Friday, August 12, 2016

AHAM MASAIL

SUWAL::

 Agar janaze k wali ne khud namaze janaza padha di to kiya uske baad koi namaze janaza padha sakta hai?? Qur’an o Hadees ki roshni me jawab inaayat farmaen..

JAWAB

Agar JANAZE k WALI NE NAMAZE JANAZA PADHA DI TO AB KISI DOOSRE KO PADHNA YA PADHNA JAEZ NAHI.. Isliye k MAYYAT KA HAQ USKE WALI SE ADA HOCHUKA HAI.. OR Pehli NAMAZ SE FARZ BHI SAAQIT HO GAYA.. AB HAM YAHAN KASEER KUTUBE FIQAH se HAWALE PESH KARENGE K JISME YE MASLA WAAZEH TAUR PAR LIKHA HAI… k agar namaze janaza wali ne padha di to ab doosre ko namaz padhana jaez nahi.. Is mas’le par Aimma e Hanafiyyah ka IJMAA’ HAI or JO ISKE KHILAAF KARE WHO MAZ’HABE HANAFI KA MUKHALIF HAI.. ••••••••••••••••••••••••••••••••••

1)

Fatawa Alamgiri me hai k: “AGAR WALI NAMAZ PADHE TO, USKE BAAD KISI KO NAMAAZ PADHNA JAEZ NAHI..” (vol..1..page.164) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

2)

Fatawa Qaazi Khaan me hai k: “AGAR BAADSHAAHE ISLAM ya AMIRUL MUMINEEN ya QAAZI E SHARA’ ya ISLAMI HAAKIME MISR ya IMAAMUL HAY NAMAZ PADH CHUKA, To Ab WALI KO BHI I’AADAH KA IKHTIYAAR NAHI..” (vol.1.page.194) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

3)

Durre Mukhtar me hai k: “AGAR WALI NE NAMAZE JANAZA PARDH LI HAQQ K SAATH TO USKE BAAD KOI NAMAZE JANAZA NAHI PARDH SAKTA..” (vol.3.page.1170) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

4)

Fat’hul Qadeer me hai k: “OR AGAR WALI NE NAMAZE JANAZA PARDH LI TO USKE BAAD KISI K LIYE NAMAZE JANAZA PARDHNA JAEZ NAHI..” (vol.2.page.1240) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

5)

Bada’eus sanaae’ me hai k: “OR NAHI NAMAAZ PARDHE MAYYAT PAT MAGAR 1 MARTABA NA K TANHA NA JAMAA’AT, MAGAR YE K JO US PAR AJNABI NAMAZ PADHE,BAGHAIR WALI K HUKM SE..PHIR HAAZIR HOJAE WALI TO USKE LIYE IJAAZAT HAI K USKA I’AADAH KARE..” (vol.1.page.461) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

6)

Behrur Raaeq me hai k: “PAS AGAR US PAR WALI OR BAADSHAAD K ELAAWAAH NAMAZ PADHE TO WALI I’AADAH KAR SAKTA HAI OR WALI K BAAD USKE ELAWA KOI NAMAAZ NAHI PADH SAKTA.” (vol.2.page.317) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

7)

Hidaayaah me hai k: “AGAR WALI NE NAMAZE JANAAZA PADH LI TO KISI K LIYE JAEZ NAHI K USKE BAAD PADHE..” (VOL.1.PAGE.180) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

Fatawa Razawiyyah me hai k: “AGAR WALI NE NAMAZE JANAZA PADH LI TO USKE BAAD DOOSRE KO PADHNA ‘JAEZ NAHI’.. ISLIYE K MAYYAT KA HAQQ PEHLE FAREEQ SE ADA HO CHUKA, OR PEHLI NAMAAZ SE FARZ SAAQIT HOGAYA.. AB AGAR KOI DOOSRA FAREEQ ADA KARE TO YEH NAFIL HOGI.. OR YAHAN NAFIL ‘MASHROO’’ NAHI.. JAISE WO JISKI 1 BAAR NAMAZ PADHI JACHUKI HO..alakh.. ••••••••••••••••••••••••••••••••••

9)

Imam Muhammad Muhammad Muhammad bin Halbi ibne Amirul Haaj huliya me farmate hain k: “HAMARE ULAMA NE FARMAYA JAB MAYYAT PAR SAAHIBE HAQ NAMAZ PADH CHUKE PHIR OR KOI US PAR NAMAAZ MASHROO’ NAHI.. ” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

10)

Allamah Ibrahim Halbi Guniyah sharah Munya me tehreer farmate hain k: “US PAR NAMAZ NA PADHI JAEZ K 1 MAYYAT PAR 2 BAAR NAMAAZ NA HO, K YE NAA MASHROO’ HAI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

11)

MAJ’MAUL An’har me hai k: “FARZ TO PEHLI NAMAAZ SE ADA HOGAYA OR YE NAMAAZ NAFLI TAUR PAR MASHROO’ NAHI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

12)

Durre Mukhtar w Fat’hullaahul Mubeen me hai k: “JO PEHLE PADH CHUKA WHO WALI K SAATH BHI I’AADAH KA IKHTIYAAR NAHI RAKHTA, K USI TAKRAAR GHAIRE MASHROO’ HAI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

13)

Mraaqiyul Falaah me hai k: “JO OR K SAATH PADH CHUKA, SAAHIBE HAQQ K SAATH NA PADHE, K IS NAMAAZ ME NAFIL MASHROO’ NAHI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

14)Fatawa Zahiriyah ••••••••••••••••••••••••••••••••••

15)shar’he niqaayah barjandi ••••••••••••••••••••••••••••••••••

16)khulaasah ••••••••••••••••••••••••••••••••••

17)tajnees ••••••••••••••••••••••••••••••••••

18)Behrur Raaeq Wagheraha kutube fiqhiyyah me hai k: “YAANI AGAR BAADSHAAHE ISLAM ya AMIRUL MUMINEEN ya QAAZIE SHARA’ ya ISLAMI HAAKIME MISR ya IMAAMUL HAY NAMAZ PADH CHUKA TO AB WALI KO BHI I’AADAH KA IKHTIYAAR NAHI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

19)

Shar’he nqaayah ALLAMAH QAHESTAANI me hai k: “KISI MURDE PAR 1 BAAR SE ZYADA NAMAZ NA PADHI JAE..” •••••••••••••••••••••••••••• Cont...2

20)siraaj ••••••••••••••••••••••••••••••••••

21)behrur raaeq ••••••••••••••••••••••••••••••••••

22)Raddul Muhtaar ••••••••••••••••••••••••••••••••••

23)Jaami’ur Rumooz ••••••••••••••••••••••••••••••••••

24)Johara e Nayyarah ••••••••••••••••••••••••••••••••••

25)hindiyah ••••••••••••••••••••••••••••••••••

26)Maj’maul An’har Waghairah me hai k: “AGAR WALI NE US PAR NAMAAZ PADH LI TO USKE BAAD AB KISI KO JAEZ NAHI K NAMAZE JANAZA PADHE..” INDAT TEHQEEQ IN SAB IBAARAAT KA bhi wohi haasil k “namaze janaza do bara padhni sirf makrooh hi nahi balki MEHEZ NA JAAEZ HAI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

In kitabon ki ibarate’n jo upar mazkoor hain, Or Khud kasrate nuqool ki kiya haajat k mas’ala waazeh or zaahir or tamaam kutube mazhab mutawwano sharah w fatawa me daaer o saaer soorate mustafsirah me k khud wali padh chuka tha, DO BAARA I’AADA E NAMAAZ HAMARE SAB A’IMMA E KIRAAM radhiyAllaahuta’ala alaihim aj’ma’een K ITTEFAAQ SE “NA JAAEZ O GUNAAH WAAQE’ HUA.. AISI NAAWA QIFI MAANA’E GUNAAH NAHI, K MASA’EL SE NAWAAQIF REHNA “khud gunaah hai”.. ••••••••••••••••••••••••••••••••••

Isliye Hadees Shareef me aaya hai k: Rasoolullaah sallallaahualaihiwasallam ne irshad farmaya: AALIM KA GUNAAH EK GUNAH, OR JAAHIL KA GUNAAH 2 GUNAAH, KISI NE ARZ KI YA RASOOLALLAAH KIS LIYE? FARMAYA! AALIM PAR WABAAL USI KA HAI K GUNAAH KYUN KIYA? OR JAAHIL PAR 1 AZAAB GUNAAH KA OR DOOSRA ‘NAA SEEKHNE KA’… ise dailmi ne musnadul firdaus me HAZRATE IBNE ABBAS radhiyAllaahuanhuma se riwaayat kiya..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

Aalim jisne TAAKEED O ISRAAR KARKE UN LOGON SE NAMAZE JANAZA KI TAKRAAR KARAEE, AGAR MUDDA’IYYE HANAFIYYAT HAI TO KHUD APNE HI MAZ’HAB K HUKM SE GUNAHGAAR HAI.. OR FIRQA E GHAIR MUQALLIDEEN SE HAI TO GUNAHGAARI DARKINAAR BAD MAZ’HAB O GUMRAAH HAI.. OR IN DONO SOORATO’N ME IS AALIM PAR UTNE GUNAAH LAAZIM HUE JIS QADAR SHUMAAR HISAARE JAMAA’TE SAANIYA KA THA, OR US PAR EK ZAAED,MASLAN DOOSRI DAFA’ USKE ISRAAR SE 100 AADMIYON NE NAMAZ PADHI TO UNME HAR 1 PAR 2,2 GUNAAH, 1GUNAAHE FE’L DOOSRA GUNAAHE JEHEL.. OR US AALIM PAR 101 GUNAAH, 1 APNA OR 100 UNKE FE’L K, AAKHIR YEHI DAA’EYE BAGUNAAH HUA.. ••••••••••••••••••••••••••••••••••

Rasoolullaah sallallaahu ta’ala alaihiwasallam Farmate hain k: “JO KISI DHALAALAT KI TARAF BULAAE, SAB MAANNE WAALO’N K BARABAR GUNAAH US PAR HUA, OR UNKE GUNAAHON ME KUCH KAMI NAHI AAEE... Ise imam ahmad, muslim, tirmizi, nasaee, abu dawood, ibne maajaa ne HAZRATE ABU HURAIRAH radhiyAllaahuanhu SE RIWAAYAT KIYA..” (vol..9) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

27)

Bahaar me hai k: “WALI NE NAMAAZ PADHA DI TO, DOOSRE AWLIYA I’AADAH NAHI KAR SAKTE..” (vol.4.page.156) •••••••••••••••••••••••••••••••••• ALLAAH TA’ALA HAME MAZHABE IMAME AZAM W MASLKE A’LA HADRAT PAR SAKHTI K SAATH ISTEQAAMAT ATA FARMAE.. AAMEEN..

No comments:

Post a Comment