Saturday, September 30, 2017

DUA'A E ASHURA

🌷 دعائے_عاشوراء_ایک_سال_تک_زندگی_کا_بیمہ 🌷

🌹 حضرت سیدنا امام زین العابدین رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ جو شخص عاشوراء محّرم کو طلوعِ آفتاب سے غروبِ آفتاب تک اس دعا ئے عاشوراء کو پڑھ لے یا کسی سے پڑھو ا کر سن لے تو ان شآء اللہ تعالیٰ یقینًا سال بھر تک اس کی زندگی کی حفاظت ہوگی اور موت نہ آئے گی اور اگر موت آنی ہی ہوگی تو عجیب اتفاق ہے کہ پڑھنے کی توفیق نہ ہوگی۔

(مجموعۂ وظائف )

دعائے عاشوراء
بِسۡمِ اللہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡم ِ ط
یَا قَابِلَ تَوۡبَۃِ اٰدَمَ یَوۡمَ عَاشُوۡرَآءَ
یَافَارِجَ کَرۡبِ ذِی النُّوۡنِ یَوۡمَ عَاشُوۡرَاءَ
یَا جَامِعَ شَمۡلِ یَعۡقُوۡبَ یَوۡمَ عَاشُوۡرَاءَ
یَاسَامِعَ دَعۡوَۃِ مُوۡسٰی وَ ھٰرُوۡنَ یَوۡمَ عَاشُوۡرَاءَ
یَارَافِعَ اِدۡرِیۡسَ اِلَی السَّمَآءِ یَوۡمَ عَاشُوۡرَاءَ
یَا مُجِیۡبَ دَعۡوَۃِ صَالِح ٍ فِی النَّاقَۃِ یَوۡمَ عَاشُوۡرَاءَ
یَانَاصِرَ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ ﷺ یَوۡمَ عَاشُوۡرَاءَ
یَارَحۡمٰنَ الدُّنۡیَا وَالۡاٰخِرَۃِ وَرَحِیۡمَھُمَا صَلِّ عَلٰی جَمِیۡعِ الۡاَنۡبِیَآءِ وَالۡمُرۡسَلِیۡنَ وَاقۡضِ حَاجَاتِنَا فِی الدُّنۡیَا وَالۡاٰخِرَۃِ وَاَطِلۡ عُمۡرَنَا فِیۡ طَاعَتِکَ وَمَحَبَّتِکَ وَرِضَاکَ وَاَحۡیِنَا حَیٰوۃً طَیِّبَۃً وَّتَوَفَّنَا عَلَی الۡاِیۡمَانِ وَالۡاِسۡلَامِ بِرَحۡمَتِکَ یَآ اَرۡحَمَ الرَّاحِمِیۡنَ ، اَللّٰھُمَّ بِعِزِّالۡحَسَنِ وَاَخِیۡہِ وَاُمِّہٖ وَاَبِیۡہِ وَجَدِّہ ٖ وَبَنِیۡہِ فَرِّجۡ عَنَّا مَانَحۡنُ فِیۡہِ ط

📕 پھر سات بار

سُبۡحَانَ اللہِ مِلۡاَ الۡمِیۡزَانِ وَمُنۡتَھَی الۡعِلۡمِ وَمَبۡلَغَ الرِّضٰی وَزِنَۃَ الۡعَرۡشِ لَا مَلۡجَاَ وَلَا مَنۡجَاَ مِنَ اللہِ اِلَّا اِلَیۡہِ سُبۡحٰنَ اللہِ عَدَدَ الشَّفۡعِ وَالۡوَتۡرِ وَعَدَدَ کَلِمَاتِ اللہِ التَّآمَّاتِ کُلِّھَا نَسۡئَلُکَ السَّلَامَۃَ بِرَحۡمَتِکَ یَآ اَرۡحَمَ الرَّاحِمِیۡنَ وَھُوَ حَسۡبُنَا وَنِعۡمَ الۡوَکِیۡلُ نِعۡمَ الۡمَوۡلٰی وَنِعۡمَ النَّصِیۡرُ وَلَا حَوۡلَ وَلَا قُوَّۃَ اِلَّا بِاللہِ الۡعَلِیِّ الۡعَظِیۡمِ وَصَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلٰی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰی اٰلِہٖ وَصَحۡبِہٖ وَعَلَی الۡمُؤمِنِیۡنَ وَالۡمُؤمِنَاتِ وَالۡمُسۡلِمِیۡنَ وَالۡمُسۡلِمَاتِ عَدَدَ ذَرَّاتِ الۡوُجُوۡدِ وَعَدَدَ مَعۡلُوۡمَاتِ اللہِ وَالۡحَمۡدُ لِہََِٰ رَبِّ الۡعٰلَمِیۡنَ ۔

⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘

Ashura 10 Muharram Ki Fazeelate

🔮ASHURA  (10 MUHARRAM) KI FAZEELATE AUR SAIYEDNA IMAM-E-HUSSAIN رضی الله عنہ KI KUCH KARAMATE.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 01.

ASHURA KE DIN KI ITNI FAZEELAT KYU ❓❓❓

🎴10 MUHARRAM KE DIN ARSH, KURSI, AASMAN, ZAMEEN, SOORAJ, CHAND,SITARE, AUR JANNAT PAIDA KIYE GAYE..

🀄AASHURA K ROZ AADAM عليه السلام  KO PAIDA KIYA GAYA, ISI DIN UNHE JANNAT ME DAKHIL KIYA GAYA AUR ISI DIN APKI TOUBA BHI QABOOL KI GAYI .

🎴ASHURA K ROZ HAZRATE IBRAHIM عليه السلام PAIDA HUWE ISI DIN UNHE AAG SE NIJAT MILI..

🀄ASHURA K ROZ HAZRATE IDREES عليه السلام KO MAQAME BULAND KI TARAF UTHAYA GAYA..

🎴ASHURA K DIN AYYUB عليه السلام KI TAKLIF RAF 'A KI GAI.

🀄AASHURA K DIN YUSUF عليه السلام GEHRE KUNWE SE NIKALE GAYE.

🎴AASHURA K DIN YUNUS عليه السلام MACHHLI K PET SE NIKALE GAYE.

🀄ASHURA K DIN YAQOOB عليه السلام KI BINAAI KA ZUAF DOOR HUWA..

🎴AASHURA K DIN SULEMAAN عليه السلام KO MULKE AZIM ATA KIYA GAYA...

🀄AASHURA K DIN NOOH عليه السلام KI KASHTI KUHE JUDI PAR THAHRI..

🎴AASHURA K DIN MOOSA عليه السلام OR AAP KI UMMAT KO NAJAT MILI OR FIRON APNI QOUM SAMET GARAQ HUA...

🀄AASHURA K DIN ISAA عليه السلام PAIDA KIYE GAYE OR ISI DIN UNHE AASMANO KI TARAF UTHAYA GAYA..

🎴AASMAN SE ZAMEEN PAR ISI DIN SABSE PEHLI BARISH NAZIL HUYI..

🀄AUR ISI DIN KA ROZA UMMATO ME MASHOOR THA YAHA TAK KE YE BHI KAHA GAYA HAI KI IS DIN KA ROZA MAHE RAMZAN SE PEHLE FARZ THA FIR MANSOOKH KAR DIYA GAYA AUR HUZUR ﷺ NE HIJRAT SE PEHLE IS DIN KA ROZA RAKHA...

📚(MUQASHAFATUL QULUB)

🎴AUR SAIYED'USH'
SOHDA SEHZADA-E-RASOOL SAIYEDNA IMAM-E-HUSSAIN رضی الله عنہ AUR AAPKE JA'NISARO NE ISI DIN MEDANE KALABALA ME EK AZEEM SAHADAT KA JAAN NOSH FARMAYA JISKI MISAL AAJ BHI DUNIYA ME QAYAM HAI.....

🔮Note :- Ala Hazrat Par Aitraz ke Jawab Moharram bad Wapas Shuru Kiye Jaenge....

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 02.

MUHARRAM KA MAHINA...

🎴Ameer'ul'Momineen Saiyedna Usman Ghani رضی الله عنہ Farmate hai Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya...

🀄Muharram Ke Mahine ki Izzat-Wa-Takrim Karo, Ye Allah Taa'la ka Mahina hai, Jisse Muharram Ke Mahine ki Taa'zim O Toukir ki Allah Taa'la Use Jannat Me Izzat Wa Takrim Se Nawazega...

🎴Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya "Jisne Zull'Hijjah Ke Mahine ke Bad Aakhri Din Aur Muharram Sharif ke Pehle Din Roze Rakhhe, Goya Usne Saal Bhar Roze Rakhe Aur Uske 60 Saal ke Gunaah Baksh Diye Jaenge...

🀄Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jisne Muharram Sharif ke Mahine Ki Pehli, 10vi aur Aakhri Tarikh Ke Roze Rakhe Allah Taa'la Use Jannat Me Ese 30 Sehar Ata Farmayega ke Jiske Har Mehal me 30-30 Kamre Honge Aur Har Mehal Me Mukhtalif Darje Honge, Jinme Ese Baagat Honge Jisme Nehre Jari Rahegi Aur Hoor-O-Gilma Khidmat ke Liye Hazir Rahenge...

🎴Aage Irshad Farmaya "Jisne Muharram Sharif ke Mahine Ke Pehle 10 Din Roze Rakhhe Goya Usne 10,000 Saal Esi Nafil Ibadat Ki Ke Raate Qayam Me Aur Din Roze me Guzara...

🀄Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke "Jo Saksh Apne Wajood Par Dozakh Ki Aag Haram Karna Chahta hai Usko Chahiye Ke Muharram Sharif Ke Roze Rakhhe...

🎴Aage Irshad Farmaya "Muharram ke Mahine Ke Jumma ki Raat me Ibadat Karne Wala Esa hai Jese Use Shabe Bar'at Naseeb Huyi....

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 03.

⛺ASHURA KI FAZEELAT...

🎴Hazrate Ibne Abbas رضی الله عنہ Se Marvi hai ke Huzur ﷺ Madina Munawwara Tashrif Laye To Apne Yahood ko Ashura Ke Din Ka Roza Rakhte Dekhkar Pucha ki Tum Is Din Roza Kyo Rakhte ho???

🀄Unhone Jawab Diya Ki Ye Esa Din hai Jisme Allah Taa'la ne Moosa Aleyhissalam Aur Bani Israeel Ko Fir'on Aur Uski Qoum Par Galba Farmaya Tha Lihaza Hum Tazeeman Is Din Ka Roza Rakhte hai, Ispar Huzur ﷺ Ne Farmaya Ki Hume Moosa Aleyhissalam Se Nisbat Jyada Qareeb Hai Chunache Aapne Bhi Us Din ka Roza Rakhne ka Huqm Diya...

🎴Jab Aap Madina Munawwara Tashrif Laye To Is Din ki Justaju ki Taqeed Ki Yaha Tak Ke  Aakhri Umr Sharif Me Farmaya Ki Agar Me Aainda Saal Tak Zinda Raha to Aainda 9 Zill Hijja Aur 10 Muharram Ka Roza Rakhunga Magar Apne Usi Saal Wisal Farmaya Aur 9vi ke Siwa 10vi ka Roza Na Rakh Sake Magar Apne Is Din 9vi Aur 10vi Aur 11vi Muharram Ke Dino me Roza Rakhne Ko Pasand Farmaya...

🀄Jesa ke Farmane Nabawi hai Is Din se Ek Din Pehle Aur Ek Din Bad Roza Rakho Aur Yahood Ke Tarike ki Mukhalifat Karo Kyonki Woh Ek Din hi ka Roza Rakhte the....

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 04.

ASHURA KI FAZEELAT...

🎴Behayki Ne Sho'abul Imaan Me Riwayat Naql Ki hai Ki Jisne Ashura Ke din Apne Ghar walo Aur Ahal-Wa-Ayal Par Wus'at ki Allah Taa'la Uske Sare Saal Me Wus'at Aur Barkat Ata Farmata hai...

🀄Tabrani Ki Ek Munkar Riwayat Me hai ki Is din me Ek Dirham Sadqa Karna 7 Lakh Dirham Ke Barabar hai Aur Woh Hadees Jisme hai Ki Jisne Is Din Surma Lagaya Woh Is Saal Aankhe Dukhne se Mehfooz Rahega Aur Jisne Is din Gusl Kiya Wo Bimar Nahi Hoga...

🎴Wazeh Ho Ki Is Din Hazrate Saiyedna Imam-E-Hussainرضي الله عنه Ki Sahadat Ka Din hai Iski Azmat, Raf'at, Allah ke Nazdik Uske Darja Aur Ahle Bait ke Maratib Se Is Din Ka Talluk Hai..

🀄Khaas Tor par Khayal Karo Ke Kahi Rafzi Ki Biddato me Mashgool Na Ho Jao Jesa ki Wo Log Unke Hum Misl Rona,Pitna,Aur Ghum Ka Izhar karna Kyonki Ye Cheeze Momino Ke Akhlak Se Bahar hai.

🎴Agar Ye Cheeze Acchi hoti to Unke Nana'jaan Huzur ﷺ Ka Youme Wisal In Umoor Ka Batrike Aula Mustahik hota Aur Hume Allah Kafi hai Aur Wahi Umda Madadgar hai...

📚(Mukashifat'ul'Quloob)

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 05.

10 MUHARRAM SHARIF KA ROZA....

🎴Jo Shaks Dozakh Ki Aag Apne Upar Haram Karna Chahe
Wo Maah-E-MUHARRAM Ke Roze Rakhe..

📔(ANISUL WAYEZEEN)

🀄Jo Shaks Yaum-E-Aashura ISMAD SURMA Aaankho Me Lagaye
To Uski Aankhe Kabhi Nahi Dukhegi...

📘(SHAUBUL IMAAN JILD-3 SAFA-367 HADEES-3797)

🎴Jis Ne Aashura Ki Sham Kisi Momeen Ki Roza Iftar Karaya
Usko Puri UMMAT Ko Roza Iftar Karane Ka Sawab Milega...

📓(GUNYATUT TALIBIN)

🀄10 MUHARRAM KE DIN 4 NAFL PAHE
ALHAMDU KE BAAD QUL HUWALLAH 11 MARTABA PADHE
50 SAAL KE GUNAH
MAAF HOTE HAI..

📕(NazhatuL Majaalis J-1,S-146)

🎴Huzur Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya "Jis Musalman Ne 10 Muharram Ka Roza Rakha Uske Nama'e'Aamal Me Esi 60 Saal ki Ibadat Ka Sawab Likkha Jaega Ke Usne Har Shab Qayam Kiya Aur Har Din 60 Saal Tak Roze Rakhe...

🀄Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jo Musalman 10 Muharram Ko Roza Rakhe Use Dozakh Ki Aag Hamesha-Hamesha Ke Liye Choo bhi nahi Sakti...

🎴Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jis Musalman Ne 10 Muharram ko Qur'ane Kareem ki Kum se Kum 10 Ayate Tilawat Ki Use Pure Saal Qurane Paak Ki Tilawat Ka Sawab Milta Rahega...

🀄Aur Is Din ki Ek Neki 10,000 Neki ke Barabar Hoti hai Aur Is Din ke Roze ka Sawab 700 Saal ki Ibadat Ke Sawab Ke Barabar Ata kiya Jata hai Aur Us Saksh Ko Allah Taa'la Gunaho se Paak Farma Deta hai...

📖(Fazaeel-O-Aa'male Ashura, Safa-09-10)

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 06.

HASNAIN KARIMAIN KI SHAF'AT...

🎴Riwayato me Milta Hai ke Jo Imandar 10 Muharram Ke Din 4 Raq'at Nafil Ada Kare Uska Sawab Hazrar Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضي الله عتهما Ki Bargah me Nazr Kare to Roze Qayamat Ye dono Imam Us Khush naseeb Saksh Ki Shaf'at Karke Jannat me Dakhil Karaenge....

🀄Is 4 Raq'at Nafil Ada Karne ka Tarika Ye hai Ke Har Raq'at Me Sureh Fatiha ke Bad 15 Martaba Sureh Ikhlas (Kul huwallah Sharif) Padhe....

🎴Hazrat Shaikh Shibli رضی الله عنہ Ne Ye 4 Raq'at Nafil Ada Karke Hazrat Hasnain Karimain Ki Bargah Me Iska Sawab Naze kiya To Unhe Khawab Me In Dono Imamo ki Ziyarat Naseeb Huyi Aur In Dono Imamo ne Unhe Basharat Di ke...

🀄AYE SHAIKH SHIBLI HUM TUMHE QAYAMAT KE DIN APNE SATH JANNAT ME LE JAENGE AUR YE SIRF TUMHARE LIYE NAHI BALKE JO BHI MUSALMAN HUMARI MUHABBAT ME YE AMAL KAREGA HUM USKI SHAF'AT KARKE JANNAT ME LE JAENGE...

🎴Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jisne 10 Muharram ko Kisi Yateem ke Daste Shaf'qat Fera Use Har Baal ke Badle Ek Darja Ata hoga....

📖(Fazaeel-O-Aa'male Ashura, Safa-10'11)

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 07.

YOUME ASHURA KE KUCH AA'MAL...

🎴Kafi Ahadees Me Marvi hai Ke Ashura Ko Itni Bato Ka Lihaz Rakhe...

①.Is Din Ka Ehtaram Kare, Gusl Kare Aur Paak Saaf Rahe..

②.Roza Rakhe Aur Mehmano ke Sath Iftar Kare..

③.Buri Bato se Zaban Ko Roke..

④.Ahlo Ayal Par Kushada Dili se Kharch Kare..

⑤.Sulah Rehmi Kare, Aizza Wa Akarba Se Nek Sulook Kare..

⑥.Fukra Par Sadqa Kare Aur Unse Muhabbat se Pesh Aaye..

⑦.Musalman Bhaiyo Se Mulakat Kare Aur Ulma-Wa-Sulha ki Ziyarat Ko jaye..

⑧.Salam Me Sabkat Kare Aur Sabse Muhabbat se Pesh Aaye...

⑨.Dushman se Sulah Joyi Kare...

⑩.Jis Rishtedar Se Talluk Toot Chuka ho Use Jodne ki Koshish Kare...

⑪.Hajamat Banwaye Aur Bula Qasd Zebaish Saaf Suthre Kapde Pehne...

⑫.Bhooke Ko Khana Khilao Aur Pyase Ko Pani Pilao...

⑬.Janaze ke Sath Jao..

⑭.Yateem Ke Sar par Hath Fere Ya'ni Uski Imdad-W-Ia'nat Kare..

⑮.Maa Baap Ki Khidmat Kare Aur Unki Duwaye Le..

⑯.Apne Gunahi se Sacche Dil se Touba Kare Aur Rokar Duwaye Mange..

⑰Bargahe Rabb me Apne Walidain Aur Apne Rishtedaro ki Magfirat ki Duwa Mange....

📖(Fazaeel-O-Aa'male Ashura, Safa-13-14)

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 08.

⛺AASHURA KE DIN HIRNIYA APNE BACCHO KO DOODH NAHI PILATI...

🎴Sarkar Saiyedna Khawaza Nijamuddin Auliya رضی الله عنہ Ne Farmaya Shekhul Islam Wal Muslimin Hazrat Baba Farud-Uddin Mas'ood  Ganje Shakar رضی الله عنہ Farmate hai...

🀄AASHURA KE ROZ JUNGLE KI HIRNIYA BHI KHANDANE RASOOLALLAH ﷺ KI DOSTI KE SABAB APNE BACCHO KO DOODH NAHI PILATI FIR US DIN KE ROZE KO KYU CHODE...

📚(RAHAT-UL-QULOOB)

⛺HOOR NE KAHA ME AASHURA HU...

🎴Misr me Ek Saksh Tha Jiske Pas Ek Kapde ke Siwa Kuch Na tha Usne Aashura Ke Din Masjide Hazrat Amr Bin Aas Me Subha ki Namaz Padhi Waha Qayeda Ye tha ke Ashura ke Din Aurte Us Masjid me Jaya Karti thi..

🀄Ek Aurat ne Us Saksh Se Kaha Ke Allah ke Liye Mere Baal-Baccho Ke Liye Kuch De do Us Saksh Ne Kaha Acha Mere Sath Chalo, Ghar ke Andar Jakar Us Saksh ne Apna Wo Kapda Utara Aur Darwaze ki Daraz Se Us Aurat ko De Diya Us Aurat Ne Duwa di ke Allah Tujhe Janant ke Hulle(Jannat Ka Zewar) Pehnaye..

🎴Usi Raat Us Saksh Ne Khawab me Nihayat Khubsurat Hoor Dekhi Us Hoor Ke Pas Ek Saib(Apple) Tha Usne Us Saib ko Toda To Usne Ek Hulla Paya Us Saksh ne Hoor se Pucha Tu Koun hai ?? To Hoor ne Jawab Diya Me Aashura hu Jannat me Teri Biwi Fir wo Saksh Bedar Huwa To Apne Pure Ghar ko Khushbu se Mehakta paya...

🀄Wuzu Karke 2 Raq'at Namaz Padhi Aur Duwa Ki Aye Allah Agar Waqayi Wo Jannat Me Meri Biwi hai To Meri Rooh Qabz Kar Le Aur Muje Uske Pas Pahucha de Allah Taa'la Ne Uski Duwa Qabool Farma Li Wo Saksh Usi Waqt Inteqal Kar gaya Goya Pahucha Marerz Apne Masiha ke Pas...

📚(Nuzhatul Majalis)

🔵Sabit Huwa ki Ashura Ke Din Garib-O-Miskeen Ko Sadqa Karna Aur Unki Iyadat Karne Ki Fazeelat kitni Jyada hai....

Monday, September 18, 2017

NAMAZ KA MUQAMMAL BAYAAN

        🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
        NAMAZ KA MUQAMMAL BAYAAN
        🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

PART  1⃣

《بسم الله الرحمن الرحيم》  ⚘[الصلوة والسلام عليك يا رسول الله صلى الله عليه وسلم]

👑👑👑👑👑👑👑👑👑
➡"NAMAZ KI FAZILAT"
📖📖📖📖📖📖📖📖📖

🖍Iman Ki Durusti Aur AQIDE Ki Pukhtagi Mutabiq Ahlesunnat O Jamat Ke Baad Har Musalman AQIL O Balig Mard O Aurat Par Tamam Fara'iz Me Ahem Farz NAMAZ Ka Padhna Hai.

🖊Namaz Ki Ahmiyat O Afadiyat Par Quran O Hadees Me Jagah Jagah Fazilaten Warid Hui Hain.

🖍Iske Ada Par Sakht Takeed Aur Tark Par Sakht Wa'eeden Aai Hain.

🕋Allah Jallah Majdahu Irshad Farmata Hai,

📖 QURA'AN:

🖊Ye Kitab (Quran) Parhezgro Ko Hidayat Hai Jo Gaib (Allah, Farishte, Jannat, Jahannam, Mehshar Etc) Par Iman Laye, aur Namaz Qayam Rakhte Hain.

📖 {Sure BAQRAH, Ayat-3}

📖 QURA'AN:

🖍Kharabi Hai Un Namaziyon Ke Liye Jo Apni Namaz Se Be-Khabar Hain, WAQT Guzar Kar Padhne Uthte Hain.

📖{Sure Maoon Ayat-5}

🖊Jahanna Me Eik Wadi Hai Jiski Sakhti Se Jahannam Bhi Panah Mangta Hai Uska Naam Wail Hai, WAQT Guzar Kar Namaz Padhne Wale Usme Dale Jayenge.

🖍Allahu Akbar Sirf Be-WAQT Padhne Walon Ka Ye Haal Hoga Aur Jo Padhte Hi Nahi Hai Unka Kya Banega??

📚HADEES:

🖊Hazrat Abdullah Bin Masood Ne Huzoor صلی اللہ علیہ و سلم Se Pucha Allah Pak Ko Sab Se Pasand Kaunse Aamal Hai?
Farmaya Huzoor Ne, WAQT Ke Andar Namaz Padhna, Pucha Phir?
Farmaya Maa Baap Ke Saath Neki Karna.
Pucha Phir???   Farmaya. Allah Ki Raah Me Jihad Karna.

📚 {Sahi Bukhari, Kitab Mawaqitus'salat, Jild-1, Page-196, Hadees No-527}

PART 2⃣

📚 HADEES:

🖍Eik Saheb Ne Arz Ki Ya Rasu'lallah صلی اللہ علیہ وسلم Allah Ko Sab Se Ziyadah Kya Pasand Hai?   Farmaya, WAQT Me Namaz Padhna, Jisne Namaz Chhodi Uska Koi Deen Nahi, Namaz Deen Ka Sutoon (Khamba) Hai.

📚{Shabul Iman, Jild-3, Page-39}

📚 HADEES:

🖊Hazrat ABU HURAIRAH Se Marwi Hai Farmaya Huzoore Pak Ne, Jo Shakhs Apne Ghar Se Taharat (Wazu Aur Gusl) Kar Ke Farz Ada Karne Masjid Gaya Uske Eik Qadam Me 1 Gunah Mit'ta Hai Aur Dusre Qadam Pe 1 Darja Baland Hota Hai.

📚{SAHI MUSLIM, KITABUL MASAJID, Hadees No-666}

📚HADEES:

🖍Sarkare Azam Ne Farmaya Musalman Ke Pure Badan Ko Aag Khayegi (Jo Musalman Apni Shamate Nafas Ki Bina Par Jahannam Me Jayga Uske) Siwaya Aazaye Sujood (Sajde Me Badan Ka Jo Hissa Zameen Par Lagta Hai Use Chhod Kar) Ke, Allah Pak Ne Unka Khana Aag Par Haram Farma Diya.

📚{SUNANE IBANE MAJAH, BAB SIFTUN'NAR, Hadees-4326}

🖊Niche Darj Ahadeese Tayyeba Ka Ba-gaor Mutala Kare Aur Sochen Kahi Hum Isse Gafil To Nahi??

🖍Sunniyat Ke Balando Bala Daawe Shiddat Ke Naare Aur Amal 0 (Zero) Asle Sunniyat Aur Maslke Pe Chalna Pure Deen Par Chalna Hai, BA-NAZRE Ga'ir Mundareja Zail Ahadees Ko Bar Bar Padhe.

📚HADEES:

🕌 Huzoore Akram Sallallahu Alaihi Wassalam Ka Irshade Girami Hai,

🖊Allh Bande Ko Is Haal Me Ziyadah Pasand Farmata Hai Ki Wo Sajde Me Apna Muh Khak (Zameen) Par Mal Raha Ho.

📚{Tabrani, Jild-4, Hadees No-6085}

📚HADEES:

🖍Har Shaye (Chiz) Ki Alamat (Nishan, Jisse Wo Pehchani Jaye) Hoti Hai Aur Iman Ki Alamat Namaz Hai.

📚{Mazkhooz Az Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-439, Ba-Hawala Munyatul Musalli}

📚HADEES:

🖊Namaz Deen Ka Sutoon Hai Jisne Use Qayam Rakha Usne Deen Ko BAQI Rakha Aur Jisne Use Chhod Diya Usne Deen Ko Gira Diya.

📚{Bahar-E-Shariat}

Part  3⃣

📚HADEES:

🖍Islam Me Uska Koi Hissa Nahi Jiske Liye Namaz Nahi Hai.

📚{Kanzul Ummal, Jild-7, Page-133}

🖊Tarikeen Namaz Jo Imano Aqide Ki Badi Badi Baten Karte Hain Is Farmane Rasool Sallallahu Alaihi Wassalam Se Ibrat Hasil Karen.

📚HADEES:

🖍Jisne Namaz Ki Hifazat Kee Wo Qayamat Ke Din Uske Liye Noor Aur Daleel Aur Nijat Hogi.   Aur Jisne Namaz Ki Hifazat Na Kee Uske Liye Na Noor Na Daleel Na Najat Hogi Aur Qayamat Ke Din Wo Qaroon Firon Haman Aur Ubai Bin Khalf Ke Saath Hoga.

📚{Musnade Imam Ahmad Bin Hambal}

📚HADEES:

🖊SAHABA NAMAZ KE CHHODNE WALE KO KAFIR JANTE THE, Jinme Hazrat Umar, Hazrat Abdur Rahman, Hazrat Abdullah Bin Masood, Hazrat Abdullah Bin Abbas, Hazrat Jabir Bin Abdullah Aur Hazrate Muaaz Aur Abu Hurairah Ka Yahi Mazhab Hai Ki Be-Namazi Kafir Hai.   Imam Ahmad Bin Hambal Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Nakhi Ke Nazdeek Bhi Be-Namzi Kafir Hai.  Haan Hamare Imam Sarkar Abu Hanifa Aur Bahot Se Sahaba Be-Namzi Ko Kafir Nahi Jante Magar Yahi Kya Kam Hai Ki Bade Bade Sahaba Ne Kafir Kaha???

📚{جامع ترمذی، ابواب الایمان، باب ما جاء في ترک الصلوة، الحديث-۲۶۳۱}

🖍Ba-Gaor Padhe Ye Sab Allah Ke Mehboobe Azam Sallallahu Alaihi Wassalam Ke Farameen Aur Uske Sohbat Yafta Jannati Jamat Sahaba ke AQWAL Hai Kya Isse Badh Kar Kisi Ki Baat Ho Sakti Hai, Namazo Ka Chhodna Aur Shafat Pe Nazan Hona Ya Kisi Pe Takya Kar Lena Ki Falan Kaam Aajyega Ye Mahez Kham Khali Aur Jhooti Aas Hai.

🖊Allah Jalla Majdahu Hum Sab Ko Deen O Sunniyat Par Qayam Rakhe Aur Har Farz O Wajib Ko Unke WAQTON Pe Ada Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye.  Aameen

Part  4⃣

➡"NAMAZ PADHNE KA ASAN TARIQAH"

🖍Namaz Padhne Ka Tariqa Ye Hai Ki Ba-Wazu Qibla Ki Taraf Muh Kar Ke Khada Ho Is Khade Hone Ko Qayam Kehte Hain.
Dono Pairon Ke Beech 4 Ungal Ka Fasla Ho.   Aur Dono Hath Kano Tak Le Jayen Is Tarah Ke Anguthe Kano Ki Lao Tak Le Jayen.    Baqi Ungliyan Apne Hal Pe Ho Na Bahot Khuli Na Mili Hateliyan Qibla Rukh Ho Aur Nigahen Sajdah Ki Jagah Par Ho.   Dil Me Pakka Irada Namaz Ka Kar Ke ALLAHU AKBAR Kehta Hua Hath Naf Ke Niche Bandhe.   Is Tarah Ke Sidhe Hath Ki Hateli Ki Gaddi Ulte Hath Ki Kalai Ke Sire Par Ho Aur Beech Ki 3 Ungliyan Kalai Par Aur Angutha Aur Choti Ungliyan Agal Bagal Me.

🖊Phir Sana Padhe, Phir Azubillah Aur Bismillah Pura Padhe.    Phir Sure Fatiha Puri Padhe Aur Khatm Par Ahista Se Aameen Kahe.    Iske Baad Jo Sure Padhni Hai Agar Wo Shuru Se Hai To Bismillah Padh Kar Suhru Kare Phir Koi Sure Ya 3 Ayat Ya Koi 1 Aisi Lambi Ayat Jo 3 Choti Ayaton Ke Barabar Ho Padhe Aur Allahu Akbar Kehta Hua Rukoo Me Jaye.      Rukoo Me Ghutno Ko Hath Se Pakde, Is Tarah Ke Hateliyan Ghutno Par Hon Aur Ungliyan Khoob Phaili Ho.    Peeth Bichi Ho Sar Aur Peeth Barabar Ho Jaye Uncha Nicha Na Ho.     Aur Rukoo Me Nazar Pair Ki Taraf Ho Aur Kam Se Kam Rukoo Ki Tasbeeh 3 Bar "Subhana Rabbiyal Azeem" Kahe 5 Ya 7 Bar Kehna Afzal Hai.     Phir Akele Namaz Padh Raha Ho To "Sami'Allah Huliman Hamidah" Kehta Hua Sidha Khada Ho Jaye Aur Phir "ALLAHUMMA RABBANA WALAKL HAMD" Kahe Phir Allahu Akbar Kehta Hua Sajde Me Jaye.      Agar Imam Ke Piche Hai To Sami'Allah Huliman Hamidah Na Kahe Sirf "Allahumma RABBANA Wala Kal Hamd" Hi Kahe Rukoo Se Khade Hone Ki Halat Ko Qaomah Kehte Hain.    Sajde Me Is Tarah Jayen Ki Pehlen Ghutna Teke Phir Dono Hath Phir Sar Ko Dono Hath Ke Bich Rakhe, Is Tarah Ki Pehle Nak Phir Peshani Aur Nak Ki Haddi Zameen Par Jam Jaye.

🖍Aur Sajde Me Nazren Nak Ki Taraf Ho.
Bazu Ko Karwaton Se Aur Pet Ko Rano Se Aur Rano Ko Pindliyon Se Juda Rakhe.
Dono Paon Ki Sab Ungliyan Qiblan Rukh Ho, Is Tarah Ki Pair Ki Ungliyon Ke Pet Zameen Se Khoob Lage Rahe.     Dono Hath Ki Hateliyan Bhi Zameen Par Khoob Jami Rahe Aur Ungliya Qibla Rukh Ho, Sajde Me Kam Az Kam 3 Bar "SUBHANA RABBIYAL AALAA" Kahe, Phir Sar Uthaye Pehle Peshani Phir Nak Phir Hath, Sidha Pair Khada Rakhe Uski Ungliyan Qibla Rukh Ho, Ulta Pair Bichaye Aur Uspe Jam Ke Sidha Baith Jaye.     Baithne Me Hath Ki Hateliyan Ghutno Ke Pas Ho Aur Qibla Rukh Ho.       Phir Zara Taher Kar Dusra Sajdah Kare.     2 Sajdo Ke Beech Baithne Ko Jalsa Kehte Hain.     Phir Dusri Rakat Ke Liye Khada Ho Jaye Zameen Pe Hath Na Teke Ghutno Pe Rakhe Aur Khada Ho.
Dusri Rakat Me Sirf Bismillah Padh Kar Sure Fatiha Padhe.     Sure Fatiha Ke Khatm Par Ahista Aameen Keh Kar Dusri Milaye Phir Hasbe Sabiq (Pehle Ki Tarah) Rukoo Aur Sajdah Kare.      Namaz 4 Rakat Wali Hai To 2 Rakat Ke Baad Tasha"hud (Attahiyyat) Me Baitha Qadaye Oola Kehlata Hai.     

🖊Attahiyyat Me Jab Laa Par Paohche To Sidhe Hath Ki Shahadat Ki Ungli Khada Kare Aur Anguthe Aur Baqi Ungkiyon Ka Halqa Banaye, Aur Jab ILLA Par Paohche To Gira De, Phir Sab Hath Ki Ungliyan Khol Kar Pehle Ki Tarah Rakhe.      Ab Agar 2 Se Ziyadah Rakat Padhni Ho To Attahiyyat Ke Pura Hone Par Khada Ho Aagar Namaz Farz Hai To Sure Fatiha Ke Baad Koi Sura Na Milaye Balki Rukoo Sajdah Kar Ke Puri Baqya 2 Rakat Padhe.     4 Rakat Wali Me 4 Rakat Ke Baad Baithne Ko Qadaye Ukhra Kehte Hain Isme Attahiyyat Ke Baad Duroode Ibraheem Phir Duae Masoora Padhe, Phir Sidhe Khande Ki Taraf Muh Kar Ke Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah Pade Phir Ulte Kandhe Ki Taraf Ise KHURUJE BISUN'IHI Kehte Hain.    Namaz Ke Baad Dua Mange Aur Muh Pe Hath Phair Le.      Ye Tariqa Akele Aur Imam ki Namaz Ka Hai.      Jab Aap MUQTADI (Yani Imam Ke Piche Padh Rahe Hon To Sure Fatiha Aur Koi Sura Na Padhe Chahe Koi Namaz Ho)

📚{Makhooz Az Kutbe Ahadees, KUTBE FIQHE HANAFI}

PART  5⃣

➡"MASAYELE NAMAZ"

🖍Namaz Shuru Karne Se Qabal Kuch Chizen Shart Hain Jab Tak Wo Na Paai Gai Namaz Shuru Hogi Hi Nahi........
Kuch Chizen Namaz Me Farz Hai Jab Tak Wo Ada Na Hogi Namaz Hogi Hi Nahi...
Kuch Wajibat Hain Agar Wajib Ko Qasdan Chhoda To Gunehgar Hua Aur Namaz Ka Phir Se Padhna Wajib Hai.....
Agar Bhool Se Wajib Chhoda To Aakhri Me Sajdah Sahu Kar Le.
Aur Kuch Baten Namaz Me Sunnate Hai, Jinko Chodne Ki Adat Banana Gunah Aur Bhool Se Chhot Jaye To Koi Harj Nahi.
Aur Kuch Chizen Mustahab Hain Jinko Karna Sawab Hai Aur Chhod Dene Par Koi Gunah Nahi.

Namaz Shuru Karne Se Qabal in Baton Ka Paya Jana Zaroori Hai (Shara'ite Namaz)

1- TAHARAT.
🖊(Namazi Ke Kapde Aur Badan Aur Jis Jagah Namaz Padh Raha Hai Us Jagah Ka Pak Hona)

2- SATRE AURAT.
🖍(Namazi Ka Apne Badan Ka Wo Hissa Jiska Chupana Farz Hai Use Chupana) Yani Kam Se Kam Naaf Se Ghutno Tak Ka Chupana Farz Hai, Isse Kam Chupa Hai To Namaz Shuru Hi Nahi Hogi, Alhamdulillah Aaj Ke Daur Me Kapdon Ki Kisi Ko Kami Nahi Hai.

📖QURA'AN:

🖊Har Namaz Ke WAQT Kapde Pehno.

📖{Para-8, Sure Aaraf, Ayat No-31}

3- ISTEQBALE QIBLAH.
🖍(Namaz Me Qibla Ki Taraf Muh Karna)

4- WAQT Ka Hona.
🖊(Kisi Namaz Ko Waqt Se Pehle Padhne Se Wo Hui Nahi, Aur Waqt Guzar Kar Padhne Se Ho To Gai Magar Qaza Aur Sawab Bhi Kam}

5- NIYYAT.
🖍(Dil Me Pakka Irada Namaz Ka Ho)

6-TAKBIRR TEHRIMA.
🖊(Yani Niyyat Bandhte WAQT Jo Allahu Akbar Kahi Jati Hai Isko Takbire Tehrima Kehte Hain Iske Saath Hi Ab Namaz Shuru Ho Gai.

📚{Raddul Mohtar, BAB SHURU'TUS SALAT, Bahsul Qayam, Jild-2, Page-162}

1- TAKBIRE TEHRIMA.
🖍(Ye Shart Bhi Hai Aur Farz Bhi)

2-QAYAM.
🖊(Namaz Me Sidha Khade Hona)

3- QIRAT.
🖍(Quran Ki Kam Se Kam 1 Ayat Padhna, Chahen Namaz Sunnat Ho Ya Farz, Nafl Ho Ya Wajib Akele Padhe Ya Imam Bane, Haan Imam Ke Piche Hai To Qirat Na Kare Chahe Koi Namaz Ho}

4- RUKOO.
🖊(Itna Jhukna Ko Hath Ghutno Se Lag Jayen)

5- SUJOOD.
🖍(Mathe Ka Zameen Se Lagana Is Tarah Ki Paon Ki 1 Ungli Ka Pet Zameen Se Laga Ho) Har Rakat Me 2 Sajde Farz Hai.

6- QADATE AKHIRAH.
🖊(Yani Namaz Ki Rakaten Puri Hone Ke Baad Itna Baithna ki Attahiyyat Me Rasuluhu Tak Padha Ja Sake)

7- KHURUJE BESUN'IHI.
🖍(Namaz Ke Akhri Qayde Me Apne Iradah Wo Amal Se Namaz Ko Khatm Kar Dena)

📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-516}

Mas'ala:

🖊MUQTADI Ke Liye Ye Bhi Farz Hai Ki Apne Imam Ki Namaz Ko Sahi Khayal Kare, Uske Nazdeek Agar Imam Ki Namaz Sahi Nahi Hai To Khud Uski Na Hui, Imam Ki Ho Gai.

📚{Durre Mukhtar, Jild-2, Safah-173}

PART  6⃣

➡"WAJIBATE NAMAZ"

🖍Wajib Wo Amal Hai Agar Namaz Me Use Jaan Boojh Kar Chhoda To Namaz Hi Na Hui Phir Se Padhni Hogi, Agar Bhool Se Chhoot Gaya To Aakhri Me Sajdah Sahu Kar Le.

🕋Namaz Ke Wajibat Ye Hain,

🖊Allahu Akbar Se Namaz Shuru Karna.
Sure Fatiha Ki 7wo Ayaten Padhna Wajib Hai Agar Eik Lafz Bhi Chhuta To Wajib Tark Hua, Sure Fatiha Ke Baad Koi Choti Sura Ya 3 Choti Ayaten Ya 1 Aisi Badi Ayat Jo 3 Choti Ayaton Ke Barabar Ho Padhna, Farz Namaz Ki Pehli 2 Rakaton Me Sure Fatiha Ke Baad Nafl Aur Vitr Ki Har Rakat Dusri Sure Padhna Wajib Hai, Rukoo Sujood Qauma Aur Jalsa Me Kam Az Kam 1 Martaba Subhan'allah Kehne Ki MIQDAR Thherna.     4 Ya 3 Rakat Wali Namaz Me Agarche Nafl Hi Ho 2 Rakat Ke Baad Baithna Wajib Hai Ise Qadae Oola Kehte Hain, Qadae Oola Me Attahiyyat Ke Baad Kuch Na Padhna Wajib Hai Yani Attahiyyat Padh Kar BAQI Rakaton Ke Liye Khada Ho, Namaz Me Jitne Qade (Baithna Pade) Har Qade Me Pura Attahiyyat Padhna Wajib Hai Uska 1 Lafz Bhi Chhodna Wajib Ka Tark Hai, Lafz Assalam 2 Baar Wajib Hai Haan Alaikum Wajib Nahi Hai, Vitr Ki Namaz Me Duae Qunoot Padhna Aur Uski Takbir Kehna Wajib Hai, Har Rakat Me 1 Hi Rukoo Aur 2 Hi Sajde Wajib Hai, Namaz Me Aayate Sajdah Padhi To Sajdah Karna Wajib Hai (Quran Me Kuch Aisi Ayaat Hain Jinke Padhne Se Padhne Aur Sunne Walon Par Sajdah Wajib Hota Hai) Jab Imam Qirat Kare Chahe Zor Se Ho Ya Ahista Muqtadi Ko Chup Rehna Wajib Hai.
Siway Qirat Ke Har Wajib Me Imam Sahab Ka Itteba Karna Wajib Hai.

MAS'ALA:

🖍Pehle Qade Me Imam Attahiyyat Padh Kar 3ri Rakat Ke Liye Khada Hua Aur Abhi Muqtaqdi Ne Puri Attahiyyat Nahi Padhi To MUQTADI Ko Wajib Hai Ki Apni Attahiyyat Pura Kar Ke Khada Ho Chunki Attahiyyat Ka Imam O Muqatdi Dono Ko Pura Padhna Wajib Hai, Haan Sunnat Me Agar Ta'aruz (Takrao) Hua To Sunnat Ko Chhod De Aur Imam Ka Itteba Kare, Masalan Rukoo Ya Sajde Me Muqtadi Ne Abhi 3 Tasbeeh Nahi Padhu Thi Aur Imam Ne Sar Utha Liya To MUQTADI Bhi Utha Le.

📚{Raddul Mohtar, Jild-2, Page-202}

🖊Ye Sab Namaz Ke Ahem Ahem Masayel Hain Ise Yad Rakhna Ispe Amal Karna Har Musalman Ke Liye Zaroori Hai.

PART  7⃣

➡"NAMAZ KI SUNNATEN"

🕌Namaz Me Ye Chizen Sunnat Ha,

🖍Takbire Tehrima Ke Liye Hath Uthana,
Haton Ki Ungliyon Ko Apne Haal Par Chhodna, Hatheliyon Aur Ungliyon Ke Pet Ka Qibla Rukh Hona, Takbir Kehte WAQT Sar Na Jhukana, Takbir Aur Takbire Qunoot, Aur Takbire Eidain (Eidul Azha Aur Eidul Fitr Ki 6-6 Takbirat) Me Kano Tak Hath Uthana Iske ILAWA Kahi Hath Na Uthana Sunnat Hai, Aurat Ke Liye Sunnat Ye Hai Ki Kandhon Tak Hath Othaye, Imam Ho To Use Allahu Kabar Aur Sami'allahuliman Hamidah Aur Salam Zor Se Kehna, Sana Padhna Aur AuzuBillah Aur Bismillah Padhna Aur Ye Sab Ahista Padhna, Rukoo Ke Liye Allahu Akbar Kehna Aur Rukoo Me Ghutno Ko Hath Se Pakadna, 3 Bar Subhana Razbbilyal Azeem Kehna, Rukoo Me Peeth Khoob Bichi Hui Rakhe Yahan Tak Ki Pani Ka Pyala Rakha Jaye To Wo Taher Jaye, Rukoo Se Uthte WAQT Imam Ka Sami'allahuliman Hamidah Kehna Aur MUQTADIYON Ka Allahumma Rabbana Wa Lakal Hamd Kehna, Akele Namaz Padhne Wale Ka Dono Kehna, Sajde Ke Liye Jate Aur Uthte Huye Aur Sajde Me 3 Baar Subhana Rabbiyal Aala Kehna Aur Sajde Me Hath Ka Zameen Par Rakhna Sunnat Hai, Sajde Me Jate Huye Pehle Ghutne Phir Hath Phir Nak Phir Peshani Rakhna Sunnat Hai Aur Wapas Hote Huye Iska Ulta Kare, 2 Sajdo Ke Beech Jalsa Karna (Baithna) Aur Sidha Qadam Khada Aur Ulta Bicha Hua Rakhna Aur Hathon Ka Rano Pe Rakhna Sajde Me Ungliya Qibla Rukh Hon Aur Ungliyan Mili Hui Rakhna, Sadje Me Pair Ki 10wo Ungliyan Qibla Roo Hona Sunnat Hai, Dusri Rakat Ke Liye Uthte WAQT Ghutno Par Hath Rakh Kar Panjo Ke Bal Uthe Yahi Sunnat Hai, Qada Me Baithne Ke Liye Ulta Pair Bichaye Aur Dono Sureen (Chutad) Uspe Rakhe Aur Sidha Pair Khada Ho Uski Ungliyan Qibla Ki Simt Ho Hath Rano Pe Rakhna Is Tarah Ki Ungliyon Ke Sire Ghutno Se Qarib Ho, Shahadat ke WAQT Kalme Ki Ungli LA Par Utahye Aur illah Par Gira De, Farz Namaz Ki 3ri Aur 4thi Rakat Me Sure Fatiha Padhna Afzal Hai, 3 Bar Subhan'allah Kehna Bhi Jayez Hai Aur 3 Tasbeeh Padhne Ki MIQDAR Tak Chup Raha Tab Bhi Namaz Ho Jayegi Magar Chup Na Rehna Chaiye, Namaz Me Durood Sharif Padhte WAQT Huzoor Aur Hazrat Ibaraheem Ke Naam Se Pehle Sayyedna Lagana Behtar Hai.

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, page-521}

☞MAS'ALA:

🖊Agar Imam Ki Awaz Sab Muqtadiyon Ko Nahi Pahochti Hai To Behtar Hai Ki Koi MUQTADI Bhi Baland Awaz Takbir Kahe, Taki Sab Ko Awaz Paohche, Aur Agar Sab Ko Imam Ki Awaz Pahochti Hai To Bila Zarurat Mukabbir Banna Makrooh Hai.

📚(Raddul Mohtar, Jild-2, Page-209)

☞MAS'ALA:

🖍Koi Agar Rukoo Ki Tasbeeh Me Subha'na Rabbiyal Azeem Me Zo (ظ) Ko Ada Na Kar Sake To Wo Subhana Rabbiyal Kareem Padhe

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, Page-525}

PART  8⃣

➡"MAKROOHATE NAMAZ"

🖊Makruhe Tehrimi Ye WAJIB Ke MUQBLE Ka Hai, Ise Bar Bar Karna Haram Tak Paohchata Hai, Agar Namaz Me Makroohe Tehrimi Paya Gaya To Us Namaz Ka Lautana Wajib Hai.

🖍Makroohe Tanzihi, Wo Amal Hai Jise Shariat Ne Pasand Nahi Kiya Lekin Karne Par Azab Nahi Lekin Chhod Dena Sawab Hai, Ye SUNNATE MOAKKDEAH Ke MUQABLE Me Hai, Namaaz Me Ye Batein Makrooh Hai.

🖊Badan Kapde Dadhi Se Khelna, Sajde Me Jate Aur Uthte Kapda Sametna, AgarChe Dhool Se Bachne Ke Liye Ho Aur Bila Wajah Ho To Aur Ziyadah Makrooh Hai, Kandhe Par Kapda Is Tarah Dalna Ke Dono Kinare Latakte Hon Ye Sab Makroohe Tehrimi Hai.

📚{الفتاوي الهندية، كتاب الصلاة، الباب السابع فيما يفسد الصلاة.... إلخ، جلد-1، صفحه-105}

🖍Aasteen Chadhana Daman Sametna Namaz Se Pehle Kare Ya Namaz Me Makroohe Tehrimi Hai, Pakhana Peshab Ya Riyaah (Hawa) Ne Galba Kiya To Isi Halat Me Namaz Padhna Makroohe Tehrimi Hai, (Pehle In Chizon Se Farig Ho Phir Namaz Padhe) Agar Beech Namaz Me Ye Halat Hui To Namaz Ka Todna Wajib Hai Agar Isi Tarah Namaz Padha To Gunehgar Hua.

📚{ردالمحتار،كتاب الصلاة، باب ما يفسد الصلاة وما يكره فيها، جلد-2، صفحہ-492}

🖊Jooda Bandhna (Mard Ke Agar Baal Lambe Ho To Unhe Bandhna) Makroohe Tehrimi Hai, Aurat ke Liye Nahi, Namaz Me Ungliyan Chatkana Ungiyon Ki Qainchi Badhna Eik Hath Ki Ungli Dusre Hath Ki Ungliyo Me Dalna Bhi Makruhe Tehrimi Hai, Namaz Me Kamar Pe Hath Rakhna Makroohe Tehrimi Hai, Idhar Udhar Dekhna Asmaan Ki Taraf Nigah Karna, Kapde Me Is Tarah Lipat Jana Ki Hath Bhi Bahar Na Ho, Naak Aur Muh Ko Chupana Bila Zarurat Khansna Makroohe Tehrimi Hai, Jis Kapde Pe Jandar Ki Tasveer Ho Use Pahen Kar Namaz Padhna Yun Hi Musalle Par Tasveer Hona Ya Namazi Ke Age Piche Dayen Bayen Sajdah Ki Jagah Tasveer Ka Hona Ye Sab Makroohe Tehrimi Hai.

📚{بهارشریعت، حصہ سوم، صفحه-627}

Note-       🖍Jeb Me Rupees (Kagahz Ki Shakl Me), I Card, Coins Etc Wagera Ho To Koi Harj Nahi.

MAS'ALA:

🖊Ulta Quran Padhna, Rukoo Sajde Me Peeth Sidhi Na Karna, Yun Hi Qauma Aur Jalsa Me Sidha Hone Se Pehle Sajde Me Jana, Qayam Ke Ilawa Kisi Aur Jagah Quran Padhna, Imam Se Pehle MUQTADI Ka Rukoo Aur Sajd Me Jana Aur Sar Uthana Ye Sab Makroohe Tenrimi Hai.

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, Page-629}

☞MAS'ALA:

🖍Sirf Pajama Ya Lungi Pahen Ke Namaz Padhna Kurta Aur Chadar Maujood Ho To Makroohe Tehrimi Hai, Agar Dusra Kapda Nahi To Muaaf Hai.

📚{Fatawa Hindiya, Jild-1, Page-106}

☞Mas'ala:

🖊Qabze Ki Zameen Par Namaz Padhna, Paraye Khet Jisme Fasal Maujood Ho Aur Jutai Kiye Huye Khet Me Namaz Padhna Yun Hi Qabr Ke Samne Namaz Padhna Makroohe Tehrimi Hai.

📚{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-54}

☞Mas'ala:

🖍Kuffar Ke Ibadat Khano Me Namaz Padhna Makrooh Hai Balki Wahan To Jana Bhi Mana Hai.

📚{Raddul Mohtar, Jild-2, Page-53}

☞Mas'ala:

🖊Namaz Me Ungliyon Par Ayaton aur Tabihaat Ka Ginna Makrooh Hai, Masjid Me Apne Liye Jagah Fix Karna Ki Wahi Namaz Padhuga Makrooh Hai.

📚{Fatawa Alamgeeri, Jild-1, Page-108}

☞Mas'ala:

🖍Aam Raasta, Kachra Dalne Ki Jaga, Muzbah (Janwar Zabah Hone Ki Jagah, Qabrastan, Gusal Khana, Maweshi Khana, Astabal, Pakhane Ki Chhat, Aur Jangal Me Bila Sutrah Namaz Padhna Makrooh Hai.

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, Page-637}

☞Mas'ala:

🖊Sanp Wagera Marne Ke Liye Agar Usse Taklif Ka Sahi Andesha Ho Ya Koi Janwar Bhag Raha Ho Use Pakad Ne Ke Liye, Ya Bakriyon Par Bhediye Ke Hamle Ka Khauf Ho, Yun Hi Apne Ya Paraye Ka 1 Dirham Ka Nuqsan Ho Raha Ho Masalan Doodh Ubal Jayega Ya Gosht Tarkari Ya Roti Jal Jayegi Ya Koi Uchakka Paise Lekar Bhag Raha Ho In Sab Surton Me Namaz Todne Ki Ijazat Hai.

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, Page-637}

☞Mas'ala:

🖍Koi Musibat Zadah Pukar Raha Ho, Ya Koi Doob Raha Ho Ya Jal Jayega Ya Andha Admi Koyen Me Gir Jayega in Sab Surton Me Namaz Ka Todna Wajib Hai Agar Use Bachane Ki TAQAT Hai To.

📚{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-514}

Part  9⃣

📖"NAMAZ ME QURAN PADHNE KA BAYAN"

MAS'ALA:

🖊Fajr Magrib Aur Isha Ki Pehli 2 Rakaton Me Aur Juma Eidain O Taraveeh AUR Ramzan Ki Witr Ki Tamam Rakaton Me Imam Par Jaher (Zor Se Quran Padhna) Wajib Hai, Zohar Asar Ki 4ron Rakaton Me Magrib Ki Tisri Aur Isha Ki Tisri Aur 4thi Rakaton Me Imam Pe Ahista Quran Padhna Wajib Hai.

📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-544}

☞MAS'ALA:

🖍JAHER Ke Maana Ye Hai Ki Pehli Saf Wale Sun Sake Aur Ye Adna Darja Hai, Aala Darja Ye Hai Ki Uski Koi Had Muqarrarr Nahi, Aur Ahista Padhna Ye Ki Khud Sun Sake, Is Tarah Padhna Ki 1 Ya 2 Admi Sunte Hon Ye Ahista Padhna Hua Jaher Nahi.
📚{Durre Mukhtar, Jild-2, Safah-308}

☞Mas'ala:

🖊Haajat Se Ziyadah Awaz Tez Karna Jo Apne Aur Dusron Ke Liye Ba'ise Takleef Ho Ye Makrooh Hai.
📚{Raddul Mohtar, Jild-2, Safah-304}

☞Mas'ala:

🖍Din Ki Nawafil Me Ahista Padhna Wajib Hai, Raat Ki Nawafil Me Ikhteyar Hai Agar Akela Padh Raha Ho To, Agar Jamat Se Raat Me Nafl Padh Raha Ho To Jaher Wajib Hai.
📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-545}

☞Mas'ala:

🖊Jehri Namazon Me (Fajr, Magrib, Isha) Me Akele Padhne Wale Ko Ikhtiyar Hai (Chahe Zor Se Padhe Ya Ahista} Aur Behtar Yahi Hai Ki Zor Se Padhe Agar Namaz Apne WAQT Me Padh Raha Ho To, Agar Qaza Hai To Ahista Wajib Hai.
📚{Alamgiri, Jild-1, Page-72}

☞Mas'ala:

🖍Agar Sure Fatiha Ke Baad Sure Milana Bhool Gaya Tha Aur Rukoo Me Chala Gaya To Wapas Khada Ho Phir Sure Milaye Phir Rukoo Kare Aur Akheer Me Sajdah Sahu Kare, Agar Dobara Rukoo Nahi Kiya Tha To Namaz Hi Nahi Hui.
📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-545}

☞Mas'ala:

🖊Izterari Halat Me Masalan WAQT Jate Rehne Ka Khauf Hai Ya Dushman Ya Chor Ka Dar Hai Aisi Halat Me Safar Ho Ya Hazar (Apne Maqam Par) Agar Wajibaat Chhodne Pade To Iski Ijazat Hai.
Masalan Fajr Me Itna WAQT Tang Hai Ki Sirf Eik Ayat Hi Padh Sakta Hai To Eik Hi Padhe, Magar Suraj Baland Hone Ke Baad Is Namaz Ko Dobara Padhe.
📚{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-317}

☞Mas'ala:

🖍Sunnate Fajr Padh Raha Tha Aur Jamat Na Milne Ka Dar Ho To Sunnat Namaz Me Sirf Wajibat Pe Hi Amal Kare, Sana Auzubillah Bismillah Chhod De Aur Rukoo Sajde Me Sirf 1-1 Hi Tasbeeh Padhe.

📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-546}

⚠🔝🔝END 🔚🔚🔚

Friday, September 15, 2017

उमराह करने का तरीका

                     💐सिराते मुस्तक़ीम💐
             🕋उमराह करने का तरीका💫🕋
                           पोस्ट नंबर 1⃣
                  

🛫 जब आप हज व उमराह करने का इरादा करें तो आपके उपर कोई भी किसी भी तरह का क़र्ज़ न रहे ! क़र्ज़ हर सूरत में अदा करें ! अगर किसी से नइत्तफ़ाकी हो गयी हो तो आप उनसे माफ़ी मांगे ! अपने वालिद वालिदा भाई बहन और रिश्तेदार सब से माफ़ी मांगे ! आप उनसे दुआ करवाये की हज या उमराह को जा रहा हूँ पूरे अरकान सही तरीके से मुकम्मल करूँ !

🛬 एहराम बाँधने से पहले हजामत बनवा लें और नाख़ून काटना, बगल और जिरे नाफ़ के बाल दूर कर लेना चाहिए ! कब्रिस्तान जाये मरहुमो से इजाज़त लेकर जाएं ! घर से निकलने से पहले 2 रकअत नफिल मस्जिद में अदा करें ! 2 रकअत नफिल घर में अदा करें ! दुआ करें या अल्लाह तेरे घर की ज़्यारत के लिए जा रहा हूँ इसको कुबूल कर और हज व उमराह के अरकान अदा करने में आसानी अता कर !

#आमीन

                      💐सिराते मुस्तक़ीम💐

        हरम की ज़मीं और क़दम रख के चलना
             अरे सर का मौका है ओ जाने वाले
             
                          पोस्ट नंबर 2⃣
                  

        🛫 एयरपोर्ट से उमराह का तरीका🛬

✈ आप उमराह करने से पहले मिशवाक़ व गुस्ल करें ! इसके बाद वज़ू बनाये और एयरपोर्ट एहराम बांध लें ! मर्दों का एहराम ढाई मीटर वाली 2 नग सफ़ेद चादर है एक चादर को बदन में ढँक ले दूसरी चादर को लुंगी तौर से बांध लें ! *बाज़ लोग उसी वक़्त से कंधे ढँक लेते है जो खिलाफे सुन्नत है !* इसके बाद बेल्ट बांधने की निय्यत करे- सामान की हिफाज़त के लिए बेल्टबांधने की निय्यत करता हूँ !

✈ एहराम बांधने से पहले खुशबु लगा सकते है एहराम बंधने के बाद नही लगा सकते ! एहराम बांध कर मकरूह वक़्त न हो तो सर ढँक कर एहराम की निय्यत से 2 रकअत नफिल अदा करें ! पहली रकअत में सुर: फातिहा के बाद सूरह कुल या अय्योहल काफेरुन और दूसरी रकअत में सूरह फातिहा के बाद सुरह ईखलास पढ़ें ! उसी जगह में बैठ कर इस तरह उमराह की नियत कर ले ! एहराम बांधने के वक़्त मुँह क़िबला रुख होना चाहिए !

उमराह की निय्यत

अल्ला हुम्मा इन्नी उरीदुल उमरतह फयससिर हा ली मिन्नी नवैतो उमरत अहरमतो बिहा मुखलेस्वन लिल्लाही तआला.

(मखरज़ को किसी आलिम से समझ कर पढ़ें)

📃यह उन्वान    "उमराह का तरीका"

                   💐सिराते मुस्तक़ीम💐

          हरम की ज़मीं और क़दम रख के चलना
             अरे सर का मौका है ओ जाने वाले
             
                          पोस्ट नंबर 3⃣         

🕋 उमराह की नियत के बाद दरमियानी आवाज़ से इस तरह *लब्बैक* कहे, तीन बार दरूद शरीफ़ पढ़ें इसके बाद लब्बैक वाली दुआ पढ़ें !
लब्बैक अल्लाहुम्मा लब्बैक ला शरिका लका लब्बैक इन्नल हम्दा वन नेअमता लका वल मुल्क ला शरिका लक

👥 मर्द यह तस्बीह बुलन्द आवाज़ से पढ़ें और ओरत आहिस्ता आवाज़ मे पढ़े! औरते भी मिस्वाक व गुस्ल करें, हैज़ वाली व निफ़ास वाली औरते गुस्ल करें या वजू बनाये ! ओरतो का एहराम उनके सिले हुए कपड़े है ! औरते सर के बाल ढकना शर्त है मगर नमाज़ न पढ़ें !

✈ इसके बाद हवाईजहाज़ में बैठे हवाईजहाज़ में दरूद शरीफ़ लब्बैक वाली दुआ पढ़ते रहें ! जहाज़ हूपर की और जा रहा हो तो *अल्लाहुअकबर* पढ़ें और अगर निचे की और आ रहा हो तो *सुभानअल्लाह* पढ़ें ! हवाईजहाज़ में खाने का जो मिलता है आप मछली या सादा खाए !

📃यह उन्वान   "उमराह का तरीका"

                   💐सिराते मुस्तक़ीम💐

         हरम की ज़मीं और क़दम रख के चलना
            अरे सर का मौका है ओ जाने वाले
             
                         पोस्ट नंबर 4⃣
                  

🚗🚃मोटर व ट्रेन में बैठने से पहले यह दुआ पढ़ें

सुब्हानल्लजी सख्खरा लना हाजा वमा कुन्ना लहू मुकरेरिन व इन्ना ऐला रब्बेना लमुन कलेबून

🛬 जब आप जद्दा पहुँचे तो आप अपने सामान को हिफाज़त के साथ अपने पास रख लें ! जद्दा से मक्का की दुरी 4-5 घंटा का रास्ता है ! थोड़ी देर लाज़ में आराम कर लें इसके बाद वज़ू बना कर हरम शरीफ के किये रवाना हो जाये ! जिस गेट से अंदर जायेंगे उस गेट का no जरूर याद रखें ! बड़े अदबो अहतराम से अंदर जाना है ! निगाह नीची रखें !

🕋 काबा शरीफ कर नजर पड़ते ही *अल्लाह हो अकबर लाईलाहा इल्लल्लाहो वल्लाहो अकबर* तीन बार पढ़ें फिर दरूद शरीफ़ पढ़ें ! और दुआ करें !

📃यह उन्वान   "उमराह का तरीका"

                   💐सिराते मुस्तक़ीम💐

          हरम की ज़मीं और क़दम रख के चलना
             अरे सर का मौका है ओ जाने वाले
             
                          पोस्ट नंबर 5⃣
                  
🕋इसके बाद आप मुताफ में जाने से पहले इजतबा कर लें ! _(मर्द एहराम की चादर को सीधे हाथ के बगल से निकाल कर नीचे से निकाल कर उल्टा कन्धा टाप लें सीधा कंधा खुला रहेगा !)_ इसके बाद तवाफ़ शुरू करें जहाँ हरे कलर की लाइट जलती है, हजरे असवद के सामने वही  से तवाफ़ शुरू करें !
फिर ये पढ़ें    बिस्मिल्लाही अल्लाहु अकबर अस्सलातो वस्सलामो अलैका या रसुल अल्लाह कहते हुए दोनों हाथो की हथेली को हजरे असवद की तरफ़ करके इस्तिलाम करें और तवाफ़ शुरू करें !

♻  तवाफ़ के दौरान अगर अज़ान हो जाती है तो जिसने 3 या उससे कम चक्कर लगाया हो उसे दुबारा फिर तवाफ़ करना होगा ! और अगर 3 चक्कर से ज़्यादा हुआ तो 4 से दोहराना नही पड़ेगा ! मतलब 4, 5, 6, 7करके अपना तवाफ़ पूरा करे !

👥 मर्द पहले 3 फेरों में रमल करते हुए चलें जल्द जल्द, धीरे धीरे क़दम रखते हुए शाना को हिलाते हुए चले ! इसके बाद चार4 चक्कर रमल न करें ! औरते तवाफ़ में रमल न करें, खुद को बचाते हुए तवाफ़ करें !

                  💐सिराते मुस्तक़ीम💐

           हरम की ज़मीं और क़दम रख के चलना
              अरे सर का मौका है ओ जाने वाले
             
                          पोस्ट नंबर 6⃣
                  

🌹 मुलतज़िम-::     काबा शरीफ का दरवाजा और हजरे असवद के बीच की जगह को मुलतज़िम कहते है ! मुलतज़िम के सामने या लिपट कर खूब रोइये और दुआ करिये ! उसके बाद 2 रकअत नमाज़ वाजीबुल तवाफ़ पढ़ें ! मक़ामे इब्राहिम के सामने नमाज़ अदा करें ! इसके बाद दुआ मांगे काबा शरीफ का सामने ! जिस नियत से जम जम शरीफ पीयेंगे इंशाअल्लाह कुबूल होगी !

🕋 रुकने यमनी से हजरे असवद तक (रब्बाना आतईना) पढ़ें ! इस जगह में 70 हज़ार फ़रिश्ते आपकी दुआ में आमीन कहते है ! यहीँ बैठ कर अपने गुनाहो की माफ़ी अल्लाह से मांगे !

💫सई-::   जम जम शरीफ़ पिने के बाद आपको सई करना है !

💭सई की नियत-::    ऐ अल्लाह में सफा व मरवा के दरमियान तुझे राजी करने के लिए दौड़ता हूँ ! सफा और मरवा के दरमियान ये पढ़ें: तीसरा कलमा चौथा कलमा, दरूद शरीफ पढ़ें ! हरे कलर की लाइट के सामने सई के लिए जाना है ! सफा व मरवा एक पहाड़ी है ! सफा से मरवा 1 चक्कर, मरवा से सफा 2 चक्कर ! इस तरीके से आपको 7 चक्कर पुरे करने है ! और हर चक्कर में सई शुरू करने से पहले काबा शरीफ को देखें और खूब दुआये मांगे और *बिस्मिल्लाहि अल्लाहो अकबर अस्सलातो वस्सलाम अलैका या रसूल अल्लाह* कहना है !

🙌🏼 दोनों हथेली को काबा शरीफ रुख का इस्सितलाम करें ! मर्द का सई करते वक़्त हरी लाइट में दौड़ना सुन्नत है ! औरतें सई में आराम से चलें ! इसके बाद 2 रकत  नमाज़ नफिल पढ़ें ! इसके बाद आप  अपना सर मुड़वा लें ! औरते मरहम या औरतो से अंगुली बाल काट लें इसके बाद सिले हुए कपडे पहने !

नॉट::- तवाफ़ व सई के दरमियान औरतों अपने महरम के साथ ही रह कर तवाफ़ करें !

इस तरीके से एक उमराह मुकम्मल हुआ !

                   💐सिराते मुस्तक़ीम💐

           हरम की ज़मीं और क़दम रख के चलना
              अरे सर का मौका है ओ जाने वाले
             
                          पोस्ट नंबर 7⃣
                           आखरी पोस्ट          

💫मक्के शरीफ में क़यामगाह से उमराह का तरीका💫

🕋जब आप उमराह का इरादा करें तो आप मिशवाक व गुस्ल करें फिर वज़ू बनाकर एहराम बांध लें ! छोटा उमराह मस्जिद ए आयशा और बड़ा उमराह मस्जिद जाईराना जाना है ! मसजिद आयशा आप चले जाएं ! मस्जिद दाखिल की दुआ, दरुद शरीफ़, सुन्नते एतक़ाफ की नियत, 2 रकअत तहियतुल मस्जिद नमाज़ अदा करें !

⏰ जिस वक़्त की नमाज़ का वक़्त हो वह नमाज़ अदा करे ! इसके बाद तलबिया आप पढ़ें- लब्बैक...वाली ! दुआ एहराम की पाबन्दी अब शुरू हरम शरीफ़ पहुँचे ! मस्जिद दाखिल दुआ'   दरूद शरीफ़, सुन्नते एतक़ाफ,  तहियतुल मस्जिद अदा करें ! इसके बाद तवाफ़ अदा करें, मक़ामे इब्राहिम के सामने नमाज़ अदा करें ! जमजम शरीफ़ पियें सफा मरवा की 7 चक्कर लगाएं ! सर के बाल मुड़वा लें ! 2 रकअत नफिल नमाज़ अदा करें, इस तरीके से आपका 1 उमराह मुकम्मल हुआ ! आप बुज़ुर्गो के नाम से, मरहूम के नाम से उमरा व तवाफ़ कर सकते है !

➡उन्वान ख़त्म•••

Friday, September 1, 2017

Qurbani Ka Bayaan 2

QURBANI KA BAYAN

POST - 01

▪ Qurbani Kya Hai ?
===============
Qurbani Ek Maali Ibadat Hai, Jo Gani (maldar) per Wajib hai.
Khas Janwar Ko Khas Din Mein Allah Ke Liye Sawab Ki Niyat Se Zubah Karna Qurbani Hai.   Qurbani Musalman, Muqeem, Malik-e-Nisab, Aazad Per Wajib Hai.

▪ Qurbani Kis Per Wajib Hai ?
=======================
Jis Tarah Qurbani Mard Per Wajib Hai Usi Tarah Aurat Per Bhi Wajib Hai.

MASLA - 01:
*************
Musafir Per Qurbani Wajib Nahi, Agar Nafil Ke Taur Per Karey To Kar Sakta Hai, Sawab Payega. Malik-e-Nisab Hone Ka Matlab Ye Hai Ke "itna Maal Ho Jitna Maal Hone se Sadqa-e-Fitr Wajib Hota Hai. Yani Hajat-e-Asliya Ke Alawa 7.5 tola Sona or 52.5 tola Chandi Ka Malik Ho.

MASLA - 02:
*************
Jo Shaks 200 Dhiram Ya 20 Dinar Ka Malik Ho. Ya Hajat Ke Alawa Kisi Kisi Aysi Chiz Ka Mali Ho, Jiski Qimat 200 Dhiram Hoto Wo Maldar Hai or Us Per Qurbani Wajib Hai.
- - -

Qanun-e-Shariat , Vol. 1, Page. 210, 211

POST - 02

▪ QURBANI KA WAKT
==================
10wi Zil Hijja Ki Subah Sadiq Se 12wi ke Ghurub-e-Aaftab Tak Hai.
Yani 3 Din or 2 Ratein Hain. Lekin 10wi Sàbse Afzal Hai, Hir 11wi, Phir 12wi.

MASLA - 03
*************
Shaher (city) me Qurbani Ki Jaye To Shart Ye Hai Ke, Namaz-e-Eid Ke Baad Ho. Or Dehat (Gaon) Mein Namaz-e-Eid Nahi isliye Subah Sadiq Se Ho Sakti Hai.

MASLA - 04
*************
Qurbani Ke Wakt Qurbani Hi Karna Lazim Hai. Itni Qimat Ya Itni Qimat Ka Janwar Sadqa Karne Se Wajib Adaa Nahi Hoga.

MASLA - 05
*************
Qurbani Ke Din Guzar Jane Ke Baad, Qurbani Faut (Marr) Ho Gayi or Ab Nahi Ho Sakti, Lehaza Ab Agar Koi Janwar Qurbani Ke Liye Kharid Rakha Hai to Uska Sadqa Karey, Warna 1 Bakri Sadqa Karey

Qanun-e-Shariat , Vol. 1, Page. 210, 211

POST - 03

➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBANI KARNE KI FAZILAT
➖➖➖➖➖➖➖➖
Aaqa....sallallahu alayhi waalihi wasallam...farmate hai k...

▪ Qurbaani karnewale ko Qurbani k jaanwar k har baal k badle me aik neki milti hai...

▪ Jisne khush dili se sawab paane k liye Qurbaani ki to wo jahannam ki aag se hijaab ( parda..rukaawat ) ho jayegi...

▪ Aey Fatema...apni Qurbaani k paas maujood raho kyun k us k khoon ka pehla qatra girega to tumhare sare gunah maaf kar diye jaayenge...

▪ Jis ko bhi Qurbaani karne ki wus-at ( taaqat ) ho or fir bhi wo Qurbaani na kare to hamari eidgaah k qariib na aaye...

TIRMIZI SHARIF
AL MO'JAMUL KABIR...
AS-SUNANUL KUBRA LIL BAYHAQI..

POST - 04

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Agar kisi par Qurbaani waajib hai or us waqt us k paas rupye nahi to udhaar lekar ya koi chiz bech kar k Qurbaani kare...

Fatawa e Amjadiya, VOL. 3, Page. 315

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ Hazrate Ahmed bin Ishaaq...rehmatullah alah...kehte hain..k...Mera aik gharib bhai tha..gharib tha fir bhi Allah ki raza k liye Qurbaani karta tha..us k marne k bad mene khwaab dekha k qayamat aa gayi or nafsa nafsi ka maahol hai..mene dekha k...Mera bhai Aik ghode par sawaar hai or dusre ghode bhi us k saath hai..mene poocha..k Allah ki baargah me tera kya maamla raha..to wo bola k...Aik budhiya ko aik dirham dene ki wajah bakhsh diya..to mene poocha k ye sab ghode ?...to kehne laga k...Ye sab meri Qurbaaniyan hai or jis par mein betha hun ye meri pehli Qurbaani hai...to mene poocha k ab kidhar jaa rahe ho..to bola k...JANNAT ki taraf..or meri nazron se ghaaib ho gaya.

▪ Ye to nafli Qurbaani ka ajar o sawaab hai..Waajib ka aur zyada sawaab hoga..or..Aik dusra pehlu ye bhi pata chala k...jo log waajib hone k bad bhi Qurbaani nahi karte un k liye bhi is mein ibrat O raghbat hai..k Wo kitni badi saadat se mehroom ho rahe hain or gunahgaar bhi ho rahe hain.

DURRATUN NAASIHIIN...

POST - 05

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI Pulsiraat ki sawaari
➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Mafhum-e-Hadis...

🔻Aaqa...sallallahu alyhi waalihi wasallam...farmate hai k...
       🔸Baqra Eid k din insaan aysi koi neki nahi karta jo Allah ko khoon bahaane se zyada ( Qurbaani karne se ) pyaari ho..
       🔸Ye Qurbaani qayaamat me apne singon baalon or khuron ( khudiyaan ) k sath aayegi..or..
       🔸Qurbaani ka khoon zamin par girne se pehle Allah qubool farmata hai is liye Qurbaani khush dili se ( shokh se ) karo..

▪ Hazrat Abdul haq muhaddis dehelwi...alayhirrahman...farmate hai...k...Qurbaani apne karnewale k nekiyon k palde me rakkhi jayegi jisse nekiyon ka palda bhari hoga..

▪ Mulla Ali qari...alayhirrahman...farmate hai...k...fir us k sawaari banegi jis k zariye Qurbaani karnewala aasaani se pulsirat se guzrega or us ka har uzwa Qurbaani karnewale k har uzwa ka fidya banega.

MIRQAATUL MAFAATIH...

POST - 06

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
WAAJIB HONE KI SHARTEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Qurbaani waajib hone ki shartein ye hai k har....

★ Baaligh...( na baaligh na ho )..
★ Muqiim...( musaafir na ho )..
★ Musalmaan Mard O Awrat...
★ Maalike nisaab....par Qurbaani Waajib hai...

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MAALIKE NISAAB KISE KEHTE HAI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ Maalike nisaab hone ka matlab ye hai k...

★ Us sakhs k paas saadhe baawan
      ( 52.5 ) tole chaandi..
★ Ya itni maaliyat ki raqam...
★ Ya itni value ka buisness ka maal..
★ Ya itni value ka samaan jo haajate
      asaliya k siwa ho..or..
★ Us par agar itna qarz bhi ho k ada karne k baad uupar bataya gaya nisaab baqi raheta ho...to..Wo Maalike nisaab hai..Qurbaani us par waajib hai...or..{ Ye hukm 10 wi Zulhijjah ki Subha saadiq ( sehri ka waqt khatm hota hai us waqt se ) se 12 wi Zulhijjah ki ghurub ( maghrib ki azaan k waqt tak ) tak ka hai.}
     
FATAWA RAZWIYA SHAREEF

POST - 07

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
HAAJATE ASALIYA ka Matlab kya ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Haajate asaliya ka matlab wo chiizein jinki aam tor par insaan ko zarurat hoti hai or jin k baghair zindagi guzaarne me bohot zyada tangi or takliif mehsus hoti hai jaise...
  🔸Rehne ka ghar...
  🔸Pehenne k kapde...
  🔸Sawaari...
  🔸Ilme din ki kitaabein...
  🔸Apne peshe ( hunar..dhande ) k awzaar...

▪ Agar ham haajate asaliya k matlab par ghor karein to....hamare gharon me bohot si chiizein aysi hai jo haajate asaliya me daakhil nahi..to.Agar un chiizon ki qiimat  saadhe baawan ( 52.5 ) tole chaandi k baraabar pohonch jaaye to Qurbaani WAAJIB hogi...

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KHAAS DHYAAN SE PADHEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ NOTE.....

Misaal k tor par ( eg ) Yun samjo k...aaj k market rate k hisaab se 52.5 tole chaandi ki raqam 25000 rupye or oopar kuch sau rupye banti hai....to...Qurbaani k dinon mein chaandi ka rate malum kar k gina jaaye to 52.5 tole chaandi ki qiimat kitni raqam banti hai...? Or fir dekh lein k itna maal to bohot saare mardon or orton k paas mil jayega jo Qurbaani waajib hone k baawujud nahi karte...to is chiiz par tawajjo dein or agar ham haajate asaliya siwa maal rakhte hon to ham par Qurbaani waajib hogi.........AL AMAAN WAL HAFIZ....

🔻ALLAH se dua hai tamam musalman bhai behno ko amal ki tofiq ata farmaye....AAMIN

FATAWA RAZWIYA...

POST - 08

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ QURBAANI ka waqt kab se kab tak
     hota hai...or...
★ QURBAANI k waqt me sharaait ka
     hona kya chiiz hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ 10 Zulhijjah ki subha saadiq ( sehri khatm ka waqt ) se lekar 12 zulhijjah k ghurub aaftaab ( maghrib ki azaan tak ) hai...

▪ MASALA...city ( sheher ) me Qurbaani kii jaaye to SHART ye hai k Eid ki namaaz k baad ho or gaanw ( village ) mein Eid ki namaaz nahi hoti isliye wahaan subha saadiq se ho sakti hai...or..( Jis Gaon mein Eid ki namaaz hoti ho wahan namaaz k bad Qurbaani karein )

▪ Maal or dusri shartein Qurbaani k uupar bataaye huwe waqt me  paayi gayi to Qurbaani waajib hogi...

▪ Is masle ko bayaan karte huwe Hazrat Mufti Amjad Ali Aaazmi...alayhirrehman... Bahaare shariyat me farmate hai..k..Ye zaruri nahi k 10 wi ko hi qurbaani kar daale...uupar bataye huwe waqt me jab chaahe kare...agar shuru din me waajib na thi matlab ( Q 4 ) me bataayi gayi tamam shartein nahi thi...or aakhir dinon me ( Q 4 ) ki batayi gayi tamam shartein payi gayi to us par Waajib ho gayi...Or agar shuru din me waajib thi or kari nahi...or aakhir waqt me ( Q 4 ) me batayai gayi shartein  na rahi to ab Qurbaani  waajib na rahi...

FATAWA AALAMGIRI...BAHARE SHARIYAT...

POST - 09

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ QURBAANI kise kehte hai ?
★ QURBAANI ka jaanwar kaysa ho ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Qurbaani aik maal se honewaali ibaadat hai jo maaldar par waajib hai... Khaas jaanwar ko khaas din me ALLAH k liye sawaab ki niyyat se ZABAH karna..isko Qurbaani kehte hai.

▪ Gaai...Bhens...Uunt...( Cow..Buffalo..Camel ) in jaanwaron me 7 Qurbaani ho sakti hai...

▪Qurbaani k waqt me Qurbaani karna hi laazim hai..koi dusri chiiz is k badle me nahi ho sakti. jaise koi Qurbaani ka bakra ya utna paisa khairaat karde ye naa kaafi hai...( waajib ada na hoga )

▪ Qurbaani ka jaanwar be aib ( without any defect ) hona zaruri hai..agar thoda aib hai jaise kaan me chiraa ya suraakh to Qurbaani makrooh hogi or zyada aib ho to Qurbaani nahi hogi.

BAHARE SHARIYAT...

POST - 10

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI dusre ki or Naa-Baaligh ki
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Kuch log saare ghar waalon ki taraf se sirf aik bakra Qurbaani karte hai jab k ghar k kain log saahibe nisaab hote hai...or sab par waajib hoti hai to... Ayse me sab par alag alag Qurbaani waajib hai to aik bakra jo sabki taraf se kiya gaya to kisi ka bhi waajib ada na huwa..

▪ Naabaaligh ki taraf se Qurbaani waajib nahi lekin kar dena behtar hai.

▪ Baaligh awlaad ya biwi ki taraf se Qurbaani karna chaahe...to ijaazat lekar kare...Agar ijaazat k baghair kar di to unki taraf se waajib ada na hoga.

▪ Ijaazat 2 tarah ki hoti hai... Aik.....Saraahatan....jaise k un mese koi saaf tor par kehde k...Meri taraf se Qurbaani kar do...Dusri... Dalaalatan....under stood...jaise apni biwi ya awlaad ki taraf se Qurbaani karta hi hai...or wo bhi jaante hai..or wo raazi hai....ye bhi ijaazat hi hai..

FATAWA AHLE SUNNAT...

POST - 11

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ Qurbaani k janwar ki umar kitni ho ?
★ Jaanwar kaisa hona chaahiye..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Qurbaani k jaanwar ki umar...
     🔸Uunt..( Camel ) ...5 saal...
     🔸Gaai..Bhens.........2 saal...
     🔸Bakra - Bakri........1 saal...

▪ In jaanwaron ki nasal k NAR...MAADA bachche denewali na denewali sab ki Qurbaani jaaiz hai..

▪ Bakre me Bakri...Dumba...Dumbi...Bhed...Nar...Maada...sab aa gaye..

▪ Uupar bataaye huwe tamaam jaanwaron ki  umar bataayi hui umar se kam umar ho to chaahe aik din bhi kam ho to Qurbaani jaaiz nahi...zyada ho to jaaiz hai...bl k afzal hai.

BAHARE SHARIYAT...

POST - 12

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI k Aibdaar (Defected)
Jaanwaron ki Tafsiil...
Jinki Qurbaani Nahi hoti..!
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

🔸Aisa paagal jaanwar jo charta na ho.
🔸Itna kamzor k haddiyon me maghaz na raha..khada bhi na reh pata ho.
🔸Andha ya aysa kaana jis ka kaanaapan zaahir ho.

🔸Aysa biimaar jo bimaari ki wajah se chaara na khaaye.
🔸Aysa langda jo khud apne pairon se chal kar qurbaan gaah tak na ja sake.
🔸Jis k paidaaishi kaan na hon ya aik kaan na ho.
🔸Wah-shi yani jangli jaanwar jaise nil gaaye.

🔸Jangli bakra ya khunsa jaanwar matlab...aysa k jisme Nar or Maada dono ki alaamatein hon.
🔸Ya jal-laa-la yani jo sirf napaak khaata ho.

🔸Ya jiska aik pair kaat liya gaya ho.
🔸Dum ya chakki 1/3 ( kul mese tisra hissa ) se zyada kate huwe hon..naak kati hui ho..daant na ho..gir gaye hon.
🔸Than kate huwe hon ya suukh gaye hon.....In sab ki Qurbaani NA JAAIZ hai...or...

🔸Agar bakri me aik than sookh gaya ho or gaay bhens me dono than sookh gaye ho to najaaiz hai.

BAHAARE SHARIYAT....DURRE MUKHTAAR...

POST - 13

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
JANWAR KI SING KA MASLA or
PET ME BACHCHA ... ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Jis jaanwar k paidaaishi sing na ho uski Qurbaani jaaiz hai....or sing the...magar toot gaye....agar jad k saath toote hai to Qurbaani na hogi or sirf uupar se toote hai...jad salaamat hai to ho jayegi.

▪ Qurbaani karte waqt jaanwar uchlaa kudaa jiski wajah se aib paida ho gaya to Qurbaani ho jayegi..... Or uchal kud se aib paida huwa or chhut kar bhaag gaya or foran pakad kar laaye or zabah kar diya to Qurbaani ho jayegi.

▪ Qurbaani kii..or us k pait mese zinda bachcha nikla to use bhi zabah kar dein or us ko bhi khaa sakte hai.. Or agar mara huwa bachcha ho to use pheink de k murdaar hai...Qurbaani ho gayi.

AALAMGIIRI....DURRE MUKHTAAR...BAHARE SHARIYAT...

POST - 14

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
DUSRE SE QURBANI Karwane mein ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Behtar ye hai k apni Qurbaani khud hi kare agar achchi tarah zabah karna janta ho ...or agar janta na ho to dusre ko zabah karne ka hukm de... lekin khud bhi haazir rahe...Ye behtar hai...

▪ Dusre se zabah karwaaya or khud apna haath bhi chhuri par rakh diya k dono ne mil kar zabah kiya to dono ko.... Bismillah...kehna WAAJIB hai... Agar dono mese aik ne bhi jaan bujh kar na padhi ya ye soch kar na padhi k dusre ne padhli hogi muje padhne ki zarurat nahi....in dono surton me jaanwar HALAAL na huwa..

AALAMGIIRI...DURRE MUKHTAAR....

POST - 15
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI Zabah karne me konsi
or kitni Ragein kaatni hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪  Allama Mufti Amjad Ali...alayhirrahmaan...farmate hai.. Jo ragein zabah me kaati jaati hain wo 4 hai...

🔸HULQUM...ye wo hai jisme saans aati jaati hai...
🔸MURI...isse khaana paani utarta hai...in dono k aas paas do ragein aur hai...jo khoon ki hai...

🔸In ragon ko WA DA JAIN kehte hai ...zabah karne mein in 4 ragon mese 3 ka kat jaana kaafi hai...matlab agar 3 bhi kat gayi jaanwar halaal ho jayega...or. Agar chaaron me se har aik rag  zyaadatar kat gayi jab bhi halaal ho jayega...or..agar..Aadhi aadhi har rag kati or aadhi BAAQI reh gayi to halaal nahi...

BAHARE SHARIYAT...

POST - 16

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
JAANWAR ZABAH Karne ka Tariqa
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Sunnat ye chali aa rahi hai k zabah karne waala or jaanwar dono ka rukh qible ki taraf hon... India me qibla maghrib ( west ) me hai..

▪ Isliye jaanwar ka sar junub ( south ) ki taraf hona chahiye ta k jaanwar ulte pehlu letaa ho or uski peeth mashriq ( east ) ki taraf ho ta k uska munh qible ki taraf ho jaye..or..

▪ Zabah karne waala apna siidha pair jaanwar ki gardan k sidhe hisse yani gardan k qarib pehlu par rakkhe or dua padhe .....fir...
Bismillah AllahuAkbar....padh kar zabah kare..

▪ Khud apna ya jaanwar ka munh qible ki taraf na kiya to makruh hai.

FATAWA RAZWIYA...

POST - 17

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI Ke Gosht k hisse kayse kare ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Qurbaani k gosht k 3 hisse kare...
  🔸1 hissa faqiiron ko de dein..
  🔸1 hissa doston or rishte daron ko
  🔸1 hissa apne ghar walon k liye rakkhein..

▪ Agar ghar waale zyada hon to kul ka kul ( saara gosht ) ghar me rakh sakta hai....kul gosht sadqa bhi kar sakta hai.

▪ Agar maiyat ki taraf se Qurbaani kii...to us gosht ka bhi yahi hukm hai jaise oopar bataaya gaya.... Or.. Agar maiyat ne kaha tha k meri taraf se Qurbaani kar dena to aysi surat me kul gosht sadqa kar de...

▪ Qurbaani agar maiyat ki hai to uska gosht na khud kha sakta hai na maaldaar ko khila sakta hai bal k usko sadqa kar dena waajib hai..

▪ Qurbaani ka gosht kaafir ko na de.

▪ Qurbaani karnewala bakraa Eid k din sabse pehle Qurbaani ka gosht khaaye...ye mustahab hai.

BAHARE SHARIYAT..

POST - 18

➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI ka Chamda...Jhol...
Rassi..In chizon ka kya kare...?
➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Chamda...Jhol...Rassi...In sab ko sadqa kar dein...chamde ko apne kaam me bhi le sakta hai....jaise Dol...Jaa-namaaz...Bichona...bana sakta hai...lekin bech kar uski qiimat apne kaam me lana jaaiz nahi...Agar bech diya to us qiimat  ko sadqa kar dena waajib hai.

▪ Chamda madarse me dena jaaiz hai....or agar madarse me dene ki niyyat se chamda bech kar qiimat madarse me de dein to ye bhi jaaiz hai.

▪ Qurbaani ka gosht ya chamda qasaab ko khaatki ko ya zabah karne waale ko mazdoori me nahi de sakte or ujrat ( badle ) me bhi nahi.

AALAMGIIRI...  BAHARE SHARIYAT...
DURRE MUKHTAR... QANUNE SHARIYAT

POST - 19

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI Ke Janwar Par zulm na kare
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Zabah karne k baad jab tak jaanwar thanda na ho us par se chamda utaarne ya aaza ( body parts ) alag karne ki ujlat..utaawal..na karein.

▪ Aaqa...sallallahu alayhi waalihi wasallam...ne jahannam me aik awrat ko is haal me dekha k...Wo latki hui hai or aik billi us k chehre or siine ko noch rahi hai...use waise hi azaab de rahi hai jaise us awrat ne duniya me us billi ko qaid kar k or bhuka rakh kar use taklif di thi...Is riwaayat ka hukm tamaam jaanwaron k haq me aam hai.

▪ Aik baar hamare Aaqa...sallallahualyhiwasallam...aik aadmi k paas se guzre. Wo bakri ki gardan par pair rakh kar chhuri tez kar raha tha or bakri uski taraf dekh rahi thi... Aaqa ne irsaad farmaya...Kya tum pehle aysa ( chhuri tez ) nahi kar sakte the..?..kya tum ise kaiein motein maarna chaahte ho..?...ise litaane se pehle apni chhuri tez kyun na kar li..?

▪ Siyeduna Faaruqe Azam....radiyallahu taala anh...ne aik shakhs ko dekha jo bakri ko zabah karne k liye use taang se pakad kar ghasiit raha hai..Aapne usse kaha...tere liye kharaabi ho...ise mot ki taraf achche andaaz me le ja.

▪ Kisine khwaab me Imam Ghezaali...alayhirreahman...ko dekh kar pucha k...Allah ne aap k saath kya maamla farmaya..?..jawab diya... Allah ne muje bakhsh diya or wajah batate huwe farmaya.. Aik baar aik makkhi siyahi ( ink ) piine k liye mere qalam ( pen ) par beth gayi..me likhne se ruk gaya yahan tak k wo siyahi pii kar ud gayi...

🔻SUBHANALLAH...aik makkhi par taras khaane ki wajah  se najaat ho gayi...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ NOTE....   To jaanwaron par tashaddud..sakhti se bachna chahiye...ye amal hamari aakhirat ki barbaadi ka sabab ban sakta hai.

AZ ZAWAAJIR...
SUNANUL KUBRA-BAYHAQI..
LATAAIFUL MINAN WAL AKHLAAQ LISH SHERAANI...

POST - 20

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
HISSE WAALI QURBAANI K BARE ME
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Hisse waali Qurbaani me hissa lenewale tamaam 7 log ahle sunnat wajamaat hon...7 hisse mese aik bhi koi bad aqidah jiski bad aqiidgi hadde kufr tak pohnch chuki ho...Wo...Ya koi bhi...jo ahlesunnat k aqidon ko ghalat kehnewala ho...agar shaamil ho gaya to kisi ki bhi Qurbaani na hogi.

▪ Hisse waali Qurbaani me sab ki niyyat Allah ki raza ho...agar kisi aik ki bhi niyyat gosht haasil karna hogi to kisi ki bhi Qurbaani na hogi.

▪ Hisse waali qurbaani k jaanwar ko khud bhi apni aankhon se dekh le k 2 saal se kam umar ka na ho..Agar 2 saal se aik din bhi kam umar hoga to Qurbaani na hogi.

▪ Qurbaani ki Gaay ya Uunt me aqiqe ka hissa bhi dala ja sakta hai.

QANUNE SHARIYAT...BAHARE SHARIYAT...

POST - 21

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI Hisse-wali ka Gosht
kaise Taqsim karna hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Agar hissewaali Qurbaani kii..to zururi hai k gosht wazan kar k 7 hisse alag alag kiye jaayein...andaaze se taqsim karna jaaiz nahi or agar andaaze se hisse kiye to gunahgaar honge.

▪ Ba-khushi aik dusre ko kam zyaada maaf kar dena bhi kaafi nahi...agar sab aik hi ghar me rehte hain  k mil..baant kar hi khaayenge..sab hissedaar apna apna hissa lena nahi chaahte to aysi surat mein wazan karne ki zarurat nai.

BAHARE SHARIYAT...

POST - 22

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI... hisse-wali k hisse
alag karne k 2 Tariqe..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ PEHLA...tariqa...zabah k baad us janwar ( uunt..gaai..bhens ) ka saara gosht aik ayse baaligh musalman ko hiba kar dein ( maalik bana dein ) jo unki Qurbaani me sharik ( shamil ) na ho...or...Ab wo andaaze se sab me taqsiim kar sakta hai.

▪ DUSRA...tariqa.....isse bhi aasaan hai...gosht taqsiim se pehle usme dusri jins...jaise....KALEJI...MAGHAZ...milaa dein...to ab andaaze se taqsim kar sakte hain.

▪ Agar kayin chiizen daali hai to har aik me se sab ko sab mese tukda tukda dena zaruri nahi.

▪ Gosht k saath sirf aik chiiz bhi dena kaafi hai...jaise...TILLI...KALEJI...SIRRI...PAAYE...daale hai to gosht k sath kisi ko tilli..kisi ko kaleji...kisi ko paaye...kisi ko sirri to bhi sahi taqsiim ho jaayegi.

DURRE MUKHTAAR...

POST - 23

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QUBAANI k janwar...ya koi bhi
HALAAL jaanwar ki wo chizein K..
★ Kuch HARAAM...
★ Kuch MAMNU...
★ Kuch MAKRUH hain ...unki tafsiil...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

🔸Ragon ka khoon..
🔸Pitta..
🔸Phukna..Masaana..
🔸Maadah ya Nar hone ki nishani..
🔸Baide...( Kapure )...
🔸Ghudood...
🔸Haraam maghaz..
🔸Gardan k 2 putthe jo shaano tak khiche hote hai..
🔸Jigar..Kaleji..ka khoon..
🔸Tilli ka khoon..
🔸Gosht ka khoon k zabah hone k bad nikalta hai.
🔸Dil ka khoon..
🔸Pit...wo pila paani jo pitte me hota hai.
🔸Naak ki ratubat...riinth..
🔸Paakhaane ka maqaam..
🔸Ojhdi..hojdi..
🔸Aantein..
🔸Nutfaa.....Mani..
🔸Wo Nutfaa jo khoon ho gaya..
🔸Wo Nutfaa jo gosht ka lothda ho gaya.
🔸Wo Nutfaa k poora jaanwar ban gaya or murda nikla ya zabah kiye baghair mar gaya.

FATAWA RAZWIYA...

POST - 24

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi bhi halaal jaanwar ya murghi ki
Wo chiizein jo nahi khaani chahiye
Aaj kal be khabri mein pakaayi
or khaayi jaati hai Un chizon ki tafsiil
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Zabah k waqt jo khoon nikalta hai usko ...dame masfuh...kehte hai..ye naapaak hota hai iska khaana haraam hai.

▪ Zabah k baad jo khoon gosht me reh jaata hai...jaise gardan k kate huwe hisse par.....dil k andar...kaleji or tilli me or gosht k andar ki chhoti chhoti ragon me...Ye sab naapaak to nahi magar is khoon ka bhi khaanaa mamnu hai...isliye pakaane se pehle khoob achchi tarah safaai kar lein.

▪ Pakne k bad wo ragein kaali dori ki tarah ho jaati hain...khaas kar Bheje..Sirri..Paaye or Murghi ki raan or Par k gosht me baarik kaali doriyan dekhi jaati hai..khaate waqt inko nikaal dein... Murghi ka dil bhi poora ( bina kaate ) na pakaayein...lambaai me 4 chiire kar k iska khoon saaf kar lein.

▪ Ye safed dore ki tarah hota hai jo bheje se shuru ho kar gardan k andar se guzarta huwa poori riidh ki haddi me aakhir tak jaata hai.

▪ Aksar maahir cuting karne wale ise nikaal lete hai..magar ye bhi dekha gaya k be ehtiyati ki wajah se thoda bohot reh jaata hai or pak bhi jaata hai.

▪ Chaanp...Gardan or Kamar ka gosht dhote waqt haraam maghaz talaash kar k nikaal diya karein.

▪ Ye chiiz murghi or dusre parindon ki gardan or riidh ki haddi me bhi hoti hai...pakaane se pehle isko nikaalna muskil hai isliye khaate waqt nikaal dena chahiye.

NOTE;
Tamam Masail Ulmaon Se Tehkik Shuda Hain ...

POST - 25

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi bhi halaal jaanwar ya murghi ki
Wo chiizein jo nahi khaani chahiye
Aaj kal be khabri mein pakaayi
or khaayi jaati hai Un chizon ki tafsiil
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Gardan ki mazbooti k liye uski dono taraf piile rang k 2 lambe lambe putthe kandhon tak khinche huwe hote hai...inka khaana mamnu hai.

▪ Gaay or Bakri k aasaani se nazar aate hai....magar murghi or dusre parindon k nazar nahi aate...khaate waqt dhoond kar ya kisi jaanne wale se puch kar nikal dein

➖➖➖➖➖
KAPURAA...کپورا
➖➖➖➖➖
▪ Kapure ko khusye...fote..ya baidah bhi kehte hai..inka khaana makroohe tehrimi hai...ye Bel...Bakre...me saaf nazar aate hai...murghe ( nar ) ka pet khol kar aantein hatayein to piith k andar ande ki tarah 2  biij nazar aate hai..ye kapure hai..inko nikaal dein.

▪ Afsos musalmano ki kuch hotelon me dil kaleji k alawa bakre bel k kapure bhoon kar pesh kiye jaate hain.....AFSOS.

➖➖➖➖➖➖
OJHDI...hojdi..اوجھڑی
➖➖➖➖➖➖

▪ Ojhdi k andar ghalaazat ( naapaaki ) bhari hoti hai...iska khaana makroohe tehrimi hai...magar bohot se log shokh se khaate hai.

NOTE;
Tamam Masail Ulmaon Se Tehkik Shuda Hain ...

POST - 26

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBANI Ke Masaail...
JAANWAR ki umar mein SHAK ho to ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Saal bhar se kam ki bakre ki Qurbaani ya aqiqah nahi ho sakta...Or agar shak ho to wo bhi aysa hi hai jayse saal bhar ka nahi hai..

▪ Jaanwar bechne waale ka kehna kaafi nahi...k bikne me uska profit..nafa hai..isliye zaruri nahi k wo ( duniya daar jisko diin O aakhirat ka koi shuoor O parwah nahi ) sach hi bole.

FATAWA RAZWIYAH...
Vol. 20,  Page. 583 - 84
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Agar 1 saal ka bakra jo daant todta hai wo daant tode hai to ho jayegi...or..

▪ Agar daant nahi tode to nahi hogi... Qasaai ya jo janwaron k maahir or bharose k log hon unko dikha dein...

BAHARE SHARIYAT..

POST - 27

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
AQIQE me kitne jaanwar hon..? عقیقے کے مسائل
➖➖➖➖➖ ➖➖➖➖➖➖➖➖

🔸Ladke k liye 2
🔸Ladki k liye 1

      Sarkaare AalaHazrat...alyhirrehman...farmate hai...K..Dono k liye kam se kam 1 janwar to hai hi or bete k liye 2 ho to afzal hai...taaqat na ho to 1 bhi kaafi hai....
▪ Aqiqe ka jaanwar bhi aysa hi ho jaysa Qurbaani k janwar hota hai...be aib saal bhar agar bakra ho or 2 saal agar gaay ho...

▪ Agar gaay hai to usme Qurbaani ki tarah 7 aqiqe ho sakte hai.

▪ Aik hi jaanwar me Qurbaani or aqiqe dono saath me ho sakte hai ( 7 hisse )

FATAWA RAZWIYAH...

KHUSUSI DHYAAN DEIN
➖➖➖➖➖➖➖

▪ QURBAANI...Topic k zyadatar wo masaail jin ki aam aadmi ko zarurat padti he zikr ho chuke

▪ QURBAANI k or zyada masaail tafsil se jaanne k liye.... Bahaare Shariyat....Vol. 3 Ka Muta'ala Kijye
    
▪ Jo masaail bataaye gaye in k siwa koi alag surat saamne aaye to....

ULMAAE KIRAAM SE RUJU KAREIN

POST - 28

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MURTAD (Deen Se Phira Hua)
Bad-Mazhab (Wahabi, Deobandi)
Ke Hath Se Qurbani Karwana Kaisa Hai ?
➖➖➖➖➖ ➖➖➖➖➖

Sawal :
=====

Agar Murtad Ya Bad-Mazhab Bismillahi Allahu Akbar Keh Kar Qurbani Ka Janwar Zabah Karey To Kya Qurbani Hojayegi ?

Jawab:
=====

Qurbani Nahi Hogi...
Or Us Janwar Ka Gosht Khana Bhi Haram Hoga. Chahey Janwar Qurbani Ka Ho Ya Koi Aur (market wàla). Agarcha usney Bismillahi Allahu Akbar Padh Kar Murgi (Chicken) Zabah Ki To Wo Bhi Haram Hai. Iskey Hath Se Qurbani Karwana Misl-e-Murdar Hai.


BAHAR-E-SHARIAT , HISSA-9, PG. 177
FATAWA ALAMGIRI, VOL.2, PG. 255

Posting 🔚🔚🔚

➖➖➖➖➖➖
DUA KI DARKHWAST
➖➖➖➖➖➖

Aap tamam se guzarish he k ye masaail aap tak ponhchane k lie jinho ne mehnat ki he aap sab unke lie dua farmae k Allah unki mehnat qubool farmae,unki jaez duae qubool ho,or isi tarah deeno sunniyat ki khidmat karne ki taufiq ata farmae.

Or bil-khusoos mere haq me dua farme Allah tamam mushkilaat ko aasan farmae.or maqaasid me kamyabi ata farmaye.
Aameen...