Tuesday, February 16, 2016

COMPLETE BIOGRAPHY OF WAZU KA BAYAN

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀Part 01

✴HADEES

💠Sahi Muslim mein Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se marwi hai ki Huzoor Sayyade Aalam ﷺ ne sahaba se irshad farmaya ki kya main tumhe aisi cheez na bata dun ki jiske sabab Allah Ta'Ala khataae muaaf kar de aur darje baland kare,

♻Sahaba ne arz kiya haan Ya Rasool Allah ﷺ ,

💠Huzoor ﷺ ne farmaya jis waqt wuzoo Nagawaar ho us waqt achi tarah pura wuzoo karna aur masjidon ki taraf jana aur ek namaaz ke baad dusri namaaz ka intezaar karna iska sawaab aisa hai jaisa kafiron ko sarhad par islami shahron ki himayat ke liye ghodha bandhne ka sawaab hai.
📜Bahare shariat

✴HADEES

♻Imaam Malik wa Nasai Abdullah Sunaabihee رضي الله عنه se rawi Rasool Allah ﷺ Farmate hain Musalmaan banda jab wuzoo karta hai to kulli karne se uske muh ke gunah gir jate hain aur jab naak me pani daal kar naak saaf kiya to naak ke gunaah nikal gaye aur muh dhoya to chehre ke gunah nikale yahan tak ki palakon ke nikale aur jab hath dhoya to hath ke nikale yahan tak ki hathon ke nakhoon se nikale aur jab sar ka masah kiya to sar ke gunah nikale yahan tak ki kaanon se nikale aur jab paao'n dhoye to paao'n ki khataae nikali yahan tak ki nakhoonon se fir uska masjid jana aur namaaz is par zyada sawaab hai.
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Bazzaz ne Hasan Asnaad ke sath riwayat ki ki Hazrate Usmaan Gani رضي الله عنه Apne gulam se wuzoo ke liye pani manga aur sardi ki raat me bahar jana chahte the,

♻Hamraan kahte hain main pani laya unhone muh hath dhoye to maine kaha Allah aapko kifayat kare raat to bahut thandi hai us par unhone farmaya ki maine Rasool Allah   se suna hai ki jo banda achi tarah pura wuzoo karta hai Allah Ta'Ala uske agle peechle gunah bakhsh deta hai.
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Tabrani ne Ausat mein Hazrate Ameerul Momineen Moula Ali رضي الله عنه se riwayat ki ki Huzoor  ﷺne farmaya Jo sakht sardi me kaamil wuzoo kare uske liye doonaa sawaab hai.
📜Bahare shariat

✴HADEES

♻Imaam Ahmad Ibne Hambal ne Hazrat Anas رضي الله عنه se riwayat ki ki Huzoor  ﷺne farmaya ki Jo ek baar wuzoo kare to yeh zaroori baat hai aur jo do baar kare to doona sawaab hai aur jo teen baar dhoye yeh mera aur agle NABIYON ka wuzoo hai.
📜Bahare shariat

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴ 

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀Part 02

✴HADEES

💠Sahi Muslim mein Uqba Ibne Aameer رضي الله عنه se marwi hai ki HUZOOR E Aqdas ﷺ farmate hain

♻Jo musalman wuzoo kare aur acha wuzoo kare fir khadha ho aur zahir aur batin se Allah Ta'Ala ki taraf dhyaan dekar 2 rak'at padhe to uske liye jannat wajib ho jati hai.
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Muslim sharif mein Hazrate Ameerul Momineen Farooqe Aazam Umar Ibne Khattab رضي الله عنه ne farmaya se riwayat hai ki

♻Rasool Allah ﷺ ne farmaya ki tumme se jo koi wuzoo kare aur kaamil wuzoo kare fir padhe

✴Tarjuma

💠Main gawahi deta hu ki Allah ke siwa koi mabood nahi aur main gawahi deta hun ku Hazrat Muhammad ﷺ uske bande  aur uske rasool hain.

♻To uske liye jannat ke 8thon darwaze khol diye jate hain jis darwaze se chahe dakhil ho.
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Tirmizi mein Hazrate
Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se riwayat kiya ki Huzoor e Akram ﷺne farmaya ki jo momin aadmi wuzoo par wuzoo kare uske liye 10 nekiyaan likhi jayengi

♻Wuzoo par wuzoo se muraad zaid wuzoo ki haalat me pahle se tha aur namaaz padhne ke liye fir wuzoo kare)
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Ibne Khuzaima apne sahih me Rawi hai ki Abdullah Ibne Bureeda apne waalid se riwayat karte hain ki ek din subah ko

♻Huzoor Aqdas ﷺ ne Hazrate Bilaal رضي الله عنه ko bulaya aur farmaya ki aye Bilaal is amal (kaam) ke sabab tu jannat me mujhse aage aage chal raha tha, Main raat ko jannat gaya to teri paao'n ki Aahat apne aage paai,

💠Hazrate Bilaal رضي الله عنه ne arz kiya Ya Rasool Allah ﷺ Jab main azaan kahta hu to 2 rak'at Namaaz padh liya karta hu aur mera jab kabhi wuzoo toot'ta wuzoo kar liya karta, Huzoor ﷺne farmaya "isi wajah se"
📜Bahare shariat

✴HADEES

♻Tirmizee wa Ibne Maaja mein Saeed Ibne Zaid رضي الله عنه se rawi Huzoor e Aqdas ﷺ ne farmaya ki jisne BISMILLAH nhi padhi uska wuzoo nhi yani pura wuzoo nhi,?

💠Uska ma'ani yeh hain jo dusre hadees me irshad farmaya,

✴HADEES

♻Daare Kutnee aur Baihaqee mein Abdullah Ibne Masood  رضي الله عنه se rawi ki Huzoor ﷺ ne irshad farmaya hai ki jisne BISMILLAH kah kar wuzoo kiya uska sar se paao'n tak sara badan pak ho gaya aur jisne bagair BISMILLAH wuzoo kiya uska utna hi badan paak hoga jitne par pani guzra.
📜Bahare shariat

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴ 

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 03

🌕WUZU ME MISWAK KI AHEMIYAT

✴HADEES

💠Imaam Bukhari aur Imaam Muslim Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه se riwayat karte hain ki Rasool Allah صلی علیہ و سلم farmate hain

♻Jab sokar uthe to wuzoo kare aur Teen(3)  Baar Naak saf kare q ki shaitan uske Nathne par raat guzaarta hai.
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Tabrani baeesnaade Hasan HazrateAli رضي الله عنه se rawi ki Huzoor Aqdas  صلی علیہ و سلم ne farmaya ki agar yeh baat na hoti ki meri ummat par shaaq (Bhari) hogl to main unko wuzoo ke sath miswaak karne ka hukm farma deta

♻(Yani farz kar deta aur kuch Riwayaton me Farz ka lafz bhi aaya hai) .
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Tabraani ki ek riwayat me hai ki Sayyade Aalam صلی علیہ و سلم us waqt tak kisi Namaaz ke liye tashreef na le Jate jab tak ki miswaak na kar lete.
📜Bahare shariat

✴HADEES

♻Sahi Muslim Shareef mein Hazrate Aaisha Sidiqqa رضي الله عنها se Riwayat hai ki Huzoor Aqdas صلی علیہ و سلم bahar se jab ghar Tashreef late sab se pahla kaam miswaak karna hota.
📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Imaan Ahmad Hazrate Ibne Umar  رضي الله عنه se rawi hai ki Huzoor e Aqdas صلی علیہ و سلمne farmaya ki miswaak ka intezaam
Rakho ki woh sabab hai muh ki safaai aur Rab Tabaarak Wa Ta'Ala ki raza ka.
📜Bahare shariat

✴HADEES

♻Abu Naeem Hazrate Jabir رضي الله عنهse rawi ki Huzoor E Akram صلی علیہ و سلمne farmaya ki 2 rak'atein jo miswaak karke padhi jayein bina miswaak ki 70 Rak'aton se afzal hain.

✴HADEES

💠Ek aur riwayat me hai ki jo namaaz miswaak karke padhi jaye woh us namaaz se 70 hisse afzal hai Jo bina miswaak ke padhi jaye.
📜Bahare shariat

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART  04

✴HADEES

💠Mishkaat shareef me Hazrate Aaisha Sidiqqa رضي الله عنه se riwayat hai ki 10 cheezein fitrat se hain

♻(Yani unka
hukm har shari'at me tha)

✔1) Munchhe katarwana,
✔2) Darhi badana,
✔3) Miswaak karna,
✔4) Naak me paani dalna,
✔5) Naakhoon taraashna,
✔6) Ungliyon ko dhona,
✔7) Bagal ke baal Door karna,
✔8) Naaf ke neeche ke baal Mundna
✔9) Istinja karna (Najaasat se nikalne ki Jagah ko paak karna,
✔10) Kulli karna.

📜Bahare shariat

✴HADEES

💠Hazrate Ali رضي الله عنها se marwi hai ki Huzoor E Aqdas صلی علیہ و سلم ne farmaya ki banda jab miswaak kar leta hai fir namaaz ko khada hota hai to firishta uske peechhe khade hokar qiraat sunta hai fir uske qareeb hota hai yahan tak ki apne muh ko uske muh par rakh deta hai.

SUB'HAN ALLAH

♻Mashaaikhe kiraam 
farmate hain ki momin aadmi miswak ki aadat rakhta ho to narte waqt use kalma padhna naseeb hoga aur jo afyoon (Afeem) khata ho marte waqt kalimaa naseeb na hoga.

💠Ab hadees ke baad ahkame fiqhee bataye jayenge yani wuzoo ke mas'ale.

📜Bahare shariat

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 05

🌕Wuzoo me 4 farz hain..

1⃣Muh (CHEHRA) dhona.

2⃣Kohniyon samet 2no hathon ko dhona.

3⃣Sar ka masah karna..

4⃣Takhno samet 2no paao'n ka dhona,

✴FAIDA :-

💠Kisi Uzw ke dhone ka ma'ani Ye hai ki us Uzw ke har hisse par kam se kam 2, 2 Boondein pani bah jaye,

♻Bheeg jane ya tel ki tarah pani laga lene Ya 1 aadh boond bah jane ko dhona nhi kahenge na wuzoo ya gusl adaa ho,

💠Is baat ka dhyan bahut zaroori hai log iski taraf dhyan nhi dete aur
Namaazein Akaarat jati hain yani barbaad hoti hain,

♻Badan me kuch jagah aisi hain ki jab tak unka khas khayaal na kiya jaye pani nhi bahega jiski tashreeh har Uzw me ki jayegi .

💠Kisi hasad ki jagah par taree pahunchne ko masah kahte hain..

🌕Muh dhona :-

♻Lambaai me shuru
peshaani se (sar me peshaani ki taraf ka woh hissa jahan aam tour par baal jamne shuroo hote hain) thorhi tak aur chourhaai me ek kaan se dusre kaan tak muh hai,

💠Is hadd ke andar chamrhe ke har hisse par ek baar pani bahana farz hai,

✴MAS'ALA

♻Jiske sar ke agle hisse ke baal gir gaye ya jame nhi us par wahin tak muh dhona farz hai jahan tak aadat ke muwafiq baal hote hain aur agar aadat ke khilaaf kisi ke niche tak baal jame hon to un zyada baalon ka jarh tak dhona farz hai,

💠Moonch, bhawon ya bachchee (Yani wo baal jo neeche hont aur thorhi ke beech hote hain) ke baal aise ghane hon ki khaal bilkul dikhayi na de to chamrhe ko dhona farz nhi, aur agar un jagaho ke baal ghane na hon to dhona farz hai,

♻Agar moonche barhkar labon ko chhupa le to agarche moonch ghani hon unko hata kar lab dhona farz hai,

✴ISI LIYE MUNCHE KATARWANE KA HUQM SHARIYAT ME HAI

💠Darhi ke baal agar ghane na hon to chamrhe ka dhona farz hai aur agar ghane hon to gale kI taraf dabane se jis qadr chehre ke ghere me aayein unka dhona farz hai aur jarh tak dhona farz nahi aur jo halqe se neeche hon unka dhona zaroori nhi aur agar kuch hisse me ghane hon aur kuch me kam ho,

♻To jahan ghane ho to wahan baal aur jahan kam ho us jagah khaal ko dhona farz hai,

💠Labon ka hissa jo aadat me lab band lkarne ke baad zahir rahta hai uska dhona farz hai agar koi khub zor se lab band kar le ki usme kuch hissa chhup jaye ki us par pani na pahuncha aur na kulli ki, ki dhul jaye to wuzoo na hua,

♻Haan woh hissa jo aam tour par aadat me muh band karne se zahir nhi hota unka dhona farz nhi.

✴Mas'ala

💠Rukhsaar (Gaal) aur kaan ke beech jo jagah hai jise kanpati kahte hain uska dhona farz hai haan us hisse me jitni jagah daadhi ke ghane baal hon wahan baalon ka aur jahan baal na ho ya ghane na ho to jild ka dhona farz hai,

✴Mas'ala

♻Nath ka suraakh agar band na ho to usme pani bahana farz hai agar tang ho to pani daalne me nath ko hilaaye warna zaroori nhi,

✴Mas'ala

💠Aakhon ke dhele aur papoton ki androoni satah ka dhona kuch zaroori nhi balki na chahiye ki usse nuqsan hoga,

✴Mas'ala 

♻Muh dhote waqt aankh ko zor se band kar liya ki palak ke qareeb ek halki si tahreer band ho gai aur us par pani na baha aur woh aadat me karne se zahir rahti ho to wuzoo ho jayega magar aisa karna na chahiye aur agar kuch zyada dhoolne se rah gaya to wuzoo na hoga,

✴Mas'ala 

💠Aankh ke koye par pani bahana farz hai magar surme ke zirm (Kann, chhote -2 tukde) koye Ya palak me rah gaya aur wuzoo kar liya lekin pata na chala aur namaaz padh li to haraz nhi namaaz ho gai aur wuzoo bhi ho gaya aur maloom hai to use chhurha kar pani bahana zaroori hai.
📜Bahare shariat

 WUZU SAHI HOGA TO NAMAZ SAHI HOGI...

INSHAA ALLAH

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴  

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART  06

🌕HATH DHONA

➡(Is hukm me kohniya bhi shamil hain)

✴Mas'ala

💠Agar kohniyon se nakhoon tak koi jagah zarra bhar bhi dhulne se rah jaye to wuzoo na hoga,

✴Mas'ala

♻Har qism ke jaiz najaiz Gahne, Ghadi (WATCH), Anguthiya, Pahunchiya,Kangan, Kaanch aur lakh wagairah ki chudiyaa aur resham ke lachchhe wagaira agar itna tang ho ki neeche pani na bahe to utar kar dhona farz hai.

💠Aur agar sirf hilaakar dhone se pani bah jata ho to hilana zaroori hai aur agar dhile hon ki bina hilaye bhi neeche pani bah jayega to kuch zaroori nhi,

✴Mas'ala

♻Haathon ki aathon ghaaiyaa ungliyon ki karwaton aur nakhoonon ke andar jo jagah khali hai aur kalaai ka har baal jarh se nok tak un sab par pani bahana zaroori hai,

💠Agar kuch bhi rah gaya ya baalo ki jarhon par pani bah gaya aur kisi ek baal par pani na baha to wuzoo na hua. Magar nakhoon ke andar ka meil maaf hai,

✴Mas'ala

♻Agar kisi ki 6 ungliya hain to sabka dhona farz hai aur agar ek mondhe par 2 hath nikalein to jo pura hai uska dhona farz hai aur dusre ka dhona farz nhi mustahab hai magar us dusre hath ka woh hissa jo pure hath ke farz ki jagah se mila ho uutne ka dhona farz hai....
📜Bahare shariat

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴ 
  
💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 07

🌕SAR KA MASAH KARNA

➡(Ek chuthaai sar ka masah farz hai)

✴Mas'ala

💠Masah karne ke liye hath tarr hona hona chahiye chahe sath me taree uzw ke dhone ke baad rah gai ho ya naye pani se hath tarr kar liya ho,

✴Mas'ala

♻Kisi uzw ke masah ke baad jo hath me taree baqi rah jayegi woh dusre uzw ke masah ke liye kafi na hogi,

✴Mas'ala

💠Sar par baal na ho to jild ki chouthaai aur jo baal hon to khas sar ke baalon ki chouthaai masah farz hai aur sar ka masah isi ko kahte hain,

✴Mas'ala

♻Imaama, topi aur dupatte par masah kafi nhi haan agar topi ya dupatta itna bareek ho ki taree foot kar chouthaai sar ko tarr kar de to masah ho jayega,

✴Mas'ala

💠Sar se jo baal latak rahe hon us par masah karne se masah na hoga.
📜Bahare shariat

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴  

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 08

🌕PAAO'N DHONA

💠Choutha (4) farz paaon ko gatto samet ek baar dhona hai,

♻Chhalle aur paao'n ke gahno ka wohi hukm hai jo upar bataya ja chuka hai,.

✴Mas'ala

💠Kuch log kisi beemari ki wajah se paao'n ke anguthon me itna khinch kar dhaga lete hain ki pani ka bahna to darkinaar dhage ke neeche tarr bhi nhi hota unko isse bachna zaroori hai nhi to aisi soorat me wuzoo nhi hota,

✴Mas'ala

♻Ghaaiyon aur ungliyon ki karwatein, Talwe, Aidhiyaan, Konche sabka dhona farz hai,

✴Mas'ala 

💠Badan ke jis aaza ka dhona farz hai us par pani bah jana shart hai, yeh zaroori nhi ki qads aur iraade se pani bahaye balki agar bina ikhtiyaar bhi un par pani bah jaye (Jaise pani barsaa aur wuzoo ke har hisse se 2, 2 qatre bah gaye) to wuzoo ke hisse dhool gaye aur sar ka chouthaai hissa dhool gaya to aisi soorat me wuzoo ki sharte poori ho gai..

♻Ya koi aadmi talaab me gir pada aur wuzoo ke hisse par pani guzar gaya to bhi wuzoo ho gaya,

✴Mas'ala

💠Jis cheez ki aadmi ko aam ya khas tour par zaroorat padhti rahti hai agar usme zyada ehtiyaat ki jaye to harz ho to muaaf hai,

♻Nakhoon ke andar ya upar ya aur kisi dhone ki jagah par us ke lage rah jane se agarche jirmdaar ho agarche us ke neeche pani na pahunche agar sakht cheez ho wuzoo ho jayega..

💠Khana pakaane ghuthne walon ke liye aata,

♻Rangrej ke liye rang ka jirm,

💠Auraton ke liye mahendi ka jirm,

♻Likhne walon ke liye roushnaai ka jirm,

💠Mazdoor ke liye garaa mitti,

♻Aam logon ke liye koe ya palak me surme ka jirm..

💠Isi tarah badan ke Meil,
Mitti, Gubaar, Machchhar,
Makkhi ka beet wagaira,

✴Mas'ala

♻Kisi jagah chhala tha aur woh sukh gaya uski khaal juda karke pani bahana zaroori nhi balki usi chhale ki khaal par pani baha lena kafi hai fir us ko juda kar diya to ab bhi us par pani bahana zaroori nhi,

✴Mas'ala

💠Machhli ka sinna agar wuzoo ke hisse par chipka rah gaya to wuzoo na hoga ki pani uske neeche na bahega.
📜Bahare shariat 

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴  

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 09

🌕WUZU KE MAKROOH CHEEZEIN

💠Aurat ke Wuzoo Ya Gusl ke Bache hue Pani se Wuzoo karna,..

♻Wuzoo ke liye Najis Jagah Baithna,

💠Najis jagah pani girana,

♻Masjid ke Andar Wuzoo karna, (MASJID KI HADD KE UNDER)

💠Wuzoo ke kisi Uzw se louta Wagairah me pani ka Qatra Tapakna,

♻Pani me Khakhaar Wagaira Dalna,

💠Qible ki taraf thook ya khakhaar Dalna Ya Kulli karna,

♻Be zaroorat duniya ki baat karna,

💠Zyada pani kharch karna,
♻Itna kam kharch karna ki sunnat Adaa na ho,

💠Muh par pani marna,

♻Muh par pani dalte waqt Foonkna,

💠Ek hath se muh dhona ye Rafziyon aur Gair Muslim (Majoosi) ka tareeqa
hai,

♻Gale ka Masah karna,

💠Baayein hath se kulli karna ya naak me pani dalna,

♻Dahine hath se naak saaf karna,

💠Apne wuzu ke liye koi louta wagairah khas kar lena,

♻3 naye paniyon se 3 baar sar ka masah karna,

💠Jis kapde se istinjaa ka pani khushk kiya hua ho usse wuzu ke hisse pochhna,

♻Dhoop ke garm pani se wuzu karna,

💠Hont ya aankh zor se band karna aur agar kuch sukha rah jaye to wuzu na hoga,

⚠Note :- Mene pada tha ki dhoop se garm pani se gusl ya wuzoo karne se
bars yani safed daag paida hota hai.
📜Bahare shariat.....
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 10

🌕WUZU KI SUNNATEIN

✴Mas'ala

💠Wuzu par sawaab pane ke liye Allah Ta'Ala ka hukm bajaa lane ki niyat se wuzu karna zaroori hai nhi to wuzu ho jayega sawab nhi hoga,

✴Mas'ala

♻Wuzu BISMMILLAH se shuroo kare aur agar wuzu se pahle istinja kare to istinja karne se pahle bhi BISMILLAH kahe magar pakhana me jane badan kholne se pahle kahe ki najaasat ki jagah me pakhaane me aur badan kholne ke baad ALLAH ka zikr manaa hai,

✴Mas'ala

💠Wuzu shuroo yu kare ki pahle hathon ko gatto tak 3, 3 baar dhoye agar pani bade bartan me ho aur koi chhota bartan bhi nhi ki usme pani uleidh kar hath dhoye to chahiye ki baayein hath ki ungliyaan mila kar sirf ungliyaan pani me daale hatheli ka koi hissa pani me na padhe aur pani nikaal kar daaheena hath gatto tak 3 baar dhoye fir daheeni hath ko jahan tak dhoya hai bina takalluf pani me daal sakta hai aur us se pani nikaal kar bayaa hath dhoye yeh us soorat me ki hath me koi najaasat na lagi ho warna bartan me hath daalna kisi tarah zaiz nhi agar napaak hath pani me daalega to pani napaak ho jayega,

✴Mas'ala

♻Agar chhote bartan me pani hai ya pani to badhe bartan me hai magar wahan koi chhota bartan bhi moujood hai aur usne bedhoye hath pani me daal diya balki unglee ka poraa ya  nakhoon daala to woh sara ka sara pani wuzoo ke qaabil na raha jaisa ki hidaaya, fathul qadir, aur fatawa qazi kha'n me hai q ki woh pani Mus'amal
(Istemaal kiya hua) ho jata hai,

💠Yeh us waqt hai ki jitna hath pani me pahuncha uska koi hissabedhoola ho warna agar pahle hath dho chuka hai aur uske baad hasad na hua
(Wuzoo tootne ka sabab na paya gaya)

♻To jis qadr hissa dhoola hua ho utna pani me daalne se must'Amal na hoga agarche kohni tak ho balki gair junub (jis par gusl farz na ho yani paak shakhs) ne agar kohni tak hath dho liya to uske baad bagal tak daal sakta hai ki ab uske hath me koi hasad baqi nhi,

💠Haan Junub kuhni se upar utna hi hissa daal sakta hai jitna dho chuka hai ki uske sare badan par hasad hai.
📜Bahare shariat

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 11

🌕WUZU KI SUNNATEIN

✴Mas'ala 

💠Jab sokar uthe to pahle istinje se pahle bhi aur baad bhi kam se kam 3, 3 baar daahine, baayein upar neeche ke daanton me miswaak kare aur har baar miswaak ko dho le,

♻Miswaak na to bahut sakht ho na bahut narm aur miswaak peeloo jaitoon ya neem wagira kadhwi lakdi ki ho,

💠Mane ye khushboodar phool ke pedh ki na ho chhanguliyaan (chhoti unglee) ke barabar moti aur zyada se zyada ek valisht lambi ho aur Itni bhi chhoti na ho ki miswaak karne me pareshani ho.

♻Jo miswaak ek balisht se zyada ho us par shaitan baithta hai, Miswaak jab karne ke qaabil na rahe to use dafan kar dena chahiye ya kisi aisi jagah rakh de ki napaak jagah na gire q ki ek to woh sunnat ko adaa karne ka zari'aa hai is liye iski tazeem chahiye,

💠Dusre yeh musalmanon ke thook ko napaak jagah girne se bachana chahiye is liye pakhana me thookne ko humare ulama acha nhi samajhte,

✴Mas'ala

♻Miswaak daahini hath se karna chahiye aur miswaak is tarah hath me li jaye ki chhanguliya miswaak ke neeche aur beech ki 3 ungliyaan upar aur angootha sire par neeche ho aur mutthi na bandhe,

✴Mas'ala

💠Daanton ki chourhaai me miswaak kare lambaai me nhi cheet let kar miswaak na kare,

✴Mas'ala

♻Pahle daahine janib ke upar ke daant maanje fir baayein janib ke upar ke daant fir daahini taraf ke neeche ke daant aur fir baayein taraf ke neeche,

✴Mas'ala

💠Jab miswaak karna ho to use dho lein aur miswaak karne ke baad bhi use dho daalein, zameen par padhi na chhodhe balki khadhi rakhein ki us ke reshe wala hissa upar rahe.
📜Bahare shariat....
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
To be Continue....
    Post Written by....
        Jamaluddin Raza.
    🌷🌷 TALIB E DU'AA
    🌷🌷 Jamaluddin Raza.
     Our Fb Pages Fb Links
https://m.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 12

🌕WUZOO KI SUNNATEIN

✴Mas'ala 

💠Fir 3 chullu pani se 3 kulliyaan kare ki har baar muh ke andar har hisse par pani bahjaye aur rozadar na ho to garara kare,

✴Mas'ala 

♻Fir 3 chullu se 3 baar naak me pani chadhaye ki jahan tak narm gosht hota hai har baar us par pani bah jaye aur rozadar na ho to naak ki jarh tak pani pahunchaye aur yeh 2no kaam daahine hath se kare fir baayein hath se naak saaf kare,

✴Mas'ala 

💠Muh dhote waqt daadhi ka khilaal kare agar ehraam bandhe hue ho to khilaal na kare khilaal ka tarreqa yeh hoga ki ungliyon ko gale ki taraf daakhil kare aur samne nikale,

✴Mas'ala 

♻Hath paao'n ki ungliyon ka khilaal kare paao'n ke ungliyon ka khilaal baayein hath ki chhanguliya se kare is tarah ki daahine paao'n me chhanguliya se shuroo kare aur anguthe par khatm kare aur baayein paa'on me anguthe se shuroo kar ke chhanguliyaa par khatm kare aur agar bekhilaal kiye pani ungliyon ke andar na bahta ho to khilaal farz hai yani pani pahunchana agarche bekhilaal ho jaise ghaaiya khol kar upar se pani daal diya ya paao'n houj me daal diya,

✴Mas'ala

💠Wuzu ke jo hisse dhone ke hain, unko 3, 3 baar har martaba is tarah dhoye ki koi hissa na rah jaye nhi to sunnat adaa na hogi,

✴Mas'ala

♻Agar yuin kiya ki pahli martaba kuch dhool gaya aur dusri baar kuch 3sri baar kuch ki 3no baar me pura uzw dhool gaya to yeh ek hi baar dhona hoga is wuzu to ho jayega lekin sunnat ke khilaaf hai q ki isme chullu ki ginti nhi balki pura uzw dhone ki ginti hai ki uzw ka dhona 3 baar ho agarche kitne hi chulluon se dhona padhe,

✴Mas'ala 

💠Pure sar ka masah ek baar karna aur kaanon ka masah karna aur tarteeb ki pahle muh fir hath dhoye fir sar ka masah kare fir paao'n dhoye aur tarteeb k khilaaf wuzu kiya tha aur koi sunnat chhudh gaya to wuzu to ho jayega lekin aisa karna bura hai..

♻Aur agar sunnate muakkada ke chhodhne ki aadat daali to gunahgaar hai aur daadhi ke jo baal muh ke daaire se neeche hain unka masah sunnat aur dhona mustahab hai aur wuzu ke hisson ko is tarah dhona ki pahle wala uzw sukh na paye.
📜Bahare shariat.........
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
   To be  Continue....
       Post Written by....
         Jamaluddin Raza
🌷🌷 TALIB E DU'AA
👤👤 Jamaluddin Raza
OUR FB PAGES FB LINKS 
https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
OUR INSTAGRAM PAGE'S
https://i.instagram.com/gulameaalahazrat/
OUR GOOGLE PLUS PAGES
https://plus.google.com/116611277293695153777
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 13

🌕WUZU KE MUSTAHHAB

✳Bahut se wuzu ke mustahab upar zikr ho chuke aur jo kuch baqi rah gaye hain woh likhe jate hain,

✴Mas'ala

💠Daahini taraf se shuroo kare magar 2no rukhsaare ki in 2no ko sath hi sath dhoyenge aise 2no kaano ka masah sath hi sath hoga,

♻Haan agar kisi ke ek hi hath ho to muh dhone aur masah karne me bhi daahine se pahal kare,

💠Ungliyon ki pusht se gardan ka masah karna, wuzu karte waqt KA'ABA ki taraf unchi jagah par baithna,

♻Wuzu ka pani paak jagah girana, Pani girte waqt wuzoo ke hisso par hath fairna khas kar sardi ke mousam me,

💠Pahle tel ki tarah pani mall lena khas kar sardi ke mousam me, Apne hath se pani bharna, Dusre waqt ke  liye pani bhar kar rakhna,

♻Anguthi pahna ho to usko hilana jabki dhili ho taki uske niche pani bah jaye, agar dhila na ho to uska hilana farz hai, Koi mazboori na ho to waqt se pahle wuzu karna, itminaan se wuzu karna,

💠Aam logon me jo mash,hoor hai ki wuzu jawaanon ki tarah aur namaaz budho ki tarah yani wuzu zaldi kare lekin aisi jaldi nahi chahiye ki jisse koi sunnat ya mustahab chhut jaye,

♻Kapdon ko tapkaate qatron se mahfooz rakhna, Kaano ka masah karte waqt bhigi chhanguliyaan kaano ki suraakh me dakhil karna,

💠Jo aadmi puri tour par wuzu karta ho ki uski koi jagah baqi na rah jati ho to use koyo, Takhno, Edhiyon, Talwo, Kuncho,Ghaaiyon aur Kuhniyon ka khas tour par khayaal rakhna mustahab hai..

♻Aur bekhayaali walon ko to farz hai ki aksar dekha gaya hai ki yeh jagah sukhi rah jati hai aur yeh baat bekhayaali se hoti hai aur aisi bekhayaali haraam hai
aur in baaton ka khayaal rakhna farz hai,

💠Wuzu ka bartan mitti ka ho taambe wagairah ka ho to bhi haraz nahi magar us par qalai ho, Agar wuzu ka bartan lote ke qism se ho to use baayein taraf rakhe aur tasht ke qism se ho to daahini taraf,

♻Aftaabe (lota) me dasta laga ho to daste ko 3 baar dho le aur hath uske daste par rakhe, Daahine hath se kulli karna aur naak me pani daalna, baayein hath se naak saaf karna,

💠Baayein hath ki chhanguliyaan naak me daalna, Paao'n ko baayein hath se dhona, Muh dhone me naathe ke sire par aisa faila kar pani daale ki upar ka bhi kuch hissa dhool jaye.
📜Bahare shariat
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
   To be  Continue....
       Post Written by....
         Jamaluddin Raza
🌷🌷 TALIB E DU'AA
👤👤 Jamaluddin Raza
OUR FB PAGES FB LINKS 
https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
OUR INSTAGRAM PAGE'S
https://i.instagram.com/gulameaalahazrat/
OUR GOOGLE PLUS PAGES
https://plus.google.com/116611277293695153777
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 14

🌕WUZU KE MUSTAHHAB  

✳TAMBEEH 

💠Bahut se log aisa karte
hain ki Naak, Aankh, Ya Bhawon par chullu daal kar saare muh par fer lete hain aur yeh samajhte hain ki muh dhul gaya halanki pani upar chadna koi ma'ani nhi rakhta is tarah dhone me muh nhi dhulta aur wuzu nhi hota,

♻2no hatho se muh dhona, hath paa'on dhone me ungliyon se shuru karna,
chehre aur hath paao'n ki roushnee wasee'a karna yani jitni jagah par pani
bahana farz hai uske aas paas kuch badhana jaise aadhe baazu aur aadhi pindali tak dhona,

💠Sar ka masah kamustahab tareeqa yeh hai ki anguthe aur kalime ki ungliyon ke siwa ek hath ki baqi 3 ungliyon ka sira dusre hath ki 3 ungliyon se milaye aur peshaani ke baal ya khaal par rakh kar guddi tak is tarah le jayein ki hatheliyaan sar se juda rahein wahan se hatheliyon se masah karta wapas layein aur kalime ki ungli ke pet se kaan ke androoni hisse ka masah karein aur anguthe ke pet se kaan ki
berooni satah (bahri hissa) ka aur ungliyon ki pusht se gardan ka masah karna,

♻Har uzw dhokar us par hath fer dena chahiye ki bunde badan ya kapde par na tapkein, khas kar jab masjid me jana ho ki qatron k masjid me tapakna makroohe tahreemi hai

💠Bahut bhari bartan se kamzor aadmi wuzu na kare q ki be ehtiyati se pani na girega, zubaan se kah lena ki wuzu karta huin har uzw ke dhote ya masah karte waqt wuzu ki niyat ka hazir rahna
📜Bahare shariat

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
   To be  Continue....
       Post Written by....
         Jamaluddin Raza
🌷🌷 TALIB E DU'AA
👤👤 Jamaluddin Raza
OUR FB PAGES FB LINKS 
https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
OUR INSTAGRAM PAGE'S
https://i.instagram.com/gulameaalahazrat/
OUR GOOGLE PLUS PAGES
https://plus.google.com/116611277293695153777
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 15

🌕Wuzo Me jo Duaae Padhi jati hai unka padna Mustahab hai.

➡Wuzu karte waqt BISMILLAH shareef padein 

🌕BISMILLAH HIR
RAHMANIR RAHEEM,

✴Tarjuma 

💠ALLAH ke naam se shuroo
jo bahut meharbaan rahmat wala,

➡Aur durood shareef padein koi bhi jaise

🌕"ALLAHUMMA SALLI A'ALA
SAYYIDINA WA MOULANA
MUHAMMADEEW WA AALIHI WA
AS'HAABIHEE AJMA'EEN "

✴Tarjuma 

💠Aye ALLAH tu
Rahmat Nazil Farma Humare SARDAR aur humare MOULA MUHAMMAD ﷺ
Par aur Unki A'AL par, AS'HAAB sab par

♻Dusra kalma pade aur BISMILLAH, DUROOD SHAREEF, aur yeh kalima hath dhote waqt padna mustahab hai

➡Dusra kalima ye hai,

🌕"ASH'HADU A'LLAA ILAAHA
ILLALLAHU WA DAHU LAA SHAREEKA
LAHU
WA ASH'HADU ANNA SAYYIDINA
MUHAMMADAN A'BDUHU WA
RASOOLUHOO "

✴Tarjuma 

💠Main gawahi deta huin ki
ALLAH ke siwa koi ma'abood nhi woh Akela hai uska koi shareek nhi aur
Main Gawahi Deta hu ki humare
SARDAR MUHAMMAD ﷺ Uske bande aur
RASOOL hain "

➡Kulli karte waqt yeh dua padein,

🌕"ALLAHUMMA A'EENNI A'ALA TILAAWATIL QUR'AAN
WA ZIKRIK A SHUKRIKA WA HUSNIKA EE'BADIKA "

✴Tarjuma 

💠Aye ALLAH tu meri madad kar ki Qur'aan ki tilawat aur Tera zikr aur shuru karuin aur teri achi ibadat karuin,

➡Naak Me pani Daalte waqt.

🌕"ALLAHUMMA ARIHNEE
RAA'EEHAATALJANNATI WA LAA TURIHNEE RAA'EEHATANNAR "

✴Tarjuma 

💠Aye ALLAH tu mujhe jannat ki khushboo sungha aur jahannam ki.boo se bacha,

➡Muh dhote waqt yeh dua padhein 

🌕"ALLAHUMMA BAYYID WAJHEE YOUMA TABAYYUDDU WAJOOHOON WA TASAWADDU WAJOOHOON "

✴Tarjuma 

💠AI ALLAH TU MERE CHEHRE KO UJALA KAR, JIS DIN KI KUCH MUH SAFED HONGE AUR KUCH SIYAH HONGE "

➡Sidha hath dhote waqt yeh dua padhein

🌕"ALLAHUMMA A'ATINEE KITABEE BIYMEENI WA HAASIBAANEE HISAABAN YASEERAN "

✴Tarjuma

💠Aye ALLAH NAMAAE AAMAAL DAAHINE HATH ME DE AUR MUJH SE AASAN HISAB KAR "

➡Baayein hath dhote waqt yeh dua padhe :-

🌕"ALLAHUMMA LAA TU'ATINEE KITABEE BISHIMAALEE WALAA MIN WSRAAI ZAHREE "

✴Tarjuma

💠Aye ALLAH MERA NAAMAAE AAMAAL NA BAAYEIN HATH ME DE AUR NA PEETH KE PEECHHE SE "

➡Sar ka masah karte waqt yeh dua padhe

🌕"ALLAHUMMA AZILLANEE TAHTAA A'ASHIRKAA YOUMA LAA ZILL ILLAA ZILL A'ASHIRKA "

✴Tarjuma 

💠Aye ALLAH TU MUJHE APNE ARSH KE SAAYE KE SAAYE ME RAKH JIS DIN TERE ARSH KE SAAYE KE SIWA KAHIN SAAYA NA HOGA "

➡Kaanon ka masah karte waqt yeh dua padhe

🌕"ALLAHUMMAJA,ALNEE MINALLAZEENA YASATAMI,OONAL QOULA FAYATTABI,OONA AHASANHOO "

✴Tarjuma 

💠Aye ALLAH TU MUJHE UNME KAR DE JO BAAT SUNTE HAIN AUR ACHI BAAT PAR AMAL KARTE HAIN "

➡Gardan ka masah karte waqt yeh dua padhe

🌕"ALLAHUMMA A'AATIQ RAQBATEE MINANNAARI "

✴Tarjuma 

💠Aye ALLAH MERI GARDAN AAG SE AAZAD KAR "

➡Dahine paao'n dhote waqt yeh dua padhe 

🌕"ALLAHUMMA SABBIT QADAMEE A'ALASSIRAATI YOUQA TAZILLUL,AQDAAMU "

✴Tarjuma

💠Aye ALLAH MERE QADAM PULSIRAAT PAR SAABIT RAKH JIS DIN KI US PAR QADAM FISLEIN "

➡Baayaa paao'n dhote waqt yeh dua padhe 

🌕"ALLAHUMMA ZAMBEE MAGFURAN WA SA'AEE MASHKURAN WA TIJAARATEE LAN TABOORA "
✴Tarjuma 

💠Aye ALLAH MERI GUNAAH KO BAKHSH DE AUR MERI KOSHISH KAAMYAB KAR AUR MERI TIJAARAT HALAAL HO "

➡Yaa sab jagah durood shareef hi padhe aur yehi afzal hai aur wuzu se faarig hote hi ye dua padhe

🌕"ALLAHUMMA ZA'ALNEE MINATTAWWABEENA WAJ'ALANEE MINALMUTTAHHIREENA "

✴Tarjuma 

💠Aye ALLAH TU MUJHE TOUBA KARNE WALA AUR PAAK LOGON ME KAR DE "

➡Aur bacha hua pani khadhe ho kar pee le ki is se marz door hote hain aur asmaan ki taraf muh kar ke yeh padhe

🌕"SUB'HANAKA ALLAHUMMA WA BIHAMDIKA ASH,
HADU ALLAA ILAAHA ILLAA ANTAA ASTAGFIROOKA WA ATOOBU ILEIYKA "

✴Tarjuma 

💠"TU PAAK HAI AI ALLAH AUR MAIN TERI HAMD KARTA HUIN MAIN GAWAAHI DETA HUIN KI TERE SIWA KOI MA'ABOOD NHI TUJH SE MUAAFI CHAHTA HUIN AUR TERI TARAF TOUBA KARTA HUIN "

♻Wuzu ke hisse bilaa zaroorat na pochhe aur bilaa zaroorat na sukhaye,

💠Kuch beega rahne dein ki yeh namee qiyamat ke din neki ke palle par rakhi jayegi,

♻Hath na jhatkein, wuzu ke baad miyaani par pani chhidhak le ki yeh waswase se bachne ka zariya hai,

💠Makrooh waqt na ho to 2 rak'at nafl namaaz padhe is namaaz ko tahiyatul wuzu kahte hain.
📜Bahare shariat

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
   To be  Continue....
       Post Written by....
         Jamaluddin Raza
🌷🌷 TALIB E DU'AA
👤👤 Jamaluddin Raza
OUR FB PAGES FB LINKS 
https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
OUR INSTAGRAM PAGE'S
https://i.instagram.com/gulameaalahazrat/
OUR GOOGLE PLUS PAGES
https://plus.google.com/116611277293695153777
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

♻♻♻♻♻♻♻♻♻♻
   ✴WUZU KA BAYAN✴

💠♻💠♻💠♻💠♻💠♻

🌀PART 16 (LAST PART)

🌕WUZU KE MUTAFARRIK MASAAIL 
✴Mas'ala 

💠Agar wuzu na ho to namaaz sajda e tilawat, namaazein, Janaaza aur Qur'aan shareef chhune ke liye wuzu karna farz hai, tawaaf ke liye wuzu wajib hai,

✴Mas'ala 

♻Gusl e janaabat se pahle aur junub ko khane, pine, sone aur azaan, iqaamat aur juma'a aur arfaa me thaharne aur safaa aur marwa ke darmiyan saee ke liye wuzu kar lena sunnat hai,

✴Mas'ala 

💠Sone ke liye aur sone ke
baad aur mayyat ke nahlaane ya uthane ke baad sohbat se pahle aur jab gussa aa jaye us waqt aur

☑Zabani Qur'aan shareef padne padaane..

☑Juma'a eid baqar'eed ke alawa baqI
Khutbon ke liye,

☑Deeni kitaabon ko
Chhoone ke liye,

☑Satre galeez yani
peshab pakhane ki jagah chhune ke baad,

☑Jhoot bolne,

☑Gaali dene,

☑Buri baat kahne,

☑Kafir ke badan chhoo jane,

☑Khujlane se jab ki usme badboo ho,

☑Geebat karne,

☑Kahkahaa lagane ya zor
se hansne se,

☑Lagw yani behooda
ash'aar padne,

☑Unt ka gosht khane,

☑Kisi aurat ke badan se apna badan bina rukaawat ke chhoo jane se..

🌕IN SAB SURTOON ME WUZU KARNA MUSTAHAB HAI

✴Mas'ala

♻Jab wuzu jata raha to
wuzu kar lena mustahab hai,

💠Nabalig par wuzu farz nhi hai magar unhe wuzu karana chahiye taki aadat ho aur wuzu karna aa jaye aur wuzu ke mas'alon se aagah ho jayein,

✴Mas'ala 

♻Lote ki toti na aisi tang na ho ki pani mushkil se gire aur na aisi faili hui ho ki zaroorat se zyada gir jaye balki darmiyani ho,

💠Chullu me pani lete waqt dhyan rakhein ki pani na gire ki fuzool karchi hogi, aisa hi jis kaam ke liye chullu me pani lein uska andaaz rakhein zaroorat se zyada na lein jaise naak me pani daalne ke liye aadha chullu kafi hai to pura chullu na lein ki fuzoo kharchi hai,

♻Hath paao'n, seena aur peeth par baal hon to harhtaal wagaira se saaf kar daalein ya tarashwa lein nhi to pani zyada kharch hoga.
📜Bahare shariat

🔄 PART END 🔚

✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿
   To be  Continue....
       Post Written by....
         Jamaluddin Raza
🌷🌷 TALIB E DU'AA
👤👤 Jamaluddin Raza
OUR FB PAGES FB LINKS 
https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
OUR INSTAGRAM PAGE'S
https://i.instagram.com/gulameaalahazrat/
OUR GOOGLE PLUS PAGES
https://plus.google.com/116611277293695153777
✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿✿

2 comments:

  1. Kya hasne se wuzu tut jata hai... Plz in detail

    ReplyDelete
  2. Kya hasne se wuzu tut jata hai... Plz in detail

    ReplyDelete