Wednesday, August 30, 2017

QURBAANI KE FAZAIL & MASAIL

QURBAANI KE FAZAIL & MASAIL

POST NO - 1:

QURAN:
PARA NO-30, SURAH-KAUSAR, AAYAT NO-1, 2.

TARJUMA:
Aye Mehboob! Beshak Hamne Tumhe Be Shumaar Khoobiyaan Ata Farmayi. Toh Tum Apne Rab Ke Liye Namaaz Padho Aur Qurbaani Karo.

POST NO - 2:

MAQSADE QURBAANI:
Qurbaani, Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ki Sunnat Hai. Qurbaani Sirf Isliye Nahi Hai Ke Jaanwar Ko Zabah Kardiya, Gosh Banaya Aur Kha Liya. Dar Haqiqat Qurbaani Ka Asal Maqsad Raza-e-Ilaahi Ko Haasil Karna Hai.

Insaan Jab Qurbaani Karta Hai Toh Yeh Baat Uske Zehen Aur Tasavvuraat Me Hoti Hai Ke Kis Tarah Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ne Allah ﷻ Ke Hukm Par Amal Karke Dikhaya Aur Apne Bete Ismail Ko Zabah Karne Ka Na Sirf Iraada Farmaya, Balke Usko Takmeel Tak Pohonchane Ki Poori Koshish Bhi Ki Thi.

Goya Ham Is Waaqye Ko Yaad Karke Apne Andar Yeh Jazba Paida Karte Hai Ke Jis Tarah Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ne Apne Bete Ko Qurbaan Karne Ka Iraada Kiya, Isi Tarah Agar Waqt Aaye Toh Islaam Ki Khaatir Apni Jaan Aur Maal Ki Qurbaani Dene Se Bhi Insaan Piche Na Hate.

POST NO - 3:

QURAN:
PARA NO-23, SURAH-SAFFAAT, AAYAT NO-99-102.

TARJUMA:
Ilaahi Mujhe Layak Aulaad De. Toh Hamne Use Khush Khabri Sunayi Ek Aqalmand Ladke Ki. Fir Jab Woh Uske Saath Kaam Ke Kaabil Ho Gaya. Kaha Aye Mere Bete Maine Khwaab Dekha, Mai Tujhe Zabah Karta Hu. Ab Tu Dekh Teri Kya Rai Hai. Kaha Aye Mere Baap, Kijiye Jis Baat Ka Aapko Hukm Hota Hai. Khuda ﷻ Ne Chaha Toh Kareeb Hai Ke Aap Mujhe Saabir Payenge.

POST NO - 4:

TAFSEER:
TAFSEERE MADARIK/NASAFI.

Imam Nasafi Likhte Hai Ke Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ki Raza Mandi Ke Baad Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Fir Hazrat Haajra Radiallahu Taala Anha Ke Paas Gaye Aur Hazrat Haajra Ne Ismail Ko Tayyar Kiya Aur Fir Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ko Lekar Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Zabah Karne Nikle.

Imam Nasafi Likhte Hai Ke Shaitaan Pehle Hazrat Haajra Ko Bhadkaane Laga, Fir Hazrat Ismail Ko Aur Fir Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ke Beech Me Aagaya, Toh Aapne Teen Martaba Shaitaan Ko Kankari Se Maara.

Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ki Yeh Ada Allah ﷻ Ko Itni Pasand Aayi Ke Allah ﷻ Ne Isko Haj Ke Arkaan Me Shaamil Farma Diya.

POST NO - 5:

TAFSEER:
TAFSEERE MADARIK, VOL-3,
PG NO-25.

Jab Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ne Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ko Zabah Karne Ke Liye Patthar Par Litaya, Toh Hazrate Ismail Ne Apne Waalid Se Chand Guzarishaat Ki:

▪ Aap Churi Ko Tez Kar Lijiye, Taake Aapko Zyada Zehmat Na Uthaani Padhe.

▪ Aap Apni Aankhon Par Patti Baandh Lijiye, Kahi Aisa Na Ho Ke Churi Chalaate Waqt Mohabbat Gaalib Aa Jaaye.

▪ Aap Apne Aapko Mujhse Thoda Dur Rakhe, Taake Mere Khoon Se Aapke Kapde Khoon Aalood Na Ho Jaaye.

▪ Aap Jab Mujhe Zabah Karle Toh Mere Kapde Meri Waalida Ko Dedena, Taake Woh Is Nishaani Se Mujhe Yaad Rakhe.

TAFSEERE DURRE MANSOOR, VOL-5, PG NO-792.

POST NO - 6:

QURAN:
PARA NO-23, SURAH-SAFFAAT, AAYAT NO-103-107.

TARJUMA:
Toh Jab Un Dono Ne Hamare Hukm Par Gardan Rakhi Aur Baap Ne Bete Ko Mathe Ke Bal Litaya. Aur Hamne Use Nida Farmayi Ke Aye Ibrahim, Beshak Tune Khwaab Sach Kar Dikhaya. Ham Aisa Hi Silaah Dete Hai Neko Ko. Beshak Yeh Roshan Jaanch Thi. Aur Hamne Ek Bada Zabiha Uske Fidye Me Dekar Use Bacha Liya.

POST NO - 7:

TAFSEER:
TAFSEERE NASAFI, VOL-3,
PG NO-26.

Imam Nasafi Likhte Hai Ke Allah ﷻ Ne Jibreel Alaihis Salaam Ko Hukm Diya Ke Fauran Jao Aur Jannat Me Ek Dumba Tehel Raha Hai, Us Dumbe Ko Le Jao Aur Ismail Ko Hata Kar Dumbe Ko Waha Rakhdo.

NOTE:
Jannat Se Jo Dumba Bheja Gaya Woh Hazrat Aadam Alaihis Salaam Ke Bete Hazrat Haabil Ka Dumba Tha, Jo Aklima Se Nikaah Karne Ke Liye Allah ﷻ Ki Baargaah Me Qurbaan Kiya Gaya Tha.

POST NO - 8:

TAFSEER:
TAFSEERE NASAFI, VOL-3,
PG NO-26.

Imam Nasafi Likhte Hai Ke Jab Hazrat Jibreel Ameen Dumbe Ko Lekar Aane Lage Toh Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ne Aahat Mehsus Ki. Chunanche Aapne Aankhon Se Fauran Patti Hatayi, Toh Dekha Ke Jibreel Ameen Aasmaan Se Dumba Lekar Aa Rahe Hai.

Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ko Yeh Gumaan Hua Ke Shayad Allah ﷻ Ne Meri Qurbaani Ko Qubool Nahi Farmaya. Aur Allah ﷻ Ne Jibreel Ko Bheja Hai Taake Ismail Ko Zabah Na Karu Aur Iske Badle Dumbe Ko Zabah Karu.

Yeh Sochkar Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ne Afsos Ke Aalam Me Yeh Kalma Kaha "Allahu Akbar, Allahu Akbar" Jab Jibreel Ne Yeh Dekha Ke Ibrahim Afsos Ke Saath Yeh Kalmaat Keh Rahe Hai, Toh Jibreel Ne Kaha *"Laa Ilaaha Illallahu Wallahu Akbar"* Fir Jab Ismail Ne Dekha Ke Mere Waalid Aur Jibreel Ne Yeh Kalmaat Kahe Toh Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ne Bhi Kaha "Allahu Akbar Wa Lillahil Hamd"

Allah ﷻ Ko Yeh Teen Kalmaat Itne Pasand Aaye Ke Qurbaani Ke Teeno Din Ke Ayaam Me Yeh Kalmaat Padhne Ka Hukm De Diya. Taake Hamlog Yeh Kalmaat Padhte Rahe Aur In Jumlo Ki Yaad Taaza Karte Rahe.

POST NO - 9:

HADEES:
IMAM HAAKIM NE
AL-MUSTADRAK, VOL-2,
HADEES NO-4,048, PG NO-209.

Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضي الله عنه Farmate Hai Ke Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ki Jagah Jo Dumba Zabah Hua, Woh Jannat Se Bheja Gaya Tha Aur Woh Hazrat Haabil Ki Qurbaani Ka Dumba Tha.

IMAM TIBRI NE TAFSEERE TIBRI, VOL-23, PG NO-87.

IMAM NASAFI NE TAFSEERE NASAFI, VOL-3, PG NO-26.

IMAM JALAALUDDIN SUYUTI NE TAFSEERE DURRE MANSOOR, VOL-5.

IBNE KASEER NE TAFSEER IBNE KASEER, VOL-4, PG NO-39.

POST NO - 10:

HADEES:  NO REFERENCE

Allah Ke Nabi ﷺ Ne Ek Martaba Jibreel Ameen Se Pucha Ke Aye Jibreel, Tum Farishto Ke Sardaar Ho Aur Farishto Ki Kuwate Parvaaz Ka Aalam Yeh Hai Ke Insaan Ke Palak Jhapakne Se Pehle Mashreek Se Magreeb Me Pohonch Jaate Hai. Aye Jibreel, Kya Aisa Bhi Koi Waqt Aaya Hai Ke Tumhe Apni Kuwate Parvaaz Ka Muzahira Karna Padha.

Jibreel Ameen Arz Karte Hai Ya Rasoollallah ﷺ! Chaar Mauke Aise Aaye Ke Jab Maine Tezi Ke Saath Parvaaz Kiya.

1⃣  Jibreel Kehte Hai Ke Pehla Mauka Toh Tab Tha Jab Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ko Namrud Ne Aag Me Daalne Ka Hukm Diya. Unlogo Ne Ibrahim Ko Aag Me Pheka, Kareeb Hi Tha Ke Aap Aag Me Girte, Ke Allah ﷻ Ne Hukm Diya Aye Jibreel, Us Aag Ko Gulista Banado Aur Ibrahim Ko Apne Paro Par Lelo. Jibreel Kehte Hai Mai Fauran Sidratul Muntaha Se Nikla Aur Us Aag Ko Gulzaar Banadiya Aur Isse Pehle Ke Ibrahim Girte, Maine Unko Apne Paro Par Leliya.

2⃣  Hazrat Jibreel Kehte Hai Ke Dusra Mauka Woh Tha Jab Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Apne Bete Hazrat Ismail Alaihis Salaam Ko Zabah Karne Ja Rahe The, Ke Allah ﷻ Ne Hukm Diya Aye Jibreel, Isse Pehle Ke Ibrahim Ki Churi Se Ismail Zabah Ho Jaye, Fauran Jannat Se Dumba Lo, Zameen Par Utro Aur Ismail Ko Hata Kar Dumbe Ko Rakhdo. Maine Jannat Se Dumba Liya Aur Tezi Ke Saath Zameen Par Aaya Aur Ismail Ki Jagah Par Dumbe Ko Rakh Diya.

3⃣  Fir Jibreel Kehte Hai Ke Teesra Mauka Toh Tab Tha Jab Hazrat Yusuf Alaihis Salaam Ke Bhai, Yusuf Alaihis Salaam Ko Kuwe Me Daal Rahe The. Us Waqt Mai Sidratul Muntaha Par Tha, Ke Allah ﷻ Ne Hukm Diya Aye Jibreel, Mere Nabi Yusuf Ko Unke Bhaiyo Ne Kuwe Me Daala Hai, Isse Pehle Ke Yusuf Kuwe Me Gire, Tum Unhe Apne Paro Par Lelo. Maine Fauran Sidratul Muntaha Se Zameen Par Parvaaz Ki Aur Isse Pehle Ke Hazrate Yusuf Alaihis Salaam Kuwe Me Gir Paate, Maine Unhe Apne Paro Par Leliya.

4⃣  Jibreel Ameen Arz Karte Hai Ya Rasoollallah ﷺ! Chautha Mauka Woh Tha Jab Maine Sabse Zyada Tezi Se Parvaaz Kiya. Jange Auhud Me Jab Kuffaro Ne Aap Par Patthar Pheka Aur Aapka Dandaane Mubarak Shaheed Ho Gaya Aur Dandaane Mubarak Se Khoon Ka Katra Girne Laga. Kareeb Tha Ke Woh Khoon Ka Katra Zameen Par Girta. Allah ﷻ Ne Hukm Diya Aye Jibreel, Isse Pehle Ke Hamare Mehboob Ke Khoon Ka Katra Zameen Par Gire Aur Ham Qayamat Barpa Karde, Usse Pehle Apne Paro Par Hamare Mehboob Ke Khoon Ke Katre Ko Lelo. Hazrat Jibreel Kehte Hai Ya Rasoollallah ﷺ! Mai Fauran Tez Raftaar Ke Saath Zameen Par Aaya Aur Isse Pehle Ke Aapka Khoone Mubarak Ka Katra Zameen Par Girta, Maine Usko Apne Paro Par Leliya.

POST NO - 11:

HADEES:
MUSLIM SHAREEF, VOL-2,
HADEES NO-5,002.

Hazrat Umme Salma Radiallahu Taala Anha Riwayat Karti Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshaad Farmaya Jo Qurbaani Ka Iraada Rakhta Hai Toh Usko Chahiye Ke Jab Woh Zilhijja Ka Chaand Dekhle Toh Das Zilhijja Tak (Yaani Qurbaani Karne Tak) Na Baal Kaate Aur Na Naakhun Kaate.

Allah Ke Rasool ﷺ Farmate Hai Jab Qurbaani Karle Tab Apne Baalo Ko Aur Naakhuno Ko Tarashwaale. Toh Iska Sawaab Yeh Hai Ke Har Baal Aur Naakhun Ke Evaz Nekiyaan Likhi Jayegi.

IMAM DAARMI NE SUNANE DAARMI, VOL-1,
HADEES NO-1,985.

TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,567.

ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,018.

NASAI SHAREEF, VOL-2,
HADEES NO-4,361.

IBNE MAAJA, VOL-2,
HADEES NO-935.

MUSNADE AHMED,
HADEES NO-26,517.

IBNE HIBBAN SHAREEF,
ABU YAALA, BAHIQI SHAREEF, ETC

POST NO - 12:

HADEES:
ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,016.

Hazrat Abdullah Ibne Amr Ibne Aas رضي الله عنه Se Riwayat Hai Woh Kehte Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Irshaad Farmaya Aye Logo! Allah ﷻ Ki Raza Ke Liye Qurbaani Karo. Ek Sahabi Arz Karne Lage Ya Rasoollallah ﷺ! Mere Paas Ek Chota Jaanwar Hai,  Jo Maine Dudh Ke Liye Udhaar Liya Hai. Kya Mai Allah ﷻ Ki Raza Ke Liye Usko Qurbaan Kardu.

Toh Allah Ke Nabi ﷺ Ne Farmaya Aye Shaks Tu Yeh Kaam Na Kar, Isliye Ke Tujhpar Qurbaani Waajib Nahi. Fir Allah Ke Nabi ﷺ Farmate Hai Ke Tu Qurbaani Na Kar, Lekin Apne Baalo Aur Naakhuno Ko Na Kaat. Jis Din Sab Apni Qurbaani Pesh Kare, Us Din Agar Tu Apne Baal Aur Naakhun Tarashega, Toh Allah ﷻ Iske Badle Tujhe Qurbaani Ka Sawaab Ata Farmayega.

POST NO - 13:

HADEES:
TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,532.

Hazrat Aisha Radiallahu Taala Anha Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshaad Farmaya Qurbaani Ke Din Allah ﷻ Ke Nazdeek Khoon Bahane Se Behtar Koi Amal Nahi.

IBNE MAAJA, VOL-2,
HADEES NO-912.

POST NO - 14:

HADEES:
IMAM TABRANI NE MAJAMUL KABEER ME NAKAL KIYA.

Imam Hasan رضي الله عنه Farmate Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Ke Qurbaani Ka Amal Allah ﷻ Ke Nazdeek Itna Muqqaddas Hai Ke Jab Banda Qurbaani Karta Hai Toh Ba Roze Qayamat Yeh Qurbaani Jahannam Aur Uske Darmiyaan Hijaab Ban Jayegi. Aur Woh Jaanwar Kahega Aye Rabbe Kainaat! Teri Raza Ke Liye Isne Mujhe Qurbaan Kiya Tha. Lihaaza Tu Ise Baksh De.

BAHARE SHARIYAT, VOL-2,
PART NO-15, PG NO-81.

POST NO - 15:

HADEES:
TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,533.

Hazrat Zaid Ibne Arqam رضي الله عنه Kehte Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshaad Farmaya Aye Logo! Qurbaani Karo Ke Qurbaani Tumhaare Baap Hazrat Ibrahim Alaihis Salaam Ki Sunnat Hai.

Sahaba-e-Ikraam Ne Arz Kiya Ya Rasoollallah ﷺ! Hamare Liye Isme Kya Hai? Allah Ke Rasool ﷺ Farmate Hai Ke Jaanwar Ke Har Baal Ke Badle Me Tumhaare Liye Neki Hai.

IBNE MAAJA, VOL-2,
HADEES NO-913.

POST NO - 16:

HADEES:
ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-2.

Hazrat Abdullah Ibne Kurt رضي الله عنه Kehte Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Hame Hukm Diya Ke Oonto Ko Laya Jaye, Taake Mai Unhe Qurbaan Karu. Hazrat Abdullah Ibne Kurt رضي الله عنه Kehte Hai Ke Cheh Oont Nabi ﷺ Ki Khidmat Me Pesh Kiye Gaye.

Jab Allah Ke Rasool ﷺ, Oonto Ko Zabah Karne Ke Iraade Se Aage Badhe, Toh Har Oont Dusre Oont Ko Piche Dhakelta Aur Khud Aage Aane Ki Koshish Karta. Taake Rasoollallah ﷺ Pehle Mujhe Zabah Farmaye.

POST NO - 17:

HADEES:
MUSLIM SHAREEF, VOL-2,
HADEES NO-4,976.

Hazrat Aisha Radiallahu Taala Anha Riwayat Karti Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Ek Menda Laane Ka Hukm Diya. Aur Farmaya Aisa Menda Lao Jiski Taange Kaali Ho. Aur Nabi ﷺ Ne Farmaya Ke Jiski Peeth Bhi Kaali Ho. Aur Farmaya Ke Mende Ki Aankhon Ka Kinaara Bhi Kaala Ho.

Hazrat Aisha Radiallahu Taala Anha Kehti Hai Ke Fir Allah Ke Nabi ﷺ Ne Unhe Qurbaan Karne Ka Iraada Farmaya Aur Mujhse Farmaya Aye Aisha! Churi Lekar Aao. Aur Churi Ko Patthar Par Tez Karlo, Toh Maine Churi Ko Patthar Par Ghaskar Tez Kar Liya. Fir Allah Ke Nabi ﷺ Ne Mujhse Churi Leli Aur Zabah Karne Ke Liye Us Mende Ko Litaya Aur Zabah Farmadiya.

Hazrat Aisha Radiallahu Taala Anha Kehti Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Jab Mende Ko Zabah Farmaliya Toh Yeh Dua Farmayi.  "Bismillahi Allah Humma Takabbal Min Muhammaddeu Wa Aali Muhammaddin Wa Min Ummate Muhammaddin."

"Allah ﷻ Ke Naam Se Shuru, Aye Allah ﷻ Mai Isko Qurbaan Karta Hu Muhammed Ki Taraf Se Aur Meri Aal Ki Taraf Se Aur Meri Tamaam Ummat Ki Taraf Se"

ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,019.

TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,564.

IBNE MAAJA SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-907.

IMAM TAHAVI NE SHARAYE MAANIYUL AASAAR, VOL-4, HADEES NO-388.

MUSNADE AHMED,
HADEES NO-21,761.

IBNE HIBBAN SHAREEF,
HADEES NO-5,902.

IMAM HAAKIM NE
AL-MUSTADRAK,
HADEES NO-4,577.

IMAM BAHIQI NE BAHIQI SHAREEF, HADEES NO-18,786.

ABU YAALA, HADEES NO-3,118.

DAAR KUTNI, PG NO-50.

IMAM TABRANI NE MAJAMUL KABEER, HADEES NO-997.

POST NO - 18:

HADEES:
ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,037.

Hazrat Abu Saeed Khudri رضي الله عنه Se Riwayat Hai Woh Kehte Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ki Khidmat Me Qurbaani Ke Liye Singho Waala Ek Menda Laya Gaya. Allah Ke Nabi ﷺ Ne Us Mende Ko Zabah Farmaya Aur Zabah Farmane Ke Baad Farmaya "Allah Humma Haza Anni Wa Ammallam Min Ummati" Aye Parwardigaar! Yeh Meri Qayamat Takki Us Ummat Ke Liye Jo Qurbaani Na Kar Sakegi.

IMAM TAHAVI NE SHARAYE MAANIYUL AASAAR, VOL-4, HADEES NO-394.

IMAM DAARMI NE SUNANE DAARMI, VOL-1,
HADEES NO-1,983.

POST NO - 19:

HADEES:
TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,534.

Hazrat Hanash رضي الله عنه Kehte Hai Ke Maine Hazrat Ali رضي الله عنه Ko Dekha Ke Aap Do Mende Zabah Kiya Karte. Toh Maine Hazrat Ali رضي الله عنه Se Pucha Ke Aap Do Mende Kyu Zabah Karte Hai.

Hazrat Ali رضي الله عنه Farmate Hai Ke Mai Do Mende Isliye Zabah Karta Hu Kyunki Allah Ke Nabi ﷺ Ne Mujhe Yeh Wasiyat Ki Hai Ke Aye Ali! Ek Qurbaani Tum Apni Jaanib Se Karo Aur Ek Qurbaani Meri Taraf Se Kiya Karo.

ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,017.

POST NO - 20:

MASLA:
DURRE MUKHTAR, VOL-9,
PG NO-378.

Qurbaani, Maalike Nisaab Par Waajib Hai. Maalike/Sahibe Nisaab Woh Hai Jiske Paas 7.5 Tola Sona Hai Ya 52.5 Tola Chaandi Hai Ya Utni Rakam Hai.

Zarurate Asliya Ke Alawa Agar Itni Miqdaar Kisi Ke Paas Hai, Toh Woh Saahibe Nisaab Hai Aur Uspar Qurbaani Waajib Hai.

POST NO - 21:

MASLA:
DURRE MUKHTAR, VOL-9,
PG NO-378 & 382.

Qurbaani Waajib Hone Ke Liye Chaar Shartein Hai. Agar Yeh Chaar Cheezein Maujood Hai Toh Qurbaani Waajib Hai, Warna Nahi:

1⃣ Baalig Musalmaan Hona
(Na Baalig Na Ho).

2⃣ Mukim Hona (Musafir Na Ho).

3⃣ Maalike Nisaab Hona

4⃣ Aazaad Hona (Gulaam Na Ho).

POST NO - 22:

HADEES:
TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,561.

Hazrat Makhnaf Bin Sulaim رضي الله عنه Riwayat Karte Hai Ke Ham Rasoollallah ﷺ Ke Saath Arfaat Me The. Maine Rasoollallah ﷺ Ko Farmate Hue Suna Ke Aapne Irshaad Farmaya Aye Logo! Tumhaare Ahlo Ayaal Ki Taraf Se Har Saal Tumpar Qurbaani Waajib Hai.

NOTE:
Is Hadees Se Yeh Baat Saaf Wazaye Hoti Hai Ke Ghar Ke Sabhi Maalike Nisaab Par Har Saal Qurbaani Waajib Hai.

POST NO - 23:

HADEES:
IBNE MAAJA, VOL-2,
HADEES NO-908.

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Jo Qurbaani Karne Ki Istetaat Rakhta Hai Aur Woh Qurbaani Na Kare. Toh Woh Hamari Eid Gaah Na Aaye.

NOTE:
Yeh Hadees Saaf Is Baat Par Dalalat Karti Hai Ke Qurbaani Har Saal Waajib Hai. Kyunki Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Ke Jo Qurbaani Ki Istetaat Rakhne Ke Baujood Qurbaani Na Kare Woh Hamari Eid Gaah Na Aaye.

Aur Eid Ki Namaaz Toh Har Saal Padhi Jaati Hai. Iska Matlab Qurbaani Bhi Har Saal Waajib Hai.

POST NO - 24:

MASLA:
DURRE MUKHTAR & FATAWA AALAMGIRI.

1⃣  Agar Kisi Par Qarza Hai, Toh Ab Yeh Dekha Jayega Ke Qarza Ada Karne Ke Baad Itna Maal Bach Gaya Ke Ab Bhi Maalike Nisaab Hai. Toh Us Shaks Par Qurbaani Waajib Hai. Aur Agar Nisaab Se Kam Maal Bachta Hai Toh Uspar Qurbaani Waajib Nahi.

2⃣  Zakaat Ka Masla Yeh Hai Ke Saal Guzarne Ke Baad Zakaat Farz Hoti Hai. Maal Par Saal Guzarna Shart Hai. Lekin Qurbaani Ke Liye Maal Par Saal Guzarna Shart Nahi.

Yaha Takke Agar Koi Shaks Qurbaani Ke Teesre Din Ki Magreeb Se Pehle Maalike Nisaab Ho Gaya, Toh Uspar Qurbaani Waajib Ho Gayi. Shariyat Ka Hukm Hai Ke Fauran Apni Taraf Se Qurbaani Kare.

POST NO - 25:

HADEES:
ABU DAWOOD SHAREEF, VOL-2, HADEES NO-1,022.

Hazrat Jaabir Bin Abdullah رضي الله عنه Se Riwayat Hai Woh Kehte Hai Ke Allah Ke Rasool ﷺ Ne Do Khassi Mendo Ki Qurbaani Khud Apne Haatho Se Farmayi.

IMAM DAARMI NE SUNANE DAARMI ME NAKAL KIYA.

MAUTA IMAM MUHAMMED,
HADEES NO-627.

POST NO - 26:

HADEES:
IMAM HAAKIM NE AL-MUSTADRAK, VOL-4, PG NO-222.

Jab Allah Ke Rasool ﷺ Apni Beti Hazrat Fatma Radiallahu Taala Anha Ke Liye Qurbaani Karne Lage Toh Farmaya Aye Beti, Jab Mai Tumhara Jaanwar Zabah Karu Toh Tum Apne Jaanwar Ke Kareeb Khadi Raho.

Hazrat Fatma Radiallahu Taala Anha Arz Karti Hai Baba Jaan Iska Fayda Kya Hai? Allah Ke Rasool ﷺ Farmate Hai Aye Beti, Yeh Qurbaani Tumhari Taraf Se Hai Aur Farmaya Ke Jab Qurbaani Ke Jaanwar Ke Khoon Ka Pehla Katra Zameen Par Girta Hai, Toh Usse Pehle Hi Jiski Taraf Se Qurbaani Ho Rahi Hai Uski Magfirat Ho Jaati Hai.

NOTE:
Jo Qurbaani Karna Jaanta Hai, Tarika Aur Duae Aati Hai, Toh Afzal Hai Ke Khud Hi Qurbaani Kare. Agar Nahi Jaanta Toh Kam Se Kam Saamne Maujood Rahe.

MAJMAUZ ZAWAAID, VOL-4,
PG NO-17.

POST NO - 27:

HADEES:
TIRMIZI SHAREEF, VOL-1, HADEES NO-1,552.

Allah Ke Rasool ﷺ Farmate Hai Ke Maine Tumhe Gosh Jama Karke Rakhne Se Mana Kiya Tha, Magar Ab Tum Usko Jama Kar Sakte Ho.

NOTE:
Ibtedaye Islaam Me Teen Din Se Zyaada Gosh Khaane Ki Ijaazat Nahi Thi. Fir Baad Me Allah Ke Rasool ﷺ Ne Iski Ijaazat Di.

Lekin Niyat Sirf Yeh Na Ho Ke Gosh Jama Karke Khaate Rahenge. Balke Niyat Raza-e-Ilaahi Ko Haasil Karna Honi Chahiye.

POST NO - 28:

MASLA:
DURRE MUKHTAR & FATAWA AALAMGIRI.

1⃣  Qurbaani Ke Jaanwar Ke Gosh Ke Teen Hisse Kiye Jaye. Ek Hissa Apne Ghar Waalo Ke Liye Rakhe. Dusra Hissa Apne Dost, Ahbaab, Padhosi, Rishtedaaro Ke Liye. Aur Teesra Hissa Gareeb Aur Masakeen Ke Liye.

Agar Ghar Waale Zyaada Hai Toh Hukm Yeh Hai Ke Chahe Toh Pura Gosh Bhi Rakh Sakte Hai.

2⃣  Hisse Waali Qurbaani Me Bade Jaanwar Ka Gosh Tolkar Diya Jaye, Andaaze Par Nahi.

Agar Kisi Hissedaar Ko Zyaada Gosh Chala Gaya Aur Kisi Hissedaar Ko Kam Mila Ho, Toh Jisko Kam Hissa Mila, Agar Usne Maaf Bhi Kardiya Toh Uske Maaf Karne Se Bhi Maaf Na Hoga.

QANOONE SHARIYAT, VOL-1,
PG NO-212.

BAHARE SHARIYAT, VOL-2,
PART NO-15, PG NO-84.

No comments:

Post a Comment