Album 2 Ke Liye Yahan Click Kre....👇👇
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🌐www.onlyrazvimp3group.in🌐
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
⚘'AZAN SE PAHELE DUROD O'⚘
⚘'SALAM PADHNE KA SUBOT'⚘
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
✔ PART'S OF 01 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🌟[ DUROOD QBL AZAN ]🌟
🎇 Ham Ne Is Series Me Bohat Si Batain Shamil Ki Hai Jise ke..
{❶} Durood Ki Ahmiyat
{❷} Durood Parhne Ka Hokum
{❸} Azan Se Qabl Durood Ka Jawaab
{❹} Bidat Ki Iqsaam
{❺} Durood Ke Seegay
{❻} Aitrazat Ke Jawabat
🎆 Is Series Me Moqay Ki Munsaibat Se Dalayil Paish Kiye Gaye Hain Is Liye Koi Bhi SMS Miss Na Kijiye Ga Warna Ho Sakta Hai Ke Baat Samjh Me Na Aye "So Stay With Us & Dont Ask Questions until you may received last SMS"
✔ PART'S OF 02 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Sab Se Pehle Ek Usool-E-Fiqah Zehan Nasheen Kar Lijiye Ta Ke Kabi Bhi Kisi Baat Me Ulajh Na Payein MUTLAQ: Allah ﷻ Ne Apne Bando Ko Jin Amaal Ka Hukum Dia Or Us Me Koi Qaid Na Lagayi
🎆 To Wo Hukum Mutlaq Kehlata Hy Jise Allah ﷻ Ne Namaz Ka Hukum Dia To Koi Qaid Na Lagayi Ke Namaz Srf Zameen Pe Hi Parhi Jaye Or Hawa Paani Me Ya Chaand Pe Namaz Maaf Hy Wuzu Ka Hukum Dia To Ye Qaid Na Lagayi K Wuzu Thanday Pani Se Kia Jaye Ya Garam Se Ya Mitti K Uper Baith Kar Kia Jaye Ya Pathar Pe
🎇 Zakat Ka Hukum Dia To Ye Nahi Farmaya K Kisi Khas Currency Me Hi Zakaat Ada Ki Jaye Ya Coins Ya Note Ki Soorat Me Bul K Sirf Apne Bando Ko Hukum Farma Dia Or Koi Qaid Na Lagayi.' Is Usool Ko Yaad Rakhiye Ga Ta Ke Agay Chal Kar Asani Ho.
✔ PART'S OF 03 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Azan Ke Sath Durood Parhna Mustahab Hy Jis Ke Parhne Se Sawab Hasil Hota Hai Or Na Parhne Se Koi Gunah Nahi Hota Aj Kal Aisa Pur Fitan Dour Aa Gaya Ke Ya To Samjhne Ki Taqat Khatam Ho Gayi Ya Hasad, Zid, Hat-Dharmi Or Bugz-e-Nabi ﷺ Ki Waja Se Samjhne Ki Koshish Nhi Ki Jati
🎆 Azan Ke Sath Durood Parhne Wale Par Ye Lazim Nahi Ke Wo Iski Daleel De Kyun Ke Tamam Kaam Asal Me Mubah (Jaiz) Hain Jab Tak In K Na-Jaiz Hone Pe Koi Daleel Qayim Na Ho Wo Jaiz Hotay Hn Yehi Aksar Ahnaaf Or Shawafi Ka Aqeeda Hy Or Yehi Motabar Hy Allah ﷻ Ke Karam Se Ham Ye Sabit Bhi Krdain Gain '
✔ PART'S OF 04 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Tamam Ashiya Asal Me Mubah Hain Jab Tak Na-jaiz Kehne Walay Is Ke Na-Jaiz Kehne Pe Dalayil Qayim Na Kar Sakain To Jaiz Maannay Walay Bagair Kisi Daleel Ke Bhi Jaiz Maan Sakte Hain Phir Bhi Ham Aap Ki Tasalli Ke Liye Dalayil Paish Karain Gen Or Maqsad Sirf Durood-O-Salam Parhne Walo Ko Mutmayin Karna Hai Kyun Ke Na-Mannay Waloun Ne To Ambia Ko Bhi Naa Mana To Durood-O-Salaam To Bahut Door Ki Baat Hay...
✔ PART'S OF 05 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
📖(Surah Ahzab Aayat :56) Allah Hukum Irshad Frmata Hay
🎇 "Be-Shak Allah Or Us Ke Farishtay Durood Bhaijtay Hain Gaib Batanay Wale (Nabi ﷺ ) Par Ay Eman Waloun Tum Bhi Un Par Durood Or Khoob Salam Bhaijo" Is Ayat Se Hamain Bohat Se Heeray Chunnay Ko Milay
🎆 ( 1 ) Allah Ne Ye Hukum Eman Wloun Ko Dia Hay Jis Se Saaf Zahir Hay Ke Durood-O-Salaam Se Sirf Wohi Mohabbat Karta Hay Jo Eman Wala Hota Hay..
🎆 ( 2 ) Allah Ne Yahan Salaam Ki Khaas Kar Takeed Ki Hay Ke Jab Bhi Momin Apne Huzoor ﷺ Ki Bargah Me Salaam Paish Kare To Huzoor ﷺ Ki Yaad Se Us Ka Seena Munawwar Ho Jaye Or Uska Eman Taza Ho Jaye.....
✔ PART'S OF 06 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 ( 3 ) Ye Ke Allah Ne Yahan Waqt Muqarrar Nahi Kia Yani MUTLAQ Farmaya Ke Durood Or Khoob Salam Bhaijo Ye Nahi Frmaya Ke Kis Waqt Bhaijo Or Kis Waqt Na Bhaijo Lihaza Wo Auqaat Jin Me Fuqaha-E-Kiraam Ne Durood Paak Parhne Se Mana Kia Hai Un Maqamat (Moqa-O-Mehal) Ke Ealawa Mana Karne Walo Ko Daleel Se Sabit Karna Hoga Ke Yahan Kyun Mana Hy....
🎆 Wo Maqamat Agay Paisah Kiye Jayen Gain...
✔ PART'S OF 07 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎆 Muslim Shareef Ki Sharah Me Imam Nawawi (631 Hijri) Frmate Hain "Ulama E Kiram Ne Sarahat K Sath Zikar Farmaya Hay K Nabi Pak ﷺ Per Durood Prhte Hoye Sirf Durood Par Iqtisar Karna Or Salam Ke Alfaaz Ko Shamil Naa Karna Makrooh Hay"
🎇 Namaz Me Bhi Attaheyat Me Salaam Or Us Ke Bad Durood E Ibrahimi Parha Jata Hay Lihaza Jab Bhi Aqa ﷺ Pe Durood Parhen To Sath Me Salam Zaroor Parhen Apko Pehle Durood Ki Ahmiyat Batai Ja Rahi Hay '
✔ PART'S OF 08 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 AHAM OR ILMI NUQTA Ye Ayat-E-Durood Arabi Qayiday Ke Lihaz Se Istimrar-O-Dawaam Par Dalalat Kar Rhi Hay Qu Ke Ismain Jumla Ismian Hay Jiski Khabar Jumla Failia Hay To Ibtida Ke Lihaz Se Ismian Hone Ki Waja Se Istimrar-O-Dawam Par Dalalat Hay Or Intiha Failia Ki Waja Se Tajaddud Per Dalalat Kar Rha Hay (YE Bat Ek Alim Ko Ba Aasani Samjh Me Aajaye Gi) Jis Ke Tehat Is Ka Matlab Ye Hoa Ke Beshak Allah Or Us Ke Farishtay Aap Par Hamesha Durood Bhajthe Rehte Hain
🎆 Jis Se Ye Faida Hasil Hoa Ke Jab Allah Or Farishtay Hamesha Durood Bhaijte Hain To phr Bando Ko Aap Par Azan Ke Sath Durood O Salaam Parhna Qu Mana Ho Ga Jab Ke Durood-O-Salam Ko Azan Ka Hissa Bhi Nahi Banaya Jata.?? '
🎇 Ye Batain Samjhane Ka Maqsad Zehan Ko Har Uljhan Se Paak Karna Hay.....
✔ PART'S OF 09 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Allah Ka Durood Bhaijne Ka Matlab Hay Ke AQAA Ka Zikar Buland Kar Ke Apko Moazzam Banaya Or ApKi Shariyat Par Ta Qayamat Amal Baqi Rakha Ye To Dunyawi In'amat Ata Kiye Gaye Ukhrawi In'amat Se Apko Is Tarah Sarfraz Kia Jayega Ke Apki Ummat Ke Haq Me Apki Shfayat-E-Khasa Ko Qubool Kiya Jayega Or Apko Azeem Ajr-O-Sawaab Ata Kiya Jayega Or Tamam Awwaleen O Akhreen Par Apki Fazeelat Ko Maqaam-E-Mehmood Par Jalwa Gar Kar Ke Zaahir Farmaya Jaye Ga.
🎆 Or Tamam Muqarrabeen Par Apko Mashhood Me Muqaddam Darja Hasil Hoga Allah Ka In Azeem In'amat Se Nawazna Or Hamesha Apko In Ka Mustahiq Tehratay Rehna Jab Sabit Ho Gya To Jo Aap Par Durood Prhte Hain Wo Apna Hi Nafa Hasil Krte Hain Or Jo Nhi Parhte Wo Sawaab Se Mehroom Rehte Hain..
✔ PART'S OF 10 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Pichlay 9 Sms Se To Har Aam Insaan Bhi Samjh Sakta Hay Ke Durood Kahan Kahan Parhna Chaiye Ke Waqt Muqarrar Nhi Magr Phir Bhi Ham Is Ke Mazeed Dalayil Denge Ta Ke Jo Parhte Hain Wo Mukammal Tour Pe Mutmayin Ho Jayen
🎆 Us Se Pehle Ham Apko Durood Ke Fazayil Batyein Gain Ta Ke Jo Loog Azan Se Pehle Or Deegar Maqamat Pe Durood Parhne Ko Na-Jaiz O Gunah Kehte Hain Wo Toba Kar Lain Yeh Mamla Bohat Aham Hai Is Liye Har Baat Ko Clear Kia Ja Rha Hai Ta Ke Shak Ki Koi Gunjayish Hi Na Rahe..
✔ PART'S OF 11 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🌹 Durood K Fazayil 🌹
🎇 [ 01 ] Hazrat Abu Huraira Se Marvi Hadees Jis Aadmi Ne Mujh Par Ek Martaba Durood Parha Allah Us Per 10 Rehmatain Nazil Farmaye Ga
📚(Muslim, Miskat)
🎆 Khayal Rahe Ke Yeh Had Kam Az Kam Hay Mulla Ali Qari Frmate Hain Ke Sawab Ki Ziyadti Ki Miqdar Kam Az Kam Biyan Ki Gayi Hay. Jitna Khuloos Ziada Hota Hay Sawaab Barhta Chala Jata Hay, Jitna Rab Ta'ala Chahe Ata Frmaye '
🌹 Durood K Fazayil 🌹
🎇 [ 02 ] Hazrat Anus Se Marvi Hadees (Mfhm) Jis Shaks Ne Mujh Par Ek Martaba Durod Parha Allah Us Per 10 Rehmatain Nazil Farmata Hay Or 10 Gunah Us Ke Mita Diye Jate Hain Or Us Ke 10 Darajat Buland Kar Diye Jatay Hain
📚{Nisayi, Miskat}
🎆 Mulla Ali Qari Is Ke Mutaliq Irshad Frmate Hain Is Hadees Ki Sanad Hasan Hay Or Ye Mutaddid Tarq Se Byan Ki Gayi Hay, Baz Se Sahee Or Baz Se Hasan..
✔ PART'S OF 12 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🌹[Durood K Fazayil]🌹
🎇 { 03 } Hazrat Ibn-E-Mas'ood Se Riwayat Qayamat Ke Din Tamama Logon Se Ziada Meray Qareeb Mujh Par Sab Se Ziada Durood Parhne Wala Hoga
📚[Tirmizi, Mishkat]
🎆 Mulla Ali Qari Mishkaat Me Iski Wazahat Youn Karte Hain (Mfhm) Jo Shaks Aap Par Ziada Durood Parhta Hay Wo Apki Azamat Ko Janta Hay Or Apki Tabedari Karta Hay Or Apki Tabedari Karne Wale Ko Apki Or Allah Ki Mohabbat-E-Kamila Hasil Hogi. Jisay Apse Mohabbat Nahi Wo Apki Tazeem Se Qasir (Door) Hay Or Apki Azamat Ko Samjh Nahi Skta Wo Yaqeenan Durood Parhne Se Door Hoga Or Doosron Ko Bhi Mana Kare Ga...
🌹[Durood K Fazayil]🌹
🎇 { 04 } Hazrat Abu Huraira Se Riwayat Us Shaks Ki Naak Khaak Alood Ho Jaye Jis Ke Paas Mera Zikar Kia Jaye Or Wo Mujh Par Durood Na Bhaijay..
📚[Tirmizi, Mishkat]
🎆 Is Hadees Se Durood Paak Ki Azamat Or Na Parhne Ki Waja Se Zillat Ka Hasil Hona Saaf Wazeh Hay..
✔ PART'S OF 13 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎆 Waqt Muqarrar Nahi- 1/3 Is Hadees Ke 3 Part Ko Gour Se Parhiye
📚[Tirmizi, Mishkat]
🎇 Hazrat Abi Bin Ka'ab Se Marwi Hay Mene Arz Ki Ya Rasool Allah Aap Par Ziada Durood Bhaijna Chata Hun Kitna Waqt Ap Par Durood Parhne Me Sarf Karoun?
🎆 Aap Ne Farmaya Jitna Chaahte Ho, Agr Is Se Bhi Ziada Kardo To Tmhare Liye Behtar Hay Mene Kahan Nisf Waqt Muqarrar Kar Loun Aap Ne Farmaya Jitna Chaahte Ho , Agr Is Se Bhi Ziada Karlo To Tumhare Liye Behtar Hay..
🎇 Mene Kaha 2/3 Khaas Kar Doun Aap Ne Farmaya Jitna Chaahte Ho, Agr Is Se Bhi Ziada Karlo To Tumhare Liye Bhtar Hay Mene Kaha (Dua Zikr Wagera Ka) Sara Waqt Aap Par Durood Bhejne Ke Liye Mukhtas (Muqarrar) Karloun Aap Ne Frmaya Ye Tmharay Aham Kamoun Ke Liye Kaafi Hay Or Tumharay Gunahoun Ko Mitaye Ga..
✔ PART'S OF 14 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎆 Waqt Muqarrar Nahi- 2/3 Nabi Kareem Sallallaho Alaihi Wa Sallalam Sahabi Ke Har Martaba Pochne Par Inhain Ikhtiyar Dete Rhe Or Ziadti Ko Behtr Qarar Dete Rahe Yahan Tak Ke Jab Sahabi Ne Arz Ki Kya Main Apni Zaat Ke Liye Duayoun Ke Tamam Auqaat Aap Per Durood Bhaijne Me Sarf Kardoun To Aap Ne Frmaya Tmhara Aisa Karna Tumhain Deen O Dunya Me Paish Anay Walay Aham Umoor Me Kafi Hoga Kyun Ke Durood Paak Allah Ta'ala Ka Zikr Or Rasool Ki Tazeem Par Mushtamil Hay
🎇 Or Isme Musalman Ke Zimmay Durood Pak Parhne Ka Jo Haq Hay Isay Wo Ada Karte Hoye Apne Maqasid Ko Rab Ke Huzoor Paish Kar Rha Hay Wo Azeem Martabay Wali Dua Hogi Or Is Andaaz Ki Dua Is Ke Achay Amaal Me Se Ek Amal Hay
📚[Az Mulla Ali Qari Makhooz Mirqaat Jild 2 Page 344 ]
✔ PART'S OF 15 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Waqt Muqarrar Nahi- 3`/3 Hadees Se Wazeh Hoa Ke Durood Prhne Ka Koi Waqt Muqarrar Nhi Ziada Se Ziada Waqt Durood Prhen Me Sarf Karay Qu Ke Durood Prhna Deen-O-Dunya Ki Mushkilaat Ka Hal Hay
🎆 Yahan Ek Ajeeb Sawaal Khatam Hogya Wo Ye Ke Jo Loog Kehte Hain Ke Musalman Allah Ke Zikr (Azan) Se Pehle Nabi Ka Zikr Shuro Krdete Hain To Unko Jawab Mil Gaya Ke Durood Bhi Allah Ka Hi Zikar Hay..
🎆 Or Iska Waqt Bhi Muqarrat Nhi Kash Ke Loog Mulla Ali Qari Ki Is Ebarat Ko Parh Lete Jab Aqaa Ne Waqt Muqarrar Nhi Kia To Dosro Ko Kya Haq Hay Ke Wo Keh Den Ke Is Waqt Durood Parhna Mana Hay..
🎇 Kaash Ke Durood Na Parhne Pe Or Durood ko Allah Ka Zikar Sabit Naa Krne Pe Koi Daleel Hi Paish Kardi Jati Jo Kabi Bhi Paish Nhi Ki Ja Skti Allah Inhain Hidyat De...
🎆 Durood Na Parhne Wala Bakheel Hazrat Ali Se Marwi hay "Wo Shaks Bakheel Hay Jis Ke Pas Mera Zikar Kia Jaye Or Us Ne Mujh Par Durood Na Parha"
📚[Tirmizi, Mishkat]
🎇 Is Hadees Se Itna Sabit Ho Gaya Ke Jis Ke Samnay Nabi Pak Ka Zikar Kia Jaye Or Wo Aap Par Durood Na Parhay To Wo Bohat Bara Bakheel Hay, Kya Koi Aisi Hadees Bhi Nikaal Kar De Sakta Hay..
🎆 Jisme Ye Zikar Ho Ke Azaan Ke Sath Durood Paak Parhne Wala Gunah Gaar Hay, Bahut Bara Mujrim Hay (Allah Ki Panah) Hadees To Door Ki Baat Qayamat Tak Kisi Muatabar Fakih Ka Qoul Bhi Koi Nahi Paish Kar Sakay Ga
📚[Mirkaat]
✔ PART'S OF 16 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎆 Durood Ke Bagair Dua Latki Rehti Hay Hazrat Umer Frmate Hain "Be-Shak Dua Zameen O Aasman Ke Darmiyan Mokoof Rehti Hay Is Ka Kuch Hisa Bhi (Maqboliyat Ke Maqam Ki Taraf) Nahi Charhta Yahan Tak Ke Tum Apne Nabi Per Durood Parho"
📚[Tirmizi, Mishkaat]
🎇 Allama Tayyibi Frmate Hain Ke Is Hadees Ki Sharah Se Behtar Ye Hay Ke Ye Kaha Jaye Ke Nabi Mushtaq Hay Nabwa Se Jiska Ma'ani Hay Riffat-O-Bulandi Yani Dua *Rab Ta'ala Ke Huzoor Maqaam Maqboliyat Ki Bulandio Tak* Us Waqt Tak Nhi Ja Skti Jab Tk Isko Buland Krne Wale Zaat Is Ke Sath Na Ho Yani Nabi Karem Sallallaho Alaihi Wasallam Par Durood Bhaijna Waseela Hay.
🎆 Is Hadees Se Ye Samjh Aya Ke Durood Dua Ki Qaboliyat Ka Zariya Hay Bagair Durood Ke Dua Latki Rehti Hay, Maqaam Maqboliyat Ki Bulandio Par Nahi Pohanch Pati. Kya Koi Hadees Ya Kisi Fakih Ka Aisa Qoul Paish Kia Ja Sakta Hay Ke Jis Me Ye Sabit Ho Jaye Ke Durood Shareef Parhne Se Azan Be Barakat Ho Jati Ya Shariyat Me Na-Maqool Ho Jati Hay
🎇 (Allah Ki Panah) Yahan Tak Chand Ahadees Ka Zikr Kia Jinse Ye Sabit Ho Chukka Ke Durood Parhna Bais-e-Sawaab Or Na Parhna Rab Ki Rehmat Se Door Hona Hay Or Durood Jab Chahay Parhay Koi Waqt Muqarrar Nhi Yahan Inhi Ahadees Per Iktifa Kia Jata Hay Warna Ahadees To Bahut Hain Per DUROOD QBL AZAN Ke Mas'alay Ko Samjhne Ke Liye Itni Miqdaar Hi Kafi Hay.
✔ PART'S OF 17 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎆 DALEEL Jab Bhi Mumkin Ho Durood Parhna Mustahab Hay Jab Ke Wahan Koi Maaney Na Paya Jaye Yani Koi Aisi Daleel Na Payi Jaye Jiski Waja Se Kaha Ja Sakay Ke Yahan Durood Parhna Mana Hay
📚[Durr-E-Mukhtar, Shami]
🎇 Maqaam Tawajja Is Ebarat Se Roz- E-Roshan Ki Tarah Wazeh Ho Gaya Ke Durood Parhna Jab Bhi Mumkin Ho Isi Waqt Mustahab Hay, Mana Hone Ke Liye Daleel Ki Zarorat Hogi Uper Wali Ebarat Jo Ke Mautabar Kitaab Se Paish Ki Gayi Jis Se Koi Bhi Aankhain Nahi Chura Sakta Isko Parhne Ke Bad Khud Faisla Kijiye Ke Kis Per Laazim Hay Ke Wo Daleel Paish Kare Parhne Walay Per Ya Roknay Walay Par..??
🎆 DUROOD OR MAQAMAAT Durood-o- Salaam Parne Or Naa Parhne Ke Aitbar Se 2 Maqamaat ka Zikar Aham HAI (Durood Parhne K Khaas Maqamaat Bhi ) Durood Naa Parhne K Maqamaat Agarche Jab Bhi Ho Sake Durood-o-Salaam Kaseer Tour Pe Parhna Mustahab Hay Lekin Chand Maqmaat Wo Bhi Hain Jin Me Khasosiyat Payi Jati Hay Or Chand Wo Hain Jahan Durood-o-Salaam Parhna Mana hay Pehle Apko Durood-o-Salaam Parhne Ke Khaas Maqamat Batayein Jayen Gain..
✔ PART'S OF 18 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🌹 DUROOD-O-SALAAM PARHNE K KHAAS MAQAMAT🌹
🎇 01. Jumua K Din
🎇 02. Jumua Ki Raat
🎇 03. Haftay K Din
🎇 04. Itwar K Din
🎇 05. Jum'arat K Din
🎇 06. Subah K Waqt
🎇 07. Shaam K Waqt
🎇 08. Masjid Me Daakhil Hote Waqt
🎇 09. Masjid Se Nikalte Waqt
🎇 10. Nabi E Kareem ﷺ K Mazaar Pur Anwaar Ki Ziarat Kartay Waq
🎇 11. Safaa Par
🎇 12. Marwa Par
🎇 13. Jumua K Khutbay Me Khateeb Ka Doraan-E-Khutba Durood Parhna (Sirf Khateeb' Muqtadi Khutba Khamooshi Se Sunay Ga)
🎇 14. Tamaam Khutboun Me Jumua K Elawa Bhi
🎇 15. Moazzin Ki Azan Sun Kar Jawaab Dete Waqt
🎇 16. Iqamat Sun Kar
🎇 17. Dua Shuroo Karte Waqt, Darmiyaan Me Or Aakhir Me
🎇 18. Wudu K Waqt
✔ PART'S OF 19 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 19. Hajj Me Talbeeh Pahne K Baad
🎇 20. Jimaa Se Pehle
🎇 21. Iftiraaq (Ek Dosray Se Bichartay waqt Jese Mulaqaat K Baad)
🎇 22. Nikaah Karne Se Pehle
🎇 23. Dua-E- Qunoot Khatam Karne K Baad
🎇 24. Koi Cheez Bhool Jane Ki Soorat Me
🎇 25. Wa'az (Bayaan) Karte Waqt
🎇 26. Dosroun Tak Ilm Pohanchatay Waqt
🎇 27. Hadees Shareef Parhne Ki Ibtida Or Intiha Me
🎇 28. Sawaal Likhte Waqt
🎇 29. Fatwa Likhte Waqt
🎇 30. Har Tasneef K Waqt
🎇 31. Parhte Or Parhatay Waqt
🎇 32. Khitaab Karne Se Pehle
🎇 33. Khatoot Me
🎇 34. Tamam Aham Kamoun Se Pehle
🎇 35. Or Khaaas Kar Nabi E Kareem ﷺ Ka Naam-E-Aqdas Suntay Waqt Chahay Ek Hi Mehfil Me Baar Baar Lia Jaye (Baaz K Nazdeeq Mehfil Me Baar Baar Naam-e-Aqdas Sun Kar Durood-o-Salaam Parhna Wajib Hay) '
✔ PART'S OF 20 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Jo Maqamat Paish Kiye Gaye Un Soorto Me Durood-O- Salaam Prhna Ziada Mustahab Hay Jab Tak Koi Maaney Sharayi (Mumaniyat) Na Payi Jaye
📚[Shaami J1 P383]
🎆 Ye To Wo Maqamat Thay Jahan Durood-o-Salaam Parhna Ziada Acha Or Mustahab (Sawaab) Samjha Jata Hay Per Koi Naa Parhay To Koi Gunah Nhi Jab K Naam-E-Aqdas ﷺ Sun Kar Kam Az Kam Ek Bar Durood-O-Salaam Parh Lia Ho K Aqaa ﷺ Ka Naam Sun Kar Durood-O-Salaam Parhna Wajib Hy Or Zindagi Me Ek Bar Parhna Farz Hay
🎇 Ab Wo Maqamat Paish Kiye Jayen Gain Jahan Durood Nhi Parha Jaye Ga Yaad Rahe Durood-O-Salaam Ka Parhna Bais-E-Sawaab Or Allah Ki Rehmat Ke Haqdaar Bannay Ka Ek Behtreen Zariya Hay Ab Jo Allah Ki Rehmat Or Sawaab Ki Bhi Daleel Mangay To Us Se Bara Bad Naseeb Koi Nahi '
✔ PART'S OF 21 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
💧DUROOD O SALAAM NA PARHNE K MAQAMAAT💧
🎇 01. Tajir Ka Kapra Kholtay Waqt Is Niyat Se Allah-o-Rasool Ka Zikar Krna K Kharidar Ko Pata Chal Jaye K Ye Umda Hy To Ye Makrooh Tehreemi Hy Agr Barakat K Iraday Se Parhay To Jaiz Bal-K Mustahab Hy Jo Shaks Kapray Per Muhafiz Muqarrar Ho Uska Bhi Isi Iraday Se Durood Parhna Makrooh Hy Kyn K Bechne Walay Or Muhafiz K Durood Parhne Me Maqsad Barakat Nahi Bul-K Aala Qism Ki Qeemat Wasool Karni Hy
🎆 02. Sharaab Baichne Walay Ka Sharab Kholtay Waqt Is Iraday Se Duroos-o-Salaam Parhna K Loog Isko Rayij Kr lain Or Acha Samjhain To Wo Shaks Gunahgaar Hoga Sharab Mehaz Ek Misaal Hy Warna Har Haraam Cheez Ka Yehi Hukum Hy Kisi Haraam Cheez Me Barakat Ki Garz Se Durood-o-Salaam Parhna Bhi Na-Jaiz Hy Kyun K Haraam Cheez Barakat Wali Nhi Ho Sakti '
✔ PART'S OF 22 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 03. Jab Ek Shaks Azeem Logo Me Se Ho To Us K Anay Per Tasbeehat Ya Durood-o-Salaam Is Liye Parhna K Loog Is K Liye Jaga Khushada Kar Dain Ya Kharay Ho Jayen To Aisa Karna Gunah Hay.
🎆 04. Mujamiyat K Waqt Yani Apni Zouja Se Ham Bistry K Waqt Durood-o-Salaam Parhna
🎇 05. Hajaat-e-Insaania Yani Paishaab Pakhana Istanja Ghusul Karne K Doraan Durood-o-Salam Parhna Be-Hurmati Hay
🎆 06. Har Qism Ki Lagzish Yani Gair Sharayee Kaam K Irtikaab Me Durood Parhna Makrooh Hay Kyun K Durood Ajr- o-Sawaab K Liye Hay Na K Gunahoun K Liye
🎇 07. Ta'ajub K Waqt, Janwar Ko Zibah Krte Waqt, Cheenkh K Waqt Baaz Fuqahaa Ne Durood Parhna Makrooh Kaha Hay K Ta'ajub K Waqt ﺳﺒﺤﺎﻥ ﺍﻟﻠﻪ Ya ﺍﻟﺤﻤﺪﻭﻟﻠﻪ Ziabah K Waqt ﺑﺴﻢ ﻟﻠﻪ ﺍﻟﻠﻪ ﺍﻛﺒﺮOr Cheenk K Waqt ﺍﻟﺤﻤﺪﻭﻟﻠﻪ Parhay Lekin Baaz Hazraat Ne Uper Bayan Kiye Alfaaz K Saath Durood Parhna Bagair Kisi Karahiyat K Jaiz Qaraar Dia Hay.
✔ PART'S OF 23 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 08. Mabe'e (Jis Cheez Ko Becha Jaa Raha Ho) Ko Mashoor Karne K Liye Durood-o- Salaam Parhna Makroo Hay Kyun K Iska Maqsad Nabi Kareem Ki Tazeem Nahi Bal K Apne Maal Ki Sohrat, Maal Ko Ziada Baichna Or Is K Badlay Maal Hasil Karna Hy. Ye Maqasid Deeni Nahi, Durood-o- Salaam Ka Haqeeqi Maqsad Inme Nahi Paya Jata '
🎆 09. Namazi Ne Doran Namaz Imam Se Muhammad Rasool Allahﷺ Yaa Qira'at Yani Quran Paak Ki Tilawat K Waqt Lafz Muhammad ﷺ Suna To Is Per Durood-o-Salaam Parhna Laazim Nahi Bal K Wo Qira'at Sunay Is Per Qira'at Ka Sunna Farz Hay. Isi Tarah Jumua K Khutba K Doraan Bhi Durood-o-Salaam Na Parhay Bal K Khutba Sunay Kyn K Khutba Ka Sunna Farz Hay..
✔ PART'S OF 24 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 10. Jab Khateeb Duran-E-Khutba Durod-o- Salam Parhne Wali Ayat Parhay To Sunnay Wala Ahista Durod-o-Salam Parh Le Ta K Dono Fazilatain Hasil Krle Yani Durod Parh Bhi Le Or Khud Ko Or Dosray K Khutba Sunnay Me Koi Khalal Waqe Bhi Na Ho Allama Qahastani K Mutabiq Or Shara Hasami Me Bhi Yehi Mazkoor Hy Or Fathul Qadeer Me Imam Abu Yousuf Ka Qoul Naqal Hay K Is Tarah Ahista Parhay K Khutba Sunnay Me Koi Farq Na Pare To Durod-o-Salam Zaroor Prhay Kyn K Is Se Dono Fazeelatain Hasil Ho Jayn Gn Khutaba Suna Jye Ga Or Salat-o-Salam Bhi Parh Lia Jeyega.
✔ PART'S OF 25 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 11. Namaz Me Akhri Qa'ada (attaheeyat) K Elawa Kisi Or Jaga Durood-o-Salam Prhna Makrooh Hy, Albatta Duya-e-Qunoot K Bad Durod- o-Salam Parhna Mustahab (sawab) Hay Isi Tarah Namaz-e-Janaza Ki Dosri Takbeer K Bad Durood Prhna Sunnat Hay
📚[Shami Jild 1 Page 383]
🎆 Alamgiri Me Hay K Tilawat K Dooran Aqaa ﷺ Ka Naam Suna To Ab Durood-o- Salam Wajib Nhi, Tilawat K Bad Durod-o- Salam Parh Le To Sawab Hoga.
✔ PART'S OF 26 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 { Last 12. } 3 Ya 4 Rak'atoun Wali Farz, 4 Rak'atoun Wali Sunnat Moakada Or 3 Rak'at Witar Namaz K Pehle Qa'ada Me Tash'hud (Attahieyat) K Bad Durood Parhna Makrooh Tehrimi Hay Lekin 4 Rak'at Waili Nawafil Or Gair Moka'ada Me Pehle Qa'ada Me (Attaheeyat) K Bad Durood Parhna Behtar Hay
📚 Raddul Mukhtar, Shaami,
🎆 Moakada: Zohar 4 Sunnat Or Baqi Tamam 2 Sunnat Gair-Moakada: Asar Or Esha Ki 4 Sunnat '
🎇 HASIL KALAAM Yahan Tak Ki Gayi Batoun Se Wazeh Hoa K Durood-o-Salam Ka Parhna Mustahab Hay, Parhay Ga To Sawab Or Na Parhay Ga To Gunah Nhi Haan Jahan Fuqaha-e-Kiraam Ne Durood-o-Salaam Prhne Se Mana Kia Hay Hmne Un Sab Ki Nishaan Dahi 📚SHAAMI Se Ki Jin Me Azaan- o-Aqamat Ka Kahin Zikar Nhi K Yahan Na Parho Aitraaz Karne Walo Ko Hamara 2nd Chellange Hay K Hamari Tarah Wo Apne Daway Ki Daleel Dikha Dain k Azaan Se Pehle Durood Mana Hy Or 1st Chellange Ye Tha K Durrod Wali Quraan Ki Ayat Me Waqt Sabit Kr Dain Yaad Rahe K Series Me Abhi Bahut Kch Baaqi Hay Ye To Shuruwat Hay So Stay With Us.
✔ PART'S OF 27 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 ' EK NAZAR Yahan Tak Hmne Ye To Sabit.. Kar Diya K Durood-o-Salaam Parhna Asal Me Allah Ka Hi Zikar Karna Hay Or Iska Waqt Bhi Khaas Nhi Siwaye Jinka Manaa Hy. Ab Aitrazat Krne Walo Ko Ek Baat To Sabit Kardi Gayi K Iska Parhna Sawaab Hay.
🎆 Ab Ye Sawaal Paish Kia Jata Hay K 'Kaam Naik Hay Per Ye Naya Kaam Hay Or Naya Kaam Jesa Bhi Ho Hamesha Galat Hota Hay' To Hm Iska Bhi Jawaab Denge Ta K Na Durood-o-Salaam Pe Ungli Uthay Or Na Hi Isko Azaan K Sath Prhne Per Chellange Yad Rkhiye Ga: (1) Ayat Me Waqt (2) Na Parhne Ki YA Azan-o-Aqamat K Waqt Parhne Se Gunah Milne Ki Daleel '.
🎇 HISTORY Azan K Bad Salat-o- Salam 781 Hijri Me Rabi-us-Sani K Mahinay Me Siwaye Magrib K Sab Azano Me Shuro Hoa, Phir Magrib Me Bhi 2 Martaba Parhna Shuro Hoa Ye Bid'at-e-Hasana Kehlati Hy Yani Naya Kaam Shuroo Hoa Lekin Acha Or Naiki Ka Kaam Hay.
📚[Durr-e-Mukhtar, Shaami J1]
🎆 Ye Ebarat Jin Kitab Se Li Gayi Hain Un Kitaabo Ko Har Bad Mazhab Bhi Maanta Hay Lafz Bid'at-e-Hasana Ko Yad Rakhiye Ga Ta K Bad Me Jab Apko Is K baray me bataya Jaye To Apko Asaani Ho. Ham Ne Ye Baat To Sabit Krdi K Durood Bhi Allahﷻ Ka Zikar Or Sawab Ka Kaam Hay. Ab Ye Naya Kam Krna Gunah Ya Sawaab' Ab Ham Ye Bateyin Ge...
✔ PART'S OF 28 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Allama Sakhawi Ki Tasneef Al Qoulul Badee Se Manqool Hay K Durood-o-Salaam Ki Ibtida 791 Hijri Me Sultan Salah Uddin Ayubi K Hukum Se Hoi. Pehle 781 Ka Zikar Ho Chuka Hay, Maqsad Ek Hi Hy K Pehle Peer Or Jumua Ki Azaano Me Ibtida Ho Or 10 Saal Baad 791 Me Tamam Azano Me Durood-o-Salaam Parhna Shuroo Kar Lia Gaya,
🎆 Azan K Sath Durood Kyun Shuro Ki Gaya, Aitrazat, Bid'at Hasana, Badmazhab K Ghar Ki Gawahi Or Bht Kuch
🎇 REASON 1/3 Allama Abdul Wahab Suhrani Frmate Hain Hamaray Sheikh Ne Bataya K Misr Me Raafzio K Dour-e-Hukumat Me Us Waqt K Khalifa Or Us K Wuzara Per Salaam Parhne Ki Buri Bid'at Shuroo Ho Gayi Thi. Jab Adil Baadsha Sultan Salah Uddin Ayoobi Ne Hukumat Samhali To Inho Ne Is Buri Bid'at Ko Khatam Karwaya Or Moazzineen Ko Hukum Dia K Nabi Kareem Per Salat-O-Salaam Parha Karo Or Ye Hukum Tamam Deehatoun Me Nafiz Kardia. Allah Inhain Behtar Jaza Ata Frmaye
📚[Kashful Gumma Jild 1 Page 78 Misr]
🎆 Is Ebarat Me 2 Cheezoun Pr Khasosi Tawajja Frmayen
Cont... Hamaray 2 Chellange Yaad Rakhiye Ga
✔ PART'S OF 29 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 [ REASON 2/3 ] Ek Cheez Ye K Badsha Or Us K Wuzara Pe Salaam Parhne Ki Buri Bid'at Ko Khatam Kia Gaya Jis Se Pata Chala K Buri Bidat Ko Mitanay Ki Garz Se Acha Kaam Shuroo Hoa K Rasool Allah ﷺ Per Durood-O-Salaam Shuroo Parha Janay Laga.
🎆 Doosri Cheez Ye Hai K Allama Shurani Ne Akhir Me Bhtar Jaza Ki Dua Tehreer Kar K Ye Sabit Kar Dia K Aqaa ﷺ Pe Azaan K Waqt Durood O Salam Parhna Acha Fail Hay Or Ejaad Karne Wala Jaza Ka Mustahiq Hay.
🎇 [ REASON 3/3 ] Azan K Sath Durood-o-Salam Jaari Hoye 7 veen Sadi Jari Hay Ahl-e-Ilm Ne Iski Tareef Ki Or Isko Acha Fail Qarar Dia Or Ejaad Karne Waloun K Liye Jaza-e-Khair Ki Dua Ki Hai Jab Azeem Fuqaha-e-Kiram K Ye Nazariyat Hain To Aam Logo K Aqwaal Ko Kya Hasiyat Hasil Hay Koi bay-Aqal Na Manay To Na Manay kisi kam-Aqal K Aqwaal Kya Un Hastioun Ka Muqabla Kar Saktay Han???
🎆 Jin Me Allama Shami, Allama Sakhawi Or Allama Shurani hain Jinko Dunya-e-Islam ka Har Tabqa-e-Fikar Or Bad-Mazhab Bhi Izzat-o-Ahtraam Se Daikhta Or Un K Aqwaal Ko Dil Se Maanta Hay???
✔ PART'S OF 30 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Kisi Kaam Ko Na Krne Ki Kam-Az-Kam Soorat Makroh Tanzihi Hay Yani Jis Kaam Ka Na Karna Behtar Hota Hay Lekin Is Kaam K Karne Par Koi Gunah Lazim Nahi Ata Magar Is Darjay K Makrooh Ko Sabit Karne K Liye Bhi Daleel Ki Zarorat Hay.
🎆 Sirf Zaban Se Ye Keh Dena K Ye Makroh Hay 'KAFI NAHI' To Durood Qabl Azan Ko Gunah Sabit Karne K Liye To Boht Moutabar Daleel Paish Karni Hogi Jo Qur'an O Hadees Se Sabit Ho Par Kabhi Bhi Paish Nahi Ki Ja Sakti..
🎇 Moatabar To Door Ki Baat Kabhi Kisi Buzurg Ka Qoul Bhi Paish Nahi Kar Saktay Abhi Tak To Apko Ham Ne Daleel Se Sabit Kia Hai K Durood Parhna Jaiz Bal K Bais-e-Sawaab Hay Or Kahin Iski Nafi Nhi Ayi Bad-Mazhab Allah- o-Rasool Ki Baat To Mantay Nahi Kya Pata Apne Molvio Ki Maan Lain Jo Agay Aye Gi.
✔ PART'S OF 31 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Mustahab Par Amal Na Krne Se Krahiyat Sabit Nhi Ho Skti, Makrooh Ko Sabit Krne K Liye Khaas Daleel Ki Zarorat Hay.
📚[ Shami Jild 1 Page 618 ]
🎆 NOTE 1. Ek Mustahab Wo Jisko Na Krna Behtar Hy Or Kar Bhi Lia To Koi Harj Nhi 2. Ek Mustahab Wo Jisko Kia To Sawab Or Na Kia To Gunah Nhi Par Chourna Behtar Nhi Mustahab Me Daleel Ki Zarorat Nhi.
🎇 3. Makrroh Tanzihi Jisko Na Krna Behtar Hy Or Daleel Ki Zarorat Hy 3. Makrooh Tehrimi Jsko Karne Se Shariyat Ne Mana Kia Or Daleel Lazmi Hogi Qaida Yad Rakhiye K 1st Wale Ko Bhi Ham Makrooh Tanzihi Nhi Keh Saktay Kyn K Tanzihi K liye Daleel Ki Zaroorat Hay
🎆 To Jo Kaam Karna Mustahab Ho Usko Makrooh Kehne Ka To Sawaal Hi Paida Nhi Jo Loog Azaan Se Pehle Durood-o-Salam Ko Tnzihi Kehte Hain, Wo Daleel Paish Karin Or Jo Bay-Deen Isko Tehrimi (Gunah) Kehte Hain Un Ko To Laazmi Daleel Paish Krni Hogi Bore Na Houn Ye Batain Zarori Hain Ta K Aitrazat Krne Walo Ka Har Rasta Band Kr Dia Jaye..
✔ PART'S OF 32 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 MAZAY KI BAAT Kya Apko Maloom Hay K Makrooh-e-Tanzihi Ko Jaiz Bhi Kaha Jata Hy Daikhain Na-Jaiz Kaam Karna To Mana Hy Na Or Us Na-Jaiz Ko Naa Kia Jaye Ga Lekin Tanzihi Me To Na Karna Behtar Hy Or Agr Kar Bhi Lia To Koi Harj Nahi To Hoa Na Ye Jaiz..???
📚 [Ye Sahmi Ki Ek Ebarat Ka Khulasa Hy J1 P89]
🎆 Agar Bay-Aqal Apne Paas Se Ek Jhooti Daleel Bhi Bana Kar Le Ayen Or Durood-o-Saalm Qabl Azaan Ko Makrooh-e-Tanzihi Bhi Sabit Kar Dn Bhalay Wo Jhooti Hi Daleel Kyun Na Ho Tab Bhi Wo Isko Na-Jaiz Sabit Nhi Karsaktay..
🎇 Hamara 3rd Chellange K Gunah, Haraam, Na-Jaiz, Makrooh-e-Tehrimi-o-Tanzihi To Sabit Karna Door Ki Baat Bay-Aqal Or Bad Deen Yehi Sabit Kardain K Ye Sahi Nahi..??
🎆 Haram-o-Gunah To Wo Sabit Hi Nhi kar Saktay Azan Se Pehle Bhi Or Bad Bhi..
✔ PART'S OF 33 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Bad Mazhab K Aitrazat K Jawabat Dene, In K Ghar Ki Gawahi Dene Or Inki Haqeeqat Ko Wazeh Karne Se Pehle Ham Apko Har Baat Se Agah Krdena Chahate Hain Ta K Apko Bhi Haqeeqat Maloom Ho Jaye K Bad Mazhab Kis Tarah Logo Ko Ulti Or Tehri Batoun Me Ghuma Kar Asli Haqeeqat Chupatay Hain Pehle Kuch Wazahat Mustahab Or Sunnat K Baray Me Karna Zarori Hay..
🎆 SUNNAT Sunnat 2 Tarah Ki Hain 1.Moakada: Wo Kaam Jisko Aqaa Ne Adat Banaya Ho Or Jaan Kar Iradatan Kabhi Kabhi Tark Bhi Kia Ho 2.Gair Moakada: Wo Kaam Jisko Aqaa Ne Kabi Kia Or Kabhi Na Kia MUSTAHAB Mustahab Ki 03 Iqsaam Hain..
✔ PART'S OF 34 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 `MUSTAHAB 1.Sunnat Gair Maokada 2.AQAA Ne Jisay Sirf Pasand Kia Ho Par Amal Na Kia 3.Ulama O Fuqaha Ne Jisko Pasand Kia Or Amal B Kia ' Ab Azaan K Sath Durood-o-Salam Parhnay Ko Mustahab Na Kaha Jaye To Kya Kaha Jaye???
🎆 Ye Wo Kaam Hay Jis Pe Ullama-o- Fuqaha Kayi Sadiyoun Se Amal Kar Rhe Hain In Tamam Behas Se Saaf Zahir Hay K Ye Amal Kesa Hay, Ab Is K Bawajood Is Kaam Se Roknay Walo Ko Allah Azwazal Hidayat De. Ab Bad Mazhab K Aitrazat K Jawabat Or Akhir Me Un K Ghar Ki Gawahi Lekin Abhi Tak Hamary 3 Chellange K Jawab Nhi Aye.
🎇 (1) Ayat Me Waqt Dikhyen
🎆 (2) Na Parhne Ki Ya Azan-o-Aqamat K Waqt Parhne Se Gunah Milne Ki Daleel
🎇 (3) Sirf Sabit Kardain K Ye Sahi Nahi Hay (Gunah, Haraam, Na- Jaiz, Makrooh-e-Tehrimi-o-Tanzihi To Sabit Karna Door Ki Baat)
✔ PART'S OF 35 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Farameen Ka Mafhoom
🎆 ( 1.) Jis Kaam Se Pehly Allah Ki Hamd Na Ki Gaei Ho Or Mujh Pe Durood Na Parha Gaya Ho Us Me Barakat Nahi Hoti.
📚 [ Kanz-ul-Umaal Jild 1 Page 279 H2507 ]
🎇 ( 2. ) Her Aisa Kam Jis Me Allah Ka Zikar Na Kia Jaye Or Us Ki Ibtida Zikr-e- Ilaahi Or Mujh Par Salat-o-Salam Se Na Ki Jaye To Wo Barkat Se Khali Hay..
📚[ Jami-us- Saghir 2/91 ]
🎆 Aap Apne Iman Se Bataen K Kya Azaan-o-Iqamat Ach'cha Kaam Nhi Hay?
🎇 Yaqinan Jawab Haan Me Hoga To Is Se Pehly Durood-o-Salaam Parhna In Ahdees Pe Amal Huwa K Nhi.?
🎆 Chellange K Jawab Nhi Aye (1) Ayat Me Waqt Dikhyen (2) Na Parhne Ki Ya Azan-o-Aqamat K Waqt Parhne Se Gunah Milne Ki Daleel (3) Sirf Sabit Krdain K Ye Sahi Nahi Hay.. (Gunah, Haraam, Na-Jaiz, Makrooh-e-Tehrimi-o-Tanzihi Sabit Karna Door Ki Baat)
✔ PART'S OF 36 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 AITRAZ Azan K Sath Durood-o-Salam Aqaa Sallallahu Alaihi Wasallam Or Sahaba Radiallahu Anha K Zamanay Me Nahi Tha Bul K Kafi Baad Me Shuroo Hoa To Ye Bid'at Hoi Or Bid'at Jahannum Me Le Janae Wala Kaam Hy Jesa K Hadees Me Bhi Aya To Azan K Sath Durood-o-Salam Parhna Gumrahi Or Gunah Hay
🎆 JAWAB Aitraz Krne Waloun Ko Srf Ek Hi Hadees Nazar Aayi, NaHi Dosri Ahadees Nazar Aayi Or NaHi Shariheen Ki Behas Nazar Ayi, Darasal ZID or MAIN NA MANOO Ka Koi Elaaj Nhi Aiye Ham Apko Batatay Hain:
🎇 1.Doosri Ahadees 2.Bid'at Ki Haqeeqat 3.Is Ka Jawaaz Or Akhir Me In K GHAR KI GAWAHI Is Liye Yahan Se Koi Sms Miss Na Kijiye..
🎆 Dosri Ahadees Or Ulama K Aqwaal: Hazrat Ibn-E-Mas'ood Frmate Hain Jsko Musalman Acha Janain Wo Kaam Allah Azwazal Ke Nazdeek Bhi Acha Hay. Lekin Ye Khayal Rahe Ke Musalmaan Se Murad Aam Loog' Juhala' Fasiq-O-Fajir Nhi Hain Ke Jo Har Buray Kaam Ko Bhi Acha Smjhtay Hain Bul Ke Wo Musalmaan Murad Hain Jo In Me Aala Or Umda Hn Jese K Ulama-o-Muttaqeen.
🎇 Allah Azwazal Hamain Bhi Dunya-o-Akhirat Me Inhi Me Se Kr De Ameen (Mualla Ali Qari, Mirqaat) Achay or Naye Kaam ka Tafseeli Jawab Ham Bid'at Ki Behas Me Prhain Gain Ab Apko Aqli Or Ilmi Daleel Se Samjhatay Hain K Ye Kahan Se Sabit Hay Magar Chellange Ka Jawab Nhi Aya..
✔ PART'S OF 37 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Pichli Hadees Se Ye Wazeh Ho Gaya K Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Or Sahaba Or Tabayeen Or Taba Tabayeen K Bad Ulama, Sulaha, Zahideen- o-Muttaqeen Jis Kaam Ko Acha Kahain, Wo Allah Azwazal Ko Bhi Pasand Hoga Kyn K Iskay Naik Or Mehboob Bandon Ko Pasand Hay...
🎆 Isi Hadees Ko Fuqaha Ne Kayi Masayil Me Daleel Banaya Hay Or Allama Shaami Ne Isko MAS'ALA-e-TASWEEB Me Bhi Batour-e- Daleel Paish Kia Jo Ham Apko Bid'at Se Pehel Batayn Ge Ab Mukhtalif Dalayil..
🎇 Ahadees 1. Jab Tum Mo'azzin Se Azan Suno To Jis Tarah Kahe, Usi Tarah Kaho Phr Mujh Pr Durood-o-Salam Parho Or Mere Wasilay Se Dua Maango.
📚( Mishkat Sharif P 64 )
🎆 ( 2. ) Jab Mo'azzin Se Azan Suno To Tum Bhi Wohi Alfaz Kaho, Phr Mujh Pir Darood Bhejo
📚( Tirmizi J2 H1459 Fareed Book Stall Lhr )
🎇 ( 3. ) Jab Tum Moazan Se Azan Suno To Wohi Kalimat Kahu Jo Moazan Ne Kahe Or Mujh Per Durood Bhejo
📚( Muslim 1/166 )
🎆 Ye Kese Ho Sakta Hy K Azan K Bad Durood-o-Salam Jaiz Or Pehle Na-Jaiz-O-Gunah Ho??
🎇 Agr Aisa Hota To Aqaa Sallallahu Alaihi Wasallam Khud Farma Dete K Pehle Parhna Na-Jaiz Hy Sirf Bad Me Hi Parhna Agay Or Bhi Chellange Hain.
✔ PART'S OF 38 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Hazrat Urwa Bin Zubair Se Riwayat Hy K Bani Najjaar Ki Ek Sahabia Ne Frmaya K Masjid E Nabwi K Gird Jitne Ghr Thy. Mera Ghr In Me Sbse Buland Tha.
🎆 Hazrat Bilal Ki Azan Isi Par Kehte Thy. Wo Pichli Raat Aakar Makaan Ki Chat Pr Beth Jate Or Fajar Talu Hone Ka Intazar Krte Rehte Jab Usy Dekhte To Angrai Lete Or Kehte "Aye Allah! Me Teri Hamd O Sana Beyan Krta Hun Or Quresh K Muqabale Me Teri Madad Chahta K Wo Tere Deen Ko Qaim Karen" Wo Frmati Hain K Phir Azan Kehte Inka Beyan Hy K Allah Ki Qasam Mere Elm Me Aesi Ek Raat Bhi Nhi K Jab Unhone Ye Alfaaz Na Kahen Ho.
📚[Abu Dawod Jild 1 Hadees 516 ]
✔ PART'S OF 39 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 Quraan Me Hy Mfhom Hame Uske Rasty Pe Chala Jin Pe Tune In'aam-O-Ahsaan Kiya
📖(Sura Fatiha)
🎆 In'aam Yafta Kon.
[ 1. ] Nabi
[ 2. ] Siddiq
[ 3. ] Shuhada
[ 4. ] Sualiheen
📖(Sura Nisa 69)
🎇 Sualiheen Me Allama Shami, Allama Sakhavi, Salah-Uddeen Ayobi Bhi Dakhil Hain In Sub Ny Azan Se Pehly Or Bad Durod-O- Salam Parhna Jaiz Kaha Or Qur'an Ne Inke Tariqe Pe Chalne Ka Hukum Diya Or Ham Ne In K Taiqay Ko Qayim Rakha To Ab Qur'an Ka Munkir Kon Huwa? Faisla Apka.?
🎆 EK NAZAR Yahan Tak Durood-o-Salaam K Baray Me Bataya:
[ 1.] Ayat Me Waqt Ki Qaid Na Hona
[ 2. ] Parhne K Fazayil Or Na-Parhne Ka Wabaal.
[ 3. ] Parhne Or Na-Parhne K Maqamaat
[ 4. ] Allah Ka Hi Zikar Hona
[ 5. ] History
[ 6. ] Shuro Karne Ki Waja
[ 7. ] Sunnat Or Mustahab
[ 8. ] Jaiz Or Na-Jaiz
[ 9. ] Ahadees Me Aham Or Achay Kaam Se Pehle Parhne Ki Takeed
[ 10. ] Allah K Nazdeek Naik-Musalmano K Achay Kaam Ki Ahmiyat
[ 11. ] Ahadees Me Azan K Bad Parhne Ka Hukum Or Pehle Parhne Se Naa-Mana Krna
[ 12. ] Pehle Parhne Ka Jawaaz
[ 13. ] Seedhay Raastay Pe Chalne Ka Tariqa Ab Chellange Phir Bid'at, Salaat Or Last Me GHAR KI GAWAHI.
✔ PART'S OF 40 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 TASWEEB# 1/6 Tasweeb Ye Hy K Azaan K Bad Jama'at Tayyar Hone Wali Hoto Phir Aelaan Kia Jaye.
📚[Durr Mukhtar Baab Azan]
🎆 Tasweeb Sirf Moazzin Hi Kahay Koi Dosra Na Kahay Tasweeb Tamam Namazoun K Liye Jaiz Hay Kyun K Loog Deeni Maamlat Me Bahut Sust Ho Chukay Hain Yani Logo Ko Yaad Dilanay K Liye Azaan Or Iqamat K Darmiyaan Ailaan Karna Tasweeb Ko Ulamay-E-Mutakhireen Ne Ejaad Kia Jo Magrib K Elawa Tamaam Namazoun K Liye Jaari Kar Di Gayi Aksar Masajid Me Tasweeb Jari Hy..
🎇 Or Azan Or Iqamat K Beech Me Khaas Kalimaat K Zariye Logo Ko Yaad Bhi Dilaya Jata Hay K Jama'at Ka Waqt Hone Wala Hay..
✔ PART'S OF 41 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 TASWEEB# 2/6 Tasweeb Is Liye Jaiz Hy K Sahaba-O- Tabayeen K Bad Ulama Ne Isay Pasand Kya Or Naik Musalman Jis Kaam Ko Pasand Krein Wo ALLAH AZWAZAL K Nazdeek Bhi Acha Hay..
🎆 Jo Ham Apko Bata Chuke Han Fajar Ki Azan Me Jo Izafi Alfaz Hn Wo Hazrat Bilal Ne Kahe To Aqaa Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Usko Pasand Frma Kr Azan Me Shamil Kardia Lekin Ye Ikhtiyar Sirf Aqaa Ko Hy K Azan Ka Hissa Bana Dia Is Liye Duroo-o-Salam Or Tasweeb Ko Azaan Ka Hissa Nahi banaya Gaya..
🎇 Jesa K Azan Or Durood-o-Salam Me Waqfa Or Awaaz K Andaaz Ka Farq Kia Jata Hy K Ye Azan Ka Hissa Nhi Chellange: Koi Sabit Karde K Durood-o-Salam Azan Ka Hissa Nahi Hay..
🎆 TASWEEB# 3/6 Har Wo Alfaz Jaiz Hn Jin Se Namaz Ka Waqt Yaad Ajaye ILMI NUQTA: Hazrat Umer K Paas Makka K Moazzin Aye Ta K Apko Namaz Ki Ittila Dain To Aap Ne Inhain Daanta K Tumhari Azan Hamaary Liye Kafi Hy Imam Yusuf Ne Bhi Sirf In Logo K Liye Jaiz Kaha Jo Maslihat K Kamoun Me Masroof Rehte The..
🎇 Jese Qazi Mufti, Mudarris Wagera Magar Phir Bhi Ulama-E-Mutakhireen Ne Isko Pasand Kar K Mustahab Qarar Dia GOUR KIJIYE
🌃 ( 1. ) Hazrat Umer Ne Na-Pasand Kia
( 2. ) Imam Yusuf Ne Qaid Laga Kar Jaiz Kaha
( 3. ) Ulama-E-Mutakhireen Ne Mustahab Ka Darja Dia Bid'at Ki Rat Laganae Waloun Kuch Samhj Aaya?
✔ PART'S OF 42 ✔
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
🎇 TASWEEB# 4/6 Nhi Samjh Aya?? Ham Samjhate Hn Hadees Mfhm Jis Shaks Ne Musalmano Me Koi Naik Tariqa Jari Kia Or Is K Bad Is Tariqe Par Amal Kia Gya To Is Pr Amal Krne Walo Ka Ajar Bhi Ise (Jari Krne Waly) Ke Nama-e-Amal Me Likha Jaega.. Or Amal Krne Walo K Ajar Me Kami Na Hogi
📚 {Muslim Jild 2 Page 341}
🎆 Ab Faisla Musalman Karen Sirf Musalman K Durood-o-Salam Parhna Acha Ya Bura?
🎇 Agar Acha Amal Hy To Ejaad Krne Or Parhne Waloun Ko Sawaab Or Jis Badbakht Ko Parhna Gunah Lagta Hay To Usko Gunah Hi Milta Hoga Chahay Namaaz Me Hi Parhay Ye To Apna Apna Naseeb Hay. K Musalman Bano Ya Iblees
🎆 TASWEEB# 5/6 Ab Khud Apne Dil-o-Dimaag Se Batayen K Jab Ek Naya Kam Yani Azan Or Iqamat K Beech Namaaz K Liye Tasweeb Ko Ulamay-e- Mutakhireen Ne Mustahab Ka Darja Diya To Wo Durood-o-Salaam Jis Ki Fazeelat K Liye Itna Hi Kafi Ho K Ye *ALLAH Azwazal Ki Sunnat Hay* To Kya Iska Parhna Gunah Ho Sakta Hy??
🎇 Jab K Isko Azaan Ka Hissa Bhi Nahi Banaya Jaa Raha Or Is Ko Bhi Ullama Ne Mustahab Qaraar Dia..
----------------------------------------------
Album 2 Ke Liye Yahan Click Kre... 👇👇
No comments:
Post a Comment