Wednesday, June 15, 2016

["AETIKAF-KA-BAYAN"]

          🌋🎑⛺🌋🌇🏁🏁🌇🌋⛺🎑🌋
         🚦🚦"AETIKAF-KA-BAYAN"🚦🚦
          🌋🎑⛺🌋🌇🏁🏁🌇🌋⛺🎑🌋
          〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
              ⛵⛵PART- [ 1 ] -OF- [ 16 ]
          〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

               💐 [ TOPIC ]=√√√

🚦[ 1 ] AETIKAF [ AETIKAF ] KE AHAM MASLE MASAIL

🚦[ 2 ] AETIKAF [ AETIKAF ] KA BAYAN AUR FAZILATE

🚦[ 3 ] AETIKAF [ AETIKAF ] KI FAZILATE

💐Aetikaf (Aetikaf) Ke Aham Masle Masail💐

                            √{Hadees}√

🔳🖊 Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Wo Kehti Hain,
Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Par Sunnat Ye Hai Ki Wo Na Mareez Ki Ayadat Ko Jaye Na Janaze Me Hazir Ho, Na Aurat Ko Hath Lagaye,
Aur Na Usse Mubashirat Kare, Aur Na Kisi Hajat Ke Liye Jaye.
Magar Us Hajat Ke Liye Ja Sakta Hai Jo Zaroori Ho.
Aur Aitekaf Bagair Roza Ke Nahi,
Aur Aitekaf Jamat Wali Masjid Me Kare

📍🖋 سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب المعتكف يعود المريض، جلد-2، صفحہ-492، الرقم الحديث-1172.

                                [Mas’ala]

🔳🖊 [ 1 ] Mahina Aitekaf Ki Minnat Mani To Ye Aitekaf
Ramzan Me Puri Nahi Kar Sakta… Balki Khas
us Aitekaf Ke Liye Roze Rakhne Hoge

       📚{Alamgeeri, Volume-1, Page-211}

                            [ Mas’ala ]

🔳🖊 Aurat Ne Aitekaf Ki Minnat Mani To Shohar Use Aitekaf Karne Se Rok Sakta Hai. Aurat Shohar Se Talalq Pane Ya Uske Marne Ke Bad Apni Minnat Puri Kar Saki Hai...?

    📚{Alamgeeri, Volume-1, Page-211}

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
     ⛵⛵PART- [ 2 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Mas’ala:   Wajib Aitekaf (minnat ka Aitekaf) Me Motakif
Ko Masjid Se Nikalna Haram Hai.
Agar Bagair Uzr Nikla To aitekaf Toota Agarche Bhool Se Hi
Nikla Ho, Yun Hi Aitekafe Sunnat (Ramzan Ke Akhri Ashre Ka Aitekaf) Me Bhi Bila Uzr Nikalne Se Aitekaf Toot Jata Hai.

     📚{Alamgeeri, Volume-1, Page-211}

💈🖊 Mas’ala:   Aurat Ne Masjide Bait (ghar me wo hissa jo  aurat ne apne namaz padhne ke liye Banaya ho) Me Sunnat Ya Wajib Aitekaf kiya Aur
Wahan Se Bila Uzr Nikli To Aitekaf Toot Gaya...?

      📚 {Alamgeeri, Volume-1, page-212}

💈🖊 Motakif (jisne Aitekaf Kiya) Ko Masjid Se Nikalne Ke 2 Uzr (wajah) Hain....?

💈🖊 Mas’ala:  { 1 }- Hai Tabie Hajat… Jaise Pakhana Peshab istinja Wazu Aur Gusl. Agar Masjid Me Wazu Aur Gusl Ke Liye Bana Ho
To Ab Bahar Jana Jayez Nahi Gaya To Aitekaf Toota.
2-Shari Hajat.  masla’lan Eid Ya Juma ke Liye  Jana Ya Azan Kehne Ke Liye Minare Par  Jana....?

📚{Durre Mukhtar, Volume-3, Page-501}

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
     ⛵⛵PART- [ 3 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Mas’ala:  Qazaye Hajat (pakhana peshab) Ko Bahar Gaya To Farig Hote Hi Chala aaye Thaherne Ki ijazat Nahi.  Motakif Ke 2 Makan Hain eik Masjid Se
Door Aur Eik Nazdeek To Nazdeek Ke makan  Me Jaye Baz Mashayekh Farmate Hain Agar Door Ke makan Me Gaya To Aitekaf Toot Gaya...?

📚{Raddul Mohtar, Volume-3, Page-501}

🔳🖊 Mas’ala: Aisi Masjid Me Aitekaf Kiya Jahan Jamat Se Namaz Na Hoti Ho To Namaze Ba-jamat Ke
Liye Dusri Masjid Me Jane Ki Ijazat Hai...?

📚 {Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1024}

🔳🖊 Mas’ala: Jis Masjid Me Aitekaf Kiya Tha Wo Gir Gai Ya Kisi Ne Wahan Se Nikalne Pe Majboor Kiya To Faoran Dusri Masjid Me Jaye Aitekaf Nahi Tootega..?

      📚{Alamgeeri, Volume-1, Page-212}

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
     ⛵⛵PART- [ 4 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Mas’ala:  Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Agar Dubte Ya Jalte Ko Bachane Ke Liye Masjid Se Bahar
Gaya Ya Mareez Ko Dekhne Ya Jihad Karne Ya Gawahi Dene Masjid Se Bahar Gaya Ya Namaze Janaza Padhane Gaya Aur Wahan
Dusra Padhane Wala Nahi Tha Tab Bhi In Tamam Surton Me Aitekaf Toot Jayega....?

📚 { ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ . ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﻮﻡ، ﺍﻟﺒﺎﺏ ﺍﻟﺴﺎﺑﻊ ﻓﻲ ﺍﻻﻋﺘﻜﺎﻑ، ﺟﻠﺪ 1- ، ﺻﻔﺤﮧ .212-}

🔳🖊 Mas’ala:  Aitekaf E Wajib (Minnat Ka Aitekaf) Karte Waqt Ye Shart Kee Thi Ki Mariz Ko Dekhne Namaze Janaza Aur ILMI MAJALIS Me Hazir Hoga To
Ye Shart Jayez Hai. Ab Agar in Kamo Ke Liye Masjid Se Bahar Gaya To Aitekaf Na Toota. Magar Sirf Dil Me Niyyat Kafi Nahi Balki Zaban Se Kehna Bhi Zaroori Hai...?

📚 { ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﻮﻡ، ﺍﻟﺒﺎﺏ ﺍﻟﺴﺎﺑﻊ ﻓﻲ ﺍﻻﻋﺘﻜﺎﻑ، ﺟﻠﺪ 1- ، ﺻﻔﺤﮧ .212-}

🔳🖊 Mas’ala:  Motakif Pakhana Peshab Ke Liye Gaya Tha Qarz Khawah Ne Rok Liya To Aitekaf Toot
Gaya..?

📚 {ﺑﻬﺎﺭ ﺷﺮﯾﻌﺖ، ﺍﻋﺘﻜﺎﻑ ﻛﺎ ﺑﻴﺎﻥ، ﺣﺼﮧ5- ،
ﺻﻔﺤﮧ 1025- }

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
     ⛵⛵PART- [ 5 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Mas’ala:   Motakif Ne Din Me Bhol Kar Khaya Piya To Na Roza Toota Na Aitekaf, Motakif Ne Haram Maal Ya Nasha Ki Chiz Rat Me Khai To Aitekaf Nahi Toota,  Magar is Haram Khori Ka Gunah Hua is
Liye Tauba Kare. Motakif Masjid Me Hi Khaye Piye Soye In Kamo Ke Liye Masjid Se Bahar Gaya To Aitekaf Fasid Hua, Magar Khane Pine Me Masjid Ki Safai Ka Khoob Khayal Rakhe Masjid Me Gandagi Na Ho, Aitekaf Me Gali Galoch Ya Jhagda Karne
Se Aitekaf Nahi Toot’Ta Magar Be’Noor Aur Be-
Barkat Hota Hai...?

📚{ ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﻮﻡ، ﺍﻟﺒﺎﺏ ﺍﻟﺴﺎﺑﻊ ﻓﻲ ﺍﻻﻋﺘﻜﺎﻑ، ﺟﻠﺪ 1- ، ﺻﻔﺤﮧ .213- }

🔳🖊 Mas’ala: Motakif Ke Siwa Masjid Me Kisi Aur Ko Khane Pine Aur Sone Ki ijazat Nahi, Agar Ye Kaam
Karna Chahe To Masjid Me Aitekaf Ki Niyyat Kare Aur Namaz Padhe Ya Zikre ILAHI Kare Phir Ye Kaam Kar Sakta Hai...?

📚{ﺑﻬﺎﺭ ﺷﺮﯾﻌﺖ، ﺍﻋﺘﻜﺎﻑ ﻛﺎ ﺑﻴﺎﻥ، ﺣﺼﮧ5- ، ﺻﻔﺤﮧ 1026- }

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
     ⛵⛵PART- [ 6 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Mas’ala:  Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Ko Chahiye Ki Halate Aitekaf Me Kasrat Se Quran E Majeed Ki Tilawat Kare, Hadees Sharif Padhe,
Durood Sharif Padhe,
Deen Ka ILM Sikhe Aur Sikhaye, Huzoor E Pak ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ O
Deegar Ambiya Alaihimussalam Ki Sirate
Tayyebah Padhe. Awliya O Saliheen Ki Hikayaat Padhe...?

📚{ ﺑﮩﺎﺭ ﺷﺮﯾﻌﺖ، ﺍﻋﺘﮑﺎﻑ ﮐﺎ ﺑﯿﺎﻥ، ﺣﺼﮧ5- ، ﺻﻔﺤﮧ .1027-}

🔳🖊 Mas’ala:  Motakif Chup Rehne Ko IBADAT Samjhe To Ye Makroohe Tehrimi Hai, Agar Sawab Samajh Ke Na Ho Aur Aise Hi Chup Raha To Harj Nahi.
Agar Buri Baat Se Chup Raha To Ye Aala Darje
Ki Chiz hai Q Ki Zuban Se Buri Baat Na Nikalna Ye Wajib Hai....?

📚 { ﺍﻟﺪﺭ ﺍﻟﻤﺨﺘﺎﺭ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﻮﻡ، ﺑﺎﺏ ﺍﻻﻋﺘﻜﺎﻑ، ﺟﻠﺪ 3- ، ﺻﻔﺤﮧ .507-}

🔳🖊 Mas’ala:  [1] Mahine Ke Aitekaf Ki Niyyat Maani Thi Aur Mar Gaya To Har Din Ke Badle Sadqae Fitr ke
Barabar Miskeen Ko Fidya Diya Jaye, Jabki Usne Wasiyyat Ki Ho Aur Uspe Wajib Hai Ki Wasiyyat Kar Jaye. Aur Agar Wasiyyat Nahi Kee Thi Magar Warison Ne Apni Taraf Se Diya Tab Bhi Jayez Hai....?

📚{ ﺍﻟﻔﺘﺎﻭﻯ ﺍﻟﻬﻨﺪﻳﺔ، ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺼﻮﻡ، ﺍﻟﺒﺎﺏ ﺍﻟﺴﺎﺑﻊ ﻓﻲ ﺍﻻﻋﺘﻜﺎﻑ، ﺟﻠﺪ 1- ، ﺻﻔﺤﮧ .214-}

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
     ⛵⛵PART- [ 7 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Mard Ko Etikaf Ke Liye Masjid Jaruri Hai Aur Aurat Apne Ghar Ki Us Jagah Me Etikaf Kare Jo Jagah Usne Namaz Ke Liye Mukarrar Ki Ho....?

📚{Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Page 190}

🔳🖊 Jima (Humbistari) Karne Se Etikaf Toot Jata Hai. Kwah Ye Jima Janbuz Kar Kare Ya Bhool Kar.
Din Me Kare Ya Raat Me.
Masjid Me Kare Ya Masjid Se Bahar. Inzal Ho Ya Na Ho. In Sari Surato Me Etikaf Toot Jata Hai....?

                          📚{Hidayah}

🔳🖊 Bos-Kinar (Kiss) Etikaf Ke Halat Me Najaiz Hai. Aur Isse Inzal Ho Jaye (Mani Nikalna) To Etikaf Bhi Toot Jata Hai. Lekin Agar Inzal Na Hua To Najaiz Hone Ke Bawajud Etikaf Nahi Tootta...?

                           📚 {Hidayah}

🔳🖊 Etikaf Jis Wajah Se Bhi Toote Chahe Kasdan Ya Bila Kasd Baharhal Kaza Waajib Hai....?

📚{Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Page 191}

🔳🖊 Motakif Na Chup Rahe Na Baat Kare Balki Quraan Sharif Ki Tilawat, Hadees Ki Kirat Aur Durood Sharif Ki Kasrat Kare. Ilme Deen Ka Dars Wa Tadaris Kare Ambiya Wa Auliya Wa Salehin Ke Halaat Padhe Ya Deeni Baate Likhe....?

📚{Qanoon-E-Shariat Hissa 1, Page 191}

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
     ⛵⛵PART- [ 8 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖋 Islami Bhaiyo Me Ye Galatfehmi Payi Jati Hai Ki Motakif Ko Bilkul Baatchit Karna Mana Hai. Wo Samajhte Hai Ke Masjid Me Parde Tang Kar Iske Andar Bilkul Chupchap Pade Rehna Chahiye. Halaki Aisa Nahi Hai Parda Jaruratan Tang Sakte Hai Magar Is Tarah Ki Kam Se Kam Jagah Ghere. Motakif Ke Liye Parda Lagana Etikaf Ki Jarurat Mese Nahi Hai...

🔳🖋  Etikaf Me Khamoshi Ko Ibadat Samajh Kar Apnaye Rakhna Makrooh-E-Tehrimi (Najaiz) Hai Aur Aghar Chup Rehna Sawab Ki Baat Samajh Kar Na Ho To Muzaika Nahi...

🔳🖋 Aur Buri Baat Se Bachne Ke Liye Chup Rehna To Aa’la Darje Ki Chiz Hai Kyunki Buri Baat Jaban Se Na Nikalna Waajib Hai Aur Nikalna Gunah Hai. Jis Bat Me Na Sawab Ho Na Gunah Yani Mubah Baat Bhi Motakif Ko Makrooh Hai...

🔳🖋  Magar Jarooratan Ijazat Hai Aur Bila Jarurat Masjid Me Mubah Baat Nekiyo Ko Aise Kha Jaari Hai Jaise Aag Lakdi Ko...

                  📚{ Durre Mukhtar }

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
     ⛵⛵PART- [ 9 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Agar Aap Kisi Aise Marz Ki Wajahse Bahar Nikale Jiska Ilaaj Masjid Me Ho Sakta Tha To Etikaf Faasid Ho Gaya.."

                📚{Raddul Mohtar}📚

🔳🖊 Agar Kisi Motakif Ko Nind Me Chalne Ki Bimari Ho Aur Wo Nind Me Chalte Chalte Masjid Se Bahar Nikal Gaya To Etikaf Fasid Ho Gaya.."

                  📚{Raddul Mohtar}📚

🔳🖊 Motakif Ko Sirf Ehtilam Ho Jane Ki Surat Me Gusl Ke Liye Masjid Se Bahar Jana Jaiz Hai.
Isme Bhi Ye Tafsil Hai Ke Agar Masjid Ke Andar Rehte Gusl Karna Mumkin Ho Maslan Kisi Bade Bartan Me Baith Kar Is Tarah Gusl Kar Sakta Ho Ki Pani Masjid Me Na Gire To Bahar Jana Jaiz Nahi.  Lekin Agar Ye Surat Mumkin Na Ho Ya Sakht Dushwar Ho To Gusl-E-Janabat Ke Liye Bahar Ja Sakta Hai.."

                   📚{Fatahul Qadir}📚

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
     ⛵⛵PART- [ 10 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

💐Aetikaf (Aetikaf) Ka Bayan Aur Fazilate💐

                   💝Aetikaf(Aetikaf)💝
🔳🖊 Ramzan Ke Aakhri Ashre Me Kiya Jata Hai.
(20we Roze ke Suraj Guroob Hote Hi Masjid Me Jana Aur Eid Ka Chand Nazar Aane Par Masjid Se Bahar Hona) Ye Aetiekaf 10 Dino Ka Hai...

🔳🖊 Khush Naseeb Hai Wo Log Jo ise Ada Karte Hain Rat O Din Masjid Ke Noorani Mahol Me Reh Kar Chote Bade Gunaho Se Bachte Hai  Aur Zikro Tilawat Duroode Pak O Nate Pak Ki Kasrat Se Apni Kahirat Sanwarte Hai

🔳🖊 Etikaf Ki Bohot Badi Fazilate Hadees-E-Paak Me Aayi Hai. Jinme Se Kuch Yaha Bayan Ki Hai.

💝Aetiekaf 3 Tarah Ke Hai💝

🔳🖊 1 -Waajib Yani Minnat Ka Aitekaf,

🔳🖊 2 -Sunnate  Moakkedah Ye Ramzan Ke Aakhri Ashre Ka Aitekaf Hai,

🔳🖊 3 -Mustahab Aitekaf, Iske Liye Roza Zaroori Nahi Na Koi Khas WAQT Balki Jab Bhi Masjid Me Gaya Aitekaf Ki Niyyat Kare, Jab Tak Masjid Me Rahega Motakif Hai Aur Jab Chala Aaya Aitekaf Pura Ho Gaya..

🔳🖊 Ye Baigar Mehnat Ka Aitekaf Hai Sirf Niyyat Se Hi Sawab Milna Shuru Hota Hai.. Lihaza Jab Bhi Masjid Me Jaye Aitekaf Ki Niyyat Zaroor kare..

                        💝Mas’ala💝
Aetikaf e sunnat (Ramzan Ke Aakhri Ashre Ka Aetikaf) Me Roza Shart Hai Agar kisi musafir Ya Bimar Ne Aitekaf Kiya Magar Roza Nahi Rakha To Sunnat Ada Na Hui Balki Aitekaf Nafl Hua...

📚{الدر المختار، كتاب الصوم، باب الاعتكاف،  جلد-3، صفحہ-496.}

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
    ⛵⛵PART- [ 11 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Mas’ala: Minnat Ke Aitekaf Ke Liye Bhi Roza Shart Hai. Agar 1 Mahine Ke Aitekaf Ki Niyyat Mani Aur Kaha Ki Bina Roze Ke Sirf Aitekaf Karuga Tab Bhi Roza Rakhna Wajib Hai...

📚{الفتاوى الهندية، كتاب الصوم، الباب السابع في الاعتكاف، جلد-1، صفحہ-497.}

🔳🖊 Hadees:   Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai, Sarkar-E-Madina صلى الله تعالى عليه وسلم Ramzane Pak Ke Aakhri Ashre Me Aitekaf Farmaya Karte The..

📚{صحيح مسلم، كتاب الاعتكاف، باب الاعتكاف العش الأوخر من رمضان، صفحہ-597، الرقم الحديث-1172،}

🔳🖊 Hadees:  Sayyedna Imame Hussain رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Huzoor Nabiye Kareem صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya.
Jisne Ramzan Me 10 Dino Ka Aitekaf Kiya To Aisa Hai Jaise 2 Hajj Aur 2 Umre kiye...

📚{شعب الایمان، باب في الاعتكاف، جلد-3، صفحہ-425، الرقم الحديث-3966،}

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
    ⛵⛵PART- [ 12 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Hadees:  Ummul Momineen Hazrat Sayyedah Aisha Siddiqah رضی اللہ تعالٰی عنہا Se Riwayat Hai Wo Kehti Hain, Motakif (Jisne Aitekaf Kiya) Par Sunnat Ye Hai Ki Wo Na Mareez Ki Ayadat Ko Jaye Na Janaze Me Hazir Ho, Na Aurat Ko Hath Lagaye, Aur Na Usse Mubashirat Kare, Aur Na Kisi Hajat Ke Liye Jaye.
Magar Us Hajat Ke Liye Ja Sakta Hai Jo Zaroori Ho.
Aur Aitekaf Bagair Roza Ke Nahi, Aur Aitekaf Jamat Wali Masjid Me Kare..

📚{سنن أبي داود، كتاب الصيام، باب المعتكف يعود المريض، جلد-2، صفحہ-492، الرقم الحديث-1172.}

🔳🖊 Ramzan Ke Aakhri 10 Din Ka Aitekaf Yani 20we Roze Ko Suraj Doobte WAQT Masjid Me Ba-Niyyate Aitekaf Hona Aur 30we Ramzan Ko Suraj Doobte Hi Nikalna ya 29 Ko Chand Nazar Aane Par Masjid Se Nikalna, Agar 20we Ramzan Ko Namaze Magrib Ke Bad Aitekaf Ki Niyyat Se Dakhil Hua To Sunnate Moakkedah Ada Na Hui. RAMZAN Ka Aitekaf Sunnate Kifayah Hai, Agar Shaher Ya Gaon Ke Sab Logo Ne Chhod Diya To Sab Se Puch Hogi, Aur Agar Eik Ne Bhi Kiya To Sab Bariuz’zimmah Hain..

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
    ⛵⛵PART- [ 13 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Mas’ala:  Masjid Me Allah Ke Liye Niyyat Ke Sath Thaherna Aitekaf Hai, Aur Uski Liye Musalman AAQIL (Aqal wala) Aur Janabat Aur Haiz O Nifas Se Pak Hona Shart hai. Balig Hona Shart Nahi, Balki Na’Balig Jo Tameez Rakhta Ho Agar Ba-Niyyate Aitekaf Masjid Me Tehre To Ye Aitekaf Sahi Hai...

📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, Page-1020}

🔳🖊 Mas’ala: Aitekaf Ke Liye Jama Masjid (Badi Masjid) Shart Nahi, Balki Masjide Jamat Jisme Imam O Mo’azzin Muqarrar Hon Agarche Usme Panjgana Jamat Na Hoti Ho, Aur Asani isme Hai Ki Mutlaqan Har Masjid Me Aitekaf Sahi Hai, Agarche Wo Masjide Jamat Na Ho, Khususan Is Zamane (Gaon Dihat Me) Aksar Masjide Aisi Hain Ki Wahan Na imam Hai Na Mo’azzin..

📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-5 Aitekaf Ka Bayan, Page-1020}

🔳🖊 Mas’ala: Sab Se Afzal Aitekaf Karna Masjide Haram (Kabatullah) Me, Phir Masjide Nabwi Me,
Phir Masjide AQSA Me, Phir Usme Jahan Badi Jamat hoti Ho..

📚{Bahar-E-shariat, Hissa-5, Aitekaf Ka Bayan, Page-1021}

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
    ⛵⛵PART- [ 14 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Mas’ala: Aurat Ko Masjid Me Aitekaf Karna Makrooh Hai. Balki Wo Ghar Me Hi Us Jagah Aitekaf Kare Jo Usne Namaz Padhne Ke Liye Banai Ho.
Aurat Ke Liye Mustahab (Achcha) Ye Hai Ki Ghar Me Namaz Padhne Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Kare.
Wo Jagah Chabutra Type Unchi Ho. Aur Use Pak O Saf Rakhe…

📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021}

🔳🖊 Mas’ala: Agar Aurat Ne Ghar Me Namaz Ke Liye Koi Jagah Muqarrar Nahi Kee To Ghar Me Aitekaf Nahi Kar Sakti. Albatta Us Waqt Jab Aitekaf Ka Iradah Kiya Kisi Jagah Ko Aitekaf Ke Liye Khas Kiya To  Us Jagah Aitekaf Kar Sakti Hai...

📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-1021}

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
    ⛵⛵PART- [ 15 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Tajdare Madina Suroore Kalbo Sina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Jo Shaks ALLAH Ki Khushnudi Ke Liye Ek Din Ka Etikaf Karega. ALLAH TA’ALA Uske Aur Jahannam Ke Darmiyan 3 Khandake Hail Kar Dega.
Jinki Musafat Aasmano Zamin Ke Fasle Se Bhi Jyada Hogi.

📚{ Kanzul Umaal }

🔳🖊 Nabi-E-Kareem Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Jo Shaks Khalis Niyat Se, Bagair Riya Aur Bila Khwahishe Shohrat Ek Din Etikaf Baja Layega.
Usko Hazaar Raato Ki Shabbedari Ka Sawab Milega Aur Uske Aur Dozakh Ke Darmiyan Ka Fasila 500 Baras Ki Rah Hoga”.

📚{ Tajkiratul Wayezin }

🔳🖊 Sarkare Do Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Jo Shaks Masjid Me Magrib Se Le Kar Isha Tak Mua’takif Rahe. Namaz Wa Quraan Sharif Ki Tilawat Ke Siwa Kalaam Na Kare To ALLAH TA’ALA Par Laazim Hai Ki Apne Karam Se Us Mua’takif Ke Liye Jannat Me Mehel Tayyar Kare”.

📚{ Kashaful Gumma }

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
    ⛵⛵PART- [ 16 ] -OF- [ 16 ]
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
⚠ COMPELET LAST PART ⚠
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

🔳🖊 Hazrate Sayyaduna Ibne Abbas Radiallahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ke Rehmate Aalam Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Etikaf Karnewala Gunaho Se Mehfuz Ho Jata Hai.
Aur Uski Tama Nekiya Isi Tarah Likhi Jati Rehti Hai Jaise Wo Inko Khud Karta Raha Ho”.

           📚{ Mishkat Sharif }

                 📚 Hadees 📚
🔳🖊 Sayyedna Imame Hussain رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Huzoor Nabiye Kareem صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya. Jisne Ramzan Me 10 Dino Ka Aitekaf Kiya To Aisa Hai Jaise 2 Hajj Aur 2 Umre kiye..

📚{شعب الایمان، باب في الاعتكاف، جلد-3، صفحہ-425، الرقم الحديث-3966،}

🔳🖊 Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya “Jo Shaks Khaalisan Livazihillah Ramzan Mubarak Me Ek Din Aur Ek Raat Ka Etikaf Kare To Usko 300 Shahido Ka Sawab Milega...

       📚{ Tazkiratul Wayezin }

                  ⚠ THE END ⚠
🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥
📶 TO BE CONTINUED
            POSTED BY

↘ FROM
👑 GULAM-E-AALA-HAZRAT 👑

🍭  TALIB E DU'AA
🌷  Jamaluddin Raza
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🌍IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE  G.E.A.H  FB PAGE LINK PE CLICK KRE.....

https://m.facebook.com/1765594710320274/albums/1838963606316717/

🖥VISIT  G.E.A.H PAGES LINKE & COMMENTS

💻 https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/

💻 https://plus.google.com/116611277293695153777

💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥🚥

No comments:

Post a Comment