✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯
🌎• www.onlyrazvimp3group.in •🌎
✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯
✥FITNA E DAJJAL✥
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 01 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
{ 1 } MASEEH DAJJAL KA ZAHOOR
{ 2 } DAJJAL KAHA HAI
{ 3 } DAJJAL KAUN HAI
{ 4 } DAJJAL KA HULIYA
{ 5 } DAJJAL KA FITNA
{ 6 } FITNA E DAJJAL Kl SHIDDAT
{ 7 } FITNA E DAJJAL Kl MUDDAT
{ 8 } DAJJAL K PAIROKAAR
{ 9 } DAJJAL K KHILAAF JIHAAD
{ 10 } DAJJAL MAKKA MUKARRAMA AUR MADEENA MUNAWWARA MAI DAKHIL NHI HO SAKE GA
{ 11 } AHLE EMAAN KO ALLAH TA'ALA FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAKKHEYGA
{ 12 } FITNA E DAJJAL SE PANAH TALAB KARNE Kl DUAYE..
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 02 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
🌷Bismillahirrahmanirraheem🌷
🌷ALLAH ﷻ KE NAAM SE SHURU JO BADAA MEHER'BAAN NIHAYAT RAHEM WALA HAIN🌷
📛 [MASEEH DAJJAL KA ZAHOOR]
♻ Maseeh: Arabi zubaan mai maseeh k mukhtalif maana hai jinme se baaz ye hai:
♻ kisi cheez ko poojne wala, kisi cheez par haath pherne wala, kisi bimari k liye aafiyat ki dua karne wala, aur bahut zayada sach bolne wala, bahut jayada safar karne wala, Hazrat Isa Alaihis Salaam k liye maseeh lafz inhi maanoo mai istemaal hota hai.
♻ Maseeh k dusre maana ye hai aankh se kana, bahut zayada jhoot bolne wala, bahut jayada safar karne wala dajjal ko maseeh inhi dusre maana mai kaha gaya hai,
♻ Yaad rahe k dajjal mubalaga ka segaa hai jiska matlab hai bahut jayada jhoot bolne wala ya bahut zayada fareeb dene wala.
📛[QAYAMAT SE QABL DAJJAL ZAHIR HOGA]
📛[DAJJAL K KHUROOJ KI IBTIDA IRAAN K SHEHAR KHARASAAN SE HOGI]
♻ Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah ﷺ Sallallahu Alaihi
Wa Sallam ne aagah farmaya: "Dajjal mashrik ki sarzameen se niklega jiska naam kharasaan hai chamda bhari dhaloo jese chehre wale loog uske saath honge".
📚(Ibne maja Kitabul Fitab Hadees no. 3291)
♻ Wazahat: chamda bhare dhaloo jese chehre se muraad goosht se parchapte chehte wale muraad hai..
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 03 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛[DAJJAL KA ZAHOOR AESE WAQT HOGA JAB LOOG US SE BILKUL GAFIL HONGE]
♻ Hazrat sa'ab bin jasama Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah ﷺ Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna hai "Dajjal zahir nhi hoga magar us waqt jab loog use bilkul bhool chuke honge hatta k a'imma (Masajid) mimbaro par uska zikr karna bhi chood denge".
📚{ Musnad Ahmad Hadees no. 229 }
📛[ KISI BAAT PAR GAZAB NAAK HONA DAJJAL K KHUROOJ KA SABAB BANEGA ]
♻ Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah ﷺ Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal ka loogo k saamne nikane ka pehla sabab uska gussa hoga jo use gazab naak bana dega".
📚{Sahih Muslim Kitabul Fitan}
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 04 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
🚫( DAJJAL KAHA HAI? )
📛 DAJJAL BAHAR HIND K KISI NA MALOOM JAZEEREY PAR ZANJEERO SE JAKDA HUA HAI
♻ Hazrat Fatima binte kais Razi Allahu Anha se riwayat hai k ek raat Rasool Allah ﷺ Sallallahu Alaihi Wa Sallam isha ki namaz k liye k liye dair se tashreef laye aur farmaya:
♻ Mujhe tameem daari (ek isayi aalim jo baad mai musalman ho gaye) ki un baato ne rook liya tha..
♻ jo wo mujhse keh raha tha tameem ne ek aadmi k hawale se mujhe bataya k wo aadmi samundar k kisi jazeere par (kashti k samundari toofaan mai phans jane ki waja se) pahunch gaya jahan use ek aurat mili jo apne baalo ko khinch rahi thi, is aadmi ne aurat se pucha: turn kaun ho?
♻ Aurat ne jawab diya mai (dajjal ki) jaamoos hu tu zara is mehal ki taraf aa, mai us Mehal me Chala Gaya...
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 05 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
♻ wahan mene ek aadmi dekha jo baalo ko khinch raha tha wo zanjeero mai jakda hua tha aur zameen wa aasman k darmiyaan uchal kood kar raha tha mene pucha: turn kaun ho?
♻ Us aadmi ne jawab diya mai dajjal hu, phir dajjal ne pucha kya ummiyo k nabi zahir ho gaye? us aadmi ne jawab diya nan, dajjal ne pucha loogo ne uski ita'at ki ya nafarmaani? us aadmi ne kaha ita'at, dajjal ne kaha ye unke liye accha hai.
📚[ Abu Dawood Kitabul Fitan Hadees no. 3636 ]
♻ Hazrat Fatima binte kais Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah ﷺ Sallallahu Alaihi
Wa Sallam ne farmaya: "Aagah raho, dajjal shaam ya yaman k samundar mai
mojood hai (phir farmaya) nahi balke wo mashrik ki taraf hai wo mashrik ki taraf hai wo mashrik ki taraf hai phir aap ﷺ Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne haath mubarak se mashrik ki taraf ishara kiya".
📚[ Muslim Kitabul Malahim ]
♻ Wazahat: Rasool Allah ﷺ Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pehle shaam ya yaman k samundar ka zikr farmaya phir uski tardeed farma kar takeed k sath mashrik k Kisi samundar ka zikr farmaya
♻ Shaari'heen E hadees ne iski wazahat mai ye likha hai k Aap ﷺ Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka pehli baat ki tardeed farma kar dusri baat ki teen martaba taakeed farmana wahi E ilahi ki bina par tha..
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 06 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛{DAJJAL KAUN HAI?}
⛔ MADINE K YAHOODI GHAARANE MAI PAIDA HONE WALA "SAAF" DAJJAL HAI JO PEHLE ISLAAM LAYA LEKIN BAAD MAI MURTAD HO GAYA.
〽SAAF KI KANEET IBNE SIYAAD YA IBNE SAA'ID HAI
♻ Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai ibne saa'id ne mujhse kuch baate ki jinki wajah se mujhe (use bura kehne mai) sharam mehsoos hui..
♻kehne laga mene apne baare mai loogo se maazrat ki (k mai dajjal nahi) lekin ae ashaab E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! maloom nhi tumhe mere baare mai kya (gumaan) ho gaya hai, Kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne nahi farmaya:
♻ ke dajjal yahoodi hoga aur mai to musalmaan hu, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: dajjal ki aulaad nhi hogi aur meri aulaad hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Allah ta'ala ne dajjal ka makka mai dakhil hona haraam kiya hai aur mene to hajj kiya hai wo aesi baate karta raha kareeb tha k mai uski baato par yaqeen kar leta lekin saath hi usne kaha:
♻ Allah mai acchi tarha jaanta hu dajjal is waqt kaha hai us k maa baap ko pehchanta hu loogo ne ibne saa'id se pucha tujhe pasand hai k tu hi dajjal ho? kehne laga agar mujhe banaya jaye to mai napasand nhi karunga..
📚[Sahih Muslim Kitabul Fitan]
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 07 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
♻ Hazrat Abdullah bin mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they hamara guzar baccho se hua jinme ibne siyaad bhi tha, tamaam bacche bhaag gaye lekin ibne siyaad baitha raha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat buri lagi Aap Sallallahu Alaihi Wa
Sallam ne farmaya:
♻ "Tere haath gubbar aalood ho kya tu gawahi deta hai k mai Allah ta'ala ka Rasool hu?" wo bola "Nahi" "phir ibne siyad kehne laga kya tu (yaani Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam) gawahi deta hai k mai Allah ka Rasool hu?", Hazrat Umar Razi Allahu Anhu (jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they) ne kaha:
♻ Ya Rasool Allah Sallallahu Alaiahi Wa Sallam mujhe ijazat de mai ise qatal kardo, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Agar ye wahi hai jiska tujhe shak hai (yaani dajjal) to phir tu ise qatal nahi kar sakta" (aur agar koi aur hai to ise qatal karne ka faida nahi).
📚[Sahih Muslim Kitabul Fitan]
♻ Ahle ilm ki tehqeeq k mutabik ibne siyaad hi wo dajjal hai jise Allah ta'ala k huqm par farishto ne kisi jazeere mai band kar rakha hai aur qayamat k kareeb wo zahir hoga agarche wo madina mai paida hua aur makka madina mai hajj kiya lekin jab wo fitna paida karne k liye zahir hoga to makka mai dakhil ho sakega na madina mai jesa k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pesheeen gooyi farmayi..
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 08 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛{DAJJAL KA HULIYA}📛
⛔ DAJJAL Kl EK AANKH KAANI AUR USKE SAR K BAAL GHUNGRAALE HONGE, RANG SURKH AUR JISM BHARI HOGA..
♻ Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya:
♻ Mene khawaab mai dekha k mai tawaaf kar raha hu achanak mene ek aadmi dekha gandum goo sidhey baalo wala (yaani sunhere sidhey baal wala) uske baalo se paani tapak raha tha jese abhi abhi gusal kiya ho mene pucha:
♻ "ye kaun hai?" unhone bataya "Isa Bin Maryam Alaihis Salaam" phir mene dusri taraf tawajjo ki to ek surkh rang ka moota aadmi nazar aya jiske sar k baal ghunghreele, aankh kaani thi jis tarah foola hua angoor ho mene pucha "ye kaun hai?" unhone jawab diya "ye dajjal hai"....
📚[Bukhari Kitabul Fitan]
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 09 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛DAJJAL Kl DONO AANKHO K DARMIYAAN KAAFIR LIKHA HOGA📛
♻ Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: koi nabi aesa nhi apni ummat ko kaane aur jhoote (dajjal) se na daraya ho aagah raho wo kana hoga aur tumhara rabb kana nhi hai aur dajjal ki dono aankho k darmiya "Kafir" likha hoga.
📚{Bukhari Kitabul Fitan}
♻ Wazahat: Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye baat bhi irshaad farmayi hai k "Kafir" ka lafz har musalman padh lega khawah padha likha ho ya anpadh.
📚[Muslim Kitabul Fitan]
📛DAJJAL K SAR PAR BAHUT JAYADA BAAL HONGE📛
♻ Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "dajjal baayi (left) aankh se kaana hai uske sar par bahut zayada baal honge uske saath jannat aur jahannam hogi, (khabardaar) uski jahannam jannat hogi aur jannat jahannam hogi".
📚(Ibne Maja Kitabul Fitan Hadees no. 3290)
📛DAJJAL KA FITNA📛
⛔ DAJJAL K PAAS JANNAT AUR JAHANNAM DONO HONGI JO HAQEEQAT MAI JAHANNAM AUR JANNAT HOGI ⛔
♻ Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "kya mai tumhe dajjal k baare mai aesi baat na batau jo us se pehle kisi nabi ne apni ummat ko na batayi ho (wo ye hai k) dajjal kana hoga aur wo apne saath jannat aur jahannam jesi cheeze le kar ayega jise wo jannat kahega dar'asal wo jahannam hogi aur jise wo jahannam kahega wo jannat hogi".
📚{Muslim Kitabul Fitan}
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 10 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
♻ Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal k baare mai irshaad farmaya: "uske saath paani aur aag hogi, dar haqeeqat uski aag thanda paani hogi aur uska paani aag hogi (khabar daar) apne aapko halaak na kar lena".
📚{Muslim Kitabul Fitan}
📛 DAJJAL K PAAS PAANI HOGA JO DAR HAQEEQAT AAG HOGI AUR AAG HOGI JO DAR HAQEEQAT SHEEREE PAANI HOGA. 📛
♻ Huzaifa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal jab niklega to uske paas paani aur aag honge jise loog paani samjhenge wo dar haqeeqat jalaane wali aag hogi aur jise loog aag samjhenge dar haqeeqat wo thanda sheeree paani hoga lihaza turn mai se jo koi wo mauka paye to use chahiye k wo aag mai kood pade kyunki wo metha aur pakeeza paani hoga".
📚{Muslim Kitabul Fitan}
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 11 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛DAJJAL K HUKM SE AASMAAN SE BAARISH BARSEGI, ZAMEEN SE GHAANS AUR ANAAJ WAGAIRA UGAIGA JANWAR PEHLE SE ZAYADA DOODH DENA SHURU KAR DENGE
♻ Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Razi Allahu Anhu kehte hai ek rooz Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr farmaya humne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! zameen mai uska ghoomna tezi se hoga?
♻ Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: us baarish ki tarha jise hawa piche se dhakeelti hai wo ek kaum k paas ayega aur unhe apne aap par emaan laane ki dawat dega wo emaan le ayenge aur uski baat maan lenge..
♻ chunanche wo aasmaan ko hukm dega aur wo barish barsayega zameen ko hukm dega aur wo nayabaat agaahegi (yaani ghaas wagaria ugg jayegi) shaam k waqt (loogo k) janwar charagaho se wapas ayenge to unki koohani pehle se badhi hongi than kushada honge aur pasliya khoob bhari hongi (yaani pehle se janwar moote taaze nazar ayenge, ye us kaum k emaan laane ka waseela hoga)
♻ phir wo dusri kaum k paas jayega aur unhe apne aap par emaan laane ki dawat dega lekin wo uski dawat ka inkaar kar denge chunanche dajjal waha se chala jayega aur un par kahat sali musallat ho jayegi aur unke maalo mai se kuch bhi unke paas na rahega..
♻ dajjal veeraan jagah ki taraf chala jayega aur zameen ko hukm dega apne khazaane ugal de to zameen apne khazaane uski taraf nikaal kar jama kar degi jis tarah shehad ki makkhiya badi makkhiyo k gard hujoom karti hai...
📚(Muslim Kitabul Fitan)
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 12 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
♻ Wazahat: Allah ta'ala loogo ki aazma'ish k liye dajjal ko baaz mauko ki kudrat de denge jis tarah Allah ta'ala ne loogo ki aazma'ish k liye shaitan ko waswasa daalne ka ikhtiyaar diya hai lihaza dajjal k un kaamo se kisi ko galat fehmi nhi honi chahiye k uske paas wakayi khudayi ikhtiyaraat honge agar aesa hota to wo apni kaani aankh hi durust kar leta ya dono aankho k darmaiyaan likha hua lafz kaafir hi mita leta.
🚨ZAHOOR E DAJJAL K BAAD KISI KA EMAAN LANA QABIL E QUBOOL NHI HOGA🚨
♻ Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Teen baatey zahir hone k baad kisi aese shaks ko emaan lana faida nahi dega jo us se pehle emaan nhi laya ya halat e emaan mai koi naik kaam nhi kiya
1. Suraj ka magrib se tulu hona
2. Dajjal ka zahir hona
3. Dabbatul arz ka nikalna.
📚(Muslim Kitabul Emaan)
⛔DAJJAL KI SHIDDAT⛔
📛 HAZRAT AADAM ALAIHIS SALAAM SE LE KAR QAYAMAT TAK FITNA E DAJJAL SE BADA FITNA AUR KOI NHI HOGA 📛
♻ Hazrat Hisham Bin Aamir Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suan k: "Aadam se le kar qayamat tak Allah ki makhlooq mai se (fitna) dajjal se bada koi (fitna) nhi hoga".
📚(Muslim Kitabul Fitan)
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 13 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛FITNA E DAJJAL K KHAUF SE HAZRAT E AYESHA RAZI ALLAHU ANHA ROONE LAGI💠
♻ Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye aur mai roo rahi thi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne..
♻ Wa Sallam dajjal yaad a gaya isi wajah se roo rahi hu, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: Agar dajjal meri mojoodgi mai nikla to turn sab ki taraf se mai uske liye kaafi hunga lekin agar wo mere baad nikla to yaad rakhna tumhara rabb kana nahi hai.
📚{Musnad Ahmad Hadees no. 12512, Majmua uz zawahid 7/651}
♻ Hazrat Imraan Bin Hussain Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks dajjal ki khabar sune wo uske saamne ane se guraiz kare Allah ki kasam jab koi aadmi uske paas jayega to yahi samjhega k wo momin hai jo shubhey ki cheeze wo de kar bheja gaya hai unhe dekh kar wo uski pairwi karne lagega".
📚{Abu Dawood Hadees no. 3629}
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 14 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
⛔ FITNA E DAJJAL SE DAR KAR MUSALMAAN PAHAADO MAI JA CHUPENGE⛔
♻ Hazrat Ummey Shareek Razi Allahu Anha se riwayat hai k unhone Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna hai: "Loog dajjal (ke darr se) bhaag kar pahaado mai chale jayenge", Hazrat Ummey Shareek Razi Allahu Anha ne arz kiya: "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! us rooz arab daryaft farmaya: "kyu roo rahi ho?"
♻ Mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi wasallam (musalmaan) kaha honge?" (kya wo mukabala nhi karenge) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: wo us rooz tadaad mai kam honge.
📚(Muslim Kitabul Fitan)
📛 FITNA E DAJJAL IS QADAR AALAMGEER HOGA K MAKKA MUKARRAMA AUR MADEENA MUNAWWARA K ALAWA DUNYA KA KOI MULK AUR SHEHAR USKE FITNE SE MEHFOOZ NHI RAHE GA💠
♻ Hazrat Anas Bin Maalik Razi Allahu Anhu kehte hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Koi shehar aesa nhi jisme dajjal dakhil na ho siwaye makka aur madeena k, farishte makka aur madeena k raasto par saff baandhey khade honge aur un doono shehro ki hifazat karenge.
♻ dajjal madeena munawwara ki sanglaakh zameen tak pahunchega to teen baar zalzala ayega aur madeena munawwara mai mojooda tamaam kaafir aur munafiq (dar kar) dajjal k paas chale jayenge".
📚(Muslim Kitabul Fitan)
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 15 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛FITNA E DAJJAL KI MUDDAT📛
💠HAMARE SHAB WA ROOZ K MUTABIQ FITNA E DAJJAL KI MUDDAT EK SAAL DO MAAH AUR DO HAFTA HOGI💠
♻ Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Razi Allahu Anhu kehte hai ek rooz Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr farmaya aur naseehat farmayi: "Ae Allah ke bando saabit kadam rehna, Humne arz kiya dajjal kitni muddat tak zameen mai rahega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: Chalees rooz (40 Din), jinme se pehla din ek saal k barabar hoga dusra din ek mahine k barabar hoga aur teesra rooz hafta k barabar hoga aur uske baad 37 rooz tumhare shab wa rooz k barabar honge,
♻ humne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! pehla din jo saal k barabar hoga usme ek din ki (paanch) namaze hi kaafi hogi? aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: nahi apne rooz wa shab ka andaaza karke (saal bhar ki) namaze padhna".
📚(Muslim Kitbaul Fitan)
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 16 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
🔷DAJJAL K PAIROKAAR🔷
📛IRAAN KE EK SHEHAR ISFAHAAN SE SATTAR HAZAAR YAHOODI DAJJAL KA SAATH DENGE📛
♻ Hazrat Anas Bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: (iraan ke shehar) isfahaan ke sattar hazaar yahoodi siyaah (Kaali) chadare oudhey hue dajjal ka saath denge.
📚(Muslim Kitbul Fitan)
⛔MOOTE AUR CHOODE CHEHRE WALI BAHUT SI KAUMEY DAJJAL PAR EMAAN LE AYENGI⛔
♻ Hazrat Abu Bakr Siddiq Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "dajjal mashrik ki sar zameen se zahir hoga jise kharasaan kaha jata hai bahut si qaume uske saath hongi jinke chehre chamda lagi dhaalo ki tarha (moote moote aur choode choode) honge...
📚(Tirmizi Hadees no. 1824)
♻ Wazahat: Mumkin hai choode chehre wali qaumo se muraad roos (Rusia), Cheen, japan aur koria wagaira ki qaume hongi (Wallahu Aalam)
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 17 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛KAAFIR AUR MUNAFIQ BHI DAJJAL KA SAATH DENGE📛
♻ Jesa k piche safhaat mai guzar chuka hai dajjal madeena munawwara ki sanglaakh zameen tak pahunch jayega to teen baar zalzala ayega aur madeena munawwara mai mojood tamaam kaafir aur munafiq (darkar) dajjal k paas chale jayenge (yaani uska saath denge)
📚(Muslim Kitabul Fitan)
💠DAJJAL K KHILAAF JIHAAD💠
♻ AASMAANO SE NAAZIL HONE K BAAD HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM MUSALMANO K SAATH MIL KAR DAJJAL AUR USKE LASHKAR K KHILAAF JIHAAD KARENGE, JISME MUSALMAANO KO FATAH HOGI AUR DAJJAL HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM K HAATHO "LAD" K MUKAAM PAR QATAL HOGA
♻ Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab Allah ta'ala hazrat maseeh bin maryam alaihis salaam ko bhejega to wo damishaq k mashriki hisse mai (masjid ke) safaid minaar k paas apne dono haath do farishto k kandho par rakhey hue utrenge jab hazrat isa alaihis salaam apna sar jhukayenge to unke sar se paani k kaatre tapkenge..
♻ (jese abhi abhi gusal kiya ho) jab apna sar uthayenge to chandi k mootiyo ki tarha (safaid) kaatre unke baalo se jhalakte nazar ayenge unke saans ki hawa jin jin kafir tak pahunchegi wo mar jayega, hazrat isa alaihis salaam k saans ka asar waha tak pahunchega jaha tak unki nigah pahunchegi (aasmaan se naazil hone k baad) hazrat isa alaihis salaam dajjal ko talaas karenge aur "LAD" k muqaam par use qatal karenge".
📚(Muslim Kitbul Fitan)
♻ Wazahat: yaad rehe aaj kal "LAD" k muqaam par israeel ka hawayi adda hai.
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 18 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛DAJJAL SE MUQABALA KARNE K LIYE MUSALMAANO KA PADAO MASHRIQ K KAREEB "GOOTA" K MUQAAM PAR HOGA💠
♻ Hazrat Abu Darda Razi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: (dajjal se) jang k doraan musalmaano ka padao mashriq shehar ki ek simt "GOOTA" mai hoga damishq shaam k shehro mai se behtareen shehar hai.
📚(Abu Dawood Hadees no. 3611)
🔷HAZRAT ISA ALIHIS SALAAM DAJJAL KO KHUD APNE NEEZEY SE QATAL KARENGE🔷
♻ Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Hazrat isa alaihis salaam (aasman se) naazil honge aur musalmano ko namaz padhayenge phir jab Allah ka dushman dajjal hazrat isa alihis salaam ko dekhega to yu ghulne lagega jis tarha namak paani mai ghulta hai agar isa alaihis salaam use chood deete tab bhi (hazrat isa alaihis salaam k khauf se) ghul ghul kar mar jata lekin Allah ta'ala use hazrat isa alihis slaaam k haatho qatal karayega aur hazrat isa alaihis salaam apne neezey par dajjal ka khoon loogo ko dikhayenge".
📚(Muslim Kitabul Fitan)
💠DARYA E URDAN PAR BHI DAJJAL SE AHLE EMAAN KA MAARKA HOGA💠
♻ Hazrat Nuhaik Bin Sureem Sukooni Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Turn loog mushriko se jang karoge hatta k tumhare (lashkar se) baaki maandah loog dajjal se jang karenge darya e urdan par turn loog mashriqi kinaaro par honge aur dajjal ka lashkar magribi kinaaro par hoga".
📚(Majmua uz zawahid hadees no. 7/668, Tabraani Kitabul Fitan Hadees no. 12542)
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 19 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛 DAJJAL KE KHILAAF JIHAAD MAI EK BHI YAHOODI ZINDA NHI BACHEGA HATTA KE PATTHAR YA DARAKHT Kl AADH MAI KOI YAHOODI CHUPA HOGA TO WO PATTAR AUR DARAKHT PUKAREGA "AE MUSALMAN MERE PICHE YAHOODI CHUPA HAI ISE QATAL KAR"
♻ Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayata hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat qayam nhi hogi yaha tak k musalman yahoodiyo k khilaaf jang karenge jis mai musalman yahoodiyo ko qatal karenge hatta k agar koi yahoodi kisi patthar ya darakht k piche chupa hoga to patthar ya darakht bolega "Ae musalman, Allah k bande! idhar mere piche yahoodi chipa hai ise qatal kar".
📚(Muslim Kitabun Fitan)
♻ Wazahat: Yaad rahe garkad ek kaante daar darakht hai jo baitul muqaddas ki taraf
aam paya jata hai yahoodi ise apna qaumi darakht samajhte hai.
♻ Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k aazaad karda gulaam hazrat sooban Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Meri ummat ki wo jamaato ko Allah ta'ala aag se mehfooz farmayega ek jama'at wo jo hindustaan k khilaaf jihaad karegi aur dusri wo jamaat Hai jo hazrat isa bin maryam alaihis salaam k saath mil kar (dajjal ke khilaaf) jihaad karegi".
📚(Nasai Kitabul Jihaad Hadees no. 2975)
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 20 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
♻ Wazahat: is riwayat mai hindustan ka lafz aya hai (kahi munkireen E hadees ya koi aur firqa ye na samjhe ke ye hamne apni taraf se likh diya hai) is liye yaha riwayat arabi mai bayan kar raha hu...
♻ AN SAUBAANA RAZI ALLAHU ANHU MAULE RASOOLILLAHI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM QAAL: QAALA RASOOLULLAHI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM "ISABATAANI MIN U MM ATI AHRAZA HUMALLAHU MINANNAARI ISA BATUN TAGRUL HINDA WA ISABATUN TAKOONU MA'AA IESABNI MARYAMA ALAIHI MAS SALAAMU"
📚(RAWAHUN NASAI Fl KITABUL JIHAAD BAAB GAROORATUL HIND JILD 2 HADEES NO. 2975)
🍭UMMAT E MUHAMMADIYA KA AAKHIRI MAARKHA DAJJAL K KHILAAF HOGA USKE BAAD JIHAAD KHATAM HO JAYEGA🌹
♻ Hazrat Imran Bin Hussain Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Meri ummat se ek jama'at haq ki khatir hamesha jihaad karti rahegi aur gaalib rahegi us par jo unse (yaani musalmaano
se) dushmani rakkhega hatta k meri ummat ka aakhiri garooh maseeh dajjal k khilaaf jihaad karega".
📚(Abu Dawood Kitabul Jihaad Hadees no. 2170)
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 21 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
📛DAJJAL MAKKA MUKARRAMA AUR MADEENA MUNAWWARA MAI DAKHIL NHI HO SAKE GA💠
🌹MADEENA MUNAWWARA MAI DAKHIL HONE WAALE SAAT RAASTO PAR ALLAH TA'ALA DO DO NIGRAAN FARISHTE MUQARRAR FARMADEGE JO DAJJAL KO MADEENA MUNAWWARA MAI DAKHIL NHI HONE DEGA🌹
♻ Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Madeena k loog maseeh dajjal se mar'oub nahi honge us waqt madeena k saat darwaaze honge aur har darwaaze par do do farishte pehra de rahe honge.
📚(Bukhari Kitabul Fitan)
🌹MAKKA MUQARRAMA MAI BHI DAJJAL DAKHIL NHI HO SAKEGA USKI HIFAZAT PAR BHI ALLAH TA'ALA FARISHTE MUQARRAR FARMADEGA🌹
♻ Jaisa ke pichle safhaat mai guzar chuka hai k *Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya:* koi shehar aesa nhi jisme dajjal dakhil na ho siwaye makka aur madina k, farishte makka aur madina k raasto par saff bandhe khade honge aur un dono sheharo ki hifazat karenge.
📚(Muslim Kitabul Fitan)
💠KHARASAAN SE NIKALNE KE BAAD DAJJAL MADEENA MUNAWWARA KA QASAD KAREGA UHAD PAHAAD KE QAREEB PAHUNCHNE SE PEHLE HI FARISHTE USKA MUH SHAAM KI TARAF PHER DENGE AUR WO WAHI HALAAK HOGA💠
♻ Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: kaana dajjal mashriq ki taraf se ayega uska maqsad madeena munawwara aane ka hoga wo uhad pahaad k piche tak ayega phir farishte uska rukh shaam ki taraf pher denge aur wo wahi halaak hoga.
📚(Muslim Kitabul Hajj)
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
•[ POST 22 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
🌹AHLE EMAAN KO ALLAH TA'ALA FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAKKHEYGA🌹
♻ Hazrat Mugeera bin Shu'ba Razi Allahu Anhu kehte hai dajjal ke baare mai jitna mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha itna kisi aur ne nhi pucha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tujhe uski itni fikar kyu hai wo tujhe kuch bhi nuksaan nhi pahuncha sake ga?" mene arz kiya Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! loog kehte hai uske paas khana aur nehre hongi? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: uske paas jo kuch bhi hoga wo Allah k nazdeek bahut hi haqeer hai.
📚(Muslim Kitabul Jihaad Hadees no. 2170)
🌹ALLAH Kl REHMAT SE ANPADH AHLE EMAAN BHI DAJJAL Kl PAISAHANI PAR "KAFIR" LAFZ PADH KAR USE PEHCHAAN LENGE🥀
♻ Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal ki ek aankh kaani hai uske uper ek phuli hogi uski dono ankho k darmiyaan (paishani par) "Kafir" likha hoga jise har momin, padha likha ya anpadh sab padh lenge".
📚(Muslim Kitabul Fitan)
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 23 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
🔷 JO LOOG DAJJAL KO PEHCHAAN KAR APNE EMAAN PAR QAYAM RAHENGE UNPAR DAJJAL KA FARAIB NAHI CHALEGA
♻ Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal par chunke madina mai dakhil hona haraam kar diya gaya hai lihaza wo madeena se bahar ek sanghlaakh zameen par utrega us waqt madeena walo mai se sabse behtar aadmi dajjal ke paas jayega aur kahega mai gawahi deta hu ke tu hi dajjal hai jiske baare mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hame bata gaye hai...
♻ dajjal (loogo se mukhatib ho kar) kahega agar mai us aadmi ko qatal kardu phir zinda kardu to kya tumhe mere ila (mabood) hone par koi shak reh jayega loog kahenge nhi! chunanche dajjal use qatal karega phir zinda karega wo aadmi kahega Allah! ab to mujhe aur bhi zayada yaqeen ho gaya hai ke tu hi dajjal hai, dajjal use dobara qatal karna chahega lekin kar nahi sakega".
📚[Muslim Kitabul Fitan]
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 24 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
🌹EK MOMIN AADMI KO DAJJAL AAREY SE CHEER KAR DO TUKDE KARDEGA AUR ZINDA HONE KA HUKM DEGA JAB WO DOBARA ZINDA HO JAYEGA TO DAJJAL MOMIN KO DOBARA QATAL KARNA CHAHEGA TAB ALLAH TA'ALA US MOMIN KA JISM PEETAL KA BANA DEGA AUR DAJJAL USE QATAL NHI KAR SAKEGA
♻ Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Dajjal niklega to momino mai se ek aadmi uski taraf Aa raha hoga ke raaste mai use dajjal ke hathyaar band sipaahi milenge use puchenge "Kaha ja rahe ho?" momin jawab dega "Jo dajjal zahir hua hai uski taraf ja raha hu" Dajjal ke kaarinde us se puchenge "Kya tu hamare rabb (yani dajjal) par emaan nahi laya?"
♻ Momin jawab dega hamara rabb makhfi nhi hai, dajjal ke kaarinde kahenge ise qatal kar do, tab wo aapas mai ek dusre se kahenge kya tumhare rabb (yaani dajjal) ne mana nahi kiya ke uske hukm ke bagair kisi ko qatal na karna chunanche wo us momin aadmi ko dajjal ke paas le jayenge jab momin aadmi dajjal ko dekhega to pukaar uthega loogo ye wahi dajjal hai jis ki khabar Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne di thi chunanche dajjal apne kaarindo ko uska sar kuchalne ka hukm dega wo uska sar kuchal denge uske pait aur peeth par bhi zarbe maarenge phir dajjal us se puchega "kya tu mujh par emaan lata hai?" jawab mai momin aadmi kahega "tu jhoota hai" dajjal huqm dega aur momin aadmi ko sar se le kar pao tak aarey se cheer diya jayega aur us aadmi ke do tukde ho jayenge dajjal un dono tukdo ke darmiyan ayega aur hukm dega
♻ "uth khada ho" chunanche momin aadmi seedha khada ho jayega dajjal use puchega "kya tu mujh par emaan lata hai?" momin aadmi kahega "tumhare muamale mai mere yaqeen mai aur bhi izafa ho gaya hai" (ke tu hi dajjal hai) phir momin aadmi elaan karega "Ae loogo mere baad dajjal kisi dusre ke saath aesa muamala nahi kar sakega" Dajjal use dobara zibah karne ke liye pakdega lekin momin aadmin Ko (Allah ke hukm se) gale se le kar hansali tak taambe ka ban jayega..
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 25 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
♻ Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam dajjal use zibah nahi kar sakega dajjal use haatho aur pao se pakad kar door phenk dega loog samjhenge ke dajjal ne use jahannam mai phenka hai halanke wo jannat mai dala gaya hoga Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad
farmaya: "wo shaks Rabbul aalameen ke nazdeek sab se bada shaheed hai".
📚(Muslim Kitabul Fitan)
📛 FITNA E DAJJAL SE BACHNE WALE KHUSH NASEEBO KO ALLAH TA'ALA DUNYA MAI HI HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM Kl ZUBANI BULAND DARJAAT Kl BASHAARAT DE DENGE
♻ Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Kalaabi Razi Allahu Anhu kehte hai ek din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr kiya aur farmaya: "Phir Allah ta'ala ke nabi isa alaihis salaam un loogo ke paas tashreef layenge jinhe Allah ta'ala ne fitna e dajjal se bacha liya hoga unhe tasalli denge aur unhe un darjaat se aagah karenge jo Allah ta'ala ne uske Nye jannat mai tayyar kar rakhey honge".
📚(Ibne Maja Kitab Abwabul Fitan Hadees no. 3293)
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 26 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
💐FITNA E DAJJAL SE PANAH TALAB KARNE Kl DUAYE💐
💐 FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ REHNE KE LIYE DARJ ZAIL DUA MAANGNI CHAHIYE
♻ Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz mai (Darood shareef k baad) ye dua maanga karte they
💐 "ALLAH UM MA INNI AOUZUBIKA MIN AZAABIL QABRI WA AOUZUBIKA MIN FITNATIL MASEEHID DAJJALI WA AOUZUBIKA MIN FITNATIL MAHYA WA MAMAATI ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA MINAL AASIMI WAL MAGRAMI"🌹
🌷 Tarjuma: Ae Allah mai teri panah maangta hu azaab E qabr se maseeh dajjal k fitne se, zindagi aur maut ke fitne se, gunah aur qarz se..
📚(Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 832, Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 589)
🌷SURAH KAHAF Kl PEHLI DAS AAYAAT YAAD KARNE WALA SHAKS BHI FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAHENGE💐
♻ Allah ke Rasool Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Namaz mai ek aur dua padhte they:
🌹 "ALLAH UM MA INNI AOUZUBIKA MIN AZAABI JAHANNAMA WA MIN AZAABIL QABRI WA MIN FITNATIL MAHYA WA MAMAATI WA MIN SHARRI FITNATIL MAHEEHID DAJAAL"🌹
♻ Tarjuma: Ae Allah! mai jahannam aur qabr ke azaab se, maut wa hayaat ke fitne aur maseeh dajjal ke shar se teri panah maangta hu.
📚(Muslim Hadees no. 588)
✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯
🌎• www.onlyrazvimp3group.in •🌎
✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯
✥FITNA E DAJJAL✥
✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵✵
•[ POST 27 OF 27 ]•
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
LAST POST COMPELET
✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮✮
💐WAL DAJJAL SE MEHFOOZ RAHEGA💐
♻ Hazrat Abu Darda Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jis ne surah kahaf ki pehli das aayaat yaad kar li wo fitna E dajjal se bacha liya gaya.
📚(Abu Dawood Kitabul Malahim Baab Khurooj E Dajjal Jild 2 Hadees no. 3626)
♻ Allah Ta'ala hum sab ki Fitna E Dajjal se hifazat farmaye, Ummat E muslima mai ittehaad o ittefaaq paida farmaye, Allah ta'ala mere ilm mai izafa ata farmaye aur tamaam musalmano ki pareshaniyo ko door farmaye, hum tamaam musalmano ki jayez haajato ko qubool farmaaye, Ae Allah hame jab tak zinda rakhna to islaam par zinda rakhna aur jab hamara khatma ho to emaan par khaatma ho
(Aameen Ya Rabbal Alameen)
⚠THE END POST'S⚠
❈✵✵✵❈✵✵✵❈✵❈✵✵❈✵✵✵❈
🔂 TO BE CONTINUED
POSTED BY
↪ FROM
👑"GULAM-E-AALA-HAZRAT"👑
🍇 TALIB E DU'AA
🌹 Jamaluddin Raza
📒IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE G.E.A.H BLOGGER LINK PE CLICK KRE.....
www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com/2017/02/fitna-e-dajjal.html?m=0
📚IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE G.E.A.H FB-PAGE LINK PE CLICK KRE.....
https://m.facebook.com/pg/Gulam.E.Aala.Hazrat1/photos/?tab=album&album_id=1952054865007590
💖VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
❉✹✹✹✹❉✹✹❉•❉✹✹❉✹✹✹✹❉
No comments:
Post a Comment