Tuesday, August 23, 2016

MASAIL E QURBANI

       💐🌹🌷🌻💐💗💝💗💐🌻🌷🌹💐
        ─────────────────────────
       💝🎀🕋 MASAIL -E- QURBANI 🕋🎀💝
        ─────────────────────────
       💐🌹🌷🌻💐💗💝💗💐🌻🌷🌹💐
          📝✒⏭ PART-OF-NO.. [ 1 ] ⏮✒📝
       💐🌹🌷🌻💐💗💝💗💐🌻🌷🌹💐

✍🏽🖌 Ye ek maali ibadat hai jo Malike-nisab par wajib hai khaas janwar ko khas Din  Allah ﷻ ki riza ke liye sawab ki niyat Se zibah karna...

             📚[ Qanun e Shariat : 210 ]

            🔘[ QURBANI KE MASAIL ]🔘
✍🏽🖌 Allah ﷻ ko hargiz na unka Gosht pahunchta hai na unka khoon han tumhari parhezGaari us tak pahunchti Hai...```

                   📖[ Al-hajj ayat. 37 ]

                      🔘[ QURA'AN ]🔘
✍🏽🖌 Aur humne har ummat ke liye 1 Qurbani muqarrar farmayi ke Allah ﷻ ka naam le uske diye hue chopayo (janvar) par...

                    📖[ Al-Hajj Ayat.. 34 ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
💖⏭ PART-OF-NO.. [ 2 ] ⏮💖
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

   🔷[ MAAL AUR KANJUSI HADEES ]🔷

✍🏽🖌 Jis shakhs me qurbani karne ki vus’at ho fir bhi  vo qurbani na kare to
vo hamari Eidgaah ke Qarib na aaye....```

           📚[ IBNE MAJAH 3/3123 ]

          🔷[ QURBANI KI FAZILAT ]🔷

✍🏽🖌 Qurbani apne karne wale ke nekiyo ke palle me rakhi jaegi jisse nekiyo ka palda bhaari hoga...

📚[ ASHI’ATUL LAM’AAT Jild -1 Page -654 ]

         🔷[ MASAIL QURBANI]🔷

✍🏽🖌 qurbani kis par wajib hay...?
[ A ].   Har aaqil, baalig, muqim muslman mard & aurat malike nisab par Qurbani wajib hay...```

     📚[ Fatawa AALMGIRI j-5 p-292 ]

✍🏽🖌 Yad Rkhein Har Malike Nisab yani [ 52.5 ] Tola chandi ya [ 7.5  ] Tola sona ya Inme Se Kisi [ 1 ] Ki Qimat ke Malik Mard O Aurat Par Har Saal Qurbani WAJIB Hai....


💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
💝 ⏭PART-OF-NO.. [ 3 ]   💝
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

✍🏽🖌 [ Qurbani Ke Janwar Ki Umar ]
[ 1 ]  Uonth 5 Saal ka
[ 2 ]  Bail,Gaaye 2 Saal ka
[ 3 ]  Bakara/Bakri 1 Sal Isse Kam Umr ho to Qurbani Jayez Nhi Zyada hoto Afzal Hai...
                  📚[ Bhare Shairiyat ]

✍🏽🖌 [ QURBANI KE JANWAR KI UMAR ]
[ 1 ]  uoont 5 saal ka
[ 2 ]  bhes vgera 2 saal ki
[ 3 ]  bakra-bakri,dumba-dumbi, bhed. (nar va mada)1 saal ke...

         📚[ DURRE MUKHTA  9/p-533 ]

                     💠[ MASAIL ]💠
✍🏽🖌 In janwar ki Qurbani jaiz nahi..
[ 1 ] ya dono kaan na ho
[ 2 ] kaana ho
[ 3 ] aisa bimaar jiski bimari zahir ho.,,

       📚 [ DURRE MUKHTAR 9/535,537 ]

                     💠[ MASAIL ]💠
✍🏽🖌 Aisa langda jo apne paav se Qurban gaah tak na jaa sake aise janwar ki qurbani na jaiz hai..

          📚[ DURRE MUKHTAR 9/535 ]

✍🏽🖌 Market me qurbani ka janwar lene jae to pahle sharai masail ki mualumat karlo taaki qurbani ke laik janwar mile aur wajib ada ho..```

                       💠[ MASAIL ]💠
✍🏽🖌 Ghar me sabki taraf se {1} qurbani kar dena kaafi nahi balki jitne (baalig) log sahibe nisab hay utni qurbaniya kare.._

       📚[ Fatawa E AALMGIRI 5 p-304 ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
💖⏭ PART-OF-NO.. [ 4 ] ⏮ 💖
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

         💠[ ISLAMI TAALIM MISAAL ]💠

✍🏽🖌 {1} ghar me {10} (baalig) member hay unme {7} saahibe nisab hay to un {7} par Qurbani wajib hai…

    📚[ fatawa aalmgiri jild-5 page-304 ]

✍🏽🖌 Qurbani me Gaaye bail ke {7} Hssa Aur Uonth ke {7} Hsse hai Yani In dono Janwaro me {7-7} Aadmi Qurbani me Hissa le sakte hai aur Bakra Sirf 1 Hissa...```

✍🏽🖌 Gosht Khane ki Niyat-se Janwar NaKharide aur Na Paala jaye Balki ALLAH ﷻ ki RAZA ke liye Qurbani honi chahiye Dikhawa Show Baazi karna Jayez Nahi....

✍🏽🖌 Aksar shaadi suda aurto par Qurbani wajib hoti he kyo ki unke paas jo zewar hai unki Qimat takriban “nisaab” ke barabar tak pahunch jati hai... pyare nabi ﷺ sllallahu alyhi wasllam ne is ummat ke liye Qurbani ki (MUSLIM). jisse ho Sake wo Nabi E Pak ﷺ ke naam ki bhi Qurbani kare....

                   📚[ bahare shariat]

✍🏽🖌 Agar Sahibe-Nisab (maaldar) Ki Qurbani Ka Janwar MAR Jaye To Qurbani MAAF Nahi, DUSRA Janwar Lakar Qurbani Kare....```

          📚[ Fatawa Aalamgiri ]. Neki

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
💝⏭ PART-OF-NO.. [ 5 ] ⏮💝
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

✍🏽🖌 Qurbani ke masail kisi achche  Sunni Aalim Deen ya imam-se malum kare kisi be-padhe Ya Kisi Badmazhab  shakhs-se malum na kare ke aksar aise logo ko poori bat malum nahi hoti..  Kuch Jahil  Log bepadhe Aur Badmazhab jo khud ko Aalim Smajte hai shriat ke Msail Me Bahes Karte hai  Unki bat na mani jaye Shriat ke Msail me Gair Aalim Ya Kisi Badmazhan  ke  bat manna jaiz Nhi hai...

✍🏽🖌 Aamtor par Ye Riwaj hey Poore Ghar ki taraf-se Eik bakra Qurbani Kar diya jata hai Halanki malike nesab Hon to Ghar ke sab afrad par Qurbani wajib hai..

                     💠[ MAS'ALA ]💠
✍🏽🖌 Jis Par QURBANI Waajib Hay Us Ko Khud Apne Naam Ki QURBANI Karna Waajib Hai, Dusre Ke Naam Ki Na Kare...```

        📚[ FATAWA AMJADIYA 3/315 ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸 ⏭ PART-OF-NO.. [ 6 ] ⏮ 🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

                     ⚜ [ MAS' ALA ] ⚜

✍🏽🖌 Agar koi shakhs apne kisi buzurg ke naam-se Qurbani Karna Chahe to wo Pehle apne naam ki Kare Fir unke naam ki Shirf ( 1 ) unke nam ki Nhi kar Sakta....

✍🏽🖌 QURBANI AGAR MAYYAT Ki WASIYYAT PAR HUYI TO PURA GOSHT SADQA KARNA WAJIB HAI APNI KHUSHI SE KI TO KHUD BHI KHAYE & AURO KO BHI DE...

                📚[ BHAARE SHARIAT ]

✍🏽🖌 Qurbani ka Janvar. dekhkar kharide agar maada hoto janch karle ki kahin uske pet me bachcha na ho...

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸 ⏭ PART-OF-NO.. [ 7 ] ⏮ 🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

✍🏽🖌 Qurbani Ki aur Janwar ke Pait me Zinda Bacha hoto Use bi ZIBAH karde aur Mraa Hua Bacha hoto Use fenk de Murdaar he...

                  📚[ Bahar-e-Shariat ]

          ⚜[ BAHOT ZARURI MASAIL ]⚜

✍🏽🖌 Janwar ke samne CHHURI tez na kare..!   Jabtak janwar thanda na ho tabtak chamda chhilna & paaun katna shuru na kare...

              ⚜[ MUSTAHAB AMAL ]⚜

✍🏽🖌 Qurbani karne wala chand raat se qurbani tak baal va nakhun ne kaate...

      📚[ MIR’AATUL MNAJIH 2/370 ]

YAAD RAHE ye mustahb aml hai zaruri nahi...

✍🏽🖌 40 din ke andar andar ye kaam zarur karle
[ 1 ] nakhun trashna
[ 2 ] bagal va naaf ke niche ke baal nikalna 40 DIN SE ZYADA TAAKHIR GUNAH HAY...

             📚[ Muslim- Hadees- 258 ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸 ⏭ PART-OF-NO.. [ 8 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

✍🏽🖌 Chand raat se Qurbani tak baal va nakhun ns kaatna mustahab jab ki 40 din se zyada taakhir gunah agar qurbani tak  41din ho jate hay to ye amal na kre....

📚[ mullakhkhas az fatawa razviyya jild-20 , page no- 353,354 ]

             ⚜[ GARIBO KO SAWAB]⚜

✍🏽🖌 Jo Qurbani na kar sake vo chand raat Se namaze eid tak baal nakhun na kate. INSHA ALLAH Qrbani ka swab paega...

      📚[ MIR’AATUL MNAJIH 2/370 ]

✍🏽🖌 TAKBIRE TASHREEQ
ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR LAA ILAA-HA ILLALLAAHU WALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR WA LILLAAHILHAMD
9 ki fajar se 13 ki asar tak pade

✍🏽🖌 TAKBIRE TASHREEQ
ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR LAA ILAA-HA ILLALLAAHU WALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR WA LILLAAHILHAMD
9 zil’hajj ki fajar-se 13 ki asar tak har farz namaz k baad 3/ 5 ya 7 baar padhe..

                 📚[ bahare shariat ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸 ⏭ PART-OF-NO.. [ 9 ] ⏮ 🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

                ⚜[ AHAM MS-ALA ]⚜

✍🏽🖌 Dusre se zabah kraya apna hath bhi chhuri par rakha to dono par bismillah kehna wajib hai varna janwar hlaal na huaa...

          📚[ DURRE MUKHTAR 9/551 ]

               ⚜[ KHAAS MS-ALA ]⚜

✍🏽🖌 zabah karne wale aur chhuri par haath rakhne wale donopar BISMILLAH kehna wajib hai  varna janwar hlaal na hoga...

         📚[ DURRE MUKHTAR 9/551 ]

✍🏽🖌 zabah ke baad janwar mukammal taur par thanda na ho jaye  yaani rooh na nikle tab tak chhuri na chlaaiye balki rok dijiye....

           📚[ bahaare shariat 3/660 ]

               ⚜[ KHAAS TAAKID ]⚜

✍🏽🖌 Qurbani  unhi qassaab se karvaiye jo shrai masail ka khub lihaaj rkhte ho....


💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 10 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

                🚨[ SUNNIYO ALERT ]🚨

✍🏽🖌 Bad aqido ke idaro me qurbani ka hissa likhva kar apni qurbani bekar mat karna SIRF sahi aqida sunni idaro hi me hissa likhvaye...

           💝[ SUNNIYO KO TAAKID ]💝

✍🏽🖌 Bad aqido ke paas na qurbani ka hissa likhaye na qurbani ki khaal de aur
na hi unse apne janwar zabah karaye...

   🌹[ SUNNIYO EK BANO NEK BANO ]🌹

✍🏽🖌 Qurbani ki khaal SIRF. sunni idaaro hi me dijiye idaare walo se bhi arz hay khaalo ke liye aaps me jhagda mat kijiye

✍🏽🖌 Halaal janwar ke bhi ye ajza khana mana hay

[ 1 ] Pitta
[ 2 ] Kpura
[ 3 ] Ojhdi
[ 4 ] Aante

             📚[ BOOK AADABE T’AAM ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭PART-OF-NO.. [ 11 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

       ⚜[ OJHDI KHANA KAISA..? ]⚜

✍🏽🖌 Ojhdi me Galaazat bhri hoti hai  iska khana makruhe tahrimi hai..

       📚[ FTAWA RAZVIYYA 20/240 ]

                      ⚜[ AFSOS…! ]⚜

kayi muslman ise shauq se khate hai..

              ⚜[ JANTE HO..?: ]⚜

✍🏽🖌 Agar kisi par Qurbani wajib hay aur us waqt uske paas paise nahi hay to karz lekar Qurbani kre...

📚[ FTAWA AMJADIYYA jild -3 Page -315 ]

       ⚜[ ZABAH KRNE KE AADAB ]⚜

✍🏽🖌 Pahle se chhuri tez karle Aisa na ho ki janwar Girane ke baad uske saamne chhuri tez kee jae...

📚[ BAHAARE SHARIAT jild -3 page -352 ]

                   ⚜[ QURBANI ]⚜

✍🏽🖌 Koi Gair sharai tarike se zabah kar rahaa hoto ba vujude Qudrat na rokne wala bhi Gunahgaar hai..

   📚[ Bahaare shariat Vol 3/ Page 660 ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 12 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

                  ⚜ [ JARURI ARZ ] ⚜

✍🏽🖌 Qurbani ki khaale jama Karne wale sath me extra libaas rakhe taaki khoon se kapde napak hone par Jama’at chhut ya namaz kaza na ho jaye...

                    ⚜ [ DINI ARZ ] ⚜

✍🏽🖌 Qurbani ki khaale islami madarso ko dekar be’shumar nek kaamo me madad kijiye aur khud bhi
sawab kamaiye...

              ⚜[ AADABE QURBANI ]⚜

[ 1 ]  Pahle chara paani de de bhuka pyasa zabah na kre..

[ 2 ] Ek ke saamne dusre ko zabah na kre..

📚[ BAHAARE SHARIAT jild- 3 page- 352 ]

         ⚜[ GALAT KAAM KO ROKO ]⚜

✍🏽🖌 Qurbani karne wale ko kahiye zabah ke baad rooh na nikle  tab tak chhuri rok de kiyu ki ye be zuban janwar par zulm hai...

              ⚜[ SHRAI RAHNUMAI ]⚜

✍🏽🖌 Hisse waali qurbani me shamil ho to Sirf unhi sahi AQida sunni idaro me
naam likhae jo shrai msail ka khub khyaal rakhte ho....

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 13 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

    ⚜[ QASSAAB HAZRAAT SE ARZ ]⚜

✍🏽🖌 Qurbani ke dino me kaam utna hi le jitna sliqe ke saath kar sake aur kisi ko shikayat ka mauqa na mile....

              ⚜[ KHAAS TAAKID ]⚜

✍🏽🖌 Qurbani usi se karvaiye jo dusri jagah jaane ki jaldi me Gair shrai tarike se zabah na kare aur shrai msail ka khub lihaaj Rakhe...

                        ⚜[ MASAIL ]⚜

✍🏽🖌 Qurbani ka janwar be-aib hona zaruri hai  Agar thoda sa aib ho to Qurbani makruh hogi zyada aib ho to nahi hogi....

        📚[ BAHAARE SHARIAT 3/340 ]

⚜[ JAIZ HAI MAGAR ISHQ KA TKAJA ]⚜

✍🏽🖌 Aaqa (Alyhisslam ﷺ ) ko TiLLi (khane) se Nafrat thi magar isko hraam Qraar nahi dia...

📚[ ITTIHAFUS SAD’TUL MUTTAQIN 8/243 ]

                    ⚜[ NEK NIYYAT ]⚜

✍🏽🖌 Qurbani karte waqt ye Niyyat bhi kre “mai raahe khuda me aaj janwar qurban kar rahaa hu B-waqte zarurat jaan bhi
Qurban kar dunga...

✍🏽🖌 Baalig aulad ya biwi ki Taraf se Qurbani kre to ijazat zruri Hay TRIKA vo ijazat de ya Unhe apni qurbani ka ilm hay Aur vo raazi hai..

           📚[ Fatawa E Alamgiri 5/293 ]


💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 14 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

                      ⚜[ MASAIL ]⚜

✍🏽🖌 Baalig aulad ya biwi ki Tarafse  Qurbani karna chahe to unse ijazat le agar ijazat bina kardi to wajib ada na hoga...

         📚[ Fatawa E AALMGIRI 5/293 ]

               ⚜[ ISLAMI JANKARI ]⚜

✍🏽🖌 Arfa yaani 9 ZIL hajj ke din roza Rakhne ki fazilat hay uske baad 10,11,12 aur 13 ZIL hajj ko roza rakhna hraam hay...

⚜[ 9vi ] ZIL HAJJ KA ROZA HADEES ]⚜

✍🏽🖌 Arfa ka roza hzaar rozo ke brabar hay..

          📚[ SHUABUL IMAN 3/3764 ]

✍🏽🖌 Iske baad 10,11,12 aur 13 zil hajj ke roze rkhna hraam hay..

            ⚜[ ISLAMI MALUMAT ]⚜

✍🏽🖌 Saal me ye 5 roze hraam hay..
[ 1 ] Eidul fitr
[ 2 ] 10 zil hajj (bakar eid)
[ 3 ] 11 zil hajj
[ 4 ] 12 zil hajj
[ 5 ] 13 zil hajj
baaki dino me roze ki fazilat hay...

                    ⚜[ JANTE HO..? ]⚜

✍🏽🖌 haaji jo arfaat me hay unhe arfa (9zil hajj) ka roza makrooh hay jabki aam logo ke liye is roze ki fazilat hay...

          📚[ IBNE KHUZAIMA 3/2101 ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 15 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

                   ⚜[ ARFA KA ROZA ]⚜

✍🏽🖌 HUZUR ﷺ Mujhe
ALLAH ﷻ par gumaan hai ki arfa (yaani 9Zil hajj) ka roza 1 saal pahle aur 1 saal baad ke gunah mita deta hai...

      📚[ MUSLIM Shreef  Hadees-196 ]

✍🏽🖌 9 zil hajj fajar se 13 asr tak pancho jma’at baad takbire tashriq pdhna wajib hai jinki kuch rkate chalijaye vo salam ke bad padhe...

         📚[ TBYINAL HQAIQ 1/227 ]

                       ⚜[ MASAIL ]⚜

✍🏽🖌 9 Zil hajj fajar se 13 asar tak pancho jma’at bad 1 baar buland AwaznSe takbire tashriq padhna wajib 3 baar Afzal hai....

           📚[ TABYINAL HQAIQ 1/227 ]

                  ⚜[ YAAD RAKHEIN ]⚜

✍🏽🖌 ALLAH ﷻ ko janvaro na Gosht pahunchta n unka khoon tumhari parhezgari..

                📖[ Sura al-hajj ayat. 37 ]

✍🏽🖌 ISLIYE QURBANI ME TAKAB’BUR DIKHAWA NAHI HO...

✍🏽🖌 YAAD RAKHEIN QURBANI  sirf 3 din hai 10 zil hajj ke tulu aftab se shuru hokar Qurbani ka aakhri waqt 12bzil hajj Suraj dubne tak hai..

📚[ Fatawa E AALMGIRI vol-5/page-293 ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 16 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

        ⚜[ IS RAAT IBADAT KIJIYE ]⚜

✍🏽🖌 5 raate aisi hay jisme
duaa radd nahi ki jati usme ek eidul az’ha ki (agli) raat bhi hay....

          📚[ TARIKHE DAMISHQ 10/408 ]

⚜[ SAWAB KA AMBAAR HADEES KHULASA ]⚜

✍🏽🖌 Qurbani karne waale ko qurbani ke jaanwar ke har baal ke badle me ek neki milti hay

          📚[ TIRMIZI jild-3 hdis-1498 ]

               ⚜[ ADHURI IBADAT ]⚜

✍🏽🖌 Eid ki namaz ke 2 hisse hay ek namaz aur dusra khutba lihaza namaz baad khamoshi se khutba suniye khutba sune bigair mat jaiye...

                  ⚜[ YAAD RAKHIYE ]⚜

✍🏽🖌 kaafir ko qurbani ke gosht me se ek boti bhi dena jaiz nahi ziyada jankari Ahle Sunnat  sunni ulma se lijiye....


💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 17 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

✍🏽🖌 Islami behno par bhi qurbani wajib hey  agar wo 7.5 tola sona ya 52.5 tola chandi ya 52.5 chandi ke brabar paisa rakhti hai to qurbani zrur kre...

                ⚜[ KHAAS TAAKID ]⚜

✍🏽🖌 Zabah karne wale ko kahiye BISMILLAHI ALLAHU AKBAR yaad rakh kar padhe HAA Qurbani ki duaa koi bhi padh sakta hay...

                       ⚜[ MASAIL ]⚜

✍🏽🖌 Zabah karte waqt “BISMILLAH” padhna wajib hai agar jaanbujh kar chhor diya to janwar murdaar hoga..

   📚[ TAFSIRE NAIMI PARA-1/page-44 ]

                      ⚜[ MASAIL ]⚜

✍🏽🖌 Bade janwar (uoont bhens vgera) me 7 qurbani ho sakti hay saath me aqiqe ke hisse bhi rakh sakte hay...

📚[ DURRE MUKHTAAR jild-9 page-540 ]

                 ⚜[ YAAD RAKHIYE ]⚜

✍🏽🖌 kaafir ko qurbani ke gosht me se ek boti bhi dena jaiz nahi ziyada jankari ke liye Ahle Sunnat  sunni ulma se lijiye....

⚜[ SAWAB KA AMBAAR HADEES KHULASA ]⚜

✍🏽🖌 Qurbani karne waale ko qurbani ke jaanwar ke har baal ke badle me ek neki milti hay....

           📚[ TIRMIZI jild-3 hdis-1498 ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 18 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

   ⚜[ 1 GALAT FAHMI KA KHULASA ]⚜

✍🏽🖌 Sirf nar hi nahi balki mada jaise bakri vgerah ki qurbani bhi jaiz hay...

📚[ BAHAARE SHARIAT jild-3 page-348 ]

                ⚜[ MASAIL SIKHO ]⚜

✍🏽🖌 Hum qurbani to karte hay MAGAR AFSOS iska zaruri ilm nahi sikhte lihaza qurbani ki mukammal barkate paane se mahrum rah jaate hay....

             ⚜[ MAAL AUR KANJUSI ]⚜

✍🏽🖌 Kayi log kaafi bank balance alag alag scheme me invest aur maal samaan hone ke ba vujud qurbani karne se jee churate hai...

         ⚜[ KHUD,AZIZ AUR GARIB ]⚜

✍🏽🖌 Qurbani ke gosht ke 3 hisse ksrna mustahab hay Zaruri nahi chahe to sab khud Rakh sakta hai....

        📚[ FTAWA RAZVIYYA 20/253 ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 19 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

                  ⚜[ ADHURI IBADAT ]⚜

✍🏽🖌 Eid ki namaz ke 2 hisse hay ek namaz aur dusra khutba lihaza namaz baad khamoshi se khutba suniye khutba sune bigair mat jaiye...

    ⚜[ NMAZE EIDE AZ’HA KI NIYYAT ]⚜

✍🏽🖌 Me niyyat karta hu
2 rak’at namaz eidul az’ha ki 6 zaaid takbiro ke sath vasite ALLAH ﷻ ke pichhe is imam ke AllahuAkbr....

✍🏽🖌 Questions... agar kisi uzar ke tahat eid ki jma’at na mili to...?

✍🏽🖌 Answer....  behtar hay ki ye shakhs 4 rk’at chaasht ki namaz padhe....

          📚[ DURRE MUKHTAR 3 p-58 ]
    
✍🏽🖌 Jo  5 rato me jaag kar ibadat kre uske liye jannat wajib ho jati hay ...

[ 1 ] 8/9 aur 10vi jil hajj
[ 2 ] shabe Eidul fitr
[ 3 ] shabe bra’at...

       📚[ AT TARGIB VT TARHIB 2/98 ]

💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 20 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

                  🌷DUA'A🌷

✍🏽🖌 Jaanwar Zibah Karne Se Pehle Dua Padhe---
“Inni-Wajjahtu- Waj-Hi-Ya-Lilla zi-Fataras-Sama wati-
Wal-Ardha-Hanif aoun-Wa-Ma-Ana- Minal-Mush rikeena-In-Nas- Salati-Wa-Nusuk i-Wa-Mahya-Ya-W a-
Mamati-Lillahi- Rabbil-Aalameen !  La-Sharika-Lahu -Wa-Bi-Zaalika- Urritu-Wa-Ana-M inal- Muslimeen! Allah-Humma-Ma- La-Ka-Wa-Minka- Bismillahi-Alla hu- Akbar!”   Dua'a Khatm Karte Hi Choori Chala De..!

   📚[ Qanoon-A-Shari-at Pg-211 ]

                       🌷DUA'A🌷

✍🏽🖌 Qurbani Apni Taraf Se Ho To Zibah Ke Baad Yeh Dua Padhe---
“Allah-Humma-Ma -Ta-Kabbal-Minni-Kama-Ta-Kabbal-Ta-Min-Khalili-Ka-Ibrahima-Alaihis-Salaama- Wa- Habibi-Ka Muhammadin-Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam..!

    📚[ Qanoon-E-Shari-at Pg-211 ]

                   ⚜[ MASLA ]⚜

✍🏽🖌 Jo Log Kaafir, Gair Muslim Ho Ya Uske Aqide Ki Kharaabi Ya Rasoolallah ﷺ SALLALLAHU-TA’A ALA- ALAIHI-WASALLAM Ki Shaan May Gustakhi Ki Wajah se Uneh Islam Se Kharij Wa Murtad Karaar Diya Gaya Hain, Unke Hath Ka Zabiha Haraam Wa Murdaar Hai......

📚[ Galat Fehmiyan Aur Uski Islah Pg-161 ]

💐🌹🌷🌻💐🌹🌸🌹💐🌻🌷🌹💐
🌸⏭ PART-OF-NO. [ 21 ] ⏮🌸
💐🌹🌷🌻💐💐🌻🌷🌹💐

            ⚜[ DONO EID ME IBADT ]⚜

✍🏽🖌 Jisne eidain ki (agli) raat qiyam kiya us din uska dil nahi mrega jis din logo ke dil mar jayeinge...

    📚[ IBNE MAJAH Vol 2 hadees-1782 ]

                        ⚜[ FARQ ]⚜

✍🏽🖌 Namaze eidul fitr ko jate huve raaste me aahista takbire tashriq padhiye namaze eide az’ha ko jate huve buland aawaz se takbir padhiye...

✍🏽🖌 Eid ko 300 baar
SUB’HAAN ALLAHI VBI HAMDIH padh kar marhum muslmano ko bakhshe to har ek ki Qabar me  1000  anwaar dakhil honge...

        📚[ MUKASHTUL QULUB-308 ]

   ⚜[ MUSTAHAB HAY ZARURI NAHI ]⚜

✍🏽🖌 Eid E Az’ha me mustahab hay ki namaz pahle kuch na khaae chahe qurbani kre ya na kre Agar khaa lia to bhi koi bat nahi..

💐🌹🌷🌻💐🌸💐🌻🌷🌹💐
🌸🌸PART-OF-NO. [ 22 ]🌸🌸
💐🌹🌷🌻💐🌸💐🌻🌷🌹💐
⚠PARTS COMPELET HUA⚠
💐🌹🌷🌻💐🌸💐🌻🌷🌹💐

            ⚜[ KHUTBE KE AHKAM ]⚜

✍🏽🖌 Jab imam khutba padhe to tamaam logo ka sunna aur chup rahna farz hai...

            📚[ DURRE MUKHTAR 3/35 ]

✍🏽🖌 Eid ke khutbe me bhi
khayal rakhiye....

       ⚜[ EID E AZ’HA KI 1SUNNAT ]⚜

✍🏽🖌 Aaqa (Alyhissalam) Eid e az’ha ke roz nahi khate the jabtak namaz se farig na ho jate....

📚[ TIRMIZI SHREEF  Jild- 2 Hedees 542 ]

✍🏽🖌 Eid ko roza rakhna haram hai...

              ⚜[ EID KI 1SUNNAT ]⚜

✍🏽🖌 Namaz ke liye ek raaste se jaana Aur  dusre se vaaps aana..

📚[ TIRMIZI SHREEF jild- 2 Hadees- 541 ]

✍🏽🖌 Isse murad masjid ki taraf jane wale 2 raaste hay...

                 ⚠ THE END PARTS ⚠

🔵🔘🔵🔘🔵🔘🔵🔘🔵⏮
🔂 TO BE CONTINUED
           POSTED BY

⤵ FROM
👑 GULAM-E-AALA-HAZRAT 👑

🌻  TALIB E DU'AA
💐Jamaluddin Raza

📆IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE. G.E.A.H. FB PAGE LINK PE CLICK KRE....

🌎https://m.facebook.com/Gulam.E.Aala.Hazrat1/photos/?tab=album&album_id=1864560787090332&mt_nav=1

📆IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE. G.E.A.H. BLOGEER LINK PE CLICK KRE.....

🌎http://gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com/2016/08/masail-e-qurbani.html?m=0

🌸🖥VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS

🌎fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1

🌎https://plus.google.com/116611277293695153777

🌎www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
⏩🔘🔷🔘🔷🔘🔷🔘🔷🔘⏪

Tuesday, August 16, 2016

Aaqa ﷺ Sallallahu Alaihe Wasallam ke Walidain Momin the

🌹🕌🌷🕌🌹🌲🌴🍀🍂🌳🍂🍀🌴🌲🌹🕌🌷🕌🌹
🌹Aaqa ﷺ Sallallahu Alaihe Wasallam ke Walidain Momin the🌹
🌹🕌🌷🕌🌹🌲🌴🍀🍂🌳🍂🍀🌴🌲🌹🕌🌷🕌🌹
         📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
          🍄🌙POST-[ 1 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
         📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

🌹Walidain-e-Mustafa ﷺ Sallallaho alaihe wasallam🌹

✍🖊 Alhamdulillah..! 🌷Nahmaduhu wa nastaeenuhu wa nastaghfiruhu wa nu’minu bihi wa natawakkalao alaihe. Wa Nusalli ala Rasoolihil Kareem ﷺ , Was Salaato was Salaamo Ala Sayyedil Mursaleen. Amma Ba’ad. Faoozu Billahe Minash Shaitanir Rajeemi Bismillahir Rehmanir Raheem.🌷

✍🖊 ALLAH ﷻ TABARAK WA TA’ALA ka behadd Ehsan hai ki usne shume Musalman kiya aur khas ehsan ki Apne Pyare Mehbub ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ki Ummat me paida farmaya ki is Ummat me hone ko to khud Ambiya alaihimus salato salam ne duayen mangi hain.. Isi ummat me kuch aise log bhi paida ho gaye hain jo ki khud ko Musalman hone ka daawa karte hain Kalima bhi padhte hain, Namazen bhi padhte hain. Par apne hi Nabi ﷺ Sallallaho alaihe wasallam par tarah tarah ke ilzamaat lagate hain, unhi ilzam me se ek ilzam ye bhi hai ki wo hamare pyare Aaqa ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ke Walidain ko (MaazALLAH) kafir kehte hain...

✍🖊 Halanki hum is masle par Hadeeson ki dalil pesh karenge ki wo Kafir nahi balki Momin the. Lekin use pehle bhi hum puchna chahte hain ki akhir tumhe apne hi Nabi ﷺ  Sallallaho alaihe wasallam ke walidain ke khilaf zuban daraz karne me zara bhi dil ko takleef nahi hui..? Agar tum momin na keh sake fir bhi kafir kehte zara bhi haya nahi aayi..?

✍🔪 Deobandiyo yo yo ke peshwa Rasheed Ahmed Gangohi ne bhi apni Fatawae Rasheediya me likha hai ki Nabi ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ke walidain  ka inteqal Halat-e-Kufr me hua. (MaazALLAH)

Beshak Musalman Ghulam behtar hain Mushrik se:

📖[ Sureh Baqrah 221]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
   🍄🌙POST-[ 2 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 [ 1 ] Rasoollah ﷺ Sallallaho alaihe wasallam farmate hain: Har Qarn-o-Tabqa me Tamam Quroon Bani Aadam ke behtar se mai bheja gaya, yahan tak ki us qarn me hua jisme paida hua...

📚[ Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Baab Sifatun Nabi Sallallaho alaihe wasallam Jild 1 pg.503.]
                                                                               
✍🖊 [ 2 ] Hazrat Ameerul Mumineen Syyeduna Ali Murtaza Radiallahi taala Anhu  ki Saheeh Hadees me hai: Ru-e-Zameen par har zamane mekam se kam 7 Musalman zarur rahe hain. Aisa na hota to zameen-o-Ahle-Zameen sab halaak ho jate. Isko Abdur Razzaq aur ibn Munzir ne shaikheen ki shart par Saheeh Sanad ke sath riwayat kiya...

📚[ Sharah Zarqani alal Mawahib Ladunya, Ba-hawala Abdur Razzaq wa Ibn Munzir jild 1 Pg.174 ]

✍🖊 [ 3 ] Imamul Mufassereen Syyeduna Ibn Abbas Radiallahu taala anhu ki Hadees me hai: Nooh alaihis salam ke baad zameen kabhi 7  Musalman. Bandgan-e-Khuda se khali nahi hui, jinki waja se ALLAH ﷻ Ahle zameen se azab dafa farmata hai...

📚[Sharah Zarqani alal Mawahib Ladunya ba-hawala Ahmed fiz-Zohad Jild 1 Pg.174]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
   🍄🌙POST-[ 3 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Jab Saheeh Hadeeson se sabit ki har qarn-o-tabqe me ru-e zameen par la aqal 7 musalman bandgan-e-maqbool zarur rahe hain. Aur khud Saheeh Bukhari ki Hadees se sabit hai ki Huzur Akram ﷺ Sallallaho alaihe wasallam jinse paida hue wo log har zamane me, har qarn me kheyar-e-qarn se, aur ayat-e-quraniya naatiq ki koi kafir agarche kaisa hi shariful qaum, baala nasb ho, kisi Ghulam Musalman se bhi khair-o-behtar nahi ho sakta to wajib hua ki Mustafa ﷺ sallallaho alaihe wasallam ke Aaba, wa Ummahaat-e-Qarn aur tabqa me unhe bandgan-e-Saaleh wa maqbool se hu, warna (MaazALLAH) Saheeh Bukhari me Irshad-e Mustafaﷺ sallallaho alaihe wasallam wa Quran-e-Azeem me irshad-e-Haq ke mukhalif hoga.

✍🖊 Mai kehta hu ki Kafir shar’an is baat ka mustaiq nahi ki isko Khairul Qarn kaha ja sake, bilkhusus jabki Musalman Saaleh maujud hon, agarche khairiayt Nasab hi ke lihaz se kyu na ho. Ye Dalil Imam Jalaluddin Suyuti ne ifaadah farmayi.

✍🖊 Dusri Dalil ALLAH ﷻ TA’ALA ne farmaya, Kafir to na-paak hi hai...

        📖[ Sureh Baqrah 221 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
  🍄🌙POST-[ 4 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Aur Hadees me hai Huzur Sayyedul Mursaleen ﷺ Sallallaho alaihe wasallam farmate hain:

✍🖊 [ 4 ] Hamesha ALLAH ﷻ ne mujhko Paak, suthri pushton me naqal farmata raha, saaf suthra araasta, jab 2 shakhen paida huin, unme behtar shaakh me tha....

📚[ Al-Hawi Lil Fatawa ba hawala Abu Naeem Masaalikul Hanfa fi Waalidil Mustafa Jild 2 Pg.211 ]

📚[ Dalailun Nabuwwa,Abi Naeem , Fasl Saani Pg.11-12 ]

✍🖊 Isko Naeem ne Dalailun Nabuwwa me Ibn Abbas Radiallahu Anhu se riwayat kiya...

✍🖊 Aur ek Hadees hai Nabi ﷺ Sallallaho alaihe wasallam farmate hain:..

✍🖊 [ 5 ] Mai hamesha Paak mardon ki pushton se, Paak Beebiyon ke peton me muntaqil hota raha...

📚[ Sharah Zarqani Alal Mawahib Ladunya ba-Hawala Abi Naeem an-Ibn Abbas Jild 1 Pg.174 ]

✍🖊 Dusri Hadees me Nabi ﷺ Sallallaho alaihe wasallam farmate hain:...

✍🖊 [ 6 ] Hamesha ALLAH ﷻ ne mujhe Karam wali pushton aur taharat wale shikamo me naqal fermata raha, yahan tak ki mujhe mere Maa Baap se paida kiya. Isko Ibn Abi Amru al-Adi Radiallahu Anhu se riwayat kiya....

📚[ Shifa Ba-Ta’reef Huqooqul Mustafa jild 1 Pg..63 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
  🍄🌙POST-[ 5 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 To zarur hai ki Nabi ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ke Aaba-e-Kiram Taahireen wa Ummahaat-e-Kiram sab Ahle Eiman-o-Tauheed hon ki Quran Azeem kisi Kafir-o-Kaafirah ke liye karam-o-taharat ke liye hissa nahi.. Ye Dalil Imam-e-Ajal Fakhrul Mutakallimeen Allama ul Wara Fahruddin Raazi Radiallahu Anhu ne Ifaadah farmayi aur Imam Jalaluddin Suyuti aur Allama Mohaqqiq Sanusi aur Allama Tilimsani Shaareh Shifa wa Imam Ibn Hajar Makki wa Allama Mohammad Zarqani Shaareh Mawahib wagairah Akaabir ne iski taaeed wa Tasweeb ki...

                  🏮Teesri Dalil 🏮
✍🖊 ALLAH ﷻ TA’ALA ne farmaya :..  Bharosa kar zabardast  meherban par jo tujhe dekhta hai jab tu khada ho aur tera karwaten badalna sajdah karne walon me...

       📖[ Qura'an Para 26 :217-219 ]

✍🖊 Imam Raazi farmate hain ki Huzoor Aqdas ﷺ sallallaho alaihe wasallam ka Noor Paak Saajidon se Saajidon ki taraf Muntaqil hota raha...

📖[ Mafaatihul Ghaib tehet ayat 26:219, 24:149 ]

✍🖊 To ayat is par dalil hai ki sab Aabaae Kiram Musalman the...

✍🖊 Imam Suyuti wa Imam Ibn Hajar wa Allama Zarqani..
📚[ Sharah zarqani Alal mawahib Baab Wafat-e-Umma Sallallaho alaihe wasallam jild 1 page.174 ]
wagairham Akaabir ne iski Taqreer wa Taaeed wa Taakeed wa tash’heed farmayi...

✍🖊 Aur Ibn Abbas Radiallahu Anhu se iski muaiyyid riwayat Abu Naeem ke yahan aay...

📚[ Sharah zarqani Alal mawahib Baab Wafat-e-Umma Sallallaho alaihe wasallam jild 1 page.174 ]

📚[ Dalailun Nabuwwa Abi Naeem Fasl Saani Zikr-e-Fazeelate Sallallaho alaihe wasallam Be-Tayyib-e-Maulidah Juz-ul Awwal pg.11-12 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
  🍄🌙POST-[ 6 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Allama ne tasreeh ki hai ki Quraan paak ki har waja se istedlal kiya jayega aur koi ek ta’weel dusri ta’weel ki naïf nahi karti, iske liye Ulama ka amal gawah hai ki wo purane aur naye zamane me Aayat-e-Mubaaraka ki kayi Taaweelaat me se ek se istedlal karte rahe hain...

                🏮[ Chauthi Dalil ]🏮
✍🖊 ALLAH ﷻ ne farmaya anqarib ALLAH ﷻ tujhe utna dega kitu raazi ho jayega...

              📖[ Quran Para 5: 93 ]

✍🖊 Qarib hai ki tuje teri Ummat ke baab me raazi kar denge aur tera dil bura na karenge...

📚[ Saheeh Muslim Kitabul Eiman Baab Duaaun Nabi Sallallaho alaihe wasallam jild 1 Pg.113 ]

✍🖊 Magar is ata wa raza ka matlab yahan tak pahuncha ki Saheeh hadees me Huzur Syed Aalam ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ne Abu Talib ki nisbat farmaya: maine usey saraapa Aag me duba paaya to kheench kar takhno tak ki aag me kar diya....

📚[ Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Qissa Abi Talib, jild 1 Pg.548 ]

📚[ Saheeh Bukhari Kitabul Adab, Kaifiyatul Mushrik, jild 2 pg.917 ]

📚[ Saheeh Muslim Baab Shafaatun Nabi Sallallaho alaihe wasallam le Abi Talib jild 1 pg.115 ]

📚[ Musnad Ahmed An ibn Abbas jild 1 Pg.206 ]

✍🖊 Ek aur Saheeh riwayat me farmaya:
Agar main na hota to Abu Talib jahannam ke sabse neeche tabqe me hota...

📚[ Saheeh Muslim Kitabul eiman Baab Shafaatun nabi Sallallaho alaihe wasallam jild 1 pg.115 ]

📚[ Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Qissa Abi Talib, jild 1 Pg.548 ]

📚[ Saheeh Bukhari Kitabul Adab, Kaifiyatul Mushrik, jild 2 pg.917 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
  🍄🌙POST-[ 7 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Ek aur Saheeh Hadees me Nabi ﷺ Sallallaho alaihe wasallam :
Dozakhiyon me sabse halka azab Abu Talib par hai....```

📚[ Saheeh Muslim Kitabul eiman Baab Ahoon Ahlin Naar Azaaba jild 2 pg.115 ]

📚[ Mishkaatul Masabeeh ba Hawala Bukhari Kitabul Fitan baab- Sifatun Naar wa ahleha jild 2 Pg.502 ]

✍🖊 Aur Zaahir hai ki Huzoor Aqdas ﷺ Sallallaho alaihe wasallam se jo qurab Waalidain ko hai Abu talib ko isse kya nisbat..? Phir iska uzr bhi waazeh kin a unhe dawat pahunhi na unhone zamana-e-Islam paaya, to agar MaazALLAH wo Ahle Janant nahote to zarur tha ki unpar Abu Talib se bhi kam azab hota... Aur wohi sabse halke azab me hote... Ye Hadees Saheeh ke khilaf hai to wajib hua ki Waalidain Kareemain Ahle Jannat hain... Wa ALLAHO A’Lam Is Daleel ki Taraf bhi Imam Khaatimul Huffaz Jalaaluddin Suyuti Radiallahu Anhu ne farmaya:```

✍🖊 Taufeeq ALLAH ﷻ ki taraf se hai Taqreer Dalil ye hai ki Saadiq wa Masdooq Sallallaho alaihe wasallam ne khabar di ki Ahle Naar me sabse halka azab Abu Talib par hai...  Ab hum puchte hian ki Abu Tali par ye takhfeef kis waja se hai.. ? Huzur Aqdas ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ki yaari wa paas daari wa khidmat Guzari ke baais ya is liye ki Sayyedul Mehbubeen Sallallaho alaihe wasallam ko unse Mohabbat Tabayi thi.. ? Huzoor ﷺ ko unki riaayat manzur thi, Huzoor Aqdas ﷺ Sallallaho alaihe wasallam farmate hain:```

✍🖊 Aadmi ka chacha uske Baap ke bajaye hota hai, isko Imam Tirmizi ne sanad-e-Hasan ke sath hazrat Abu Hurairah Radiallaho Anhu aur Hazrat Ali Radiallaho Anhu se jabki Tibrani Kabeer ne Ibn Abbas Radiallaho Anhu se riwayat kiya hai...```

📚[ Jaame Tirmizi abwaabul Manaqib, Manaaqib-e-Abi Fasl-e-Am Nabi Sallallaho alaihe wasallam jlld 2 pg.217 ]

📚[ Moajjam Al-Kabeer Hadees no.10698 jild 10 pg.383 ]

✍🖊 Aur jo kuch unhone Kaam kiye the humne qasd farmakar unhe baareek baareek Ghubar ke bikhre hue zarre kar diye ki rozan kid hoop me nazar aate hain...```

                 📖[ Quran 25 : 23 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
  🍄🌙POST-[ 8 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Saaf irshad hota hai ki Kafir ke sab amal barbad mehez hain. Aur yehi un Ahadees-e-Saheeha Mazkurah se mustafad, AbuTalib kea mal ki haqiqat to yahan tak thi ki Huzoor Aqdas ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ne sarapa aag me gharq paaya, amal ne nafa diya hota to pehle hi kaam ata, phir Huzoor ﷺ ka irshad ki maine usey takhno tak ki aag me khinch liya main na hota to wo jahannam ke tabqa-e-zereen me hota...._

📚[ Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Qissa Abi Talib, jild 1 Pg.548 ]

📚[ Saheeh Muslim Kitabul eiman Baab Ahoon Ahlin Naar Azaaba jild 1 pg.115 ]

📚[ Musnad Ahmed bin Hanbal jild 1 Pg.207, 210 ]

✍🖊 Bila Shubah ye Takhfeef sirf Mehbub ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ka Paas Khatir  ur Huzoor ﷺ ka Ikram Zaahir hai aur Waazeh hua ki Mehbub ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ki khatir Iqdas par Abu Talib ka azab hargiz itna giraan nahi ho sakta MaazALLAH jis qadar Waalidain Kareemain ka muamla. Na unse takhfeef me Huzoor ﷺ ki ankho ki wo thandak jo Hazraat Waalidain Karimain ke bare me, na unki riaayat me Huzoor ﷺ ka wo e’zaaz wa Ikraam jo Hazraat Walidain ke chhutkare me,  to agar farz kijiye ki ye Abu Talib ke Haq-e-parwarish wa khidmat hi ka muaawza hai to phir kaunsi parwarish juziyat ke barabar ho sakti hai..?

✍🖊 Kaunsi Khidmat Hamal wa Waza’ ka Muqabla kar sakti hai..? Kya kabhi kisi parwarish kunindah ya khidmat guzaar ka haq Haq-e Walidain ke barabar ho sakta hai..? Jise Rab-ul Izzat ne apne Haq-e-Azeem ke sath irshd farmaya: “Haq maan mera aur apne Walidain ka...”_

                    📖[ Quran 31:14 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
  🍄🌙POST-[ 9 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Phir Abu Talib ne jahan barson khidmat ki, chalet waqt tanj bhi wo diya jiska jawab nahi, har chand Huzoor ﷺ Aqdas Sallallaho alaihe wasallam ne Kalima padhne ko farmaya na padhna tha na padha. Jurm wo kiya jiski maghfirat nahi. Umr bhar mojizaat dekhna, Ahwaal par Ilm Taam rakhna aur zyadah Hujjatullah Qayem hone ka moajjib hua ba khilaf Abueen Karimain ken a unhe dawat digayi.. Na inkar kiya. To har waja, har lehaz, hae haisiyat se yaqinan unhi ka palla badha hua hai. To Abu Talib ka azab sabse halka hona yunhi mutasawwur ki Abueen Karimain AhleNaar hi se na hon..._

              ⚜[ Paanchvi Dalil ]⚜
✍🖊 ALLAH ﷻ ne farmaya:    barabar nahi dozakh wale aur Jannat wale, aur Jannat wale hi murad ko pahunche...```_

                  📖[ Quran 59:20 ]

✍🖊 Hadees me hai ki Huzoor Sallallaho alaihe wasallam ne Aulad-e-Amjaad-e-Hazrat Abdul Muttalib se ek paak Tayyaba Khatoon Radiallahu Ta'ala anhu ko aate dekha. Jab paas aayin farmaya:   “Apne ghar se kahan gayin thi...?”   Arz ki “ye jo ek Mayyat ho gayi thi mai unke yahan dua-e-rehmat aur ta’ziyat karne gayi thi,”  Farmaya:  “Shayad tu inke sath Qabristan tak gayi”  Arz ki:   “Khuda ki panah ki mai wahan jati halanki Huzoor ﷺ se sun chuki thi jo kuch is Baab me irshad kiya”  Syed Aalam ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya:  “agar tu inke sath wahan jati to jannat na dekhti jab tak Abdul Muttablib na dekh len”  Isko Abu Dawood aur Nasai ne riwayat kiya hai,.._

📚[ Nasai Kitabul Janaiz, Baabun Nayi jild 1 Pg.265 ]

📚[ Abu Dawood Kitabul Janaiz, baab ta’ziyah jild 2 Pg.89 ]

✍🖊 Aur Lafz Nasai ke hain.. Syeduna Abdullah bin Amru al-Aas Radiallahu  Anhuma se, Imam Abu Dawood ne az-raahe adab bataur Kuna ye isme tashdeed ka zikr kiya lekin Imam Abdul Rehman Nasai ne Khulkar ilm ko pahunchaya aur Hadees ka Haq ada kiya... Har ek  ke liye tawajjoh ki ek simt hai jiski taraf wo muh karta hai..```_

✍🖊 Ye to Hadees ka irshad hai ab zara Aqaid-e-Ahle Sunnat pesh-e-nazar rakhte hue Nigah-e-Insaaf darkaar, Aurton ka Qabristan jana ghayat darja agar hai to ma’siyat hai..._

                     📖[ Quran 63:8 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
🍄🌙POST-[ 10 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Aur Hargiz koi ma’siyat musalmna ko jannat se mehroom aur Kafir ke barabar nahi kar sakti..  Ahle Sunna tke nazdeek Muslaman ka Jannat me jana waajib-e sharai hai agarche MaazALLAH muaakhize ke baad Aur Kafir ka Jannat me jana muhaal-e-sharai hai ki abadul abaad tak kabhi mumkin hi nahi aur Nusoos ko Hattal Imkan zaahir par Mehmool karna wajib aur be zarurat ta’weel na-jaez aur ismat nau-e bashar me khaasa Ambiya laihimus salam hain...

✍🖊 Inke ghair se agarche kaisa hi azeemud darjaat ho. Wuqu-e-gunah mumkin wa mutasawiir  ye chaaron baatein aqaid AhleSunnat me sabit wa muqarrar, ab agar ba-hukm-e Muqaddama raabe maqabir tak balugh-e-farz kijiye. To ba-hukm-e-Muqaddama Saalisa Jazaakaar tibb wajib  aur is taqreer par ki Hazrat Abdul Muttalib ko MaazALLAH Ghair Muslim kahiye, Ba-Hukm-e-muqaddemeen Awwaleen wa neez ba hukm Aayat-e-kareema Muhaal wa baatil, to wajib hua ki Hazrat Abdul Muttalib wa AhlreJannat hon...

✍🖊 Agarche Misl-e-Siddiq wa Farooq w Usman wa Ali wa Zehra-o-Siddiqa waghairaham Saabiqeen Awwaleen me nahon. Ab Ma’ana Hadees bila takalluf  aur be haajat ta’weel wa Tasarruf-o-Aqaid AhleSunnat se mutabiq hain. Yani agar ye amr tumse waaqe hota to Sabiqeen Awwaleen ke sath Jannat me jana na milta balki is waqt jabki Abdul Muttalib Dakhil-e-behesht honge....,

                 ⚜[ Chhathi Daleel ]⚜

✍🖊 Hamare Parwardigaar, ALLAH ﷻ Azzuwajal ne farmaya:
Izzat to ALLAH ﷻ aur Rasool ﷺ aur musalmano hi ke liye hai magar munafiqon ko ilm nahi..._

                  📖[ Qura'an 63:8 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
  🍄🌙POST-[ 12 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 HUZOOR AQDAS ﷺ farma rahe hain ki tanha in hazaron ke majme par hamla farmayein. Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib wa Hazrat Abu Sufain bin Haris bin Abdul Muttalib Radiallahu Anhu Baghla Sharif ke lagam mazbut khinche hue hain ki badh na jayen aur Huzoor farma ﷺ rahe hain...

✍🖊 Mai saccha Nabi ﷺ hu, ALLAH ﷻ ka pyara, Abdul Muttalib ki ankh ka taara, Sallallaho alaihe wasallam...

📚[ Musannaf In Abi Shaiba, Kitabus Sair, Hadees No. 33573 jild 6 page. 535 ]

📚[ Kanzul Ummal ba Hawala Abi Naeem Hadees No. 30207 jild 10 page. 540 ]

✍🖊 Isko Abu Bakr bin Abi Shaiba aur Abu Naeem ne Bara bin Aazib se riwayat kiya hai...

✍🖊 Ameerul Mumineen Umar Radiallaho Anhu lagam roke hue hain aur Hazrat Abbas dumchi thaame aur Huzoor ﷺ farma rahe hain:   Usey badhne do, mai hu Nabi ﷺ sareeh Haq par, mai hu Abdul Muttalib ka pisar Sallallaho alaihe wasallam...

📚[ Tarikh Damishqul Kabeer tarjuma 2858 Shaibato bin Usman jild 25, Page. 173 ]

✍🖊 Isko Ibn Asakir ne Mus’ab bin SHaiba se riwayat kiya...

✍🖊 Jab Kafir nihayat Qarib aa gaye, Baghla Tayyaba se Nuzul-e-Ijlaal farmaya, us waqt bhi yehi farmate the.:  Mai hu Nabi ﷺ bar haq saccha, Mai hu Abdul Muttalib ka beta, Ilahi apni madad nazil farma...

📚[ Kanzul Ummal ba hawala Ibn jareer, Hadees No. 30206, jild 10, Page. 541 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
🍄🌙POST-[ 13 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Phir ek mushat khaak dast-e-paak me lekar kafiron ki taraf phenki aur farmaya:. Bigad gaye chehre...

📚[ Kanzul Ummal Hadees no. 30213 jild 10 Page. 541 ]

📚[ Jaameul Bayan, tehet-e-ayat nasarokumullah jild 10 Page.118 ]

✍🖊 Wo Khak un hazaron Kafiron par ek ek ki ankh me pahunchi aur sabke muh phir gaye, unme jo Musharraf ba-islam hue wo bayan farmate hain jis waqt Huzoor Aqdas ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ne wo kankariyan hamari taraf phenki hume ye nazar aaya ki asman se zamin tak taambe ki diwar qayem kar di gayi hai aur ispar se pahaad hamari taraf ludhkaye gaye hain, siva e bhagne ke kuch ban na aayi...

✍🖊 Mai bani Sulaim se un chand khatoono ka beta hu jinka naam Aatika tha..

📚[ Kanzul Ummal Hadees no. 31874 jild 11 Page. 402 ]

📚[ Moajjam al-Kabeer Hadees no. 6724 jild 7 Page. 169 ]

✍🖊 Isko Saeed bin Mansoor ne apni Sunan me aur Tibrani Moajjam Kabeer me Subar bin Aasim r.a se riwayat kiya...

✍🖊 Ek Hadees me hai baaz Ghazwaat me farmaya:   Mai Nabi ﷺ hu kuch jhut nahi, mai hu Abdul Muttalib ka beta, mai hu Un Beebiyon ka beta jinka naam Aatika tha...

📚[ Tarikh Damishqul Kabeer, Baa-Ma’arfato uma wajdaatehi jild 3 Pg.60 ]

🌹🕌🌷🕌🌹🌹🕌🌷🕌🌹
_*🌹Aaqa ﷺ Sallallahu Alaihe Wasallam ke Walidain Momin the🌹*_
🌹🕌🌷🕌🌹🌹🕌🌷🕌🌹
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
_*🍄🌙POST-[ 14 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄*_
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Allama Manawi Saib-e-Taiseer wa Imam Mujaddedeen Firozabadi Sahib-e-Qamoos wa Jehri Sahib-e-Sihaah wa San’aani Waghairham ne kaha Nabi ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ke Jaddaat me 9 Beebiyon ka naam Aatika tha...

📚[ Taiseer Sharah Jaameus Sagheer tehet-e-Hadees Ana Ibnul Awaatik jild 1 Pg.275 ]

📚[ Sihaah Baabul Kaaf Faslul Ain Tehet-e-Lafz-e-Aatika jild 4 Pg.1311 ]

✍🖊 Ibn Bari ne kaha:- Wo 12 Beebiyan Aatika thin, 3 Sulaimaat yani Qabeela Bani Sulaim se aur 2 Qureshiyaat se, 2 Adwaaniyaat, aur ek ek Kunaniya, Asadiya, Hazaliya, Qazaaiya, Azdiya...

📚[ Taj-ul-Uroos, Baabul Kaaf Faslul Ain jild 7 Pg.159 ]

✍🖊 Abu Abdullah Adoosi ne kaha wo Beebiyan 14 thin, 3 Qureshiyaat, 4 Sulaimiyaat, 2 Adwaaniyaat, aur ek-ek Hazaliya, Qehtaniya, Qazaaiya, Saqfiya, Asadiya, Bani Asad Khuzaima se...  Imam Suyuti ne Jaameul Kabeer me Naqal kiya, Aur zahir hai Qaleel Naafi Kaseer nahi...

✍🖊 Hadees me aata hai ki Huzoor ﷺ Aqdas Sallallaho alaihe wasallam  ne apne Maqam-e-Madah wa bayan-e-fazail-e Kareema me 21 pusht tak apna Nasab Naama irshad karke farmaya:-*   _Mai sabse nasab me afzal, Baap me afzal, Sallallaho alaihe wasallam.. Toh Ba—hukm-e-Nuzoos-e-Mazkoorah zarur hai ki Huzur ﷺ ke Aabaa wa Ummahaat Muslimeen wa Muslimaat hon..

               ⚜ [ Saatwi Daleel ] ⚜

✍🖊 ALLAH ﷻ ne farmaya:-  Aye Nooh.! _Ye Kun’aan tere Ahel se nahin, ye to naar asti ke kaam wala hai...

                     📖[ Quran 11: 46 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
🍄🌙POST-[ 15 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Ayat-e-Kareema ne Muslim wa Kafir ka nasab Qatay farmaya wa lehaza ek ka tarka dusre ko nahin pahuchta.. Aur Hadees me hai Rasool ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:

✍🖊 Hum Nasr bin Kunana ke bete hain..   Hum apne Baap se apna Nasab Juda nahi karte...

📚[ Kanzul Ummal Hadees no. 35513, Jild 12 Pag. 442 ]

📚[ Ibn Majah, ABwaabul Hudood, Baab-Man Nafi Rujla min Qabeela, Pag.19 ]

📚[ Musnad Ahmed, Hadeesul Ash’at bin Qais, jild 5 Pag. 211-212 ]

📚[ Moajjam al-Kabeer, Hadees no. 219 and 2191 jild 2 Pag. 286 ]

📚[ Musnad Abi Dawood Tayalsi, Hadees Ash’at bin Qais Hadees no.1049 juz Raabe Pag.141 ]

📚[ Tabqaat al-Kubra, al-Ibn Saad, Zikr man Antama jild 1 pag. 23 ]

📚[ Dalailun Nabuwwa lil Baihaqi, Baab-Zikr Sharaf Asal Rasoolullah Sallallaho alaihe wasallam jild 1 Pag. 173 ]

✍🖊 Isko Abu Dawood Tayasi, Ibn Saad, Imam Ahmed, Ibn Maja, Haris Maawradi, Samuya, Ibn Qaane, Tibrani Kabeer, Abu Naeem, aur Ziya Maqdasi ne Saheeh Mukhtarah me Ash’at bin Qais-ul-Qundi Radiallahu Anhu se riwayat kiya...

✍🖊 Kuffar Nasab Ba Hukm-e-Ahkamul Haakimeen Muqatay hai..  Phir Maaz ALLAH juda na karne ka kya muhal hota..?

            ⚜[ Aathvi aur Nawi Daleel: ]⚜

✍🖊 Mai kehta hu ALLAH ﷻ TABARAK WA TA’ALA ne farmaya.:  Beshak sab Kafir Kasabi Mushrik, Jahannam ki Aag me hain.. Hamesha isme rahenge, wo sare Jahan se badtareen hain.. Beshak wo jo Eiman laye aur ache Kaam kiye wo sare jahan se behtar hain...

                     📖[ Qura'an 98:6 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
🍄🌙POST-[ 16  ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Aur Hadees me hai Rasool ﷺ Sallallaho alaihe wasallam farmate hain:..
ALLAH ﷻ AZZUWAJAL ne Zaid Bin Amru ko bakhshish diya aur unpar rehem farmaya ki wo Deen-e-Ibrahim alaihis salato was salam par the...

📚[ Tabqaatul Kubra Ibn Sa’ad Tarjuma Saeed bin Zaid jild 3 Page. 381 ]

✍🖊 Isko Bazar aur Tabrani ne Sayyeduna Saeed bin Zaid bin Amru bin Nafeel Radiallahu Anhu se riwayat kiya....

✍🖊 Aur ek aur Hadees me hai Rasoolullah ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ne unki nisbat farmaya:..
Maine usey Jannat me Naaz ke sath aman kushaan dekha...

📚[ Fathul Bari ba Hawala Ibn saad wal Faak’hi Kitabul Manaqib Hadees Zaid bin Amru bin Nufeel jild 8 Page. 147 ]

✍🖊 Isko Ibn Sa’ad aur Faak’hi ne Hazrat Amir bin Rabiya Radiallaho Anhu se riwayat kiya...

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
🍄🌙POST-[ 17  ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Aur Baihaqi wa Ibn Asakir ki Hadees me Ba-tareeqa-e-Malik an-Zuhri an-Anas Radiallahu Anhu hai.: Rasoolullah ﷺ Sallallaho alaihe wasallam irshad farmate hain:  Mai hu Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Hashim bin Abdul Munaaf bin Quzi bin Qilaab bin Marrah bin Ka’ab bin Lui bin Ghalib bin Feher bin Malik bin Nazreen Kunana bin Khuzaima bin Madarka bin Iliyas bin Muzar bin Tazaar bin Ma’ad bin Adnaan..

✍🖊 Kabhi log 2 giroh na huye magar ALLAH ﷻ ne mujhe behtar giroha me kiya to mai apne Maa Baap se aisa paida hua ki zamana-e-Jaahiliyat ki koi baat mujh tak na pahunchi aur mai Khalis Nikah-e-Saheeh se paida hua, Aadam se lekar apne Waalidain tak. To mera Nafs-e-Kareem tum sabse afzal aur mere Baap tum sabke Aaba se behtar...

📚[ Dalailun Nabuwwa Baab-Zikr Asal Rasoolullah Sallallaho alaihe wasallam jild 1 Page. 174-179 ]

📚[ Tarikh Damishqul Kabeer Baab-Ma’arfate Nisbah jild 3 Page. 29 and 38 ]

✍🖊 Ye lafz “Mera nasab  tum sabse afzal aur mere Aaba tum sabse afzal hain”

📚[ Tarikh Damishqul Kabeer Baab-Ma’arfate Nasbah jild 3 Page. 30 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
🍄🌙POST-[ 18  ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Is Hadees me awwal to nafi aam farmayi ki Ahed-e-Jaahliyat ki kisi Baat ne Nasab-e-Aqdas me kabhi koi raah na paayi.. Ye khud dalil kafi hai aur amr-e-Jaahiliyat ko khusoos zina par hamal karna ek to takhisis bila mukhtasis dusre laghu ki nafi-e-zina saraahatan iske mutassil mazkoor...

✍🖊 Saaniyan Irshad hota hai ki tum sabke aaba se behtar, in sab me Hazrat Saeed bin Zaid bin Amru Radiallahu Anhu  bhi qat’an dakhil hain to laazim hua ki Hazrat Walid-e-Majid Hazrat Zaid se afzal hon..  Aur ye Ba-hukm-e-ayat be-islam na-mumkin...

✍🖊 Agar Maaz ALLAH ﷻ Aaqa ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ke walidain ko ab ghair ,momin maane to ye kaise mumkin hoga ki wo ek Eiman wale Hai.. Zaid se afzal hain..?  Kyunki koi kafir to Momin se afzal nahi ho sakta na...

                   ⚜[ Daswi Daleel ]⚜

*✍🖊 Mai kehta hu ALLAH ﷻ ne farmaya:*  Khuda khub janta hai jahan rakhe apni paighambari...

            📖[ Qura'an Kareem 6:124 ]

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
🍄🌙POST-[ 19  ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Ye Aayat gawah hai ki ALLAH ﷻ sabse zyada moazziz wa mohtaram mauze waze risalat ke liye intekhkab farmata hai. Wa lehaza kabhi kam qamon razeelon me risalat na rakhi.  Fir kufr-o-shirk se zyadah razeel kya shai hogi..? Wo kaise is qabil ki ALLAHo ﷻ Azzuwajal Noor-e-Risalat isme wadiyat rakhe. Kufar mohal-e-ghazab wa lanat hain aur Noor-e-Risalat ke waze ko Mohal-e-Raza wa rehmat darkaar...

✍🖊 Hazrat Ummul Mumineen Siddiqa Radillahu Anhu par ek bar khauf wa khashiyat ka ghalba tha. Girya-o-zaari farma rahin thi.  Hazrat Ibn Abbas Radillahu Anhu ne arz ki: Ya Ummul Mumineen kya aap ye ghuman rakhti hain  ki Rabbul Izzat ne jahannam ki ek chingari ko Muhammad Mustafa ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ka joda banaya...? Ummul Mumineen ne farmaya: Tumne mera gham door kiya. ALLAH ﷻ TA’ALA tumhare gham door kare.

✍🖊 Khud Hadees me hai Huzoor Sayyed Aalam ﷺ Sallallaho alaihe wasallam farmate hain: Beshak ALLAH ﷻ Azzuwajal ne mere liye na maana ki mai Nikah me lane ya Nikah me dene ka Muamla karu. Magar Ahle Jannat se...

📚[ Tarikh Damishqul Kabeer, Ramlah bint-e-Abi Sufiyan 73:110 ]

✍🖊 Isko Ibn Asakir ne Hind bin Abi Haala Radiallahu Taala Anhu se riwayat kiya...

📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
🍄🌙POST-[ 20 ]-OF- [ 20 ]🌙🍄
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼
📼 POST COMPLETE HUAA  📼
📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼📼

✍🖊 Jab ALLAH ﷻ ne apne Habib ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ke liye pasand na farmaya (ke Ghair muslim apke Nikah me aaye) Khud Habib ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ka Noor Paak MaazALLAH ﷻ Mahal-e-Kufr me rakhne ya Habib ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ka Jism-e-Paak Iyaaz-Billaah Khoon-e-Kufr se banane ko pasand farmana kaise muwaqe hoga....

✍🖊 ALLAH ﷻ ki Taareef hain, ye 10 Daleel Jaleel hain. Pehli 4 Irshad-e Aimma Kubaar aur 6 Akhir Faiz-e-Qadeer Musda Faqeer.. (ye 10 Kaamil hui aur pehli aur pichhli me sab tariff ALLAH ﷻ Ta’Ala ke liye hain)

✍🖊 ALLAH ﷻ se dua hai Apne Mehbub ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ke sadqe hamari is choti si koshish ko qubul farmaye...

                    ⚠ THE END POST ⚠

📮💌💌📮📬📬📮💌💌📮
🔂 TO BE CONTINUED
            POSTED BY

⤵ FROM
👑 GULAM-E-AALA-HAZRAT 👑

🌻  TALIB E DU'AA
💐  Jamaluddin Raza

⚜IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE. G.E.A.H. BLOGEER LINK PE CLICK KRE....

http://gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com/2016/08/aaqa-sallallahu-alaihe-wasallam-ke.html?m=0

🔶IS POST KO SURU SE PADHNE KE LIYE. G.E.A.H. FB PAGE LINK PE CLICK KRE....

https://m.facebook.com/Gulam.E.Aala.Hazrat1/photos/?tab=album&album_id=1861435880736156&mt_nav=1

VISIT  G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS

💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1

💻 https://plus.google.com/116611277293695153777

💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
🎍🏮🎍🏺🏺🎍🏮🎍🏺🏺🎍🏮🎍🏺🏺🎍🏮🎍

Friday, August 12, 2016

HAZRAT E ALI KE AQWAL

    💲💲💲💲💲💲💲💲💲💲💲💲💲💲
         💲HAZRAT E ALI KE AQWAL 💲
    💲💲💲💲💲💲💲💲💲💲💲💲💲💲

ILMO HIQMAT KA KHAZANA aur

Hazrat Ali ke Aqwal

Ise jab fursat mile dilo dimag me mahefooz kar-lena kai jagah kam ayega

1. Agar tum kisi ko dokha dene mein kamyaab ho jate ho to ye mat socho ki wo kitna bewaqoof hai, balki ye socho ki usko tum par aitbaar kitna tha.

2. Gusse ki haalat me koi faisla mat karo aur agar khush ho to koi vaada mat karo.

3.Hamesha apni choti choti ghaltiyon se bachne ki koshish karo, kyunki insaan pahadon se nahi balki chote chote pattharon se thokar khata hai.

4. Tumhari niyyat ki aazmaish us waqt hoti hai? Jab tum kisi aise insaan ki madad karo jis se tumhe koi cheez ki umeed na ho.

5. Zindagi ko is tarah jiyo jaise hamesha zinda rehna hai. Aur aakhirat ki fikr aise karo jaise agle hi pal marr jana hai.

6. Agar kisi ka zarf aazmana ho to use zyada izzat do, Wo aala zarf hua to aap ko aur zyada izzat dega. Aur agar kam zarf hua to khud ko aala samjhega.

7. Kabhi apne dost ki sacchai ka imtehan na lo, kya pata us waqt wo majboor ho aur tum ek accha dost kho baitho?

8. Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhne lage
to dil anjaam se andha ho jata hai.

9. Kisi ko tum chaho aur woh tumhe thukra de? To yeh uski badnaseebi hai. Aur agar koi tumhe na chahe aur tum use zabardasti apna banana chaho? To yeh tumhare nafs ki zillat hai.

10. Main jannat ke shauq me ibadat nahi karta kyunki yeh ibadat nahi tijarat hai.Main dozakh ke khauf se bhi ibadat nahi karta kyunki yeh ibadat nahi ghulami hai.Main ibadat sirf isliye karta hoon kyunki mera RAB ibadat ke qabil hai aur koi nahi.

11. Agar dost banana tumhari kamzori hai? To tum duniya ke sabse taqtwar insaan ho.

12. Zindagi me kabhi haalat ke saath samjhauta karna pade to ghabrana mat "Dost", Jhukta wohi hai jisme jaan hoti hai, akadna to murde ki pehchan hoti hai.

13. Insan ke bimaar hone ki ek badi wajah doston ki judai hai.

14. Apno ko hamesha apne hone ka ehsaan dilate raho warna waqt aapke apno ko aap ke bina jeena sikha dega.

15. A wise man first thinks and then speaks and a fool speaks first and then thinks.

16. Jab main dastarkhan par do rang ke khane dekhta hoon to main mayus ho jata hoon ki aaj phir kisi ka haq mara gaya.

17. Kisi se mohabbat karne se pehle apne dil me qabristan banalo, ta ki uski choti choti ghaltiyon ko dafna sako.

18. Duniya me char dafa waqt ruk gaya tha:
1-Jab Nabi-e-Kareem meraj par gaye the.
2-Jab Hazrat Bilal ne azan nahi di thi.
3-Jab Bibi fatima-tu-Zehra ke sir se dupatta sirq gaya tha aur do baal nazar aa rahe the.
4-Jab Hazrat Ali ki namaz qaza ho rahi thi.

19. Jisne kisi ko akele me nasihat ki? Usne use sanwaar diya. Aur jisne kisi ko sab ke saamne nasihat ki? Usne Uske mazeed bigaad diya.

20. Mujhe dua qabool hone ki fikr nahi? Mujhe sirf dua maangne ki Fikr hai. Jab mujhe dua maangne ki taufeeq hogayi hai to qabooliyat bhi uske sath hasil hojayegi.

21. Teen rishte be-naqaab hojate hai.
(Budhape mein aulaad,
musibat mein dost
aur ghurbat me biwi)

22. Lambi dosti ke liye do cheezon par amal karo. (Apne dost se gusse me baat mat karo aur apne dost ki gusse me kahi hui baat dil pe mat lo)

23. Duniya mein behtreen insaan wo hai jiske liye koi roye aur badtareen insaan wo hai jiski wajah se koi roye.

24. Koi tumse bhalai ki umeed rakhe to use mayus mat karo, kyunki logon ki zaruraton ka tumse waabasta hona tum par ALLAH ki inayat hai.

25. Kisi ka dil mat dukhao, ho sakta hai wo tumhe aise chahta ho jaise marne wala zindagi?

26. Jiska raabta khuda ke saath ho wo naakam nahi hota. Naakam wo hota hai jiski umeedein duniya se waabasta ho.

27. Insaan bhi kya cheez hai, daulat kamane ke liye apni sehat kho deta hai.Phir sehat ko wapis pane ke liye apni daulat khota hai.Mustaqbil ko soch kar apna haal zaya karta hai, phir mustaqbil me apna maazi yaad karke rota hai.Jeeta aise hai jaise kabhi marega hi nahi, aur marr aise jata hai jaise kabhi jiya hi nahi.

28. Apne din ka aaghaz sadqa dene se shuru karo. Us din tumhari koi dua radh nahi ki jayegi aur acchi baat batana bhi sadqa hai.

29. Namaz pad hne ke dauran tumhari kaifiyat in do me se ek honi chahiye. (Tum ALLAH ko Dekh rahe ho ya phir ALLAH tumhe dekh raha hai)

30. Yeh na socho ki ALLAH dua fauran qabool kyun nahi karta? Yeh shukr karo ki ALLAH humare gunahon ki saza fauran nahi deta.

31. Insaan ko acchi niyyat pe wo inaam milta hai, jo use acche aamal par bhi nahi milta.

32. Pareshani khamosh hone se kam, sabr karne se khatam aur shukr karne se khushi me badal jati hai.

33. Agar log Namaz-e-Fajr ka sawab aur fazeelat ko jaan le to raat ko is khauf se sona chhod denge ki kahi neend ki wajah se namaz na choot jaye.

34. Namaz ki fikr apne upar farz karlo, khuda ki qasam duniya ki fikr se azad hojaoge aur kamyabi tumhare qadam choomegi.

35. Daulat milne par log badalte nahi, balki Be-naqaab hote hai.

36. Kabhi bhi apni jismaani taaqat aur daulat par bharosa na karna kyunki bimaari aur ghurbat aane me der nahi lagti.

37. Insaan gunah karne ki wajah se jahannum me nahi jata? Balki gunah par mutmaeen rehne aur tauba na karne ki wajah se jahannum me jata hai.

38. Duniya usko yateem samajhti hai jiske maa baap na ho, lekin main yateem usko samajhta hoon jiske acche dost na ho.

39. Nafrat gunah se karo, gunah karne wale se nahi. Shayad! tumhari mohabbat me aa kar wo gunah karna hi chhod de?

40. Insaan ka fuzool shauq me waqt kho dena is baat ki daleel hai ki ALLAH us se naraz hai.

41. Momin woh nahi jiski mehfil paak hai, momin woh hai jiski tanhai paak hai.

42. Agar kisi ko yeh ghuroor ho ki wo tumse jitni martaba naraz ho to tum use mana loge? To behtar hai tum uska ghuroor tootne na do.

43. Jo tumhe khushi me yaad aaye? Samajhlo tum us se mohabbat karte ho. Aur jo tumho gham me yaad aaye? Samajhlo wo tumse mohabbat karta hai.

44. Gunaah jawaan ka bad hai magar budhe ka badtar.

45. Mushkilat hamesha behtareen logon ke hisse me aate hai. Kyunki wo usko behatreen tareeqe se anjaam dene ki salahiyat rakhte hai.

46. Hargiz aise shakhs ki dosti ikhtiyar na karo jo tumhari buraiyon ko yaad rakhe aur khoobiyon ko bhool jaye.

47. Jo shakhs hamesha tumhara bhala chahe, uska udas hona tumhare liye fikr ki baat hai.

48. Agar rizq Aqal-o-Danish se milta to jaanwar aur bewakoof zinda hi na rehte.

49. Musibat me ho to kabhi yeh na socho ki kaunsa dost kaam aayega? Balki yeh socho ki ab kaunsa dost chhod ke jayega?

50. Insaan ke aansu us waqt muqaddas hote hai, jab wo kisi aur ki takleef mehsus kar ke nikle.

51. Azaadi ki hifazat na karne wala ghulami me giraftar ho jata hai.

52. Huzur nabiyye karim (sallallahualayhiwssallam)se 10 moharram ke roze ke baare me sawal kiya gaya?To aap ne farmaya: "Yeh guzishta saal ke gunahon ka kaffara ban jata ha aur agar main ainda saal tak zinda raha to 9 moharram ka bhi roza zaroor rakhunga".

53. Jab insaan naarazgi khatam karne me pehl karta hai? To iska yeh matlab nahi ki wo ghalat tha, iska matlab hai ki use aan se zyada rishta aziz hai.

54. Aye insan agar tujhe yeh maloom ho jaye ki sajde ke dauran tujh par kitni rehmatein nazil hoti hai? To tu kabhi sajde se sar uthayega hi nahi.

55. Yeh duniya kitni ajeeb hai imaandar ko bewaqoof, be-imaan ko aqalmand, aur behaya ko khoobsurat kehti hai.

56. Agar tumhe ek doosre ki niyyaton ka pata chal jaye, to tum ek doosre ko dafnana hi chhod doge.

57. Mujhe wo dost pasand hai jo mehfil me meri ghalatiyan chupaye or tanhai me meri ghalatiyon par tanqeed kare.

58. Dost ki koi baat buri lage to khamosh hojao. Agar wo dost hai to use us baat ka ranj hoga. Aur agar na hua to tum samjh lena ki wo tumhara dost nahi.

59. Khaas aur aam dost me itna hi farq hota hai: Aam dost sirf tareef karta hai. Lekin khaas dost tareef ke saath-saath tanqeed bhi karta hai.

60. Jhoothe ki sabse badi saza yeh hai ki uske sach ka bhi Aitbaar koi nahi karte.

61. Kisi ko paane ki Tamanna mat karo, Balki is qabil hojao log aapko paane ki tamanna kare.

62. Tanhai me gunaah se bacho, kyunki iska gawah khud Allah'taala hota hai.

IMAM AHMAD RAZA KHAN AUR RADD-E-BID'AT

          🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟
              IMAM AHMAD RAZA KHAN
                    AUR RADD-E-BID'AT
         🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟🌟

»»»►► Kuchh sunni sahi ilme deen na hone ki wajah se sahi aqeede par hone ke bawajood sahi amal nahi karte aur khilafe shariat amal karte hain, Jis se bad-mazhabo ko ye kehne ka mauqa milta hai ke Sunni gunah karte hain. Hame un ko sahi baat narmi ke saath samajhani hai.

»»»►►► Lekin un nadaan sunnio ki wajah se koi Imame Ahle sunnat aur Maslake Aala Hazrat ko galat nahi keh sakta.

Imame Ahlesunnat Aur Radde Bid'aat ♥

══► Ab kuchh aisi baate gaur se padhkar samajh len Jis me Imame Ahlesunnat Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi ne apni kitaabo me buri bid’ato ko radd kiya hai aur un se bachne ka hukm diya hai.

»»»► (1) Sajda ALLAH ke siwa kisi ke liye nahi. Gairullah ko Sajda e Ibadat Shirk Aur Sajda e Ta’azimi Haraam hai.

(Azzubdatuz Zakiyya, Safa -5)

»»»► (2) Roza e Anwar ka na Tawaf karo, na Sajda, na itna jhuko ke Rooku ke barabar Ho. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ta’azeem unki Ita'at me hai.

(Fatawa Razawiya, 10 /769)

»»»► (3) Mazar ka Tawaf ba-niyyat Ta’azeem najaiz hai. Tawaf sirf ka’abe ke liye makhsus hai.

(Fatawa Razawiya, 4/08)

»»»► (4) Khabardar (Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke Roza ki) jaali ko bosa dene ya haath lagane se bacho ke ye Khilafe adab hai, Balke 4 haath ke faasle se zyada qareeb na jaao. Ye un ki rehmat kya kam hai ke apne huzur bulwaya.

(Fatawa Razawiya, 10 /765)

»»»► (5) Farzi mazaar banana aur us ke saath asl ka sa muamla karna najaiz Aur Bid'at hai.

(Fatawa Razawiya, 9/425)

»»»► (6) Jis waqt •Aurat• (Mazar par jaane ke liye) ghar se irada karti hai la'anat shuru ho jaati hai aur jab tak wapis aati hai, mala’ika la'anat karte rehte hain. Siwaye Roza e Rasool ke kisi mazaar par jaane ki ijazat nahi, Ke wo Zarya e Magfirat hai.

(Malfuzat, Safa -240)

»»»► (7) Mazaamir ya’ni Aalat e lahw o la'ab (Musical instruments) bila shuba haraam hain. Jin ki hurmat Auliya aur Ulema ke kalimaat me wazeh hai. Unke sunne sunane ke Gunah hone me shak nahi. Aur Saadaat e Chisht ki taraf unki nisbat iftera hai.

(Fatawa Razawiya, 10/54)

»»»► (8) Randiyo ka Naach be-shak Haraam hai. Be-qaid jaahilo ne ye ma’asiyat phelayi hai.

(Fatawa Razawiya, 29/92)

»»»► (9) Aatish baazi israaf hai aur Israaf haraam hai, Khane ka aise lutana be-adabi Aur Be-adabi mehroomi hai, Maal ka israf hai. Roshni agar masaliha e shariya Se khali ho to wo bhi israaf hai.

(Fatawa Razawiya, 24/112)

»»»► (10) Qabro ki taraf Shama le jaana ye Bid'at aur Maal ko zaaya karna hai.

(Al Bareequl Manaar, Safa -9)

»»»► (13) Mazar par jab chadar majood ho, Kharab na hui ho, Badalne ki haajat nahi to chaadar chadhana Fuzulkharchi hai, Balke jo rakam is me sarf karen, wo ALLAH ke wali ko isaale sawab karne ke liye kisi mohtaj ko den.

(Ahkaam e Shariyat, Jild -1/42)

»»»► (14) Kisi ne agar ► ' Taaziye ' par Mannat maani to ye Nazar baatil aur najaiz hai.

(Fatawa Razawiya, 24/501)

»»»► (15) (Mazaar par Dua ka tareeqa) : Fatiha ke baad Sahibe mazaar ke Waseele se Allah se Dua karen Aur apni jaaiz murad pesh karen. Phir Salam karte hue wapis aayen. Mazaar ko na haath lagaen, Na Bosa den. Tawaf bil ittefaq Na-jaaiz hai Aur Sajda Haraam hai.

(Fatawa Razawiya, 9/522)

♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾
      🔂 TO BE CONTINUED
               POSTED BY

⤵ FROM
👑"GULAM-E-AALA-HAZRAT"👑

🌹  TALIB E DU'AA
🌷  Jamaluddin Raza

🎈VISIT G.E.A.H PAGES LIKE & COMMENTS
💻 fb.me/Gulam.E.Aala.Hazrat1
💻 https://plus.google.com/116611277293695153777
💻www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾♾

AHAM MASAIL

SUWAL::

 Agar janaze k wali ne khud namaze janaza padha di to kiya uske baad koi namaze janaza padha sakta hai?? Qur’an o Hadees ki roshni me jawab inaayat farmaen..

JAWAB

Agar JANAZE k WALI NE NAMAZE JANAZA PADHA DI TO AB KISI DOOSRE KO PADHNA YA PADHNA JAEZ NAHI.. Isliye k MAYYAT KA HAQ USKE WALI SE ADA HOCHUKA HAI.. OR Pehli NAMAZ SE FARZ BHI SAAQIT HO GAYA.. AB HAM YAHAN KASEER KUTUBE FIQAH se HAWALE PESH KARENGE K JISME YE MASLA WAAZEH TAUR PAR LIKHA HAI… k agar namaze janaza wali ne padha di to ab doosre ko namaz padhana jaez nahi.. Is mas’le par Aimma e Hanafiyyah ka IJMAA’ HAI or JO ISKE KHILAAF KARE WHO MAZ’HABE HANAFI KA MUKHALIF HAI.. ••••••••••••••••••••••••••••••••••

1)

Fatawa Alamgiri me hai k: “AGAR WALI NAMAZ PADHE TO, USKE BAAD KISI KO NAMAAZ PADHNA JAEZ NAHI..” (vol..1..page.164) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

2)

Fatawa Qaazi Khaan me hai k: “AGAR BAADSHAAHE ISLAM ya AMIRUL MUMINEEN ya QAAZI E SHARA’ ya ISLAMI HAAKIME MISR ya IMAAMUL HAY NAMAZ PADH CHUKA, To Ab WALI KO BHI I’AADAH KA IKHTIYAAR NAHI..” (vol.1.page.194) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

3)

Durre Mukhtar me hai k: “AGAR WALI NE NAMAZE JANAZA PARDH LI HAQQ K SAATH TO USKE BAAD KOI NAMAZE JANAZA NAHI PARDH SAKTA..” (vol.3.page.1170) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

4)

Fat’hul Qadeer me hai k: “OR AGAR WALI NE NAMAZE JANAZA PARDH LI TO USKE BAAD KISI K LIYE NAMAZE JANAZA PARDHNA JAEZ NAHI..” (vol.2.page.1240) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

5)

Bada’eus sanaae’ me hai k: “OR NAHI NAMAAZ PARDHE MAYYAT PAT MAGAR 1 MARTABA NA K TANHA NA JAMAA’AT, MAGAR YE K JO US PAR AJNABI NAMAZ PADHE,BAGHAIR WALI K HUKM SE..PHIR HAAZIR HOJAE WALI TO USKE LIYE IJAAZAT HAI K USKA I’AADAH KARE..” (vol.1.page.461) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

6)

Behrur Raaeq me hai k: “PAS AGAR US PAR WALI OR BAADSHAAD K ELAAWAAH NAMAZ PADHE TO WALI I’AADAH KAR SAKTA HAI OR WALI K BAAD USKE ELAWA KOI NAMAAZ NAHI PADH SAKTA.” (vol.2.page.317) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

7)

Hidaayaah me hai k: “AGAR WALI NE NAMAZE JANAAZA PADH LI TO KISI K LIYE JAEZ NAHI K USKE BAAD PADHE..” (VOL.1.PAGE.180) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

Fatawa Razawiyyah me hai k: “AGAR WALI NE NAMAZE JANAZA PADH LI TO USKE BAAD DOOSRE KO PADHNA ‘JAEZ NAHI’.. ISLIYE K MAYYAT KA HAQQ PEHLE FAREEQ SE ADA HO CHUKA, OR PEHLI NAMAAZ SE FARZ SAAQIT HOGAYA.. AB AGAR KOI DOOSRA FAREEQ ADA KARE TO YEH NAFIL HOGI.. OR YAHAN NAFIL ‘MASHROO’’ NAHI.. JAISE WO JISKI 1 BAAR NAMAZ PADHI JACHUKI HO..alakh.. ••••••••••••••••••••••••••••••••••

9)

Imam Muhammad Muhammad Muhammad bin Halbi ibne Amirul Haaj huliya me farmate hain k: “HAMARE ULAMA NE FARMAYA JAB MAYYAT PAR SAAHIBE HAQ NAMAZ PADH CHUKE PHIR OR KOI US PAR NAMAAZ MASHROO’ NAHI.. ” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

10)

Allamah Ibrahim Halbi Guniyah sharah Munya me tehreer farmate hain k: “US PAR NAMAZ NA PADHI JAEZ K 1 MAYYAT PAR 2 BAAR NAMAAZ NA HO, K YE NAA MASHROO’ HAI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

11)

MAJ’MAUL An’har me hai k: “FARZ TO PEHLI NAMAAZ SE ADA HOGAYA OR YE NAMAAZ NAFLI TAUR PAR MASHROO’ NAHI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

12)

Durre Mukhtar w Fat’hullaahul Mubeen me hai k: “JO PEHLE PADH CHUKA WHO WALI K SAATH BHI I’AADAH KA IKHTIYAAR NAHI RAKHTA, K USI TAKRAAR GHAIRE MASHROO’ HAI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

13)

Mraaqiyul Falaah me hai k: “JO OR K SAATH PADH CHUKA, SAAHIBE HAQQ K SAATH NA PADHE, K IS NAMAAZ ME NAFIL MASHROO’ NAHI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

14)Fatawa Zahiriyah ••••••••••••••••••••••••••••••••••

15)shar’he niqaayah barjandi ••••••••••••••••••••••••••••••••••

16)khulaasah ••••••••••••••••••••••••••••••••••

17)tajnees ••••••••••••••••••••••••••••••••••

18)Behrur Raaeq Wagheraha kutube fiqhiyyah me hai k: “YAANI AGAR BAADSHAAHE ISLAM ya AMIRUL MUMINEEN ya QAAZIE SHARA’ ya ISLAMI HAAKIME MISR ya IMAAMUL HAY NAMAZ PADH CHUKA TO AB WALI KO BHI I’AADAH KA IKHTIYAAR NAHI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

19)

Shar’he nqaayah ALLAMAH QAHESTAANI me hai k: “KISI MURDE PAR 1 BAAR SE ZYADA NAMAZ NA PADHI JAE..” •••••••••••••••••••••••••••• Cont...2

20)siraaj ••••••••••••••••••••••••••••••••••

21)behrur raaeq ••••••••••••••••••••••••••••••••••

22)Raddul Muhtaar ••••••••••••••••••••••••••••••••••

23)Jaami’ur Rumooz ••••••••••••••••••••••••••••••••••

24)Johara e Nayyarah ••••••••••••••••••••••••••••••••••

25)hindiyah ••••••••••••••••••••••••••••••••••

26)Maj’maul An’har Waghairah me hai k: “AGAR WALI NE US PAR NAMAAZ PADH LI TO USKE BAAD AB KISI KO JAEZ NAHI K NAMAZE JANAZA PADHE..” INDAT TEHQEEQ IN SAB IBAARAAT KA bhi wohi haasil k “namaze janaza do bara padhni sirf makrooh hi nahi balki MEHEZ NA JAAEZ HAI..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

In kitabon ki ibarate’n jo upar mazkoor hain, Or Khud kasrate nuqool ki kiya haajat k mas’ala waazeh or zaahir or tamaam kutube mazhab mutawwano sharah w fatawa me daaer o saaer soorate mustafsirah me k khud wali padh chuka tha, DO BAARA I’AADA E NAMAAZ HAMARE SAB A’IMMA E KIRAAM radhiyAllaahuta’ala alaihim aj’ma’een K ITTEFAAQ SE “NA JAAEZ O GUNAAH WAAQE’ HUA.. AISI NAAWA QIFI MAANA’E GUNAAH NAHI, K MASA’EL SE NAWAAQIF REHNA “khud gunaah hai”.. ••••••••••••••••••••••••••••••••••

Isliye Hadees Shareef me aaya hai k: Rasoolullaah sallallaahualaihiwasallam ne irshad farmaya: AALIM KA GUNAAH EK GUNAH, OR JAAHIL KA GUNAAH 2 GUNAAH, KISI NE ARZ KI YA RASOOLALLAAH KIS LIYE? FARMAYA! AALIM PAR WABAAL USI KA HAI K GUNAAH KYUN KIYA? OR JAAHIL PAR 1 AZAAB GUNAAH KA OR DOOSRA ‘NAA SEEKHNE KA’… ise dailmi ne musnadul firdaus me HAZRATE IBNE ABBAS radhiyAllaahuanhuma se riwaayat kiya..” ••••••••••••••••••••••••••••••••••

Aalim jisne TAAKEED O ISRAAR KARKE UN LOGON SE NAMAZE JANAZA KI TAKRAAR KARAEE, AGAR MUDDA’IYYE HANAFIYYAT HAI TO KHUD APNE HI MAZ’HAB K HUKM SE GUNAHGAAR HAI.. OR FIRQA E GHAIR MUQALLIDEEN SE HAI TO GUNAHGAARI DARKINAAR BAD MAZ’HAB O GUMRAAH HAI.. OR IN DONO SOORATO’N ME IS AALIM PAR UTNE GUNAAH LAAZIM HUE JIS QADAR SHUMAAR HISAARE JAMAA’TE SAANIYA KA THA, OR US PAR EK ZAAED,MASLAN DOOSRI DAFA’ USKE ISRAAR SE 100 AADMIYON NE NAMAZ PADHI TO UNME HAR 1 PAR 2,2 GUNAAH, 1GUNAAHE FE’L DOOSRA GUNAAHE JEHEL.. OR US AALIM PAR 101 GUNAAH, 1 APNA OR 100 UNKE FE’L K, AAKHIR YEHI DAA’EYE BAGUNAAH HUA.. ••••••••••••••••••••••••••••••••••

Rasoolullaah sallallaahu ta’ala alaihiwasallam Farmate hain k: “JO KISI DHALAALAT KI TARAF BULAAE, SAB MAANNE WAALO’N K BARABAR GUNAAH US PAR HUA, OR UNKE GUNAAHON ME KUCH KAMI NAHI AAEE... Ise imam ahmad, muslim, tirmizi, nasaee, abu dawood, ibne maajaa ne HAZRATE ABU HURAIRAH radhiyAllaahuanhu SE RIWAAYAT KIYA..” (vol..9) ••••••••••••••••••••••••••••••••••

27)

Bahaar me hai k: “WALI NE NAMAAZ PADHA DI TO, DOOSRE AWLIYA I’AADAH NAHI KAR SAKTE..” (vol.4.page.156) •••••••••••••••••••••••••••••••••• ALLAAH TA’ALA HAME MAZHABE IMAME AZAM W MASLKE A’LA HADRAT PAR SAKHTI K SAATH ISTEQAAMAT ATA FARMAE.. AAMEEN..