Pages

Monday, September 2, 2019

Muharram Me Noha Matam Shog Karna Mana Farmaya Gaya

Hazrate Zainab Bint Hajash (RadiAllahu Anha) Ke Bhai Ka Inteqal Ho Gaya.
Teen Din Ke Baad Unhone Khushboo Mangwaee Aur Usko Lagaya.

Phir Kaha Mujhe Khushboo Ki Zaroorat Nahi Thi Magar Maine “Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) 

Se Suna Ke Jo Aurat Aur Mard Allah Ta’ala Aur Qayamat Par Imaan Rakhta Ho Uske Liye 

Halaal Nahi Ke Teen Din Se Ziyadah Kisi Mayyat Par Shog Kare
“Siwaye Shohar Ke Jiska Sog 4 Mah (Month) 10 Din Hai.”

📚 (Bukhari Sharif ‘Al’janaez Baab Al’shiyaab
Al’baid Ul Kafan’ Hadees : 1264 ‘ 1271′ 1272′ 1273′ 1287)

ALLAH Ta’ala Quraane Kareem Me Irshad Farmata Hai

Bismillah-Hirrahman- Nirrahim
“Aur Jo KHUDA Ki Raah Me Maare Jaye Unhe Murda Na Kaho Balke Woh ZINDA Hai, Haan Tumhe Sha’oor (Khabar) Nahi”.

📖 (Surah: Al Bakrah Aayat 154,)


Ye Aayat Saf Bayan Kar Rahi Hai Ke Shaheed Jo Khuda Ki Raah Me Mare Jaye Wo Zinda Hai.
Isliye Shaheedo Ka Matam Karna Haram Hai.

Aagar Aashura Ke Din Matam Karna
Jayez Hota Tou Sahaba-e-Kiram Aur Tabayeein-e-Kiram Bhi Aisa Karte, 

Lekin    Unhone Matam Nahi Kiya Balke Aashura Ke Din Unhone Apne Ghar Walon Par Khaane Piney Me Farakhi Karte Aur Roza Rakhtey.

📚 (Guniyatuttalibin Part-16 Safa 482)

Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu
Anhu) Se Riwayat Hai Ke, 

Rasool’Allah   (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Farmaya:

“Jo Mooh Par Tamache Marey, 

Kapde Fade, Aur Jaahil Logo Ki Tarah Chilla Kar Roye Wo Hum Me Se Nahi”.

📚 (Bukhari Sharif, Muslim Sharif, Tohfa-E-Najat Part-11 Page-50)

Rasool’Allah (Sallallahu Alayhi
Wasallam) Ne Farmaya –

“Kisi Emaan Wale Ke Liye Halaal Nahi Ke (3) Teen Din Se Jiyadah Shog (Ghum) Kare, Sirf Beva Aurat Ke Siva,   Ke Uske Shog    (Ghum) Ki Muddat Char (4) Mahine Das (10) Din Hai.

📚 (Bukhari Sharif, Tirmizi Sharif, Tohfa-E-Najat Part-11 Page-49)

Hazrat (Alaihi Rahamtulah) Rizwaan Ne Bhi Mahe Muharram Me Kiye Jaane Wale Burey Kaamo Ki Sakht Muzammat Farmaayi Hai,     Aap Tahereer Karte Hai:


Taziya Mamnu’ Hai, Sharah Me Kuch Asal Nahi Aur Jo Kuch Bida’at Unn Ke Saath Ki Jaati Hai Sakht Najayaz Hai, 

Taziya Par Jo Mithaai Chadhayii Jaati Hai Agarche  Haraam Nahi Ho Jaati Magar Iss Ke Khaane Me Jahilon Ki Nazar Me Ek Amar Najayaz Ki Waqa’at Badhaane Aur Iss Ke Tarak Me Iss Se Nafartt Dilaani Hai
Lehaza Na Khaai Jaaae, Dhol Bajaana
Harram Hai.”

📚 (Fatwa-E-Razviya, Jild 10, Safa 189)

Nabi-e-Kareem (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya

“Allah Ta’ala Aankh Ke Rone Rone Aur Dil Ke Pareshan Hone Ki Wajah Se Azaab Nahi Hota Balki Zuban Ke   Chillane Aur Wa’waila Karne Se Azaab Hota Hai”.

📚 (Bukhari’ Al’janez’ Baab Al’baka’a Indal Mareeda’ Hadees 1304′ Wa Muslim’
Al’janaez’ Baab Al’baka’a Alal May’yati’ Hadees 924)

Hazrate Abdullah Bin Masood (RaziAllah Anhu) Riwayat Karte Hain Ke Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –


“Woh Hum Me Se Nahi Hai Jo Rukhsaar Peete, Girebaan Phadhe Aur Jahiliyat Ki Pukaar Pukare”. (Yaani Noha Aur Wa’waila
Kare).

📚 (Bukhari’ Al’janaez ‘ Baab Lais Mana’min  Shqaul’joyub’ Hadees :1294,1297,1298)

Hazrate Abu Malik Ashari
(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki
Rasool’Aallah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya

“Noha (Matam) Karna Jahiliyat Ka Kaam Hai,  Aur Noha Karne Waali Agar Bina Taubah Ke Mar Jaye Tou Allah Ta’ala Usko Tarkol Ka  Libas Aur Dozakh Ke Sholon Ka Kurta Pahnayega”.

📚 (Sunan Ibn Majah, Vol 1, Hadees 1581 Hasan)

Umma Atiyyah (RaziAllah Anhu)
Se Riwayat Hai Ki,

“Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Hume Noha (Matam) Karne Se Mana Farmaya Hai”.

📚 (Sunan Abu Dawud, Vol 2, Hadees 1350 Sahih)

ALLAH Amal ki Toufeeq Ataa Farmaye Aameen



No comments:

Post a Comment