Sunday, April 3, 2016

♚AQIDA-E-AHLE-SUNNAT♚

√ AQIDA-E-TOUHEED ♥
√ AQIDA-E-AHLE SUNNAT ♥

Allah Ta'ala Ek Hai, Uska Koi Sharik Nhi, Na Zaat Me, Na Sifaat Me, Na Af'aal Me, Na Ahkaam Me, Na Asmaa Me, Wo Wajibul Wujood He (Uska Wajud Zaruri He) Hamesha Se Hy, Or Hamesha Rahe Ga.
[♥Bahaar e Shariat V1, P1♥]
→ MADADGAAR SIRF ALLAH TA'ALA HAI ←

"Yeh is liye ke Musalmaanon ka madadgaar ALLAH hai" .
(Surah e Muhammad, Aayat 11, Parah 26) *

JIBRAEL (ALEHI SALAAM) AUR AULIYA E KARAM BHI MADADGAAR HAIN

"Beshak ALLAH un ka madadgaar hai, aur Jibrael, aur Naik Momineen madadgaar hain".
(Surah e Tehreem, Aayat 4, Parah 28)

Pehli Aayat par Gor karen to yeh Sawaal peIda hoga, ke Madad karna ALLAH TA'ALA ki siffat hai, phir dusri Aayat main Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) aur AUliya-E-Karam ko madadgaar farmaya, to kiya yeh SHIRK Huwa???

Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael (Aleh Salaam), aur Aliya-E-Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma rahi hai, us main Aur jis ko Ata kiya ja raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta, aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga???

♥ * Bagaier ALLAH TA'ALA ki Ijazat ke Koun hai jo SHAFA'AT Kare ♥

"Koun hai jo Shafa'at kare bager Izn-E-KUDAWANDI ke".
(Suarh e Bakarah, AaytalKursi, Parah 3)

* HAZRAT EESAA (AlehI Salaam) ka ALLAH TA'ALA k Hukum se Shifa dena "Aur main Accha karta hun Andhay aur Korhi ko, aur Murday zinda karta hun, ALLAH ke Hukum se".
(Surah e Al Imran, Aayat 49, Para 3)

Pehli Aayat se maaloom huwa k Bager ALLAH TA'ALA ki Ata k kisi k liye Shafa'at ka Aqeedah rakhna SHIRK hai magar ALLAH TA'ALA ki Ata se Shifa'at ka Aqeedah rakhna "TAUHEED" hai, isi tarah dusri Aayat se maaloom huwa, k murdon kochalana, shifa dena, yeh ALLAH TA'ALA ki Siffaat hain, magar ALLAH TA'ALA kisi ko ata karden, to ALLAH k khazane main koi kami nahin, Lihaza Ahle ALLAH k muta'alliq yeh Aqeedah rakhna k woh ALLAH TA'ALA ki Ata se murdon ko chala sakte hain, yeh SHIRK nahin hai, Q ke ZAATI aur Ataai kaam baraabar nahin ho sakte, aur jab Baraabari nahin to SHIRK bina huwa.

Aur ALHAMDULILLAH, AHL E SUNNAT ka bhi yahi Aqeedah hai.

♥ * ALLAH TA'ALA jise Chahe Aulaad de ♥

"ALLAH jise chahay Betiyan Ata farmae, aur Jise chahay Betay de".
(Surah e Shooraa, Aayat 49, Parah 25)

* HAZRAT JIBRAEL (Alehi Salaam) ne kaha main tujhe Beta dun.

"(Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) ne BIBI MARYUM sekaha) Kaha main tere RAB ka Bheja huwa hun, Taa k main t ujhe ek Suthra Beta dun"
(Surah Mariyum, Aayat 19, Parah 16)

Pehli Aayat main hai, k Aulaad sirf ALLAH TA'ALA Ata farmata hai, magar is k Bar'aqs HAZRAT JIBRAEL (Alehi SALAAM), Hazrat Mariyum se farmate hain, k main tujhe ek suthra beta dun, to kiya yeh SHIRK hogaya???

Is main Tatbee yun Qaem hogi, K ALLAH TA'ALA khud Aulaad Ata farmata hai, aur JIBRAEL (Aleh Salaam), ALLAH TA'ALA ki Ata se BIBI MARIYUM koBeta de Rahe hain, Lihaza in Aayat main Barabri ka koi Pehlu nahin, Q k ZAATI aur ATAAI barabar nahin hosakte, Jab barabri nahin paai gai, to SHIRK b na huwa.

* ALLAH TA'ALA Mout deta hai. *

"ALLAH jaanon ko Mout deta hai".
(Surah e Zamr, Aayat 42, Parah 24)

♥ * Tumhen MOUT deta hai, MOUT ka farishta ♥

"Tum farmao, tumhen WAFAAT deta hai MOUT ka FARISHTA, jo tum par Muqarrar hai".
(Surah e Sajda, Aayat 11, Parah 21)

Pehli Aayat main hai k, ALAH TA'ALA, MOUT deta hai, magar is k Bar'Aqs, Dusri Aayat main hai k, Tumhen MOUT ka Farishta MOUT deta hai, to Kiya yeh SHIRK hogaya????

Is main Tatbee yun Qaem hogi k ALLAH TA'ALA, MOUT dene main kisi ka Mohtaaj nahin, magar Malakul MOUT (Farishtay) ROOH Qabz karne main ALLAH k hukum k mohtaaj hain, Lihaza Is main BhiBarabari nahin Paai gai, to jab Barabari nahin, Is liye SHIRK b na huwa.

♥NABI-E-PAK ( Sallallahu Alaihi Wasallam )♥ NE SAF SAF ALFAZ MAIN FARMA DIYA:
''MUJHE ISS BAAT KA DAR NAHI K MERAY BAAD TUM ' SHIRK ' KARO GAI PER ISS BAAT KA DAR HAI KTUM APPAS MAIN BUGHAZ RAKHO GE ''
[ Bukhari Jild #2 Page #975 Hadith #6102 ]

♥Ek Aur riwayat ke mutabik♥:
Huzoor Sallaho Alehe Wasallam Ek Roz Shohda-E-Uhad Per Namaz Parhne Ke Lye Tashrif Ley Gae, Jaise Maiyat Per Namaz Parhi Jati Hai Phir Mimber Pe Jalwa Afroz Hoe Or Farmaya,

“Main Tumhara Rehnuma Aur Gawah Hun, Be Shak Khuda Ki Qsam Main Apne Haoz-E-Kausr Ko Ab Bhi Dekh Raha Hun Aur Mujhe Zamin K Khazano Ki Kunjiyan Dey Di Gain Hain Aur Beshk Main Is Bat Sey Be Khauf Hun Key Tum Log Mere Bad Shirk Karne Lago Gey, Balke Dunya Ki Mohbat Main Na Pahns Jao”
[ ♥ Sahi Bukhari Hadith # 1257 ♥ ]

No comments:

Post a Comment