Pages

Friday, May 6, 2016

HAIZ KE MASAIL QURA'AN O HADEES SE

🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥
HAIZ K MASAIL QURA'AN o HADEES SE
🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥

⚓ Tumse   (Nabi sallallahu alaihi wasallam) puchhte hai haiz ka hukm tum farmao wo naapaki hai to aurto se alag raho HAIZ ke dino me aur unse Nazdiki nakaro Jabtak wo paak naho le

📚 QURAN   2:   222

Allah ne is ayat ke zariye logoko bata dia ke haiz k dino me aurto se sirf SHOHBAT(humbistari) karna jaiz nahi baaqi sab ta’aluqat jaiz he

📚 MUSLIM  SHREEF

⚓ Zamana e jahaliat me arab ke log jab aurte HAIZ ki haalat me hoti to unke sath khana,pina, uthna,bethna yahan tak ki dekhna bhi haraam samajhte The

📚 MUSLIM  SHREEF

HAIZ  (menstruation) KISE KEHTE HAIN? BALIGA aurat ke aage ke Mukam se jo khoon Aadatan Nikalta hai Bimari ya bachcha paida hone ki wajah se naho use HAIZ kehte hai

HAIZ va NIFAS ke dino me aurato par Namaze Muaaf he inki Kazaa Bhi nahi Albatta rozo ki kazaa Dusre dino me Rakhna farz Hai

📚 BAHAARE SHARIAT

⚓ Agar bimari ki wajah se khoon nikle use ISTEHAZA kehte hai (wo khun jo bimari ki waja se haiz k dino k siwa aur dino me bi aata he)

📚 BAHAARE SHARIAT

⚓ NIFAS KISKO KEHTE Hai?   Bachcha paida hone ke baad jo khoon aata hai use NIFAS kehte hain iska time zyada se zyada 40din raat aur kam ki koi muddat nahi

⚓ ISTEHAZA KISE KEHTE HAI? Wo khun jo aurat k Aage k MuQaam se nikle aur HAIZ va NIFAS ka na ho to wo ISTEHAZA Kehlata hai

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2

Mas’ala: …. ISTEHAZA me na NAMAZ muaaf hai na ROZA han Aisi aurat se SHOHBAT(Humbistari) karna jaiz Nahi HARAM hai.

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2

HAIZ Aane ki umar (age) kam se kam 9 saal ki umar se HAIZ shuru ho jaata hai, aur zyada se zyada 55 saal ki umar me hota hai

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2

Mas’ala...   agar ladki ko 9 age se kam umar me khun aye to wo ISTEHAZA kehlaega (yani bimari k sabab)

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2

⚓Dusri behno ko msail bataye ...  Agar kisi aurat ko 55 saal ki umar k baad khun aya han agar pahle ki trah khoon aye jaise pehle ata tha usi rang ka to HAIZ kehlaega

📚 BAHAARE SHARIAT

⚓ LADIES MASAIL:     bachche ki pedais     (birth)   k baad jab bhi khoon band ho jae gusal krke namaz shuru krde

📚 BAHAARE SHARIAT   40din tak napaak rahna lazmi  (zaruri) nahi

HEALTH:      Bachche k paida hone k bad bahut tez roshni wali jagah me rakhne se bachche ki nigah kamzor ho jati He ISPAR AmaL karen &  DUSRO KO BATAYE

HAIZ va NIFAS wali aurat ko QURAN k elawa aur tamam zikr durud sharif kalma bagerah padna jaiz aur behtar he aur unka chhoona bhi jaiz

📚 BAHAARE SHARIAT

HAIZ wali aurat ko 3 din se kam khoon akar band ho Gaya to ROZE rakhe aur wuzu karke NAMAZ pade Nahaane ki zrurat nahi

📚 BAHAARE SHARIAT  PAGE 89

HAIZ va NIFAS ki halat me aurat ko NAMAZ padna ROZA rakhna haraam hai agar roze ramzan k mahine ke ho to dusre dino me rakhna FARZ he

📚 BAHAARE SHARIAT

HAIZ va NIFAS wali aurat ko QURAN k elawa aur tamam zikr darud sharif kalma bagerah padna jaiz aur behtar he aur unka chhuna bhi jaiz

📚 BAHAARE SHARIAT

HAIZ va NIFAS ke dino me aurato par Namaze Muaaf he inki Kazaa Bhi nahi Albatta rozo ki kazaa Dusre dino me Rakhna farz Hai

📚BAHAARE SHARIAT

HAIZ va NIFAS ki haalat me aurat ko NAMAZ padna ROZA rakhna haraam hai agar roze ramzan k mahine ke ho to dusre dino me rakhna FARZ he

📚 BAHAARE SHARIAT

HAIZ ki muddat   (time) kam se kam 3 din 3 raten yani pure 72ghante 1 minut bi kam he to HAIZ nahi zyada se zyada 10 din 10raten

📚 QANUNE SHRIAT

72ghante se zara bi pahle haiz khatam ho jae to haiz nahi balki ISTEHAZA he han agar subah ki kiran chamakte hi shuru hua aur 3din raten puri hokar kiran chamkne hi k waqt khtam hua to haiz hai aur is surat me 72ghante hona zruri nhi ksi aur waqt shuru hoto ghante hi shumar honge 10 raat,10 din se kuch bhi zyada khoon aya to agar ye HAIZ pehli bar use aya to 10 din tak HAIZ uske baad ka ISTEHAZA kehlayega

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 81

⚓ Agar pahle usey HAIZ aa chuka adatan 10din se kam Aata Tha to Jitna ziyada ho ISTEHAZA kehlaega 5din ki adat thi 10din aya to 5din HAIZ 5din ISTEHAZA

Mas’ala     ye zaruri nhi k HAIZ k Dino me Har waqt khoon Jari rahe tabhi HAIZ ho Balki Agar kisi kisi waqt Aye tab bhi HAIZ kehlayega

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2

Mas’ala     2  HAIZ k darmiyan kam se kam 15 din ka faasla hona Zruri he Yun hi NIFAS va HAIZ k Darmiyan bhi 15 din ka fasla Zruri hai

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2

⚓ Jis aurat ko pehli bar khun aya aur uska silsila Mahino ya saalo tak brabar Zaari rha bich Me 15din k lie bhi na ruka to jis dinSe khoon aana shuru hua 10 din tak HAIZ maana jayega 20din ISTEHAZA ye NIYAM har mahine zaari rahega

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2

⚓Aur agr usse pehle HAIZ aaChuka h to usse pehle jitneDin haiz ata Tha har 30din me utne hi din HAIZ k samjhe jaenge baqi din ISTEHAZA kehlaega Agr HAIZ & NIFAS khtam hone k bad itnaWaqt h ki Nahakr aur kapde pahenkr 1 bar ALLAHU AKBER keh skti h to us Waqt ki Nmaz farz hoGai KAZAA pade

⚓ jis aurat ko 3 din raat k baad HAIZ band ho gya aur aadat k din abhi pure na hue to GUSAL karke namaz pade aadat k din tak intezar zruri nAhi

HAIZ pure 10 din aur NIFAS 40din par khtam hua AUR NAMAZ k waqt me agAr itna b baaki ho k ALLAHU AKBER ka lafz kahe to usWaqt ki Namaz farz ho Gayi

HAIZ k rang 6 hain    1=kaala    2=hara 3=zard      4=Gadla    5=matila     6=surkh (RED)    Safed(white)    rang ki ratubat haiz nahi,

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2 PAGE 82

⚓ 10 din k andar Ratubat me zara Bi melapan h to wo haiz h aur 10din rat ke bad bi melapan baqi hai to jitneDin AdaT ti utneDin haiz hai BAQI ISTEHAZA kehlayega

Mas’ala     agar NIFAS k 15 din pure na hue the k khun aya to wo HAIZ nahi ISTEHAZA kehlayega.

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2

mas’ala       Agar ROZE ki haalat me HAIZ aya to wo roza toot gya agar FARZ roza tha to kazaa rakhna farz agar nafli tha to kazaa WAJIB hay

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 90

MAS’ALA:      Jis Aurat ko umar bhar khun aya hi nahi, ya aya magar 3din se kam aya to umar bhar wo paak hi rahi

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2

ISTEHAZA agr is hadd tak pahunch gya k usko itni mohlat nhi milti k wuzu krke farz nmaz pad ske to namaz ka pura ek waqt shuru se akhir tk usi halat me Guzar janePar usko mazoor kaha Jaega 1 wuzu se us waqt me jitni namaze chahe pade khun ane se uska wuzu na jaega

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 93

⚓ har wo shakhs jo koi aisi bimari he k ek waqt pura aisa guzar gya k wuzu k sath namaze farz adaa na kr skta ho wo ma’zoor kehlata hai

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 93

⚓ ->ISTEHAZA (Wo Khoon Jo Bimari Ki Wajah Se)
->HAIZ (Wo Khoon Jo Aadatan)
->NIFAS (Wo Khoon Jo Bachcha Paida Hone Ki Wajah Se) NIKALTA Hai.!!

HAIZ va NIFAS wali aurat ko quran padhna dekhkar ya zabani aur uska chhuna badan ka koi bhi hisse se lagana ye sab HARAAM he

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 88

Mas’ala    agar jizdaan    (kapde) bagerah me Quran rakha hoto uske chhune me koi harz nahi jaiz hai.!

📚 BAHAARE SHARIAT JILD 1 PAGE 88

MAS’ALA:     HAIZ va NIFAS wali aurat ko kagaz k parche par agar koi ayat ya surah likhi hoto uska chhuna bhi haraam (gunah) hai

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 88

Mas’ala   jo napaki ki halat me ho kurte k daman ya dupatte k anchal ya jo kapda pahne hue hai usse bhi Quran ka chhuna haraam hai

📚 BAHAARE SHARIAT

HAIZ va NIFAS wali aurte Quran padhani wali he to unko bachcho ko ek ek kalima sans tor torkar padhaye aur hijje krane me koi harz nahi

HAIZ va NIFAS ki halat me SAJDA e SHUKR ya SAJDA e TILAWAT karna haraam hai aur ayate sajda sunne se uspar sajda wajib na hua

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 90

SOTE waqt paak thi SUBAH uthi to HAIZ ka asar paya Agar raat ishaa ki NAMAZ nahi padi thi to HAIZ khatam hone k bad uski kazaa pade

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 90

HAIZ wali sokar uthi aur Gaddi par koi nishaan HAIZ ka nahi to raat hi se paak maani jaegi SUBAH nahaakar us NAMAZ ki kazaa padhe

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 90

HAIZ wali aurat se naaf k upar aur Gutne se niche chhune ya ksi trah ka fayda lene me ko harj nahi bosa(chumna) b jaiz hai

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 91

HAIZ va NIFAS wali aurat ke sath khana khana ya ek jagah sona jaiz hai balki is wajah se sath na sona makruh hai

📚 BAHAARE SHARIAT JILD 1 PAGE 91

⚓ Agr sath sone me ye Ghalba-e-shahoo t aur apne ko Qabu me na rakh pana Mumkin hoto sath na soye agar guman ghalib hoto sath sona Gunah hai

HAIZ pure 10din par khtam hua to paak hote hi usse humbistari jaiz he agr chahe abi tak gusal na kia ho magar behtr hai Nahane k baad kare

⚓ Agar 10din se pahle HAIZ khtam hua to jabtak gusal na karle ya wo waqt namaz jisme paak hui guzar na jaye jabtak humbistari (sex) jaiz nahi

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 91

⚓ Aur agar waqt itna nahi tha ki usme nahakar kapde pahenkar ALLAHU AKBER keh ske to uske bad ka waqt guzar jaye ya gusal karle to jaiz hai Warna nahi

⚓Agar HAIZ adat ke dino Se pahle hi khtam ho Gaya jaise 6din ki adat ti 5din me hua to Namaz shuru karde magar humbistari(sex) jaiz nahi jabtak 6 din na ho jaye

HAIZ va NIFAS ki haalat me humbistari(SEX) jaiz samajhkar karna KUFR hai aur agar jankar kia to sakht gunahgar TOABA karna FARZ he

📚 BAHAARE SHARIAT PART 2 PAGE 90

NIFAS ki haalat me aurat ko zachcha khane se Nkalna jaiz he usko sath khilane ya uska jhoota khane me harj Nhi GALAF FEHMYAN DUR KRO

📚 BAHAARE SHARIAT PAGE 91

⚓ Hindustan me kuchh jagah NIFAS wali Aurt k khane k bartan alag krdete he balki unke Bartano ko napak jante he YE HINDUSTAN KI GALAT RASME HAI ALLAH IN MASAIL KO SAMAJHNE AUR AMAL KARNE KI TOUFIQ ATAA FARMAYE

     >AAMEEN YA RABBUL AALMEEN<

No comments:

Post a Comment