Friday, May 6, 2016

ROZE KE AHAM MASAIL

🌻🌹 ROZE KE AHAM MASAIL 🌻🌹

                🌠 “ROZA” ❇

🌠ROZAA me khud b khud kitni hi KAI (ULTI) ho jae is se rozaa nahi tut ta.

📇✒ KAAN me paani chalaa gayaa jab bhi razaa nahi tuta.

📇✒ MAKHI halkme chali gayi roza na gaya aur kasdan nigali to chalaa gayaa.

📇✒ Aansu mooh me chala gayaa aur aap use nigal gae agar katrah do katrah hai to roza naa gaya aur zyadaa tha ki us ki namkini pure mooh me mehsoos hue to jataa raha, paseene ka bhi yahi huqm hai.

📇✒ ROZE ki halat me har kism ka Attar sungh b sakte hai aur kapde par laga bhi sakte hai.

📇✒ GULAAB YA MUSK wagairah sunghna, dadhi moochh me teil lagana aur surma lagana makrooh NAHI hai.

📇✒ ROZE ki halat me NAAK me dawaa chadhaai to roza tut gaya aur iski KAZAA lazim hai.

📇✒ MASLA: =>HUQQA =>CIGARETTE =>TAMBAKU =>PAAN IN Sab Se Roza TootTa Hy Chunki Inka Asae Dimag Me Maloom Hota Hy

                      🍭 MASAIL 🍭

📇✒ 1> Munh Me Jama Thook Pine Se Roza Nhi Toota  2>Tel Ya Surma LagaNe Se Roza Nhi TooTa  3> Dhuwan Halaq Me Gaya To Roza Nhi TooTa

🍭 KIS HALAT ME ROZA NA RKHNE KI IJAZAT🍭

📇✒ Safar,Hamal,Bim ari,Budhapa,Bac hcheKo Doodh Pilana, jihad, is Uzr k Khatm Hote Hi Rozon Ki Qaza Wajib Hy,

                   🍭 MAS’ALA 🍭

📇✒ SHARI’AT Me Musafir Use Kahenge Jo 93.km Ke Distance Ka Safar Kar Raha Ho Us Musafir Ko Roze Se Nuqsan Ho To Na Rakhe

                  🍭══ZAKAT══🍭

📇✒ ZAKAT PEHLE Apne Bhai Bahen Unki Awlad,ChaCha Phuphi Unki Awlad,Mamu Khala Unki Awlad Phir Apne Gaon Ya Shaher Walon Ko Den

             🍭 AALAMGIRI MASLA 🍭

📇✒ APNE USOOL Aur FurooKo Zakat Ya Sadqaye Fitr Nahi De Sakta

                       🍭HADEES🍭

📇✒ Allah ﷻ Ta’ala Us Shakhs Ka Sadqa Qubool Nahi Farmata Jiske Rishtedar Uske Sulook Ke Mohtaj Ho Aur Ye Dusre Ko De.

📇✒ Zakat Farz Hy Uska Munkir Kafir Na Dene Wala Fasiq Or Qatl Ka Mustahiq Hy Dene Me Der Karne Wala GunehGar Hy Uski Gawahi Qubool Nhi Ki Jaygi.

                       📖QURA'AN📖

📇✒ Jo Log Sona Chandi Jama Karte Or Use Allah Ki Rah Me Kharch Nhi Karte Unhe DardNaak Azaab Ki KhushKhabri Suna Do

              📖Para-10,Surah Tauba📖

                         🍭HADEES🍭

📇✒ JO Maal Khushki  (Zameen)  Or Tari  (Pani)  Me BarBad Hota Hy Wo Zakat Na DeneSe Hota Hy MAS’ALA Jo Cheez Girwi Rakhi Ho Uski Zakat Na Rakhne Wale Ko Hy Na Jis Ke Pas Rakhi Use, Aur Chhudane Wale Par Bhi Nahi...

📇✒  D  Mukhtar Zakat Ki Shart Musalman Azad Aaqil BaligHo Maal Ka Malik Or QabizHo Mal Par Sal Guzre Mal Qarz Se KhaliHo Mal Hajate Asliya Se FarigHo

                      🍭 MAS’ALA 🍭

Zakat Aise Ko De Jo Qabza Karna Janta Ho Chhote Bachche Ya Pagal Ko Dene Se Zakat Ada Na Hui

                       🍭 MAS’ALA 🍭

📇✒ Jis k Paas Khane Aur Badan Chhupane Ke Liye Ho Use Bagair Majburi Aur Zarurat Ke Sawal Karna Haram Hai

                   🍭══TARAHWI:══🍭

📇✒ TARAHWI ka waqt ishaa ke frz padhne ke baad se subhaa sadik tak hai, ishaa ke frz adaa karne se pahele agar padhli to na hogi.

📇✒ AGAR LOGON KO SAK HO KE 20 HUI YA 18 TO 2 RAKAT TANHA TANHA PADHE.

📇✒ Hazrat Haris Ramzan Me 20 Rakat Taravih Ki Imamat Karte The Aur Vitr 3 Padhte The..

📚 {musannif ibne abi shaiba J:2,S:393} 📚

                         🍭 HADEES 🍭

📇✒ Huzoor Farmate Hain Meri Or Mere KHULAFA’E RASHIDEEN Ki Sunnat Ko Apne Upar Lazim Samjo

                         🍭 HADEES 🍭

📇✒ Tarawih Ki 20 Rakat Jamat Se Hazrat Umar Farooq Ne Shuru Ki, Aur imam Hazrat Ubai Bin Ka’ab Ko Banaya

                         🍭 HADEES 🍭

Hazrat Umar Ke DaorMe Tamam SAHABA 20 Rakat Taraveeh Ka Ehtemam Karte The,

📚{ASSUNANUL KUBRA Jild: 2,S:496}📚

                      🍭══EYTEKAF══🍭

📇✒  MAS’ALA Ramzan K 10 Din Ka Eytekaf”

SUNNATE MOAKKEDA KIFAYA
Hy Agar SabNe Chhoda To Sab Gunehgar Agar Ek Ne Bhi  Kiya To Sab Bari Hogaye

          🍭 Eytekaf 3 Tarah Ka Hai 🍭

📇✒ WAJIB:>     Jo Minnat Ka Ho.
SUNNATE MOAKKEDA:>
Ramzam me 10 Din. MUSTAHAB>   Eytekaf Ki Niyyat Se Thodi Der Bhi Masjid Me Rukna...

📇✒ EYTEKAF:    20 Ramzan Ka Suraj Dubte Waqt Masjid Me Shawwal Ka Chand Nikalne Tak Qayam Karna Eytekaf Kehlata Hai Ye 10 Din Ka Hai

                      🍭 MAS’ALA 🍭

📇✒ Eytekaf Wale Ko Zaruri Hai Ki Masjid Hi Me Khay Piye Soye in Kamo k Liye Bahar Gaya To Eytekaf TooT Gaya

                        🍭HADEES🍭

📇✒ Hazrat Aaisha Ka Bayan Hy Huzur Ne Farmaya Shabe Qadr Ko Ramzan k Aakhri Ashra Ki Taaq Raton Me Talash Karo 21 -23 -25 -27 -29  Me

                    ✳❇══EID══❇✳

                        🍭MAS’ALA🍭

📇✒  ❇Eid Ki Namaz Wajib Hy Magar Unhi Logo Par jin Par Juma Wajib Hy..Aurte’n Juma Aur Eid Ki Namaz Na Padhe Allah ﷻ amal ki toufiq de..? 

🌹🌷 AAMEEN YA RABBUL AALMEEN 🌷🌹

2 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. roza kholne ki dua allahumma inni laka.... ko khujur khane ke baad padhna chaiye ye aala hazrat ke kitab me likha he to agr wo panna jispr likha he use aap scan page ko mereko mail ya publish kare to meherbani hogi assalamualaikkum

    ReplyDelete