MILAD UN NABI ( صلى الله عليه و سلم )
Eid-e-Milaad-un-Nabi sallallahu alaihi wa sallam manana jaaiz hai aur baa’ise rahmat aur barkat hai :
▪▪► ALLAH ta’ala musalmano ko koi bhi khaas ne’amat ata farmata hai wo ALLAH ke khaas dino me se hai aur un dino ko yaad karte rehna zaroori hai.
Qur’an :
Aur unhe ALLAH ke dino ko yaad dilao.
[ 14 Surah Ibraheem, Aayat 5 ]
ALLAH ta’ala ne Hazrate Moosa alaihis salaam se farmaya tha ke ‘Bani Isra’eil ko un dino ko yaad karne ke liye kaho jab ALLAH ta’ala ne un ko khas ne’amate ata farmai ya’ni unki haajat par unko Mann wa Salwa (paka pakaaya khaana) ata farmaya aur Peene ke liye paani ka chashma ata farmaya aur us me unke 12 kabeelo ke liye 12 hisse kar diye.
Ummate Muhammadi ke liye Yaume Milaad-un Nabi sallallahu alaihi wa sallam, Eid-ul-Fitr, Eid-ul-Adha, Shabe Qadr, Shabe Baarat, Yaume Aashura, Shabe Me’araj ye sab ALLAH ta’ala ke khaas din aur raat hain.
▪▪► Yaume Milaad-un Nabi sab se khaas din hai kyun ki ALLAH ta’ala ne ye tamaam kaainat apne Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke liye banai hai aur ye tamaam muqaddas aur mubarak din aur raat Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me musalmano ko ata kiye hain.
Hadeese Qudsi :
Laulak lama khalaqtul ardi wal aflak.
ALLAH ta’ala farmata hai :
Aye mehboob agar tujhe paida karna maqsood na hota to main zameen aur aasmano ko paida na karta.
Hamare nabi sallallahu alaihi wa sallam ka martaba itna aa’la aur afzal hai ke ALLAH ta’ala ne sab se pehle Noore Mustafa ko banaya aur puri kaainat ko unke liye hi banaya.
▪▪► ALLAH ta’ala ki tamaam ne’amato me behtareen ne’amat uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam hain. Aap ke sadqe me ALLAH ta’ala hamari duao ko qubool karta hai aur hame sab ne’amate ata karta hai. Aap roze mehshar me ummatiyo ki shafa’at karke jahannam ki aag aur azaab se bachayenge.
Qur’an :
Beshak ALLAH ne musalmano par bada ehsaan farmaya ke un me unhi me se (azmat wala) Rasool bheja jo un par us ki aayate padhta aur unhe paak karta hai aur unhe kitaab wa hikmat ki ta’alim deta hai agarche wo log us se pehle khuli gumrahi me the.
[ 3 Surah Aale Imraan, Aayat 164 ]
▪▪► Is liye Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ke ehsaano ko yaad karke Yaume Milaad-un-Nabi ke mauqe par khushiya manani chahiye.
Yun to pura saal hame Sarware Kaunain Pyare Aaqa sallallahu alaihi wa sallam ke ehsaano ko yaad karna chahiye aur Aap ki wilaadat aur Hayaate tayyabah ka aur aap ke kamaalat aur moazeezat ka zikr karte rehna chahiye. Magar Yaume Milaad-un-Nabi ke mubarak mauqe par ALLAH ki is azeem ne’amat ka khaas kasrat se zikr karna chahiye.
Qur’an :
Farma dijiye (ye sab kuchh) ALLAH ke fazl aur uski rehmat ke ba’is hai (jo be’asate Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam ke zariye tum par hua hai) pas musalmano ko chahiye ke us par khushiya manayen ye us se kahi behtar hai jise wo jama karte hain.
[ 10 Surah Yunus, Aayat 58 ]
▪▪► Ahkame shariat ke masa’il 4 chizo ko milakar samajh sakte hain :
(1) Kitabullah (Qur’an shareef)
(2)Hadees wa Sunnate Nabawi (Prophetics & traditions)
(3) Ijma e Ashaba wa Ulema (Consensus of Companions of Prophet , Followers of companions & Muslim scholars)
(4) Qiyas (Analogical Deduction by Muslim scholars)
Qur’an :
Aye Eimaan walo, ALLAH ki ita’at karo aur Rasool ki ita’at karo aur (apno me se) saahibane amr ki aur phir kisi mas’ale par tum baham ikhtelaaf karo to use ALLAH aur uske Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) ki taraf lauta do, Agar tum ALLAH par aur aakhirat ke din par yaqeen rakhte ho to yehi (tumhare liye) behtar aur anjaam ke lihaaj se bahut achha hai.
[ 4 Surah an-nisa, Aayat 59 ]
Ya’ni ALLAH ta’ala farmata hai ki tum me ilm walo ke upar ilm wala hoga jo tumhare liye saahibane amr hoga aur jo tumhe ALLAH aur uske Rasool sallallahu alaihi wa sallam ki ita’at ka sahi tareeqa sikhayenge. Aam halaat me us Imaam ki ita’at karte raho aur jab kisi mas’ale par ikhtelaaf ho jaaye to Qur’an aur Sunnat ki taraf ruju karo.
Saahibane Amr me Ameerul Mo’mineen (Khulfa e Rashideen) aur Aaimma e Islaam saamil hain.
Hadeese Nabawi :
Ulma e ummatika ambiya e Bani isra’eil.
Meri ummat ke ulema Bani isra’eil ke nabiyo ke maanind hai.
▪▪► Aur Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne aur Khulfa e Raashideen aur Aaimma e Islaam ne Milaad-un-Nabi jaaiz maankar apne apne tareeqe se manaya hai.
[1] ALLAH ta’ala ne apne Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ki zahoor / be’asat par apni qudrat se aap ki fazeelat ko zaahir karke khaas khushi ka izhaar kiya.
Aap Makka mukarrama me Peer ke din Subh saadiq ke waqt mushk ki khushbu mehkaate, paakiza badan, naaf burida, khatna shuda, dono shaano ke darmiyan mohare nubuwwat darakhshaa aur dono haath zamin par rakhe hue sare paak aasman ki taraf uthaae hue tashreef laaye .
Aap ki wilaadat ke waqt jaha par Hazrate Aamena radi-Allahu ta’ala anha thi us ghar me koi chirag na hone ke ba-wajood ghar me itni roshni ho gai ki agar koi chahe to sooi me dhaga piro le.
Zameen se aasman tak noor hi noor chha gaya.
Tamaam but sar ke bal aundhe gir pade.
Aatash-qada e Faars khud ba-khud gul ho gaya.
Hukme ilaahi se Ka’aba ne sajda kiya.
[2] Huzoor nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ne apne Yaume wilaadat par khushi ka izhaar kiya hai aur ALLAH ta’ala ka shukr ada karne ke liye khaas ibaadat ki hai.
▪▪► Masjide Nabawi me mehfile milaad me khud Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne apni wilaadat ke fazaail bayaan farmaye.
(Tirmizi shareef, Jild -2, Safa - 201 )
▪▪► Huzoor Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ne khud apna Milaad manaya hai aur Madeena me bakare zibah karke miskeeno ko khilaayen hain.
(Al Haawil-il Fatawi, Jild -1, Hadees - 196 )
▪▪► Hazrat Abu Katada radi-Allahu ta’ala anhu se riwayat hai ki :
Huzoor sallallahu alaihi wa sallam se Peer (Monday) ke din roza rakhne ke baare me puchha gaya to Aap ne farmaya ke ‘Isi din meri Wilaadat hui thi aur isi din mujh par Qur’an majeed naazil huwa.’
(Sahih Muslim, Jild -2, Kitaab us Siyaam, Safa- 367 , Hadees - 2850 )
▪▪► Hazrat Abu Bakr Siddeeq radi-Allahu ta’ala anhu farmte hain :
‘Jis ne Milaad-un-Nabi ki ta’azeem ki us ne Islaam ko zinda kiya.’
(Naimat-ul-Kubra, Safa -7, 8)
▪▪► Maula e kaainat Hazrat Ali radi-Allahu ta’ala anhu ALLAH ki baargah me Huzroor Sarware kaainat sallallahu alaihi wa sallam ke naam se ek mendha zibah kiya karte the.
(Jaame Tirmizi, Jild -1, Safa - 538 , Sunan Abu Dawood, Jild -2, Safa -29)
▪▪► [3] Isi tarah har zamaane ke mashhoor Aaimma e Islaam ne Jashne Milaad-un-Nabi manaane ko jaiz bataya hai.
(1) Imaam Jalaal-ud-deen Suyuti (Wilaadat 849 Hijri) ne apni kitaab ‘Husnul Maqsad fi Amalil Maulid’ me.
(2) Mulla Ali Qaari (Wilaadat 1014 Hijri) ne apni kitaab ‘Al Morid ul Ruvi fi Maulid-in-Nabi’ me.
(3) Muhaddees Imaam Ibne Jawzi (Wilaadat 510 Hijri) ne kitaab ‘Bayaan al-Maulid un-Nabawi’ me.
(4) Imaam Shams-ud-deen al-Juzri (Wilaadat 660 Hijri) ne kitaab ‘Husnul Maqsid fi Amalil Maulid’ me.
(5) Imaam Abu Shama (Wilaadat 599 Hijri) (jo Imaam Nawawi ke shaikh hain) ne ‘Al Baais Ala inkaril Bada val Hawadis’ me.
(6) Imaam Zahbi (Wilaadat 673 hijri) ne apni kitaab ‘Sayer ul A’alam wan nubala’ me.
(7) Imaam Ibne Kaseer (Wilaadat 701 Hijri ) ne apni kitaab ‘Al Bidaya wan Nihaya’ me.
(8) Imaam Shams-ud-deen bin Naseer-ud-deen Damashqi (Wilaadat 777 hijri) ne apni Kitaab ‘Mawridul Saadi fi Maulidil Haadi’ me.
(9) Imaam Ibne Hajar Asqalani (Wilaadat 773 hijri ) ne apni kitaab ‘Suyuti - Husnul Maqsad fi Amalil Maulid’ me.
(10) Imaam Shams-ud-deen al-Sakhawi (Wilaadat 831 Hijri) ne kitaab ‘Sublul Huda wal Rushad’ me.
(11) Imaam Qustulani (Wilaadat 851 Hijri) ne apni kitaab ‘Al Mawahib ul Laduniya’ me.
(12) Imaam Qutub-ud-deen Hanafi (Wilaadat 988 Hijri) ne apni kitaab ‘Al a'alam be A'alam e Baitillahil Haram’ me.
(13) Imaam Ibne Hajar Makki (Wilaadat 909 Hijri) ne apni kitaab ‘Fatawa Haadisia’ me.
(14) Shaikh Abdul Haq Muhaddees Dehalwi ( 958 hijri) ne apni kitaab ‘Ma sabat minas sunnah’ me.
(15) Imaam Zarqani ( 1055 hijri) ne ‘Sharah Mawahibul Laduniya’ me.
(16) Hazrat Shah Abdur Raheem Dehalwi ne apni kitaab ‘Al dur rus sameen’ me.
(17) Shah Waliyullah Muhaddees Dehalwi (Wilaadat 1174 Hijri) ne apni kitaab ‘Fuyuz ul Haramain’ me.
(18) Haji Imdaad-ullah Muhaajir Makki (Wilaadat 1233 Hijri) ne ‘Shamaim e Imdaadiya’ Aur ‘Faisla e Haft Mas’ala’ me.
(19) Maulana Abdul Hay Lakhnawi (Wilaadat 1264 Hijri) ne apni kitaab ‘Fatawa Abdul Hay’ me.
▪▪► Qur’an :
Aur apne Rabb ki ne’amato ka khub tazkeera karo.
[ 93 Surah ad-Duha, Aayat 11 ]
Is tarah Maahe Rabi’-ul-awwal me Mehfile Milaad munaqid karna jis me Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ki wilaadat, aap ki sirate hasana, aap ki Sunnate aur Hadeese paak aur deegar fazaail, kamaalat aur moazeezat bayaan karna aur Ambiya aur Auliya Allah ke bayaan karna ye baaise sawaab hai.
ALLAH ta’ala aur uske Habeeb wa Rasool sallallahu alaihi wa sallam ka zikr karna baaise barkat aur rehmat hai aur dil ka sukoon paane ka aur use paak karne ka zariya hai.
Aur Mehfile Milaad aur Juloose Milaad se Shaane Islaam aur Ittehaade Millat ka muzaahira bhi hota hai.
▪▪► Koi agar is mubarak din me khushi manane se ya Ishqe Rasool ke saath Zikre Rasool ki mehfil munaqid karne ya Juloos nikalne se roke to ye munasib bhi nahi aur mumkin bhi nahi.
Kyun ki khud ALLAH chahta hai ke uske Habeeb Khaatimul Ambiya sallallahu alaihi wa sallam ka zikr hamesha buland rahe.
ALLAH ta’ala ne aap ko HabeebAllah, Afzalul Bashar, Khaire Khalqillah, Mohsine insaaniyyat, Asharaful Ambiya aur Sayyedul Ambiya, Rasoole aazam, Sarware Kaunain, Noore mujaasam, Saahibe laulak, Saahibe Me’araj, Mustafa, Mujtaba, Mukhtar aur Shafi e Mehshar, Khaatimul Ambiya, Nabi e aakhiruz zamaan, Rasoole kaainat, Rehmatalil aalamin, Aneesil gareebin, Makhzane joodo sakhaawat banaya hai.
Qur’an :
Aur ham ne aap ki khaatir aap ka zikr (hamare zikr ke saath milakar har jagah) buland farmaya.
[ 94 Surah Alam nasrah, Aayat 4 ]
Aur Huzoor RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ne aur Khulfa e Raashideen aur Aaimma e Islaam ne Milaad-un-Nabi jaaiz maankar apne apne tareeqe se manaya hai.
Chunanche is daur me bhi musalman ishqe Rasool ke saath Mehfile milaad munaqid karke aur Juloos nikalkar Yaume wilaadat manate hain.
▪▪► Jo Aashiqane Rasool is me saamil hote hain wo sa’adat-mand hain aur jo saamil nahi hona chahte unko har achhi cheez par aitraaz karne ki aadat ho gai hai.
Mo’mino ko chahiye ki unhe Eid-e-Milaad-un-Nabi ki haqeeqat samjhane ki koshish karen aur agar wo nahi maante to unhe unke haal par chhod den aur zyada bahes na karen.
Qur’an :
ALLAH ne unke dilo aur kaano par mohar laga di hai aur unki aankho par parda pad gaya hai aur unke liye sakht azaab hai.
[ 2 Surah al-Baqarah, Aayat 7 ]
▪▪► Aur Aashiqane Rasool ko bhi chahiye ke Eid-e-Milaad-un-Nabi ko Islaami tareeqe se manaye aur Aise amal karen jis se Islaam aur Musalmano ko aur izzat mile.
Qur’an :
Aye Eimaan walo, Islaam me pure daakhil ho jaao.
[ 2 Surah al-Baqarah, Aayat 208 ]
Is mubarak dino me Ishqe Rasool ke saath Mehfile Milaad, Mehfile Zikr aur Mehfile Tilawate Qur’an me saamil hote rahen.
• Kasrat se Duroodo Salaam padhen.
• Zyada Namaaz padhen aur Tilawate Qur’an karen.
• Sadqa- Khairaat zyada karen.
• Gareebo, Mohtaajo ki imdaad karen.
• Beemar aur kamzor ki khidmat karen.
• Saadat ki khidmat karen.
• Buzurgo ko isaale sawab karte rahen.
• Kasrat se Astagfar karen.
• Apne gharo aur mohallo ko khub sajayen aur Roshni karen.
• Magar aam raasto par ya choraho par is tarah sajaawat na karen ki waha se guzarne walo ko taklif ho.
• Najam ki CD/DVD bajate waqt ye khayal rakhen ki itni buland aawaz na ho ki is ki wajah se mareezo, jaeefo, buzurgo aur chhote bacho ko taklif ho aur Azaan aur Namaaz ke awqaat ka bhi khayal rakhen.
• Eid-e-Milaad-un-Nabi ko Sub-h Saadiq ke waqt khaas Salaato Salaam paish karen aur Dua e khair karen.
• Fajr ki namaaz ada karne ke baad bhi Dua e kahir karen.
• Gusl karen, Miswaak karen, Khushbu lagayen, Surma lagayen, Achhe kapde pehnen.
• Achha khaana khaas kar meetha pakakar khud bhi khaayen aur azeezo, rishtedaaro aur padosiyo ko hadiya bheje aur gareebo ko bhi den.
• Mehfile Milaad me aur Juloos me adabo ehtaram aur khushi ke saath saamil ho aur Raza e ilaahi aur Izhaare ishqe Rasool ki nek niyyat rakhen.
• Hattal imkaan Ba-wuzu rahen.
• Har fuzul baat aur amal se bachen.
• Juloos me Zikre Ilaahi aur Hamde Baari ta’ala, Naate Rasool aur Manqabat padhte rahen.
• Kasrat se Duroodo Salaam padhte rahen.
• Islaam me Nachna aur Gana-bajana haraam hai Chunanche Juloose milaad me in baato se bachen.
• Aatishbaazi na karen ke ye Fuzul-kharchi aur gunah hai.
• Aurto ko be-parda nikalna ya mardo ke bich me aana mana hai. Is liye Juloose milaad dekhne ke liye aurto ko apne gharo se bahar nahi nikalna chahiye.
• Juloose milaad me oont ya ghode jaise jaanwaro ko saath me na rakha jaaye ki in ke peshaab aur leed se logo ke kapde na-paak hone ka andesha rehta hai.
• Juloos ke dauran bhi masjid me ba-jama’at namaaz ada karen.
• Aur namaaz ke baad ALLAH ta’ala se Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke waseele se sab ke liye Dua e khair karen.
• Tabarrukaat ki ziyarat karen.
• Auliya Allah ki ziyarat ke liye jaayen.
• Qabrstan jaayen aur isaale sawaab aur Dua e magfirat karen.
Sahi ilme deen sikhen aur dusro ko sikhayen.
• Taake sahi aqeede ke saath nek amal kar saken.
• Sunnato ko apnayen.
• Har gunah se bachne ki koshish karen.
• Sab ke liye Hidayat ki aur Sahi aqeede ke saath sahi nek amal karne ki taufiq ki dua karen.
• Khaatma bil khair ki aur Maut ki, Qabr ki aur Qayamat ki pareshaniyo se hifazat ki aur magfirat aur najaat ki dua karen.
ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me Sab ko in baato ko yaad rakhkar is par amal karne ki aur dusro ko sikhane ki taufiq ata farmae.
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur hidayat ata farmae aur Sab ko sahi tareeqe se ishqe Rasool ke saath Eid-e-Milaad-un-Nabi manane ki aur fayuzo barkaat haasil karne ki taufiq ata farmae.
Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sahi ilme deen haasil karne ki aur Sahi baat samajhne ki taufiq ata farmae aur Sahi nek amal karne ki aur Gunaho aur buri bid’ato se bachne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.
...Aameen...
No comments:
Post a Comment