Sunday, April 3, 2016

♛ZIYARAT E QABR♛

ZIYARAT E QABR
♥ ♥ Hadees-e-Pak ♥ ♥

"Jo apny Walidain ya 1 ki Qabr par har Jumma k din ziarat k liye hazir ho ALLAH usky gunah bakhsh dayga or Maa Baap k 7 bhalai karny wala likh dia jaye ga"
[ NAWADIR UL USOOL P97 H130 ]

Qabr par Phool Daalna Behtar Hai Ke Jab Tak Rahega Tasbih karega aur Maiyat Ka Dil Behlaega.
[ RADDUL-MUHTAR JILD:3 SAFA:184 ]
Also Mentioned In:
{ BUKHARI SHARIF jild 1, KITABUL WUZU, BAB UL AZAB e QABAR, HADEES 169 }

HADEES:
Jo Ba-Niyyate Sawaab Apne Waledain Dono ya ek ki Qabr ki Ziyarat kare, Hajje Makbool ke barabar Sawab Paye, Aur Jo Ba-kasrat Inki Qabr Ki ziyarat Karta ho Fariste Uski Qabr ki (Jab ye fout hoga) Ziyarat ko Aae.
[ KANZUL-UMAL J:16 S:200 H:45536 DarulKutbul-Ilmiya, Bairut ]

Har Sal awlia allah k parda farmane(urs)k din unki mazarat ki ziyarat karna sunnat hai:

Abu hurraira(RA) saad bin abi waqas(ra) mohammed bin ibrahim(ra)ukhba bin omer(ra)se riwayat hai k huzoor(SALLALLAHI ALIHI WASALLAM)har saal shauda e uhad ki mazar par tashrif le jate aur unhe farmate tum par salam ho kuon k tumne sabar kiya. r akhirat ka ghar kaisa achha hai. r ishi tarha abubakar(ra) omer(ra)osman(ra) ali(ra) bhi har sal shauda-e-uhad k mazar-e-mubarak ki ziyarat karte thay

>Sharah al sudoor pg210,
>tafsir jamia al biyan13/ 96,
>ibne kasir2/ 791,
>tafsire kabir19/ 45,

Tabligijamat deobandi r ahle hadis k log kehte hai har sal AwliaAllah ki mazarat ki ziyarat karna shirk / biddat hai.(Ma'zallah)

Allah k nayk bandon ki jagah par jakar duwa mangna nabion ki sunnat hai:

Quran:
Zakaria(Alaihis salaam)ko barso se tamana thi k unhe beta ho r unhone kai bar allah se duwa mangi yaha tak k aap zahif ho chuke thay. jab unhone maryam(ra) ki ibadat ki jagah dekhi k waha be mausam phal ate hai to us waqt unhone waha duwa mangi r aap ki duwa qubol hogayi
( Para 3 al imran 37 39 )

Ahle hadis,tabligi jamat k log kehte hai allah k nayk bandon ki jagag par jakar duwa mangna shirk hai.-Ma'azallah

Huzur behtar Jante hai ki Musalmaan Qabro par jaa ke kya karenge. Agar Shirk w Haraam ka Dar hota to Huzur hargiz Ijazat na dete.

- Musalmaanon par Shirk Ke fatwe Laganewale Gour karey.

- Hadees sarif ke mutabik Musalmanon par Shirk Biddat Aur Haram ke fatwe Laganewale Khud MUSHRIK hai.
[Narrated by Ibn Hibban in his Sahih, Tahqiq Nasir Albani, Volume 001, Page No. 200, Hadith Number 81]

√ Wasle Maola Chahte Ho To Wasila Dhundh Lo,
√ Be Wasila Najdiyun HarGiz Khuda Milta Nahi.
♥ MUFTI E AZAM HIND ♥

No comments:

Post a Comment