Thursday, February 23, 2017

TAMHEED E IMAAN

TAMHEED E IMAAN :

Part    1

HUZOOR Sayyad-e-Aalam Mehboob-e-Rabbul Aalameen Sallallahu Alaihi wa aalihi wasallam ke baare mein kya Imaan rakhna chaahiye?

Qur’an wa Hadees ki Raushni mein Tamheed-e-Imaan Ba-Aayaat-e-Qur’an.

Tasneef-e-Lateef Aala Hazrat Imam-e-Ahle Sunnat Maulana Shah Ahmad Raza Faazil-e-Bareilvi Rehmatulla ta'ala alaih.

KHULAASA:

Musalmaanon ! Yeh Mubaarak fatwa Tumhaare RAB Jalla wa Alaa Tumhaare Pyare Nabi MUHAMMAD Mustafa Sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam ki Izzat wa Azmat ki himaayat aur UN ke Gustaakhon par Hukme shar’ee ke bayaan wa hidaayat mein likha gaya. In gustaakhon ki gustaakhiyan jin par is mukhtasar fatwe me Radd hai,
Teen qism hai:

(1) Najaasat-e-Shaitaani (Ba-qaul gustaakhaan) ke Iblees ka Ilm MUHAMMAD RASOOLALLAH Sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam ke Ilm se zyada wasee hai, Wus’ate Ilm shaitaan ke liye Nass (Qur’an ki Daleel) se saabit aur MUHAMMAD RASOOLALLAH Sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam ke liye Maaniye to KHUDA se baraabari ka bayaan hai.

(2) Takzeeb-e-Rehmaani (Ba-qaul Gustaakh) KHUDA ko jo jhoota kahe usey koi sakht baat na kaho. Agle bohot Imam bhi KHUDA ko Jhoota Maante the, Yeh Hanafi wa Shafaee ka saa ikhtilaaf hai ke kisi ne haath naaf ke neeche baandhe, kisi ne upar.  Yunhi kisi ne KHUDA ko saccha kaha, kisi ne Jhoota. Waqu-e-Kizb ke Maana durust hain is ka mujmal bayaan hai.

(3) Junoon e Sagaani (paagal Kutte ki bad) ke Jaisa Ilm-e Gaib MUHAMMAD RASOOLALLAH Sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam ko hai aisa to har paagal aur jaanwar aur chaupaaye ko hai,  NABI mein aur un mein kya farq hai? Is ka bayaan hai.

Yeh Zaroor Mulaahiza ho, Is ke Padhne se Shaitaan ke haath se Imaan IN SHA ALLAH bachega.

TAMHEED E IMAAN

Part    2

ALLAH ALLAH Aye Musalmaan ! Tujhe apne Deen o Imaan ka waasta, kya teenon qism ke alfaaz aise the ke ALLAH Jalla Jala-luhu aur HUZOOR  Sayyad-e-Aalam Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ki shaan mein unke saaf gaali, sakht dushnaam hone mein kisi Kalma-go Musalmaan ko adna shak ho sake?

Yeh Kalimaat Yaqeenan Kufriya Hain:

Khudara zara Sidq dil se La Ilaaha Illallaaho Muhammadur Rasoolullah (Sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam) padh kar, Aankhein band karke kaanon mein Ungliyaan dekar, Gardan Jhuka kar, Islami Dil ki taraf Mutawajjah ho kar, gaur kar ke dekho.

Yeh Kalimaat ke;

(1) Shaitaan ka Ilm MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam se zyada hai.
Shaitaan aisi khudaai sifat rakhta hai ke NABI Sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam mein Maano to Unhein KHUDA ka Shareek Jaano.

(2) KHUDA Jhoota hai aur jo USEY jhoota kahe, Musalmaan Sunni Swaaleh hai. KHUDA ke sacche ya jhoote hone mein ikhtilaaf aisa hi halka hai Jaisa baaham Hanafi, Shafa’ee ka.

(3) Jaisa Ilm-e-Gaib RASOOLALLAH Sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam ko tha, aisa to har paagal, har chaupaaye ko hota hai.

Kya kisi Musalmaan ki zabaan ya qalam se aise nikalte hain?
Kya inka kehne wala Musalmaan ho sakta hai?
Kya is kehne waale ko jo Musalmaan gumaan kare khud Musalmaan reh sakta hai?
NAHI  NAHI laakh baar NAHI.

Musalmaan ka Imaan aap hi inhein sunte hi fauran gawaahi dega ke sab kalimaat yaqeenan kufriya hain aur inke qaail qat’an kaafir.

TAMHEED E IMAAN

Part   3

Magar Sad Hazaar Afsos !! Ke ab woh andher ka zamana aa gaya ke in baaton par hukm e kufr lagaane mein dalaail qaayem karne, Fatawa taiyyaar karne ki haajat hai.

Phir un par bhi Harmain Shareefain ki tasdeeqaat aur Moharein hon.  Is Ehtamaam-e Azeem ki zaroorat hai aur is par bhi andesha laga hua hai ke MUHAMMAD RASOOLALLAH Sallallaho Ta’ala Alaihi Wa Aalihi wasallam ke Ummati banne waale dekhiye ab bhi Maante hain ya yunhi sahal wa mohmal jaante hain.

Aah Aah Aye Islam Kya huwi teri izzat?
Tere Naam lewaon ki nigaah se kidhar gayi?    Kya huwi teri halaawat (mithaas) Tere kalma padhne walon ke dilon se teer gayi?     Inna Lillaahi wa Inna Ilaihi Raajioon.

TAMHEED E IMAAN

Part  4

Aah ! Ek din wo tha ke Baap ne kalma-e-gustaakhi HUZOOR-e-AQDAS Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam ki shaan-e-paak mein bakaa. Haqeeqi beta Madina Taiyyaba ke darwaze par talwaar le kar khada ho gaya ke O Mal'oon kya bakaa tha?    Darwaze mein qadam na rakhne doonga, jab tak zaahir na kar doon ke kaun azeez aur kaun zaleel hai.

Agar hukm aadey na aa jaye to woh honhaar beta na-shudni Baap ko fin-naar kar hi chuka tha.  Ab yeh waqt hai ke Islam ke libaas mein Islam ke dushman yun munh bhar bhar kar ALLAH Azz wa Jall Waahid-e-Qahhaar aur US ke HABEEB-e-MUKHTAAR Sallallaho Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam ko sadi sadi gaaliyaan sunaate hain, likh likh kar chaapte hain aur kalma-go ummati kehlaane wale unhein maulvi, mufti, waaiz, peerji samjhe jaate hain.

Jo gareeb Musalmaan hoshiyaar karein ke arey arey Mustafaayi galle ke naadaan bhedon, Dekho yeh bhediya hai. Arey yeh Tumhare MA’BOOD, Tumhare RASOOL sallallahu alaihi wasallam ko gaaliyaan deta hai. To unki baat Nahi sunte aur sunein to kaan Nahi dharte aur kaan bhi dharein to parwaah Nahi karte.

Na in gustaakhon se mel-jol chhodein, na inse rishta ilaaqa todein, balke ulte in gareeb Musalmaanon par taana zani ko taiyyaar ho jaayein, ke miyaan aise hi kaafir keh diya karte hain. Unki machine mein kufr hi ke fatwe chhapa karte hain.

Fulaana (Gustaakh-e-Rasool) hamara saga bhai, ya aisa moazzam, itna dost hai, usey kaise chhod dein?   Fulaana (Gustaakh-e-Rasool Deobandi) hamara ustaad, ya aisa muhaddis, itna Maulvi hai, Usse kyunkar ilaaqa todein?

Aye Waaye Na- Insaafi in (gustaakhon) ki muhabbat, in (Gustaakh-e-Rasool deobandiyon) ki azmat to yaad rahi aur ALLAH Rabbul Arshil Aazam aur pyare HABEEB Rauf o Raheem Jalla wa Alaa wa Sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam ki Muhabbat wa azmat sab dil se bhula di?

Arey ye bhi to dekha hota ke In (gustaakhon) ki muhabbat ka kis Mehboob ki muhabbat se Muqaabla hai?

In (wahabiyon) ki azmat ka kis Azeem Jaleel azmat se muarza (muqaabla) hai. Babein ke az ke bureedi wa baake pewasti……………..

Uff Uff ! Zaalimon ne kya bura mubaadla kiya, ke KHUDA wa MUSTAFA ko chhod kar ustaad wa Pidar ya een o aan ko pakda.

TAMHEED E IMAAN

Part   5

MUSTAFA Sallallaho Ta’ala Alaihi Wa Aalihi wasallam ke ehsaanaat yaad karo.  Aye apni jaan par zaalimon !    Aye bhole bhale naadaan mujrimon ! Kuch khabar hai?

Arey woh ALLAH Waahid Qahhaar hai jisne tumhe paida kiya, jisne tumhein aankh, kaan, dil, haath, paaon laakhon ne’matein di, jiski taraf tumhein phir kar jaana aur ek akele Tanha, be-yaar o yaawar be-wakeel US ke darbaar mein khade ho kar rubakaari hona hai.

US ki azmat, US ki mohabbat aisi halki thehri ke fulaan (gustaakh-e-Rasool Deobandi) wa fulaan (gustaakh-e-Rasool wahabi) ko US par tarjeeh de li. Arey US ki azmat to US ki azmat, US ke Ehsaan to US ke ehsaan, US ke Pyare Habeeb MUHAMMAD RASOOLALLAH Sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam hi ke ehsaanaat agar yaad kiya karo to wallaahil azeem Baap, ustaad, peer, aaqa, haakim, baadshah wagairah wagairah tamaam Jahaan ke ehsaan jama ho kar Unke ehsaanon ke karorwein hisse ko na pahonch sakein.

Arey Woh woh hain ke paida hote hi Apne RAB ki wehdaaniyat, Apni Risaalat ki shahadat adaa farma kar sab mein pehli jo yaad aayi woh Tumhari hi yaad thi. Dekho woh Aamina khatoon ki aankhon ka Noor.

Nahi Nahi Woh ALLAH Rabbul arsh ke arsh ka taara,   ALLAH Noorus samaawaat wal-ard ka Noor,  shikam-e-paak-e Maadar se juda hote hi sajde mein gira hai aur narm o naazuk hazeen aawaaz se keh raha hai RABBI UMMATI UMMATI,  Aye Mere RAB Meri Ummat, Meri Ummat.  Sallallaho Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam.

TAMHEED E IMAAN

Part    6

Kya kabhi kisi ke Baap, Ustad, Peer, Aaqa, Haakim, Baadshah ne bete, shagird, mureed, gulaam, naukar, raeeyat ka aisa khayaal kiya?  Aisa dard rakha hai?
Hasha Lillaah arey Woh woh hain ke Us pyare Habeeb Rauf o Raheem Alaihi afzalus salaato wat-tasleem ko jab Qabr-e-Anwar mein utaara hai labhaaye mubarak jumbish mein hain.

Fazl Yaqasam bin abbas RadiyAllahu ta’ala anhum ne kaan lagaakar suna hai.
Aahista aahista arz kar rahe RABBI UMMATI UMMATI.  Aye Mere RAB, Meri Ummat Meri Ummat sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam.     SUBHANALLAH !      Paida huwe to Tumhari yaad, duniya se tashreef le gaye to Tumhari yaad.  Kya kabhi kisi ke Baap, Ustad, Peer, Aaqa, Haakim, Baadshah ne
Bete, shagird, mureed, gulaam, naukar, raeeyat ka aisa khayaal kiya?
Aisa dard rakha hai?

Astagfirullah !  arey Woh, woh hain ke tum chaadar taan kar shaam se kharraate lete subah laate ho. Tumhare dard ho, karb o be-chaini ho, karwatein badal rahe ho, Maa, Baap, bhai, beta, bibi, aqraba, dost, aashna do chaar raatein kuch jaagein, soye, aakhir thak thak kar ja padein. aur jo na uthe woh baithe baithe oongh rahe hain, neend ke jhonke aa rahe hain. Aur Woh Pyara be-gunaah, be-khata hai ke Tumhare liye raaton ko jaaga kiya tum sote ho, aur woh zaar zaar ro raha hai.

Rote rote subah kardi ke RABBI UMMATI UMMATI Aye Mere RAB Meri ummat, Meri ummat.  Kya kabhi kisi ke Baap, Ustad, Peer, Aaqa, Haakim, Baadshah ne
bete, shagird, mureed, gulaam, naukar, raeeyat ka aisa khayaal kiya?
Aisa dard rakha hai?     Hasha Lillaah ! Arey haan, haan dard, beemaari, marz ya museebat mein Maa Baap ki muhabbat kya jaanchna? Ke un mein na Tumhari khata na Maa Baap par jafa.

Yun aazmao ke Maa Baap beshumaar ne'maton se tumhein nawaazein aur tum ne’mat ke badle sarkashi karo, na farmaani thaano, sau sau kahein aur ek na Maano, Maa se bure, Baap se bure, raat din bure, har waqt bure. Dekho to Maa Baap kahaan tak tumhein kaleje se lagaate hain? Woh Pyara, Woh Mujassam Rehmat  Woh ne’maton waala Woh hama-tan raafat hai ke Tumhari laakh laakh na-farmaaniyaan dekhe, karod, karod gunehgaariyaan paaye, uspar bhi Tumhari muhabbat se baaz na  aaye, dil tang na ho, muhabbat tark na farmaye.
Suno woh kya farma raha hai?
Dekho tum goad mein se nikle padte ho aur Woh Farmaata hai.

"Hallumma Ilaiyya Hallumma Ilaiyya" Arey meri taraf Aao, Arey meri taraf aao, mujhe chhod kar kahan jaate ho? Dekho Woh Farmaata hai tum parwaane ki tarah aag par gire padte ho? aur Main Tumhara band kamar pakde rok raha hoon.
Kya kabhi kisi ke Baap, Ustad, Peer, Aaqa, Haakim, Baadshah ne  bete, shagird, mureed, gulaam, naukar raeeyat ka aisa khayal kiya?  Aisa dard rakha hai?

TAMHEED E IMAAN

Part    7

Astagfirullaah ! arey duniya ki saa’at teer hai, Aankh band kiye sawera hai, qayaamat bahot jald aane waali hai, jaanta hai qayaamat kya hai? 

"Jis din bhaagega aadmi apne bhai, Maa, Baap, joru, beton sabse har ek us din isi haal mein giltaan pechaan hoga ke doosre ka khayaal bhi na la sakega"  Us din jaanein ke fulaan (gustaakh-e-Rasool deobandi) ya fulaan (gustaakh-e-Rasool wahabi) tere kaam aa sakein. Hasha Lillaah, wallaahil Azeem, Us din Wohi Pyara Habeeb Sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam kaam aayega, uske siwa baaqi tamaam Ambiya wa mursaleen alaihimus Salaat wa tasleem ko to majaal-e-arz hogi Nahi.

Sab nafsi nafsi farmayenge. Phir aur kisi ki kya haqeeqat hai?   Haan Woh Pyara, be-kason ka sahara, Woh be-yaaron ka yaara, Woh shafaa’at ki aankh ka taara, Woh mehboob-e-mehshar aara, Woh Rauf wa Raheem hamara Sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aalihi Wasallam farmayega.

"Anaa Laha, Anaa laha" MAIN hoon shafa’at ke liye, MAIN hoon shafa’at ke liye, Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam phir bhi ye nazar karna hai ke sankhon ki ginti mein azdahaam, hazaaron Manzil ke faaslon par maqaam, laakhon hisaab ke liye haazir kiye gaye, meezaan-e adl laayi gayi, naama-e-aamaal pesh huwe, laakhon ko siraat par chalne le gaye.

Jo baalaaye Jahannam nasab hai, talwaar se zyada tez, aur baal se zyada baareek, aur hazaaron baras ki raah, neeche nazar karein to karoron Manzil tak ka gehraw, aur us mein woh qaher aag shola-zan jis mein se baraabar phool ud ud kar aa rahe hain. Jaante ho woh phool kaise oonche oonche mehlon ke baraabar?

TAMHEED E IMAAN

Part     8

Goya aag ke qile hain ke paye dar paye chale aate hain, laakhon pyaas se betaab hain. Pachaas hazaar baras ka din, taambe ki Zameen, saron par rakha hua aaftaab, Zabaane pyaas se baahar hain, dil ubal ubal kar gale par aa gaye hain, itna azdahaam, aur itne mukhtalif kaam, aur itne faaslon par maqaam, aur khabar geeraan sirf ek, WOH Mehboob-e Zul jalaal wal ikraam Alaihi afzalus salaato was-salaam. Abhi meezaan par aaye, aamaal tulwaaye, Hasnaat ke palle giraan karaaye, abhi siraat par khade hain, gulaam guzar rahe hain.

WOH dardnaak aawaaz se arz kar rahe hain RABBI SALLIM SALLIM, ILAAHI BACHA LE BACHA LE. Abhi hauz-e kausar par jalwa farma hain. Pyaason ko WOH sharbat-e jaan fiza pila rahe hain. Goya tane murda mein jaan-e rafta waapas laa rahe hain.

Hazrate Anas RadiyAllahu ta'ala anhu ne arz ki YA RASOOLALLAH !  HUZOOR meri shafa’at  farmayein. Farmaya MAIN karne wala hoon.  Arz ki YA RASOOLALLAH ! Us Roz main HUZOOR ko kahaan talaash karoon? Farmaya sab mein pehle siraat par.

Arz ki agar Wahan na paaun?
Faramaya Meezaan par.
Arz ki Wahan bhi na paaun?
Farmaya Hauz-e-Kausar par Ke In teenon jagah se kaheen na jaunga. Sallallahu Ta’ala Alaihi wa Aalihi wa-sahbihi wa-baarik wa-sallim. Abadan. Aameen.

TAMHEED E IMAAN

Part   9

Lillaah Insaaf:
Kya UNKE ehsaanon se Jahaan mein kisi ke ehsaan ko kuch nisbat ho sakti hai? Phir kaisa sakht kufraan hai ke jo UNKI shaan mein gustaakhi kare aur Tumhare dil mein uski waq'at ho, uski muhabbat, uska lihaaz, uska paas naam ko baaqi rahe….

ILAAHI kalma goyon (pardhne walon) ko saccha Islam ataa kar.  Sadqa Apne Habeeb-e-kareem ki wajaahat ka.

Sallallahu ta’ala Alaihi wa Aalihi wasallam. (maakhooz az ifaadaat-e-Imam-e- Ahle sunnat Maulana Ahmed Raza Khan Fazil-e-Bareilwi)

TAMHEED E IMAAN

Part    10

Musalmaan Bhaiyyon se aajizaana Dast Basta Arz:

Pyare Bhaiyyon!   ALLAH TA’ALA aap sab hazraat ko aur aapke sadqe mein is naacheez kaseerus saiyyiaat ko Deen-e-Haq par qaayam rakhe aur apne HABEEB MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ki sacchi muhabbat wa azmat de aur usi par hum sab ka khaatma kare. Aameen Ya Arhamar Raahimeen. Tumhara RAB Azz wa Jall Farmaata hai:

“Aye NABI beshak HUM ne TUMHEIN bheja gawaah aur khush-khabri deta aur dar sunaata taake aye logon ! Tum ALLAH aur USKE RASOOL par Imaan laao aur RASOOL ki taazeem wa tauqeer karo aur Subha wa Shaam ALLAH ki paaki bolo.”

TAMHEED E IMAAN

Part    11

MUSALMAANON ! Dekho Deen-e Islam bhejne, Qur’an-e Majeed utaarne ka maqsood hi Tumhara MAULA tabaarak wa ta’ala teen baatein bataata hai:

1. Awwal ye ke Log ALLAH wa RASOOL par Imaan laayein.

2. Duwam ye ke RASOOLALLAH sallallahu Alaihi Wasallam ki taazeem karein.

3. Suwam ye ke ALLAH Tabaarak wa Ta’ala ki ibaadat mein rahein.
Musalmaanon ! In teenon Jaleel baaton ki jameel tarteeb to dekho, sab mein pehle Imaan ko farmaaya aur sab mein peeche APNI Ibaadat ko aur beech mein APNE Pyare HABEEB Sallallahu Alaihi Wasallam ki taazeem ko. Is liye ke bagair Imaan taazeem kaar aamad Nahi.

Bohtere Nasaara hain ke NABI Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ki taazeem wa takreem aur HUZOOR par se daf-e-aitraazaat kaafiran-e-laeem mein tasneefein kar chuke, lecture de chuke, magar jabke Imaan na laaye kuch mufeed Nahi, ke yeh zaahiri taazeem huwi.

Dil mein HUZOOR Sallallahu Alaihi Wasallam ki sacchi azmat hoti to zaroor Imaan laate. Phir jabtak NABI kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki sacchi taazeem na ho, umr bhar ibaadat-e-Ilaahi mein guzaare sab bekaar wa mardood hai.

TAMHEED E IMAAN

Part    12

Jogi Raahib:    Bohtere jogi aur raahib tark e duniya karke apne taur par zikr wa ibaadat-e-ilaahi mein umr kaat dete hain balke un mein bohot wo hain ke LA ILAAHA ILLALLAAH ka zikr seekhte aur zarbein lagaate hain magar az  an jaa ke MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ki taazeem nahi KYA faida? Aslan qaabil-e-qabool baargaahe Ilaahi nahi,  ALLAH azz wa jall aison hi ko Farmaata hai:

“Jo kuch aamaal unhone kiye Hum ne sab barbaad kar diye.” Aison hi ko Farmaata hai: “Amal karein, mushaqqatein bharein aur badla kya hoga ye ke bhadakti aag mein jaayenge."

Wal-ayaaz billaahi ta’ala.
Musalmaanon ! Kaho MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wasallam ki taazeem madaar-e Imaan wa madaar-e-najaat wa madaar-e-qubool-e-aamaal huwi ya Nahi?  Kaho huwi aur zaroor huwi.

TAMHEED E IMAAN

Part    13

Tumhara RAB azz wa Jall Farmaata hai:  “Aye NABI ! Tum farma do ke aye logon! Agar Tumhare Baap, Tumhare bete, Tumhare bhai, Tumhari bibiyaan, Tumhara kumba, Tumhari kamaayi ke Maal aur woh saudaagari jiske nuqsaan ka tumhein andesha hai aur Tumhari pasand ke makaan, in mein koi cheez bhi agar tumko ALLAH aur ALLAH ke RASOOL sallallahu Alaihi Wasallam aur Uski raah mein koshish karne se zyada mehboob hai to intezaar rakho Yahan tak ALLAH apna azaab utaare aur ALLAH ta’ala be-hukmon ko raah Nahi deta.”

Musalmaanon ! Gaur Karo,  Is aayat se Maaloom hua ke jise duniya Jahaan mein muazziz, koi azeez, koi Maal, koi cheez ALLAH wa RASOOL se zyada mehoob ho woh baargah-e-Ilaahi se mardood hai. ALLAH usey Apni taraf raah Na dega. Usey azaab-e Ilaahi ke Intezaar mein rehna chaahiye. Wal-Ayaaz billaahi Ta’ala.

TAMHEED E IMAAN

Part    14

Tumhare Pyare NABI sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam farmate hain:
“Tum mein koi Musalmaan na hoga jab tak MAIN usey uske Maa, Baap, aulaad aur sab aadmiyon se zyada pyara na houn.

Sallallahu Alaihi Wasallam.  Ye Hadees Saheeh Bukhari wa saheeh muslim mein Anas bin Maalik Ansari Radiyallahu ta’ala Anhu se hai.

Is ne to ye baat saaf farma di ke jo HUZOOR E AQDAS sallallahu Alaihi Wasallam se zyada kisi ko azeez rakhe, hargiz Musalmaan Nahi.

Musalmaanon ! Kaho MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ko tamaam Jahaan se zyada mehboob rakhna madaar-e-Imaan wa madaar-e-najaat huwa ya Nahi?
Kaho huwa aur zaroor huwa.

TAMHEED E IMAAN

Part    15

Yahan tak to saare kalma go khushi khushi qabool kar lenge ke haan Hamare dil mein MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi Wasallam ki azeem azmat hai. Haan haan Maa Baap, aulaad saare Jahaan se zyada hamein HUZOOR ki muhabbat hai.  Bhaiyyon! KHUDA aisa hi kare magar zara kaan laga kar apne RAB ka Irshaad suno:   Tumhara RAB azz wa Jall Farmaata hai:

"Kya log is ghamand mein hain ke itna keh lene par chhod diye jayenge ke hum Imaan laaye aur unki aazmaish na hogi.” Ye aayat Musalmaanon ko hoshiyaar kar rahi hai ke dekho kalma goi aur Zabaani iddiaa e Musalmaani par Tumhara chutkaara na hoga. Haan Haan sunte ho!

Aazmaaye jaaoge, aazmaaish mein poore nikle to Musalmaan thehroge.  Har shaye ki aazmaaish mein yahi dekha jaata hai ke jo baatein uske haqeeqi wa waaqai hone ko darkaar hain woh usmein hain ya Nahi?

TAMHEED E IMAAN

Part    16

Abhi Qur'an o Hadees irshaad farma chuke hain ke Imaan ke haqeeqi wa waaqai hone ko do baatein zaroor hain MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi Wasallam ki Taazeem aur MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi Wasallam ki Mohabbat ko tamaam Jahaan par taqdeem. 

To iski aazmaaish ka yeh sareeh tareeqa hai ke tumko jin logon se kaisi hi taazeem, kitni hi aqeedat, kitni hi dosti, kaisi hi Muhabbat ka ilaaqa ho Jaise Tumhare Baap, Tumhare Ustad, Tumhare Peer, Tumhari aulaad, Tumhare bhai, Tumhare ehbaab, Tumhare Bade, Tumhare As-haab, Tumhare Maulvi, Tumhare Haafiz, Tumhare Mufti, Tumhare waiz, wagairah wagairah kase baashad. Jab woh MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ki shaan mein gustaakhi karein aslan tumhare qalb mein unki azmat, unki muhabbat ka naam o Nishaan rahe, fauran unse alag ho jao.

Unko doodh se makkhi ki tarah nikaal kar phenk do, unki soorat, unke naam se nafrat khao. Phir na tum apne rishte ilaaqe dosti ulfat ka paas karo na uski maulviyat, mashikhat, buzurgi, Fazeelat ko khatre mein lao, ke aakhir yeh jo kuch tha MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam hi ki gulaami ki bina par tha. Jab yeh shakhs UNHI ki shaan mein gustaakh huwa phir hamein is se kya ilaaqa raha? Iske jubbe amaame par kya jaayein, kya bohtere yahoodi jubbe Nahi pahente?

Amaame Nahi baandhte? Iske naam wa Ilm, zaahiri fazl ko lekar kya karein? Kya bohtere paadri ba-kasrat falsafi, bade bade uloom o funoon nahi jaante? Aur agar ye nahi balke MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ke muqaabil tumne iski baat banaani chaahi (iski taraf se wakaalat ki) usne HUZOOR se gustaakhi ki aur tumne us se dosti nibhaayi ya usey har bure se bad-tar bura na jaana ya usey bura kehne par bura Maana ya isi qadar ke tumne is amr ( kaam ) mein be-parwaahi manaayi ya Tumhare dil mein iski taraf se sakht nafrat na aayi to Lillaah ab Tumhi insaaf karlo ke tum Imaan ke imtehaan mein kahaan pass huwe.  Qur’an o Hadees ne jis par husool-e-Imaan ka madaar rakha tha us se kitni door nikal gaye.

TAMHEED E IMAAN

Part     17

Musalmaanon ! Kya jis ke dil me MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ki taazeem hogi woh UNKE badgoh (gustaakh) ki wuq’at kar sakega?

Agarche uska Peer ya Ustaad ya Pidar hi kyun na ho, kya jise MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam tamaam Jahaan se zyada pyare hon wo UNKE gustaakh se fauran sakht shadeed nafrat na karega? Agarche uska dost ya Biraadar ya pisar hi kyun na ho. LILLAAH apne haal par rahem karo aur apne RAB ki baat suno.

Dekho woh kyun kar tumhein APNI Rehmat ki taraf bulaata hai. Dekho: Tumhara RAB azz wa Jall Farmaata hai ; “Tu na paayega unhein jo Imaan laate hain ALLAH aur Qayamat par ke unke dil mein aison ki muhabbat aane paaye jinhone KHUDA wa RASOOL sallallahu Alaihi Wasallam se Mukhaalifat ki, chaahe woh unke Baap ya bete ya bhai ya azeez hi kyun na hon.

Ye hain woh log jinke dilon mein ALLAH ne Imaan Naqsh kar diya aur APNI taraf ki Rooh se unki madad farmaayi aur unhein baagon mein le Jaayega jinke neeche nehrein beh rahi hain. Hamesha rahenge un mein, ALLAH un se Raazi aur woh ALLAH se raazi, yahi log ALLAH wale hain Sunta hai, ALLAH waale hi muraad ko pahonche.”

TAMHEED E IMAAN

Part    18

Is aayate Karima mein saaf farma diya ke jo ALLAH ya RASOOL ki janaab mein gustaakhi kare Musalmaan us se dosti na karega jiska sareeh ye mafaad huwa ke jo us se dosti kare woh Musalmaan na hoga phir is hukm ka qat’an aam hona bit-tasreeh irshaad farmaya ke Baap, bete, bhai, azeez sabko ginaaya yaani koi kaisa hi Tumhare zu’am mein moazzam ya kaisa hi tumhein bit-taba’a mehboob ho Imaan hai to gustaakhi ke baad us se Muhabbat Nahi rakh sakte. Uski wuq’at Nahi Maan sakte, warna Musalmaan na rahoge.

MAULA Subha-nahu Wa ta’ala ka itna farmana hi Musalmaan ke liye bas tha magar dekho woh tumhein APNI Rehmat ki taraf bulaata, APNI azeem ne'maton ka Laalach dilaata hai ke agar ALLAH wa RASOOL ki azmat ke aage tum ne kisi (gustaakh) ka paas na kiya kisi se ilaaqa na rakha to tumhein kya kya faaide haasil honge. Saat Daulatein:

1. ALLAH TA’ALA Tumhare Dilon mein Imaan naqsh kar dega jis mein IN SHA ALLAH TA'ALA husn-e khaatma ki bashaarat-e-jaleela hai ke ALLAH ka likha Nahi mit-ta.

2. ALLAH TA’ALA Roohul Quds se Tumhari madad farmayega.

3. Tumhein hameshgi ki jannaton mein le Jaayega jinke neeche nehrein rawaañ hain.

4. Tum KHUDA ke giroh kehlaoge, KHUDA waale ho jaoge.

5. Munh Maangi muraadein paoge balke ummeed o khayaal o gumaan se karoron darje afzoon.

6. Sabse zyada ye ke ALLAH tumse Raazi hoga.

7. Ye ke Farmaata hai MAIN tum se Raazi, tum MUJH se raazi. Bande ke liye is se zaaid aur kya ne’mat hoti ke uska RAB us se Raazi ho magar Intehaay-e banda nawaazi ye ke farmaya ALLAH unse Raazi aur woh ALLAH se Raazi.

TAMHEED E IMAAN

Part     19

Musalmaanon ! KHUDA lagti kehna agar aadmi karod jaanein rakhta ho aur woh sab ke sab in (mundarja baala) azeem daulaton par nisaar kar de to Wallaah phir bhi mundarja baala daulatein muft paayein, phir zaid wa umro (gustaakh-e-Rasool) se Ilaaqa-e-taazeem wa muhabbat yak-lakht qata' kar dena kitni badi baat hai?

Jis par ALLAH TA'ALA in be-baha ne'maton ka waada farma raha hai, aur US ka waada yaqeenan saccha hai.
Quraan-e-Kareem ki aadat-e-kareema hai ke jo hukm Farmaata hai Jaisa ke Uske Maanne walon ko Apni ne’maton ki bashaarat deta hai, na Maanne waalon par Apne azaabon ka taazyana bhi rakhta hai ke jo past himmat ne'maton ki Laalach mein na aayein sazaon ke dar se raah paayein, woh azaab bhi sun lijiye :

Contd....

TAMHEED E IMAAN

Part   20

Tumhara RAB azz wa jall farmata hai:
"Aye Imaan walon ! Apne Baap apne bhaiyyon ko dost na banao agar woh Imaan par Kufr pasand karein aur tum mein jo unse rafaaqat karein wohi log sitamgaar Hain.”

 Aur Farmaata Hai: “Aye Imaan waalon ! Mere aur apne dushmanon ko dost na banao. Tum chhup kar unse dosti karte ho aur MAIN Khoob jaanta hoon jo tum chhupaate aur jo zaahir karte ho aur tum mein jo aisa karega wo zaroor Seedhi raah se behka. Tumhare Rishte aur Tumhare bacchhe tumhein kuch nafa na denge, Qayaamat ke din tum mein aur Tumhare pyaaron mein judaayi daal dega ke tum mein ek doosre ke kuch kaam na aa sakega aur ALLAH Tumhare aamaal ko dekh raha hai.”

Aur Farmaata hai: “Jo tum mein unse dosti karega to beshak woh unhi mein se hai. Beshak ALLAH Hidaayat Nahi karta Zaalimon ko.” Pehli do Aayaton mein to unse dosti karne walon ko zaalim wa gumraah hi farmaya tha. Is aayat-e-kareema ne bilkul tasfiya farma diya ke jo unse dosti rakhe woh bhi unhi mein se hai.

Unhi ki tarah kaafir hai, Unke sath ek rassi mein baandha Jaayega aur woh koda bhi yaad rakhiye ke Tum chhup chhup kar unse mel rakhte ho aur MAIN Tumhare chhupe zaahir sab ko Khoob jaanta hoon.

Ab woh rassi bhi sun lijiye jis mein RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ki Shaan-e Aqdas mein gustaakhi karne waale baandhe jaayenge. Wal- Ayaaz billaahi ta’ala.

TAMHEED E IMAAN

Part    21

Tumahra RAB Azz wa Jall Farmaata hai:
 “Woh jo RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ko izaa dete hain unke liye dard-naak azaab hai.”    Aur Farmaata hai:

“Beshak jo log ALLAH wa RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ko izaa dete hain un par ALLAH ki Laanat hai Duniya wa aakhirat mein, aur ALLAH ne unke liye zillat ka azaab taiyyaar kar rakha hai.”

7 Kodey : ALLAH azz wa Jall Izaa se paak hai, usey kaun izaa de sakta hai magar HABEEB sallallahu Alaihi wa aalihi Wasallam ki shaan mein gustaakhi ko Apni izaa farmaya. In aayaton se us shakhs par jo RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ke gustaakhon se muhabbat ka bartao kare saat kode saabit hue.

1. Wo zaalim hai.
2. Gumraah hai.
3. Kaafir hai.
4. Uske liye dardnaak azaab hai.
5. Wo aakhirat mein zaleel o khwaar hoga.
6. Usne ALLAH Waahid e Qahhaar ko izaa di.
7. Uspar dono Jahaan mein KHUDA ki laanat hai. Wal ayaaz billaahi ta’ala.

TAMHEED E IMAAN

Part      22

LILLAAH INSAAF:
Aye Musalmaan! Aye Musalmaan!
Aye ummati Saiyadul ins wal jaan sallallahu Alaihi wa aalihi Wasallam. Khudara zaraa insaaf kar.

Woh saat behtar hain jo un logon se yak lakht tark-e-ilaaqa kar dene par milte hain ke dil mein Imaan jam jaaye. ALLAH madadgaar ho, Jannat maqaam ho, ALLAH waalon mein shumaar ho, Muraadein milein, KHUDA tujh se raazi ho, tu KHUDA se raazi ho,

ya ye saat bhale hain?     Jo unlogon se ta’alluq laga rehne par padenge ke zaalim, gumraah, kaafir, Jahannami ho, aakhirat mein khwaar ho, KHUDA ko izaa de, KHUDA dono Jahaan mein laanat kare.  Haihaat ! Haihaat !  kaun keh sakta hai ke ye saat acche hain, Kaun keh sakta hai ke woh saat chhodne ke hain?

Magar jaan-e-Biraadar! Khaali ye keh dena to kaam Nahi deta.  Wahan to imtehaan ki thehri hai.

TAMHEED E IMAAN

Part      23

Abhi aayat sun chuke,  Kya is bhulaawe mein ho ke bas zabaan se keh kar chhoot jaoge, imtehaan na hoga?   HAAN YEHI IMTEHAAN KA WAQT HAI.

Dekho ye ALLAH Waahid-e-Qahhaar ki taraf se Tumhari jaanch hai.  Dekho Woh farma raha hai ke tumhare rishte Ilaaqe qayaamat mein kaam na aayenge.

Mujhse todkar kisse jodte ho. Dekho Woh farma raha hai ke MAIN gaafil Nahi, MAIN be-khabar Nahi, Tumhare aamaal dekh raha hoon, Tumhare aqwaal sun raha hoon, Tumhare dilon ki haalat se khabar-daar hoon.  Dekho, be-parwaahi na karo, paraaye peeche apni aaqibat na bigaado,  ALLAH wa RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ke muqaabil zid se kaam na lo.

Dekho WOH tumhe APNE sakht azaab se daraata hai. USKE azaab se kahin panaah Nahi. Dekho WOH tumhein APNI rehmat ki taraf bulaata hai.   Be USKI rehmat ke kahin panaah Nahi. Dekho aur gunaah to nire gunaah hote hain jinpar azaab ka istehqaaq ho magar Imaan Nahi jaata.

Azaab ho kar khwaah RAB ki Rehmat, HABEEB ki shafa’at se be-azaab hi chhutkara paaye aur jannat mein jaaye, Aisa ho sakta hai magar yeh MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ki taazeem ka maqaam hai. UNKI azmat UNKI muhabbat madaar-e Imaan hai.

TAMHEED E IMAAN

Part     24

Qur’an-e-Majeed ki aayatein sun chuke ke jo is muaamle mein kami kare uspar dono Jahaan mein KHUDA ki laanat hai. Dekho jab Imaan gaya phir aslan abadal aabaad tak kabhi kisi tarah hargiz aslan azaab-e-shadeed se rihaayi na hogi.

Gustaakhi karne waale jinka tum Yahaan kuch paas lihaaz karo Wahan apni bhugat rahe honge.  Tumhein bachaane na aayenge aur aayein to kya kar sakte hain?   Phir aison ka lihaaz karke apni jaan ko hamesha hamesha gazab-e-Jabbaar wa azaab-e-naar mein phansa dena kya aql ki baat hai?

LILLAAH LILLAAH zara der ko ALLAH wa RASOOL sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ke siwa sab een o aan se nazar utha kar aankhein band karo aur gardan jhuka kar apne aap ko ALLAH waahid-e-Qahhaar ke saamne haazir samjho aur nire khaalis sacche islami dil ke saath MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ki azeem azmat, buland izzat, rafee wajaahat jo UNKE RAB ne UNHEIN bakhshi aur UNKI taazeem, UNKI tauqeer par Imaan wa Islam ki bina rakhi, usey dil me jamaa kar insaaf o Imaan se kaho kya jisne kaha (Baraheen-e-Qatiaa safa 55 mein) ke Shaitaan ko ye wus’at-e-nas (Quran ki daleel) se saabit huwi.  Fakhre Aalam ki wus’at-e-ilm ki kaunsi nass-e-qatai hai?

Usne kya MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ki shaan mein gustaakhi na ki?

Kya usne Iblees-e- layeen ke Ilm ko RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ke Ilm-e-Aqdas par na badhaaya?

Kya woh RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ki wus’at-e-Ilm se kaafir ho kar shaitaan ki wus’at-e-Ilm par Imaan na laaya?

TAMHEED E IMAAN

Part     25

MUSALMAANON ! Khud isi gustaakh se itna hi keh dekho ke tu Ilm mein Shaitaan ke humsar.   Dekho! To woh bura Maanta hai ya Nahi.  Haalaan ke usey to Ilm mein Shaitaan se kam bhi na kaha balke Shaitaan ke baraabar hi bataaya, phir kam kehna kya tauheen na hogi?

Aur agar woh apni baat paalne ko (baat ki pach ki khaatir) is par naagawaari zaahir na kare, agarche dil mein qat’an naagawaar maanega to usey chhodiye aur kisi muazzam se keh dijiye aur poora hi imtehaan maqsood ho to kya kachehri mein ja kar aap kisi haakim ko inhi lafzon se taabeer kar sakte hain?

Dekhiye! abhi abhi khula jaata hai ke tauheen huwi aur beshak huwi,  Phir kya RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ki tauheen karna kufr Nahi?  Zaroor hai aur bil-yaqeen hai.

TAMHEED E IMAAN

Part    26

WAHABIYA KE NAZDEEK SHAITAAN KHUDA KA SHAREEK:

(Baraheen-e-Qatiaa mein) Jis ne shaitaan ki wus’at-e-Ilm ko nass se saabit Maan kar HUZOOR E AQDAS sallallahu Alaihi wa aalihi Wasallam ke liye wus’ate ilm Maanne wale ko kaha tamaam nusoos ko radd karke ek shirk saabit karta hai, aur kaha shirk nahi to kaunsa Imaan ka hissa hai?

Us ne Iblees-e-Laeen ko KHUDA ka shareek Maana ya Nahin?  Zaroor Maana, ke jo baat makhlooq mein ek ke liye saabit karna shirk hogi woh jis kisi ke liye saabit ki jaaye qat’an shirk hi rahegi ke KHUDA ka shareek koi Nahi ho sakta.

Jab RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ke liye yeh wus’at-e Ilm Maanni shirk thehraayi jis mein koi hissa Imaan ka Nahi to zaroor itni wus’at KHUDA ki woh khaas sifat huwi jisko Khudaayi laazim hai.

Jab to NABI ke liye iska Maanne waala kaafir mushrik hua aur usne wohi wus’at, wohi sifat khud apne munh iblees ke liye saabit maani to saaf saaf Shaitaan ko KHUDA ka shareek thehra diya.

TAMHEED E IMAAN

Part      27

Musalmaanon ! Kya yeh ALLAH azza wa jall aur Uske RASOOL sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam dono ki tauheen na huwi?  Zaroor huwi.  ALLAH ki tauheen to zaahir hai ke uska shareek banaaya aur woh bhi kise? Iblees-e-Laeen ko !

Aur RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ki tauheen yoon ke Iblees ka martaba itna badha diya ke woh to KHUDA ki khaas sifat mein hissedaar hai aur HUZOOR us se aise mehroom ke UNKE liye saabit Maano to Mushrik ho jao.  Musalmaanon ! Kya KHUDA wa RASOOL ki tauheen karne waala kaafir Nahi?  Zaroor hai .

kya jis (Hifzul Imaan mein safa 8 musannif Ashraf Ali Thanvi deo-bandi) ne kaha ke baaz uloom-e-Gaibia muraad hain to is mein HUZOOR (Sallallahu Alaihi wa aalihi Wasallam) ki kya takhsees hai aisa ilm-e-Gaib to zaid- o-amr balke har sabee wa majnoon balke Jamee haiwaanaat wa bahaaem ke liye bhi haasil hai.

Kya usne MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ko sareeh gaali na di?  Kya NABI -e-Kareem sallallahu Alaihi wa aalihi Wasallam ko itna hi ilm-e-Gaib diya gaya tha jitna har paagal aur har chaupaaye ko haasil hai.?

MA'AZALLAH.

TAMHEED E IMAAN

Part       28

Musalmaan ! Musalmaan !
Aye MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ke Ummati ! tujhe apne deen o Imaan ka waasta, kya is naapaak, mal'oon gaali ke sareeh gaali hone mein tujhe kuch shubah guzar sakta hai?

MA'AZALLAH ke MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ki azmat tere dil se aisi nikal gayi ho ke is shadeed gaali mein bhi INKI tauheen na jaane.

Aur agar ab bhi tujhe aitbaar na aaye to inhi gustaakhon se pooch dekh!
ke aaya tumhe aur tumhare ustaadon, peerjiyon ko keh sakte hain ke aye fulaan ! tujhe itna hi ilm hai jitna suwwar ko hai, tere ustaadon ko aisa hi ilm tha jaise kutte ko hai, tere peer ko isi qadr ilm tha jis qadr gadhe ko hai, ya mukhtasar taur par itna hi ho ke O! ilm mein ullu, gadhe, kutte, suwwar ke humsaron !    Dekho to woh is mein apni aur apne ustaad, peer ki tauheen samajhte hain ya nahi?

Qat’an samjhenge aur qaabu paayein to sar ho jaayein, phir kya sabab hai ke jo kalma in ke haq mein tauheen wa kasr-e shaan ho, MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ki tauheen na ho?    Kya MA'AZALLAH UNKI azmat in se bhi gayi guzri hai?     Kya isi ka naam Imaan hai?

TAMHEED E IMAAN

Part     29

HASHA LILLAAH ! HASHA LILLAAH !
Kya jis (Hifzul Imaan Safa 8 Ashraf Ali Thanvi) ne kaha kyun ke har shakhs ko kisi na kisi aisi baat ka ilm hota hai jo doosre shakhs se makhfi hai to chaahiye ke sab ko Aalimul Gaib kaha jaaye, phir agar zaid iska iltezaam karle ke haan main sab ko Aalimul Gaib kahunga to phir ilm-e-Gaib ko minjumlah kamaalaat-e-Nabawiya shumaar kyun kiya jaata hai.
Jis amr mein Momin balke Insaan ki bhi khusoosiyat na ho woh kamaalaat-e-Nabuwat se kab ho sakta hai?

Aur agar iltezaam na kiya jaaye to NABI gair e Nabi mein wajah-e-farq bayaan karna zaroor hai,

Inteha, kya RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam aur jaanwaron, paagalon mein farq na jaanne waala HUZOOR ko gaali nahi deta?

Kya usne ALLAH azz wa Jall ke kalaam ka sarahatan radd o abtaal na kar diya?
Dekho: Tumhara Rab Azz wa Jall Farmaata hai:

"Aye NABI ! ALLAH ne Tum ko sikhaaya jo Tum na jaante the aur ALLAH ka fazl Tum par badaa hai.”

Yahan na-maloom baaton ka Ilm ataa farmane ko ALLAH azz wa Jall ne APNE HABEEB sallallahu Alaihi wa Aalihi Wasallam ke kamaalaat o madaaih mein shumaar farmaya aur Farmaata hai:

TAMHEED E IMAAN

Part      30

Aur farmata hai:    "Beshak Yaqoob hamare sikhaaye se ilm waala hai"

( para 13, surah Yusuf, ruku 2)

Aur Farmaata hai:     "Malaika ne Ibrahim Alaihis salaatu wat-tasleem ko ek ilm waale ladke    Is-haaque alaihis salaatu was-salaam ki bashaarat di."

(para 26, surah Zaariyaat, ruku 19)
Aur Farmaata hai:

"HUM ne Khizr ko APNE paas se ek Ilm sikhaaya."

(para 15, surah Al kahaf, ruku 20)

Wagairah aayaat, jin mein ALLAH TA'ALA ne Ilm ko kamaalaat-e-Ambiya Alaihi-mus salaatu was-salaam was-sanaa mein gina.    Ashraf Ali Thaanvi ki kufriya Ibaarat ka anjaam:     Ab zaid ki jagah ALLAH azz wa Jall ka naam-e-paak lijiye aur ilm-e-Gaib ki jagah mutlaq ilm, jiska har chaupaaye ko milna aur bhi zaahir hai aur dekhiye ke us ‘gustaakh-e-Mustafa’ Sallallahu Alaihi Wasallam ki taqreer kis tarah kalaamullaah Azz wa Jall ka radd kar rahi hai.
Q  Yaani yeh ‘gustaakh’ KHUDA ke muqaabil khada hokar keh raha hai ke AAP (yani NABI sallallahu ta’ala Alaihi wa aalihi Wasallam aur deegar Ambiya Alaihimus salaatu was-salaam) ki zaat-e-muqaddasa par Ilm ka itlaaq kiya jaana agar baqaul-e-Khuda sahih ho to daryaaft talab yeh amr hai ke is ilm se muraad baaz ilm ya qul uloom, Agar baaz uloom muraad hain to is mein HUZOOR aur deegar AMBIYA ki kya takhsees hai, Aisa ilm to zaid o umro balke har sabee wa majnoon balke jamee haiwaanaat wa bahayem ke liye bhi haasil hai kyunke har shakhs ko kisi na kisi baat ka ilm hota hai to chaahiye ke sab ko aalim kaha jaaye, phir agar KHUDA iska iltezaam kare ke haan main sab ko aalim kahoonga to phir ilm ko mun-jumla kamaalaat-e-Nabawiya shumaar kyun kiya jaata hai?

Jis amr mein momin balke insaan ki bhi khusoosiyat na ho woh kamaalaat-e-Nabuwat se kab ho sakta hai aur agar iltezaam na kiya jaaye to NABI aur gair e Nabi mein wajah-e-farq bayaan karna laazim hai, Aur agar tamaam uloom muraad hain, is tarah ke iski ek fard bhi khaarij na rahe to iska butlaan e daleel naqli wa aqli se saabit hai.

INTEHA.   Hifzul Imaan ki mukammal ibaarat uske apne haq mein:

Pas saabit huwa ke KHUDA ke woh sab aqwaal iski isi daleel se baatil hain. Musalmaanon! dekha ke is badgoh (gustaakh) ne faqat MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa aalihi Wasallam hi ko gaali na di balke UNKE  RAB jall o alaa ke kalaamon ko bhi baatil wa mardood kar diya.

TAMHEED E IMAAN

Part    31

Musalmaanon ! Jiski jurrat yahan tak pohonchi ke RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa aalihi Wasallam ke ilm-e- Gaib ko paagalon aur jaanwaron ke ilm se mila de aur Imaan o Islam o insaaniyat sab se aankhein band karke saaf keh de ke NABI aur jaanwar mein kya farq hai, Is se kya ta'ajjub ke KHUDA ke kalaamon ko radd kare, baatil bataaye, pas-e-pusht daale, zer-e-paa male balke jo yeh sab kuch kalaamullaah ke saath kar chuka wohi RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa aalihi Wasallam ke saath is gaali par jurrat kar sakega.   Jo kalma apne Ulema ke waaste tauheen ka wohi kalma NABI ke liye tauheen ka kyun nahi?

Magar haan is se daryaaft karo ke aap ki yeh taqreer khud aap aur aap ke asaatezah mein jaari hai ya nahi?
Agar nahi to kyun?

Aur agar hai to kya jawaab?
Haan un ‘gustaakhon’ se kaho!
Kya aap hazraat apni taqreer ke taur par jo aap ne MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa aalihi Wasallam ki shaan mein jaari ki, khud apne aap se is daryaaft ki ijaazat de sakte hain ke aap saahibon ko aalim faazil maulvi mulla chunee chunaan fulaan fulaan kyun kaha jaata hai?

Aur haiwaanaat o bahayem maslan kutte suwwar ko koi in alfaaz se taabeer nahi karta?

In manaasib ke ba’as aap ke atbaa wa aznaab aap ki taazeem takreem tauqeer kyun karte, dast o pa par bosa kyun detey hain?

Aur jaanwaron maslan ullu, gadhe ke saath koi yeh bartau nahi baratta?
Is ki wajah kya hai?

TAMHEED E IMAAN

Part     32

Baaz ilm:

Qul ilm to qatan aap saahibon ko bhi nahin aur baaz mein aap ki kya takhsees?
Aisa ilm to ullu, gadhe, kutte, suwwar sab ko haasil hai to chaahiye ke in sab ko aalim o faazil o chunee wa chunaa kaha jaaye. Phir agar aap is ka iltezaam karein ke haan hum sab ko ulema kahenge to phir ilm ko aap ke kamaalaat mein kyun shumaar kiya jaata hai. Jis amr mein momin balke insaan ki bhi khusoosiyat na ho, gadhe, kutte, suwwar sab ko haasil ho. Woh aap ke kamaalaat se kyun hua? Aur agar iltezaam na kiya jaaye to aap hi ke bayaan se aap mein aur gadhe, kutte, suwwar mein wajah-e-farq bayaan karna zaroor hai.

Faqat Musalmaanon! Yoon daryaaft karte hi bi-aunihi ta’ala saaf khul jaayega ke un ‘gustaakhon’ ne MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Alaihi wa aalihi Wasallam ko kaisi sareeh shadeed gaali di aur UN (Huzoor) ke RAB azza wa Jalla Qur’an Majeed ko ja baja kaisa rad wa baatil kar diya. Musalmaanon! Khaas is badgoh aur is ke saathiyon se poocho, in par khud unke iqraar se Qur’an-e-Azeem ki yeh aayaat chaspaan huwi ya nahi: Tumhara RAB azza wa Jalla Farmaata hai:

"Aur beshak zaroor HUM ne Jahannam ke liye phaila rakhe hain, bahot se jin aur aadmi un ke wo dil hain jin se Haq ko nahi samajhte aur woh aankhein jin se Haq ka raasta nahi soojhte aur woh kaan jin se haq baat nahi sunte, woh chaupaaiyon ki tarah hain balke unse bhi badh kar behke huwe wohi log gaflat mein pade hain.”

(para 9, surah Airaaf, ruku 12)

TAMHEED E IMAAN

Part     33

YEH AAYAT IN GUSTAAKH E RASOOL PAR CHASPAAN:

Aur Farmaata hai:

“Bhala dekh to jisne apni khwaahish ko apna Khuda bana liya to kya tu uska zimma lega ya tujhe gumaan hai ke un mein bohot se kuch sunte ya aql rakhte hain woh to nahi magar jaise chaupaaye, balke woh to unse bhi badh kar gumraah hain”.

( para 19, surah Furqaan, ruku 2)

ILM WAALE KE LIYE NUKTA:
In bad-goyon ne chaupaayon ka ilm to Ambiya alaihimus salaatu was-salaam ke ilm ke baraabar maana.
Ab in se poochiye kya tumhara ilm Ambiya ya khud HUZOOR Saiyyadul Ambiya alaihi wa alaihimus salaatu was-sanaa ke baraabar hai? zaahiran iska daawa na karenge aur agar keh bhi dein ke jab chaupaayon se baraabri kar di, Aap to do paaye hain baraabari Maante kya mushkil hai, to yunh poochiye tumhare ustaadon, peeron, mullaanon mein koi bhi aisa guzra jo tum se ilm mein zyada ho ya sab ek baraabar ho? Aakhir kahin to farq nikaalenge to unke woh ustaad wagaira to unke iqraar se ilm mein chaupaayon ke baraabar huwe aur yeh unse ilm mein kam hain, jabhi to unki shaagirdi ki aur jo ek masaavi (baraabar) se kam ho doosre se bhi zaroor kam hoga to yeh hazraat khud apni taqreer ki roo se chaupaayon se badh kar gumraah huwe aur in aayaton ke misdaaq thehre. ( yaani yeh aayat un par fit baithti hai):
"Aise hi azaab aur aakhirat ka azaab badaa hai agar log jaante."

(paara 29, ruku 3)

TAMHEED E IMAAN

Part     34

RADD E IMKAAN E KIZB E BAARI TA'ALA :

Musalmaanon! Yeh haalatein to un kalmaat ki theein jin mein Ambiya-e-kiraam wa HUZOOR Pur-noor Sayyadul Anaam alaihis salaatu was-salaam par haath saaf kiye gaye, phir un ibaaraat ka kya poochna jin mein asalatan bil-qasad ( iraada karte hue yaani jaan boojh kar ) RABBUL IZZAT azza jalaaluhu ki izzat par hamla kiya gaya ho.

Khudaara Insaaf !   Kya jisne kaha ke
“Maine kab kaha hai ke main waqu-e-kizb-e-baari ka qaayel nahi hoon?” Yaani woh shakhs iska qaayel hai ke KHUDA bil-fail jhoota hai, jhoot bola, jhoot bolta hai.

Iski nisbat yeh fatwa denewala ke “agarche usne taaweel-e-aayaat mein khata ki magar taaham isko kaafir ya bid’ati zaal ( gumraah ) kehna nahi chaahiye.”

Jisne kaha ke usko koi sakht kalma nahi kehna chaahiye, jisne kaha ke is mein takfeer Ulema-e-salf ( buzurg) ki laazim aati hai. Hanafi Shaafa’ee par taan o tazleel nahi kar sakta, yaani KHUDA ko MA'AZALLAH  jhoota kehna bohot se Ulema-e-salf ka bhi mazhab tha.
Yeh ikhtelaaf Hanafi Shafa'ee ka sa hai. Kisi ne haath naaf se upar baandhe, kisi ne neeche.”

Aisa hi isey bhi samjho ke kisi ne KHUDA ko sachcha kaha, kisi ne jhoota, lihaaza aise ko tazleel o tafseeq (gumraah wa faasiq qaraar dena)  se maamoon karna chaahiye, yaani jo KHUDA ko jhoota kahe usey gumraah kya, Maa’nan gunehgaar bhi na kaho. Kya jisne yeh sab to us mukazzib e Khuda ( khuda ko jhoota bataanewala) ki nisbat bataaya aur yahin khud apni taraf se ba-wasf is be-ma’na iqraar ki ke qudrat alal-kizb ma’a imtena’ al-waqoe mas’ala-e-ittefaqiya hai. Saaf sareeh keh diya ke “waqoo e kizb ke ma’na durust hogaye.” Yaani yeh baat theek ho gayi ke KHUDA se kizb ( jhoot) waaqe huwa. Kya yeh shakhs Musalmaan reh sakta hai?

Kya jo aise ko Musalmaan samjhe khud Musalmaan ho sakta hai? Musalmaanon ! Khudaara insaaf, Imaan naam kaahe ka tha?

Tasdeeq-e-Ilaahi ka, tasdeeq ka sareeh mukhaalif kya hai?

Takzeeb ( jhoot) , Takzeeb ke kya maa’na hain? Kisi ki taraf kizb (jhoot) mansoob karna Jab sarahatan KHUDA ko kaazib (jhoota) keh kar bhi Imaan baaqi rahe to KHUDA jaane Imaan kis jaanwar ka naam hai?

KHUDA jaane Majoos wa Hunood wa Nasaara wa Yahood kyun kaafir huwe? Unme to koi saaf saaf apne ma’bood ko jhoota bhi nahi bataata.

Haan ma’abood-e-barhaq ki baaton ko yunh nahi Maante ke unhein uski baatein hi nahi jaante ya tasleem nahi karte, aisa to duniya ke parde par koi kaafir sa kaafir bhi shayad na nikle ke KHUDA ko KHUDA maanta, uske kalaam ko uska kalaam jaanta aur phir be-dhadak kehta ho ke usne jhoot kaha, is se waqoo-e-kizb ke maa’na durust hogaye.

Garz koi zi-insaaf (insaaf karnewala) shak nahi kar sakta ke un tamaam bad goyon (gustaakhon) ne munh bhar kar ALLAH wa RASOOL ko gaaliyan di hain. Ab yehi waqt imtihaan-e-Ilaahi hai, Waahid-e-Qahhaar Jabbaar azza jalaa-luhu se daro aur woh aayatein ke upar guzrein, pesh-e-nazar rakh kar amal karo. Aap tumhara Imaan, tumhaare dilon mein tamaam gustaakhon se nafrat bhar dega. Hargiz ALLAH wa RASOOLALLAH jall-wa-alaa wa sallallahu alaihi wasallam ke muqaabil unki himaayat na karne dega, tumko unse ghin aayegi na ke unki pach karo, ALLAH wa RASOOL ke muqaabil unki gaaliyon mein mohmal ( bekaar) wa be-huda taaweelein (jhoota bahaana) gadho.

Lillaah insaaf !

TAMHEED E IMAAN

Part   35 

MAA BAAP KI MOHABBAT SE HUZOOR KI MOHABBAT KA MUQAABLA :

LILLAAH INSAAF !
Agar koi shakhs tumhare Maa, Baap, Ustaad, Peer ko gaaliyaan de aur na sirf zabaani balke likh likh kar chhaape, shaaye kare. Kya tum uska saath doge? Ya uski baat banaane ko taaweelein gadhoge?

Ya uske bakne se be-parwaahi karke us se ba-dastoor saaf rahoge?
Nahi Nahi ! Agar tum mein insaani gairat, insaani hamiyat, ( josh) Maa Baap ki izzat, hurmat, azmat, muhabbat ka naam o nishaan bhi laga reh gaya hai to us gustaakh galyar ( gaali denewaala) ki soorat se nafrat karoge, uske saaye se door bhaagoge, uska naam sunkar gaiz ( gussa) laoge aur jo uske liye banaawatein gadhe, uske bhi dushman ho jaoge. Phir KHUDA ke liye Maa Baap ko ek palle mein rakho aur ALLAH Waahid e qahhaar wa MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu ta’ala alaihi wa Aalihi  wasallam ki izzat o azmat par Imaan ko doosre palle mein, agar Musalmaan ho to Maa Baap ki izzat ko ALLAH wa RASOOL ki izzat se kuch nisbat na Maanoge, Maa Baap ki mohabbat wa himaayat ko ALLAH wa RASOOL ki mohabbat wa khidmat ke aage na-cheez jaanoge to waajib waajib waajib, laakh laakh waajib se badh kar waajib ke unke badgoh se woh nafrat wa doori wa gaiz wa judaayi ho ke Maa Baap ke dushnaam dahinda (gaali denewaala) ke saath us ka hazaarwaan hissa na ho.
Yeh hain woh log jin ke liye un saat ne’maton ki bashaarat hai.

Musalmaanon!   tumhara yeh zaleel khair khwaah ummeed karta hai ke ALLAH Waahid e Qahhaar ki un aayaat aur us bayaan shaafi waazeh-ul-bayyanaat (yaani saaf saaf daleelon) ke baad is baare mein aap se zyada arz ki haajat na ho. Tumhare Imaan khud hi un bad-goyon (gustaakhon) se wohi paak Mubaarak alfaaz bol uthenge, jo tumhaare RAB azza-wa-jalla ne Qur’an-e-Azeem mein tumhaare sikhaane ko Qaum-e-Ibraahim alaihis salaato wat-tasleem se naql farmaye.

TAMHEED E IMAAN

Part   36

TUMHAARA RAB AZZA WA JALLA FARMAATA HAI :

“Beshak tumhare liye IBRAHIM aur USKE saath waale musalmaanon mein achchhi rees ( pairwee ) hai jab Woh apni qaum se bole beshak Hum tum se bezaar hain aur un sab se jin ko tum KHUDA  ke siwa poojte ho. Hum tumhare munkir huye aur Hum mein aur tum mein dushmani aur adaawat hamesha ko zaahir hogayi jab tak tum ek ALLAH par Imaan na laao, beshak zaroor in mein tumhare liye umda rees ( pairwee) thi iske liye jo ALLAH aur qayaamat ki ummeed rakhta ho, aur jo munh phere to beshak ALLAH hi be-parwaah saraaha gaya hai.”

( para 28, surah Mumtahena, ruku 7)

Yaani woh jo tum se yeh farma raha hai ke jis tarah MERE Khaleel aur Unke saath waalon ne kiya ke MERE liye apni qaum ke saaf dushman hogaye aur tinka tod kar unse judaayi karli aur khol kar keh diya ke hum se tum se kuch ilaaqa nahi, hum tum se qat'ai bezaar hain, tumhe bhi aisa hi karna chaahiye. Yeh tumhare bhale ko tum se farma rahe hai, Maano to tumhari khair hai na Maano to ALLAH ko tumhari kuch parwaah nahi Jahaan woh MERE dushman huye unke saath tum bhi sahi, MAIN tamaam Jahaan se gani hun aur tamaam khoobiyon se mausoof, jalla wa alaa wa tabaarak wa ta’ala.

TAMHEED E IMAAN

Part      37

YEH TO QUR'AN E AZEEM KE EHKAAM THE :

ALLAH TA'ALA jis se bhalaayi chaahega unpar amal ki taufeeq dega, magar yahan do firqe hain jinko un ahkaam mein uzr pesh aate hain.    Firqa e Awwal be-ilm naadaan,    unke uzr do qism ke hain.

Uzr-e-awwal fulaan to hamara ustaad ya buzurg ya dost hai, lihaaza hum us se door kaise rahein ya nafrat kaise rakhein.
iska jawaab to Qur’an-e-Azeem ki mutaaddid ( bohot si) aayaat se sun chuke ke RAB Azza wa Jalla ne baar baar ba-takraar saraahatan farma diya ke gazab-e-Ilaahi se bachna chaahte ho to is baab ( maamle ) mein apne Baap ki bhi riyaayat na karo.     Uzr-e-duwam ye hai ke arey Saahab yeh badgoh log bhi to maulvi hain, bhala maulviyon ko kyun-kar kaafir samjhein ya bura jaanein,   iska jawaab.

“GUMRAAH ULEMA KE BAARE MEIN”

TUMHARA RAB AZZA WA JALLA FARMATA HAI:
1.     “Bhala dekh to jisne apni khwaahish ko apna KHUDA bana liya aur ALLAH ne ilm hote saate usey gumraah kiya aur uske kaan aur dil par mohar laga di aur uski aankh par patti chadha di to kaun usey raah par laaye ALLAH ke baad, to kya tum dhyaan nahi karte?”

( surah Jaashiya, ruku 19)

Aur Farmaata hai:
2.   “Woh jin par taurait ka bojh rakha gaya magar unho ne usey na uthaaya unka haal us gadhe ke jaisa hai jis par kitaabein ladi hon, kya buri misaal hai unki jinhone KHUDA ki aayatein jhutlaayeeñ aur ALLAH zaalimon ko hidaayat nahi karta.”

(para 28, surah Juma, ruku 11)

TAMHEED E IMAAN

Part   38

3.    Aur Farmaata hai:
“Unhe padh kar suna khabar uski jise HUM ne apni aayaton ka ilm diya tha, woh unse nikal gaya to shaitaan uske peeche laga ke gumraah hogaya aur HUM chaahte to us ilm ke ba’is usey gire se utha lete magar woh to zameen pakad gaya aur apni khwaahish ka pairo ho gaya to uska haal kutte ki tarah hai tu us par hamla kare to zabaan nikaal kar haanpe aur chhord de to haanpe, yeh unka haal hai jinhon ne HAMAARI aayatein jhutlaeeñ to HAMAARA yeh irshaad bayaan kar yeh shaayad log sochein, kya bura haal hai unka jinhone HAMAARI aayatein jhutlaayin aur apni hi jaanon par sitam dhaate they jise KHUDA hidaayat kare wohi raah paaye aur jise gumraah kare to wohi saraasar nuqsaan mein hain”

( Para 9, surah Airaaf, ruku 12)

“Yaani hidaayat kuch ilm par nahi KHUDA ke ikhtiyaar me hai.
Yeh aayatein hain aur hadeesein hain jo gumraah aalimon ki mazammat mein hain. Inka to shumaar hi nahi yahan tak ke ek Hadees mein hai, dozakh ke farishtey buth paraston se pehle unhein pakdenge, yeh kahenge kya hamein buth poojne waalon se bhi pehle lete ho, jawaab milega
" Jaanne wale aur anjaan baraabar nahi."

TAMHEED E IMAAN

Part    39

IZZAT O TAAZEEM KA HAQDAAR KAUN??

Bhaiyyon! Aalim ki izzat to is bina par thi ke woh NABI ka waaris hai, NABI ka waaris woh jo hidaayat par ho aur jab gumraahi par hai to NABI ka waaris hua ya shaitaan ka?

Us waqt uski taa’zeem NABI ki taa’zeem hoti.     Ab uski taa’zeem, shaitaan ki taa’zeem hogi.

Yeh is soorat mein hai ke aalim-e-kufr se neeche kisi gumraahi mein ho jaise badmazhabon ke Ulemaa, phir uska kya poochna jo khud kufr-e-shadeed mein ho usey Aalim-e-deen jaanna hi kufr hai, naa ke Aalim-e-deen jaan kar uski taa’zeem.
Bhaiyyon! Ilm us waqt nafaa deta hai ke deen ke saath ho warna pandit ya paadri kya apne yahan ke aalim nahin?

TAMHEED E IMAAN

Part    40

FARISHTON KA APNE ILM WAALE USTAAD SE BARTAAO.

Iblees kitna bada aalim tha phir kya koi musalmaan uski taa’zeem karega?
Usey to muallim ul malqoot ( farishton ka ustaad ) kehte hain. yani farishton ko ilm sikhaata tha. Jab se usne MUHAMMAD RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ki taa’zeem se munh moda, HUZOOR ka Noor peshaani e AADAM alaihis salaam mein rakha gaya. Usey sajda na kiya, us waqt se laa’nat e abadi ka tauq us ke gale mein pada. Dekho jab se uske shaagirdaan e rasheed (farishte) uske saath kya bartao karte hain, Hamesha us par laa’nat bhejte hain, har ramzaan mein mahina bhar usey zanjeeron mein jakadte hain, qayamat ke din kheench kar Jahaannam mein dhakeleinge. Yahan se ilm ka jawaab bhi waazeh hogaya aur ustaadi ka bhi.
Yaani yeh baat saaf ho gayi ke ilm waala ho ya ustaad agar wo ALLAH wa RASOOL ki tauheen karta hai to us se nafrat rakhi jaaye, yahi ALLAH ka hukm hai jo Qur'an se saabit hai.

Bhaiyyon! karod karod afsos hai, is daawa e musalmaani par ke ALLAH Waahid e Qahhaar aur MUHAMMAD RASOOLULLAH sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam se zyada ustaad ki waqat ho, ALLAH wa RASOOL se badh kar bhai ya dost, ya duniya mein kisi ki mohabbat ho.

Aye RAB! hamein sachcha Imaan de, sadqa Apne HABEEB ki sachchi izzat sachchi rehmat ka, sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam. Aameen.

TAMHEED E IMAAN

Part    41

FIRQA E DUWWAM :

Mua’andeen (Mukhaalifeen) o dushmanaan-e-deen ki khud inkaar e zarooriyaat e deen rakhte hain aur sareeh kufr karke apne upar se naam e kufr mitaane ko Islam o Qur’an o KHUDA wa RASOOL wa Imaan ke saath tamasskhar ( mazaak ) karte aur baraahe agwa o talbees o shewa e iblees ( iblees ke taur tareeqe ki tarah) woh baatein banaate hain ke kisi tarah Zarooriyat-e-Deen maanne ki qaid uth jaaye. Islam faqt tote ki tarah zabaan se kalma ratt lene ka naam reh jaaye, bas kalme ka naam leta ho phir chaahe KHUDA ko jhoota kazzaab kahe, chaahe RASOOL ko sadi sadi gaaliyan de, Islam kisi tarah na jaaye.

Yeh musalmaanon ke dushman, islam ke adu, awaam ko chilne aur KHUDA e Waahid e Qahhaar ka Deen badalne ke liye chand shaitaani makar pesh karte hain.

MAKAR E AWWAL:

Islam naam kalma goi ka hai.
Hadees mein farmaya jis ne La ilaaha illallaah keh liya Jannat mein jayega. “phir kisi qaul ya fail ki wajah se kaafir kaise ho sakta hai”?

Na uzoo billaahi min zaalika.
Musalmaanon ! Zara hoshiyaar. Khabardaar, is makar e maloon ka haasil yeh hai ke zabaan se La ilaaha illallaah keh lena goya KHUDA ka beta ban jaana hai. ( goya in deobandiyon ke nazdeek)
Jis tarah kisi Aadmi ka (apna) beta agar usey gaaliyaan de, jootiyaan Maare, kuch kare, uske bete hone se nahi nikal sakta, yun hi jis ne La ilaaha illallaah keh liya, ab woh chaahe KHUDA ko jhoota kazzaab kahe, chaahe RASOOL ko sadi sadi gaaliyaan de, us ka islam nahi badal sakta?
(MA’AZALLAH)

is makar ka jawab ek to isi aayate kareema mein guzra
“kya log is ghamand mein hain ke nire addaaye islam ( islaami daawa)  par chhod diye jaayenge aur imtehaan na hoga?"

( surah Anqaboot)

Islam agar faqat kalma goi ka naam tha to beshak haasil thi phir logon ka ghamand kyun galat tha?
Jise Qur’an e Azeem radd farma raha hai, neez:

Tumhara RAB azza wa jalla Farmaata hai:
“Yeh gawaar kehte hain hum Imaan laaye Tum farma do Imaan to tum na laaye haan yun kaho hum mutiul islam huwe Imaan abhi tumhare dilon mein kahaan daakhil hua”

( surah hujraat)

TAMHEED E IMAAN

Part     42

Aur Farmaata hai ;
“Munaafiqeen jab Tumhare huzoor haazir hote hain kehte hai hum gawaahi dete hain ke beshak HUZOOR yaqeenan KHUDA ke RASOOL hain aur ALLAH khoob jaanta hai ke beshak tum zaroor Uske RASOOL ho aur ALLAH gawaahi deta hai ke beshak yeh munaafiq zaroor jhoote hain”

( surah, Munaafiqoon )

Dekho kaisi lambi chaudi kalma goi, kaisi kaisi taa’keedon se moakkad, kaisi kaisi qasmon se moaiyyed ( taaeed kiya hua) hargiz moajjib e islam na huwi aur ALLAH Waahid Qahhaar ne unke jhoote kazzaab hone ki gawaahi di to

"Man qaala La ilaaha illallaah dakhalal Jannata"

ka yeh matlab gadhna saraahatan Qur’an e Azeem ka Radd karna hai. Haan jo kalma padhta ho apne aap ko musalmaan kehta ho hum usey musalmaan jaanenge jab tak us se koi kalma, koi harqat, koi fail manaafi e islam ( islaam ke khilaaf ) na saadir ho, baad sudoor e manaafi hargiz kalma goi kaam na degi.

(Yaani jo shakhs kalma padhta hai aur kabhi ALLAH wa RASOOL ki tauheen nahi karta wo musalmaan hai magar agar usne adna si bhi ALLAH ya RASOOL ki tauheen ki aur tauba na ki to wo Kaafir hai, kalma padhna uska bekaar hai.)

TAMHEED E IMAAN

Part   43

KALMA E KUFR - MUHAMMAD (Sallallaho Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam) GAIB KYA JAANEIN?

TUMHARA RAB AZZA WA JALLA FARMATA HAI:

"KHUDA ki qasam khaate hain ke unhon ne NABI ki shaan mein gustaakhi na ki aur albatta beshak woh yeh kufr ka bol bole aur musalmaan ho kar kaafir ho gaye."

(para 10, surah tauba, ruku 16)

 Ibn e jareer o tibraani o abu alshaikh o ibn e mardoya Abdullah bin Abbas radiyAllahu ta’ala anhuma se riwaayat karte hain. RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ek ped ke saaye mein tashreef farma the, irshaad farmaya anqareeb ek shakhs aayega ke tumhein shaitaan ki aankhon se dekhega woh aaye to us se baat na karna, kuch der na huwi thi ke ek karanji aankhon waala saamne se guzra RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ne usey bulaakar farmaya tu aur tere rafeeq kis baat par MERI shaan mein gustaakhi ke lafz bolte hain, woh gaya aur apne rafeeqon ko bula laaya. Sab ne aakar qasmein khaayi ke hum ne koi kalma HUZOOR ki shaan mein be-adabi ka na kaha, is par ALLAH azza wa jalla ne yeh aayat utaari ke KHUDA ki qasam khate hain ke unhon ne gustaakhi na ki aur beshak zaroor woh yeh kufr ka kalma bole aur TERI shaan mein be-adabi kar ke Islam ke baad kaafir ho gaye. Dekho ALLAH gawaahi deta hai ke NABI ki shaan mein be-adabi ka lafz kalma e kufr hai aur uska kehne wala Agarche laakh Musalmaani ka Muddaee karod baar ka kalmago ho Kaafir ho jaata hai

AUR FARMATA HAI:

“Aur agar tum un se poochho to beshak zaroor kahenge ke hum to yun hi hansi khel mein the, Tum farma do kya ALLAH aur US ki Aayaton aur US ke RASOOL se thattha karte the, bahane na banao tum kaafir ho chuke apne Imaan ke baad.”

( para 10, surah tauba, ruku 14)

Ibn abi shaiba wa ibn jareer wa ibn almanzar wa ibn abi haatim wa abu alshaikh Imaam Mujahid talmiz e khaas Sayyedna Abdullah bin Abbas radiyAllahu ta’ala anhum se riwaayat farmaate hain.

"Yaani kisi shakhs ki oontni gum ho gayi, us ki talaash thi, RASOOLALLAH sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ne farmaya oontni falaan jangal mein falaan jagah hai, is par ek munaafiq bola MUHAMMAD sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam batate hain ke oontni falaan jagah hai, MUHAMMAD gaib kya jaanein.?"

 Is par ALLAH azza wa jalla ne yeh aayat e kareema utaari ke kya ALLAH wa RASOOL se thattha karte ho, bahaane na banao tum musalmaan kehla kar is lafz ke kehne se kaafir ho gaye.

(dekho tafseer e Imam ibn jareer matbaa misr, jild dahum safha 105 wa tafseer durre mansoor e Imaam Jalaalud deen suyuti jild suwam safha 254)

Musalmaanon! dekho MUHAMMAD RASOOLULLAH sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ki shaan mein itni gustaakhi karne se ke "woh Gaib kya jaane" kalma goi kaam na aayi aur ALLAH ta’ala ne saaf farma diya ke bahaane na banao, tum Islam ke baad kaafir hogaye. 

Part    44

Yahan se woh hazraat bhi sabaq lein Jo RASOOLULLAH sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ke uloom e gaib se mutlaqan munkir hain. Dekho yeh qaul munaafiq ka hai aur is ke qaayel  ko ALLAH ta’ala ne ALLAH wa Qur’an wa RASOOL se thattha karne wala bataaya aur saaf saaf kaafir murtad thehraaya (balke us kehne ko ke “MUHAMMAD gaib kya jaanein”?

ALLAH ta’ala ne pehle APNI tauheen, Aayaton ki tauheen phir RASOOL ki tauheen shumaar ki) aur kyun na ho ke “gaib ki baat jaanni shaan e Nabuwwat hai". Jaisa ke Imaam Hujjatul islam Muhammad Gazaali, Imaam Ahmed Qastalaani, Maulana Ali Qaari, Allama Muhammad Zarqaani wagairhum akaabir ne tasreeh farmaayi jis ki tafseel e risaayel e ilm e gaib mein bafazl e ta’ala baroja e aa’la mazkoor huwi.

Phir us ki sakht shaamat e kamaala e dalaalat (gumraahi)  ka kya poochna jo gaib ki ek baat bhi KHUDA ke bataaye se bhi NABI ko maaloom hona muhaal wa naa-mumkin bataata hai, us ke nazdeeq ALLAH se sab cheezein gaayab hain. Aur ALLAH ko itni qudrat nahi ke kisi ko ek gaib ka ilm de sake, ALLAH ta’ala shaitaan ke dhokon se panaah de.
Aameen.

Part     45

Haan be KHUDA ke bataaye kisi ko zarra bhar ka ilm maanna zaroor kufr hai aur Jamie maaloomaat e Ilaahiya ko ilm makhlooq ka muheet hona bhi baatil aur aksar Ulema ke khilaaf hai lekin roz e azal ( pehle din) se roz e aakhir tak ka maa kaana wa ma yakoon ( jo hua aur jo hoga) ALLAH ta’ala ke maaloomaat se woh nisbat bhi nahin rakhta jo ek zarre ke laakhwein karodwein hisse ke baraabar yaa tari    ( baraabari)  ko karod ha karod samundaron se ho balke yeh khud uloom e MUHAMMADIYA sallallahu Ta’ala Alaihi wa aalihi wasallam ka ek chhota sa tukra hai.    ( yaani Aalahazrat farma rahe hain ke ALLAH ta'ala ke ilm ki kisi ek ke ilm se koi tulna nahi yahan tak roz e azal se roze aakhir tak ka maa kaana wa ma yakoon ka tamaam ilm ki tulna ALLAH ta'ala ke ilm ki tulna aisi bhi nahi ki ja sakti jo ek zarre ke karodwein hisse ko karod ha samandar se hai balke ye maa kaana wa maa yakoon ka ilm to hamaare HUZOOR ke ilm ka ek tukda hai aur ALLAH ke ilm ki tulna kisi ke ilm se nahi aur phir ALLAH ta'ala ka ilm to zaati hai yaani USEY kisi se mila nahi balke khud se hai aur hamaare HUZOOR ko jitna bhi ilm mila ya jise bhi mila ALLAH hi se mila hai. Haan RASOOLULLAH sallallahu ta'ala alaihi wasallam ilm ke baatne waale hain.
In tamaam umoor ki tafseel “AL daulatul makkiya” ( Aalahazrat Mujaddid e deen o millat Imam Ahmed Raza ki ek kitaab ka naam hai) wagaira mein hai. Khair yeh to jumla e muatariza ( aisi baat jo beech me aarzi taur par ho ) tha aur In sha Allah ul azeem bohot mufeed ( faaidemand) tha, ab behas saabiq ki taraf Aaud kijiye.

To be contd....

No comments:

Post a Comment