Pages

Saturday, September 30, 2017

Ashura 10 Muharram Ki Fazeelate

🔮ASHURA  (10 MUHARRAM) KI FAZEELATE AUR SAIYEDNA IMAM-E-HUSSAIN رضی الله عنہ KI KUCH KARAMATE.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 01.

ASHURA KE DIN KI ITNI FAZEELAT KYU ❓❓❓

🎴10 MUHARRAM KE DIN ARSH, KURSI, AASMAN, ZAMEEN, SOORAJ, CHAND,SITARE, AUR JANNAT PAIDA KIYE GAYE..

🀄AASHURA K ROZ AADAM عليه السلام  KO PAIDA KIYA GAYA, ISI DIN UNHE JANNAT ME DAKHIL KIYA GAYA AUR ISI DIN APKI TOUBA BHI QABOOL KI GAYI .

🎴ASHURA K ROZ HAZRATE IBRAHIM عليه السلام PAIDA HUWE ISI DIN UNHE AAG SE NIJAT MILI..

🀄ASHURA K ROZ HAZRATE IDREES عليه السلام KO MAQAME BULAND KI TARAF UTHAYA GAYA..

🎴ASHURA K DIN AYYUB عليه السلام KI TAKLIF RAF 'A KI GAI.

🀄AASHURA K DIN YUSUF عليه السلام GEHRE KUNWE SE NIKALE GAYE.

🎴AASHURA K DIN YUNUS عليه السلام MACHHLI K PET SE NIKALE GAYE.

🀄ASHURA K DIN YAQOOB عليه السلام KI BINAAI KA ZUAF DOOR HUWA..

🎴AASHURA K DIN SULEMAAN عليه السلام KO MULKE AZIM ATA KIYA GAYA...

🀄AASHURA K DIN NOOH عليه السلام KI KASHTI KUHE JUDI PAR THAHRI..

🎴AASHURA K DIN MOOSA عليه السلام OR AAP KI UMMAT KO NAJAT MILI OR FIRON APNI QOUM SAMET GARAQ HUA...

🀄AASHURA K DIN ISAA عليه السلام PAIDA KIYE GAYE OR ISI DIN UNHE AASMANO KI TARAF UTHAYA GAYA..

🎴AASMAN SE ZAMEEN PAR ISI DIN SABSE PEHLI BARISH NAZIL HUYI..

🀄AUR ISI DIN KA ROZA UMMATO ME MASHOOR THA YAHA TAK KE YE BHI KAHA GAYA HAI KI IS DIN KA ROZA MAHE RAMZAN SE PEHLE FARZ THA FIR MANSOOKH KAR DIYA GAYA AUR HUZUR ﷺ NE HIJRAT SE PEHLE IS DIN KA ROZA RAKHA...

📚(MUQASHAFATUL QULUB)

🎴AUR SAIYED'USH'
SOHDA SEHZADA-E-RASOOL SAIYEDNA IMAM-E-HUSSAIN رضی الله عنہ AUR AAPKE JA'NISARO NE ISI DIN MEDANE KALABALA ME EK AZEEM SAHADAT KA JAAN NOSH FARMAYA JISKI MISAL AAJ BHI DUNIYA ME QAYAM HAI.....

🔮Note :- Ala Hazrat Par Aitraz ke Jawab Moharram bad Wapas Shuru Kiye Jaenge....

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 02.

MUHARRAM KA MAHINA...

🎴Ameer'ul'Momineen Saiyedna Usman Ghani رضی الله عنہ Farmate hai Ke Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya...

🀄Muharram Ke Mahine ki Izzat-Wa-Takrim Karo, Ye Allah Taa'la ka Mahina hai, Jisse Muharram Ke Mahine ki Taa'zim O Toukir ki Allah Taa'la Use Jannat Me Izzat Wa Takrim Se Nawazega...

🎴Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya "Jisne Zull'Hijjah Ke Mahine ke Bad Aakhri Din Aur Muharram Sharif ke Pehle Din Roze Rakhhe, Goya Usne Saal Bhar Roze Rakhe Aur Uske 60 Saal ke Gunaah Baksh Diye Jaenge...

🀄Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jisne Muharram Sharif ke Mahine Ki Pehli, 10vi aur Aakhri Tarikh Ke Roze Rakhe Allah Taa'la Use Jannat Me Ese 30 Sehar Ata Farmayega ke Jiske Har Mehal me 30-30 Kamre Honge Aur Har Mehal Me Mukhtalif Darje Honge, Jinme Ese Baagat Honge Jisme Nehre Jari Rahegi Aur Hoor-O-Gilma Khidmat ke Liye Hazir Rahenge...

🎴Aage Irshad Farmaya "Jisne Muharram Sharif ke Mahine Ke Pehle 10 Din Roze Rakhhe Goya Usne 10,000 Saal Esi Nafil Ibadat Ki Ke Raate Qayam Me Aur Din Roze me Guzara...

🀄Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke "Jo Saksh Apne Wajood Par Dozakh Ki Aag Haram Karna Chahta hai Usko Chahiye Ke Muharram Sharif Ke Roze Rakhhe...

🎴Aage Irshad Farmaya "Muharram ke Mahine Ke Jumma ki Raat me Ibadat Karne Wala Esa hai Jese Use Shabe Bar'at Naseeb Huyi....

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 03.

⛺ASHURA KI FAZEELAT...

🎴Hazrate Ibne Abbas رضی الله عنہ Se Marvi hai ke Huzur ﷺ Madina Munawwara Tashrif Laye To Apne Yahood ko Ashura Ke Din Ka Roza Rakhte Dekhkar Pucha ki Tum Is Din Roza Kyo Rakhte ho???

🀄Unhone Jawab Diya Ki Ye Esa Din hai Jisme Allah Taa'la ne Moosa Aleyhissalam Aur Bani Israeel Ko Fir'on Aur Uski Qoum Par Galba Farmaya Tha Lihaza Hum Tazeeman Is Din Ka Roza Rakhte hai, Ispar Huzur ﷺ Ne Farmaya Ki Hume Moosa Aleyhissalam Se Nisbat Jyada Qareeb Hai Chunache Aapne Bhi Us Din ka Roza Rakhne ka Huqm Diya...

🎴Jab Aap Madina Munawwara Tashrif Laye To Is Din ki Justaju ki Taqeed Ki Yaha Tak Ke  Aakhri Umr Sharif Me Farmaya Ki Agar Me Aainda Saal Tak Zinda Raha to Aainda 9 Zill Hijja Aur 10 Muharram Ka Roza Rakhunga Magar Apne Usi Saal Wisal Farmaya Aur 9vi ke Siwa 10vi ka Roza Na Rakh Sake Magar Apne Is Din 9vi Aur 10vi Aur 11vi Muharram Ke Dino me Roza Rakhne Ko Pasand Farmaya...

🀄Jesa ke Farmane Nabawi hai Is Din se Ek Din Pehle Aur Ek Din Bad Roza Rakho Aur Yahood Ke Tarike ki Mukhalifat Karo Kyonki Woh Ek Din hi ka Roza Rakhte the....

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 04.

ASHURA KI FAZEELAT...

🎴Behayki Ne Sho'abul Imaan Me Riwayat Naql Ki hai Ki Jisne Ashura Ke din Apne Ghar walo Aur Ahal-Wa-Ayal Par Wus'at ki Allah Taa'la Uske Sare Saal Me Wus'at Aur Barkat Ata Farmata hai...

🀄Tabrani Ki Ek Munkar Riwayat Me hai ki Is din me Ek Dirham Sadqa Karna 7 Lakh Dirham Ke Barabar hai Aur Woh Hadees Jisme hai Ki Jisne Is Din Surma Lagaya Woh Is Saal Aankhe Dukhne se Mehfooz Rahega Aur Jisne Is din Gusl Kiya Wo Bimar Nahi Hoga...

🎴Wazeh Ho Ki Is Din Hazrate Saiyedna Imam-E-Hussainرضي الله عنه Ki Sahadat Ka Din hai Iski Azmat, Raf'at, Allah ke Nazdik Uske Darja Aur Ahle Bait ke Maratib Se Is Din Ka Talluk Hai..

🀄Khaas Tor par Khayal Karo Ke Kahi Rafzi Ki Biddato me Mashgool Na Ho Jao Jesa ki Wo Log Unke Hum Misl Rona,Pitna,Aur Ghum Ka Izhar karna Kyonki Ye Cheeze Momino Ke Akhlak Se Bahar hai.

🎴Agar Ye Cheeze Acchi hoti to Unke Nana'jaan Huzur ﷺ Ka Youme Wisal In Umoor Ka Batrike Aula Mustahik hota Aur Hume Allah Kafi hai Aur Wahi Umda Madadgar hai...

📚(Mukashifat'ul'Quloob)

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 05.

10 MUHARRAM SHARIF KA ROZA....

🎴Jo Shaks Dozakh Ki Aag Apne Upar Haram Karna Chahe
Wo Maah-E-MUHARRAM Ke Roze Rakhe..

📔(ANISUL WAYEZEEN)

🀄Jo Shaks Yaum-E-Aashura ISMAD SURMA Aaankho Me Lagaye
To Uski Aankhe Kabhi Nahi Dukhegi...

📘(SHAUBUL IMAAN JILD-3 SAFA-367 HADEES-3797)

🎴Jis Ne Aashura Ki Sham Kisi Momeen Ki Roza Iftar Karaya
Usko Puri UMMAT Ko Roza Iftar Karane Ka Sawab Milega...

📓(GUNYATUT TALIBIN)

🀄10 MUHARRAM KE DIN 4 NAFL PAHE
ALHAMDU KE BAAD QUL HUWALLAH 11 MARTABA PADHE
50 SAAL KE GUNAH
MAAF HOTE HAI..

📕(NazhatuL Majaalis J-1,S-146)

🎴Huzur Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Farmaya "Jis Musalman Ne 10 Muharram Ka Roza Rakha Uske Nama'e'Aamal Me Esi 60 Saal ki Ibadat Ka Sawab Likkha Jaega Ke Usne Har Shab Qayam Kiya Aur Har Din 60 Saal Tak Roze Rakhe...

🀄Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jo Musalman 10 Muharram Ko Roza Rakhe Use Dozakh Ki Aag Hamesha-Hamesha Ke Liye Choo bhi nahi Sakti...

🎴Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jis Musalman Ne 10 Muharram ko Qur'ane Kareem ki Kum se Kum 10 Ayate Tilawat Ki Use Pure Saal Qurane Paak Ki Tilawat Ka Sawab Milta Rahega...

🀄Aur Is Din ki Ek Neki 10,000 Neki ke Barabar Hoti hai Aur Is Din ke Roze ka Sawab 700 Saal ki Ibadat Ke Sawab Ke Barabar Ata kiya Jata hai Aur Us Saksh Ko Allah Taa'la Gunaho se Paak Farma Deta hai...

📖(Fazaeel-O-Aa'male Ashura, Safa-09-10)

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 06.

HASNAIN KARIMAIN KI SHAF'AT...

🎴Riwayato me Milta Hai ke Jo Imandar 10 Muharram Ke Din 4 Raq'at Nafil Ada Kare Uska Sawab Hazrar Imam Hasan Aur Hazrat Imam Hussain رضي الله عتهما Ki Bargah me Nazr Kare to Roze Qayamat Ye dono Imam Us Khush naseeb Saksh Ki Shaf'at Karke Jannat me Dakhil Karaenge....

🀄Is 4 Raq'at Nafil Ada Karne ka Tarika Ye hai Ke Har Raq'at Me Sureh Fatiha ke Bad 15 Martaba Sureh Ikhlas (Kul huwallah Sharif) Padhe....

🎴Hazrat Shaikh Shibli رضی الله عنہ Ne Ye 4 Raq'at Nafil Ada Karke Hazrat Hasnain Karimain Ki Bargah Me Iska Sawab Naze kiya To Unhe Khawab Me In Dono Imamo ki Ziyarat Naseeb Huyi Aur In Dono Imamo ne Unhe Basharat Di ke...

🀄AYE SHAIKH SHIBLI HUM TUMHE QAYAMAT KE DIN APNE SATH JANNAT ME LE JAENGE AUR YE SIRF TUMHARE LIYE NAHI BALKE JO BHI MUSALMAN HUMARI MUHABBAT ME YE AMAL KAREGA HUM USKI SHAF'AT KARKE JANNAT ME LE JAENGE...

🎴Huzur ﷺ Ne Farmaya "Jisne 10 Muharram ko Kisi Yateem ke Daste Shaf'qat Fera Use Har Baal ke Badle Ek Darja Ata hoga....

📖(Fazaeel-O-Aa'male Ashura, Safa-10'11)

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 07.

YOUME ASHURA KE KUCH AA'MAL...

🎴Kafi Ahadees Me Marvi hai Ke Ashura Ko Itni Bato Ka Lihaz Rakhe...

①.Is Din Ka Ehtaram Kare, Gusl Kare Aur Paak Saaf Rahe..

②.Roza Rakhe Aur Mehmano ke Sath Iftar Kare..

③.Buri Bato se Zaban Ko Roke..

④.Ahlo Ayal Par Kushada Dili se Kharch Kare..

⑤.Sulah Rehmi Kare, Aizza Wa Akarba Se Nek Sulook Kare..

⑥.Fukra Par Sadqa Kare Aur Unse Muhabbat se Pesh Aaye..

⑦.Musalman Bhaiyo Se Mulakat Kare Aur Ulma-Wa-Sulha ki Ziyarat Ko jaye..

⑧.Salam Me Sabkat Kare Aur Sabse Muhabbat se Pesh Aaye...

⑨.Dushman se Sulah Joyi Kare...

⑩.Jis Rishtedar Se Talluk Toot Chuka ho Use Jodne ki Koshish Kare...

⑪.Hajamat Banwaye Aur Bula Qasd Zebaish Saaf Suthre Kapde Pehne...

⑫.Bhooke Ko Khana Khilao Aur Pyase Ko Pani Pilao...

⑬.Janaze ke Sath Jao..

⑭.Yateem Ke Sar par Hath Fere Ya'ni Uski Imdad-W-Ia'nat Kare..

⑮.Maa Baap Ki Khidmat Kare Aur Unki Duwaye Le..

⑯.Apne Gunahi se Sacche Dil se Touba Kare Aur Rokar Duwaye Mange..

⑰Bargahe Rabb me Apne Walidain Aur Apne Rishtedaro ki Magfirat ki Duwa Mange....

📖(Fazaeel-O-Aa'male Ashura, Safa-13-14)

➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Part :- 08.

⛺AASHURA KE DIN HIRNIYA APNE BACCHO KO DOODH NAHI PILATI...

🎴Sarkar Saiyedna Khawaza Nijamuddin Auliya رضی الله عنہ Ne Farmaya Shekhul Islam Wal Muslimin Hazrat Baba Farud-Uddin Mas'ood  Ganje Shakar رضی الله عنہ Farmate hai...

🀄AASHURA KE ROZ JUNGLE KI HIRNIYA BHI KHANDANE RASOOLALLAH ﷺ KI DOSTI KE SABAB APNE BACCHO KO DOODH NAHI PILATI FIR US DIN KE ROZE KO KYU CHODE...

📚(RAHAT-UL-QULOOB)

⛺HOOR NE KAHA ME AASHURA HU...

🎴Misr me Ek Saksh Tha Jiske Pas Ek Kapde ke Siwa Kuch Na tha Usne Aashura Ke Din Masjide Hazrat Amr Bin Aas Me Subha ki Namaz Padhi Waha Qayeda Ye tha ke Ashura ke Din Aurte Us Masjid me Jaya Karti thi..

🀄Ek Aurat ne Us Saksh Se Kaha Ke Allah ke Liye Mere Baal-Baccho Ke Liye Kuch De do Us Saksh Ne Kaha Acha Mere Sath Chalo, Ghar ke Andar Jakar Us Saksh ne Apna Wo Kapda Utara Aur Darwaze ki Daraz Se Us Aurat ko De Diya Us Aurat Ne Duwa di ke Allah Tujhe Janant ke Hulle(Jannat Ka Zewar) Pehnaye..

🎴Usi Raat Us Saksh Ne Khawab me Nihayat Khubsurat Hoor Dekhi Us Hoor Ke Pas Ek Saib(Apple) Tha Usne Us Saib ko Toda To Usne Ek Hulla Paya Us Saksh ne Hoor se Pucha Tu Koun hai ?? To Hoor ne Jawab Diya Me Aashura hu Jannat me Teri Biwi Fir wo Saksh Bedar Huwa To Apne Pure Ghar ko Khushbu se Mehakta paya...

🀄Wuzu Karke 2 Raq'at Namaz Padhi Aur Duwa Ki Aye Allah Agar Waqayi Wo Jannat Me Meri Biwi hai To Meri Rooh Qabz Kar Le Aur Muje Uske Pas Pahucha de Allah Taa'la Ne Uski Duwa Qabool Farma Li Wo Saksh Usi Waqt Inteqal Kar gaya Goya Pahucha Marerz Apne Masiha ke Pas...

📚(Nuzhatul Majalis)

🔵Sabit Huwa ki Ashura Ke Din Garib-O-Miskeen Ko Sadqa Karna Aur Unki Iyadat Karne Ki Fazeelat kitni Jyada hai....

No comments:

Post a Comment