud-Ba-Khud Zhadte Ho Ya Bimari Ki Wajah se Girte ho To Koi Kaffara Nahi Hai Agarche Sare Baal Gir Jae...

☀Halate Ehram me Agar kisi ne Dono Hath Aur Dono Per Ke 20 Nakhun Ko Ek Hi Majlis me Tarasha To Mohrim Par Ek Dum Wajib hai...

⭐Agar Kisi Mohrim Ne Bhoolkar Apne Daanto Se ek Gath ke Sare Nakhun Kaat Dale to Dum Wajib hai...

🌀TAWAAF.....

☀Tawaf ke Sahi Hone ke Liye Niyyate Tawaf Zaruri(Farz) Hai Ke Niyyat Ke Bager Tawaf ho Hi Nahi Sakta....

⭐Halate Tawaf Me Seena Ya Pith Qa'ba Sharif Ki Taraf Nahi Hona Chahiye Aur Agar Ho Jae To Jitna Fasla Seena Ya Pith Kiye hue Tay Kiya Hai Isko Fir se Dohrae Aur Afzal Ye hai ke Is Chakkar Ko Firse Kare....

☀Nafli Tawaf bhi Be-Wuzu Karna Haram hai Agar Kisi ne Nafli Tawaf Ke Kull 4 Chakkar Be-Wuzu Lagae to Sadqa Wajib hai...

⭐Umrah Karne Wale Ko Tawaf ke Chakkaro Me Shak Ho Jae Jis Chakkar me Shak Hua Use Fir se Dohrae Take Shak Yakeen Se Badal Jae...

☀Umrah Karne Wala Tawaf Ke Chakkaro Ki Ginti Bhool Jae Ke 5 Chakkar Hue Ya 6 Chakkar Hue to Nae Sire se Tawaf Shuru Kare...

⭐Agar Nafli Tawaf Me Chakkar Ki Taa'dat Bhool Jae to Gumane Galib Par Amal Kare Fir Agar Kisi Ek Janib Gumane Galib Na Aae To Naye Sire Se Tawaf Shuru Kare....

☀Agar Kisi bhi Tawaf ka 2 Ya 3 Chakkar Laga liya Aur Wuzu Toot Gaya To Wuzu Karne Ke Bad Tawaf Jaha se Choda Wahi se Wapas Shuru Kar sakta hai Aur Agar Chahe to Naya Tawaf Shuru Kare...

⭐Agar Tawaf ke 4 Ya jyada Chakkaro ke Bad Wuzu Toot Jata hai To Wuzu Karne Ke Bad Jaha Se Tawaf ka Chakkar Chuta Hai Wahi se Shuru Karna Chahiye Azz Sare Nouw Nahi Kar Sakte Aur Is Surat me Hazre Aswad se Bhi Shuru Karne ki Zarurat nahi....

☀Tawaf Ke 7 Chakkar Pure ho Jane ke bad Agar 8wa Chakkar Shuru Kar diya To Ye 8wa Chakkar nahi Balke Tawafe Jadeed(Naye) Tawaf Ka Pehla Chakkar hoga, Lihaza Iske bhi 7 Chakkar Pure Karne Honge....

🌀TAWAAF.....

☀Halate Tawaf me Pyaas ka Galba ho To Pani Pi Sakte hai Magar Khana Makrooh hai Salam Karna, Salam Ka Jawab Dena, Zarurat Ke Waqt Kuch Baat Kar lena, Hamdo Naa't Ka Aahista-Aahista Padhna, Namazi ke Aage se Guzarna, Deeni Masa'il Puchna, Kisi Azeem Sakshiyat Ya Dost Ehbab Se Musafah Kar Lena Sab Zaiz hai....

⭐Umrah Ke Tawaf me Mardo ko Ramal Karna Sunnat Hai Agar Huzum Jyada Ho to Kuch Der Thehar Jae Jab Huzum Kum ho Jae to Ramal Ke sath Tawaf Shuru Kare Aur Agar Esa Mouka Milna Dushwar Ho to Ramal Ke sath Tawaf Shuru Kar de, Jaha-Jaha Mouka Milta Rahe Ramal Karta Rahe Aur Bheed Zyada Ho jae To Dhakka-Dhakki Na Kare Aur Agar Azdaham Itna Badh Jae Ke Ramal Kar hi Nahi Sakte to Ramal Moquf Kar de Sirf Tawaf Kare....

☀Umrah Karne Wale Ne Tawaf Shuru Kar Diya, Ek Chakkar Ke Bad Ramal Yaad Aya To Bakya Do Chakkaro Me Ramal Kare Aur Do Chakkaro ke Bad Yaad Aya to Teesre Chakkar me Ramal Kare, Lekin 3 Chakkaro Ke Bad Yad Aya To Use Ramal Ki Hajat Nahi Aur Na hi Uspar koi Kaffara hai....

⭐Tawaf ki Dua'e Agar Yaad na ho To Har Tawaf Ne Kalma-E-Tamjeed padhna Behter hai...

☀Agar Kalma-E-Tamjeed Yaad Na ho to Har Tawaf Ke Dua'e Jame'a Padhe Jo Niche Likhi Gai hai...

⚡RABBANA AATINA FID'DUNYA HA-SA-NA-TAW  VAFIL AKHIRATI HA-SA-NA-TAW  WAKEENA AZABANNAAR.....

☀Aur Agar Dua'e Jame'a Bhi Yad na ho to Har Tawaf me Durood Sharif Padhta Rahe Yahi Afzal hai...

⭐Agar Umrah Karne Wala Mard Ya Aurat Ne Be-Satro Ki Halat me Tawaf Kiya, Maslan Aurat ke Chouthai Ser ke Baal Khule The Ya Chouthai Kalai Khuli Thi Ya Mard ke Ghutne Khule The to Insab Surto me Dum Wajib Ho gaya Aur Agar Sahi Tour par Loutaya To Dum Saqit ho Gaya....

🌀NAMAZ-E-WAJIB'UT TAWAAF....

☀Tawaf Chahe Farz Ho ya Wajib Ya Sunnat Ya Nafil Ho Har Tawaf ke Bad 2 Raq'at Namaz Padhna Wajib hai....

⭐Tawaf Khatm Karte-Karte Suraj Nikal Aya Ya Istawa(Zawal) Ka Waqt hai to Kuch Der Intezar Kare Aur Waqte Maqrooh Nikal Jane ke bad Namaz-E-Wajib'ut Tawaf Padhe...

☀Agar Kisi ne Asar ke Bad Tawaf Shuru Kiya To Tawaf Kahtm Karke Namaz-E-Tawaf Na Padhe Balke Suraj Guroob Ho Jane ke Bad Agar Namaz-E-Magrib Ki Jama'at me Kuch Takheer Ho to Padh le Warna Farz Namaz ke Bad Sunnat Padhe...

⭐Baaz Nawakif Hazraat Tawaf ki Halat me Jo Izteba'a Karte hai Usi Halat me Namaze Tawaf Bhi Padh lete hai Halanke Munh Kholkar Namaz Padhna Maqrooh-E-Tehrimi hai Jiska Loutana Wajib hai...

☀Agar Kisi ko Musalsal Peshab Ke Qatre Ya Musalsal Riyaah Kharij Hone ki Shikayat Ho to Wo Tawaf Hi ke Dino me Haram Sharif Me Dakhil Hone se Pehle Taza Wuzu Kare Aur Usi Wuzu Se Jitni Namaz Wa Tawaf Ada Karna Chahe Ada kare....

🌀SAEE:-

☀Saee Ke Darmiyan Jo bhi Zikr Wa Durood Sharif Yaad ho Padhte Rahe, Aur Chalne me Jaldi Na Kare Balki Apni Aam Raftar se Chale...

⭐Umrah Karne Wale par Saee Ke 7 Chakkar Pure na Karle Unke Liye Baal Banwana Zaiz nahi, Agar Banwa Liya to Dum Wajib Ho gaya..

☀Saee Ke Douran Agar Peshab Ya Pakahne Ji Hajat Ho Jae To Saee Chodkar Ja Sakte hai, Aur Agae Wuzu Toot Gaya to Wuzu Ke liye Bhi Ja Sakte hai Fir Aakar Baki Chakkaro ko Pura Kare...

⭐Agar Kisi Umrah Karne wale Ne Saee Nahi Ki Aur Watan Chala Gaya To Uspar Dum Wajib hai Fir Jab Tak Uski Taraf Se Dum Ki Adaygi Hudood-E Haram me Nahi Ho Jati To Sohar Apni Biwi ke Liye Aur Biwi Apne Sohar ke Liye Halal Na Hogi...

☀Agar Kisi Umrah Karne Wale Ne Tawaf-Wa-Saee Ke Bad Ser Mundane Ya Kasr Karane se Pehle Apni Biwi Se Hum Bistari Kar li to Uspar Dum Wajib ho gaya Aur Kayi Bar Is Khilaf Warzi Ka Murtakib Hua to Kayi Bar Dum Wajib Ho gaya, Yaani Jab Tak Wo Halk(ser Mundana) Ya Kasr(Baal Katwana) Na Karega Apni Biwi Ke Liye Halal Na hoga...

⭐Saee Ke bad Bager Ser Mundae Ya Baal Katarwae Dusre Umrah Ke Liye Masjide Ayesha Ya kisi Dusri Meeqat Par Chala Jana Aur Fir Ehram Ki Niyyat Kar lena Mam'nu Hai Jisne Esa kiya Uspar Dum Wajib hai.....

🌀Makkah Sharif ki Ziyarat Gahe....

🌀Masjid e Haram –

☀Wo mubarak Masjid jis me Ka’aba shareef hai. Aur jis me Maqaam e Ibrāheem, Beer e Zamzam aur Koh e Safa wa Marwa hain.

🌀Wiladat-gaah e Rasool-
Allāh sallallāhu alaihi wa sallam –

☀Wo muqaddas mubarak makaan jaha Huzoor Sarwar e kaainat Khair ul bashar Khaatim ul Ambiya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki wilaadat (zahoor) hui thi.
Jo ab maktab (library) me tabdeel kar diya gaya hai.

🌀Maqaam e Me’araaj –

☀Shab e Me’raaj ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko Hazrate Umme Haani radi-Allāhu ta’ala anha ka makaan par aaraam farma rahe the aur ALLĀH ta’ala ke hukm se Hazrate Jibreil alaihis salaam aap ko Me’araaj ke liye apne saath le gaye the.
Ye ab Masjid e Haraam ke andar aa gaya hai.

🌀Mohalla Misfalah –

☀Is muhalle me Hazrat Ibraheem alaihis salaam raha karte the. Hazrate Abu Bakr Siddeeq, Hazrate Umar Farooq aur Hazrate Ameer Hamza radi-Allāhu ta’ala anhu bhi yahi qayaam pazeer the.

🌀Jable Abu Qubais –

☀Dunya sab se pehla aur muqaddas pahaad jaha par Hajr e aswad naazil hua, jaha par jalwa afroz hokar Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne elaan e nabuwwat kiya aur yahi par Shaq ul Qamar ya’ni chaand ke 2 tukde farmaaye the.
Ab is pahaad par shaahi mahel taameer kar diya gaya hai.

🌀Jannat ul Ma’ala (Qabrastan) –

☀Ye dunya ke 2 afzaltareen qabrastan me se ek hai, jaha Ummul mo’mineen Hazrate Khadijatul kubra radi-Allāhu ta’ala anha, Saahabzaada e Rasool Hazrate Qaasim radi-Allāhu ta’ala anhu, Hazrate Abdullāh ibn Zubair radi-Allāhu ta’ala anhu, Hazrate Asma bint Abu Bakr Siddeeq radi-Allāhu ta’ala anha aur bahot saare Ashaaba, Taabi’een aur Auliya Allāh rahmatullāhi alaihi aaram farma rahe hain.

🌀Masjid e Jinn –

☀Jannatul ma’ala ke qareeb is maqaam par Huzoor Sarware kaainat sallallāhu alaihi wa sallam se namaaz e fajr me tilaawat e Qur’an majeed sunkar Jinnaat musalman hue the.

🌀Jabl e Noor –

☀Is pahaad par Ghaar e Hira me Huzoor Nabi e aakhir uz zamaan sallallāhu alaihi wa sallam zahoor e risaalat se pehle ek maah zikr o fiqr me mashgool rahe aur yaha pehli wahi naazil hui aur hidaayate ilāhi ka noor saare aalam me faila.

🌀Jabl e Saur –

☀Is pahad par Ghaar e Saur me Huzoor Khaatimul Ambiya sallallāhu alaihi wa sallam hijrat ke waqt apne rafeeq e khaas Hazrat Abu Bakr Siddeeq radi-Allāhu ta’ala anhu ke saath 3 raat qayaam pazeer rahe.

🌀Masjid e Namrah –

☀Arfat me Jabl e Rahmat ke qareeb is maqaam par Huzoor sallallāhu alaihi wasallam ne Hajjatul wida ke mauqe par wuqoofe arfa kiya tha. Aur ashaba e kiraam ko khutba diya tha aur wasiyate, naseehate aur duaen ki thi aur Zohar aur asr ki namaaz ada ki thi.

🌀Masjide Ayesha –

☀Masjid e Haraam se taqreeban 7.5 ki doori par Tan'eem me hai. Makka shareef me qayaam ke darmiyaan Umraah ka ehraam yaha se bandha jaata hai.
Hajjatul wida ke mauqe par Makka me qayaam ke dauran Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Aaisha radi-Allāhu ta’ala anha ko un ke bhai Hazrate Abdur Rahmān bin Abu Bakr Siddeeq ke saath Tan'eem bheja tha aur wo waha se ehraam bandhkar Masjid e Haraam aaye the aur Umraah kiya tha jo Hajj se pehle haiz ki wajah se nahi kar paaye the.

🌀BARGAHE MUSTUFA صلي الله عليه و سلم ME HAZRI....

🌹TUM CHALO HUM CHALE SAB MADINE CHALE...

🌻JANIBE TAYEBA SABKE SAFINE CHALE....

☀Huzure Aqdas صلي الله عليه و سلم Ne Farmaya Jisne Meri Kabr ki Ziyarat Ki Uske liye Meri Shafa'at Wajib hai...

📒(DARE QUTNI)

⭐Huzure Aqdas صلي الله عليه و سلم  Ne Farmaya Jisne Meri Wafat ke Baad Meri Ziyarat Ki Goya Usne Meri Hayate Zahiri me Meri Ziyarat ki...

📔(BAYHAKI)

☀Huzure Aqdas صلي الله عليه و سلم Ne Farmaya Jis Saksh Ne Hajj kiya Aur Meri Ziyarat ko Na Aya Usne Mujhpar Zulm kiya...

⭐Isi Liye Ulema Kiram ne Farmaya Ziyarate Aqdas Wajib ke Qareeb hai...

☀Jab Nazar Madina Taiyaba Pe Pade to Behter hai ki Sawari se Utar Jae Nange Per Ser Jhukakar Rote hue Chale...

⭐Sehere Madina me Dakhil hone ke Baad Sabse Pehle Masjide Nabawi Sharif Me Dakhil hone ki Koshish Kare Lekin Pehle Un Tamaam Zaruriyat se Farigh ho Jae Ke Jinse Dil Batne ka Andesa Ho...

☀Behtar Hai ki Gusl Kare, Aur Ye na ho to Wuzu Kare Miswak ke Bad Naye Ya Purane Kapde Pehne Aur Khooshbu Lagakar Fouran Aastana-E-Aqdas ki Taraf Nihayat Khushua Wa Khuzu Ke Sath Rote hue Chal Pade...

⭐Bab-E-Jibrail Se Dakhil Hona Afzal hai Jab Masjid ke Darwaze par Pahoche To...

" الصلوۃ و السلام علیك یا سیدی یا رسول الله
ﷺ"
☀Arz Kare Aur Thoda Thehre Jese Sarkare Do Aalam ﷺ Se Hazri ki Izazat Mangte ho...

⭐Fir Masjid me Dakhil hone ki Dua Padhe Pehle Right Per Masjid me Rakhkar Dakhil ho Agar Waqte Makrooh Na ho to 2 Raqa'at Namaz Tahiyyatul Masjid Hattal Imkan Jannat ki Kyari Me Ada Kare...

☀Pehli Raqa'at me Sureh Fatiha ke Bad Sureh Kafirun Padhe Aur Dusri Raqa'at me Sureh Ikhlas Padhe Fir Sajda e Shukr Ada Kare Ke Allah Taa'la Ne Is Nemat Se Uzma Se Nawaza hai..

⭐Ab Iske Bad Huzur-E-Aqdas ﷺ Ke Afwo Karam Ki Ummid Rakhte hue Purab Ki Janib Se Mawajahe Aqdas Me Hazir ho...

☀Sunahri Jali me 3 Gol Dayre Banae Gae hai Jo Dayra Huzur ﷺ Ke Chehra-E-Anwar ke Samne Banaya Gaya hai Use Mawajaha Sharif Kehte hai Aap Mawajaha Sharif se Kum se Kum 4 Hath Ke Fasle Par Khade Ho Aur Yakeen Jane ke Huzur ﷺ Salato Salam Wa Kalam ko Sunte hai Balke Dilo ke Khatrat se Waqif hai Aur ese hi Zinda hai Jese Wisal se Pehle The...

⭐Sarkare Do Aalam ﷺ Chuke Mazar Pur Anwar ke me Qibla Rukh Jalwa Farma Hai Lihaza Rue Anwar Ke Muqabil Qibla ki Taraf Pith Karke Aur Namazi ki Trah Hath Bandh Kar Khade ho Jali Sharif Ko Bosa dena Ya Hath Lagane se Bache Khilafe Adab hai....

☀Ab Apka Munh Us Paak Jali Ki Taraf ho Gaya Jo Mehboob e Kibriya Ki AaramGaah Hai Nihayat Abad Wa Aehtraam ke Sath Darmiyani Aawaz me Salam Padhe Salat wa Salam Ke Alfaz ye hai...

🌹Aye Nabi ﷺ Aap Par Salam Ho Aur Allah ki Rehmat Aur Uski Barkate...

🌹Aye Allah ke Rasool ﷺ Aap Par Durood Wa Salam Ho...

🌹Aye Allah ke Nabi ﷺ Aap Par Durood Wa Salam Ho...

🌹Aye Allah ki Makhlook me Sabse Behter Aap Par Durood Wa Salam Ho...

🌹Aye Allah ke Noor me Se Ek Noor Aap Par Durood Wa Salam Ho...

🌹Aye Allah ki Saltanat ke Dulha Aap par Durood Wa Salam Ho....

🌹Aur Apki Aal Wa Ashab Aur Ummat Sab par....

☀Agar Is Qism ke Alfaz Yaad na ho Sake To الصلوۃ و السلام علیك یا سیدی یا رسول الله ﷺ Padhe Aur Behter hai Ki 70 Bar se Kum Na Padhe Aur Bar Bar bhi Arz kare "AYE ALLAH KE RASOOL ME APKI SHAFA'AT MANGTA HU" Agar Kisi ne Huzur ki Khidmat me Salam Arz Karne ke liye Kaha hai to Uski Taraf se Is Trah Salam pesh kare"AYE ALLAH KE RASOOL AAP PAR SALAM KO FULA BIN FULA KI JANIB SE JO APKE RABKE PAS APKI SHAFA'AT CHAHTA HAI TO USKI AUR TAMAAM MUSALMANO KI SHAFA'AT FARMAIYE...

⭐Fula Bin Fula ki Jagah Us Saksh Ka Naam Uske Walid ke Sath le Jisne Salam Arz Karne ko Kaha ho...

☀Agar Bhot Se Logo Ne Salam Arz Karne ko Kaha ho Aur Unke Naam Yaad Nahi Rahe To Sabki Taraf Se Is Trah Salam Arz kare...

☀AYE ALLAH KE RASOOL AAP PAR SALAM HO HAR US SAKSH KI JANIB SE KI JISNE MUJHKO APKI BARGAH ME SALAM ARZ KARNE KO KAHA HAI....

⭐Sarkare Aqdas صلي الله عليه و سلم Par Is Trah Salam Pesh Karne ke Bad Apne Dahine Hath ki Taraf Ek Hath ki Miqdar Hatkar Dusre Dayreke Samne Aa jae Aur Hazrate Siddiqe Akbar رضي الله تعالي عنه Ke Chehre-E-Anwar ke Samne Khade hokar Is Trah Salam Arz Kare...

☀AYE RASOOLALLAH KE KHALIFA AAP PAR SALAM HO, AYE RASOOLALLAH KE WAZEER AAP PAR SALAM HO, AYE GAAR-E-SOUR ME RASOOLALLAH KE SATHI AAP PAR SALAM HO AUR ALLAH KI REHMATE BARKATE....

☀Fir Dahni Taraf Hatkar Teesre Dayre ke Samne Khade ho Jae Aur Hazrate Farooke Azam رضي الله تعالي عنه  Ke Roobaro Is Trah Salam Arz Kare....

🌀AYE AMEER-UL-MOMEENIN AAP PAR SALAM HO, AYE 40 KI GEENTI PURI KARNE WALE AAP PAR SALAM HO  AUR ALLAH KI REHMATE AUR BARKATE...

⭐Fir Ek Balisht Bae Janib Hatkar Hazrate Abu-Bakr Siddiq Aur Hazrate Umar Farook رضي الله عتهما Ke Darmiyan Khade hokar Is Trah Salam Arz kare...

🌀Aye Rasoolallah Ke Khalifa Aap Doni Par Salam ho, Aye Rasoolallah Ke Pehlu me Aaram Karne Wale Aap Dono Par Salam aur Allah ki Rehmat Aur Uski Barkate...

☀Aap Doni Hazrat Se Me Sawal Karta hu Rasoolallah صلي الله عليه و سلم Ke Huzur Humari Shafa'at Kijiye Allah Taa'la Unpar Aap Dono Par Darood Aur Barkate Aur Salam Nazil Farmae....

⭐Fir Uske Bad Dobara Huzur Ke Samne Hazir hokar Haq Taa'la Ki Hamd Wa Sana Bayan Karke Durood Sharif Padhe Aur Huzur ke Waseele se Apne Liye Aur Apne Waliden Ke Liye Azatesha, Mashaikh, Ahbaab, Wa Mutalliqeen Aur Jumla Momeenin Ke liye Dua kare Aur Sabke Liye Shafa'at Ko Darkhwast Kare....

☀Fir Uske Bad Apni Qayam gaah Par Vapas Aa jae Jab Tak Madina Sharif me Hazri Naseeb ho Ek Saans bhi Bekar na Jane de Namaz, Tilawate Quran, Aur Durood Sharif Padhte Rahe Har Farz Namaz Ke Baad Ya Kum se Kum Subha Wa Sham Mawajaha Sharif me Salam Arz Karne ke Liye Hazri dete Rahe...

⭐Aurte Bheed Bhaad Me Na ghuse Unko Raat ke Waqt Salam Ke liye Hazir hona Behter hai...

☀Sehar me Ya Seher se Bahar Kahin bhi Huzur ke Gumbad par Nazar Pade Fouran Adab ke Sath Udhar Dekh kar Salato Salam Arz kare Bagair uske Hargiz na Guzre Khilafe Adab hai....

🌀MADINA MUNAWWARA SE WAPSI....

☀Jab Madina Munawwara se Wapsi Ka Irada ho to Mehrab-E-Nabawi me Ya Uske Qareeb Masjide Nabawi Sharif Me Jaha Jagah Mile 2 Raqa'at Nafil Padhe Uske Baad Mawajahe Aqdas me Hazir Hokar Dard, Ghum, Wa Giryazari ke Sath Salato Salam Arz Kare...

⭐Fir Deen Wa Dunia ki Bhalai, Umrah Wa Ziyarat Qabool Hone Aur Khair Wa Aafiyat Ke Sath Ghar Pahochne ki Dua Mange Aur Khaas Kar ye bhi Dua Kare Ke Hazrika Ye Aakhri Mouka na Ho Balke Khuda Taa'la Is Noorani Maqam ki Bar Bar Ziyarat Karae....

☀Uske Baad Roza-E-Aqdas Ki Taraf Munh Karke Ulte Pau Chale Ya Sidhe Chale Aur Fir Fir Kar Hasrate Roza-E-Anwar Ko Dekhte Hue Aur Judai me Rote hue Masjide Nabawi Sharif se Pehle Baya(LEFT) Per Nikale Aur Jaha Tak Gumbade Khazra Nazar Aaye Bar Bar Hasrat Bhari Nigaah Se Dekhte Rahe....

🌀MADINA SHARIF KI ZIYARAT GAHE...

🌹ROZA-E-AQDAS AUR MIMBER-E-AALI...

☀Ye Dono Maqamat Madina-E-Taiyeba Balke Duniya Ke Tamam Makamate Mutabarraka Se Fazilat Aur Buzurgi Me Badhe Hue hai...

⭐Huzur ﷺ Ne Farmaya Ke Mere Hujre Aur Mimber Ke Darmiyan Jo Jagah Hai Wo Jannat ke Bago Me Se Ek Baag Hai....

🌹IS TARAF ROZE KA NOOR US SIMT MIMBAR KI BAHAR..

💐BICH ME JANNAT KI PYARI PYARI KYARI WAH-WAH....

🌀MASJIDE NABAWI SHARIF....

☀Masjide Nabawi Sharif Masjide Haram Ke siwa Duniya ki Tamam Masjido Se Afzal hai Aur Sawab Ki Kasrat me Bartaro Baala hai...

⭐Yaha Ek Farz Namaz Ka Sawab 1000 Farz Namazo Ke Barabar hai , Aur 1 Nafil Ka Sawab 1 Lakh Nafil Namazo Ke Barabar hai...

↪Hadees-01.

☀Jo Saksh Meri Masjid Me 40 Namaze Ada Kare Jab Uske Darmiyan Koi Namaz Fout Na ho to Uske Liye Jahannam Aur Azab Se Nizat Aur Nifaq Se Bara'at Likh Di Jati hai...

↪Hadees-02.

⭐Jo Saksh Achi Trah Wuzu Karke Meri Masjid Me Namaz Padhne Ke Irade Se Chala Aur Masjid Me Aakar Namaz Ada ki to Uske Nama'E-Amal Me Ek Kameel Hajj Ka Sawab Likh Diya jata hai...

☀Masjide Nabawi Shairf Me Jitni Tousiyat Hoti hai Wo Sab Masjide Nabawi hai Hatta ke Madina Munawwara Ki Moujuda Aabadi Agar kisi Zamane me Masjide Nabawi Ki Tousi'a Me Aa Jae to Wo bhi Masjide Nabawi Sharif ke Faza'il Me Shumar Hogi...

⭐Masjide Nabawi Sharif Me Jab bhi Dakhil ho "AETE'QAF" Ki Niyyat Kar le, Kyunki Yaha Ek Neki ka Sawab 50,000 Ke Barabar hai To 1 Aete'qaf Ka Sawab 50,000 Nafli Aete'qaf Ke Barabar Milega...

⚡SUFFAH.....

☀Kadeem Masjide Nabawi Sharif Ke Ikhtetam Par Ek Saheban Jisme Fukra, Muhajirin Aur Gurba رضوان اللہ تعالی عليهم أجمعينٰ Sukoonat Pazeer The "Inki Taa'dat 100 Ya 100 se Kuch Zyada Thi Suffah(Saeban) Me Rehne Wale Hazrat Sahaba Ko Ashabe Suffah Kaha Jata hai....

⭐Ye Ashabe Suffah Raat din Ibadate Ilahiya Me Masroof Rehte the Aur Hadeese Rasool-E-Kareem ﷺ Yaad Farmate Rehte the...

☀Ashabe Suffah Jab Bhook Se Nidhal Ho jate To Saiyede Aalam ﷺ Khud Unke Pas Tashrif Late aur Tasalli Dete Hue Irshad Farmate "Tum log Amno Aman Wale ho Agar Tum Log Apne Martabe Se Aagah Ho Jao to Khawaish Karoge ke Fakro Fanka Ziyada Ho jae...

⭐Masjide Nabawi Sharif Me Suffah Ka Chabutra Mashoor hai Jo Pital Ki Khoobsurat Jaliyo se Ghera hua hai Is Suffah Ke Bae Janib "Mashhade Usmani hai Jaha Saiyedna Usmane Ghani  رضي الله تعالي عنه Sahadat-E-Uzma se Shadkam Hue the Ye Jagah Darwaze Se Dakhil hote hi Bayi Taraf hai Aur Isse Muttasil Hi Suffah hai...

🌀MASJIDE QUBA....

☀Hazrat Abu Hurraira  رضي الله تعالي عنه Se Mankul hai "Jisne 4 Masjido me Namaze Padhi Uske Gunaah Baksh Diye Jate hai Un 4 Masjido se Muraad...

☑MASJIDE HARAM...

☑MASJIDE NABAWI...

☑MASJIDE QUBA..

☑MASJIDE AKSHA....

⭐Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke "Masjide Quba Me Namaz Padhna Umrah Ke Barabar hai...

☀Masjide Quba Ki Ziyarat ke Liye Sabse Behter Din Sanichar(Saturday) Ya Iske Bad Peer Ka Din Hai, Huzur ﷺ Har Sanichar Ko Paidal Ya Sawari par Masjide Quba Tashrif Late the....

⚡Jannatul Baqee –

☀Dunya ka afzaltareen Qabrastan, jo Masjide Nabawi ke qareeb jaanibe mashrik hai, jis me Hazrate Khatoone jannat Sayyeda Faatima radi-Allāhu ta’ala anha aur deegar saahabzadi e rasool, Azwaaj e muttahiraat, Imaam Hasan al-Mujtaba, Imaam Zain ul aabideen, Imaam Mohammad al-Baaqir, Imaam Jaafar al-Saadiq, Hazrate Abbas bin Abdul Muttalib, Hazrate Aqeel bin Abi Taalib, Hazrate Faatima bint Asad, Hazrate Usmaan Ghani, Hazrate Haleema Saadiya, Imaam Maalik bin Anas aur bahot saare Ashaba, Taabe’in, Auliya Allāh aur Shohada aaraam farma rahe hain.

⚡Masjid e Qiblatain –

⭐Is masjid me 2 qible hain : ek Baitul muqaddas ki taraf wala aur dusra Baitullāh ki taraf wala. Is Masjid me Tahweele Qibla hua tha ya’ni ALLĀH ta’ala ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki dil ki khwaahish par musalmaano ke liye qibla Bait ul Muqaddas ki taraf se badalkar Ka’abatullāh ki taraf kar diya aur Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne haalat e namaaz me apna rookh Baitullāh ki taraf kar diya.

⚡Masjid e Ijaabah –

☀Is maqaam par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne 2 rak’at namaaz ada karke 3 duaen maangi thi. In me se 2 qubool hui aur ek se rok diya gaya.
Wo 3 duaen ye thi :

1⃣Ya ALLĀH, Meri ummat ko kehatsaali ke sabab halaak na ho.
(Qubool hui),

2⃣Ya ALLĀH, Meri ummat gark hone se halaak na ho. (Qubool hui),

3⃣Ya ALLĀH, Meri ummat aapas me na lade.
(Rok diya gaya).

⚡Hazrate Salmaan Faarsi ke Baagh –

☀Yaha Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Salmaan Faarsi radi-Allāhu ta’ala anhu ke liye khajooro ke beej boye the jis me se ek raat me (ajwa) khajooro ke darakht uge the.

⚡SHOHDA-E-OHOOD....

☀Ohood Pahad Ke Mutallik Allah ke Habib ﷺ Ne Irshad Farmaya Hai "Ohood Ek Pahad Hai Jo Humko Mehboob Rakhta hai Aur Hum bhi Use Mehboob Rakhte hai Ye Jannat ke Darwazo me se Ek Darwaze par hai....

⭐Huzur ﷺ Har Saal Ke Shuru Aur Darmiyan Me Shohda-E-Ohood Ki Qabro Par Tashrif Late The to Ye Farmate The...

⚡SALAMUN ALAYKUM BIMA SABARTUM FANI'AMA UKBADDAR....

☀Neez Ye Farmate the Ke Jo Saksh Sohda-E-Ohood Par Guzre Aur Inko Salam Kare To Ye Sohda Qayamat Tak Uspar Salam Bhejte Rahenge.....

📢EK ILTEJA....

📌Kafi Hazrat Umrah ke Liye Rawana Ho Chuke hai Aur Kafi Hazrat Ab Jane Wale hai Unse Meri Guzarish hai Ki Allah ke Us Muqaddas Darbar me Mere Liye Mere Ghar Walo Ke Liye Aur Humari M.G.M Team ke Liye Dua kare Ki Allah Taa'la Hume Ese Hi deen ki Khidmat Anjam Dene ki Toufiq Ata Farmae....

📌Aur Madina Sharif me Roza-E-Aqdas ke Samne Mujh Faqeer *MUHAMMAD ZUBER HABIBI QADRI* ka Naam Lekar Salam Zarur Pesh Kare Aur Dua Kare Ki Muje Mere Ghar Walo Ko Aur Mere Sabhi Azeez Dost Ahbaab ko Us Jagah Ka Deedar Naseeb ho....

آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ

No comments:

Post a Comment