Pages

Tuesday, October 18, 2016

Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab

     🍭💥🔷💰💵💴💸💶💷💰🔷💥🍭🛡
           Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
     🍭💥🔷💰💵💴💸💶💷💰🛡🔷💥🍭

Part : ①
•••••••••

Qarz Dene Ki Fazilat
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Hazrate Abdullah Bin Masood (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Se Riwayat Hai Ki Tajdare Madina ﷺ  (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya, " Har Qarz Sadqa Hai!"

📖At-Targeeb Wat-Tarheeb

Sabaq :
•-•-•-•-•

Kitni Achchi Baat Hai Ki Khush Haal Aadmi Kisi Gareeb Ko Qarz De Aur Ye Sawab Ka Kaam Hai! ALLAH  ﷻ Se Iska Ajr Payega! Ye Iss Liye Ki Us Gareeb Ki Mushkil Aasan Kar Di! ALLAH ﷻ Qarz Dene Waale Ki Mushkil Ko Qayamat Ke Din Aasan Karega!

Huzoor Tajdare Madina ﷺ  (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ka Farame Aalishaan Hai, Maine Jannat Ke Darwaze Par Likha Huwa Dekha Ki Sadqe Ka Har Dirham Dus Dirham Ke Barabar Hai Aur Qarz Ka Har Dirham Athara (18) Dirham Ke Barabar Hai! Iss Ka Matlab Ye Hai Ki Qarz Sirf Hajatmand Hi Leta Hai Aur Sadqe Mein Ye Waham Maujud Hai Ki Shayad Mohtaj Ke Bajaye Gair Mohtaj Ko Pauch Jaye!

📖Keemiya-A-Saadat

Hazrat Abdullah Bin Masood (Radi'ALLAHU Ta'ala Anhu) Se Riwayat Hai Ki Huzoor Sayyed e Do Aalam ﷺ (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Irshaad Farmaya, "Jo Musalman Kisi Musalman Ko Ek Bar Qarz Dega! To Usko Itna Sawab Milega! Goya Usne Do Martaba Itni Raqam ALLAH   ﷻ Ki Raah Mein Di!

📖Ibne Maja

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

💰💵💴💸💶💷💰🛡
Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
💰💵💴💸💶💷💰🛡

Part : ②
•••••••••

Qarzdar Ka Tohfa Na Lo
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Hazrate Anas (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'ALLAH ﷺ Ne Irshad Farmaya, "Jab Ek Shakhs Doosre Ko Qarz De To Uska Hadiya Qabool Na Kare !

📖Bukhari

Hazrate Anas (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Se Riwayat Hai Ki Tajdare Madina ﷺ Ne Farmaya, " Jab Koi Qarz De Aur Iske Paas Wo Hadiya Kare To Qabool Na Kare Aur Apni Sawari Par Sawar Kare To Sawar Na Ho! Haan, Agar Pehle Se In Dono Mein (Hadiya Wagera) Jari Tha To Ab Harj Nahi!"

📖Ibne Maja
 
Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

💰💵💴💸💶💷💰🛡
Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
💰💵💴💸💶💷💰🛡

Part : ③
•••••••••

Imaam E Aazam (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ka Taqwa
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Hazrate Imaam E Aazam (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ek Janaza Padhne Tashreef Le Gaye Dhoop Ki Badi Shiddat Thi Aur Waha Koi Saaya Na Tha! Saath Hi Ek Shakhs Ka Makan Tha! Uss Makan Ki Deewar Ka Saaya Dekhkar Logon Ne Hazrat Imaam E Aazam (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Se Arz Kiya Huzoor! Aap Iss Saaye Mein Khade Ho Jaye! Hazrat Imaam E Aazam (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ne Farmaya, Ki Iss Makan Ka Jo Malik Hai Woh Mera Maqrooz Hai Aur Agar Maine Iski Deewar Se Kuch Nafa Hasil Kiya To Main Darta Hoon Ki Indallah ﷻ (ALLAH ﷻ Ke Nazdik) Kahi Sood Lene Walon Mein Shumar Na Ho Jao! Kyunki Sarware Aalam ﷺ Ne Farmaya Hai Ki Jis Qarz Se Nafa Liya Jaye Wo Sood Hai! Chunanche Aap Dhoop Mein Hi Khade Rahe!

📖Tazkiratul Awliya

ALLAHU'AKBAR! Hamare Imaam E Aazam (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ka Ye Taqwa Tha! Buzurgane Deen Ke Dil Mein ALLAH ﷻ Ka Khauf Koot Kootkar Bhara Hota Hai! Isii Liye Ye Hazrate Muqaddasa (Rahimahu'mullah) Qadam Qadam Par ALLAH ﷻ Se Darte Hai!

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

💰💵💴💸💶💷💰🛡
Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
💰💵💴💸💶💷💰🛡

Part : ④
•••••••••

Maqrooz Se Hadiya Qabool Karne Ki Tafsil
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Jis Par Qarz Dene Wale Ko Kuch Hadiya Kiyaa To Lene Mein Harj Nahi Jabki Hadiya Dena Qarz Ki Wajah Se Na ho Balki Iss Wajah Se ho Ki Dono Mein Qarabat Yaa Dosti Hai! Ya Uski Aadat Hi Me Joodo Sakhawat Hai Ki Logon Ko Hadiya Kiya Karta Hai Aur Agar Qarz Ki Wajah Se Hadiya Deta Hai To Iske Lene Se Bachna Chahiye Aur Agar Ye Pata Na Chale Ki Qarz Ki Wajah Se Hai Ya Nahi Jab Bhi Parhez Karna Chahiye! Haa Jab Tak Yeh Baat Zaahir Na Ho Jaye Ki Qarz Ki Wajah Se Hai Uss Waqt Tak Qabool Karne Mein Koi Harj Nahi Aur Agar Qarz Ki Wajah Se Hai Yaa Pata Na Chale To Bachna Chahiye! Isko Yoon Samajhna Chahiye Ki Qarz Nahi Diya Tha! Jab Bhi Dawat Karta Tha To Maloom Hua Ki Ye Dawat Qarz Ki Wajah Se Nahi Aur Agar Pehle Nahi Karta Tha Aur Ab Karta Hai Yaa Pehle Mahine Mein Ek Bar Karta Tha Aur Ab Do Bar Karne Lagaa! Ya Ab Saamne Ziyaafat Zyada Karta Hai To Maloom Hua Ki Ye Qarz Ki Wajah Se Hai Issey Ijitnab Karna Chahiye!

📖Aalamgiri

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

💰💵💴💸💶💷💰🛡
Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
💰💵💴💸💶💷💰🛡

Part : ⑤
•••••••••

Qarz Ada Kar Ke Shukriya Bhi Ada Karo
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Hazrate Abdullah Bin Rabee (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Farmate Hai, Mujh Se Huzoor Aqdas ﷺ Ne Qarz Liya Tha! Jab Huzoor ﷺ Ke Paas Maal Aaya, Ada Farmaya Aur Duaa Di Ki ALLAH TA'ALA ﷻ Tere Aaalo Ayaal Mein Barkat De Aur Farmaya, "Qarz Ka Badla Shukriya Hai Aur Ada Kar Dena!"

📖Nasai 

Issi Tarah Jab Bhi Koi Ehsaan Kare To Uska Shukriya Ada Karna Chahiye! Sarkare Madina ﷺ Choti Choti Baaton Par Logon Ka Shukriya Ada Farmate The! Baaz Riwayato Mein Ye Bhi Hai Ki Jab Aap ﷺ Par Koi Ehsaan Karta, (Balki Ye Sarkar ﷺ Ka Ehsaan Hai Agar Kisi Ko Khidmat Ka Mauka Inayat Farmayen) To Aap Usey Iss Tarah Duaa Dete "Jazak'ALLAHU Khayra" (ALLAH ﷻ Tujhe Behtareen Jaza De)

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

💰💵💴💸💶💷💰🛡
Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
💰💵💴💸💶💷💰🛡

Part : ⑥
•••••••••

Qayamat Ke Gham Se Bachne Ke Liye
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Huzoor Tajdare Madina ﷺ (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ka Farmane Aalishaan Hai,

"Jis Shakhs Ko Ye Baat Pasand Ho Ki ALLAH TA'ALA ﷻ Isey Qayamat Ke Din Gham Aur Ghutan Se Bachaye To Usey Chahiye Ki Tangdasth Qarzdar Ko Mohlat De Ya Qarz Ka Bojh Uske Upar Se Utaar De!" (Yaani Muaaf Kar De)

📖Muslim

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

💰💵💴💸💶💷💰🛡
Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
💰💵💴💸💶💷💰🛡

Part : ⑦
•••••••••

Imam e Aazam (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ka Karam
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Hazrat Imam e Aazam (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ki Aadate Kareema Thi Ki Husoole Sawab Ke Liye Kasrat Se Logon Ko Qarz Diya Karte The! Aur Apne Maq'roozo Ke Saath Aap (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ka Husne Sulook Bhi Be-Misaal Tha! Iss Husne Sulook Ki Ek Roshan Dastan Mulahza Farmaye -

  Hazrate Shafiq (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Farmate Hai Ki Main Imam e Aazam (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ke Saath Ja Raha Tah Ke Ek Shakhs Ne Aap (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ko Dekha Aur Chhup Gaya Aur Doosra Rasta Ikhtiyaar Kiya! Aap (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ko Maloom Huaa To Aap (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ne Usey Pukara! Wo Aaya To Aap (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ne Ussey Pucha, Ki Tum Ne Rasta Kyun Badal Diya? Aur Kyun Chhup Gaye? Usney Kaha, Main Aap (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ka Maqrooz Hoon! Dus Hazar(10000) Dihram Maine Aap (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ko Dene Hai! Jisko Kaafi Arsa Guzar Chuka Hai Aur Main Tangdast Hoon, Aap (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Se Sharmata Hoon! Aap (Radi'Allahu Ta'ala Anhu) Ne Farmaya, Subhan'Allah ﷻ! Meri Wajah Se Tumhari Ye Halat Hai! Jaoo! Maine Sab Rupiya Tumko Baksh Diya, Aur Apne Aapko Apne Nafs Par Gawah Kiya! Ab Aaenda Mujhse Na Chhupna! Aur Jo Khauf Tumhare Dil Mein Meri Wajah Se Peda Huwa, Muje Mu'aaf Kar Do!!

📖Jawahirul Bayaan

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

💰💵💴💸💶💷💰🛡
Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
💰💵💴💸💶💷💰🛡

Part : ⑧
•••••••••

Qarz Bahut Hi Bada Bojh Hai!
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

•-•-•Sub Part 1

Hazrate Abu Sa'ed Qudri (Radi'Allahu Ta'aala Anhu) Farmate Hai Ki Nabi-e-Kareem ﷺ Ki Khidmat Mein Namaz Padhne Ke Liye Janaza Laaya Gaya! To Huzoor ﷺ Ne Pucha, Is Marne Wale par Koi Qarz To Nahi Hai? Arz Kiya Gaya, Haa Iss Par Qarz Hai! Huzoor ﷺ Ne Pucha, Isne Kuch Maal Chhoda Hai Ki Jissey Ye Qarz Adaa Kiya Ja Sake! Arz Kiya Gaya Nahi! To Huzoor ﷺ Ne Farmaya, Tum Log Iski Namaze Janaza Padhlo! (Main Nahi Padhaunga) Hazrat Maula Ali (Karam Allahu Wajma'ul Kareem) Ne Dekh Kar Arz Kiya ... Aey ALLAH ﷻ Ke Rasool ﷺ Main Iske Qarz ko Ada Karne Ki Zimmedari Leta Hoon! Huzoor ﷺ Aage Badhe Aur Namaze Janaza Padhai Aur Farmaya, "Aey Ali! (Karam Allahu Wajma'ul Kareem) ALLAH Ta'aala Tujhe Aag Se Bachaye! Aur Teri Jo Bakhshi Ho Jaise Ki Tune Apne Is Musalman Bhai Ke Qarz Ki Jimmedari Lekar Iski Jaan Chudayi! Koi Bhi Musalman Aisa Nahi Hai Jo Apne Musalman Bhai Ki Taraf Se Uska Qarz Ada Kare Magar Yeh Ki ALLAH Ta'aala ﷻ Qiyamat Ke Din Usko Rihayi Bakhshega!"

📖Sharhus Sunnah

Huzoor Tajdare Madina ﷺ Ka Farmane Aalishaan Hai, "Wo Shakhs Jisne ALLAH ﷻ Ki Raah Mein Jaan Di (Yaani Shaheed Huaa Hai) Uska Har GunaahMu'aaf Ho Jayega Siwaye Qarz Ke!"

📖Muslim

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

💰💵💴💸💶💷💰🛡
Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
💰💵💴💸💶💷💰🛡

Part : ⑨
•••••••••

Qarz Bahut Hi Bada Bojh Hai!
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

•-•-•Sub Part 2

Huzoor Tajdare Madina ﷺ Ka Farmane Aalishaan Hai, "Jo Logon Ka Maal Bataur Qarz Le Aur wo Niyyat Iske Ada Karne Ki Rakhta Hai To ALLAH ﷻ Us Ki Taraf Se Ada Kar Dega! Aur Jis Shakhs Ne Maal Bataur Qarz Liya Aur Niyyat Ada Karne Ki Nahi Rakhta To ALLAH ﷻ uss Shakhs Ko Iski Wajah Se Tabah Kar Dega!"

📖Bukhari

Sabaq :
•-•-•-•-•

Upar Ki Teeno Hadeese Qarz Ada Karne Ki Ahmiyat Ko Khoob Wazeh Karti Hai! Jis Shakhs Ne Apni Jaan Tak ALLAH ﷻ Ki Raah Mein Qurban Kar Di Us Ke Upar Bhi Agar Qarz Hai Aur Wo Ada Karke Nahi Aaya Hai To Wo Mu'aaf Nahi Hoga Kyun Ki Yeh Bando Ke Hukook Se Talluk Rakhta Hai Jab Tak Qarz Khawah Mu'aaf Na Kare Us Waqt Tak ALLAH ﷻ Bhi Mu'aaf Nahi Karega! Agar Aadmi Dene Ki Niyyat Rakhta Ho! Magar Ada Na Kar Sake Aur Mar Jaye To Qiyamat Ke Din ALLAH ﷻ Sahibe Haq Ko Bulayega Aur Mu'aaf Karne Ke Liye Usey Kahega Aur Iske Badle Isey Jannat ki Nemate Dene Ka Wada Farmayega To Sahibe Haq Apne Haq Ko Mu'aaf Kar Dega! Lekin Agar Kisi Ne Kudrat Rakhne Ke Bawujood Ada Nahi Kiya Aur Sahibe Haq Ko Uska Haq Nahi Lautaya, Yaa Duniya Mein Us Se Mu'aaf Nahu Karaya To Sahibe Haq Ko Maqrooz Ki Nekiya Dilayi Jayengi! Aala Hazrat (Rahmatullahi Alayhi) "Fatawa Razviya Shareef" Mein Farmate Hai Ki Jisne Duniya Mein Kisi Ke Teen Paise Qarz Daba Liya! Kal Baroze Qiyamat Unn Teen Paiso Ke Ewaz Saath Sau (700) Ba Jama'at Namaze Deni Padh Jayengi! Pyaare Bhaiyo! Teen Paise Ka Ye Haal Hai To Yaha Hazaro Balki Lakho Rupaye Logon Ke Daba Liye Jaate Hai! Hashr Mein Kya Banega? Agar Nekiya Dekar Haq Poora Na Huaa To Qarz Khawah (Jisska Qarza Daba Liya Gaya Tha) Ke Gunaah Maqrooz Ko De Diya Jayenga! Isi Tarah Tamam Hukookul Ae'Baad Ke Muaamle Mein Hoga! Magar ALLAH ﷻ Jis Par Chahe Apna Fazl'o Karam Farmayega Aur Zalim wa Mazmool ke Darmiyaan Sulah Kara Dega!

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

💰💵💴💸💶💷💰🛡
Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
💰💵💴💸💶💷💰🛡

Part : ⑩
•••••••••

Qarz Ki Adaigi Mein Bila Wajah Takheer Gunaah Hai
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Hujjatul Islam Hazrate Sayyeduna Imam Gazali (Rahmatullah Ta'ala Alai) Farmate Hain :

Hadees Shareef Mein Hai, " Jo Shakhs Qarz Leta Hai Aur Ye Niyyat Karta Hai Ki Main Achchi Tarah Ada Kar Dunga!To ALLAH Ta'aala ﷻ Us Par Chhand Farishte Muqarrar Farmata Hai Jo Uski Hifazat Karte Rehte Hai! Aur Duaa Karte Hai Ki Is Ka Qarz Ada Ho Jaye! Aur Agar Qarzdar Qarz Ada Kar Sakta Ho To Qarz'Khwah Ki Marzi Ke Bagair Ek Ghadi Bhar Bhi Agar Der Karega To Gunaahgar Hoga Aur Zalim Karar Payega! Chahe Roze Ki Halat Mein Ho Ya Namaz Ki Halat Mein Ya Neend Kar Raha Ho! Uske Zimme Gunaah Likha Jaata Rahega! Aur Bahar Soorat ALLAH Ta'aala ﷻ Ki Laanat Uspar Padhti Rahegi! Aur Yeh Aisa Gunaah Hai Ki Neend Ki Halat  Mein Bhi Uske Sath Rehta Hai Aur Ada Karne Ki Taqat Ki Yeh Sharth Nahi Ki Naqad Rupiya Ho! Balki Koi Cheez Agar Farokht Kar Sakta Hai Magar Farokht Kar Ke Ada Nahi Karta To Gunaahgar Hoga Aur Agar Kharab Rupiya Paisa Ya Qarz Ke Badle Aisi Cheez De Jo Qarz Khwah Ko Na Pasand Ho Tab Bhi Dene Wala Gunaahgar Hoga Aur Jab Tak Usey Razi Nahi Karega Iss Zyaadti Se Najat Na Payega! Kyunki Iska Yeh Fel Kabeera Gunaaho Mein Se Hai! Magar Log Isey Ma'mooli Khayaal Karte Hai!"

📖Keemiya e Sa'aadat

Sabaq :
•-•-•-•-•

Afsos! Aaj Kal Logon Ko Jab Qarz Lena Hota Hai To Khushamad Karke, Jhoothe Wade Karke Qarza Hasil Kar Lete Hai! Magar Phir Dene Ka Naam Nahin Lete! Chahiye To Yeh Tha Ki Shukriya Ke Saath Jald Qarza Ada Kar Diya Jaata! Iski Bajaye Qarz Khwah Ko Khoob Dakke Khilaye Jaate Hai, Yeh Bahut Hi Buri Baat Hai!

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

💰💵💴💸💶💷💰🛡
Qarz Ki Sunnatein Aur Aadab
💰💵💴💸💶💷💰🛡

Part : ⑪
•••••••••

Adai Qarz Mein Toll Ma'toll Zulm Hai
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Tajdare Madina ﷺ Ka Farmane Aalishaan Hai, Maaldar Qarzdar (Yaani Jo Ada Karne Ki Taqat Rakhta Hai) Ka Qarza Ada Karne Mein Toll Ma'toll Karna Zulm Hai Aur Agar Qarzdar Kahe Ki Tum Apna Qarza Fula Khushaal Aadmi Se Le Lo, To Khwah Ma'Khwah Qarzdar Ke Sar Par Sawar Na Rehna Chahiye! Uski Yeh Baat Man Le Aur Jiska Usney Hawala Diya Hai Ussey Jakar Lele!

📖Bukhari wa Muslim

Sabaq :
•-•-•-•-•

Agar Kis Aadmi Ke Paas Qarz Ada Karne Ke Liye Kuch Nahi Hai Aur Wo Yeh Kehta Hai Ki Jaoo, Fula Shakhs Se Le Lo! Mere Aur Uskey Darmiyaan Baat Chit Ho Chuki Hai Wo Ada Karne Par Razi Hai To Qarz Khwah Ko Na Chahiye Ki Wo Yeh Kahe Ki Main To Tujhi Se Lunga Main Kisi Aur Ko Kya Jaanu Balki Uske Saath Narmi Ka Mu'aamla Kare! Jiska Woh Hawala De Raha Hai Ussey Wasool Kar Le!

Aey Hamare Pyaare ALLAH  ﷻ Hame Farakh Dili Ke Saath Ba Niyyate Sawab Hajatmando Ko Qarz Dene Aur Qarzdar Ke Saath Narmi Karne Aur Apne Upar Aata Huaa Qarz Diyaanat'dari Se Ada Karni Ki Taufiq Ata Farma!

♡Aameen Bijahil Nabiyil Ameen♡

🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚
©©END Of Parts®®
🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚🔚

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

No comments:

Post a Comment