Saturday, May 14, 2016

●[ SHAB-E-BARA'AT QURA'AN ]● ●[O HADEES KI ROSHNI MEIN ]●

🌘🌟🌙🌟🌙🌄●🌅🌟🌙🌟🌙🌒
●[ SHAB-E-BARA'AT QURA'AN ]●
●[O HADEES KI ROSHNI MEIN ]●
🌘🌟🌙🌟🌙🌄●🌅🌟🌙🌟🌙🌒

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[①]]

✍🖌 Sha’baan Ki Pandharween Raat Ka Naam Aam Istilah Me Shab e Bar’at Hey.. Is Raat ki Fazilat Qur’an Paak Se Ba’az Sahaba e Kiram Ki Tehqiq Se Sabit Hey

📖[ Surah e Dukhan Aayat 1-4 ]

ALLAH ﷻ Ney Qasam Yaad Farma Kar Is Raat Ko
“LAILATUL MUBARAKA” Kaha..?

✍🖌 [ 1 ] Allama Aalusi :Hazrat e Akrama aur [1] Jamat e Sahaba Is Taraf Hey Ke Is Sey Muraad Sha’ban Ki Nisf Raat {Yani Pandharween Raat Jisey Shab e Bar’at Kaha Jata He} Hey....

       📚[ Tafseer e Roohul Mua’ani ]📚

✍🖌 [ 2 ]  Abu Saud; “Lailatul Mubaraka Se Murad Lailatul Bar’at {Nisf Shaban} Bhi Hey..?

         📚 [ Tafseer e Abi Saood ]📚

✍🖌 [ 3 ] Allama Imam Raazi: .Hazrat Akrama Aur Dusrey Sahaba Ne Kaha Ke Ye Lailatul Bara’at Hey Jo Sha’ban Ki [ 15th ] Hey”

             📚 [ Tafseer e Kabir ]📚

✍🖌 [ 4 ] Allama Sawi:. Lailatul Mubaraka Se Murad Sha’ban Ki [ 15th ] Hay. Yahi Qoul Akrama Aur Kayi Dusrey Sahaba Ka He Is Raat ke { 4 } Naam Hein..?
{ 1.Mubaraka }   { 2.Rehma }
    { 3.Bara’at }    { 4.Sak }  Aur is Raat Ibadat Karna Afzal Hay...?

                       📚[ Saawi ]📚

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[②]]

✍🖌 Muta’addid Ahadees Sey Is Shab Ki Fazilat Sabit Hey Sihah Ki 2 Kutub [Tirmizi, Ibn e Maja]   Ke Ilawa   [Musnad e Ahmed, Baheeqi]   [Musannaf Ibn e Abi Sheba]   Me Kayi Ahadees Iski Fazilat Par Mazkur Hein.

✍🖌 Kuch Ahadees Mulahiza Hon Jin Me Nabi Paak ﷺ  Ke Irshad Se Fazeelat Ki Wazeh Tayeed Hey..?

✍🖌 [ 1 ]  Hazrat Ali Say Marwi;
Huzoor Paak ﷺ Nay Farmaya; “Jab Sha’ban Ki Nisf Raat Aaye To Tum Raat ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho. Beshak Guroob e Aftab Se Subeh Sadiq Tak ALLAH ﷻ Paak Ki Rehmat ka Nuzool Aasman e Dunya Par Hota Hey...?

✍🖌 Rabb Ta’ala Ki Taraf Se Aawaz Di Jaati Hey,

                      ⚜[Khabardar]⚜
✍🖌  Hey Koi Jo Mujse Bakhshish Talab Karey, Mey Usey Bakhsh dun.

                      ⚜[ Khabardar]⚜
✍🖌 Hey Koi Rizq Ka Taalib Ke Usey Rizq Ataa Karun.

                     ⚜ [Khabardar]⚜
✍🖌 Hey Koi Musibat Zada Ke Mey Usey Aafiyet Ataa Karun.

          [Khabardar Koi Is Tarah Hay]
          [Khabardar Koi Is Tarah Hay]

📚[Ibn e Maja – Bab Ma Jaa’a Fi Lailatin Nisf Min Sha’ban Pag 99]

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[③]]

✍🖌  [ 2 ]
  [ Hazrat Abu Moosa Ash’ari Say Marwi ]
             Huzoor ﷺ Nay Farmaya;

✍🖌 Beshak ALLAH ﷻ Ki Rehmat Ka Sha’ban Ke Nisf Ki Raat Mey Zuhoor Hota Hay. ALLAH ﷻ Apni Tamam Makhlooq Ko Muaf Farma Deta Hay... Siwaye  Mushrik,
Logon Say Bughz Rakhnay Walay, Dushmani Karnay Waley”

                      📚[ Ibn e Maja ]📚

✍🖌 [ 3 ]      [ Hazrat Ayesha Say Marwi ]

Huzoorﷺ ; “Sha’ban Ki Nisf Raat May Saal May Paida Hony Aur Fout Hony Walon,
Baais e Rif’at Naik A’amal Aur Rizq Ke Asbab Likh Dye Jaaty Hen”

       📚[ Bahiqi ]📚        📚[ Mishkat ]📚

✍🖌 [ 4 ]    [ Hazrat Urwa Say Marwi; ]
                        [ Hazrat Ayesha ] 
“May Nay Ek Raat Rasulullah ﷺ Ko Gum Paaya To Apki Talaash Ke Liye Nikli..

✍🖌 Aap ﷺ Baqee (Qabrastan) Me Aasman KiTaraf Sar Uthaye Huey They. Huzoor ﷺ Nay Farmaya….

✍🖌 Beshak ALLAH ﷻ Paak Apni Rehmat e Kaamila Say Nisf Sha’ban Ki Raat (Shab e Bar’at)
Aasman e Dunya Par Nuzool Farmata Hay.
Banu Kalb Ki Bakriyon Ke
Baalon Say Zyada Magfirat Farmata Hay”

                     📚[ Tirmizi ]📚

✍🖌 Is Mazmun Ki Ahadees Muta’addid Asnad Say Warid Huin..?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[④]]

✍🖌 [ 5 ] Shab e Bar’at Ki Fazeelat Waly Baab Me
Hazrat Abubakar Say Bhi Tirmizi May Hadees Marwi Hay..?

✍🖌 [ 6 ] Huzur ﷺ Nay Farmaya; [ 15th ] Sha’ban Ko ALLAH ﷻ Paak (Ki Rehmat) Aasman e Dunya Ki Taraf Nuzool Farmata Hay...?

✍🖌 Is Raat Har Gunahgar Ki Bakhshish Hoti Hay Siwaye Mushrik wa Keena Parwar Ke..?

                      📚 [ Behiqi ]📚

✍🖌 [ 7 ] Muaz Bin Jabal Say Bhi Yahi Manqool Hay

✍🖌 [ 8 ] Ata Bin Yasar Say Marwi;  Koi Raat Lailatul Qadar Ke Baad  [ 15th ] Sha’ban Ki Shab Say Zyada Fazilat Wali Nahi..?

                      📚 [ Behiqi ] 📚

✍🖌 [ 9 ] Hazrat Ka’ab Say Marwi; “ALLAH ﷻ Jibraeel ko { 15 } Sha’ban Ki Shab Jannat Ki Taraf Bhejta Hay..
Ke Wo Aarasta Hony Ka Hukum Puhncha Dein.
Or Keh Dein Ke ALLAH ﷻ Is Raat May Aasman Ke  Sitaron, Dunya Ke Din Raat,
Darakht Ke Patton, Paharon Ke Wazan Aur Rait Ke Zarron Ki Ginti Ke Barabar Bandon Ko Aazad Karega”

                      📚 [ Baheeqi ] 📚

✍🖌 [ 10 ] Akrama Say Marwi; {15 Shaban} Khuda Ki Taraf Say Hikmat Waly Har Kaam Ka Faisla KyaJaata Hay Zinday Likhey Jaaty Aur Haji Qalamband Hoty Hen
Phir Is Say Na Koi Barhta Hay Aur Na Kam Hota Hay..?

📚[ Ibn e Jarir ]
📚[ Ibn e Manzar ]
📚[ Ibn e Abi Hatim ]

✍🖌 Mazeed Ahadees Bhi Paish Ki Jaa Sakti Hen...?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑤]]

✍🖌 Alhamdulillah Hum Ne Shab e Bar’at Par Hamara Moaqqaf Jaan Liya Is Hawalay Se Kye Jaane Waley Tamam Aetirazat
Naqis, Gair Mayari, Jahalat Par Mabni,Musalmano ko Ibadat Say Roknay Ki Na Paak Jasarat Aur Gumrah Karney Ki Shaitani Sazish Hein...?

🖌 [ Aaye ]  Ab Biltarteeb Inke Jawabaat Diye Jayenge..?

✍🖌 Jinhe Aetraaz Hey Agar Wo Arabi Parhay Huey Nahi To Kam Az Kam Hamary Islaaf Ki Is Hawaley Say Mustaqil Abwab Par Mabni Kutub Ke Urdu Tarajim Parh Len Jo Ba Aasani Mayassar Hein...?

[ Maslan Ma Sabat Bis Sunnah, Makashifatul Quloob, Gunyat u Talibeen,
Tuhfatul Ikhwan, Nuzhatul Majalis, Rukn u Din Etc ]
Unhe Beshumar Ahadees Ke Elawa Mutaqaddimeen wa Muta’akhireen Ke
Be Hisab Aqwal Mil Jaenge...  Phir Unhe Tamak Toiyan Maarnay Ki Haajat Na Hogi...?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑥]]

                   🍭[ Aetraaz {01} ]🍭
✍🖌 Amma Ayesha Wali Hadees In Par Bohtan Hay..
                       🍭[ Answer ]🍭
✍🖌 [ 1.1 ] Ye Buhtan Apke Khayal May Kis Nay Lagaya? Imam Ahmed Raza Nay Ya Hazrat Urwa Nay
(Ke Ye Amma Say Rawi Hein) Ya Tirmizi, Ibne Maja, Behiqi Aur Ibn e Abi Sheba Nay (Ke Ye Sab Naqil Hein)...??

✍🖌 [ 1.2 ] Kya Kisi Nay Is Hadees Ki Jarah wa Ta’deel Karty Huey Isko Mozu (Mangharat Ya Khud Sakhta) Kaha?

✍🖌 [ 1.3 ] Agar Tirmizi Nay Isey Zaeef Kaha Bhi To Kya Fazail May Zaeef Riwayat Mo’tabar Nahi Hoti...?

✍🖌 [ 1.4 ] Zuaf Ki Waja Ye Ke Rawiyon May Hajjaj Nay Yahya Say Aur Yahya Nay Urwa Say Nahi Suna, Ye Zuaf Buhat Naram Hay Hosakta Hay Barah e Rast Nahi, Bilwasta Suna Ho.
Ye Aeb Wo Nahi Jo Kizb Wagera Ki Tohmat Ke Sabab Paaya Jata Hay...?

✍🖌 Sabit Hua Agar Chey Rawi Siqa Nahi Magar Haqiqat May Ye Hadees Hi Hay.?. Aur Is Say Mustahibbat Sabit Ho Sakty Hein. Musalmano ka Aqeeda Hay Ke Is Shab Ki Ibadet Mustahib Hay Na Ke Wajib, Zaeef Hadees Say Bhi Iska Suboot Jaiz..?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑦]]

✍🖌 [ 1.5 ] Is Hadees ko Zaeef Kaha Gaya Magar Ye Nahi Kaha Gaya Ke Kisi Hadees Say Isko Ta’eed Hasil Nahi Hoti. Chun Ke Taeed Karnay Wali Kayi Ahadees Bayan Ki Jaa Chuki Lihaza Wazeh Hogaya Ke Ye Hadees Hasan Ligairihi Hay Aur Is Say To Ehkam e Wajiba Bhi Sabit Ho Saktay Hein..
Aur Bil Ittifaq Daleel Ke Tor Par Pesh Kiya Ja Sakta Hay..?

✍🖌 [ 1.6 ] Agar Maan Liya Ke Hazrat Ayesha Wali Hadees Zaeef Hay To Shab e Barat Ki Fazeelat Par Baqi Sahee Ahadees Ka Kya Hoga..?

                     🍭Aetraaz [ 02 ]🍭

✍🖌 Agar Ye Hadees Sahee Bhi Ho To Qur’an Ka Inkar Hay..?

                       🍭{ Answer }🍭
✍🖌 [ 2.1 ] Ibn e Abbas Farmatay Hein;::-

✍🖌 [ 15th ] Shaban Ko Tamam Umoor Ke Faisley Kar Liye Jaatay Hein
Aur [ 27Ramzan ] Ko Tamam Umoor Farishton K Supurd Kar Diye Jatey Hein”
Qura’an Paak Ki Aayat e Dukhaan, Hazrat Akrama Aur Dusrey Ashab Ke Bayan, Muta’addid Sahee Ahadees Aur Mustanad Mufassireen Ke Aqwaal Ke Baad Shab e Bar’at Ki Fazilat Mey Qura’an Ki Kis Aayat Say Takrao Ya Inkar Hay....?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑧]]

✍🖌 [ 2.2 ] Agar Bilfarz
Qur’an Paak Say Shab e Bar’at Ki Fazilat Sabit Na Bhi Ho To Sirf Hadees e Paak Say Sabit Hona Bhi Kafi Hay... Ke Ahadees Hi Say To Hum Arkan e Islam
(Namaz, Zakat, Roza, Hajj)
Ke Ehkam Sabit Karty Hen..
Agar Ahadees Ko Na Tasleem Kiya Jaye To Islami Ehkam Par Amal Mumkin Hi Nahi...?

                   🍭[ Aetraaz 03 ]🍭

✍🖌 Aurton Ka Qabrastan Jana Mana Hay To Amma Ayesha Kyun Gayin.....?
                      🍭[ Answer ]🍭
                  📚[ 3.1-Hadees ]📚

✍🖌 Qabron Ki Ziyarat Karnay Wali Aurton Par La’nat Ho”

                        📚[ Tirmizi ]📚

✍🖌 Ahl e Ilm Ka Is Hadees May Ye Aetqaad Ke Huzoor ﷺ Nay Qabron Ki Ziyarat Ka Jo Hukum Aur Rukhsat Farmayi, Ye Hadees Is Say Pehlay Ki Hay KyuKe Pehlay Mardon,Aurton Sabko Mumaniat Thi,.. Jab Ijazat Mili To Sab Ke Liye Mili Han, Aurten Sabar Na Karen
Aur Rona Peetna Ho To Inhe Mana Hoga.....?

                       📚[ Mishkat ]📚

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑨]]

✍🖌 [ 3.2 ] Ek Aur Hadees Jo Musnad e Ahmed O Mishkat May Hay Ke Hazrat Ayesha Roza e Rasool ﷺ Par Jab Ke Abu Bakar o Umar Bhi Madfun They Jaya Karteen Wazeh Hua Ke Aurton Ka Qabron Par Jana Mutlaqan Mana Nahi..?

✍🖌 [ 3.3 ] Ibn e Maja w
Tirmizi Ki Hadees May Bhi
Amma Ayesha Ka Qabrastan Jana Aur Huzur ﷺ Ka Na Rokna Is Baat Par Dalalat Karta Hay Ke La’nat Wali Hadees Pehlay Ki Hay Aur Ijazat Wali Hadees
[ Ibne Maja w Mishkat My ] Baad Ki Hay....?

✍🖌 [ 3.4 ] Ibn e Maja o Mishkat May Hazrat Ayesha Say Hi Marwi;:-  “Sahib e Qabar Ko Zaair Say Sukoon Milta Hay” Ibne Masud sy Marwi;:- “Qabar Ki Ziyarat Zuhad Aur Aakhirat Ki Yaad Ka Baais Hay..?

                     🍭[ Aetraaz 04 ]🍭

✍🖌 Baqee Madina May Hay To Fazilat Wali Surat Ka Nuzul Makkah May Kyun..?
                        🍭[ Answer ]🍭

✍🖌 [ 4.1 ] Deegar Jo Tamam Ahadees Bayan Kin Is May Baqee Aur Madina Paak Ka Zikar Kahan Hay..? Kya Ye Mumkin Nahi Ke Huzoor ﷺ Nay Shab e Bar’at Ki Fazilat To Makkah Paak May Bayan Farmayi Ho Aur Amma Ayesha Madina May Huzoor ﷺ Ke Paas Ayin,Is Liye Unhe Us Waqt Malum Chala Ye Bi Ho Sakta Hay Ke Inhe Ma’lum To Ho Magar Achanak Ye Khayal Na Aya Ke Huzoor ﷺ  Kahan Tashrif Le Gaye...?

📑 ➻PAGE•OF•NO➳ [[⑩]]

✍🖌 [ 4.2 ] Agar Aap Ye Samajhtey Hen Ke Makki Surton Ki Tamam Aayat Makki Aur Madni Soorton Ki
Tamam Aayat Madani Hen
To Ye Soch Sara Sar Baatil o Jhoot Hay...?
         { Allama Suyooti }
✍🖌 Kayi Surat Makki Hen
Magar Un My Ba’z Aayat Madani Hen” (Al-Itqan)
Pas Aapki Aetraaz Me Di Jane Wali Daleel Naqis Hay..?

                      🍭[ Aetraaz 05 ]🍭
✍🖌 Nabi ﷺ Paak Par Bohtan Hay Ke Itna Arsa Fazilat Ko Chupaya
                        🍭[ Answer ]🍭

✍🖌 [ 5.1] Huzoor Ke Muta’adid Farmudat, Kutub e Ahadees wa Tafaseer Ki Roo Say Hargiz Ye Lazim Nahi Aata Ke Huzoor ﷺ
Jo BASHIR O NAZEER Hein
Unhon Nay Kabhi Kisi Fazilat Ko Chupaya Ye Logo Ki Jasarat e Makruh Hay
Ke Ek Taraf Huzoor ﷺ Par Bohtana Laganay Ke Liye Maahol Paida Kiya Jaye Jab Ke Dusri Taraf Babarkat Raat May Musalmanon Ko Ibadat Say Door Rakhnay Ki
Shaitani Sazish Ko Taqwiyet Di Jaye Alhamdulillah
Shawahid o Dalail ke sath Jawab Mukammal Kye Is Dua Ke Saath Ke ALLAH ﷻ
Gumraho Sharr Say Tamam Aalam Ko Mehfooz Rakhey...?

🌹AAMEEN YA RABBUL AALMEEN🌹
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
🌷"TAMAM AALAM E AHLE ISLAM KO SAHAB-E-BARA'AT MUBARAK HO"🌷
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

               ⚠ THE END ⚠
❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖•❖
↘ TO BE CONTINUED
            POSTED BY

⏭ FROM
👑 GULAM-E-AALA-HAZRAT 👑

📿  TALIB E DU'AA
🍁  Jamaluddin Raza
⚜ IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE  G.E.A.H  FACEBOOK PAGE LINK PE CLICK KRE....
https://m.facebook.com/1765594710320274/albums/1827081104171634/
⚜ IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE  G.E.A.H  BLOGEER LINK PE CLICK KRE....
http://gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com/2016/05/shab-e-bara-qura-o-hadees-ki-roshni-mein.html?m=0
🖥VISIT  G.E.A.H PAGES LINKE & COMMENTS
💻 https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
🎊🎌🎐📮🏮🏮📮🎐🎌🎊

No comments:

Post a Comment