🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
🚢●• www.onlyrazvimp3group.in •●🚢
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
JASHNE-EID-E-MEELADUN-NABIﷺ
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
💠🔘☆PART●NO•♡26♡☆🔘💠
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
POST 1 SE 25 TAK PADHNE KE LIYE YAHAN CLICK KRE...👇👇👇👇👇
http://gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com/2016/11/jashne-eid-e-meeladun-nabi.html?m=0
✍🏕 (5) Bukhari Ki Mash’hur Sharah Irshadus Saari Likhne Wale Imam Qastalani Ki Nazar Me Allama Imam Qastalani (851-923 Hijri) Ka Bada Pyara Qaul.
✍🌄 Sahib E 'Irshadussari Shrah Sahih Al Bukhari' Imam Shabuddin Abualabbas Ahmad Bin Abi Bakr Qastalani (923 hijri) Milaad Manane Ke Mutalik Likhte Hai:-
💐 [ ولا زال أهل الإسلام يحتفلون بشهر مولده عليه السلام، ويعملون الولائم، ويتصدقون في لياليه بأنواع الصدقات، ويظهرون السرور ويزيدون في المبرات. ويعتنون بقراء ة مولده الکريم، ويظهر عليهم من برکاته کل فضل عظيم. ]
🌺 [ ومما جُرّب من خواصه أنه أمان في ذالک العام، وبشري عاجلة بنيل البغية والمرام، فرحم اﷲ امرءًا اتّخذ ليالي شهر مولده المبارک أعيادًا، ليکون أشد علة علي من في قلبه مرض وأعيا داء. ]
✍🎑 "Hamesha Se Ahle Islam Huzoor Nabi E Akram (Sallallahu alehi wasallam) Ki Wiladat Wa Saadat Ke Mahine Mai Mahfile Milaad Munaqqid Karte Aaye Hai, Wo Dawato Ka Ahtemam Karte Hai Aur Is Mahe (Rabiulawwal) Ki Rato Mai Sadqat Wa Khairat Ki Tamam Mumkina Surte Baraye Kar Late Hai,
✍⛺ Izhare Masarrat Aur Nekiyo Mai Kasrat Karte Hai Aur Milaad Sharif Ke Charche Kiye Jate Hai, Har Musalman Milaad Sharif Ki Barkat Se Baher Taur Faizyab Hote Hai."
✍⛲ "Mahfil E Milaad Sharif Ke Muzarbaat Mai Se Ek Ye Bhi Hai Ke Jis Saal Milaad Manaya Jaye Us Saal Aman Qaim Rahta Hai, Neez Ye Amal Nek Maqsad Aur Dili Khawisat Ki Fauri Takmeel Mai Basarat Hai,
✍🌠 Pas Allah Ta'ala Us Shaks Per Rahm Farmaye Jis Ne Mahe Milaadunnabi (Sallallahu alehi wasallam) Ki Rato Ko Bhi Wataur Eid Mana Kar Is Ki Siddat Marz Mai Izafa Kiya..
✍🌇 Jis Ke Dil Mai Bugz Risalat Ma'ab (Sallallahu alehi wasallam) Ke Sabab Pahle Hi Khatar Nak Bimari Hai"
📚[Al Mawahib Ul Laduniya Jild.1 Safa.148]
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
💠🔘☆PART●NO•♡27♡☆🔘💠
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
✍🏝 (6) Imam Jalaluddin Suyuti, Milad Ke Bare Me Farmate Hain:
🌼{ أن أصل عمل المولد الذي هو اجتماع الناس وقراءة ما تيسر من القرآن ورواية الأخبار الواردة في مبدأ أمر النبي صلى الله عليه وسلم وما وقع في مولده من الآيات ثم يمد لهم سماط يأكلونه وينصرفون من غير زيادة على ذلك هو من البدع الحسنة التي يثاب عليها صاحبها لما فيه من تعظيم قدر النبي صلى اللهعليه وسلم وإظهار الفرح والاستبشار بمولده الشريف }
✍🌋 Eid Miladun Nabi Ki Haqiqat Ye Hai Ki Is Din Log Jama Ho, Quran Padhen, Jis Taah Asani Ho, Aur Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam Ke Bare Me Bayan Karen, Aur Un Waqeyat Ka Jo Nabi Alaihe Salam Ki Wiladat Ke Din Guzre,
✍🗻 Aur Inke Liye Khane Ka Intezam Kiya Jaye, Aur Fir Ye Log Wapasapne Gharo Ko Jayen, Is Bidat-E-Hasnah Me Kisi Aur Chiz Ka Izafa Na Karen.
✍🎇 "Jo Ise Manata Hai, Wo Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam Ki Tazim Ki Waja Se Sawab Paata Hai, Aur Inki Wiladat Par Khushi Ka Izhar Karta Hai"
📚[As-Suyuti – Rahimuhullah In Al Hawi Lil Fatawi, Volume 1, Page No. 292, Published By Maktaba Al Asriya, Beirut, Lebanon]
📚[ Husnul Maqsad Fi Amalil Mawlid Pg.41 ]
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
💠🔘☆PART●NO•♡28♡☆🔘💠
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
✍🌅 Milad-E-Mustafa Sallallaho Alaihe Wasallam Par Sheikh Tajuddin Umar Bin Ali Al_Khami Sikandari, Jo Fakehani Ki Nisbat Se Mash’hur Hai. Usne Daawa Kiya Ki Milad Sharif Bidat-E-Mazmuma Hai. Unhone Is Silsile Me Ek Mazmun Likha Hai Jiska Unwan Hai “Al-Mawrid Fi-Kalaam Alal Mawlid”.
✍🎇 Imam Suyuti Ne Uska Jawab Dete Hue Jo Likha Usey Apke Samne Pesh Karta Hu.. “Uska Ye Kehna Ki Kitab-O-Sunnat Me Mujhe Milad Ka Asal Ilm Nahi Ho Saka.
✍🏖 To Us Silsile Me Arz Hai Ki Kisi Chiz Ke Ilm Ki Nafi Uske Wajud Ki Nafi Ko Multazim Nahi (Yani Zaruri Nahi Ki Jis Chiz Ka Ilm Na Ho Wo Chiz Maujud Hi Na Ho).
✍🏕 Imamul Huffaz Abul Fazl Ahmad Ibn Hajar Asqalani Ne Milad Sharif Ki Asal Sunnat Se Nikali Hai. Ek Aur Asl Maine Bhi Nikali Hai Jiska Zikr Aage Ayega. Aur Fakehani Ka Ye Kehna Ki Ye Bidat Hai.
✍🏝 Jaise Fizul Aur Behudah Logon Aur Pet Ke Un Bandon Ne Ijad Kiya Jinpar Shehwat-E-Nafs Ka Ghalba Hai. Aur Fir Bidat Ki Mukhtalif Qismen Bayan Karke Ye Kehna Ki Ye Na To Wajib Hai Na Mandub, Isliye Kin A To Sara Hai Na Iska Mutalba Kiya Hai Aur Na Sahaba Wa Tabaeen Aur Na Hi Motaqid Me Ulama Ne Isey Munaqid Kiya Hai.
✍🌇 Is Silsile Me Mai Kehta Hu Jaisa Ki Pehle Guzar Chukka Hai Isey Ek Sultan Aadil Wa Aalim Bahot Zoron Se Manata Tha Jisne Iska Maqsad Taqarrub Ila-Allah Ka Husul Tha.
✍🌠 Iske Paas Bahot Se Ulama Wa Sulaha Maujud The Magar Kisi Ne Ispar Nakeer Nahi Ki. Balki Ibn Wahiya (Aise Yagana Rozgar Aalim-E- Deen Ne) Ise Pasnd Kiya Is Mauzu Par Is Ke Liye Ek Kitab Likhi Jiska Naam “Al-Tanwir Fi-Mawlidil Basheerun Nazeer” Hai. Ye 625 Hijri Me Likhi Gayi.
✍⛲ Ye Sab Motaqid Me Ulama Hi The. Jinhone Milad Sharif Ko Pasnd Kiya. Iski Taeed Wa Tausiq Ki Aur Mazammat Ya Tardeed Nahi Ki (Jo Is Baat Ka Muh Bolta Subut Hai Ki Fakehani Ne Jo Kuch Bayan Kiya Wo Galat Hai) Raha Iska Ye Kehna Ki Ye Mandub Bhi Nahi.
✍🏜 Isliye Mandub Haqiqat Me Wo Amal Hota Hai Jijska Shara Ne Mutalba Kiya Ho. Is Silsile Me Guzarish Hai Ki Mandub Ke Bare Me Shara Ka Mutalba Kabhi To Nass Ke Zariye Se Malum Hota Hai Aur Kabhi Qiyas Ke Zariye.
✍🌋 Milad Sharif Ke Bare Me AGarche Nass Warid Nahi Hui, Taaaham Un 2 Aslon Se Jinka Zikr Aage Ayega, Qiyas Zarur Hota Hai Yani Un 2 Aslon Par Qiyas Karke Iske Nadab Ka Andazah Kiya Ja Sakta Hai.”
(Husnul Maqsad Fi Amalil Mawlid Pg.50-51)
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
💠🔘☆PART●NO•♡29♡☆🔘💠
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
✍🏜 Imam Suyuti Milad Ke Bare Me Mazeed Likhte Hain:: Min Jumla Un Bid’aat Ke Jo Un Logon Ne Ijad Kar Rakhi Hain Aur Iske Sath Hi Wo Ye Etqad Bhi Rakhte Hain Ki Ye Bahot Badi Ibadat Aur Izhar-E-Sha’aaer (Kisi Amr-E-Azeem Ki Yaadgar Manana) Hai.
✍🏝 Ye Hai Ki Wo Rabiul Awwal Ke Mahine Me Milad Manate Hain. Jo Bahot Si Bid’aat Aur Moharrimaat Par Mushtamil Hoti Hai. Unme Chand Ye Ki Shirkaa-E-Naghme Aur Ghazlen Gaate Hain. Aur Uske Sath Aalat-E-Mausiqi, Dholakiyan, Baansuriyan Aur Saarangiyan Wagairah Istemal Karte Hain.
✍🏕 Aur Is Silsile Me Kayi Aur Buri Harkaten Karte Hain Jo Aksar Rasmi Taur Par Un Awqat Me Karte Hain Jinhe Allah Ne Fazilat Wa Azmat Se Nawaza Hai. (Maslan Eid Wagairah Ke Mauqe) Aur Jo Sarasar Bidat-E-Moharrimaat Hain. Isme Koi Shak Nahi Ki Is Tarah Ka Samaa, Agar Iske Alawa Dusri Raaton Me Bhi Kiya Jaye To Bhi Ne-Jaez Hai.
✍🌠 Agarche Isi Maah-E-Muqaddas Me Jise Khuda Buzurg Wa Bartar Ne Fazilat Wa Barkat Bakhshi Hai Ki Apne Mehbub Sallallaho Alaihe Wasallam Ko Isme Paida Kiya, Aisa Samaa Kiya Jaaye Jisme Aalaat-E-Trab Ka Istemal Kiya Jaye. Aise Samaa Ko Is Maahe Muqaddas Ki Azmat Se Kya Nisbat Ho Sakti Hai.
✍⛲ Jisme Allah Jalle Jalaaluhu Ne Hum Par Huzur Syedul Awwaleen Wal Aakhireen Sallallaho Alaihe Wasallam Ki Wiladat Ba Sa’aadat Ka Ehsan-E-Azeem Farmaya Hai. Lehaza Wajib Hai Ki Is Mahine Me Khas Taur Par Allah Ta’ala Ka Shukr Baja Laaya Jaaye Aur Zyada Se Zyada Ibadat Aur Khairaat Ki Jaaye Ki Usne Hume Is Nemat-E-Kubra Se Sarfaraz Farmaya (Ki Huzur Sallallaho Alaihe Wasallam Ko Isme Paida Farmaya).
.
✍🏖 Agarche Nabi E Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam Ne Is Mahine Me Dusre Mahino Ki Nisbat Zyada Ibadat Nahi Farmayi (Aur Na Hi Iska Hukm Diya Hai) Magar Huzur Sallallaho Alaihe Wasallam Ka Aisa Karna Dar-Asal Apni Ummat Par Rehmat Wa Shafqat Ke Baais Tha. Aur Unke Liye Narmi Aur Asani Paida Karne Ke Liye Tha.
✍🌅 Isliye Huzur Sallallaho Alaihe Wasallam Koi Amal Chhod Dete The Ki Kahin Ye Amal Meri Ummat Pe Farz Na Ho Jaye. Aur Ye Huzur Sallallaho Alaihe Wasallam Ki Rehmat Ka Natija Hai.
📚[Husnul Maqsad Fi Amalil Mawlid Pag.56-57]
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
💠🔘☆PART●NO•♡30♡☆🔘💠
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
✍🏕 {7} Ibn Jawzi Farmate Hain (510-579 Hijri)
✍🌠 Allama Ibn E Jauzi Alehirrahma (579 Hijri) Apni Kitab 'Maulood Ul Uroos" Jo Ki Puri Kitab Milaadunnabi Ke Topic Per Hai Mai Farmate Hai:-
⚜[ وجعل لمن فرح بمولده حجابًا من النار وسترًا، ومن أنفق في مولده درهمًا کان المصطفيٰ صلي الله عليه وآله وسلم له شافعًا ومشفعًا، وأخلف اﷲ عليه بکل درهم عشرًا فيا بشري لکم أمة محمد لقد نلتم خيرًا کثيرًا في الدنيا وفي الأخري. فيا سعد من يعمل لأحمد مولدًا فيلقي الهناء والعز والخير والفخر، ويدخل جنات عدن بتيجان درّ تحتها خلع خضرًا. ]
✍🏜 "Aur Har Wo Shaks Jo Aap (Sallallahu alehi wasallam) Ke Milaad Ke Ba'is Khus Hua, Allah Tala Ne Ye Khushi Is Ke Liye Aag Se Mahfooz Rahne Ke Liye Hizaab Aur Dhaal Banadi, Aur Jis Ne Maulood E Mustafa (Sallallahu alehi wasallam) Ke Liye Ek Dirham Kharch Kiya To Aap (Sallallahu alehi wasallam) Us Ke Liye Shafe'n Wa Musafe'n Ho'nge, Aur Allah Tala Har Dhiram Ke Badle Mai Us Das Dirham Aata Farmayega..
✍🏝 Ye Ummat E Muhammadia! Tujhe Basarat Ke Tone Dunia Wa Aakhirat Mai Khair E Kaseer Hasil Ki, Pas Jo Koi Ahmad E Mujtaba (Sallallahu alehi wasallam) Ke Milaad Ke Liye Koi Amal Karta Hai To Khus Bakht Hai Aur Wo Khusi, Izzat, Bhalai, Aur Fakhr Ko Pa Le Ga, Aur Wo Jannat Ke Bago Mai Motio Se Marsa'n Taaj Aur Sabz Libaas Pahne Dakhil Hoga."
📚[Maulood Al Uroos Safa.11]
✍🎇 Ye Mawlid Al Uroos Ka Qalm Nuskha Hai
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
💠🔘☆PART●NO•♡31♡☆🔘💠
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
✍🎇 [8] Ibn Hajar Haismi (909-973 Hijri) Farmate Hain: Imam Ahmad Bin Muhammad Bin Ali Bin Hajar Haitmi Makki Alehhirrahma (973 Hijri) Se Pucha Gaya Ke Fi Zamana Munaqqid Hone Wali Mahfile Milaad Aur Mahfile Azkar Sunnat Hai Ya Biddat To Unhone Jawab Diya:-
🎌( الموالد والأذکار التي تفعل عندنا أکثرها مشتمل علي خير، کصدقة، وذکر، وصلاة وسلام علي رسول اﷲ صلي الله عليه وآله وسلم ومدحه )
✍🌇 Hamare Yanha Milaad Wa Azkaar Ki Jo Mahfile Munaqqid Hoti Hai Wo Jyadatar Nek Kamo Par Mustamil Hoti Hai Mislan Un Mai Sadqat Diye Jate Hai (Yani Gurba Ki Imdad Ki Jati Hai) Zikr Kiya Jata Hai.
✍🏖 Huzoor (Sallallahu alehi wasallam) Par Darood O Salam Padha Jata Hai Aur Aap (Sallallahu alehi wasallam) Ki Mad'ah Ki Jati Hai."
📚[ Fatawa Hadeesiya Safa.202 ]
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
💠🔘☆PART●NO•♡32♡☆🔘💠
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
✍⛲ [9] Allama Ibn E Hajar Makki Ka Fatwa Tamam Makatibe Fikr Nazdeek Musallam Hai, Imam Ibn E Hajar 973 Ke Hai Yani Aaj Se 463 Saal Pahle Ke To Pata Milaad Tab Milaad Ki Mahfile Sajti Thi
✍🏖 *Ye Wahabiyo Ke Muh Par Zabrdast Thapper Hai* Jo Ye Kahte Hai Ke Milaad Ki Mahfil Alahazrat Ke Daur Mai Izaad Hui Balke Ye To Ummat Ka Tasalsul Raha Hai.
✍🎇 {10} Imam Shamsuddin Muhammd Bin Abdur Rahman Sakhawi (902hijri) Apne Fatwe Me Milaadun nabi (Sallallahu alehi wasallam) Manane Ke Bare Mai Farmate Hai:-
🌀( وإنما حدث بعدها بالمقاصد الحسنة، والنية التي للإخلاص شاملة، ثم لا زال أهل الإسلام في سائر الأقطار والمدن العظام يحتفلون في شهر مولده صلي الله عليه وآله وسلم وشرف وکرم بعمل الولائم البديعة، والمطاعم المشتملة علي الأمور البهية والبديعة، ويتصدقون في لياليه بأنواع الصدقات، ويظهرون المسرات ويزيدون في المبرات، بل يعتنون بقرابة مولده الکريم، ويظهر عليهم من برکاته کل فضل عظيم عميم، بحيث کان مما جرب کما قال الإمام شمس الدين بن الجزري المقري، أنه أمان تام في ذالک العام وبشري تعجل بنيل ما ينبغي ويرام )
🏳
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
💠🔘☆PART●NO•♡33♡☆🔘💠
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
🚢🗻🌈🏳🗻🌈🚢🌈🚢🏳🗻🌈🗻🌈🗻🚢
✍🏜 "Mahfile Milaadun nabi (Sallallahu alehi wasallam) Quroon E Salasa Ke Baad Sirf Nek Maksad Ke Liye Suru Huyi Aur Jahan Tak Is Ke Ineqad Mai Niyat Ka Talluq Hai To Wo Ikhlas Par Mabni Thi..
✍🏝 Fhir Hamesa Se Jumla Ahleislam Tamam Mumalik Aur Bade Bade Sahro Mai Aap (Sallallahu alehi wasallam) Ki Wiladat Wa Sadat Ke Mahine Mai Tha.
✍🏕 Mahfil E Milaad Munaqkid Karte Chale Aa Rahe Hai Aur Is Ke Miyar Aur Izzat Wa Sharf Ko Umda Jiyafato Aur Khoobsurat Taamgaho Dastarkhawn Ke Zariye Barqarar Rakha Ab Bhi Maahe Milaad Ki Rato Mai Tarah Tarah Ki Sadqat Wa Khairat Dete Hai..
✍🌋 Aur Khusiyon Ka Izhar Karte Hai Aur Jyada Se Jyada Nekiyan Karte Hai Balke Jobhi Mahe Milaadun nabi (Sallallahu alehi wasallam) Qareeb Aata Hai Khususi Ahtemam Shuru Kar Dete Hai..
✍🎇 Aur Is Mahe Muqaddas Ki Barkat Allah Ta'ala Ke Badhe Fazl E Azeem Ki Surat Mai In Par Zahir Hoti Hai Ye Baat Tazurbati Amal Se Sabit Hai..
✍🏟 Jaisa Ki Imam Shamsuddin Bin Jazri Maqri Ne Bayan Kiya Hai Mahe Milaad Ke Is Saal Mukammal Taur Par Hifz Wa Aman Aur Salamti Rahti Hai Aur Bahut Jald Tamnnaye Puri Hone Ke Basarat Milti Hai."
📚[Subulul Huda War Rashaad Fi Sirate Khairul Ibad Jild.1 Safa-367]
⚠ THE END PARTS ⚠
🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈
🔀 TO BE CONTINUED
POSTED BY
📶 FROM
👑 GULAM-E-AALA-HAZRAT 👑
🌻 TALIB E DU'AA
💐 Jamaluddin Raza
🔘 IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE G. E. A. H BLOGEER LINK PE CLICK KRE..
http://gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com/2016/11/jashne-eid-e-meeladun-nabi.html?m=0
🔘 IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE FACEBOOK PAGE LINK PE CLICK KRE..
https://m.facebook.com/pg/Gulam.E.Aala.Hazrat1/photos/?tab=album&album_id=1909936112552799
🔮VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈🏳🌈
No comments:
Post a Comment