Thursday, March 31, 2016

„APRIL FOOL (JOOTH BOLNA GUNAHE KABEERA HAI)„

🅰PRIL FOOL (JOOTH BOLNA GUNAHE KABEERA HAI)

🚫❌❎❌❎❌❎❌❎

📛 Jhoot bolne wale par Allah Paak ki laanat hoti hai.

⬆(Surah:Al Imran, Surah No:3, Aayat No. 61)

📛 Har saal 1April ko April fool manaya jata hai, is ki ibteda ke bare me mukhtalif Kahaniya Milti hai, “ Kahani koi bhi ho Sawal ye paida hota hai”.

① Kya ham samajhte hai jhoot bolna acchi adat hai?

② Kya ham pasnd karte hai ke koi ham se jhoot bole?

③ Kya ham me se koi pasnd kartaQ hai ke us ka mazakh udaya jaye?

📛Yaqinan ham jhoot ko accha nahi samajhte na hi kisi ka mazakh udana hamare nazdeek koi pasndida harkat hai aur na hi Ham khud apne liye aisa chahte hai to Phir April Fool kaise mana sakte hai Jo Jhoot bolkar doosron ko bewaqoof banana aur unka Mazakh udane ka din hai.

💢Allah Paak Irshad Farmata hai – “Aye Iman walon! Mard doosre Mardon ka Mazaq na udayen Mumkin hai ke ye un se behter ho aur na Aurten Aurton ka Mazaq udayen Mumkin hai ke ye unse behter ho, aur Aapas me ek doosre ko Aaib na Lagao, Aur na kisi ko Bure Laqab do, Iman ke baad Fusq bura Naam hai, Aur jo tauba na karen wahi Zalim log hai.

⬆ (Surah: Al-Hujrat, Surah No:49, Aayat No:11)

① Na mazakh banayye aur na mazakh ka nishana baniye.

② Na jhoot boliye aur na kisi ke jhoot me shamil hoye.

③ Apne akhlaq-o-aamal ki khoobsurti ko duniya ke samne laye ta ke wo jaan saken ke aap kitne shandar deen ke numayenda hain.

① Rasulullah Sallallaho Alaihe WaSallam Ne Farmaya – “Jis ne kisi qoum ki mushabihat ikhtiyar ki wo unhi me se hai.

📒(Bukhari Sharif).

📛Kisi ko Fool banana ek Qabeeh (Buri) harkat hoti hai, Jhoot bole bagair kisi ko bewaqoof nahi banaya ja sakta aur ek Musalman ko Jhoot nahi zeba deta.

② Rasulullah Sallallaho Alaihe WaSallam Ne Farmaya - “Halakat hai us shaksh ke liye jo logon ko hasane ke liye jhoot bole, us ke liye halakat hai, us ke liye halakat hai.

📚(Abu dawood, Tirmizi).

📛 ① Yaad rahe! Musalman wo hai jo apne bhai ke liye wahi pasand karta hai jo apne liye pasnd karta hai, jab ham apne liye jhoot aur mazakh pasand nahi karte to phir kisi doosre ke liye kaise kar sakte hai?.

📢📢📢📢📢📢📢📢📢📢📢

Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai.
Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai.
Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai…

🌷 Allah Paak ham sab ki hifazat farmaye.. Ameen!

📶 TO BE CONTINUED...

⚜ GULAM-E-AALA-HAZRAT

VISIT  G-E-A-H  PAGES LIKE & COMMENTS

💻 https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
💻 https://i.instagram.com/gulameaalahazrat/
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜

Say No To April Fool Day We Are Muslims

ﺃَﻋُﻮْﺫُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اَلصَّلاَةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُولَ اللّٰهِ،

'April Fool' Jhooth Bol Kar Logon Ko Taklif Dene Ka Din.
Is Din Hum Dusron Ko Fool Banane Se
Zyada Khud Fool Bante Hai.
Kaise?
Kya Aapko Nahi Pata Musalman Ko Dhoka Dena Kitna Bada Gunaah Hai?
Kya Aapko Nahi Pata Jhooth Bolnewalo Par Kaun Laanat Karta Hai?
"Dekhiye Is Tarah Ke Din Manaane Ki Ijazat Naa To Humara Zameer Deta Hai, Aur Naa Hi Humara Imaan !"
Aaj Nahi Balki Abhi Se Ahad Karte Hain Ki Aaj Ke Baad April Fool Ke Ek Din Hi Nahi Balki Hamesha Jhooth Bolne Se Bachenge. Jhoot Ek Gunahe Kabeera Hai. Aur Jhoot Ke Mutalliq ALLAH RABBUL AALAMEEN Ne Qurane Pak Me Farma Diya,
"Aur Jhooton Par ALLAH Ki Laanat."
(Surah Aal-E-Imran, Para 3, Aayat 61, Ruku 6, Tarzuma Kanzul Imaan)

Ab Aap Hi Soche Ki Jis Par ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Ki Laanat Ho Uska Kya Hashar Hoga?

Jhoot Ek Kabeera Gunah Hai Jiske Azab Ka Zikr Hadeese Pak Ke Hawale Se Pesh Kar Raha Hu,

Hazrat Abdullah Radiallahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wasallam Ne Farmaya :
"Sach (Hamessha) Neki Ki Raah Dikhaata Hai Aur Neki Jannat Ki Raah Dikhaati Hai. Aadami Sach Bolta Rahta Hai Yaha’n Tak Woh Siddique (Sachcha) Ban Jaata Hai Aur Jhooth Badee Ka Raasta Dikhaata Hai Aur Badee Dozakh Me Le Jaati Hai. Aadami Jhooth Bolta Rahta Hai Yaha’n Tak Ki Use ALLAH  Ta’ala Ke Ha’n Jhootha Hee Likh Diya Jaata Hai.” 
(Bukhari As-Sahih, 05/2261, Raqam-5743)
(Muslim As-Sahih, 04/2012, Raqam-2607)
(Tirmidhi As-Sunan, 04/347, Raqam-1971)
(Aboo Dawood As-Sunan, 04/297, Raqam-4989)
(Ibn Majah As-Sunan, 01/18, Raqam-46)

Safwaan Bin Sulaim Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasoolullah Sallallhu Alaihi Wasallam Se Pucha Gaya Ki Kya Momeen Buzdil Ho Sakta Hai?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Haan.
Phir Pucha Gaya Ki Kya Momeen Kanjus Ho Sakta Hai?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Haan.
Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Pucha Gaya Kya Momeen JHOOTA Ho Sakta Hai?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Faramaya NAHI.
Urdu Ref: (Imam Malik Muwatta,Vol 56, 19)
Eng Ref: (Malik Muwatta,Vol 56, 19)

Muawiyah Ibn Jaydah Al-Qushayri Radhiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
"Halaakat (Barbadi) Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhooti Baat Kare, Iske Liye Kharabi Hai, Iskey Liye Kharabi Hai."
Urdu Ref: (Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1552-Hasan)
Eng Ref: (Sunan Abu Dawud, Book 42, 4972-Hasan)

Abdullah Ibn Masood Radhiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya, "Jhooth Se Bachte Raho Kyunki Jhooth Burayee Ki Taraf Le Jata Hai Aur Burayee Jahannam Ki Taraf, Agar Koi Aadmi Jhooth Bolta Hai Aur Musalsal Jhooth Bolta Rahta Hai To ALLAH Ke Yahan Usko Kazzab (Jhootha) Likh Diya Jata Hai Aur Sach Bolna Tum Par Lazim Hai Kyunki Sach Neki Ki Taraf Le Jata Hai Aur Neki Jannat Ki Taraf Le Jati Hai, Agar Koi Aadmi Sach Bolta Hai Aur Musalsal Sach Bolta Rahta Hai To ALLAH Ke Yahan Usko Siddiq (Sachcha) Likh Diya Jata Hai."
Urdu Ref: (Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1551-Sahih)
Eng Ref: (Sunan Abu Dawud, Book 42 Hadith 4971-Sahih)

Pyare Islami Bhaiyon/Beheno Yaad Rakho
"Jhooth Bolne Ki Aadat Ka Sab Se Bada
Nuksaan Ye Bhi Hai, Ke Jhooth Bolnewala Jab Sach Bolta Hai
To Bhi Log Uski Baat Par Yakeen Nahi
Karte."

Aap Sab Ki Bargah Me Arz Hai Ki Abhi
ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Se Tauba Kare Jo Jhooth Aaj Tak Bolo Hoga Jaane Anjane
Me Aur Pakka Ahad Kare Ki Ab Kabhi Jhooth Nahi Bolenge ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Hume Padhne Se Zyada.Samjhkar Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmaye.
Aameen
(Awwal Aakhir Durood)

📶 TO BE CONTINUED...

⚜ GULAM-E-AALA-HAZRAT

VISIT  G-E-A-H  PAGES LIKE & COMMENTS

💻 https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
💻 https://i.instagram.com/gulameaalahazrat/
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜

1ST APRIL KO JANBUZ KAR JHOOT BOLNE SE BACHO.¤

Na Jane Aaj Kal Ke Log Kiya Tamasha Liye Baithe Hai Ki 1St April Ko Log Janbuz Kar Jhoot Bolte Hai. Kiya Unhe Allah Ka Kahuf Nahi. ?Jhoot Bolna Bahot Bada Gunah Hai.Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!“Beshak Jhoot Bolne Waale Par Allah ki Lanat”.–

(Sureh Aal-e-Imran, Ayat 61)»

Mahfum-e-Hadees: Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunaah Ki Taraf Le Jaata HaiAur Gunaah Jahannam Me Pahunchane Wala Hai

📔 (Abu Dawood Sharif)»

Mahfum-e-Hadees: Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannam Me Phenk Diye Jayenge,Sirf Apni Zubaan (Yaani Jhoot) Ki Wajah Se. !!

📔 (Tirmizi Sharif)»

Mahfum-e-Hadees: “Mai Zamanat Deta Hun Jannat Ke Darmiyan 1 Ghar Ki,Uss Shakhs Ko Jo Mazaq Me Bhi Jhoot Na Boley.”

📔 (Abu Dawood Sharif)»

Mahfum-e-Hadees: Apni Jhooti Taarif Pasand KarnaSharike Haraam Hai,aur Uss Me Aakhirat Ki Barbadi Ka Andesha Hai.

📔 (Bukhari Sharif, Muslim Sharif)»

Mahfum-e-Hadees: Uss Shakhs Ke Liye Kharaabi HaiJo Baat Karte Huwe Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bolta Hai.

📔 (Mishkatul Masaabih)»

Mahfum-e-Hadees: Ye Bohot Badi Khayanat Hai Ke Tum Apne Bhai Se KoiJhooth Baat Bayan Karo, Halanke Wo Tumhari Baat Ko Saccha Samjhta Ho.

📔 (Abu Dawood Sharif)

¤ Allah Rabbul Izzat Hame Har Haal Me Jhoot Se Parhez Karne Ki Toufiq Ata Farmaye……Aur Humesha Sach Bolne Wala Banaey !!

Ameen

📶 TO BE CONTINUED...

⚜ GULAM-E-AALA-HAZRAT

VISIT  G-E-A-H  PAGES LIKE & COMMENTS

💻 https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
💻 https://i.instagram.com/gulameaalahazrat/
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜⚜

No comments:

Post a Comment