Wednesday, June 1, 2016

TARBIYAT-E-HAJJ

  🌴🌴🌻🌻 TARBIYAT-E-HAJJ 🌻🌻🌴🌴

                          📝 PART:- 01  📝

Qur’an :

            وَأَتِمُّوا الْحَجَّ وَالْعُمْرَةَ لِلَّهِ

Tarjuma:-

Aur Hajj aur Umrah (ke manaasik) ALLAH ke liye mukammal karo.

(2 Surah al-Baqarah, Aayat 196)

Qur'an :

وَلِلَّهِ عَلَى النَّاسِ حِجُّ الْبَيْتِ مَنِ اسْتَطَاعَ إِلَيْهِ سَبِيلًا ۚ وَمَنْ كَفَرَ فَإِنَّ اللَّهَ غَنِيٌّ عَنِ الْعَالَمِينَ

Tarjuma:-

Aur ALLAH ta’ala ka haq hai insaan par ke baitullah ka Hajj kare jo waha pahunchne ki haisiyat rakhta ho.

(3 Surah Aale Imraan, Aayat 97)

Hadees:-

Hazrte Abdullah ibne Mas’ood se riwyat hai ke Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya
‘Hajj aur Umrah mohtaaji aur gunaho ko aise door karte hain jaise bhatti lohe,
chandi aur sone ke mail ko door karti hai aur Hajje mabroor ka sawaab Jannat hi hai......

(Tirmizi, Ibne Maajah, Ibne Khuzema)

Hadees:-

Jis ne Hajj kiya aur Rafs (fahash kalaam) na kiya aur fisq na kiya to gunaho se paak hokar aise lauta jaise us din maa ke pait se paida hua....

(Bukhari)

Hadees:-

Ek Umrah dusre Umrah tak un gunaho ka kaffara hai jo darmiyan me hue aur Hajje mabroor ka sawaab jannat hi hai....

(Ibne Maajah)

Hadees:-

Jo us raah me (Hajj ya Umrah) ke liye nikla aur mar gaya uski paishi nahi hogi, na hisaab hoga aur kaha jaayega tu jannat me daakhil ho ja.....

(Tibrani, Bayhaqi)

PART:- 02

ISLAM ME HAJJ KI EHMIYAT....

Hajj Bhi Namaz Roza Aur Zakat Ki Trah Islam Ka Ek Ahem Farz Hai Aur 5wa Ruqn Hai Namaz Aur Roza Jismani Ibadat hai Zakat Mali Ibadat hai....

Aur Hajj Jismani Aur Mali Ibadat ka Majmua Hai Sahib-E-Istita'at Aaqil Baligh Musalman Mard Wa Aurat Par Umr me Ek Bar Hajj Karna Farz hai....

Jis Trah Har Musalman Par Namaz Rozo Ke Masail Aur Malik-E-Nisab Par Zakat ke Masail Sikhna Wajib Hai Usi Trah Jab Koi Musalman Hajj Ka Irada Kare To Uspar Hajj ke Masail Sikhna Zaruri Hai Take Hajj Sahi Tour Par Ada Ho Aur Safar Ki Mehnat Mashakkat Aur Paisa Bekar na Jae....

Hadeese Nabawi :

Jo shakhs (Hajj farz Hone ke baad) Hajj kiye bagair mar jaaye to wo chahe to Yahudi hokar mare ya Nasrani hokar mare.

(Tirmizi, Jild -1 Safa -167)

Hadees:-

Haaji ki magfirat ho jaati hai aur haaji jis ke liye kare uski bhi Haaji apne ghar walo me se 400 ki shafa’at karega Jo Hajj ke liye nikla aur faut ho gaya to Qayamat tak uske liye Hajj ka sawaab
likha jaayega aur Jo Umrah ke liye nikla aur faut ho gaya uske liye Qayamat tak Umrah ka sawaab likha jaayega.....

(Shoibul Eimaan)

PART:- 03

ISTILAHAT....

HAJJ:-

Baitullah Sharif Ki Tazeem Ke Liye Makhsus Afaalke Sath Uski Tazeem Karna Aur Uska Waqt 9 Julhijjatul Haram Se 12 JulHijjatul Haram Tak hai....

MIQAAT:-

Us Maqam Ko Kehte hai Jaha Se Ehram Bandha Jata hai Jo Saksh Miqaat ki Hadd Ke Andar Rehta hai Wo Miqati Kehlata hai Aur jo Bahar Rehta hai Wo Aafaqi Kehlata hai....

EHRAAM:-

Baniyyate Hajj. Ba-Wuzu Bager Sili Hui Safed Lungi Bandh Lena Aur ek Safed Chadar Odh Kar Do Raqa'at Namaz Ba Niyat Ehram Padhna Aur Salam Ferne ke Bad Hajj ki Niyyat Karna Aur Talbiyah Padhna Ehram Kehlata hai.....

Aurat Apne Sile Hue Kapde me Ehram ki Niyyat Karegi....

AYYAM-E-TASHRIQ:-

Jin Dino me Takbire Tashriq Padhi Jati hai Yani 9 Jilhajj Ki Fazr Se 13 Jillhajj Ko Asr Tak....

YOUMTTARVIYAH:-

Jis Rozse Hajj ki Ibadat Shuru Hoti hai Yani 8 Jillhajj Se....

YOUM-E-ARFA :-

Jis Roz Medan-E-Arfat me Hajj Hota hai Yani 9 Jillhajj...

HARAM:-

Makkah Muqarrma Ke Charo Kuch Door Takki Zameen Hurmat Wa Taqaddus ki Vajah Se Haram Kehlati hai Uski Hudud Par Nishaan Lage hai Usme Shikar Karna Matlab Darakht Aur Ghaas Wagera Katna Mana hai Siway Izkhir Makhsus ghaas ke Jo Log Hudud e Haram Me Rehte hai Unhe Harmi Ya Ahle Haram Kaha Jata hai.....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA : 6)

PART:- 04

HAJJ-E-MAQBOOL AUR HAJJ-E-MARDUD KI NISHANIYA....

HAJJ-E-MAQBOOL KI 3 NISHANIYA HAI:-

Hajj ke Bad Hamesha ke Liye Narm Dil ho Jana....

Gunaho Se Nafrat ho Jana...

Nek Aamal Ki Taraf Ragbat Ho jana...

HAJJ-E-MARDUD KI BHI 3 NISHANIYA HAI:-

Hajj Ke Bad Sakht dil ho jana...

Gunahi ki Taraf Maail Ho Jana...

Nekiyo se Nafrat Ho Jana....

Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehelvi Bukhari Rehmatullah Alayhi Tehrir Farmate hai Ke Buzurgo ne Farmaya Hai ke Hajj-E-Mqabool Ki Pehchan Ye hai ki Haji Pehle se Acha Hokar Vapas Aaye Aur Akhirat ki Raghbat Rakhe Aur Duniawalo Se Bache Aur Gunahi me Dubara Mubtila Na ho...

(Ashatullam'at: Jild- 2)

Lihaza Har Haji Ko Chahiye Ki Wo Apne Halat Ka Zayza Le Agar wo Pehle Se Acha Na hua Namaz Padhne Zakat dene Dusre Faraiz Wa Aamale Khair ki Taraf Rageeb Na ho Balke Nekiyo Se Muttnafir ho Aur Gunaho me Dubara Mubtila hua to Use Samajna Chahiye ki Mera Hajj Maqbool Na hua....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA : 13)

PART:- 05

HAAJ SE GUNAHO KI MUAFI....

Ala Hazrat Imaam Ahmed Raza Khan Fazile Barelvi Rehmatullah Alayhi Ne Apne Risa'la Aa'Jabul Imdad me Is Mas'ale Ki Nafis Tehqiq Farmai hai Jiska Khulasa Hum Zel me Darj Karte hai Take Hajj se Gunahi ki Muafi Ka Mas'ala Achi Trah Wazeh Ho Jae....

Jisne Paak Maal/Paak Kamai/Paak Niyyat Se Hajj Kiya Aur Usme Ladai Jhagda Neez Har Kism ke Gunah Aur Nafarmani Se Bacha Fir Hajj ke Fouran Bad Mar Gaya Itni Muhlat na Mili Ke Jo Hakkullah Ya Hakkulibaad Uske Zimme the Unhe Ada Karta ya Ada Karne ki Fikr Jarta to Hajj e Maqbool Hone ki Suratme Umeed Kavi Hai Ke Allah Taa'la Apne Tamaam Huquqo Ko Muaf Kar de Aur Haqqul Ibaad Ko Apne Zimme Karam Par Leker Haq Walo ko Qayamat ke Din Razi Kare Aur Khusumat Se Nazat Bakshe....

Aur Hajj Ke Bad Zinda Raha Aur Hattal Imkan Huquq Ka Tadaruk Kar Liya Yani Salhae Guzishta Zakat Ada Kar di Qaza Namaz Aur Rozo Ki Qaza Ki Jiska Haq Maal Liya tha Usko Marne ke Bad Uske Wariso ko De diya Jise Taklif Pahochai Thi Muaf Karva Liya Jo Sahibe Haq Na Raha Uski Tarafse Sadqa Kar Diya Agar Huququllah Aur Huququl Ibaad me se Unki Adaygi Wasiyyat Kar Gaya....

Khulasa Ye ke Hukukullah Aur Haqqul Ibaad se Chootkare ki Har Mumkin Koshish Ki to Uske Liye Bakshish Aur Zyada Ummed hai ....

Haan!
Agar Hajj ke Bad Qudrat Hone Ke Bawajud In Umoor Se Gaflat Barti Unhe Ada Na kiya To Ye Sab Gunaah Azsare Uske Zimme honge.....

PART:- 06

AEHRAM:-

Aehram Niyyat Karne Aur Labbaik Padhne Ka Naam hai Tehband Bandh lene Aur Chadar Odh Lene Ka Naam Aehram Nahi Ye to Aehram Ka Kapda hai...

Makkah Sharif Jane Ke Iraade se Jab koi Musalman Chale Chahe wo Dunia ke Kisi bhi Mulk Ka Rehne Wala Ho Aur kisi Bhi Mulk se Rawana Ho To Miqaat Par Pahoch Kar wo Aehram Me ho Jae Kyunki Bager Aehram ke Miqaat se Guzarna Zaiz Nahi....

Baaz Anjan Log Door Daraz ka Safar Karke Jiddah Airport Pahochte hai Uske Bad Aehram Bandhte hai Unpar Wajib hai Ke kisi Miqaat Ya Miqaat se Mahaz(Barabar) Vapas Loute Aur Firse Aehram Bandhe Aur Khuda ki Margah me Touba Kare ke Miqat se Bager Aehram Guzar Kar Gunaah Ka Wabal Unhone Apne ser Liya Agar Unhone Esa Nahi kiya Aur Jiddah hi ke Bandhe Hue Aehram Par Umrah Kar liya To Unpar Ek Dum Dena Lazim Hai...

Jo log Miqaat ke Bahar se Jiddah Aaye Aur unka Fouri Irada Jiddah Se Makkah Sharif Aaneka Na ho Balke Madina Munawwara Taif Ya Riyaaz Wagera Janeka Ho Ya Jiddah Hi me Theherne Ka Ho Unka Miqaat Ya Miqaat ke Mahaz se Bager Aehram Guzarna Zaiz Wa Durust hai....

Jo Haji Makkah Muazzama Jane se Qabl Madeena Munawwara Hazir Hona Chahta Hai Wo bhi Apne Apne Miqaat se Bager Aehram Ke Guzar Sakte hai Fir Jab Madina Munawwara Se Makkah Sharif ke Liye Rawana Honge To Unhe "ZUL HULEFA" Jise Abyare Ali Bhi Kehte hai Waha se Aehram Bandhna hoga....

Baccha Agar Samajdar Hai to Wo Khud Aehram Bandhe Aur Arqane Hajj Ada Kare Aur Agar Nasamaj Hai To Uski Tarafse Uska Wali Aehram Bandhe Aur Uske Badanse Sile Hue Kapde Nikal De Aur Lungi Pehnade....

Aur Wazeh Ho ke Baccho Par Hajj Farz Nahi Lihaza Agar wo Mamnuaate Aehram Se Na Bach Sake Ya Hajj ke Tamam Afalal Chod de Ya Baa'az Chod de To Unke Wali Par Jaza Ya Qaza Wajib Nahi....

Aehram Ki Halat me Tika Lagwana Ya Injection Lena Zaiz hai.....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 22/23)

PART:- 07

WO BATE JO AEHRAM ME HARAAM HAI....

Aurat Se Sohbat Karna...

Sehwat ke Sath Gale Lagana Ya Choona...

Fahesh Kalam Karna...

Gunaah Jo Hamesha se Haram The Aur Sakht Haram Ho Gae...

Kisi Se Ladai Jhaghda Karna...

Magar Deen ke Liye Jhagadna Zaiz Balke Hasbe Zarurat Farz aur Wajib hai...

Jungal Ka Sheekar Karna Ya Shikari ki Madad Karna Jungli Janwar ke Ande Todna Par Ukhedna Per Ya Baazu Todna Uska Gosht Ya Ande Pakana ya Bechna Kharidna Aur Khana Sab Haram hai...

Kisi Ka Ser Mundna, Apna Ya Dusre ke Nakhun Katna Ya Dusre se Apna Katwana, Ya Ser se Pau Tak Kahi Se Koi Baal Kisi Trah Juda Karna...

(AEHRAM KI HALAT ME DADHI ME KHILAL NA KARE ESA KARNE SE BAAL TUTNE KA ANDESA HAI)

(Bahar-e-Shriyat)

Munh Ya Ser Kapde Wagera se Chupana Ya Kapde ki Gathri Ser per Rakhna, Hath per Ke Mouze Aur kisi Qism ke Sile hue Kapde Pehenna , Ser Per Amama Bandhna...

Ese Jute Na Pehenna Jisse Darmiyani Qadam ki Ubhri Hui Haddi Chup Jae...

Khalis Khushbu , Mushk, Jafran, Jawentri, Laving, Ilaychi, Darchini, Aur Zanjbil(Adrak) Wagera Khana...

Ittar Aur Khushbudaar Oil Lagana, Zetun Ya Till Ka Oil Agarche Be Khushbu Ho Badan Ya Baal me Lagana...

Jhu Marna Ya Fekna Wagera Ye Sari Cheeze Halat-E-Aehram Me Haram hai....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 23/24)

PART:- 08

AEHRAM KE MAQRUHAAT....

Badan Se Meil Door Karna..

Baal Ya Badan Sabun Wagera Be Khushbu Ki Cheez se Dhona...

Kanghi Karna Ya Is Trah Khujana Ke Baal Tootne Ya Jhu Girne ka Andesa Ho...

Khooshbudar Dental Cream Ya Powder IstemL Karna...

Khooshbudar Mewa Khana Aur Qasdan Khooshbu Sunghna Agarche Khooshbudar Fal Ya Patta Ho Jese Limbu, Narangi, Fudina, Wagera...

Gilaf-E-Qaba Ke Andar Is Trah Dakhil Hona ki Gilaf Sharif Ser Ya Munh Se Lage...

Naak Wagera Munh Ka koi Hissa Kapde se Chupana, Rafu Kiya Hua Ya Paywand Laga hua Kapda Pehenna...

Takiye Par Munh Rakhkar Undha Letna..

Baazu Ya Gale Par Taveez Bandhna Agarche Be sile Hue Kapde me Ho...

Ser Aur Chehre ke Alawa Badan ke Kisi Hisse Par Bila Zarurat Patti Bandhna...

Singaar Karna, Gardan me Chadar Lapetkar Girah Dena, Chadar Ya Lungi Ek Sire Ko Dusre Sirese Milakar Sui Ya Pinse Bandhna Ya Girah Dena...

Lungi Bandh Kar Kamar Patta Wagera se Kasna Ye Sari Bate Halate Aehram Me Maqrooh hai...

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 24/25)

PART:- 09

AEHRAM KE MUBAHAT...

Chadar ke Aanchalo ko Lunki Me Khosna...

Paiso Ki Hifazat ke Liye Lungi Ya Kamarpatta Ya Hamyani Bandhna...

Hathiyar Bandhna...

Be-Meil Chudaye Gusl Karna, Gota Lagana, Kapde Dhona, Jabke Jhu Marne ki Garz Se Na ho...

Miswak Karna, Kisi Cheez ke Saye me Bethna, Chatri Lagana,...

Anguthi Pehenna, Be Khushbuka Surama Lagana, Dant Ukhadna, Toote Hue Nakhun Ka Juda Karna, Funsi Tod Dena, Khatna Karna, Aankh me Jo Baal Nikle Use Juda Kar Dena...

Ser Ya Badan Is Trah Khujana Ki Baal Na Tute..

Aehram Se Pehle Jo Khooshbu Lagai Uska Laga Rehna...

Paltu Janwar Unt, Bakri, Murghi Wagera Zibah Karna Pakana Khana Aur Uska Doodh Dohna Uske Ande Todna Bhoonna Khana Sab Zaiz hai...

Machlika Shikaar Karna Aur Dawai Ke Liye Kisi Daryai Janwar ko Marna Zaiz hai...

Agar Dawa Ya Giza ke Liye Na ho Sirf Tafrih ke Liye ho to Dariya ka Shikar Ho Ya Jungle ka Hamesha Haram hai Aur Aehram ki Halat me jyada Sakht Haram Ho Gaya...

Cheel, Kawwa, Chooha, Girgit, Chipkali, Saamp, Biccho, Khatmal, Macchar, Pissu, Aur Makhhi Wagera Khabees Wa Muzi Janwaro ko Marna Agarche Haram me ho Zaiz hai...

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 25/26)

PART:- 10

AEHRAM KI KHILAF WARZI....

Jaha Ye Kaha Jae ke Muhrim Par Dum Wajib Ho Gaya To Us Surat me Ek Saal ka Bakra, Dumba, Bhed, Bakri Zibah Karke Sadqa Karna Wajib hoga Aur Usike Kayam Maqaam Unt Ya Gaay Ka 7wa Hissa Bhi hai...

Aur Jaha Ye Kaha Jae Muhrim Par Budna Wajib hai To Us Surat me Ek Unt Ya Gaay Zibah Karke Sadqa Karna Wajib hoga...

Aur Jaha Ye Kaha Jae Ke Muhrim Par Sadqa Wajib Ho Gaya To Usse Muraad Nisf Saa'a Gehu (2kg 500 Gram Gehu) Ya Ek Saa'a Jauw (4kg 100 Gram Jauw) Mustahkine Zaqaat ko de Dena Wajib hoga...

ZARURI MASA'IL :-

Halate Aehram Me Biwi ko Bila Sehwat Hath Lagana Zaiz hai Magar Sehwat ke Sath Uska Bosa lena Aur Usse Baglagir Hona Ya Lipatna Zaiz nahi Agar Kisi Muhrim Ne Esa kiya to Uspar Dum Wajib hai Aur Touba bhi...

Agar Kisi Muhrima Aurat ne Apne Sohar ko Sehwat ke Sath Badab ko Chua Ya Bosa Liya Ya Apne Jismse Liptaya To Uspar bhi Dum Aur Touba Wajib hai...

Jis Waqt Sohar ne Biwi ko Sehwat Ke Sath Liptaya Us Waqt Biwi ko Sehwat Nahi thi Fir Biwi ko Sehwat Aa gai To Dono Par Alag Alag Dum Wajib Hai...

Sehwat ke Sath Choona Ya Bosa lena Ya Balgir hona Sirf Biwi ke Sath Hi Jurm Nahi Balke Kisi bhi Mard wa Aurat ke Sath Haram hai Aur Aehram ki Khilaf Warzi Hai Lihaza Is Surat me bhi Dum Aur Touba Wajib hai...

Umrah Ka Aehram Bandhne Wala Agar Tawaf Se Qabl Apni Biwi se Humbister ho Jae To Umrah Fasid Ho Gaya Us Par Zaruri Hai Ke Dum bhi De Aur Umrah ki Qaza bhi Kare...

Agar Umrah Karne Wale ne Tawaf Wa saise Farig Hokar Ser Mundane se Pehle Hum Bistari Ki to Umrah Fasid Nahi Magar Dum Wajib Ho Gaya....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 27/28)

PART:- 11

KHOOSHBU WAGERA ISTIMAL KARNE KE MASA'IL....

Kisi Muhrim Mard Ya Aurat ne Apne Pero Ya Pindli Ya Raan Ya Kamar Ya Pet Ya Pith Ya Seena Ya Gardan Ya Chehra Ya Dadhi Ya Hath ki Hatheli Ya Bazu Par Khooshbu Lagai To Dum dena Wajib Hoga Agar In Aaza Par Khooshbu Lagate hi Fouran Yaad Aaya Ke Ye Aehram ki Khilaf Warzi hai Fir Usi Waqt Khooshbu Door Kar di Khawah Dhokar Ya Pochkar Jab bhi Dum dena Wajib hoga...

Agar Jism ke Kisi Chote Uzw Par Khooshbu Lagai Maslan Naak,Kaan,Ungli Ya Aankh Wagera Par to Us Par Sadqa Wajib hai Agar Bade Uzw Ke Kum Hisse Par Khooshbu Lagai Jab bhi Sadqa Hi Wajib hoga.....

Halate Aehram Me Khooshbudaar Kapdo Ka Pehenna Zaiz Nahi Haan Jo Khooshbudar Kapde Aehram me Dakhil hone se Pehle Pehne Gae Wo Na Sirf Zaiz Balke Ittibae Sunnat ki Wajah Se Baise Sawab hai Uski Khooshbu Agar Baad Aehram bhi Aati hai To Koi Harz Nahi....

Muhrim Ke Liye Khalis Khushbudar Khana bhi Zaiz Nahi....

Khooshbudar Cheeze Ya Khalis Khushbudar Maslan Ilaichi, Darchini, Garam Masala Wagera Khane me Daal Kar Pakana Aur Ise Khana Muhrim ke Liye Zaiz hai Khooshbudar Pake Hue Khano Ke Istimal Se Na Dum Lazim Aata hai Na Sadqa...

Pan ko Laoug, Ilaychi, Aur Khooshbudar Tambaku ke Sath Halate Aehram me Istimal Karna Makrooh hai....

Halate Aehram Me Mashrubati Botalo se Bhi Parhez Karna Chahiye Maslan Coca-Cola, Sevan-up, Limka Soda Wagera Kyunki Inme Bhi Aksar Khooshbu Milai Jati hai....

Baa'az Log Hajre Aswad Wa Ruqne Yamani Par Khooshbu Laga Dete hai Jiska Rang Aur Asar Der Tak Rehta hai Muhrim ko Chahiye ki Uspar Hath Ya Munh Lagakar Bosa Dene se Parhez Kare.....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 30/31)

PART:- 12

SILE HUE KAPDO KA BAYAN....

Mohrim ne Sile Hue Kapda Char Peher Pehna To Uspar Dum Wajib Hai Aur Agar Char Peher se Kum Pehna To Sadqa Dena Wajib hai....

Muhrim Ne Sila Hua Kapda Pehna Aur Kaffara Ada Kar Diya Magar Kapda Utara Nahi To Dusra Kaffara Bhi Wajib Ho Gaya....

Agar Bhulkar Koi Sila Hua Kapda Istimal Kar Liya Aur Bad me Yaad Aane Par Utaar Diya Jab bhi Uspar ek Sadqa Wajib hai...

Sote Waqt Chadar, Kambal Ka Istimal Durust hai Ba-Shart ke Munh Na Dhake....

Wuzu Ya Gusl ke Bad Tuwal Ya Rumal se Muhrim Munh Nahi Poch Sakta Haan Dusre Aazae Badan Ponch Sakta hai Magar Is Ehtiyat se Na Baal Tute Na Mail Chute...

Nazla, Zhukam Ki Surat me Behtar Yahi hai ki Kisi Kapde Ya Tuwal se Naak Saaf Na Kare Balke Bager Khooshbu ke Tissue Paper Mil Jar to Behtrr hai Warna Toliya Naakse Kucj Doori Par Rakhkar Naak Sinak Le Aur Hath se Naak Saaf Karke Tuwal se Poch le.....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 33/34)

PART:- 13

BAAL DOOR KARNE KE MASA'IL.....

Aehram Ki Halat me Jism ke Kisi bhi Hisse ka Baal Mundna, Mundwana, Katarwana, Ukhadna, Ukhadwana, Todna Ya Baal Safa Powder ke Zariye Door Karna Sab Mana Hai...

Dadhi Mundwana Ya Katar ke Hadde Shara se Kum Kar dena Aehram ke Alawa bhi Haram hai..

Aur Halate Aehram me Sakht Haram hai Agar Ek Chothai Ya Zaid Dadhi ke Baal Door kiye to Dum Wajib hoga Aur Chouthai Se Kum me Sadqa Wajib hai Agar Muhrim ne Kisi Muhrim ka Ser Munda to Jiska Ser Munda Gaya Uspar Dum Wajib ho Gaya Jabke Ek Chouthai Serse Jyada munda Gaya ho Aur Mundne Wale Muhrim Par Sadqa Wajib hai...

Agar Aehram Se Bahar Aane ka Waqt Aa gaya Hai Maslan Umrah ki Surat me Tawaf Wa Saise Farigh Ho Chuka hai To ek Muhrim Dusre Muhrim ka Ser Mund Sakta hai Aur Is Trah Dono Muhrim Aehram se Bahar Aa Jaenge.....

Kisi Hajj Kiran Karne Wala Ne Tawaf Wa Saike Bad Bhule se Ser Munda Diya to Uspar Dum Wajib Ho gaya....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 34)

PART:- 14

BAAL DOOR KARNE KE MASA'IL.....

Umrah Karne Walone Tawaf Wa Saike Bad Ser Nahi Mundaya Na Taksir Karwai Balke Dusre Umrah ki Niyyat kar li To Uspar bhi Dum Wajib hai...

Wuzu Ya Gusl Karte Waqt Nihayat Aehtiyat se Pani Bahae Take ser , Dadhi Aur Jismke Baal Na gire Agar Ragadne ki Vajah se Baal Gir Gae Agarche 2-4 Hi Sahi to Sadqa Dena Wajib hai Baa'z Ulma Ne Ye Riaayat di Hai ke Ek Ya do Ya Teen Balo ke girne par Pura Sadqa Wajib nahi Balke Har Ek Baal ke Iwaz Ek Mutthi Anaz Ya Ek Khazoor Ya Ek Tukda Roti Sadqa Karna hai Haan Agar Teen Baal se Zyada gir Gae to Bil Ittefaq Sadqa Wajib hai...

Agar Khud ba Khud Baal Zhadte ho Ya Beemari ki Vajah se Girte ho to Koi Kaffara Nahi Agarche Sare hi Kyu Na gir Jae....

NAKHUN KATNE KE MASAIL:-

Agar Dono Hath Aur Pau ki 20 Ungli Ke Nakhun ko Ek Hi Majlis me Tarasha Ya Tarashwaya To Muhrim par Ek hi Dum Wajib hai....

Agar Kisi Muhrim Sahwan Apne Danto se Ek Hath kd Pancho Nakhun Kaat Dale to Dum Wajib hai....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 35)

PART:- 15

TAWAAF KE MASA'IL....

Tawaf ke Sahih Hone ke Liye Niyyate Twaf Nihayat Zaruri hai Uske Bagair Tawaf ho Hi Nahi Sakta....

Tawaf ki Niyyat Karte Waqt Qaba Muqarrama Ki Taraf Chehra Rahe Aur Hajre Aswad Dae Hath ki Taraf Rahe Aaj Kal Tawaf Karne ki Asani ke Liye Hajre Aswad ke Sidhe me Hajre Aswad Ke Niche se Masjide Haram ke Zine Tak Gehre Badami Rang ka Marbal Laha diya gaya hai Ye Marbal Jab Dahine Hath ko Taraf Rehta hai To Hajre Aswad Bhi Dahine Hath ki Taraf Rehta hai....

Isteba'a Sirf Tawaf Ki Halat me Masnun hai Baa'az Anjan Log Saime Mina Wa Arfat Me Balke Bazaro me Apne Kandhe Kholkar Chalna Fe'ale Sawab Samajte hai Halake ye Khilafe Sunnat hai Aur Makrooh hai...

Tawaf Se Farigh Hokar Iztebai Halat Khatm Karke Chadar Ko Chadar ki Trah Ordh Le Sirf Se Na Dhake Agar Ek kandha Kholkar bhi Namaze tawaf Padhe To Namaz Maqrooh hogi....

Tawafe Farz Ya Tawafe Kudum me( Yani Umrah Karne Wale Hajje Ifraad Karne Wale Hajje Kiran Karne Wale Ke liye) Tawaf ke Ibtedai Teen Chakkaro me Ramal Karna Sunnat hai Ramal ka Matlab Akad Kar Mundhe Halate Hue Kuch Tezz Magar Chote Chote Qadam ke Sath Chalna....

Tawafe Ziyarat me Ramal Masnun hai Magar Izteba Nahi...

Halate Tawaf me Seena Ya Peeth Qaba Sharif ki Taraf Nahi Hona Chahiye Aur Agar ho Jae To Jitna Fasla Seena Ya Peeth Kiye hue Tay kiya Usko Firse Dohrae Aur Behter hai ki Us Chakkar ko Naye Seere se Kare...

Agar Farz Tawaf Be-wuzu Kiya To Dum lazim hai Magar Us Tawaf ka Lotana Mustahab hai Aur Agar Ba-Wuzu Louta Liya to Dum Sakit ho Gaya...

Umrah Karne Wale Ne Agar Be Wuzu Tawaf kiya Ya kisi Ek Chakkar me Be-Wuzu Ho Gaya To Dum Wajib Hai Haan Ba-Wuzu Tawaf ko Dohra Lene se Dum Sakit Ho Jaega....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 36/37)

PART:- 16

TAWAAF KE MASA'IL....

Tawaf Me Esi koi Khilaf Warzi Ho Gai Jisse Dum Ya Sadqa Lazim Aata hai Fir Tawaf Karne Wala Uski Talafi Makka Muqarrama me Nahi Kar Saka Aur Watan Lout Aya To Uska Firse Makka Sharif Lout Kar Aana Uski Talafi Karna Zaruri Nahi Hai...

Balke Wo Watan Se hi Kiai Mutayyan Aadmi ki Marafat Dum Wagera ki Qeemat Bhej de Take Iske Liye Hudude Haram me Dum Wagera De diya Jae Is Trah wo Bariuzzzama Ho Jaega....

Umrah Karne Walo ko Tawaf ke Chakkar me Shak ho jae To jis Chakkar me Shak Hua Usko Firse Dohra le Take Shak Yakeen se Badal Jae.....

TAWAAF-E-FARZ.....

(Maslan Tawafe Ziyarat) Ya Tawafe Wajib (Maslan Bahar ke Haji ke liye Tawafe Wada) Me Agar Chakkaro ko Geenti me Bhul Jae Aur Shak ho Jae Ke Na Maloom ho Ki 5 Chakkar Hue Ya 6 To Naye Sire se Tawaf Shuru Kare...

Agar Tawafe Sunnat Ya Tawafe Nafil me Chakkar ki Tadad Bhool jae To Gumane Galib par Amal Kare Fir Agar Gumaan Kisi Ek Janib Galib Na Aata Ho yo Naye sire se Tawaf Shuru Kare....

Agar Tawaf ke 2 Ya 3 Chakkar Laga Diye Aur Fir Wuzu Toot Gaya To Wuzu Karne ke Bad Tawaf Jaha se Choda Hai Waha Se Shuru Kar Sakte hai Aur Agar chahe to Azsare 9 Tawaf Shuru Kare...

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 37/38)

PART:- 17

TAWAAF-E-FARZ....

Agar Tawaf ke 4 Ya Zaid Chakkaro Ke Baad Wuzu toot Jata hai To Wuzu Karne ke Bad Jaha Se Tawaf Ka Chakkar Choota hai Wahi se Shuru Karna Chahiye Azsare Nou Nahi Kar Sakte Aur is Surat me Hajre Aswad Se bhi Shuru Karne ki Zarurat nahi....

Tawaf ke 7 Chakkar Pure Hone ke Bad Agar 8 wa Shuru Kar diya to ye 8 wa nahi Balke Naya Pehla Chakkar hoga Lihaza Uske bhi 7 Chakkar Pure Karne honge....

Tawaf ki Dua Agar Yaad na Ho To Qitabe Leker ache se Sikh le Aur Yaad Kar le.....

Esi Awaz se Tawaf ki Dua Padhna Jisse Dusre Tawaf Karne Wale Ya Namaz Padhne Wale ko Tawahhush Wa Pareshani Ho Makrooh hai Un Peshawaro ki Naqal Utarne se Bache Jo Khud bhi Zor zor se Dua Padhte hai Aur Dusro ko Padhwate hai...

Peshab Ya Pakhane ki Hajat ho Fir bhi Use Daba kar Tawaf Karna Maqrooh hai....

Halate Tawaf me Pyas ka Galba Ho to Pani Pi Sakte hai Magar Khana Maqrooh hai Salam Karna Uska Jawab Dena Zarurat ke Waqt Kuch Baat Kar lena Hamd Wa Naat Ka Aahista Aahista Padhna Kisi Namazi ke Aage se Guzarna Aur Deeni Masail Puchna Batana Kisi Mua'zzam Shakshiyat Ya Dost Ahbab Se Musafa Kar lena Sab zaiz hai....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 39)

PART:- 18

TAWAAF-E-FARZ....

Halate Tawaf Me Pyas ka Galba ho To Pani Pee Sakte Hai Magar Khana Makrooh hai Salam Karna, Uska Jawab Dena, Zarurat ke Waqt Kuch Baat Kar lena, Hamd Wa Naat Ka Aahista Aahista Padhna, Kisi Namazi ke Aage se Guzarna Aur Deeni Masail Puchna, Batana, Kisi Muazzam Shakshiyat Ya Dost Ahbab Se Musafa Kar lena Sab Zaiz Hai....

Hajre Aswad ko Bosa Dene ke liye Dusre Tawaf Karne Walo ko Dhakke Dena Haram hai Jise Dhakka Diya Usse Muafi Chahna Aur Touba Karna Wajib hai Agar Bheed ki Vajah se Ba-Asani Bosa Mumkin na ho To Dono Hath Hajre Aswad Par Lagae Aur Hatho ko Choom le Agar Dono Hatho ka Lagana Mumkin Na ho To Ek Hath Magar Dahina(RIGHT) Hath Hajre Aswad par Lagae Aur Choom Le Agar Ye bhi Mumkin Na ho To Dono Hath Kaano Tak Utha Kar Dono Hatheliyo Ko Hajre Aswad Ko Taraf Is Trah Kare ke Hatheliyo ki Pusht Apne Chehre ki Trah Ho Aur Apni Hatheliyo Hi ko Bosa De de Ye Istemal Ho Gaya..

(YANI CHOOMNA ADA HO GAYA.)

Dourane Tawaf Mouka Mile To Ruqne Yamani Ko Dono Dono Hathose Ya Dahine Hathse Choo lena Chahiye Aur Zouq Mutalba Kare to Bosa Le Lene Me Bhi Harj Nahi Albatta Seena Ya Munh Deeware Qaba Ki Taraf Na ho.....

Jis Tawaf me Ramal Karna Masnun Hai Agar Hujum Zyada Hai To Tawaf Ko Mokhkhhar Kare Aur Hujum Kum Ho Jae To Ramalke Sath Tawaf Kare Aur Agar Esa Mouka Milna Dushwar Ho to Ramal ke Sath Tawaf Tawaf Shuru Kar de Jaha Jaha Mouka Milta Rahe Ramal Karta Rahe Aur Bheed Jyada Ho Jae To Ruk Jae Dusro ko Dhakka Dhakki na Kare Izdaham Itna Zyada Ho Jae ke Ramal Kar hi Nahi Sakta to Ramal Moquf Kar de Sirf Tawaf Kar le.....

Tawaf Shuru Kar Diya Ek Chakkar Ke Baad Ramal Yaad Aaya to Bakya Do Chakkaro Me Ramal Kare Aur Do Chakkaro Ke Baad Yaad Aya To Use Ramal ko Hajat Nahi Aur Na Uspar Koi Kaffara Hai.....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 40/41)

PART:- 19

WAKUF KE MASA'IL......

Arfat Chahe Paidal Jae Ya Sawari se Dua Wa Durood Sharif Aur Labbaik ki Kasrat Karta Rahe Aur Arfat me Giryazari ke Sath Dakhil ho Aur Jaha Tak Mumkin Ho Jable Rehmat Ke Qareeb me Qyam Kare....

Agar Jable Rehmat ke Qareeb Jagah Na Mile to Medane Arfat me Jaha Chahe Qayam Kare Magar Aam Rasto se Hatkar...

Masjid ka Imaam Agar Saleh Imamat ho to Suraj Dhalte Hi Masjid Pahoch Kar Sunnate Zohar Ada Kare Imaam ka Khutba Sune Zoharki Namaz Jama'at se Ada Kare Fir Asar ki Namaz Jama'at se Padhe Zohar Aur Asar ke Farzo ke Darmiyan Na Sunnat Padhe Na Salam Wa Kalam Kare Aur Asar ki Jama'at Khatm hote hi Mokaf ki Taraf Chal Pade....

Agar Masjid ka Imaam Saleh Imamat Nahi Jese Bad Aqeeda To Apne Khemo me Hi Zohar ki Namaz Jama'at ke Sath Ada Kare Aur Yaha Farz se Pehle Aur Farz ke Bad Dono Sunnato ko Ada Kare Fir Agar Waqt Ho to Tilawate Quran, Dua Wa Durood Sharif Padhte Rahe Jab Asar Ka Waqte Hanfi Shuru Ho Jae To Asar ki Namaz Awwal Waqt me Jama'at se Padh Kar Jable Rehmat ki Taraf Chale Aur Iske Qareeb Pahoch Kar Jitni Giryazari Aah Wa Buka Kar sakte ho Kare Touba Istigfar Aur Dua Durood Sharif Padhte Rahe Yaha Tak ke Suraj Gurub ho Jae....

Arfat ke Medan me Theherna (WAQUF) Yahi Hajj Ka Riqane Azam Hai jo Saksh Navi Julhijja Ke Waqte Zawal se Daswi ki Subha Saduq ke Darmiyan Aehram ke Sath Thodi Thodi Der ke liye bhi Yaha Theher Gaya Wo Haji Hai....

Youme Arfa Medane Arfat me Theharne Wale Ke Liye Basharat Hai ke Agar Usne Apne Kaan, Aankh, Zaban ko Kabu me Rakha To Uski Magfirat hai Aur Agar 4rt Kalma Duroode Paak Aur 4 Kull Padhkar Wo Dua Mange To Uski Bakshish Ho Jati hai Balke Agar Sare Ahle Arfat ki Bakshish ki Dua kare To Sabki Bakshish Ho Jaegi...

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 51/52)

PART:- 20

WAKUF KE MASA'IL......

Arfat Me Arfeka Roza Mamnu Hai Agar Arfat Se Bahar Rehne Walo Ke Liye Arfeke Roze Me Hazar Rozo ka Sawab hai...

Arfat ke Zulaste Hue Medan me Jaha Tak Bardasht ho Sake Har Qism ke Sae se Bache Khas kar Asr ke Baad se Magrib Tak Bajae Saya Talash Karne ke Medane Hashr Ke Tasawwur me Kho Jae Aur Apne Apko Ahkamul Hakimeen ke Samne Hazir Jane...

Medane Arfat Khaas Kar Mardo Ke Liye Azeem Aazmaish Ki Jagah hai Aurto ko Huqm Diya Gaya Ke Apne Munh Na Chupao Aur Marod ko Huqm Hai ke Unki Taraf Nigaah Na Karo .....

Jo Saksh 9vi ka Suraj Dubne Se Pehle Medane Arfat Ko Chod de Us par Dum Wajib hai Aur Touba bhi Agar Siraj Dubne se Qabl Muzdalfa Se Lout kar Vapss Medane Arfat me Chala Aya To Dum Saqit ho Gaya.....

Gurube Aftab Ho Jane ke Bad bhi Qadre Tawakkuf Kare Fir Medane Arfat ko Chode Take Raat ka Kuch Hissa Aa Jae...

Agar koi Saksh 9vi ka Aaftab Gurub Ho Jane ke Bad Bhi Arfat Me Aya To Uska Waquf ho Haya Magar Us par Dum Wajib hai Ke 9 vi ko Zawal Ke Baad Din ke Kisi Hisse se Wakuf Shuru Karna Wajib hai....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 52/53)

PART:- 21

WAKUF KE MASA'IL......

9vi ke Suraj Dubne se Pehle Sawariyo Me Beth Jana Zaiz hai Mahar Arfat Se Nikalna Zaiz Nahi.....

Arfat se Muzdalfa Ki Taraf Rawangi Ke Waqt Hi se Zikr Wa Durood Sharif Aur Dua Wa Labbaik Me Mashruf Rahe....

Wadi-E-Muhassar Muzdalfa Aur Mina Ke Darmiyan Wake'a Hai Jaha Ashabe Feel Par Azabe Islahi Nazil Hua tha Ab Use Khardar Aahni Taaro se Gher diya hai Hajiyo ko Chahiye ke Waha na Thehre....

WAKUF-E-MUZDALFA.....

Jisne Wadi-E-Muhassar me Qayam Kiya Uska Wakufe Muzdalfa Sahih Nahi Hua Us Par Dum Wajib hai...

Arfat me Gurube Aaftab Ho Jane ke Baad Namaze Magrib Na Padhe Aur Na Raste me Padhe Agar Arfat Ya Raste me Padhega To Gunaah Gaar hoga Aur Us Namaz Ka Loutana Bhi Wajib hai....

Muzdalfa Pahochkar Bhi Agar Magrib ka Waqt Baki Hai( YANI SHAGQE ABYAD) Hai to Magrib ki Namaz Nahi Padhni Chahiye Balke Jab Isha Ka Waqt ho Jae Aur Saleh Imamat Imam Mayassar ho To Jama'at Ke Sath Pehle Magrib Ke Farz Fir Isha Ke Farz Padhe Uske Baad Magrib ki Sunnate Fir Isha ki Sunnate Fir Witr Padhe...

Muzdalfa Ki Raat bhi Badi Kher Wa Barkat Wali Raat hai Baa'az Aqabeer Ulema e Kiram Ne Is Raat ko Laylatul Baa'rat Aur Laylatul Qadr se bhi Afzal Bataya Hai Lihaza Sari Raat Hamd Wa Sana Wa Zikr Wa Dua Aur Durood Khawani me Guzare Aur Agar Thalawat Ki Vajah se Neend Ka Galba ho To Jaldi So Jae Take Raat ke Pichle Peher Me Zarur Bedar ho Jae.....

Shetan ko Marne ke Liye Kankariya Muzdalfa Se Hi Choon Lena Chahiye Jiski Taadad Kum se kum (49) Ho Take Teeno Din ke Liye Kifayat Kare Kankariya Na Bhot Choti Ho Na Bhot Badi Balke Khajur Ki Guthli le Barabar Ho Aur Paak Jagah se Uthai Gai ho Fir bhi Kankariyo ko Dho lena Behter hai...

Subha Sadik Tulu'a Hone se Tulu'e Aaftab Tak Wakufe Muzdalfa Ka Waqt hai....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 54/55)

PART:- 22

WAKUF-E-MUZDALFA.....

Agar Koi Saksh Raat Bhar Muzdalfa me Thehra Aur Subha Sadik Se Pehle Hudude Muzdalfa Se Nikal Gya To Us par Dum Wajib hai Ke Usko Muzdalfa Ka Waquf Hi Nahi Mila...

Koi Saksh Subha Sadiq Hone Se Pehle Arfat Ki Taraf se Aya Aur Mina Ki Taraf Nikal Gaya Yaani Subha Sadiq Mina ke Hudud me Dakhil Hone ke Baad Hui To Us Par Dum Wajib hai....

Hajiyo ke Huzum Ki Vajah se Agar Bus Walo ne Muzdalfa Sharif me Bus ko Nahi Thehraya Yaha Tak ke Subha Sadik Hone se Pehle Bus Muzdalfa ke Hudud Se Bahar ho Gai To Usme Sawar Tamam Hajiyo par Dum Wajib hai...

Wadi-E-Muhassar Ya Uske Qareeb se Tezi ke Sath Nikal kar Muna me Dakhil Ho Jana Chahiye...

Aurte Bimar Wa Zaeef Jinhe Bheed Ki Vajah se Muzdalfa Me Theherna Wajhe Aziyyat Ho Aur wo Aziyyat Unke Liye Mazeed Pareshaniyo ka Sabab Bane to Wo log Majburan Waqt se Pehle bhi Mina Ja Sakte hai Magar unhe Kuch Sadqa Wa Khairat Kar dena Chahiye...

Agar Koi Acha Khasa Tandurast Haji Muzdalfa Me Esa Beemar ho Gaya Ke Use Mina Ya Makkah Muqarrama Jana Pada Aur Wo Subha Sadik Hone se Pehle Hi Chala Gya To Uspar Koi Kaffara Nahi....

Agar Muzdalfa Se Kankariya Chunna Bhul Gaya To koi Harz Nahi Use Chahiye Ke Mina hi ne Kisi Paaak Jagah se Kankariya Hasil Kare Aur Us Achi Tarah Dhoe Lekin Jumrat ke Qareeb se Kankariya Na Uthae.....

Muzdalfa Se Mina Aur Mina se Jumratul Uqba (PEHLA SHETAN) Tak Raste Bhar Hamd Wa Sana Zikr Wa Dua Aur Durood Sharif Ki Kasrat Honi Chahiye...

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 55/56)

PART:- 23

RAMEE KE MASA'IL.....

10 vi Zulhijja ko Sirf Jumratul Uqba (Pehla Shetan) Ko 7 Kankariya Marna Chahiye...

Shetan Ko Kankari Marne Se Pehle Ye Maloom Kar lena Chahiye Ke Qaba Sharif Kidhar hai Fir Qaba Sharif Ko Apne Bae Baazu ki Taraf Rakhkar Shetani Sutoon Se Kum Se Kum 2.5 Mitar Doori se Is Trah Ramee Kare Ke Shetan Sutoon Me Kankari Lage Ya Uski Jadd me Gire Ya 3 Hath ki Doori Tak Gire....

Kankari Agar Shetani Sutoon(PILLAR) Se 3 Hath se Zyada Fasle Par Gure To Us Kankarika Shumar Ramee me Na hoga....

Ramee Ke Waqt Jumrat ki Taraf Munh Ho Aur Kankariya Bae Hath me Rahe Aur Jis Kankari ko Shetan Par Marna Hai Wo Dahne Hath ki Anghushte Shahadat Aur Anguthe ki Chootki me ho Fir Daya Hath Khoob Uthakar Ke Bagal ki Safedi Zahir Ho Sake "BISMILLAHI ALLAHU AKABAR" Kehte Hue Ramee Kare....

Shetan Ko Kankari Marte Waqt Ye Niyyat Dil me honi Chahiye Ke Raahe Haq me Dakhal Dene Wali Har Taqat Ko Mismar Kar Raha hu Aur jo Nafs Wa Shetan Mujh par Musallat hai Usko Maar Bhaga Raha hu...

Bheed Bhaad kum Ho to Shetano ko Sathe Zameen(NICHLA HISSA) Hi se Kankariya Marna Afzal Hai.....

Kisi Haji Ne Agar Saato Kankariya Mutthi me Leker Ek Baar hi me Shetan ko Mar di To Ue sirf Ek hi Kankari Samji Jaegi Kyu ke Kankariyo Ko Alag Alag Fekne Ka Huqm hai....

Agar Kisi Haji Ne Ramee Me Sirf Do Ya Teen Kankariya Mari to Us par dum Wajib hai Aur Agar 4 Mari to 3 Chod di To Us par 3 Sadqe Wajib Hue....

Kisi ne Kankar Ke Bajae Jute Chappal Ya Saib Angoor Wagera Se Ramee kiya To wo Ramee Hi Nahi hui Ab Usko Ramee Karna Wajib hai Aur Touba bhi Ke Tazee-e-maal Ya Intehai Neamat ka Mutarkib Hua....

10 vi Zulhijja Ko Tulue Aftab Se Zawal Tak Ramee Karna Sunnat hai Aur Zawal Se Leker Aaftab ke Dubne Tak Mubah (Zaiz) Hai Aur Aftab Doob jane ke Baad Subha Sadik Tak Maqrooh hai....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 56/57)

PART:- 24

RAMEE KE MASA'IL.....

Suraj Dubne ke Baad Subha Sadik Tak Ramee Karna Agarche Maqrooh Nahi Balke Bila Qarahat Zaiz hai Balke Moujuda Halat me Aurto ke Liye Raat me Ramee Karna Afzal hai...

Ramee Kar lene Ke Bad Shetan Ke Qareeb Jaha se Ramee ko Jati hai Na Thehre Balke 7vi Kankari Marte hi Fouran Zikr Wa Dua Karte Hue Palat Aae Fir Qurbani Wagera me Lag Jae....

11 vi Zulhijja Ko Baad Zawal Namaze Zohar se Farig Hokar Shetan Ko Kankari Marne ke Liye Jana Sunnat hai Vese Ramee Ka Waqt Zawal ke Baad Shuru ho Jata hai Aur Subha Sadiq Tak Rehta Hai Magar Bilauzr Raat me Ramee Karna Makruh hai...

11 Aur 12 Zulhijja Ko Ramee Karne Ka Tareeka Ye hai ke Baad Zawal Se Gurube Aaftab Tak Pehle Jumrtul Ula(Yani Chota Shetan) Ke Qareeb Aaye Jo Masjide Khif Ke Nazdik Hai...

Fir Qible Ki Taraf Munh Karke Use 7 Kankariya Alag Alag Mare Aur Fir Sutoon Se Kuch Aage Badh Kar Jaha Bheed Bhaad Na ho Ya Kum ho Apni Hatheliyo Ko Qibla Rukh Karke Taweel Dua Mange Yani Itni Der Tak Jitni Der mr Kum az Kum Sureh Bakar ko 20 Ayat Padhi Jae Usse Kum Me bhi Harz Nahi...

Uske Bad Jumrtul Wusta(Yani Chota Shetan) Ke Pas Aaye Aur Use Bhi Awwal Ki Trah 7 Kankariya Mare Fir Waha se Hatkar Taweel Dua Mange Uske Bad Teesre Shetan Ke Paas Aaye Aur Use bhi Alag Alag 7 Kankari mare Aur Fouran Palat Aae yaha Kuch Fasle par Theherkar Dua Na Kare Balke Raah Chalte hue Raaste me Dua Wa Istigfar Aur Zikr Kare....

Agar 12 Zilhijja Ko Meena Hi me Thehera Yaha Tak ki 13 ki Raat Aa gai Aur Subha Sadik Aa gai To 13 ki Ramee bhi Wajib hai Agar Bager Ramee ke Chala Jae to Dum Wajib hai....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 58/59)

PART:- 25

RAMEE KE MASA'IL....

13 Vi Zulhijja Ki Ramee Ka Waqt 13vi ki Subha Sadiq Se Gurube Aaftab Tak Hai Lekin Subha se Zawal Tak Makrooh hai Lihaza Ramee Karke Makka Mukarrama Rawana Hona Chahiyemmn

Agar 10 Vu Zulhijja Ko Suraj Nikalne Ke Baad Se 11 vi ki Subha Sadik Tak Kisi Waqt Ramee Kiya To Ramee Ho Gai Us Par koi Kaffara Nahi Magar Suraj Dubne ke Baad Bila Uzr Ramee Makrooh hai...

Jo Mard Aurat Kamzor ya Mareez Ho ke Sawari Par bhi Jumrat Tak Nahi Ja Sakta Wo kisi Dusre ko Ramee Ke liye Apna Naib Banae Be Uzre Sharai Ramee ke Liye Kisi ko Nayab Banana Zaiz hai....

Nayab ko Pehle Apni Ramee Karni Chahiye Fir Jiski Taraf se Nayab Banaya Gaya hai Uski Ramee Kare...

Agar Apne Tor pe Kisi ne Kisi ki Taraf se Ramee Kar di to Ramee Na hui Jo Be Uzr Sharai Kisi ko Apna Nayab Banakar Ramee Kara Le Uski Ramee Sahi Nahi hoti Use Dum dena Lazim hoga...

Kisi Aurat Ne Be Uzre Sharai Sohar Ya Muhrim ko Nayab Banaya To Uske Ramee Karne se Aurat ke Ser se Wajoob Nahi Talega Jab Tak wo Kaffara Na Ada Kare...

Agar Kisi Din ki Puri Ramee Reh Gai to Dum Lazim hai Aur Agar Teeno din Ki Ramee Reh Gai Jab bhi Ek hi Dum Lazim hai Ye Nahi ke Har din ka Ek Dum Lazim hoga Ya Ek Shetan ko na Marne par Ek Dum Aur Do ko Na Marne Par Do Dum....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 59/60)

PART:- 26

QURBANI....

Yaha Bakra Eid ki Namaz Nahi Padhi Jaegi Kankari Marne se Farig Hokar Hajj ke Shukrane ki Kurbani Ki Jaegi...

Hajj ke Shukrane ki Kurbani Hajje Kiran Karne Wale Aur Hajje Tamto'a Karne Wale Har Haji Mard-Aurat Par Wajib hai Agarche Gareeb ho Aur Hajje Ifrad Karne Wale Haji Ke Liye Mustahab Hai Agarche Maaldar ho...

Hajje Qiran Aur Hajje Tamto'a Karne Wale Agar Mohtaj Mahaz Ho Yaani Unke Pas Itna Naqd Na ho Ki wo Janwar Kharid Sake Aur Na Esa Saman Hai Ke Use Bechkar La Sake to Unpar Kurbani ke Badle 10 Roze Wajib hai Hajj Ka Aehram Bandhne Ke Baad Jab Chahe Rakhe Behter Ye hai ki 7, 8, 9, Zulhijja ko Aur Baki 7 Roze 13 vi Zulhijja Ke Baad Jab Chahe Rakhe Behter Ye hai ke Ghar Pahochkar Rakhe..

Hajje Qiran Aur Hajje Tamto'a Karne Wale Agar Mukeem ke Huqum me hai Aur Sahibe Nisab hai To Unpar 2 Kurbani Wajib hai Aur Hajj ke Shukrane ki Aur Dusri Bakri Eid ki Ya Yu hi Agar Hajje Ifrad Karne Wale Sahibe Nisab Hai Aur Mukeem Ke Huqm me Hai To Us Par Bakra Eid ki Kurbani Wajib hai Lekin Ye log Agar Bakra Eid Ki Kurbani ka Intezam Apne Watan me Kara de to Harz nahi Magar Hajj ke Shukrane ki Kurbani Aur Kaffare ki Kurbani Sirf Mina Aur Pure Hudude Haram me Hi ho Sakti hai Uske Bahar Watan Wagera me Nahi ho Sakti...

Makka Muqarrama Me Aaj Kal Kurbani Ka Tokan Becha Jata hai Jisko Haji Mukhtalif Idaro Aur Banko Se Kharidte hai Aur Baa'az Surto me Tokan ke Sath Sath Kurbani ka Waqt Aur Tarikh ka Taayyun Bhi hota hai Lekin Kya Yakeen ke Us Tarikh Aur Waqt par Kurbani huo bhi Ya nahi???

Aur Agar Kurbani Ho bhi Gai To Kya Yakeen ke Janwar Aibo Se Paak bhi tha ya Nahi Kyunke Tokan Wale Idare Truko ke Hisab se Janwar Kharidte Hai Aur Ek Taraf se Zibah Karna Shuru Karte hai Lihaza Is Shak Wa Taraddud Me Padne ke Bajae Khud Kurbani ka Janwar Dekhbhal Kar Kharide Ya Kabile Aitbar Shaksh se Kharidwae Aur Use Khud Zibah Kare Ya Zibah ke Waqt Moujud rahe Aur Agar kisi ko Nayab Banaya Hai to Wo Aa kar Khabar de ke Tumhari Taraf se Kurbani Ho gai Fir Halak Wagera Karae....

Hajje Qiran Ya Hajje Tamto'a Karne Wale Haji ne 10 vi ki Ramee Jimar se Pehle Kurbani Kar li to Uspar Dum Wajib hai....

Meena Sharif Chuke Hudude Haram me Hai Lihaza Waha Ek Kurbani Ka Sawab Ek Lakh Kurbaniyo ke Barabar Hai Agar Wus'at Ho to Apni Taraf se Kurbani ke Baad Apne Muslim Aaba wa Ajdad Aur Buzurgane Deen Aur Khaskar Saiydde Qaynat Shafi-ul Muznabin Huzur Purnur Sallahu Alayhi Wasallam Ki Taraf se Bhi Kare....

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 60/61/62)

PART:- 27

HALAK-WA-TAKSIR KE MUKHTASAR MASA'IL....

Halak (SARE SARKA BAAL MUNDWANA)  Mardo ke Liye Afzal Hai Taksir(Sare Sar Ya Kum Se Kum Chouthai Ser le Tamam Balo ko Ungli ke Ek Pore ke Barabar Katna) Zaiz hai...

Halak ho Ya Taksir Baloko Katne ki Ibteda Dahni(Right) Janibse Hona Chahiye Aur Afzal ye hai ki Haji Hajjan Qibla Rukh Bethe Jab tak Bal Munde Ya Tarashe Jate Rahe Us Waqt Tak Takbir Wa Tehlil Aur Hamde Ilahi Bayan Karte Rahe Fir Faragat Ke Baad Apni Aur Tamam Musalmano Ki Bakshish Ki Dua Karni Chahiye....

Baal Ya Nakhun Ya Jism Se Koi bhi Hissa Juda hua to Usko Hamesha Dafan Kar dena Chahiye Warna Uski Behurmati Hogi...

Kurbani Karne ke Bad Qarin Wa Mutmate Haji Ek Dusre ka Ser Mund Sakte hai....

10 vi ki Ramee ke Bad Ek Mufrid Haji Dusre Mufrid Haji Ke Ser ke Baal Mund Sakta hai Aur Katar Sakta hai...

Umrah Karne Wale log Jab Saise Farigh Ho jae To ek Dusre Umrah Karne Walo ke Baal Bana Sakte hai Ke Ye Waqt Aehram se Bahar Aane ka Waqt hai....

Jis Haji ne Barvi Ke Suraj Dubne tak Baal nahi Banwaya Us par Dum Lazim hai...

Jo Saksh Pehle se Ganja ho To Usko ser pe Ustara Chalwana Wajib hai Agar Usne Ustara Nahi Firwaya To Us Par Dum Wajib hai...

(MOIN-UL-HAJJ- SAFA- 63/64)

PART:- 28

SAFAR-E-HAJJ SE PEHLE....

Jiska Karz Aata ho Ya Amanat Par ho Ada Kare Jinke Maal Nahak Liye ho Vapas De Ya Muaf Kara le Pata na Chale to Itna maal Faqeero ko De de..

Namaz, Roza, Zakat, Jitni Ibadat Zimme ho Ada Kare Aur Taib Ho...

Jiski Be Izazat Safar Makrooh hai Jese Maa-Baap, Sohar Use Razamand Kare Jiska Uspar Haq Aata ho Us Waqt na de Sake to Usse Bhi Izazat le le Fir bhi Hajj kisi ki Izazat Na Dene se Ruk nahi Sakta Izazat Me koshish kare na mile Tab bhi Chale jae...

Is Safar ke Maqsood Sirf Allah Wa Rasool Ho...

Hajat se Jyada Tosha Leker Rafiko Ki Madad Aur Faqeero Par Tasduk(Sadqa) Karta Chale Ye Hajje Mabruru ki Nishaniya Hai..

Aaina, Surma, Kangha, Miswak, Sath Rakhe Sunnat hai...

Chalte Waqt Apne Sab Azeezo, Dosto se Mile Aur Apne Kasoor Muaf Karvae Aur Ab Unpar Lazim Hau ke Dil se Muaf Kar de...

Libase Safar Pehenkar Ghar me 4 Rakat Nafil Alhamdu wa Kul se Padh kar Bahar Nikle Wo Rakate Wapas Aane tak Uske Ahel Wa Maal ki Nigehbani Karegi....

Sabse Ruksat ke Baad Apni Masjid se Ruksat ho Waqte Karahat na ho to Usme 2 Rakat Nafil Padhe...

(MOIN-UL-HAJJ)

PART:- 29

HAJJ KARNE KI FAZEELAT....

HADEES:-

HAZRAT IBN E ABBAS RADI ALLAHU TA'ALA ANHU ne kaha ki NABI KAREEM SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ne farmaya ki aye logo!
KHUDA ne Tumper hajj farz kiya hai.
AKARA IBN E HABIS RADI ALLAHU TA'ALA ANHU ne khade ho kar pucha.

YA RASOOL ALLAH !
Kiya her sal hajj farz hai ?
Farmaya agar mai ha kar du to her sal hajj farz ho jaye aur agar her sal farz ho jaye to tum use ada karne ki taqat nahi rakhte.isliye hajj puri zindagi me sirf ek martaba farz hai aur jo usse zada kare wo nafl hai .

(Ahmad-Darmi Mishka)

Hajj farz hai jo Isko farz na mane wo kafir hai ! Sari umr me ek baar farz hai !
Hajj na karne me bahut sakht gunah hai yaha tak ki be Iman hokar marne ka der hai aur hajj karne se alawa farz ada hone ke bahut sawab aur bahut barkate hai !....

(QANOON E SHARYAT PAGE NO 2)

NABI KAREEM SALLALLAHU TA'ALA ALLAIHI WA SALLAM ne farmya ,
Hajj karne se paihle jitne gunah ho chuke hai hajj sabko mita deta hai aur farmaya hajj kamzooro aur aurto ke liye jihad hai aur farmaya haji ki magfirat ho jati hai aur haji jiski magfirat ki dua kare uski bhi !aur farmaya ki her kadam per(7) sath karood nekiya uske namaye amal me likhi jati hai aur farmaya jo hajj qabool hua uska sawab jannat hai aur farmaya jo hajj ke liye chala aur raste me mar gya (INTIQAL HO GYA )to wo behisab jannat jayega aur qayamat tak uske liye hajj karne ka sawab likha jayega !aur bahut fazilate hai humne ikhtisar ki wajah se sirf chand hadith o ka mazmoom likha hai !

(QANOON E SHARYAT PAGE NO 217)

MAS'ALA:-

Jab hajj karne ke layaq ho jaye to hajj faoran Farz ho jata hai yani usi sal me aur ab dair karne ka gunah hai aur kayi baras tak na kiya to gunahgar hai aur uski gawahi maqbool nahi lekin jab bhi karega ada hi hoga qaza nahi hoga.....

(Durr e Mukhtar)

HASAN HAJJ KAR LIYA AANKHO NE QABA SE ZIYA PAI....

CHALO DEKHE WO BASTI JISKA RAASTA DIL KE ANDAR HAI...

(ALLAMA MOULANA HASAN RAZA KHAN ALEYHIRREHMA)

PART:- 30

Imaam-E-Ishq O Mohabbat Ala Hazrat Irshad Farmate Hai....

HAJIYO AAO SEHANSHAH KA ROZA DEKHO...

QABA TO DEKH CHUKE QABE KA QABA DEKHO....

BARGAHE MUSTUFA صلي الله عليه و سلم ME HAZRI....

Huzure Aqdas صلي الله عليه و سلم Ne Farmaya Jisne Meri Kabr ki Ziyarat Ki Uske liye Meri Shafa'at Wajib hai...

(DARE QUTNI)

Huzure Aqdas صلي الله عليه و سلم Ne Farmaya Jisne Meri Wafat ke Baad Meri Ziyarat Ki Goya Usne Meri Hayate Zahiri me Meri Ziyarat ki...

(BAYHAKI)

Huzure Aqdas صلي الله عليه و سلم Ne Farmaya Jis Saksh Ne Hajj kiya Aur Meri Ziyarat ko Na Aya Usne Mujhpar Zulm kiya...

Isi Liye Ulema Kiram ne Farmaya Ziyarate Aqdas Wajib ke Qareeb hai...

Jab Nazar Madina Taiyaba Pe Pade to Behter hai ki Sawari se Utar Jae Nange Per Ser Jhukakar Rote hue Chale...

Sehere Madina me Dakhil hone ke Baad Sabse Pehle Masjide Nabawi Sharif Me Dakhil hone ki Koshish Kare Lekin Pehle Un Tamaam Zaruriyat se Farigh ho Jae Ke Jinse Dil Batne ka Andesa Ho...

Behtar Hai ki Gusl Kare, Aur Ye na ho to Wuzu Kare Miswak ke Bad Naye Ya Purane Kapde Pehne Aur Khooshbu Lagakar Fouran Aastana-E-Aqdas ki Taraf Nihayat Khushua Wa Khuzu Ke Sath Rote hue Chal Pade...

Bab-E-Jibrail Se Dakhil Hona Afzal hai Jab Masjid ke Darwaze par Pahoche To

" الصلوۃ و السلام علیك یا سیدی یا رسول الله ﷺ"
Arz Kare Aur Thoda Thehre Jese Sarkare Do Aalam ﷺ Se Hazri ki Izazat Mangte ho...

Fir Masjid me Dakhil hone ki Dua Padhe Pehle Right Per Masjid me Rakhkar Dakhil ho Agar Waqte Makrooh Na ho to 2 Raqa'at Namaz Tahiyyatul Masjid Hattal Imkan Jannat ki Kyari Me Ada Kare...

Pehli Raqa'at me Sureh Fatiha ke Bad Sureh Kafirun Padhe Aur Dusri Raqa'at me Sureh Ikhlas Padhe Fir Sajda e Shukr Ada Kare Ke Allah Taa'la Ne Is Nemat Se Uzma Se Nawaza hai...

PART:- 31

BARGAHE MUSTUFA صلي الله عليه و سلم ME HAZRI....

Sunahri Jali me 3 Gol Dayre Banae Gae hai Jo Dayra Huzur ﷺ Ke Chehra-E-Anwar ke Samne Banaya Gaya hai Use Mawajaha Sharif Kehte hai Aap Mawajaha Sharif se Kum se Kum 4 Hath Ke Fasle Par Khade Ho Aur Yakeen Jane ke Huzur ﷺ Salato Salam Wa Kalam ko Sunte hai Balke Dilo ke Khatrat se Waqif hai Aur ese hi Zinda hai Jese Wisal se Pehle The...

Sarkare Do Aalam ﷺ Chuke Mazar Pur Anwar ke me Qibla Rukh Jalwa Farma Hai Lihaza Rue Anwar Ke Muqabil Qibla ki Taraf Pith Karke Aur Namazi ki Trah Hath Bandh Kar Khade ho Jali Sharif Ko Bosa dena Ya Hath Lagane se Bache Khilafe Adab hai....

Ab Apka Munh Us Paak Jali Ki Taraf ho Gaya Jo Mehboob e Kibriya Ki AaramGaah Hai Nihayat Abad Wa Aehtraam ke Sath Darmiyani Aawaz me Salam Padhe Salat wa Salam Ke Alfaz ye hai...

Aye Nabi ﷺ Aap Par Salam Ho Aur Allah ki Rehmat Aur Uski Barkate...

Aye Allah ke Rasool ﷺ Aap Par Durood Wa Salam Ho...

Aye Allah ke Nabi ﷺ Aap Par Durood Wa Salam Ho...

Aye Allah ki Makhlook me Sabse Behter Aap Par Durood Wa Salam Ho...

Aye Allah ke Noor me Se Ek Noor Aap Par Durood Wa Salam Ho...

Aye Allah ki Saltanat ke Dulha Aap par Durood Wa Salam Ho....

Aur Apki Aal Wa Ashab Aur Ummat Sab par....

NOTE :-

Salat Wa Salam Ke Ye Alfaz Mutayyan Nahi hai Aap Dusre Lafzo me bhi Salam pesh Kar sakte hai....

PART:- 32

BARGAHE MUSTUFA صلي الله عليه و سلم ME HAZRI....

Pichla Part Zarur Padh le....

Agar Is Qism ke Alfaz Yaad na ho Sake To الصلوۃ و السلام علیك یا سیدی یا رسول الله ﷺ Padhe Aur Behter hai Ki 70 Bar se Kum Na Padhe Aur Bar Bar bhi Arz kare "AYE ALLAH KE RASOOL ME APKI SHAFA'AT MANGTA HU" Agar Kisi ne Huzur ki Khidmat me Salam Arz Karne ke liye Kaha hai to Uski Taraf se Is Trah Salam pesh kare"AYE ALLAH KE RASOOL AAP PAR SALAM KO FULA BIN FULA KI JANIB SE JO APKE RABKE PAS APKI SHAFA'AT CHAHTA HAI TO USKI AUR TAMAAM MUSALMANO KI SHAFA'AT FARMAIYE...

(Fula Bin Fula ki Jagah Us Saksh Ka Naam Uske Walid ke Sath le Jisne Salam Arz Karne ko Kaha ho)

Agar Bhot Se Logo Ne Salam Arz Karne ko Kaha ho Aur Unke Naam Yaad Nahi Rahe To Sabki Taraf Se Is Trah Salam Arz kare...

AYE ALLAH KE RASOOL AAP PAR SALAM HO HAR US SAKSH KI JANIB SE KI JISNE MUJHKO APKI BARGAH ME SALAM ARZ KARNE KO KAHA HAI....

Sarkare Aqdas صلي الله عليه و سلم Par Is Trah Salam Pesh Karne ke Bad Apne Dahine Hath ki Taraf Ek Hath ki Miqdar Hatkar Dusre Dayreke Samne Aa jae Aur Hazrate Siddiqe Akbar رضي الله تعالي عنه Ke Chehre-E-Anwar ke Samne Khade hokar Is Trah Salam Arz Kare...

AYE RASOOLALLAH KE KHALIFA AAP PAR SALAM HO, AYE RASOOLALLAH KE WAZEER AAP PAR SALAM HO, AYE GAAR-E-SOUR ME RASOOLALLAH KE SATHI AAP PAR SALAM HO AUR ALLAH KI REHMATE BARKATE....

PART:- 33

BARGAHE MUSTUFA صلي الله عليه و سلم ME HAZRI....

Fir Dahni Taraf Hatkar Teesre Dayre ke Samne Khade ho Jae Aur Hazrate Farooke Azam رضي الله تعالي عنه Ke Roobaro Is Trah Salam Arz Kare....

AYE AMEER-UL-MOMEENIN AAP PAR SALAM HO, AYE 40 KI GEENTI PURI KARNE WALE AAP PAR SALAM HO AUR ALLAH KI REHMATE AUR BARKATE...

Fir Ek Balisht Bae Janib Hatkar Hazrate Abu-Bakr Siddiq Aur Hazrate Umar Farook رضي الله عتهما Ke Darmiyan Khade hokar Is Trah Salam Arz kare...

Aye Rasoolallah Ke Khalifa Aap Doni Par Salam ho, Aye Rasoolallah Ke Pehlu me Aaram Karne Wale Aap Dono Par Salam aur Allah ki Rehmat Aur Uski Barkate...

Aap Doni Hazrat Se Me Sawal Karta hu Rasoolallah صلي الله عليه و سلم Ke Huzur Humari Shafa'at Kijiye Allah Taa'la Unpar Aap Dono Par Darood Aur Barkate Aur Salam Nazil Farmae....

Fir Uske Bad Dobara Huzur Ke Samne Hazir hokar Haq Taa'la Ki Hamd Wa Sana Bayan Karke Durood Sharif Padhe Aur Huzur ke Waseele se Apne Liye Aur Apne Waliden Ke Liye Azatesha, Mashaikh, Ahbaab, Wa Mutalliqeen Aur Jumla Momeenin Ke liye Dua kare Aur Sabke Liye Shafa'at Ko Darkhwast Kare....

Fir Uske Bad Apni Qayam gaah Par Vapas Aa jae Jab Tak Madina Sharif me Hazri Naseeb ho Ek Saans bhi Bekar na Jane de Namaz, Tilawate Quran, Aur Durood Sharif Padhte Rahe Har Farz Namaz Ke Baad Ya Kum se Kum Subha Wa Sham Mawajaha Sharif me Salam Arz Karne ke Liye Hazri dete Rahe...

Aurte Bheed Bhaad Me Na ghuse Unko Raat ke Waqt Salam Ke liye Hazir hona Behter hai...

Sehar me Ya Seher se Bahar Kahin bhi Huzur ke Gumbad par Nazar Pade Fouran Adab ke Sath Udhar Dekh kar Salato Salam Arz kare Bagair uske Hargiz na Guzre Khilafe Adab hai....

PART:- 34

MADINA MUNAWWARA SE WAPSI....

Jab Madina Munawwara se Wapsi Ka Irada ho to Mehrab-E-Nabawi me Ya Uske Qareeb Masjide Nabawi Sharif Me Jaha Jagah Mile 2 Raqa'at Nafil Padhe Uske Baad Mawajahe Aqdas me Hazir Hokar Dard, Ghum, Wa Giryazari ke Sath Salato Salam Arz Kare...

Fir Deen Wa Dunia ki Bhalai, Hajj Wa Ziyarat Qabool Hone Aur Khair Wa Aafiyat Ke Sath Ghar Pahochne ki Dua Mange Aur Khaas Kar ye bhi Dua Kare Ke Hazrika Ye Aakhri Mouka na Ho Balke Khuda Taa'la Is Noorani Maqam ki Bar Bar Ziyarat Karae....

Uske Baad Roza-E-Aqdas Ki Taraf Munh Karke Ulte Pau Chale Ya Sidhe Chale Aur Fir Fir Kar Hasrate Roza-E-Anwar Ko Dekhte Hue Aur Judai me Rote hue Masjide Nabawi Sharif se Pehle Baya(LEFT) Per Nikale Aur Jaha Tak Gumbade Khazra Nazar Aaye Bar Bar Hasrat Bhari Nigaah Se Dekhte Rahe....

PART:- 35

WATAN KE QAREEB PAHOCHNA....

Jab Watan ke Qareeb Pahoche to Pehle Kisi Aadmi ko Bhejkar Apni Aamad Se Mutala Kar de Aur Apni Aabadi me Subha Ya Shaam ke Waqt Dakhil ho Aabadi me Dakhil hone Ke Baad Agar Waqte Maqrooh Na ho to Pehle Muhalle ki Masjid Me 2 Raqa'at Nafil Namaz Padhe Fir Apne Ghar me Bhi 2 Raqa'at Nafil Padhe Aur Khuda Taa'la Ka Shukr Ada Kare Ke Usne Khair Wa Afiyat Ke Sath Safar ko Pura Farmaya Aur Hajj wa Ziyarat Ki se Musharraf Farmaya....

HAJIYO KA ISTIQBAL....

Jab Haji log Hajj se Vapas Aaye to Unse Mulaqat Kare Aur Salam Wa Musafe ke Baad Unke Ghar Pahochne se Pehle Apne Liye Dua Karaye Ke Haji ki Dua Qabool Hoti hai....

Hadees Sharif me Hai Jab Haji Se Mulaqat Karo to Salam Wa Musafa Karo Aur Uske Bad Ghar me Dakhil Hone se Pehle Dua ki Darkhwast Karo Isi Liye ke Uske Gunaah Baksh Diye Gae hai.....

(Moin-ul-Hajj)

EK BAAT ME APNI AQEEDAT SE KEH RAHA HU KI HAJI JAB HAJJ KARKE AAYE TO USKE HATH CHOOM LENE CHAHIYE KYUNKI USKE HATH US MUQADDAS PATTHAR HAJRE ASWAD KO CHOO KAR AAYE HAI USKE HATH SE USNE HUZUR KE ROZE KI JALI MUBARAK KO CHOOMA HAI
YE MERI TARAF SE EK BAT RAKHI HAI KISI QITAB SE NAHI......

PART:- 36

MAKKA MUKARRAMA KI ZIYARAT GAAHE :-

Masjid e Haram –

Wo mubarak Masjid jis me Ka’aba shareef hai.
Aur jis me Maqaam e Ibraheem, Beer e Zamzam aur Kohe Safa wa Marwa hain......

Wiladat-gaah e Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam:-

Wo muqaddas mubarak makaan jaha Sarware kaainat Khairul bashar Khaatimul ambiya Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ki wilaadat (zahoor) hui thi.
Jo ab maktab (library) me tabdeel kar diya gaya hai.

Jable Abu Qubais :-

Dunya Ka sab se pehla aur muqaddas pahaad jaha par Hajre aswad naazil hua,
Jaha par jalwa afroz hokar Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne elane Nabuwwat kiya aur yahi par Shaqqul Qamar ya’ni chand ke 2 tukde farmaye the.

Ab is pahaad par shaahi mahel taameer kar diya gaya hai....

Maqaam e Me’araj :-

Shabe Me’raj ko Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ko Hazrate Umme Haani radi-Allahu ta’ala anha ka makaan par aaram farma rahe the aur ALLAH ta’ala ke hukm se Hazrate Jibreil alaihis salaam aap ko Me’araj ke liye apne saath le gaye the.

Ye ab Masjide Haraam ke Andar aa gaya hai.....

Mohalla Misfalah :-

Is muhalle me Hazrat Ibraheem alaihis salaam raha karte the.
Hazrate Abu Bakr Siddeeqe akbar,
Hazrate Umar Farooqe aazam aur Hazrate Ameer Hamza radi-Allahu ta’ala anhu bhi yahi qayaam pazeer the....

Jannatul Ma’ala (Qabrastan):-

Ye dunya ke 2 Afzaltareen qabrastan me se ek hai,
Jaha Ummul mo’mineen Hazrate Khadijatul kubra radi-Allahu ta’ala anha,
Saahabzada e Rasool Hazrate Qaasim radi-Allahu ta’ala anhu, Hazrate Abdullah ibn Zubair radi-Allahu ta’ala anhu,
Hazrate Asma bint Abu Bakr Siddeeq radi-Allahu ta’ala anha aur bahut saare Ashaba, Taabe’in aur Auliya Allah rahmatullahi alaihi aaram farma rahe hain.....

Masjid e Jinn :-

Jannatul ma’ala ke qareeb is maqaam par Huzoor Sarware kaainat sallallahu alaihi wa sallam se Namaze fajr me tilawate Qur’an majeed sunkar Jinnat Musalman hue the.....

Masjid e Shajarah :-

Masjide Jinn ke saamne is maqaam par ek darakht hai, jo Huzoor Sarkare do-aalam sallallahu alaihi wa sallam ke bulane par apni jadon samet aap ki baargah me haazir hua tha aur phir apni jagah waapis jaakar jaisa tha waisa ho gaya tha.

Masjid e Aqaba
(Masjide Bai’at) :-

Makka se Mina jaane wale raaste par is maqaam par hijrat se pehle pehli baar Ansar ashaba ne jama hokar Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ki aur Islaam ki khidmat ka waada kiya tha.

Masjid e Raayah :-

Fateh Makka ke mauqe par Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne is maqaam par apna jhanda nasab kiya tha......

Masjid e Ganam :-

Is maqaam par fateh Makka ke baad Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne wafaadari ka halaf liya tha.

Jable Noor :-

Is pahad par Gaare Hira me Huzoor Nabi e aakhiruz zamaan sallallahu alaihi wa sallam zahoore risalat se pehle ek maah zikr o fiqr me mashgool rahe aur yaha pehli wahi naazil hui aur hidayate ilaahi ka noor saare aalam me faila.

PART:- 37

MAKKA MUKARRAMA KI ZIYARAT GAAHE :-

Jable Saur :-

Is pahad par Gaare Saur me Huzoor Khaatimul Ambiya sallallahu alaihi wa sallam hijrat ke waqt apne rafeeqe khaas Hazrat Abu Bakr Siddeeq radi-Allahu ta’ala anhu ke saath 3 raat qayaam pazeer rahe.....

Masjid e Khaif –

Mina me jamrat ke qareeb is maqaam par Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ne Hajjatul wida ke mauqe par khaima banakar qayaam karke 5 waqt ki namaaz ada ki thi.

70 Ambiya e kiraam ne yaha namaaz padhi hai aur 70 yaha madfoon hain...

Masjid e Namrah –

Arfat me Jable rehmat ke qareeb is maqam par Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Hajjatul wida ke mauqe par wuqoofe arfa kiya tha.

Aur ashaba e kiraam ko khutba diya tha aur wasiyate, naseehate aur duaen ki thi aur Zohar aur asr ki Namaz ada ki thi....

Jable Rahmat –

Hajjatul wida ke mauqe par Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne asr ki namaz ke baad Arfat me is muqaddas pahad ke qareeb khade hokar duaen maangi thi aur yahi par aakhri wahi naazil hui thi.....

Hazrat Aadam alaihis salaam aur Bibi Hawwa radiAllahu ta’ala anha maidane arfat me is maqam par phir se ek dusre se mile the.......

Masjid e Muzdalifa –

Hajjatul wida ke mauqe par Huzoor sallallahu alaihi wa sallam Jable Kuzh ke qareeb is maqam par puri raat ibadat aur zikr me mashgool rahe the.
Ise ‘Mash’arul Haraam’ bhi kehte hain.

Yaha par ‘Surah al-Nasr’ naazil hui thi.

Masjid e Aaisha –

Masjide Haram se taqreeban 7.5 ki doori par Taneem me hai. Makka shareef me qayam ke darmiyan Umrah ka ehram yaha se bandha jaata hai......

Hajjatul wida ke mauqe par Makka me qayam ke dauran Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrate Aaisha radiAllahu ta’ala anha ko unke bhai Hazrate Abdur Rehman bin Abu Bakr Siddiq ke saath Taneem bheja tha aur wo waha se ehram bandhkar Masjide Haraam aaye the aur Umrah kiya tha jo Hajj se pehle haiz ki wajah se nahi kar paaye the.....

Masjid e Juarrana –

Makka se 25 km ki doori par hai. Gazwa e Hunain se waapsi par Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne yaha se Umrah ka ehram bandha tha......

Shohada e Hunain –

Masjid e Juarrana ke pichhe char deewari me Shohada e Hunain madfoon hain.....

Masjid al Kabash –

Is maqam par Mina me Hazrate Ibraheem alaihis salaam ALLAH ta’ala ke hukm se apne bete Hazrate Isma’il alaihis salaam ko qurbani ke liye laaye the......

Ummul mo’minin Hazrate Bibi Maymuna radiallahu ta’ala anha ka Mazaar –

Makka se 10 km door ‘Saraf’ me hai......

Hazrat Abdullah ibne Umar Farooq radi-Allahu ta’ala anhu ka Mazaar –

Masjide Aaisha jaate waqt raaste me Zi-tuwa me hai.....

Kishwatul Ka’aba (Exhibition) –

Yaha bahut si purani mubarak chize ziyarat ke liye rakhi gai hai.

Jisme Harmain sharifain se ta’alluq rakhne wali chize, Ka’abatullah ka gilaf wagairah, Masjide Haraam aur Masjide Nabawi ki purani taswire aur Model,

Hazrate Abu Bakr Siddeeq aur Hazrate Usmaan Ghani radi-Allahu ta’ala anhuma ke haath se likhe hue Qur’an shareef saamil hain.

PART:- 38

Madeena shareef Ki Ziyarat Gaahe......

Masjid e Nabawi –

Wo mubarak masjid jis me Roza e Rasool hai,
Jis me Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam aur aap ke bagal me Ameerul mo’mineen Hazrate Abu Bakr Siddeeq aur Hazrate Umar Farooq radi-Allahu ta’ala anhuma aaram farma rahe hai.

Is me ek neki ka sawaab 50,000 neki ke barabar milta hai.
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam aur Roza mubarak ke bich ki jagah ko
‘Riyaaz ul Jannah’
(Jannat ki Qiyari) kehte hain.

Jannatul Baqee –

Dunya ka afzaltareen Qabrastan,
Jo Masjide Nabawi ke qareeb jaanibe mashrik hai, jis me Hazrate Khatoone jannat Sayyeda Faatima radiAllahu ta’ala anha aur deegar sahabzadi e rasool,
Azwaaje muttahirat,
Imaam Hasan al-Mujtaba, Imaam Zain ul aabedin,
Imaam Mohammad al-Baaqir, Imaam Jaafar al-Saadiq,
Hazrate Abbas bin Abdul Muttalib,
Hazrate Aqeel bin Abi Taalib, Hazrate Faatima bint Asad, Hazrate Usmaan Ghani,
Hazrate Haleema Saadiya, Imaam Maalik bin Anas aur bahut saare Ashaba, Taabe’in, Auliya Allah aur Shohada aaram farma rahe hain.

Masjid e Quba –

Islaam ki sab se pehli masjid, jise Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne apne nigrani me banaya hai. Aap har Sanichar ko Masjide Quba tashrif le jaate aur waha 2 rak’at Namaaz ada karte.
Yaha par 2 rak’at namaaz padhkar Masjide Nabawi me aakar ziyarat aur dua karne par ek Umrah ka sawaab milta hai.

Masjid e Jum'aa –

Ye masjid Masjide Quba ke qareeb hai.
Yaha par 1 Hijri me Banu Saalim ki aabadi me Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke saath 100 ashaba ne sab se pehli Namaaz e Jum’aa ada ki thi.

Masjid e Qiblatain –

Is masjid me 2 qible hain : ek Baitul muqaddas ki taraf wala aur dusra Baitullah ki taraf wala. Is Masjid me Tahweele Qibla hua tha ya’ni ALLAH ta’ala ne Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ki dil ki khwaahish par musalmano ke liye qibla Baitul Muqaddas ki taraf se badalkar Ka’abatullah ki taraf kar diya aur Nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ne haalate namaaz me apna rookh Baitullah ki taraf kar diya.

Jable Uhad –

Yaha par gazwa e Uhad hua tha jis me Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke chacha Sayyed ush Shohada Hazrate Ameer Hamza radi-Allahu ta’ala anhu shaheed hue the.
Yaha par unka mazaar hai aur saath me Hazrat Abdullah bin Jabash aur Hazrat Mas’ab bin Umair radi-Allahu ta’ala anhuma ki qabr kataar me hai aur dusre 67 ashaba ek qabr me dafn kiye gaye hain.
Aur qareeb me Masjide Hamza hai.

Masjid e Gamaamah –

Ye Masjid e Nabawi ki sehan ke bahar qareeb me hai.
Yaha Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne Eid ki namaaz ada ki thi aur yaha bearish ke liye dua maangne par baadal ghir gaye aur baarish barasna shuru ho gai.

Masjid e Ijaabah –

Is maqaam par Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne 2 rak’at namaaz ada karke 3 duaen maangi.
In me se 2 qubool hui aur ek se rok diya gaya.
Wo 3 duaen ye thi :

Ya ALLAH, Meri ummat ko kehatsaali ke sabab halaak na ho.
(Qubool hui)

Ya ALLAH,
Meri ummat gark hone se halaak na ho.
(Qubool hui)

Ya ALLAH, Meri Ummat aapas me na lade.
(Rok diya gaya)

Masjid e Mustarah –

Is maqaam se khandaq khodna shuru kiya gaya tha. Yaha par jange Uhad ke baad Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne aaram farmaya tha aur dua ki thi.
Jab bhi aap Hazrate Ameer Hamza aur Shohada e Uhad ki qabr ki ziyarat ko jaate to yaha aaram kiya karte the.

PART:- 39

Madeena shareef Ki Ziyarat Gaahe......

Gazwa e Khandaq aur Masajid e khamsa –

Jable Sal’aa ke qareeb is maqam par Gazwa e khandaq ke mauqe par Masjide Fateh ke maqam par Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne 3 din peer, mangal aur budh musalmano ki fateh ke liye dua ki thi.

Masjid e Abu Zar Gaffari –

Is maqaam par Hazrate Jibreil alaihis salaam Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke paas ye paigaam lekar aaye the ki ALLAH ta’ala ne farmaya hai ki jo mere mehboob par salaato salaam padhega us par ALLAH ta’ala rehmate aur barkate naazil karega aur aap sallallahu alaihi wasallam ne ALLAH ta’ala ka shukr ada karte hue baargahe ilahi me taweel sajda kiya tha.

Masjid e Abu Bakr Siddeeq –

Yaha par Ameerul mo’mineen Hazrate Abu Bakr Siddeeq radi-Allahu ta’ala anhu ka makaan tha...

Masjid e Umar Farooq –

Yaha par Ameerul mo’mineen Hazrate Umar Farooq radi-Allahu ta’ala anhu ka makaan tha.....

Masjid e Ali –

Yaha par Ameerul mo’mineen Hazrate Ali radi-Allahu ta’ala anhu ka makaan tha.

Maidaane Khaake shifa –

Ek baar jang ke mauqe par sahaba e kiraam jakhmi hue the tab Huzoor Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ne un ko is maidaan ki khaak malne ko kaha tha jis se shaba ko shifa ho gai thi.

Beere Gars –

Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ek baar jab yaha se guzre the tab aap ne is kuen ke paani se gusl kiya tha.

Beer e Usmaan Ghani –

Ye kuan Hazrate Usmaan Ghani radi-Allahu ta’ala anhu ne yahudi se kharidkar musalmano ke liye waqaf kar diya tha.

Hazrate Salmaan Faarsi ke Baag –

Yaha Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ne Hazrat Salmaan Faarsi radi-Allahu ta’ala anhu ke liye khajooro ke beej boye the jis me se ek raat me (Ajwa) khajooro ke darakht uge the....

Masjid e Zulhulaifa –

Is jagah ka naam Abyare Ali hai. Ye jagah Madeena shareef se taqreeban 7 km ki doori par hai. Ye Madeena munawwara ki meeqat hai.

Jo log Hajj se pehle Madeena shareef jaayen aur waha se Makka shreef jaayen unhe yaha se ehram baandhna hoga.
Yaha ek masjid hai, jise Masjid e Shajarah bhi kehte hain kyun ki yaha ek darakht ke niche Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam umrah aur hajj ke waqt aaram kiya karte the.

PART:- 40

HAJJ PAR JANE WALE HAJI SAHEBAN KE LIYE ALA HAZRAT KA LIKHA HUA BEHTAREEN QALAM

... ... ... ... ...

Haajiyo Aao Shahenshah ka Roza dekho

Qaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho

... ... ... ... ...

Rukn e Shaami se miti Wah’shate shaame ghurbat

Ab Madine ko chalo subhe Dil Aaraa dekho

... ... ... ... ...

Aabe Zam-Zam to piyaa khoob Bujhaa-ee pyaase

Aao joode Shahe Kowsar ka bi Darya dekho

... ... ... ... ...

Zayre Mizaab Mile Khoob Karamke cheente

Abre Rehmat ka yaha Zowr Barasnaa dekho

... ... ... ... ...

Dhoom dekhi hai Dare Kaaba pe Betaabo ki

Unke Mushtako me hasrat ka Tadapna dekho

... ... ... ... ...

Misle parwana phiri karte the jis sham'a ke gird

Apni Uss sham'a ko parwana yaha ka dekho

... ... ... ... ...

Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba

Qasre Mehboob ke parde ka bhi jalwa dekho

... ... ... ... ...

Wa(n) Mutiyo ka jigar khauf se pani paaya

Ya(n) siyahkaaro ka daaman pe machalna dekho

... ... ... ... ...

Awwali khana e haq ki to Ziyaye dekhi

Aakhri Bait e Nabi ka bhi Tajalla dekho

... ... ... ... ...

Aymane tur ka tha rukne Yamani me farog

Shola e tur yaha Anjuman-aara dekho

... ... ... ... ...

Mehre madar ka maza deti hai aagosh e hateem

Jin pe maa baap fida ya(n) karam unka dekho

... ... ... ... ...

Arz E Haajat Me Raha Ka'aba Kafeel E Injaah

Aao Ab Daad-Rasi E Shahe Taibah Dekho

... ... ... ... ...

Dho chuka Zulmate Dil Bosaa-E Sunge Aswad

Khaak Bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho

... ... ... ... ...

Kar chuki Rif'ate kaaba pe Nazar par-vaze

Topi ab thaam ke khaaq e dar e wala dekho

... ... ... ... ...

Be-niyazi se waha kaapti payi ta'at....

Joshe rehmat pe yaha naaz gunah ka dekho

... ... ... ... ...

Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye

Mujrimo!
Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho

... ... ... ... ...

Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw

Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho
... ... ... ... ...

Gowr se sun to Raza Kaaba se Aati he Sadaa....

Meri Aankho se Mere Pyaare ka Rozaa dekho.....

PARTS END

No comments:

Post a Comment