Pages

Friday, May 6, 2016

AASHURA KI FAZEELAT

             🎆🎆🎆🎆🎆🎆🎆🎆🎆🎆🎆
             🍭AASHURA KI FAZEELAT🍭
             🎆🎆🎆🎆🎆🎆🎆🎆🎆🎆🎆

➰Aashura ki Fazeelat :   Is mubarak din me ALLAH ta’ala ki qudrat aur ne’amat ki bahut si badi badi nishaniya zaahir hui.

➰ (1) Isi din arsh wa qurshi, lauh wa qalam, aasman wa zameen, chaand wa sooraj, aur sitaare aur jannat banaye gaye.

➰ (2) Isi din sab se pehli aasman se zameen par baarish hui.

➰ (3) Isi din Hazrat Aadam alaihis salaam ki tauba qabool hui.

➰(4) Isi din Hazrat Idrees alaihis salaam aasman par uthaye gaye.

➰ (5) Isi din Hazrat Nooh alaihis salaam ki kashti toofaan ke baad salaamati ke saath zoodi pahaad par pahunchi.

➰ (6) Isi din Hazrat Ibraheem alaihis salaam ki wilaadat hui.

➰ (7) Isi din Hazrat Ya’aqoob alaihis salaam ki apne bete Hazrat Yousuf alayhis salam se mulaqaat hui.

➰(8) Isi din Hazrat Yunus alaihis salaam machli ke pait se najaat mili.

➰(9) Isi din Hazrat Ayyub alaihis salaam ki takleef door ki gai.

➰(10) Isi din Hazrat Yousuf alaihis salaam gahere kuwe se nikale gaye.

➰(11) Isi din Hazrat Moosa alaihis salaam ko Fir’aun se najaat mili aur Fir’aun apne laskar samet dariya me garq ho gaya.

➰(12) Isi din Hazrat Daawood alaihis salaam ki lagzish muaf hui.

➰(13) Isi din Hazrat Sulaimaan alaihis salaam ko jinn wa insaan par huqoomat ata hui.

➰(14) Isi din Hazrat Eisa alaihis salaam ki wiladat hui aur isi din aasman par uthaye gaye.

➰(15) Isi din Hazrat Imaam Husain ibn Ali radiAllahu ta’ala anhu aur Aap ke Roofqa-e-Kiram ne maidane qarbala me 3 din ke bhooke pyaase reh kar Islaam ki baqa wa tahaffuj ke liye jaame shahaadat nosh farmaya.

➰(16) Isi din qayamat aayegi. Is mubarak din me mo’min ki Ibaadat qubool hoti hai, Tauba qubool hoti hai, Dua qubool hoti hai. Is liye hame chahiye ke is din ko sahi tareeqe se ibaadate ilaahi karne me guzare aur sachi tauba karen aur tamam mo’mino ke liye dua e khair karen.

               ➿➿➿➿➿➿➿➿➿
                🗻Hadeese Nabawi🗻 
               ➿➿➿➿➿➿➿➿➿

➰(1) Jo shakhs Aashoora ke roz Ghusl kare to kisi Marz me mubtala na hoga siwa e marz e Maut ke .

➰(2) Jo shakhs Aashoora ke roz Asmad ka Surma aankho me lagaye to us ki aankhen kabhi nahi dukhengi.

➰(3) Jo koi Aashoora ke din apne Ahlo ayaal par Nafqa me wus’at karega to ALLAH ta’ala us par pura saal wus’at farmayega.

➰(4) Jo Shakhs Aashoora ke din Yateem ke sar par haath pherega to ALLAH ta’ala us ke liye Yateem ke sar ke har baal ke Badle ek ek darja Jannat me Buland farmayega..

➰ Aashoora ke din Ghusl karna, aankho me surma lagana aur achha khaana pakakar khaana aur kasrat se Khiraat karna aur miskino aur yateemo khayal rakhna Sunnat hai.

      ➿➿➿➿➿➿➿➿➿➿➿➿➿
        ➿Shabe Aashoora ki Ibaadat➿ 
      ➿➿➿➿➿➿➿➿➿➿➿➿➿

➰(1) 2 Rak’at namaaz padhen. Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen. In shaa Allah ALLAH ta’ala is namaaz ko padhne wale ki qabr ko qayamat tak roshan farmaega.

➰(2) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen. Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 50 martaba Surah al-Ikhlaas padhen.

➰(3) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen. Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 1 martaba Aayatul Kursi aur 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen. Namaaz ke baad baithkar 100 martaba Surah al-Iklaas padhen.

➰(4) 8 Rak’at namaaz 2-2 karke padhen. Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 25 martaba Surah al-Ikhlaas padhen. Phir baithkar 70 baar ‘Astagfaar’ aur 70 baar Durood shareef padhen.

       🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓
        🍓Yaume Aashoora ki Ibaadat🍓
       🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓🍓

➰(1) 2 Rak’at nafl Tahyyatul Wuzu padhen. Pehli rak’at me Surah Faatiha ke baad 3 baar Surah al-Kaafirun aur Dusri rak’at me Surah Faatiha ke baad 3 baar Surah Ikhlaas padhen.

➰(2) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen. Pehli rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah ad-Duha padhen, dusri rak’at me Surah Alam nashrah padhen, teesri rak’at me Surah al-Zilzaal padhen aur chothi me Surah al-Ikhlaas padhen. Ise Huzoor Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ko isaale sawaab karen. Is ke baad wahi par baithkar 41 martaba Aayate Kareema padhen. ‘La ilaaha illa anta subhaanaka inni kuntu minaz zaalimeen.’ Phir sajde me sar rakhkar ALLAH ta’ala se Eimaan ki salaamati ki dua karen.

➰(3) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen. Pehli rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah al-Kaafirun padhen, dusri rak’at me Surah al-Ikhlaas padhen, teesri rak’at me Surah al-Falaq padhen aur chothi me Surah al-Naas padhen. Ise chaaro Khulfa e raashideen radiAllahu ta’ala anhuma ko isaale sawaab karen. Phir baithkar 70 martaba ‘HasbunAllahu wa niamal wakeel wa niamal maula wa niaman naseer’ padhen.

➰(4) 2 Rak’at namaaz padhen. Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen. Ise Sayyeda Faatima Zahra radiAllahu ta’ala anha ko isaale sawaab karen.

➰(5) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen. Pehli rak’at me Surah Faatiha ke baad Aayatul Kursi padhen, dusri rak’at me Surah al-Takaasur padhen, teesri rak’at me Surah al- Kaafirun padhen aur chothi me Surah al-Ikhlaas padhen. Ise Imaame Hasan aur Imaame Husain radiAllahu ta’ala anhuma ki arwaahe paak ko isaale sawaab karen.

➰(6) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen. Har rak’at me Surah Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen. Ise Shohada e Karbala radiAllahu ta’ala anhuma ki arwaahe paak ko isaale sawaab karen.

➰(7) 4 Rak’at namaaz ek salaam se padhen. Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 1 baar Aayatul Kursi aur 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen. Ise apne waalidain ko isaale sawaab karen. Is ke baad 100 baar Astagfaar aur 100 baar Durood shareef padhen. Phir 3 martaba ye dua padhen : Allahumma inni asaluk bihaqqil hasani wa akheehi wa ummihi wa abeehi wa jadadihee wa baneehi farrij hammee maa ana feehi bi rahmatik ya arhamar rahimeen.

➰(8) 2 Rak’at namaaz padhen. Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Ikhlaas padhen. Ise khud apni rooh ko isaale sawaab karen.

➰► In namaaz me agar dusri Surah yaad na ho to uske badle Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Iklaas ya aur koi Surah yaad ho wo padhen.

➰► Kisi wajah se tamam namaaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni padhen aur phir Tilawate Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen.

➰► Aur apne liye aur tamam ummate Mustafa ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdad aur tamam marhoomin ke liye Due e magfirat karen.

➰► Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaz padhen take bariuz zimma ho jaaye. Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aainda sab namaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaaz ke fayuzo barkaat haasil karte rahenge.

💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦
Is ke baad Dua e Aashura zaroor padhen.
💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦

➰Is dua ko padhne wala In shaa Allah pura saal maut se mehfooz rahega. Ye dua post ke saath Photo me di gai hai.

👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒
    Aashoora ka Roza Hadeese Nabawi
👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒👒

➰ Jo musalman aashoora ke din Roza rakhega uske pure saal ke gunah ALLAH ta’ala muaf farmaega.

➰ Behtar hai ke 2 din roze rakhen, 9 aur 10 ya 10 aur 11.

➰ ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Imaame Husain radiAllahu ta’ala anhu aur Shohada e Karbala aur Ahle bait waseele se Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae

➰aur Aashura me sahi tareeqe se Ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur har buri bid’at aur gunah se bachne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae. Aameen.

👝👝👝👝👝👝👝👝👝👝👝👝👝👝👝

No comments:

Post a Comment