🕌🌃💫🌙🌃💫🌙🌃🌟🌙🌃🕋
🌎www.onlyrazvimp3group.in🌎
🌹🌴🌹🌹🌴🌷🌷🌴 🌹🌹🌴🌹
🌷SHAB-E-BARAAT🌷
🌷KI-HAQEEQAT🌷
📜 POST- NO- 01 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🍃🌻🍃🍃🌻
🌷بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم🌷
🌹 Daur E Haajir kay Khwarij urf wahabiya jo khud ko ahle hadees kahte hai ye seasonal aitraazi giroh hai jaisa mahina occasion aayega waise hi aitraaz karenge Maahe Shaban aate hai ye kaum logo ko gaafil karne kay liye nayi nayi baatein bayan karegi.
🌻 Awwal to apne aur abto sabne aazmaya dekha hai ye kaum kahti hai Quran Aur Sahi Hadees me koi shaban ki fazilat nahi hai koi sab biddat hai baaj phir ye bhi kahte milenge kay jo Shab E Baraat yaani 15 shaban ki raat jo musalmaan raat bhar jaag kar ibadat me guzarte hai ye sab biddat hai iski koi asal nahi jo bade chalak hai wo Shab E Baraat ka comparison karte hai Shab E Qadr se ye hai inki badmashi.
🌹 Is article me hum inke ek ek isi tarah kay aitraazo ka jaiza lenge. Maahe Shabaan ki Fazilat Pe Chand Hadees E Mubarika Pesh Karte Hai..
📜 POST- NO- 02 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🍃🌻🍃🍃🌻
🌷Maahe Shabaan Ki Fazilat Par Chand Hadees E Paak🌷
📚 Hadees 01:
🌹 “Huzoor ﷺ Ne Farmaya Shabaan Mera Mahina Hai Aur Ramzan Allah Ka Mahina Hai”
📚(Imam Suyuti Jame Us Sageer, Vol : Pg :301, Hadees : 4889)
📚 Hadees 02 :
🌻 “Hazrat Abdullah ibn Abi Qays Radi Allahu Anho Se Marvi Hai Kay Unhone Ummul Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Suna Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ka Pasandida Maheena Shabaanul Muazzam Tha Ki Isme Roza Rakha Karte Phir Usse Ramzanul Mubarak Se Mila Dete”
References :
📚(Sunan Nasai, Vol : 03, Pg : 267, Kitabul Sawm, Baab : Huzoor Kay Roze Ka Bayan, Hadees : 2352)
📚(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 163, Kitabus Sawm, Baab : Shabaan Me Roza Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2425)
📜 POST- NO- 03 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🍃🌻🍃🍃🌻
🌷Aaka E Kareem ﷺ Shabaan Kay Aqsar Roza Rakhte The.🌷
📚Hadees 03 :
🌹 “Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Rasool Allahﷺ Shabaan Se Zyada Kisi Mahine Me Roza Naa Rakha Karte Balki Pura Shabaan hi Roza Rakh Liya karte the Aur farmaya Karte Apni Istitaat Kay mutabik Amal karo ki Allah Us wakt Apna Fazl Nahi rokhta Jab Tak tum Uqta naa jao”
Reference :
📚(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :118, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1970)
📚Hadees 04:
🌻 “Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Farmati Hai Rasool Allahﷺ Ramzaan kay baad sabse zyada Roza Kisi Maah Me rahte to wo Shaban Ka Maahina Tha”
Reference :
📚(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :117, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1969)
📜 POST- NO- 04 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 Ye Hadees E Sahi Se saabit hai kay Huzoor Nabi E Akram ﷺ ko sabse zyada pasandida mahina Shaban ka tha aur ye wo maah hai jispe Roza ummat pe Ramzan Ul Mubarak ki tarah Farz nahi hai lekin Aaka Is Maah Sabse zyada Roza Rakha karte the Ramzan Kay baad phir bhi koi anpadh laa ilm bas bugz me Is mahine ki fazilat ka inkaar kare to bhala iske zimmedar hum Ahle Sunnat Kaise hai ?
🌻 Kisi Kay ilm me nahi yaa ilm se yatim ho aur dawa ahle hadees ka to aise shaks ki apni ilmi kami ko dur karna chahye naa ki ummat pe biddat kay fatwe maarna chahye.
📜 POST- NO- 05 📜
🌻🍃🍃🌻🍃💦💦🍃🌻🍃🍃🌻
🌹Maahe Shabaan Naam E Aamal Allah Taala Ki Taraf Uthaye Jaate Hai🌹
📚Hadees 05 :
🌹 Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?
🌻 Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon”
Reference :
📚(Sunan Nasai Vol : 03, Pg : 269, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2359)
📜 POST- NO- 06 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🌹🌹🍃🌻🍃🍃🌻
🌹Marne Waalo Ki Fehrist Ka Mahina🌹
📚Hadees 06:
🌹 “Sayyida Ayesha Siddiqa Radi allahuanha farmati hai Tazdaar E Risalat ﷺ Pure Shabaan Kay Roze Rakha Karte The. Farmati hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺ Kya Sab Mahino Me Aapke Nazdeeq Ziyada pasandida Shabaan Kay Roze Rakhna Hai ?
🌻 To Mehboob Rabbul Aalameen ﷺ Ne Irshad Farmaya Is Saal Marne Waali Har Jaan Ko Likh Deta Hai Aur Mujhe Yah Pasand hai Jab Mera Waqt e rukhsat Aaye aur mai rozdaar hoon”
Reference :
📚(Musnad Abu Yaala Vol : 08, pg : 311, Hadees :4911)
📜 POST- NO- 07 📜
🌻🍃🍃🌻🍃💦💦🍃🌻🍃🍃🌻
🌷15 Shabaan Ka Roza Rakhna🌷
📚Hadees 07:
🌹 “Hazrat Aliyul Murtaza Radiallahu Anhu Ka Farmaan E Azeem Hai Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Kiyaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho Beshak Allah Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Dunya Par Khas Tazalli Farmata Hai Aur Kahta Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Waala Ki Usse Baksh Doon Hai koi Rozi Talab Karne Waala Ki Usse Rozi Doon Hai koi Musibat Jada Ki Usse Aafiyat Ata Karoon Hai koi Aisa ! Hai koi Aisa ! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmata Hai ki Fazr Tuloo Hojaye”
Reference :
📚(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg :334, Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388)
📚(Khatib Tazrezi Mishkat Al Masabih )
📚(Imam Munziri Attargeeb Wattarheeb Vol : 02,Pg : 52)
📜 POST- NO- 08 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🌹🌹🍃🌻🍃🍃🌻
🌹Shab E Baraat Aur Ziyarat E Quboor🌹
📚Hadees :
🌹 “Ummool Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Farmati Hai Maine EK Raat Sarwar E Kaynaat Shah E Mauzoodat ﷺ Ko Naa Dekha To Baki E Paak Me Mujhe Mil Gaye, Aap Ne Mujh Se Farmaya Kya Tumhe Is Baat Ka Darr Tha Ki Aur Uska Rasool Tumhari Haq Talafi Karenge ?
🌻 Maine Arz Kiya Yaa Rasool Allah ﷺ Maine Khayal Kiya Tha Ki Shayad Aap Azwaz E Mutahirat Me Se Kisi Kay Pass Tashreef Legaye Honge ? To Farmaya Beshaq Allah Taala Shaban ki 15vi Raat Aasmaan E Dunya Par Tazalli Farmata Hai, Pas Kabila E Bani Qalb Ki Bakriyo’n Kay Baalo Se Bhi Ziyada Gunahgaro Ko Baksh Deta Hai”
References :
📚(Jamai Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay bare me bayan, Hadees : 739)
📚(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees : 1389)
📜 POST- NO- 09 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🎼🎼🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 Yaha Imam Tirmizi Imam Ibn Majah Rahmatullah Alaiheem azmayeen ne pure baab hi Nisf E Shaban kay naam se kayam kiye hai unhe bhi nahi maloom tha kay aisi koi cheez hi nahi hai ye biddat hai aaj 1400 saal baad ek jahil giroh nikal pada hai dawa Quran Hadees magar naa to talluk Quran se Hai naa hadees ka fahem hai.
🌻 Bilkul bhi Ahle Sunnat ko in munafik Wahabi Ahle hadeeso kay makkar aur fareb me aane ki jarurat nahi hai ye jamaat kaahil hai ibadat se bhagti hai har ahle hadees ka baccha ye kahega kay Shab E Qadr me jaagna chahye isme nhi ibadat kay liye inse pucho puri dunya me kitne Wahabi Taak Raato me jaagte hai Shab E Qadr Talash karte huwe ?
🌹 Kitni Ahle Hadees Masjid Khuli hoti hai yaha tak kay jo jaagne kay liye kahega wo khud Sota Milega Ye badi ahem baat hai. ye Kaum Ibadat se jaan chudati hai isliye itne hile bahane inke mullah karte hai kay bas kaum Amal se hi dur rahe.
📜 POST- NO- 10 📜
🌻🍃🍃🌻🍃💦💦🍃🌻🍃🍃🌻
🌹Shab E Meraj Deedar E Haq Ta'aala🌹
🌹 Shab E Meraj Deedar E Haq Ta'aala ALLAH Azwazal Ta'aala Ne Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Aasmano Ki Jannat Wa Dojakh Ki Sadratul Muntaha Ki Ars E Ilahi Ki Sher Karwai Aur ALLAH Azwazal Ta'aala Ne Jahan Taq Chaha Aap Ne Sher Farmai Is Ki Qudrat Ki Nishaniyo Ka Musahidah Farmaya Aur Dedaar E Pur Anwaar Ki Lajawal Se Musarraf Huye..
🌻 Jaisa Ke Shahi Bukhari Shareef Me Hazrat Anas Radi Allahu Anha Se Tafseele Rwayat Manqul Hai Rawayat Ka Aik Hissah Mulahijah Ho.
🌹(حتی جاء سدرۃ المنتھیٰ ودنا للجبار رب العزۃ فتدلی حتی کان منہ قاب قوسین او ادنی۔)
🌹 Yahan Tak Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Sidratul Muntaha Par Aaye Aur جبار رب العزت Aap Ke Kareeb Huaa Fir Aur Kareeb Huaa Yahan Tak Ke Do Kamano Ka Fasla Rah Gaya Is Se Bhi Jayada Najdeek..
(Shahi Bukhari Shareef Jild 2 Book Al Toheed Safa 1120 Hadees No.. 6963)
📜 POST- NO- 11 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🌷🌷🍃🌻🍃🍃🌻
🌷Shahi Muslim Shareef Me Rwayat Hai.🌷
💧(عن عبداللہ بن شقیق قال قلت لابی ذر لو رایت رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم لسألتہ فقال عن ای شیء کنت تسألہ قال کنت اسالہ ھل رایت ربک قال ابو ذر قد سالت فقال رایت نورا۔)
🌹 Hazrat Abdullah Bin Saqeek Radiallahu Anha Ne Farmaya Ke May Ne Hazrat Abu Jar Radiallahu Anha Se Kaha Agar Mujhe Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dedaar Shahadat Hasil Hoti To Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sawal Karta..
🌻 Inho Ne Kaha Tum Kis Chigh Ke Muta'allik Sawal Karte Hazrat Abdullah Bin Saqeek Radiallahu Anha Ne Arz Kiya May Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se Yah Sawal Karta Ke Kya Aap Ne Apne Rab Ko Dekha Hai.
🌹 Hazrat Abu Jar Radiallahu Anha Ne Farmaya. May Ne Aap Se Is Muta'aalliq Daryaft Kiya Tha.. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya. May Ne Dekha Woh Noor Hi Noor Tha.
📚[Shahi Muslim Jild 2 Book Al Imaan Safa 99 Hadees No. 262]
📜 POST- NO- 12 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🌹🌹🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 Jaamah Tirmizi Shareef Me Hadees Paak Hai.
🌋(: عن عکرمۃ عن ابن عباس قال رای محمد ربہ قلت الیس اللہ یقول لا تدرکہ الابصار و ھو یدرک الابصار قال و یحک اذا تجلی بنورہ الذی ھو نورہ و قد راٰی محمد ربہ مرتین ھٰذا حدیث حسن غریب۔)
🌻 Mukarramah Bayaan Karte Hain Ke Hazrat Sayyedna Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhuma Ne Farmaya: Hazrat Sayyedna Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Rab Ko Dekha Hai. May Ne Arz Kiya. Kya ALLAH Azwazal Ta'aala Ne Yeh Nahi Farmaya
(’’نگاہیں اس کا ادراک نہیں کرسکتیں اور وہ نگاہوں کا ادراک کرتا ہے")
🌹 Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhuma Farmaya Tum Par Afsos Hai Yah Is Waqt Hai. Jab ALLAH Ta'aala Apne Is Noor Ke Sath Tajalli Farmayein Jo Iska Noor Hai.. Yaani Gair Mutnahi Noor Aur Beshak Sayyedna Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Rab Ko Do Martabah Dekha Hai. Yah Hadees Hasan Gareeb Hai..
📚{Jaamah Tirmizi Shareef Jild 2 Abwab Al Tafseer Safa 164 Hadees No.. 3201}
📜 POST- NO- 13 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🍁🍁🍃🌻🍃🍃🌻
🌻(عن ابن عباس فی قول اللہ تعالیٰ و لقد راہ نزلۃ اخری عند سدرۃ المنتہیٰ فاوحی الی عندہ ما اوحیٰ فکان قاب قوسین او ادنی قال ابن عباس قد راہ النبی صلی اللہ علیہ وسلم ھٰذا حدیث حسن۔)
🌹 Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhuma Ne In Aayat Ki Tafseer Me Farmaya Beshak Inho Ne Is Ko Dosri Bar Jarur Sidratul Muntaha Ke Pass Dekha To ALLAH Azwazal Ne Apne Khas Bandah Ki Taraf Wah Wahi Najil Ki Jo IS Ne Ki Fir Wah Do Kamano Ki Mukadar Nazdeek Hua Ya Is Se Jayadah..
🌻 Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhuma Ne Farmaya Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Rab Ko Dekha Hai...
📚{Jaamah Tirmizi Shareef Jild No. 2 Abwab Al Tafseer Safa No. 164 Hadees No 3202}
🌻 Masnad Imaam Ahmad Me Yah Alfaz Mazkoor Hai..
🌻( عن عکرمۃ عن ابن عباس قال رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم رایت ربی تبارک و تعالیٰ )
🌹 Sayyedna Abdullah Ibn Abbas Radiallahu Anhuma Ne Bayaan Farmaya Ke Rasool ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irsad Farmaya May Ne Apne Rab Tbarak Wa Ta'aala Ko Dekha. Yah Hadees Paak Masnad Imaam Ahmad Me Do Jagah Mazkoor Hai...
📚{Masnad Imaam Ahmad Hadees No. 2449- 2502}
📜 POST- NO- 14 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🌱🌱🍃🌻🍃🍃🌻
🌷SHAB E BARAT🌷
🌹 Sha’baan Ki Pandharween Raat Ka Naam Aam Istilah Me Shab E Bar’at Hey Is Raat ki Fazilat Qur’an Paak Se Ba’az Sahaba E Kiram Ki Tehqiq Se Sabit Hey..
📖(Surah E Dukhan Aayat 1-4)
🌻 ALLAH Ney Qasam Yaad Farma Kar Is Raat Ko “LAILATUL MUBARAKA” Kaha
🌹 1- Allama Aalusi; “Hazrat e Akrama aur 1 Jamat e Sahaba Is Taraf Hey Ke Is Sey Muraad Sha’ban Ki Nisf Raat (Yani Pandharween Raat Jisey Shab e Bar’at Kaha Jata He) He..
📚(Tafseer e Roohul Mua’ani)
📜 POST- NO- 15 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🕯🕯🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 2- Abu Saud; “Lailatul Mubaraka Se Murad Lailatul Bar’at (Nisf Shaban) Bhi Hey..
📚(Tafseer e Abi Saood)
🌻 3- Allama Imam Raazi; “Hazrat Akrama Aur Dusrey Sahaba Ne Kaha Ke Ye Lailatul Bara’at Hey Jo Sha’ban Ki 15th Hey”
📚(Tafseer e Kabir)
🌹 4- Allama Sawi; “Lailatul Mubaraka Se Murad Sha’ban Ki 15th Hy. Yahi Qoul Akrama Aur Kayi Dusrey Sahaba Ka He..
🌻 Is Raat k 4 Naam Hen..
🌹 1. Mubaraka
🌻 2. Rehma
🌹 3. Bar’at
🌻 4. Sak
🌹 Aur is Raat Ibadat Karna Afzal Hy.
📚(Saawi)
📜 POST- NO- 16 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🍒🍒🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 03 Muta’addid Ahadees Sey Is Shab Ki Fazilat Sabit Hey
🌻 Sihah Ki 2 Kutub Tirmizi, Ibn e Maja Ke Ilawa Musnad E Ahmed, Baheeqi, Musannaf Ibn E Abi Sheba Me Kayi Ahadees Iski Fazilat Par Mazkur Hain..
🌹 Kuch Ahadees Mulahiza Hon Jin Me Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Irshad Se Fazeelat Ki Wazeh Tayeed Hey
🌻 04 + 1- Hazrat Ali Sy Marwi; Huzoor Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ny Farmaya; “Jab Sha’ban Ki Nisf Raat Aaye To Tum Raat ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho. Beshak Guroob E Aftab Se Subeh Sadiq Tak ALLAH Paak Ki Rehmat ka Nuzool Aasman E Dunya Par Hota Hey.
🌹 Rabb Ta’ala Ki Taraf Se Aawaz Di Jaati Hey, Khabardar !! Hey Koi Jo Mujse Bakhshish Talab Karey,
Mey Usey Bakhsh dun. Khabardar !! Hey Koi Rizq Ka Taalib Ke Usey Rizq Ataa Karun. Khabardar !! Hey Koi Musibat Zada Ke Mey Usey Aafiyet Ataa Karun. Khabardar Koi Is Tarah Hy? Khabardar Koi Is Tarah Hy?”
📚(Ibn e Maja – Bab Ma Jaa’a Fi Lailatin Nisf Min Sha’ban Page #99)
📜 POST- NO- 17 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🍁🍁🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 05 + 2- Hazrat Abu Moosa Ash’ari Sy Marwi;
```Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Nay Farmaya;```
“Beshak ALLAH Azwazal Ki Rehmat Ka Sha’ban Ke Nisf Ki Raat Mey Zuhoor Hota Hy. ALLAH Azwazal Apni Tamam Makhlooq Ko Muaf Farma Deta Hay. Siwaye Mushrik, Logon Sy Bughz Rakhnay Walay, Dushmani Karny Waley”
📚(Ibn e Maja)
🌻 3- Hazrat Ayesha Sy Marwi; Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam :- “Sha’ban Ki Nisf Raat My Saal My Paida Hony Aur Fout Hony Walon, Baais E Rif’at Naik A’amal Aur Rizq Ke Asbab Likh Diye Jaaty Hen”
📚(Bahiqi Mishkat)
🌹 06 + 4- Hazrat Urwa Sy Marwi; Hazrat Ayesha; “May Ny Ek Raat Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Gum Paaya To Apki Talaash Ke Liye Nikli. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Baqee (Qabrastan) Me Aasman Ki Taraf Sar Uthaye Huey They. Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ny Farmaya… …..Beshak ALLAH Azwazal Paak Apni Rehmat E Kaamila Sy Nisf Sha’ban Ki Raat
(Shab e Bar’at) Aasman E Dunya Par Nuzool Farmata Hy. Banu Kalb Ki Bakriyon Ke Baalon Sy Zyada Magfirat Farmata Hy”
📚(Tirmizi)
🌻 Is Mazmun Ki Ahadees Muta’addid Asnad Sy Warid Huin..
📜 POST- NO- 18 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🏵🏵🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 07 + 5- Shab E Bar’at Ki Fazeelat Waly Baab Me Hazrat Abubakar Sy Bhi Tirmizi My Hadees Marwi Hy
🌻 6- Huzur Ny Farmaya; “15th Sha’ban Ko ALLAH Paak (Ki Rehmat) Aasman E Dunya Ki Taraf Nuzool Farmata Hy. Is Raat Har Gunahgar Ki Bakhshish Hoti Hy Siwaye Mushrik w Keena Parwar Ke”
📚(Behiqi)
🌹 7- Muaz Bin Jabal Sy Bi Yahi Manqool Hy..
🌻 8- Ata Bin Yasar Sy Marwi; “Koi Raat Lailatul Qadar K Baad 15th Sha’ban Ki Shab Sy Zyada Fazilat Wali Nahi”
📚(Behiqi)
🌹 08 + 9- Hazrat Ka’ab Sy Marwi; “ALLAH Azwazal Paak Jibraeel ko 15th Sha’ban Ki Shab Jannat Ki Taraf Bhejta Hy, Ke Wo Aarasta Hony Ka Hukum Puhncha Den. Or Keh Den K ALLAH Azwazal Is Raat My Aasman Ke Sitaron, Dunya Ke Din Raat, Darakht Ke Patton, Paharon Ke Wazan Aur Rait Ke Zarron Ki Ginti Ke Barabar Bandon Ko Aazad Karega”
📚(Baheeqi)
🌻 10- Akrama Sy Marwi; “15 Shaban Khuda Ki Taraf Sy Hikmat Waly Har Kaam Ka Faisla Kya Jaata Hy Zinday Likhey Jaaty Aur Haji Qalamband Hoty Hen. Phir Is Sy Na Koi Barhta Hy Aur Na Kam Hota Hy”
📚(Ibn e Jarir)
📚(Ibn e Manzar)
📚(Ibn e Abi Hatim)
🌹 Mazeed Ahadees Bhi Paish Ki Jaa Sakti Hain...
📜 POST- NO- 19 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🏵📲🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 09 Alhamdulillah Hum Ne Shab E Bar’at Par Hamara Moaqqaf Jaan Liya.
🌻 Is Hawalay Se Kye Jaane Waley Tamam Aetirazat Naqis, Gair Mayari, Jahalat Par Mabni, Musalmano ko Ibadat Sy Roknay Ki Na Paak Jasarat Aur Gumrah Karney Ki Shaitani Sazish Hai..
🌹 Aaye!! Ab Biltarteeb Inke Jawabaat Diye Jayenge
🌻 10 Jinhe Aetraaz Hey Agar Wo Arabi Parhay Huey Nahi To Kam Az Kam Hamary Islaaf Ki Is Hawaley Sy
Mustaqil Abwab Par Mabni Kutub Ke Urdu Tarajim
Parh Lein Jo Ba Aasani Mayassar Hein (Maslan
Ma Sabat Bis Sunnah, Makashifatul Quloob,
Gunyat u Talibeen,
Tuhfatul Ikhwan,
Nuzhatul Majalis,
Rukn u Din Etc)
🌹 Unhe Beshumar Ahadees Ke Elawa Mutaqaddimeen w Muta’akhireen Ke
Be Hisab Aqwal Mil Jaenge. Phir Unhe Tamak Toiyan Maarnay Ki Haajat Na Hogi.
📜 POST- NO- 20 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🍁🍁🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 11 Aetraaz #01;
Amma Ayesha Wali Hadees In Par Bohtan Hay.
🌻 Answer 1.1- Ye Buhtan Apke Khayal My Kis Ny Lagaya? Imam Ahmed Raza Ny
🌹 Ya Hazrat Urwa Ny (Ke Ye Amma Sy Rawi Hein)
🌻 Ya Tirmizi, Ibne Maja, Behiqi Aur Ibn E Abi Sheba Ny (Ke Ye Sab Naqil Hen) ?
🌹 1.2- Kya Kisi Ny Is Hadees Ki Jarah w Ta’deel Karty Huey Isko Mozu (Mangharat Ya Khud Sakhta) Kaha?
🌻 1.3- Agar Tirmizi Ny Isey Zaeef Kaha Bhi To Kya Fazail My Zaeef Riwayat Mo’tabar Nahi Hoti..?
🌹 12 1.4- Zuaf Ki Waja Ye Ke Rawiyon My Hajjaj Ny Yahya Sy
Aur Yahya Ny Urwa Sy Nahi Suna, Ye Zuaf Buhat Naram Hay
Hosakta Hy Barah E Rast Nahi, Bilwasta Suna Ho.
Ye Aeb Wo Nahi Jo Kizb Wagera Ki Tohmat Ke Sabab Paaya Jata Hy.
🌻 Sabit Hua Agar Chey Rawi Siqa Nahi
Magar Haqiqat My Ye Hadees Hi Hy. Aur Is Sy Mustahibbat Sabit Ho Sakty Hein. Musalmano ka Aqeeda Hy Ke Is Shab Ki Ibadet Mustahib Hy Na Ke Wajib, Zaeef Hadees Sy Bhi Iska Suboot Jaiz.
📜 POST- NO- 21 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🌹🌹🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 13 : 1.5- Is Hadees ko Zaeef Kaha Gaya Magar Ye Nahi Kaha Gaya Ke Kisi Hadees Sy Isko Ta’eed Hasil Nahi Hoti. Chun Ke Taeed Karny Wali Kayi Ahadees Bayan Ki Jaa Chuki Lihaza Wazeh Hogaya Ke Ye Hadees Hasan Ligairihi Hy. Aur Is Sy To Ehkam e Wajiba Bhi Sabit Ho Sakty Hein Aur Bil Ittifaq Daleel Ke Tor Par Pesh Kya Ja Sakta Hay..
🌻 1.6- Agar Maan Liya Ke Hazrat Ayesha Wali Hadees Zaeef Hy To Shab E Barat Ki Fazeelat Par Baqi Sahee Ahadees Ka Kya Hoga?
🌹 14 : Aetraaz #02; Agar Ye Hadees Sahee Bhi Ho To Qur’an Ka Inkar Hy
🌻 Answer 2.1- Ibn E Abbas Farmaty Hen; “15th Shaban Ko Tamam Umoor Ke Faisley Kar Liye Jaaty Hen Aur 27 Ramzan Ko Tamam Umoor Farishton K Supurd Kar Diye Jatey Hen” Qur’an Paak Ki Aayat E Dukhaan, Hazrat Akrama Aur Dusrey Ashab Ke Bayan, Muta’addid Sahee Ahadees Aur Mustanad Mufassireen Ke Aqwaal Ke Baad Shab E Bar’at Ki Fazilat Mey Qur’an Ki Kis Aayat Sy Takrao Ya Inkar Hy.?
📜 POST- NO- 22 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🌻🌻🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 15" 2.2- Agar Bilfarz Qur’an Pak Sy Shab E Bar’at Ki Fazilat Sabit Na Bhi Ho To Sirf Hadees E Pak Sy Sabit Hona Bi Kafi Hy. Ke Ahadees Hi Sy To Hum
Arkan E Islam (Namaz, Zakat, Roza, Hajj) Ke Ehkam Sabit Karty Hen. Agar Ahadees Ko Na Tasleem Kya Jaye To Islami Ehkam Par Amal Mumkin Hi Nahi.
🌻 16 Aetraaz #03; Aurton Ka Qabrastan Jana Mana Hy To Amma Ayesha Kyun Gayin?
🌹 Answer 3.1- Hadees; “Qabron Ki Ziyarat Karny Wali Aurton Par La’nat Ho”
🌻 Tirmizi; “Ahl E Ilm Ka Is Hadees My Ye Aetqaad Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ny Qabron Ki Zyarat Ka Jo Hukum Aur Rukhsat Farmayi,
Ye Hadees Is Sy Pehlay Ki Hy.
🌹 KyuKe Pehlay Mardon, Aurton Sabko Mumaniat Thi, Jab Ijazat Mili To Sab Ke Liye Mili
🌹 Han, Aurtein Sabar Na Karen Aur Rona Peetna Ho To Inhe Mana Hoga”
📚(Mishkat)
📜 POST- NO- 23 📜
🌻🍃🍃🌻🍃💐💐🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 17 3.2- Ek Aur Hadees Jo Musnad E Ahmed O Mishkat My Hy Ke Hazrat Ayesha Roza E Rasul Par Jab Ke Abu Bakar o Umar Bi Madfun They Jaya Karteen Wazeh Hua Ke Aurton Ka Qabron Par Jana Mutlaqan Mana Nahi.
🌻 3.3- Ibn E Maja Wa
Tirmizi Ki Hadees My Bi Amma Ayesha Ka Qabrastan Jana Aur Huzur Ka Na Rokna Is Baat Par Dalalat Karta Hy Ke La’nat Wali Hadees Pehlay Ki Hy Aur Ijazat Wali Hadees (Ibne Maja w Mishkat My) Baad Ki Hy..
🌹 3.4- Ibn E Maja o Mishkat My Hazrat Ayesha Sy Hi Marwi; “Sahib e Qabar Ko Zaair Sy Sukoon Milta Hy”
🌻 Ibne Masud sy Marwi; “Qabar Ki Zyarat Zuhad Aur Aakhirat Ki Yaad Ka Baais Hy”
📜 POST- NO- 24 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🌺🌺🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 18 Aetraaz #04;
Baqee Madina My Hy To Fazilat Wali Surat Ka Nuzul Makkah My Kyun?
🌻 Answer 4.1- Deegar Jo Tamam Ahadees Bayan Kin Is My Baqee Aur Madina Paak Ka Zikar Kahan Hay.?
🌹 Kya Ye Mumkin Nahi Ke Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ny Shab E Bar’at Ki Fazilat To Makkah Paak My Bayan Farmayi Ho Aur Amma Ayesha Madina My Huzur Ke Paas Ayin, Is Liye Unhe Us Waqt Malum Chala
🌻 Ye Bi Ho Sakta Hy Ke Inhe Ma’lum To Ho Magar Achanak Ye Khayal Na Aya Ke Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Kahan Tashrif Le Gaye.
🌹 19 4.2- Agar Aap Ye Samajhtey Hein Ke Makki Surton Ki Tamam Aayat Makki Aur Madni Soorton Ki Tamam Aayat Madani Hein To Ye Soch Sara Sar Baatil O Jhoot Hay.
🌻 Allama Suyooti; “Kayi Surat Makki Hein
Magar Un My Ba’z Aayat Madani Hen”
📚(Al-Itqan)
🌹 Pas Aapki Aetraaz Me Di Jane Wali Daleel Naqis Hay..
📜 POST- NO- 25 📜
🌻🍃🍃🌻🍃🌸🌸🍃🌻🍃🍃🌻
THE END POST LAST POST
🌻🍃🍃🌻🍃🌸🌸🍃🌻🍃🍃🌻
🌹 20 Aetraaz #05;
Nabi E Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Par Bohtan Hy Ke Itna Arsa Fazilat Ko Chupaya
🌻 Answer 5.1- Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Muta’adid Farmudat,
Kutub E Ahadees Wa Tafaseer Ki Roo Sy Hargiz Ye Lazim Nahi Aata Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Jo BASHIR O NAZEER Hein Unhon Ny Kabhi Kisi Fazilat Ko Chupaya
🌹 Ye Logo Ki Jasarat E Makruh Hay K Ek Taraf Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Par Bohtana Lagany K Liye Maahol Paida Kya Jaye Jab Ke Dusri Taraf Babarkat Raat My
Musalmanon Ko Ibadat Sy Door Rakhny Ki Shaitani Sazish Ko Taqwiyet Di Jaye..
🌻 Alhamdulillah Shawahid O Dalail k sath Jawab Mukammal Kiye Is Dua Ke Saath Ke ALLAH Azwazal Wahabi Sharr Sy Tamam Aalam Ko Mehfooz Rakhey.
Aameen Ya Rabbul Aalmeen
⚠ THE END POST ⚠
🌹🌷🌹🌷🌹🌷🌹🌷🌹🌷🌹
⏬ TO BE CONTINUED
POSTED BY
↘ FROM
👑"GULAM-E-AALA-HAZRAT"👑
🌷 TALIB E DU'AA
🌼 Jamaluddin Raza
🗒 IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE G.E.A.H FB PAGE LINK PE CLICK KRE.....
https://m.facebook.com/pg/Gulam.E.Aala.Hazrat1/photos/?tab=album&album_id=1982199195326490&ref=page_internal&mt_nav=1
📑 IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE G.E.A.H BLOGGER LINK PE CLICK KRE...
www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com/2017/04/shab-e-baraat-ki-haqeeat.html?m=0
📜VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 https://fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://instagram.com/gulameaalahazrat786/
💻httaps://twitter.com/GulamaneH?s=09
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
💐💐🍄💐💐🍄💐💐🍄💐💐
No comments:
Post a Comment