Pages

Friday, September 1, 2017

Qurbani Ka Bayaan 2

QURBANI KA BAYAN

POST - 01

▪ Qurbani Kya Hai ?
===============
Qurbani Ek Maali Ibadat Hai, Jo Gani (maldar) per Wajib hai.
Khas Janwar Ko Khas Din Mein Allah Ke Liye Sawab Ki Niyat Se Zubah Karna Qurbani Hai.   Qurbani Musalman, Muqeem, Malik-e-Nisab, Aazad Per Wajib Hai.

▪ Qurbani Kis Per Wajib Hai ?
=======================
Jis Tarah Qurbani Mard Per Wajib Hai Usi Tarah Aurat Per Bhi Wajib Hai.

MASLA - 01:
*************
Musafir Per Qurbani Wajib Nahi, Agar Nafil Ke Taur Per Karey To Kar Sakta Hai, Sawab Payega. Malik-e-Nisab Hone Ka Matlab Ye Hai Ke "itna Maal Ho Jitna Maal Hone se Sadqa-e-Fitr Wajib Hota Hai. Yani Hajat-e-Asliya Ke Alawa 7.5 tola Sona or 52.5 tola Chandi Ka Malik Ho.

MASLA - 02:
*************
Jo Shaks 200 Dhiram Ya 20 Dinar Ka Malik Ho. Ya Hajat Ke Alawa Kisi Kisi Aysi Chiz Ka Mali Ho, Jiski Qimat 200 Dhiram Hoto Wo Maldar Hai or Us Per Qurbani Wajib Hai.
- - -

Qanun-e-Shariat , Vol. 1, Page. 210, 211

POST - 02

▪ QURBANI KA WAKT
==================
10wi Zil Hijja Ki Subah Sadiq Se 12wi ke Ghurub-e-Aaftab Tak Hai.
Yani 3 Din or 2 Ratein Hain. Lekin 10wi Sàbse Afzal Hai, Hir 11wi, Phir 12wi.

MASLA - 03
*************
Shaher (city) me Qurbani Ki Jaye To Shart Ye Hai Ke, Namaz-e-Eid Ke Baad Ho. Or Dehat (Gaon) Mein Namaz-e-Eid Nahi isliye Subah Sadiq Se Ho Sakti Hai.

MASLA - 04
*************
Qurbani Ke Wakt Qurbani Hi Karna Lazim Hai. Itni Qimat Ya Itni Qimat Ka Janwar Sadqa Karne Se Wajib Adaa Nahi Hoga.

MASLA - 05
*************
Qurbani Ke Din Guzar Jane Ke Baad, Qurbani Faut (Marr) Ho Gayi or Ab Nahi Ho Sakti, Lehaza Ab Agar Koi Janwar Qurbani Ke Liye Kharid Rakha Hai to Uska Sadqa Karey, Warna 1 Bakri Sadqa Karey

Qanun-e-Shariat , Vol. 1, Page. 210, 211

POST - 03

➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBANI KARNE KI FAZILAT
➖➖➖➖➖➖➖➖
Aaqa....sallallahu alayhi waalihi wasallam...farmate hai k...

▪ Qurbaani karnewale ko Qurbani k jaanwar k har baal k badle me aik neki milti hai...

▪ Jisne khush dili se sawab paane k liye Qurbaani ki to wo jahannam ki aag se hijaab ( parda..rukaawat ) ho jayegi...

▪ Aey Fatema...apni Qurbaani k paas maujood raho kyun k us k khoon ka pehla qatra girega to tumhare sare gunah maaf kar diye jaayenge...

▪ Jis ko bhi Qurbaani karne ki wus-at ( taaqat ) ho or fir bhi wo Qurbaani na kare to hamari eidgaah k qariib na aaye...

TIRMIZI SHARIF
AL MO'JAMUL KABIR...
AS-SUNANUL KUBRA LIL BAYHAQI..

POST - 04

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Agar kisi par Qurbaani waajib hai or us waqt us k paas rupye nahi to udhaar lekar ya koi chiz bech kar k Qurbaani kare...

Fatawa e Amjadiya, VOL. 3, Page. 315

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ Hazrate Ahmed bin Ishaaq...rehmatullah alah...kehte hain..k...Mera aik gharib bhai tha..gharib tha fir bhi Allah ki raza k liye Qurbaani karta tha..us k marne k bad mene khwaab dekha k qayamat aa gayi or nafsa nafsi ka maahol hai..mene dekha k...Mera bhai Aik ghode par sawaar hai or dusre ghode bhi us k saath hai..mene poocha..k Allah ki baargah me tera kya maamla raha..to wo bola k...Aik budhiya ko aik dirham dene ki wajah bakhsh diya..to mene poocha k ye sab ghode ?...to kehne laga k...Ye sab meri Qurbaaniyan hai or jis par mein betha hun ye meri pehli Qurbaani hai...to mene poocha k ab kidhar jaa rahe ho..to bola k...JANNAT ki taraf..or meri nazron se ghaaib ho gaya.

▪ Ye to nafli Qurbaani ka ajar o sawaab hai..Waajib ka aur zyada sawaab hoga..or..Aik dusra pehlu ye bhi pata chala k...jo log waajib hone k bad bhi Qurbaani nahi karte un k liye bhi is mein ibrat O raghbat hai..k Wo kitni badi saadat se mehroom ho rahe hain or gunahgaar bhi ho rahe hain.

DURRATUN NAASIHIIN...

POST - 05

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI Pulsiraat ki sawaari
➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Mafhum-e-Hadis...

🔻Aaqa...sallallahu alyhi waalihi wasallam...farmate hai k...
       🔸Baqra Eid k din insaan aysi koi neki nahi karta jo Allah ko khoon bahaane se zyada ( Qurbaani karne se ) pyaari ho..
       🔸Ye Qurbaani qayaamat me apne singon baalon or khuron ( khudiyaan ) k sath aayegi..or..
       🔸Qurbaani ka khoon zamin par girne se pehle Allah qubool farmata hai is liye Qurbaani khush dili se ( shokh se ) karo..

▪ Hazrat Abdul haq muhaddis dehelwi...alayhirrahman...farmate hai...k...Qurbaani apne karnewale k nekiyon k palde me rakkhi jayegi jisse nekiyon ka palda bhari hoga..

▪ Mulla Ali qari...alayhirrahman...farmate hai...k...fir us k sawaari banegi jis k zariye Qurbaani karnewala aasaani se pulsirat se guzrega or us ka har uzwa Qurbaani karnewale k har uzwa ka fidya banega.

MIRQAATUL MAFAATIH...

POST - 06

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
WAAJIB HONE KI SHARTEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Qurbaani waajib hone ki shartein ye hai k har....

★ Baaligh...( na baaligh na ho )..
★ Muqiim...( musaafir na ho )..
★ Musalmaan Mard O Awrat...
★ Maalike nisaab....par Qurbaani Waajib hai...

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MAALIKE NISAAB KISE KEHTE HAI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ Maalike nisaab hone ka matlab ye hai k...

★ Us sakhs k paas saadhe baawan
      ( 52.5 ) tole chaandi..
★ Ya itni maaliyat ki raqam...
★ Ya itni value ka buisness ka maal..
★ Ya itni value ka samaan jo haajate
      asaliya k siwa ho..or..
★ Us par agar itna qarz bhi ho k ada karne k baad uupar bataya gaya nisaab baqi raheta ho...to..Wo Maalike nisaab hai..Qurbaani us par waajib hai...or..{ Ye hukm 10 wi Zulhijjah ki Subha saadiq ( sehri ka waqt khatm hota hai us waqt se ) se 12 wi Zulhijjah ki ghurub ( maghrib ki azaan k waqt tak ) tak ka hai.}
     
FATAWA RAZWIYA SHAREEF

POST - 07

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
HAAJATE ASALIYA ka Matlab kya ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Haajate asaliya ka matlab wo chiizein jinki aam tor par insaan ko zarurat hoti hai or jin k baghair zindagi guzaarne me bohot zyada tangi or takliif mehsus hoti hai jaise...
  🔸Rehne ka ghar...
  🔸Pehenne k kapde...
  🔸Sawaari...
  🔸Ilme din ki kitaabein...
  🔸Apne peshe ( hunar..dhande ) k awzaar...

▪ Agar ham haajate asaliya k matlab par ghor karein to....hamare gharon me bohot si chiizein aysi hai jo haajate asaliya me daakhil nahi..to.Agar un chiizon ki qiimat  saadhe baawan ( 52.5 ) tole chaandi k baraabar pohonch jaaye to Qurbaani WAAJIB hogi...

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
KHAAS DHYAAN SE PADHEIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪ NOTE.....

Misaal k tor par ( eg ) Yun samjo k...aaj k market rate k hisaab se 52.5 tole chaandi ki raqam 25000 rupye or oopar kuch sau rupye banti hai....to...Qurbaani k dinon mein chaandi ka rate malum kar k gina jaaye to 52.5 tole chaandi ki qiimat kitni raqam banti hai...? Or fir dekh lein k itna maal to bohot saare mardon or orton k paas mil jayega jo Qurbaani waajib hone k baawujud nahi karte...to is chiiz par tawajjo dein or agar ham haajate asaliya siwa maal rakhte hon to ham par Qurbaani waajib hogi.........AL AMAAN WAL HAFIZ....

🔻ALLAH se dua hai tamam musalman bhai behno ko amal ki tofiq ata farmaye....AAMIN

FATAWA RAZWIYA...

POST - 08

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ QURBAANI ka waqt kab se kab tak
     hota hai...or...
★ QURBAANI k waqt me sharaait ka
     hona kya chiiz hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ 10 Zulhijjah ki subha saadiq ( sehri khatm ka waqt ) se lekar 12 zulhijjah k ghurub aaftaab ( maghrib ki azaan tak ) hai...

▪ MASALA...city ( sheher ) me Qurbaani kii jaaye to SHART ye hai k Eid ki namaaz k baad ho or gaanw ( village ) mein Eid ki namaaz nahi hoti isliye wahaan subha saadiq se ho sakti hai...or..( Jis Gaon mein Eid ki namaaz hoti ho wahan namaaz k bad Qurbaani karein )

▪ Maal or dusri shartein Qurbaani k uupar bataaye huwe waqt me  paayi gayi to Qurbaani waajib hogi...

▪ Is masle ko bayaan karte huwe Hazrat Mufti Amjad Ali Aaazmi...alayhirrehman... Bahaare shariyat me farmate hai..k..Ye zaruri nahi k 10 wi ko hi qurbaani kar daale...uupar bataye huwe waqt me jab chaahe kare...agar shuru din me waajib na thi matlab ( Q 4 ) me bataayi gayi tamam shartein nahi thi...or aakhir dinon me ( Q 4 ) ki batayi gayi tamam shartein payi gayi to us par Waajib ho gayi...Or agar shuru din me waajib thi or kari nahi...or aakhir waqt me ( Q 4 ) me batayai gayi shartein  na rahi to ab Qurbaani  waajib na rahi...

FATAWA AALAMGIRI...BAHARE SHARIYAT...

POST - 09

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ QURBAANI kise kehte hai ?
★ QURBAANI ka jaanwar kaysa ho ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Qurbaani aik maal se honewaali ibaadat hai jo maaldar par waajib hai... Khaas jaanwar ko khaas din me ALLAH k liye sawaab ki niyyat se ZABAH karna..isko Qurbaani kehte hai.

▪ Gaai...Bhens...Uunt...( Cow..Buffalo..Camel ) in jaanwaron me 7 Qurbaani ho sakti hai...

▪Qurbaani k waqt me Qurbaani karna hi laazim hai..koi dusri chiiz is k badle me nahi ho sakti. jaise koi Qurbaani ka bakra ya utna paisa khairaat karde ye naa kaafi hai...( waajib ada na hoga )

▪ Qurbaani ka jaanwar be aib ( without any defect ) hona zaruri hai..agar thoda aib hai jaise kaan me chiraa ya suraakh to Qurbaani makrooh hogi or zyada aib ho to Qurbaani nahi hogi.

BAHARE SHARIYAT...

POST - 10

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI dusre ki or Naa-Baaligh ki
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Kuch log saare ghar waalon ki taraf se sirf aik bakra Qurbaani karte hai jab k ghar k kain log saahibe nisaab hote hai...or sab par waajib hoti hai to... Ayse me sab par alag alag Qurbaani waajib hai to aik bakra jo sabki taraf se kiya gaya to kisi ka bhi waajib ada na huwa..

▪ Naabaaligh ki taraf se Qurbaani waajib nahi lekin kar dena behtar hai.

▪ Baaligh awlaad ya biwi ki taraf se Qurbaani karna chaahe...to ijaazat lekar kare...Agar ijaazat k baghair kar di to unki taraf se waajib ada na hoga.

▪ Ijaazat 2 tarah ki hoti hai... Aik.....Saraahatan....jaise k un mese koi saaf tor par kehde k...Meri taraf se Qurbaani kar do...Dusri... Dalaalatan....under stood...jaise apni biwi ya awlaad ki taraf se Qurbaani karta hi hai...or wo bhi jaante hai..or wo raazi hai....ye bhi ijaazat hi hai..

FATAWA AHLE SUNNAT...

POST - 11

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
★ Qurbaani k janwar ki umar kitni ho ?
★ Jaanwar kaisa hona chaahiye..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Qurbaani k jaanwar ki umar...
     🔸Uunt..( Camel ) ...5 saal...
     🔸Gaai..Bhens.........2 saal...
     🔸Bakra - Bakri........1 saal...

▪ In jaanwaron ki nasal k NAR...MAADA bachche denewali na denewali sab ki Qurbaani jaaiz hai..

▪ Bakre me Bakri...Dumba...Dumbi...Bhed...Nar...Maada...sab aa gaye..

▪ Uupar bataaye huwe tamaam jaanwaron ki  umar bataayi hui umar se kam umar ho to chaahe aik din bhi kam ho to Qurbaani jaaiz nahi...zyada ho to jaaiz hai...bl k afzal hai.

BAHARE SHARIYAT...

POST - 12

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI k Aibdaar (Defected)
Jaanwaron ki Tafsiil...
Jinki Qurbaani Nahi hoti..!
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

🔸Aisa paagal jaanwar jo charta na ho.
🔸Itna kamzor k haddiyon me maghaz na raha..khada bhi na reh pata ho.
🔸Andha ya aysa kaana jis ka kaanaapan zaahir ho.

🔸Aysa biimaar jo bimaari ki wajah se chaara na khaaye.
🔸Aysa langda jo khud apne pairon se chal kar qurbaan gaah tak na ja sake.
🔸Jis k paidaaishi kaan na hon ya aik kaan na ho.
🔸Wah-shi yani jangli jaanwar jaise nil gaaye.

🔸Jangli bakra ya khunsa jaanwar matlab...aysa k jisme Nar or Maada dono ki alaamatein hon.
🔸Ya jal-laa-la yani jo sirf napaak khaata ho.

🔸Ya jiska aik pair kaat liya gaya ho.
🔸Dum ya chakki 1/3 ( kul mese tisra hissa ) se zyada kate huwe hon..naak kati hui ho..daant na ho..gir gaye hon.
🔸Than kate huwe hon ya suukh gaye hon.....In sab ki Qurbaani NA JAAIZ hai...or...

🔸Agar bakri me aik than sookh gaya ho or gaay bhens me dono than sookh gaye ho to najaaiz hai.

BAHAARE SHARIYAT....DURRE MUKHTAAR...

POST - 13

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
JANWAR KI SING KA MASLA or
PET ME BACHCHA ... ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Jis jaanwar k paidaaishi sing na ho uski Qurbaani jaaiz hai....or sing the...magar toot gaye....agar jad k saath toote hai to Qurbaani na hogi or sirf uupar se toote hai...jad salaamat hai to ho jayegi.

▪ Qurbaani karte waqt jaanwar uchlaa kudaa jiski wajah se aib paida ho gaya to Qurbaani ho jayegi..... Or uchal kud se aib paida huwa or chhut kar bhaag gaya or foran pakad kar laaye or zabah kar diya to Qurbaani ho jayegi.

▪ Qurbaani kii..or us k pait mese zinda bachcha nikla to use bhi zabah kar dein or us ko bhi khaa sakte hai.. Or agar mara huwa bachcha ho to use pheink de k murdaar hai...Qurbaani ho gayi.

AALAMGIIRI....DURRE MUKHTAAR...BAHARE SHARIYAT...

POST - 14

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
DUSRE SE QURBANI Karwane mein ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Behtar ye hai k apni Qurbaani khud hi kare agar achchi tarah zabah karna janta ho ...or agar janta na ho to dusre ko zabah karne ka hukm de... lekin khud bhi haazir rahe...Ye behtar hai...

▪ Dusre se zabah karwaaya or khud apna haath bhi chhuri par rakh diya k dono ne mil kar zabah kiya to dono ko.... Bismillah...kehna WAAJIB hai... Agar dono mese aik ne bhi jaan bujh kar na padhi ya ye soch kar na padhi k dusre ne padhli hogi muje padhne ki zarurat nahi....in dono surton me jaanwar HALAAL na huwa..

AALAMGIIRI...DURRE MUKHTAAR....

POST - 15
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI Zabah karne me konsi
or kitni Ragein kaatni hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪  Allama Mufti Amjad Ali...alayhirrahmaan...farmate hai.. Jo ragein zabah me kaati jaati hain wo 4 hai...

🔸HULQUM...ye wo hai jisme saans aati jaati hai...
🔸MURI...isse khaana paani utarta hai...in dono k aas paas do ragein aur hai...jo khoon ki hai...

🔸In ragon ko WA DA JAIN kehte hai ...zabah karne mein in 4 ragon mese 3 ka kat jaana kaafi hai...matlab agar 3 bhi kat gayi jaanwar halaal ho jayega...or. Agar chaaron me se har aik rag  zyaadatar kat gayi jab bhi halaal ho jayega...or..agar..Aadhi aadhi har rag kati or aadhi BAAQI reh gayi to halaal nahi...

BAHARE SHARIYAT...

POST - 16

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
JAANWAR ZABAH Karne ka Tariqa
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Sunnat ye chali aa rahi hai k zabah karne waala or jaanwar dono ka rukh qible ki taraf hon... India me qibla maghrib ( west ) me hai..

▪ Isliye jaanwar ka sar junub ( south ) ki taraf hona chahiye ta k jaanwar ulte pehlu letaa ho or uski peeth mashriq ( east ) ki taraf ho ta k uska munh qible ki taraf ho jaye..or..

▪ Zabah karne waala apna siidha pair jaanwar ki gardan k sidhe hisse yani gardan k qarib pehlu par rakkhe or dua padhe .....fir...
Bismillah AllahuAkbar....padh kar zabah kare..

▪ Khud apna ya jaanwar ka munh qible ki taraf na kiya to makruh hai.

FATAWA RAZWIYA...

POST - 17

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI Ke Gosht k hisse kayse kare ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Qurbaani k gosht k 3 hisse kare...
  🔸1 hissa faqiiron ko de dein..
  🔸1 hissa doston or rishte daron ko
  🔸1 hissa apne ghar walon k liye rakkhein..

▪ Agar ghar waale zyada hon to kul ka kul ( saara gosht ) ghar me rakh sakta hai....kul gosht sadqa bhi kar sakta hai.

▪ Agar maiyat ki taraf se Qurbaani kii...to us gosht ka bhi yahi hukm hai jaise oopar bataaya gaya.... Or.. Agar maiyat ne kaha tha k meri taraf se Qurbaani kar dena to aysi surat me kul gosht sadqa kar de...

▪ Qurbaani agar maiyat ki hai to uska gosht na khud kha sakta hai na maaldaar ko khila sakta hai bal k usko sadqa kar dena waajib hai..

▪ Qurbaani ka gosht kaafir ko na de.

▪ Qurbaani karnewala bakraa Eid k din sabse pehle Qurbaani ka gosht khaaye...ye mustahab hai.

BAHARE SHARIYAT..

POST - 18

➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI ka Chamda...Jhol...
Rassi..In chizon ka kya kare...?
➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Chamda...Jhol...Rassi...In sab ko sadqa kar dein...chamde ko apne kaam me bhi le sakta hai....jaise Dol...Jaa-namaaz...Bichona...bana sakta hai...lekin bech kar uski qiimat apne kaam me lana jaaiz nahi...Agar bech diya to us qiimat  ko sadqa kar dena waajib hai.

▪ Chamda madarse me dena jaaiz hai....or agar madarse me dene ki niyyat se chamda bech kar qiimat madarse me de dein to ye bhi jaaiz hai.

▪ Qurbaani ka gosht ya chamda qasaab ko khaatki ko ya zabah karne waale ko mazdoori me nahi de sakte or ujrat ( badle ) me bhi nahi.

AALAMGIIRI...  BAHARE SHARIYAT...
DURRE MUKHTAR... QANUNE SHARIYAT

POST - 19

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI Ke Janwar Par zulm na kare
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Zabah karne k baad jab tak jaanwar thanda na ho us par se chamda utaarne ya aaza ( body parts ) alag karne ki ujlat..utaawal..na karein.

▪ Aaqa...sallallahu alayhi waalihi wasallam...ne jahannam me aik awrat ko is haal me dekha k...Wo latki hui hai or aik billi us k chehre or siine ko noch rahi hai...use waise hi azaab de rahi hai jaise us awrat ne duniya me us billi ko qaid kar k or bhuka rakh kar use taklif di thi...Is riwaayat ka hukm tamaam jaanwaron k haq me aam hai.

▪ Aik baar hamare Aaqa...sallallahualyhiwasallam...aik aadmi k paas se guzre. Wo bakri ki gardan par pair rakh kar chhuri tez kar raha tha or bakri uski taraf dekh rahi thi... Aaqa ne irsaad farmaya...Kya tum pehle aysa ( chhuri tez ) nahi kar sakte the..?..kya tum ise kaiein motein maarna chaahte ho..?...ise litaane se pehle apni chhuri tez kyun na kar li..?

▪ Siyeduna Faaruqe Azam....radiyallahu taala anh...ne aik shakhs ko dekha jo bakri ko zabah karne k liye use taang se pakad kar ghasiit raha hai..Aapne usse kaha...tere liye kharaabi ho...ise mot ki taraf achche andaaz me le ja.

▪ Kisine khwaab me Imam Ghezaali...alayhirreahman...ko dekh kar pucha k...Allah ne aap k saath kya maamla farmaya..?..jawab diya... Allah ne muje bakhsh diya or wajah batate huwe farmaya.. Aik baar aik makkhi siyahi ( ink ) piine k liye mere qalam ( pen ) par beth gayi..me likhne se ruk gaya yahan tak k wo siyahi pii kar ud gayi...

🔻SUBHANALLAH...aik makkhi par taras khaane ki wajah  se najaat ho gayi...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ NOTE....   To jaanwaron par tashaddud..sakhti se bachna chahiye...ye amal hamari aakhirat ki barbaadi ka sabab ban sakta hai.

AZ ZAWAAJIR...
SUNANUL KUBRA-BAYHAQI..
LATAAIFUL MINAN WAL AKHLAAQ LISH SHERAANI...

POST - 20

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
HISSE WAALI QURBAANI K BARE ME
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Hisse waali Qurbaani me hissa lenewale tamaam 7 log ahle sunnat wajamaat hon...7 hisse mese aik bhi koi bad aqidah jiski bad aqiidgi hadde kufr tak pohnch chuki ho...Wo...Ya koi bhi...jo ahlesunnat k aqidon ko ghalat kehnewala ho...agar shaamil ho gaya to kisi ki bhi Qurbaani na hogi.

▪ Hisse waali Qurbaani me sab ki niyyat Allah ki raza ho...agar kisi aik ki bhi niyyat gosht haasil karna hogi to kisi ki bhi Qurbaani na hogi.

▪ Hisse waali qurbaani k jaanwar ko khud bhi apni aankhon se dekh le k 2 saal se kam umar ka na ho..Agar 2 saal se aik din bhi kam umar hoga to Qurbaani na hogi.

▪ Qurbaani ki Gaay ya Uunt me aqiqe ka hissa bhi dala ja sakta hai.

QANUNE SHARIYAT...BAHARE SHARIYAT...

POST - 21

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI Hisse-wali ka Gosht
kaise Taqsim karna hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Agar hissewaali Qurbaani kii..to zururi hai k gosht wazan kar k 7 hisse alag alag kiye jaayein...andaaze se taqsim karna jaaiz nahi or agar andaaze se hisse kiye to gunahgaar honge.

▪ Ba-khushi aik dusre ko kam zyaada maaf kar dena bhi kaafi nahi...agar sab aik hi ghar me rehte hain  k mil..baant kar hi khaayenge..sab hissedaar apna apna hissa lena nahi chaahte to aysi surat mein wazan karne ki zarurat nai.

BAHARE SHARIYAT...

POST - 22

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBAANI... hisse-wali k hisse
alag karne k 2 Tariqe..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ PEHLA...tariqa...zabah k baad us janwar ( uunt..gaai..bhens ) ka saara gosht aik ayse baaligh musalman ko hiba kar dein ( maalik bana dein ) jo unki Qurbaani me sharik ( shamil ) na ho...or...Ab wo andaaze se sab me taqsiim kar sakta hai.

▪ DUSRA...tariqa.....isse bhi aasaan hai...gosht taqsiim se pehle usme dusri jins...jaise....KALEJI...MAGHAZ...milaa dein...to ab andaaze se taqsim kar sakte hain.

▪ Agar kayin chiizen daali hai to har aik me se sab ko sab mese tukda tukda dena zaruri nahi.

▪ Gosht k saath sirf aik chiiz bhi dena kaafi hai...jaise...TILLI...KALEJI...SIRRI...PAAYE...daale hai to gosht k sath kisi ko tilli..kisi ko kaleji...kisi ko paaye...kisi ko sirri to bhi sahi taqsiim ho jaayegi.

DURRE MUKHTAAR...

POST - 23

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QUBAANI k janwar...ya koi bhi
HALAAL jaanwar ki wo chizein K..
★ Kuch HARAAM...
★ Kuch MAMNU...
★ Kuch MAKRUH hain ...unki tafsiil...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

🔸Ragon ka khoon..
🔸Pitta..
🔸Phukna..Masaana..
🔸Maadah ya Nar hone ki nishani..
🔸Baide...( Kapure )...
🔸Ghudood...
🔸Haraam maghaz..
🔸Gardan k 2 putthe jo shaano tak khiche hote hai..
🔸Jigar..Kaleji..ka khoon..
🔸Tilli ka khoon..
🔸Gosht ka khoon k zabah hone k bad nikalta hai.
🔸Dil ka khoon..
🔸Pit...wo pila paani jo pitte me hota hai.
🔸Naak ki ratubat...riinth..
🔸Paakhaane ka maqaam..
🔸Ojhdi..hojdi..
🔸Aantein..
🔸Nutfaa.....Mani..
🔸Wo Nutfaa jo khoon ho gaya..
🔸Wo Nutfaa jo gosht ka lothda ho gaya.
🔸Wo Nutfaa k poora jaanwar ban gaya or murda nikla ya zabah kiye baghair mar gaya.

FATAWA RAZWIYA...

POST - 24

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi bhi halaal jaanwar ya murghi ki
Wo chiizein jo nahi khaani chahiye
Aaj kal be khabri mein pakaayi
or khaayi jaati hai Un chizon ki tafsiil
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Zabah k waqt jo khoon nikalta hai usko ...dame masfuh...kehte hai..ye naapaak hota hai iska khaana haraam hai.

▪ Zabah k baad jo khoon gosht me reh jaata hai...jaise gardan k kate huwe hisse par.....dil k andar...kaleji or tilli me or gosht k andar ki chhoti chhoti ragon me...Ye sab naapaak to nahi magar is khoon ka bhi khaanaa mamnu hai...isliye pakaane se pehle khoob achchi tarah safaai kar lein.

▪ Pakne k bad wo ragein kaali dori ki tarah ho jaati hain...khaas kar Bheje..Sirri..Paaye or Murghi ki raan or Par k gosht me baarik kaali doriyan dekhi jaati hai..khaate waqt inko nikaal dein... Murghi ka dil bhi poora ( bina kaate ) na pakaayein...lambaai me 4 chiire kar k iska khoon saaf kar lein.

▪ Ye safed dore ki tarah hota hai jo bheje se shuru ho kar gardan k andar se guzarta huwa poori riidh ki haddi me aakhir tak jaata hai.

▪ Aksar maahir cuting karne wale ise nikaal lete hai..magar ye bhi dekha gaya k be ehtiyati ki wajah se thoda bohot reh jaata hai or pak bhi jaata hai.

▪ Chaanp...Gardan or Kamar ka gosht dhote waqt haraam maghaz talaash kar k nikaal diya karein.

▪ Ye chiiz murghi or dusre parindon ki gardan or riidh ki haddi me bhi hoti hai...pakaane se pehle isko nikaalna muskil hai isliye khaate waqt nikaal dena chahiye.

NOTE;
Tamam Masail Ulmaon Se Tehkik Shuda Hain ...

POST - 25

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi bhi halaal jaanwar ya murghi ki
Wo chiizein jo nahi khaani chahiye
Aaj kal be khabri mein pakaayi
or khaayi jaati hai Un chizon ki tafsiil
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Gardan ki mazbooti k liye uski dono taraf piile rang k 2 lambe lambe putthe kandhon tak khinche huwe hote hai...inka khaana mamnu hai.

▪ Gaay or Bakri k aasaani se nazar aate hai....magar murghi or dusre parindon k nazar nahi aate...khaate waqt dhoond kar ya kisi jaanne wale se puch kar nikal dein

➖➖➖➖➖
KAPURAA...کپورا
➖➖➖➖➖
▪ Kapure ko khusye...fote..ya baidah bhi kehte hai..inka khaana makroohe tehrimi hai...ye Bel...Bakre...me saaf nazar aate hai...murghe ( nar ) ka pet khol kar aantein hatayein to piith k andar ande ki tarah 2  biij nazar aate hai..ye kapure hai..inko nikaal dein.

▪ Afsos musalmano ki kuch hotelon me dil kaleji k alawa bakre bel k kapure bhoon kar pesh kiye jaate hain.....AFSOS.

➖➖➖➖➖➖
OJHDI...hojdi..اوجھڑی
➖➖➖➖➖➖

▪ Ojhdi k andar ghalaazat ( naapaaki ) bhari hoti hai...iska khaana makroohe tehrimi hai...magar bohot se log shokh se khaate hai.

NOTE;
Tamam Masail Ulmaon Se Tehkik Shuda Hain ...

POST - 26

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
QURBANI Ke Masaail...
JAANWAR ki umar mein SHAK ho to ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Saal bhar se kam ki bakre ki Qurbaani ya aqiqah nahi ho sakta...Or agar shak ho to wo bhi aysa hi hai jayse saal bhar ka nahi hai..

▪ Jaanwar bechne waale ka kehna kaafi nahi...k bikne me uska profit..nafa hai..isliye zaruri nahi k wo ( duniya daar jisko diin O aakhirat ka koi shuoor O parwah nahi ) sach hi bole.

FATAWA RAZWIYAH...
Vol. 20,  Page. 583 - 84
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

▪ Agar 1 saal ka bakra jo daant todta hai wo daant tode hai to ho jayegi...or..

▪ Agar daant nahi tode to nahi hogi... Qasaai ya jo janwaron k maahir or bharose k log hon unko dikha dein...

BAHARE SHARIYAT..

POST - 27

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
AQIQE me kitne jaanwar hon..? عقیقے کے مسائل
➖➖➖➖➖ ➖➖➖➖➖➖➖➖

🔸Ladke k liye 2
🔸Ladki k liye 1

      Sarkaare AalaHazrat...alyhirrehman...farmate hai...K..Dono k liye kam se kam 1 janwar to hai hi or bete k liye 2 ho to afzal hai...taaqat na ho to 1 bhi kaafi hai....
▪ Aqiqe ka jaanwar bhi aysa hi ho jaysa Qurbaani k janwar hota hai...be aib saal bhar agar bakra ho or 2 saal agar gaay ho...

▪ Agar gaay hai to usme Qurbaani ki tarah 7 aqiqe ho sakte hai.

▪ Aik hi jaanwar me Qurbaani or aqiqe dono saath me ho sakte hai ( 7 hisse )

FATAWA RAZWIYAH...

KHUSUSI DHYAAN DEIN
➖➖➖➖➖➖➖

▪ QURBAANI...Topic k zyadatar wo masaail jin ki aam aadmi ko zarurat padti he zikr ho chuke

▪ QURBAANI k or zyada masaail tafsil se jaanne k liye.... Bahaare Shariyat....Vol. 3 Ka Muta'ala Kijye
    
▪ Jo masaail bataaye gaye in k siwa koi alag surat saamne aaye to....

ULMAAE KIRAAM SE RUJU KAREIN

POST - 28

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MURTAD (Deen Se Phira Hua)
Bad-Mazhab (Wahabi, Deobandi)
Ke Hath Se Qurbani Karwana Kaisa Hai ?
➖➖➖➖➖ ➖➖➖➖➖

Sawal :
=====

Agar Murtad Ya Bad-Mazhab Bismillahi Allahu Akbar Keh Kar Qurbani Ka Janwar Zabah Karey To Kya Qurbani Hojayegi ?

Jawab:
=====

Qurbani Nahi Hogi...
Or Us Janwar Ka Gosht Khana Bhi Haram Hoga. Chahey Janwar Qurbani Ka Ho Ya Koi Aur (market wàla). Agarcha usney Bismillahi Allahu Akbar Padh Kar Murgi (Chicken) Zabah Ki To Wo Bhi Haram Hai. Iskey Hath Se Qurbani Karwana Misl-e-Murdar Hai.


BAHAR-E-SHARIAT , HISSA-9, PG. 177
FATAWA ALAMGIRI, VOL.2, PG. 255

Posting 🔚🔚🔚

➖➖➖➖➖➖
DUA KI DARKHWAST
➖➖➖➖➖➖

Aap tamam se guzarish he k ye masaail aap tak ponhchane k lie jinho ne mehnat ki he aap sab unke lie dua farmae k Allah unki mehnat qubool farmae,unki jaez duae qubool ho,or isi tarah deeno sunniyat ki khidmat karne ki taufiq ata farmae.

Or bil-khusoos mere haq me dua farme Allah tamam mushkilaat ko aasan farmae.or maqaasid me kamyabi ata farmaye.
Aameen...

No comments:

Post a Comment