🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
MAQASIDE NIKAH QURAAN
KI ROUSHNI ME..
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
Nikah karna ibadath hai bashart ye k niyyat achhi ho, HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki pyaari sunnath per amal karna madsood ho, Quraan e paak ki aayate muqaddisa me nikah k maqasid ko nihayat wazeh andaaz me bayaan kiya
gaya hai, Is taalluq se chandh aayate mulaihiza kare:
AUR ISKI NISHANIYO SE HAI TUMHARE LIYE TUMHARE HI JINS SE JODE BANAYE KE INSE AARAAM PAO, AUR TUMHARE AAPAS ME MOHABBATH AUR RAHMATH RAKHI BESHAK ISME NISHANIYA HAI DHYAAN KARNE WALO KE LIYE.
📖(Surah Room : Aayat 21)
WOHI HAI JISNE TUMHARI EK JAAN SE PAIDA KIYA AUR ISME ISKA JODA BANAYA KE ISSE CHAIN PAYE
📖(Surah Aa’raaf : Aayat 189, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)
ALLAH NE TUMHE BANAYA MITTHI SE PHIR PAANI KI BOONDH SE PHIR TUMHE KIYA JODE JODE
📖(Surah faatir : Aayat 11, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)
ASMANO AUR ZAMEEN KA BANANE WALA TUMHARE LIYE TUMHI ME SE JODE BANAYE AUR NAR WA MAADA CHOUPAYE
📖(Surah Shu'raa : Aayat 11, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)
Mazkura aayate karima se wazeh hota hai ke zoujiyat qudhrate ilahiya ka
shoukaar hai, RABB taala ye pasand nahi
farmata k be zawaaj rahe, tanha rahe, Is liye RABB taala ne awwal al bashar sayyidna ADAM alaihisalaam ko tanha na
rahne diya balke inke baad
sabse pahle hazrath HOUWWA alaihisalaam ko paida farmaya aur jab
insaan ne is zameen per qadam rakha to wo 2 qadam nahi 4 qadam the, tanha nahi zawaaj the, Aur jannath se aane wala insaan jab jannath me jayega to waha bhi joda hi hoga, Jaisa k farmaane baari taala hai:
BESHAK JANNTH WALE AAJ DIL LE BAHLAO ME CHAIN KARTE HAI WO AUR INKI BIWIYA SAAYO ME HAI, TAQTO PER TAKIYA LAGAYE HUE
📖(Surah yasin : Aayat 55/56)
Insaan to insaan hai ALLAH taala ne tamaam ashiyaa ka joda banaya hai, Jaisa k farmaane baari taala hai:
HAMNE HER CHEEZ KE JODE BANAYE HAI KE TUM DHYAAN KARO
📖(Surah Thaariyaat : Aayat 49, Tarjuma Kanzul Imaan Shareef)
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
MAQASIDE NIKAH HADEESE
KARIMA KI ROUSHNI ME :
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
Nikah isliye karna taake HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki pyaari
sunnath per amal ho jaye to ye ibadath hai lekin agar khwaahishate nafsi ki taklmeel ke liye nikah kare to nikah to bahre haal hojayega magar sawaab se mahroom rahega, Abwo hadees mulaihza
farmaye jin me ALLAH azzawajal k pyaare HABIB ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne nikah k maqasid ko wazeh lafzo me bayaan farmaya hai:
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
NASLE INSAANI KI FARAASH KI
NIYYAT SE NIKAH KARE :
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
Hazrath ABUDAWOOD ba riwayat Hazrath Mu’aqal bin Yasaar Radhiallahu tahla anha bayaan karte hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: Mohabbath karne wali bachhe paida karne wali aurat se nikah karo kyu ki mai tumhare kasrat tedaad ke baa as (baroze qayamat) dusri ummato per faqr karunga.
📚(Abu Dawood Shareef Hadees 2052)
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
GUNAHO SE BACHNE KI NIYYAT HO:
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
Hazrat ABDULLAH BIN MASOOD Radhiallahu tahla anha bayaan karte hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: Aye jawano: tum me se jo ghar basane ki taaqat rakhta ho wo nikah kare kyu ki ye nazro ko jhukata hai aur sharmjaho ko mahfooz rakhta hai aur jo iski taaqat na rakhta ho wo roza rakhe kyu ki isse khwashe nafsi marti hai.
📚(Muslim Shareef Hadees 3464)
Her insaan ke andar khwahishate nafsi audiyat kardi gayi hai, ab insaan k samne jinsi khwahishat ki takmeel ke liye makuha biwi ka hona zaruri hai, basurat digar aur gunaho ka martakab hoga KHUDAE jabbar ke ghazab ka mustahiq hoga lihaza istetaat hone ki surat me nikah karlena chahiye taake duniya aur aaqirat ki ruswayio se bach sake.
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
NIKAH MERI SUNNATH HAI:
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
ADAYE SUNNATH KI NIYYAT SE NIKAH KARE Hazrath ABU Huraira Radhiallahu tahla anha irshad farmate hai: Jo meri sunnath se aaraza kare, wo mere tariqe per nahi.
📚(Bukhari Shareef Hadees 5063, Muslim Shareef Hadees 3469)
Aur ek hadees shareef me hai, Jo mujh se mohabbath karta hai ise meri sunnath per amal karna chahiye beshak nikah karna meri sunnath hai
📚(Kanzul A’amaal Hadees 44413)
Is hadees pak me HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne nikah ke apni sunnath qaraar diya hai aur nikah karne per tarqheeb aur na karne per tahyeed sunayi hai. HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ
αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Nikah Meri Sunnat Hai"
📚(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)
Hazrat Sahal bin sa'ad Radhiallahu tahla anha se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Nikah karo chahe (Mehr dene ke liye) Ek Lohe ki Anguthi hi ho
📚(Bukhari shareef, Jild 3, Safa 80, Hadees no 136)
Aur irshad farmate he Pyare AAQA ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм: "Bande ne jab Nikah kar liya to Aadha Deen Mukammal ho jata hai Ab baki aadhe ke liye ALLAH Ta'ala se daro"
📚(Mishkat shareef, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
MOHABBATH KE LIYE NIKAH
SABSE ACHHA TARIQA:
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
Hazrat Abdullah Ibne Abbas Radhiallahu tahla anha se riwayat hai ke HUZOOR
ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: Mohabbath karne walo ke liye nikah se badh ker koi cheez tumne nahi dekhi.
📚(Ibne Majah Shareef Hadees 1920)
Ghour kijiye ke nikah se pahle tak do aise log ke inme ek dusre ko jaanta hi nahi tha, kisi khaandan ka mard aur kisi khaandan ki aurat , ek arabi dusra ajami, ek ashyayi dusre faraqi, jab sharyi nikah hojata hai to ek dusre per nisar hojata hai aur ulfath wa mohabbath wo rang laati hai ke zindagi bhar saath nahi chodhta, Nikah ke zariye jo taalluq paida hota hai wo lamhati aur waqti nahi balke daayim hota hai.
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
BARKAT WALA NIKAH
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
Ummul momineen Hazrat Ayesha siddiqa Radhiallahu tahla anhuma se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: BADI BARKAT WALA NIKAH WO HAI JISME BOJ KAM HO.
📚(musnad ahmed, hadees 24583, safa 360)
HAKEEM UL UMMAT hazrat moulana mufti ahmed yaar khan alaihirahma , maraa tul manaajhe me is hadees k tahet likhte hai, Yaani jis nikah me farqeen ka kharch kam karaya jaye , mahr bhi mamuli ho, jahez bhaari na ho, koi janib maqrooz na hojaye, kisi taraf se shart na ho, ALLAH azzawajal ke tawakkal per ladki dijaye wo nikah bada hi ba barkat hai, aisi shaadi khaana aabadi hai, Aaj ham haraam rasmo se, behuda riwajo ki wajah se shaadi ko khaana aabadi balke khaanha (yaani bohat saare gharo ke liye baa as ) banalete hai, ALLAH pak is hadees shareef per amal ki toufeeq de- aameen
📚(maraa tul manaajhe, jild 5, safa 11)
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
NIKAH KAHA KARNA CHAHIYE ?
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
Ummul momineen Hazrat Ayesha siddiqa Radhiallahu tahla anhuma Hazrat Anas
Bin Malik, Hazrat Abdullah ibne umar Radhiallahu tahla anhum se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Apne Nutfe (Shaadi ke liye) Achchi jagah talash karo. apni Biradri me Byaah ho, aur Biradri se byaah karlo ki Aurate Apne hi Kunbe ke Mushaba (Milte hue Bachche) Janti hai"
📚(Ibne Maja Jild 1, Hadees no 2038, Safa 549, Bayhaqi Shareef wa Haaqim)
Hazrat imam Bukhari Radhiallahu tahla anhu Riwayat karte hai ki "Aur Must'hab (Behtar) Hai ke apni Nasl ke liye Behtar
Aurat chune Lekin ye Wajib nahi"
📚(Bukhari sharif Jild 3, Bab no 41, Safa 56)
Hazrat Abuhuraira wa Hazrat Jaabir Radhiallahu tahla anhum se Riwayat Hai
Ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Aurat se 4 chizo ki wajahse nikah kiya jata hai..
1. Uska Maal
2. Husn wa Jamal
3. Uska Khandan
4. Uske Deendar hone ki wajah se. Lekin tu Deendar Aurat Ko Hasil Kar"
📚(Bukhari shareef Jild 3, Safa 59, Tirmizi shareef, Jild 1, Safa 555)
HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya: "Aurato se unke Husn ke sabab shaadi na karo ho sakta hai uska Husn tumhe Tabah kar de, na uske Maal ki wajah se shaadi karo ho sakta hai ke unka Maal tumhe gunaho me Mubtela
kar de,Balki Deen ki wajah se nikah kiya karo, Kali,Chapti,Bad -surat Londi agar Deendar ho to Behtar hai"
📚(Ibne maja, Jild 1, Hadees no 1926, Safa 522)
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
Dua ki guzarish
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
NIKAH KARNE KE BE SHUMAR FAIDE HOTE HAI AYIYE DALTE HAI EK NAZAR :
🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈🎈
Nikah k bohat saare fawaid hai yaha kuch ka zikr iqtesaran kiya jaata hai,
1. Nikah karne se nazro ki hifazat, paak damani aur gunaho se bohat had tak mahfooz hojata hai
2. Nikah karne se HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм Ki ek azeem o pyaari sunnat ada hoti hai
3. Neik aulad duniya aur aaqirat dono me kaam aayegi
4. Nikah ke zariye jo aulad hogi in ki achhi tarbiyat karke deen o millat ke istehkaam ke liye inka istemaal kar sakta hai
5. Aulad ki wajah se HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ki seerate taiyyiba ke is hisse per amal ka mouqa mil sakta hai jis ka taalluq aulad se hai
6. ALLAH azzawajal aur uske pyaare HABIB ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ke wo ahkaam wa farmudaat jin ka talluq aulad se hai, aulad ki wajah se in ahkaam wa farmudaat per amal ka zariye mouqa milta hai
7. Insaan jab budha hojata hai aise mouqe per aulad sahara banti hai
8. Bachho ki kafalat ki zimmedari ke sabab insan ke dil me zyada se zyada kamane aur mahnet karne ka jazba paida hota hai
9. Aulad ki wajah se insan muashre me alag thalag nahi rahta balke isko izzath ki nigah se dekha jaata hai
10. Agar aulad daras gahe sunni me fout hojaye to maa baap ki shafaat karegi
11. Neik biwi insan ki zindagi k tamaam
malumaat me rafeeq hoti hai, moharam raaz hoti hai, gham ghusar hoti hai
12. Zahni aur jismani khurb jis qadr insan ko apni biwi se hota hai kisi aur se nahi
hota.
(Sharhey Sahih Muslim Summary by Allama Gulam Rasool Sa’eedi)
13. Nikah ke fawaid me ye bhi hai ke waldain ko aulad ki parwarish shafqat uthana padhti hai aur ye baat ajr-e azeem hai, Hazrat abdullah bin mubarak Radhiallahu tahla anha ek din jihad me
shareek the to us halat me apne sathiyon se farmaya, ke tum jante ho ke koi aisa bhi amal hai jo hamare is jihad wale amal se bhi fauqeeyat rakhta ho aur baaise ajr ho,
Doston ne arz ki huzoor baayan farmaye, Tab aap ne farmaya ,wo jihad se afazal amal ye hai ke kisi musalman ke
bachche ho,un bachchon ko raat sote me kapdhe utar jata hai to baap meethi neend chhodh kar un bachchon ko sanbhal ta hai,unko kapdhe se dhanpta
hai aur ye amal is jihad wale amal se afazl hai.
(subhan ALLAH)
14. HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ne irshad farmaya, ALLAH pak
jannat me kisi momin bande ke darje buLand karta hai to wo banda arz karta hai,ya ALLAH pak ye mere darje kis wajah se buland kiye gaye hai? ALLAH pak farmata hai ,aye bande tere bete tere liye duwa aur isal sawab kiya hai us wajah se tere darje buland kiye gaye hai. Isse maloom huwa ke insan ek aulad chhodh jaye to ye bahut bada ina’am hai aur ye se nikah ke samrat me se qahai.
15. Hazrat umar Radhiallahu tahla anha ka qaul hai imaan ke bad nek aurat se bahtar koi nemat nahi hai.
16. Nikah ke fawaid me se ye bhi hai ke shaadi ke baad agar insan badkari aur bad nigahi se bachna chahe to ba aasani bach sakta hai- Hazrat abdullah bin masood Radhiallahu tahla anha se riwayat hai ke HUZOOR ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм ka irshad hai, aye najawano jo koi tum me se nikah karne ki taqat rakhta hai to use chahiye ke wo shaadi kare kyu ke shaadi karne se bad nigahi aur bad kari se bach jaata hai,agar kisi ko nikah ki taqat na ho to wo roze rakhe kyu ke roze bachao ka zaria hai.
17. khuwaja abu talib kitab (quwwatul quloob ) me naqal karte hai ke jab aurat
ke saath uska shauhar khelta hai usko muhabbat karta hai to usko itni nekiyan milti hai jitni ALLAH ko manzoor hai, Aur jab dono gusl karte hai to ALLAH pak paani ke har qatre se ek farishta paida karta hai jo qiyamat tak ALLAH pak ki tasbeeh bayan karta hai aur us tasbeeh ka sawab dono khawind beevi ko ata karta hai. (Subhan ALLAH)
Baraye Karam Is Paigham Ko Dusro ko Share kijiye ALLAH Apko iska Ajar-e-Azeem Zaroor dega AAMEEN
●●►jazakALLAH khairan◄●●
♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾
🔂 TO BE CONTINUED
POSTED BY
⤵ FROM
👑"GULAM-E-AALA-HAZRAT"👑
🌹 TALIB E DU'AA
🌷 Jamaluddin Raza
🎈VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾
No comments:
Post a Comment