Saturday, March 26, 2016

COMPLETE BIOGRAPHY OF AAMAD~E~MUSTAFA ﷺ  """""""


🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

الصلاة والسلام عليک یا رسول اللہ  صلی علیہ و سلم
🇵🇰🔻🇵🇰🔻🇵🇰🔻🇵🇰🔻🇵🇰
Aamad ~e~Mustafa ﷺ 
🔹🔹Part~01🔹🔹
🇵🇰🔺🇵🇰🔺🇵🇰🔺🇵🇰🔺🇵🇰

💝NISAR TERI CHAHEL PAHEL PAR HAZARO EID-E-RABI UL AWWAL 💝

💝SIWAHE IBLEES KE JAHAN MEIN SABHI TO KHUSIYA MANA RAHE HAI..💝

🌕Ibn-e-kasir bayaan karte hai ke iblees char baar buland awaz se roya hai.

1⃣👉🏿Pahli baar jab Allah ne ise la'een tehra kar us par lanat ki.

2⃣👉🏿Dusri bar jab ishe zameen par bejha gaya.

3⃣👉🏿Tesree bar Jab huzoor aqdas صلی علیہ و سلم  ki wiladat Huwi.

Aur

4⃣👉🏿choti bar Jab sureh fathiya nazil huwi.

📝(Al-bidaya Wal nihaya Mutarjim,  jild 2 page no. 570 , Matbo'a Maktab-e-danish , Deoband )

🔰Maloom huwa ke milad-un-nabi صلی علیہ و سلم par chikhna, chillana, rona aur is ki mukalifat karna iblees ka tarika hai.

Momin to apne aaqa صلی علیہ و سلم ki wiladat par khushiya manata hai...

❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀
      To be Continue....
           Post Written by....
               Jamaluddin Raza
   🌹🌹 TALIB E DU'AA
   🌹🌹 Jamaluddin Raza
.     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

🇵🇰🔻🇵🇰🔻🇵🇰🔻🇵🇰🔻🇵🇰
Aamad ~e~ Mustafa  ﷺ
🔹🔹 Part ~ 02🔹🔹
🇵🇰🔺🇵🇰🔺🇵🇰🔺🇵🇰🔺🇵🇰

Milad ke Maa'na :-

💖Milad ke Lagvi Maa'ne paida hone kaa zamana ya paida'ish kaa waqt hai.

Reference:-
📝( Feeroz-ul-lugaat , page no. 1322 )

🌀Hurf aam mein milad se murad zikr ki mehfeel hai.

☀Jiss mai Rasool Allah صلی علیہ و سلم ki wiladat ba-sahadat ka zikr ho Quran padha jaye.
Naat aur manqbat wagaira padhi jaye.

🌀Is tarah se jashn e eid miladdun nabi صلی علیہ و سلم se murad
Rasool Allah صلی علیہ و سلم ki Aamad ki khusi me'n

~Juloos nikalna

~Khushi manana

~Sadqa-o-khairat karna

Aur

~Youm-e-wiladaat ke din roza rakhna wagaira hai.

❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀
      To be Continue....
           Post Written by....
               Jamaluddin Raza
   🌹🌹 TALIB E DU'AA
   🌹🌹 Jamaluddin Raza
.     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀

💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠
         Amad e Sarkarﷺ 🔹🔹🔹Part~03 🔹🔹🔹
💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠

🌹MILADDUN NABI صلی علیہ و سلم   PAR KIYE GAY SAWALAT AUR IN KE JAWABAT🌹

🌀Sawal No 1:-
kya quran majeed se aamad e rasool صلی علیہ و سلم par khushi manane ki daleel de sakte hain?

☀Jawab:-👇🏻
Ji haa Allah paak quran majeed me'n irshad farmata hai. 

قُل بَِفضلِ اللهِ وَبَِرحمَتِهِ 
        
☀Tarjuma. aye habib aap farma dijeye ke Allah ke fazl aur is ki rahemat milne par muslamanu ko chaiye ke khusiya manaye'n.

📝(sure younus aayat no 58)

is aayat mai ye hukum diya gaya hai ke Jaha Allah kaa fazl aur is ke rahemat nazil ho to momino ko is par khusiya manani  chaiye ab kisi zaheen mai ye sawal aa sakta hai ke kya Rasool Allah صلی علیہ و سلم Allah ki rahemat hain?

jo hum in ki aamad par khushiya manayen.is kaa jawab bhi khud quran de raha hai. mulahiza kare.
وَمَا اَرسَلنَکَ اِﻻَّ رَحمَةً لَّلعَلَمِينَ
''hum ne tumhe nahi bheja magar rahemat sare jahan ke liye.''

📝(sure ambiya aayat no 107)

alhamdulillah Rasool E Arbi صلی علیہ و سلم ka is duniya me'n tashreef lana rahemat hai aur pahle Aayat mai Allah paak hame Husool e rahmaat par khusiya manane kaa hukum de raha hai ab batau muslamano'n Rasool Allah ‏ صلی اللہ علیہ و سلم ki zaat e mubarak se badh kar rahemat kaun ho sakta  hai to milladun nabi صلی اللہ علیہ و سلم par khushiya Kyu naa manayi jaye?

Allahmdulla quran ki in aayato se aamad rasool صلی اللہ علیہ و سلم  par khushiya manana sabit hua

❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀
      To be Continue....
           Post Written by....
               Jamaluddin Raza
   🌹🌹 TALIB E DU'AA
   🌹🌹 Jamaluddin Raza
.     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀

💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠
      Amad ~e~ Sarkar ﷺ
🔹🔹🔹Part~04🔹🔹🔹
💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠

🌀Sawal No 2:-

Kya aap sabit kar sakte hai ke Rasool Allah صلی اللہ علیہ و سلم ne apni milad ko manaya hai?

☀Jawab:-

Ji haa hadees ko mulahiza farmaye 👇🏻

Hazrat Abu Qatada'h ‏ رضی اللہ عنہ ne farmaya ke Rasool E Akram صلی اللہ علیہ و سلم se peer ke deen roza rakhne ke bare mai pucha gaya ko aap صلی اللہ علیہ و سلم ne irshad farmya.

فَقَالَ فِيهِ وُلِدتُ وَفِيهِ اُنزِلَ عَلَىَّ

☀Tarjuma:-
        Isi roz  meri wiladat howi hai Isi roz Quran nazil kiya gaya.

(صحيح مسلم : باب اَستِحبَابِ صِيَامِ ثََلاثِِه اَيَّامِ مِن کُلِّ شَهرٍ وَصَومِ يَومِ عَرَفََتَه  َوعَاشُورَاء ﷺﷺ وَلا ثنَينِ وَلخَمِيسِ حديث 2708  سنن ابو داؤد باب فِى صَومِ الدَّهرِ تَطَوُّع 2428 مسند امام احمد بن حنبل ابن فتاوى الانصارى حديث 23215)

Is hadees Se sabit huwa ke Rasool Allah صلی اللہ علیہ و سلم ne
har peer ke roz roza rakh kar apni milad kaa khud ahtemam kiya hai.

lihaza sabit huwa ke deen muqarar kar ke yaad gaar manana sunnat hai .

Alhamdulillah....

❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀
      To be Continue....
           Post Written by....
               Jamaluddin Raza
   🌹🌹 TALIB E DU'AA
   🌹🌹 Jamaluddin Raza
.     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀


💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠
        Amad ~e~ Sarkar ﷺ
      🔹🔹🔹Part = 04🔹🔹🔹
💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠

🌀Sawal no 3:-

Kya sahaba E keeram رضوان اللہ عنہم ne kabhi milad ke mehfil munaqeed ki?

☀Jawab:-👇🏻

Ji haa imam bukhari ke ustaad imam ahmed hambal likhte hai Sayyadna Muviya ‏ رضی اللہ عنہ farmate hai.

1 roz rasool صلی اللہ علیہ و سلم  ka apne ashaba ke halqe se guzar huwa aap صلی اللہ علیہ و سلم  ne farmaya Kyu baithe ho?

قَالُواجَلَسنَا نَدعُو اللَّهَ وَنَحمَدُهُ عَلَى مَا ھَدَانَاﷺ لِدِينِهِ وَمَنَّ عَلَینَا بِکَ قَالَ اللہ ما اجلسکم إلا ذلک قالو آللَّه مَا أَجلَسَكُم إﻻَّ ذَلِک قَالَ أَمَا إِنِّى لَم آَستَحلفُكُمِ تَُهمَةً لَکُم وَإِنََّما أتَانِی جِبرِیلُ عَلَیهِ السَّﻻَمُ َفََأخبََرنِی أَنَّ اللَّه عَزَّوَجَلَّ یُبَاھِی بِکُمُ المَﻻَ ئِکَةَ

Unhone kaha hum Allah azwajal kaa zikr karne aur us ne hame jo islam ki hidayt ata farmayi Aur us ne Aap‏‎ Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ko Bhej Kar Jo hum par Ahsan Kiya Hai is par hamd o sana bayan karne aur is kaa shukr ada karne ke liye baithe the.

Aap ne farmya Allah ki qasam kya tum isi ke liye baithe the sahaba ne arz kiya Allah ki qasam ham isi ke liye bethe the.

Is par aap صلی اللہ علیہ و سلم ne farmya abhi mere pass جبرئیل علیہ السلام aaye the unhone kaha ke ALLAH tumhari wajah se farishto par fakhar kar Raha hai.

(سن نسائ باب کَیفَ یَستَحلِفُ الحَاکِمُ حدیث 5453  المعجم الکبیر للطبرانی حدیث 16057)

Isi hadees se sabit hua ke Sahaba Huzoor‏ صلی اللہ علیہ و سلم ki milad par shukriya ada karte the.

🌀Yaha ye baat qabil zikr hai ke jo log  Huzur aqdas صلی اللہ علیہ و سلم ki milad ki mahefil sajate hai aur us mai shareekh hote hai Allah aise bando'n par faristo ki jamaat  mai fakr farmata hai .

☀Aur haan  Huzur aqdas صلی اللہ علیہ و سلم  ka zikr Allah hi Zikr hai is par Quran Aur Huzur ki hadeese'n  shaheed hai.....

❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀
      To be Continue....
           Post Written by....
               Jamaluddin Raza
   🌹🌹 TALIB E DU'AA
   🌹🌹 Jamaluddin Raza
.     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀

💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠
          Amad ~e~ Sarkar ﷺ
   🔹🔹🔹Part= 05🔹🔹🔹
💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠

🌀Sawaal no 4:-

Kya huzoor ﷺki wilaaat ki khushi manane par faaidah pahonchta hai ?

☀Jawab👇🏻
ji haan abu leheb jo kufr ki halat me'n mara uska maamla ye tha ke us ne rasool ﷺ  ki basat* ke baad apni baaki  mandah* zindagi islaam aur paigamber e islaam ki mukhalifat me'n guzari  lekin uske marne ke baad
Rasool ﷺ ke chacha hazrat abbas radiallahu taala anhu  ne us ko khuwab me'n dekha _aap radiallahu taala anhu
ne us se pucha ke marne ke baad tujh par kya guzri?

قَالَ اَبُو لَھَبٍ لَم اَلقِ بَعدَ کُم خَیرًا اِنَّی سُقِیتُ فِی ھَذِہِ بِعِتَا قَتی  ثَوَیبَةَ

📝(  صحيح بخارى ، باب وامهاتکم اللانی ارضعتكم ، رقم الديث : 5101  )

Usne jawab diya ke mai din raat sakht azaab me'n mubtala hun lekin jab peer ka din aata hai to mere azaab me'n kami kardi jaati hai
aur meri unglion se paani jaari hota hai jise peekar mujhe sukoon milta hai azaab me'n is kami ki wajah ye hai ke mai ne peer ke din apne bhatije (محمد ﷺ )ki wilaadat ki khush khabri sun kar apni khaadima sobiya ko in unglion ka ishaara karte huwe azad kar diya tha

🔴ye waqiya hazrat zainab bint abi salma se marvi hai jise mohaddise'n ki badi tadadat  ne dafa milad ke baab me'n naql kiya hai sahi bukari se riwayat hai urwa'h ne bayaan kiya hai ke sobiya abu'lahab ki azad karda bandi thi abu'lahab ne ise azad kiya to us ne nabi kareem صلی اللہ علیہ و سلم ko dudh pilya.

📝صحيح بغاری باب وامھتکم اللانی از ضغکم رقم الحدیث 5101)

فَلَمَّا مَاتَ اَبُو لََهبٍ فََراَهُ بَعضُ اَهلِهِ بِشَرً حَيبٍَة قَالَ لَهُ مَاذَ الَِقيتَ ؟ قَالَ اَبُو لَهبٍ لَم اَلقِ بَعدَ کُم خَيرِ اِنَّى سَقِيتُ فِى هَذِهِ بِعِتَا قَتِى ثَوَيبَ○َة

pas jab abu'lahab mar gaya to us ke baz ahle khana ko woh bure haal me'n dekhaya gaya. us se(yaani abu'lahab se) pucha:-

ke tune kya paaya? abu'lahab bola maine tumare baad koi rahat nahi payee siwaye iske ke sobiya' ko aazad karne ki wajha se  ungli se pilaya jaata hai.

📝صحيح بغاری باب وامھتکم اللانی از ضغکم رقم الحدیث 5101)

🔴shaikh abdul haq mohaddis dahlvi(985.1052 ھ ) is riwayat ko bayan karne ke baad likhte hai

ye riwayat muaqa e milad par khushi manane aur sadqa khairat karne walo'n ke liye daleel aur sanad hai abu'lahab jis ki mazamat me'n quran paak me'n ek mukammal surah naazil huwi jab woh huzoor صلی اللہ علیہ و سلم ki wiladat ki khusi mai lundi ko azad karke azab mai takhfif hasil kar sakta hai to us Musalman ki khush nasibi kaa kya aalam hoga jo apne dil men mohabbat e rasool صلی اللہ علیہ و سلم ki wajah se miladdun nabi صلی اللہ علیہ و سلم ke deen mohabbat aur aaqidaat kaa izhar kare.

(مدارج النبوةجلد 2 صحفہ 19)📝

💐dosto zara gaur karo abu'lahab jaise kaafir ko jab miladd un nabi صلی اللہ علیہ و سلم par khushi manane par faida mila to hum Ashiqane Mustafa ‏ صلی اللہ علیہ و سلم Kya mahrum rahe sakte hai?

❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀
      To be Continue....
           Post Written by....
               Jamaluddin Raza
   🌹🌹 TALIB E DU'AA
   🌹🌹 Jamaluddin Raza
.     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀

💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠
         Amad ~e~ Sarkar ﷺ
   🔹🔹🔹 Part=06🔹🔹🔹
💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠

🌀Sawal no:-5

MILADDUN NABI صلی اللہ علیہ و سلم ke mauqe par jhanda lagana kaha se sabit hai?

☀jawab:-👇🏻

       Imam Siyuti ‏ رحمة اللہ علیہ bayan karte hai ke Huzur aqdas صلی اللہ علیہ و سلم  ki tashreef aawari ke waqt hazrat jibrayeel amin ‏ علیہ السلام ‎ 70 hazar faristo ke jurmath me'n huzur aqdas صلی اللہ علیہ و سلم ke aastana mubarak par tashreef laye aur jannat se 3 jandhe bhi lekar aaye un me'n se 1 jandha mashrik me'n gada, ek magrib me'n aur 1 Kaaba Muazzama par.

(خصائص کبری جلد صحفہ 82)📝

🌠⚡🌠⚡🌠⚡🌠⚡🌠
ROOH UL AMEEN NE GADHA QABA KI CHAT PAR JANDHA

TA HASHR UDA PARHERA SUBAH SHAB-E-WILADAT
🌠⚡🌠⚡🌠⚡🌠⚡🌠

🇵🇰Alhamdulillah Milad Un Nabi ‏ صلی اللہ علیہ و سلم par jandha lagana farishto ki sunnat hai.....
❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀
      To be Continue....
           Post Written by....
               Jamaluddin Raza
   🌹🌹 TALIB E DU'AA
   🌹🌹 Jamaluddin Raza
.     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀

💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠
           Amad~e~Sarkarﷺ
   🔹🔹🔹Part = 07🔹🔹🔹
💠💠💠💠💠💠💠💠💠💠

🌀Sawal No 6:-

Eid miladdun nabi صلی اللہ علیہ و سلم ke din juloos q nikalte hai?

🌟Jawab:-👇🏻

Aaqa صلی اللہ علیہ و سلم ke juloos nikalna koi nayi baat nahi sahaba e keeram ‏ رضوان اللہ عنہم ne bhi juloos nikala hai. sahi muslim ki hadees me'n hai ke jab aaqa صلی اللہ علیہ و سلم hijrat kar ke madina tashreef le gaye to logo ne khub jashan manaya.

فَصَعِدَ الرَّ جَالُ وَالنَّسَاء فَوقَ البُُیوُتِ وَ تََفرقَ الغِلمَانُ وَ الغَدَمُ فِی الطُّرُقِ یُنَادُونَ یَا مُحَمَّدُ  یَا رَسُول اللَّهِ یَا مُحَمَّدُ یَا رَسُول اللَّهِ
🔴Tarjuma:-

       mard o aurat apne gharo'n ki chat par chad gaye aur navjawan ladke gulam o khuddam raston mai phirte the aur nare risalat lagate the aur khate the یا محمد یا رسول اللہ یا محمد یا رسول اللہ

📝( صحیح مسلم باب فِی حَدِیثِ الھِجرَةِ وَيُقَالَ لَهُ حَدِيثُ الرَّحلِ حديث 7707)

⚫ek riwayat mai aata hai ke hijrat madina ke mauqe par jab huzoor aqdas صلی اللہ علیہ و سلم madina ke qarib pauche to Buredah Aslami apne 70 sathio'n ke sath daaman islam se wabasta huye aur arz kiya ke Huzoor madina sharif me'n Aap ka dakhla Jandha ke sath hona chaiye phir unone ne apne imame ko neze par dal kar jandha banaya aur huzoor صلی اللہ علیہ و سلم نے  ke aage aage rawana huwe.

(وفا الوفا جلد ص 243)📝

🔴yaha ye baat bhi yaad rakhne ki hai ke juloos nikalna saqafat kaa hissa hai duniya ke har khitte me'n juloos nikala jaata hai. kahi school college ke maatahet to kahi siyaasi Jamat ke matahet juloos nikala jaata hai kuch deen qabl denmark ke ek  cartoonist ne nabi akram صلی اللہ علیہ و سلم ki shaan me'n guskati ki to pure aalam e islam me'n juloos nikala gaya aur aihtejaj kiya gaya Isi Tarah Eid miladdun nabi صلی اللہ علیہ و سلم ke mauqe par pure aalam e islam me'n muslaman juloos nikalte hai aur aaqa صلی اللہ علیہ و سلم se mohabbat ka izhar karte hai......

♂♂ THE END

❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀
      To be Continue....
           Post Written by....
               Jamaluddin Raza
   🌹🌹 TALIB E DU'AA
   🌹🌹 Jamaluddin Raza
.     Our Fb Pages Fb Links
https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀

No comments:

Post a Comment