Pages

Wednesday, December 27, 2017

Manqabat E Gaus E Aazam

___________________________________

Post 1

⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
⚘Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir⚘
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘

Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Idhar bhi nigahe karam Gause Azam
Karo door ranjo alam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Khilata pilata hai rabbe do alam
Tuje deke apni kasam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Muje khvab mai aake jalva dikha do
Karo aaj ki shab karam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Tera hu mai tera mere is kahe ka
Sare hashr rakhna bharam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Kahi gir na jaau khudara sambhalo
Mere dagmagaye kadam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Bahot chubh raha hai khudara nikalo
Mere dil se teere alam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Tumhare hi dar ka rahu mai bhikari
Nahi khvahishe Takhte jam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Jila payega dil Ubaide Raza ka
Zara rakh do apna kadam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
____________________________________

Post 2

⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna
Baghdadi noorie baazar
Allah allah kya kehna

Tum ho hamare
Hum hai tumhare
Tum ho nabi ke pyaare
Har mushkil me gause azam
Tuhte dilo ke sahare
Ujhdo ko kar de gulzaar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Qutb auliya gaus qalandar
Ek se ek hai badhkar
Saare auliya denge salaami
Jayenge gaus ke dar par
Wo hai waliyo ke sardar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Chor ko palme wali banaya
Nazar se bighdi banayi
Dubi kashti bara baras ki
Palme paar lagayi
Budhiya kehti thi har bar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Aise gaus ka hai yeh hafiz
Chuute na haath de daman
Bighde kaam banaye aaqa
Qurban unpe tanman
Wo karte hai beda par
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna

Baghdadi noorie bazaar
Allah allah kya kehna
Gause azam ka darbar
Allah allah kya kehna
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
____________________________________

Post 3

⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘

Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Idhar bhi nigahe karam Gause Azam
Karo door ranjo alam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Khilata pilata hai rabbe do alam
Tuje deke apni kasam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Muje khvab mai aake jalva dikha do
Karo aaj ki shab karam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Tera hu mai tera mere is kahe ka
Sare hashr rakhna bharam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Kahi gir na jaau khudara sambhalo
Mere dagmagaye kadam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Bahot chubh raha hai khudara nikalo
Mere dil se teere alam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Tumhare hi dar ka rahu mai bhikari
Nahi khvahishe Takhte jam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani

Jila payega dil Ubaide Raza ka
Zara rakh do apna kadam Gause Azam
Shai Al Lillah Ya Abdul Qadir
Sakinal bagdad Ya Shaikhal Jeelani
⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘⚘
____________________________________

Post 4

Sarkaar-e-Ghous-e-Azam Nazr-e-Karam Khudara
Mera Khaali Kaasa Bhar Do Mein Faqeer Hoon Tumhara

Jholi Ko Meri Bhar Do Warna Kahe Gei Duniya
Aisay Sakhi Ka Mangta Phirta Hai Maara Maara

Sab Ka Koi Na Koi Duniya Mein Aasra Hai
Mera Bajuz Tumharay Koi Nahin Sahara

Ye Ata e Datstageeri Koi Mere Dil Se Pooche
Wahi Aagaye Madad Ko Mene Jab Jaha (n) Pukara

Maula Ali (radi Allahu ‘anhu) Sadqa Ibn e Ali Ka Sadqa
Maula Ali Sadqa Khawaja Piya
Maula Ali Ka Sadqa Ahmad Raza Ka Sadqa
Maula Ali Ka Sadqa Ghanj e Shakar Ka Sadqa
Maula Ali K Sadqa Data Piya Ka Sadqa
Mere Laaj Rakhlo Ya Ghaus Me Fakir Hu(n) Tumhara
____________________________________

Post 5

Pir Mere Baghdaadi Ghausul Anaam 
Woh Hai Mere Aaqa, May(N) Un Ka Ghulaam 

Chahite Khuda Aur Rasoole Zaman Ke 
Haqiqat Mei(N) Hai Laadle Panjatan Ke 
Hai Kul Auliya Ke Wahi To Imaam 

Badi Shaan Waale Mere Ghausul A’naam 
Chiraaghe Vilaayat, Waliye Mukarram 
Karaamat Ki Shohrat Zamaane Mei(N) Aam 
Baat Aisi Waliyo(N) Mei(N), Nahi(N) Hai Kisi Ki 
Buland Aisi Hai Ghausul A’zam Ki Hasti 
Har Simat Machi Hai, Unhi Ki Dhoom-Dhaam 

Ghaus Ke Hi Ke Kaandhe Par Qadam Hai Nabi Ke 
Qadam Ghaus Ke, Kaandhe Par Har Wali Ke 
Yeh Hai Un Ka Rutba, Yeh Aala Maqaam 

Qaadri Maikhaana Aur Ghaus Mere Saaqi 
Kaise Rahegi Phir Meri Rooh Pyaasi 
Ma’arifat Ka Mujh Ko Wohi Dei(N) Jaam 

Dil Se Unhe Ek Baar, Jis Ne Pukaara 
Us Ko Mila Allah Ke, Karam Ka Sahaara 
Sab Pe Tajalli Hai Yehi Subho Shaam
___________________________________

Post 6

Khuda Ke Fazl Se, Hum Par Hai Sayah Ghous E Azam Ka 
Hamay Do No Jahaan Me Hai, Sahara Ghous E Azam Ka 

Hamari Laaj Kis Ke Haath Hai, Baghdaad Wale Ke 
Musibat Taal Dena Kaam, Kis Ka Ghous E Azam Ka 

Rasoolallah Ka Dushman Hai, Ghous E Pak Ka Dushman 
Rasoolallah Ka Pyara Hai, Pyara Ghous E Azam Ka 

Azizo Kar Chuko Taiyaar, Jab Mere Janaze Ko 
To Likh Dena Kafan Par, Naam Wala Ghous E Azam Ka 

Lahad Me Jab Farishte, Mujh Se Pochenge To Keh Doonga 
Aseer E Qadri Hoon, Naam Laywa Ghous E Azam Ka
____________________________________

Post 7

Rasoolallah Ka Jalwa Hai, Jalwa Ghaus-Ul A’zam Ka 
Ajab Pyaara, Ajab Aala Hai, Naqsha Ghaus-Ul A’zam Ka 

Farishtey Raukte Hai(N) Kyo(N), Mujhe Jannat Mei(N) Jaane Do 
Yeh Dekho Haath Mei(N), Daaman Hai Kis Ka, Ghaus-Ul A’zam Ka 

Meri Phooti Hui Taqdir Ki, Qismat Hi Chamak Jaaey 
Banaaey Mujh Ko Sag Apna, Jo Kutta Ghaus-Ul A’zam Ka 

Azizo Kar Chuko Tayyaar, Jab Mere Janaazey Ko 
To Likh Dena Kafan Par, Naam Leva Ghaus-Ul A’zam Ka 

Jab Lahad Mei(N) Farishtey Mujh Se Puchei(N), To Keh Dunga 
Tariqe Qaadri Hu(N), Naam Leva Ghaus-Ul A’zam Ka 

Thikaana Us Ke Niche, Ya Khuda, Mil Jaaei(N) Ham Ko Bhi 
Khada Ho Hashr Mei(N) Jis Waqt, Jhanda Ghaus-Ul A’zam Ka 

Khuda Ke Fazal Se Ham Par Hai, Saayaah Ghaus-Ul A’zam Ka 
Hame Dono(N) Jahaa(N) Mei(N) Hai, Sahaara Ghaus-Ul A’zam Ka 

Ghaus-Ul A’zam Dulha Aur Baraati Auliya Ho(N)Ge 
Maza Dikhlaaega Mehshar Mei(N), Sehra Ghaus-Ul A’zam Ka 

Hamaari Laaj Kis Ke Haath Mei(N), Baghdaad Waale Ke 
Musibat Taal Dena Kaam Kis Ka, Ghaus-Ul A’zam Ka 

Khudaavanda, Dua Maqbool Kar, Ham Rosiyaaho(N) Ki 
Gunaaho(N) Ko Hamaare Bakhsh, Sad’qah Ghaus-Ul A’zam Ka
___________________________________

Post 8

Assalaam Aey Ghause A’zam Assalaam 
Assalaam Aey Qutbe Aa’lam Assalaam 
Assalaam Aey Taajdaare Aulia, As Salaam Aey Peshwaaey Atqiya 
Assalaam Aey Rehnumaaey Asfiya, Assalaam Aey Rahbare Raahe Huda 

Assalaam Aey Ibne Sultaane Umam, Assalaam Aey Saahebe Jaho Hasham 
Assalaam Aey Partave Husne Qadam, As Salaam Aey Noore Khurshide Karam 

Waaqai, Mehboobe Subhaani Ho Tum, Fil Haqiqat Qutbe Rabbaani Ho Tum 
Aarife Haqq, Sham-Aey Irfaani Ho Tum, Mash’aaley Tanvire Yazdaani Ho Tum 

Aap Hai(N) Ghausul Vara, Ghasul Anaam, Aap Saare Auliya Ke Hai(N) Imaam 
Ronaqe Deeney Muhammad, La Kalaam, Aap Se Qaim Hai(N), Duniya Mei(N) Mudaam 

Tum Ho Waliyo(N) Ke Wali, Piro(N) Ke Pir, Sayyad-Us-Saa’daat Ho, Miro(N) Ke Mir 
Tum Ho Apne Khaadimo(N) Ke Dastagir, Kyo(N) Rahe Mehrum Phir Ham
____________________________________

Post 9

Dare Ghaus Ka Gar Tu, Saa-Il Bana Hai 
Qadam Ko Hata Ne Ki, Koshish Na Karna 

Milegi Bemaange, Tamannaaei(N) Dil Ki 
Zubaa(N) Tak Hila Ne Ki, Koshish Na Karna 

Woh Dei(N)Ge Yaqinan, Tujhe Aasra Bhi 
Milega Wahi(N) Se, Tujhe Mud-Da-Aa Bhi 

Sakhi Ghause A’zam Ka, Dar **** Kar Tu 
Kahi(N) Aur Jaane Ki, Koshish Na Karna 

Jo Baghdaad Le Jaaey, Tujh Ko Nasiba 
Laga Dena Dera, Wahi(N) Par Gharibaa 

Wahaa(N) Mar Ke Bhi Un Ke, Qadmo(N) Se Kehna 
Yahaa(N) Laut Aane Ki, Koshish Na Karna 

Lahad Mei(N) Bhi Un Ka, Gada Hu(N) Farishto 
Muridaane Ghausul Wara Hu(N) Farishto 

May(N) Ya Ghaus Keh Kar, Bula Lunga Dekho 
Mujhe Tum Dara Ne Ki, Koshish Na Karna 

Kahi(N) Phoola, Phala, Yeh Gulshan Na Ujre 
Tere Haath Se Un Ka, Daaman Na Chute 

Zamaane Ki Fikr Se, Imaan Apna 
Kahi(N) Dagmaga Ne Ki, Koshish Na Karna 

May(N) Ehqar Hu(N) Kya, Khush Nasibi Hai Paai 
Mili Ghaus Ke Dar Ki, Mujh Ko Gadaai 

Chamakta Hu(N) May(N) Chaand, Ban Kar Mukhaalif 
Yahaa(N) Jagmaga Ne Ki, Koshish Na Karna
____________________________________

Post 10

Imdaad Kun, Imdaad Kun 
Imdaad Kun, Imdaad Kun, Az Har Bala Aazaad Kun 
Dar, Din-O-Duniya Sha’ad Kun, Ya Ghaus-Ul A’zam Dastagir 

Sad’qah Rasoole Paak Ka, Sad’qah Ali Ke Laal Ka 
Khayrul Bashar Ka Waasta, Aao Madad Ke Waaste 

Tai’bah Nagar Ki Jaan Ho, Usman, Ali Ki Shaan Ho 
Aap Ko Ali Ka Waasta, Aao Madad Ke Waaste 

Ranjo Alam Ki Shaam Ho, Lab Pe Tumhaara Naam Ho 
Ganje Shakar Ka Waasta, Aao Madad Ke Waaste 

Khawaja Piya Hai Aap Ke, Khawaja Qutub Hai(N) Aap Ke 
Aap Ko Wali Ka Waasta, Aao Madad Ke Waaste 

Murde Jilaaey Aap Ne, Dubi Tiraee Aap Ne 
Nana Nabi Ka Waasta, Aao Madad Ke Waaste
____________________________________

Post 11

Khila mere dil ki kali Ghous-e-Azam
Mita qalb ki be kali Ghous-e-Azam

Tere Rab ne maalik kiya tere jad ko
Tere dar se duniya pali Ghous-e-Azam

Nahin koyi bhi aisa faryaadi Aaqa
Khabar jiski tumne na li Ghous-e-Azam

Meri rozi mujko ataa karde Aaqa
Tere Dar se duniya ne li Ghous-e-Azam

Namaangoon mein Tumse to phir kisse maangoon
Kahin aur bhi hai chali Ghous-e-Azam

Jo Kismat ho Meri buri, achchi kardo
Jo aadat ho badkar bhali Ghous-e-Azam

Tera martaba aala kyun ho na Maula
Tu hai Ibne Maula Ali Ghous-e-Azam

Qadam gardane Awliya par he Tera
HAI tu Rab ka aisa Wali Ghous-e-Azam

Hamaara bhi beda lagaado kinaare
Tumhe nakhuda’i mili Ghous-e-Azam

Fida tumpe ho jaye Noori ye muztar
Ye hai uski khwa’ish dili Ghous-e-Azam
____________________________________

Post 12

Sarkaare Ghaus E Azam, Nazare Karam Khudaara  
Mera Khaali Kaasa Bhar Do, May Faqir Hu Tumhara  

Maula Ali Ka Sadqa, Gange Shakar Ka Sadaka 
Meri Laaj Rakhna Mira, May Faqir Hu Tumhara 

Mira Bena  Hai Dulha, Shaadi Rachi Hui Hai Hai Hai Hai Hai  
Auliya Baraati, Kya Khoob Hai Nazara 

Jholi Ko Meri Bhardo, Warna Kahegi Duniya 
Aise Sakhee Ka Maangta, Phirta Hai Maara, Maara  

Duniya Mei Sab Ka Koi, No To Aasra Hai  Mere 
Bajze Tumhaare, No No Sahayara  

Yeh Ada E Dastgiri, No Mere Dil Se Puche 
Wahi Aa Gaye Madad Ko, Maine Jab Jaha Pukaara  

Yeh Tera Karam Hai Ya Ghous, JoBanana Hai Apna  
Kaha Mujhsa Ye Kameena, Kaha Silsila Tumhara
____________________________________

Post 13

Sarkare Gause Aazam Nazre Karam Khudara 
Mera Khaali Kaasa Bhar Do Mai Faqeer Hu Tumhara 

Maula Ali Ka Sadqa Ganje Shakar Ka Sadqa
Meri Laaj Rakhna Meera Mai Faqeer Hu Tumhara

Meera Bane Hai Dulha  Shaadi Rachi Hui Hai
Sab Auliya Baraati  Kya Khoob Hai Nazara 

Jholi Ko Meri Bhardo Warna Kahegi Duniya
Aise Sakhee Ka Mangta Phirta Hai Maara Maara 

Ye Adaa E Dastgiri  Koi Mere Dil Se Pooche
Wahi Aa Gaye Madad Ko Maine Jab Jahaa Pukaara 

Duniya Me Sab Ka Koi Koi To Aasra Hai
Mera Bajuz Tumhare  Koi Nahi Sahara 

Ye Tera Karam Hai Ya Ghous Jo Bana Liya Hai Apna
Kaha Mujh Sa Ye Kameena  Kaha Silsila Tumhara
____________________________________

7 comments: