Saturday, May 28, 2016

NIKAH KE TALLUQ SE KUCH AHEM BAATE

              🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯
                  NIKAH KE TALLUQ SE
                    KUCH AHEM BAATE
              🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯🔯

Aurat ko nikah ka paigam aur daawat dena aur baat cheet ke bad Shaadi ka ahad karna aur shaadi ki baat pukhta karlena mangni kahlata hai-

Mangni azdawaji zindagi ki pahli seedhi hai-ye pahla qadam soch samajh kar aur danish mandi se uthana chahiye,
Q k yaha se hi zindagi ki buniyad padhti hai,aur azdawaji zindagi ki buniyad mangni hi hai,is marhale me ladki aur ladka ka intekhab karte hai,aur ek doosre ko pasand karte hai,is marhale me jo intekhab hojata hai fir us intekhab ko nikah ke zariye rishta azdawaj me munsalik kardiya jaata hai.

Azdawaji zindagi ki kamiyabi ka inhesar is pahle qadam par hota hai,isliye zaroori hai ke ye qadam bade soch samajh kar chhan been karke ladke aur ladki ki zahni ham aahingi ko dekhte huwe uthana chahiye,isme kisi qism ki jald baazi sekaam nahi lena chahiye.

Zindagi ka pahla zeena ye hai ke mard apne liye kisi aisi aurat ka intekhab kare jo nek,pak ba saleeqa sha’ar ,taleem yafta aur husn-e akhlaq wali ho,aur mard ko aurat ki soorat par seerat ko tarjeeh dena chahiye,aur aurat ko aise khawind kaintekhab karna chahiye jo deen par amal karne wala ho aur akhlaq-e husna ka malik ho,taaleem yafta ho aql mand aur samjhdar ho…

Hadees pak me huzoor salllahu alaih wasallam ne ne irshad farmaya ke jabtumhare pas koi aisa shakhs nikah kapaigam bhejhe jiske deen aur akhlaq se tum razi ho to us se nikah kara do,agar aisa na karo ge to zameen me fitna aur lamba chauda fasad ronuma hoga.

ALLAHU akbar……

Ek aur hadees-e pak me hai?
Hazrat abu huraira radiallahu anh se riwayat hai ke nabi kareem sallallahualaih wasallam ne farmaya ke kisi aurat se char cheezon ki wajah se nikah kiya jata hai,uske husn-o jamal ki wajah se aur uske hasb-o nasb ki wajah se aur uske deen ki wajah se,lekin dekho tum deen wali aurat se nikah karna.

Afsos sad afsos aaj kal aksar log ye sab nahi dekhte balke ye dekhte hai ke ladki wale yaa ladke wale kitne maaldar hai,
Aur ladke walao ka to jawab hi nahi hota ladke walon ka to yahi kahna hota hai ke mujhe ladki haseen-o jameel ke saath saath daulat bhi milni chahiye,tarah tarah ki mange kijaati hai jahez k naam per ,
Bechara ladki ka baap rat ki tanhayeeme apne aansu baha baha ke zindagi basar karta hai.

Kya hamne kabhi socha is bat ko ek din hamare saath bhi yahi ho sakta hai ??,hamari bhi bari aasakti hai. ??
Tab ehsas hoga….  Isliye mere doston aap sabse meri ilteja hai aaj se ahad karle ham sab keapni zindagi ko khush gawar banayen ge aur apne nikah me nek seeerat ba akhlaq ba kirdar ladki ko layen ge aur jahez ki mang nahi karenge.
(In shaa ALLAH)

Ek aham bat ye hai ke , mangni ya nikah karne se pahle ladki ko dekhlene me koi harj nahi hai balke zaroor dekh lena chahiye,,  Hadees shareef me hai Nikaah Se Pehle Ladki ko Dekhna:

Hazrath Muhammad Salama Kehte Hai Ki Maine Ek Aurat Ko Nikah Ka Paighaam Diya, Mai Use Dekhne K Liye Us K Baagh Me Chhup Kar Jaya Karta Tha Yahan Tak Ki Maine Use Dekh Liya Kisi Ne Kaha
Aap Aisi Harkat Kyu Karte Hai

HalankiAap Huzoor K Sahabi Hai, To Maine Kaha Huzoor Ne Irshaad Farmaya
“Jab Allah Ta’ala Kisi K Dil Me Kisi Aurat Se Nikah Ki Khwahish Daale Aur Wo Use Paighaam De To Us Ki Jaanib Dekhne Me Koi Harj Nahi.

(Ibne Maja Vol: 01, Page: 523 , Baab No: 597 , Hadees No: 1931)

Yaha se ye baath sabit hui k nikah se pahle ladki ko ek nazar dekhlena jaiz hai…, ye ajeeb bat hai ke jinki shaadi honi hai aur dono ne ek doosre ka bistar banna hai aur jinhon ne ek saath zindagi basar karni hai unka ek doosre ko dikha na, ek doosre ko pasand karna bahut mayoob tasawwur kiya jata hai aur unko ek doosre se milne ki ijazat nahi dijati,joke islam ki taaleemat ke bilkul khilaf hai.

Nikah Meri Sunnat hai::::

Noor-E-Mujassam , Rasool-E-Khuda, Habeeb-E-Kibriy a,Nabi-E-Rehmat , Shafa-E-Mehshar , Fakhar-E-Do aalam, Fakhar-E-Bani-E -Aadam, Malik-E-Do Jahan, Khatmul Ambiya, Rehmatallil Aalamin, Tajdare Madina Rahat-E-Kalbo Sina, Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:  “Nikah Meri Sunnat Hai”

(Ibne Maja, Jild 1, Hadees no 1913, Safa 518)

ALLAH Rabbul izzat irshad farmata hai:
“Aur Nikah me lao jo aurate tumhe khush aaye”

(Tarjuma: Kanzul iman, Para 4, Surah Nisa, Aayat 3)

Hazrate Sahal bin sa’ad Radiallahu anhu se riwayat hai ke Nabi-E-kareem Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“Nikah karo chahe (Meher dene ke liye) Ek Lohe ki Anguthi hi ho

(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 80, Hadeesno 136)

Aur irshad farmate he Pyare Aaqa Sallalahu Alayhi Wasallam:  “Bande ne jab Nikah kar liya to AadhaDeen Mukammal ho jata hai  Ab baki aadhe ke liye ALLAH Ta’ala se daro”

(Mishkat sharif, Jild 2, Hadees no 2962, Safa 72)

Hazrat Abdullah Bin Masud RadiallahuTa’ala Anho Se Riwayat hai ke Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:  “Aye Jawano Jo tum me se Aurato ke Hukooq (Haq) ada karne ki takat rakhta hai  To wo Nikah zarur kare Kyunki NikahNigah Ko jukata hai   Aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur Jo iski takat na rakhe to woh Roza Rakhe Kyunki ye Shahwat Ko kam karta hai

(Bukhari sharif, Jild 3, Safa 52, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa, 533)

             .........Jazakh ALLAH………..

❈✵✵✵❈✵✵✵❈✵❈✵✵❈✵✵✵❈
🔂 TO BE CONTINUED
              POSTED BY

↪ FROM
👑"GULAM-E-AALA-HAZRAT"👑

🌹  TALIB E DU'AA
🌹  Jamaluddin Raza

🔯 VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
❉✹✹✹✹❉✹✹❉•❉✹✹❉✹✹✹✹❉

No comments:

Post a Comment