Pages

Friday, April 1, 2016

SYEDUNA HAZRAT ABU BAKAR SIDDEEQ (RadhiyallaahuAnhu) KA URS-E PAAK MUBARAK!

➡👑 SYEDUNA HAZRAT🌟 ABU BAKAR SIDDEEQ (RadhiyallaahuAnhu) KA URS-E PAAK MUBARAK! 💐
▫▫▫▫▫▫▫▫▫▫▫

🌹 Unke Maula ke unpar  Croro Durood!
Unke As-haab-o Itrat pe Laakho(n) Salaam!

🌟 Allaah Ta’ala ki Hamaare Sarkaar par aur aapke Sahaaba aur Aulaad par Duroodein aur Laakho(n) Salaam!

👉 Wo log jinhone eimaan ki haalat mein Allaah ke habeeb ko ke nazar dekh liya wo sahaabi kehlaaye, unka maqaam-o martaba itna azeem hai ke dunya ke tamaam ghaus, qutb, abdaal aur auliya unke raaste ki dhool ko nahi pahunch sakte, yehi wo log hain jinhone Allaah aur Uske Rasool ki khushi keliye apni jaan, maal aur har chiz ko waqf kar diya, Huzoor ke mubaarak aur muqaddas mission mein apna khoon laga diya. Yehi wo dil they jo Huzoor ke ba’d Allaah ko sabse ziyada pyaare they. Aur jo log dore jihalat se hi shirk wa but parasti wa sharaab se bezaar thy.

👍 Syeduna Hazrat Abu Bakr Siddeeq Sahaaba mein shaamil balke unme sabse afzal hain. Afzalul khalq badar- Rusul hain.

🌟 Islaam ki pahli jang jang-e Badr aur 2sri jang jang-e Uhud mein jin Sahaaba ne apni jaano ki baazi lagaayi aur jinhone Bai’at-e Rizwaan ka haqq ada kiya unpar Allaah ki Duroodein aur Laakho(n) Salaam!
➡Syeduna Hazrat Abu Bakr Sidddeeq Radhiyallaahu Anhu Ahl-e Badr mein se bhi hain, Ahl-e Uhud mein se bhi aur Bai'at-e Rizwaan waalo mein se bhi, balke un sabse afzal.

🚦 Hadees:
Syeduna Hazrat Jibreel AlaihisSalaam ne Huzoor Sallallaahu Alaihi wa Sallam ki khidmat mein haazir hokar poochha: “Aapke yahaan Ahl-e Badr ka kya muqaam hai?” Farmaaya: “Woh Musalmaano mein sabse afzal log hain.”
📖 Sahih Bukhaari Sharif: Hadees 3992

🚦 Hadees:
Nabi-e Kareem Sallallaahu Alaihi wa Sallam ne farmaaya: “Allaah Ta’ala ne Ahl-e Badr par khaas tawajjoh farmaakar irshaad farmaya ke tum jis tarah bhi amal karo, tumhaare liye Jannat laazim ho chuki hai.”
📖 Sahih Bukhaari Shareef: Hadees 3983 & 6259

🌺 Allaah Farmaata hai:
“Be shubah, Allaah Ta’ala Ahl-e Eimaan se raazi ho gaya, jab woh darakht ke niche Huzoor ki bai’at kar rahe they, Allaah jaanta hai jo kuchh unke dilo mein hai, to Allaah ne unpar khusoosi Rahmat aur itmenaan naazil farmaaya aur unhein Fat-he qazreeb se nawaaza.”

📖 Qur’aan: Para 26, Surat 48 (Al Fat-h) , Aayat 18.

🌹 Wo daso(n) jinko Jannat ka muzda mila
Us Mubaarak Jama’at pe Laakho(n) Salaam!

🌟 Ye un 10 sahaaba par Salaam hai jinke Jannati hone ka e’laan Nabi-e Kareem Sallallaahu Alaihi wa Sallam ne dunya mein hi farma diya. Inko “Ashara-e Mubashshara” kaha jaata hai.

👍 Syeduna Siddeeq-e Akbar inme bhi shaamil balke inme sabse afzal hain.
👉 Agle 4 she’ro mein Alahazrat ne Hazrat Abu Bakr Siddeeq ki khidmat khaas taur par Salaam pesh kiya hai.

🌹 Khaas Us Saabiq-e Sair-e Qurb-e Khuda
Awhad-e Kaamiliyyat pe Laakho(n) Salaam!
🌟 Khaaskar unpar Salaam jo Allaah ke qareeb hone ke raaste (eimaan laane) mein sabse awwal aur Nabiyo ke ba’d har kamala mein akele aur tanha hain.

🌹 Saaya-e Mustafa, Maaya-e Istefa
Izz-o Naaz-e Khilaafat pe Laakho(n) Salaam!
🌟 Unpar salaam Jo Mustafa Sallallaahu Alaihi wa Sallam ka saaya, baatin se paak hone mein qaabil-e fakhr aur khilaafat ki shaan aur izzat hain.

👉 Jis tarah Huzoor saari makhlooq par Allaah ka saaya hain, usi tarah Hazrat Abu Bakr saari ummat par Huzoor ka saaya hain. Jab Huzoor ka wisaal ke mauqe par ummat ko sabse mushkil waqt pesh aaya to Hazrat Abu Bakr hi they jinhone tamaam muaamalaat ko behtar tareeqe se sambhaal liya, sahaaba ko tasalli di, murtaddo ka muqaabala kiya, Zakaat dene se mana karne waalo aur Nubuwwat ka da’wa karne waalo ke khilaaf bharpoor Jihaad karke unka fitna dabaya. Aur Hazrat Abu Bakr Huzoor ke sath usi tarah rahe jistarah kisi ka saaya rehta hai. Huzoor ka jo saath apko haasil hai wo kisi aur ke hisse mein nahi aaya, ye saath dunya hi mein nahi balke qabr aur hashr mein bhi hai.

🚦 Hadees:
Allaah ke Rasool Sallallaahu Alaihi wa Sallam ne farmaya: “(Ay Abu Bakr!) Tu mera hauz (kausar) par aur Ghaar (Saur) ka saathi hai.”
📖 Tirmizi shareef: 3670
🚦 Hadees:
Aur farmaya: “Mere sath sabse ziyada bhalayi, waqt aur maal kharch karke jisne ki wo Abu bakr hain.”
📖 Sahih Bukhaari shareef: Hadees 466, 3654 & 3904

🌹 Ya’ni Us Afzalul Khalqi ba’da(r) Rusul
Saaniyusnain-e Hijrat pe Laakho(n) Salaam!
🌟 Unpar salaam jo Nabiyo ke ba’d saari makhlooq mein sabse afzal hain aur jo Hijrat ki raat 2 mein ke 2sre they.

🌹 Asdaq-us-Saadiqee(n), Syedul Muttaqee(n)
Chashm-o gosh-e Wizaarat pe Laakho(n)
🌟 Unpar salaam jo saare sachcho mein sachche, muttaqiyo ke sardaar aur Islaami hukoomat ke ankh aur kaan hain.

🚦 Hadees:
Huzoor ne farmaya: Abu Bakr aur Umar mere liye aise hain jaise sir keliye ankh aur kaan.
📖 Sawaa’iq-e mohriqa: 178
🚦 Hadees:
Aur farmaya: Aasmaan waalo me se mere 2 wazeer Jibreel aur Mikaaeil hain aur zameen waalo me se mere 2 wazeer Abu Bakr aur Umar hain.
📖 Tirmizi shareef: Hadees 3680
🚦 Hadees:
Seyduna Hazrat Jaabir Radhiyallaahu Anhu se riwaayat hai, wo farmaate hain ke ek din main Huzoor AlaihisSalaatu wasSalaam ki khidmat mein haazir huwa, Aap ne farmaaya: “abhi ek shakhs ayega ke mere ba’d us se behtar Allaah Ta’ala ne paida nahi farmaya, uski shafa’at qiyaamat ke din Allaah ke Nabiyo jaisi hogi.” Hazrat Jaabir kehte hain abhi thodi der guzri thi ke Hazrat Abu Bakr Siddeeq tashreef  laaye. Sub'haalLaah...!

📖 Tafseer-e Azeezi: Para 30, Surat 92 (Al Lail) , Aayat 17-21.

📖 Fataawa Razwiya: 5/544.
🏡: jamea Nizamiya Salihaat Kurla mumbai.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
💕Mohabbate Siddiqe Akbar رضي الله عنه Ka Tohfa 💕

💫✨ Hazrate Anas رضي الله عنه Bayan Karte Haiñ Ke Ek Yahudi Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Ki Khidmat Me Haazir Hua Aur Kehne Laga 'Hazrate Moosa علیہ السلام Ki Qasam Mai Aap Se Mohabbat Karta Hu'

🌀Hazrate Siddiqe Akbar رضي الله عنه Ne Abhi Sar Uthakar Uski Taraf Dekha Bhi Nahi Tha Ke Hazrate Jibraeel علیہ السلام Bargaahe Mustafa ﷺ Me Haazir Hue Aur Kaha Ke Allah Ta'ala Farmata Hai Is Yahudi Ko Ittela Farmaiye Ke Allah Ta'ala Ne Dozakh Me Tere Liye 2 Cheezoñ Ko Utha Liya Hai Hathoñ Ki Bediyañ Aur Paauñ Ki Zanjeereñ.

💞 Ye Sunte Hi Wo Pukaar Utha  'Ash Hadu Al Laa Ilaaha IlAllah Wa Ash Hadu Anna Mohammadar RasoolAllah ﷺ'
Aur Kehne Laga Siddiqe Akbar رضي الله عنه Se Mujhe Mazeed Mohabbat Ho Chuki Hai. Aapne Farmaya Suniye Allah Ta'ala Ne Isi Mohabbate Siddiq Ke Sadqe Tujhe Jannat Ataa Farmadi Hai.

💛SubhanAllahSubhanAllah

✳ Ilaahi Rehm Farma Khaadime Siddiqe Akbar Huñ,
Teri Rehmat Ke Sadqe Waasta Siddiqe Akbar Kaa ...

Azmat E  Hazrate Sayyedna Siddique Akber رضي الله عنه

Ameerul Momineen Khalifaa e Awwal
Sayyidina Sidiiqe Akbar Radiyallaahu
Anhu ka wisaal 22 Jamaadiul Aakhir ,
Hijri-13 Me huaa.

Hazrate Aboo HurairahRadiyallaahu
Anhu se Riwaayat Hain k Aaqa Sallallaahu
Alayhi Wasallam Ne
Irshaad Farmayaa : Maine Aboo Bakra k
Siwaa Sab Ke
Ahsaan Ka Haq
Chukaa Diyaa ,
Lekin Aboo Bakra k
Itne Ahsaan hain k
Unkaa Badlaa Allaah
Azza Wa Jalla
Adaa Farmaayenga.

Aboo Bakra k Maal
Ne Mujhe ( Deen ko )
Jitnaa Faayidah
Pahuchaaya Utnaa
Faayidaa Kisi Aur k
Maal ne Mujhe ( Deen ko ) nahi
Pahunchaaya . . . . . .

(Tirmizi Sharif  Page-203)

🌹🍁🌹Subhan Allah🌹🍁🌹

🌹🌷🌹🌷🌹🌷🌹🌷🌹🌷🌹🌷🌹🌷
HAZRAT ABU BAKR SIDDIQ رضى الله عنه

Alqab : Siddeeqe akbar, Gaare yaare nabi, Afzalun naas ba’adal Ambiya, Saani isnain, Khalifatul-Rasool, Ateeq.

Aap ki wiladat 573 A.D. me Makka me hui. Aap ke waalid ka naam Hazrat Usman Abu Quhafa ibn Amir aur waalida ka naam Salma bint Sakhar (Ummul Khair) hai. Aap Quraish ke Banu Taym kabeele se ta’aaluq rakhte hain. Aap ka asl naam Abdullah hai.

Aap jab bache the tab ek baar aap ke waalid aap ko Ka’aba me le gaye aur buto ki ibadat ke liye kaha. Jab aap ke waalid kisi kaam se bahar gaye to aap ne ek but ke saamne khade hokar kaha ‘Aye but, mujhe ache kapde chahiye.

Kya tum de sakte ho?’ But me se koi jawab na mila. Phir aap ne dusre but ke saamne khade hokar kaha ‘Aye but, Mujhe achha khana chahiye. Kyat um de sakte ho?’

But me se koi jawab na mila. Aap ne gusse me aakar ek patthar uthakar kaha ‘Ab main tumhe patthar maarne wala hu. Agar tum khuda ho to khud ko bacha lo.’ Ye kehkar aap ne but ko patthar maara aur waha se nikal gaye.
Is ke baad aap kabhi kisi but ki ibadat ke liye nahi gaye.

591 A.D. me 18 baras ki umr me aap ne apna khandani kapdo ka kaarobaar samhala aur Yemen, Shaam aur dusre mulko me kaafile ke saath safar karne lage. Is tarah aap ne tajurba aur maalo daulat haasil kiya.

Aap ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke elane nabuwwat se pehle bhi aap ke saath kaafile me safar kiya tha aur aap Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki sadaqat aur amanatdaari se waaqif the.

609 A.D. me Jab Huzoor Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Makka me ALLAH ke hukm se elane nabuwwat kiya tab Hazrate Abu bakr Siddiq radiallah ta’ala anhu tijarat ke liye Yemen gaye the.
Us raat aap ko ne khwab me dekha ke ek noor utra aur aap ke daaman me sama gaya.

Jab aap ki aankh khuli to aap ne waha ke danisho aur najoomiyo ko is ajeeb khwab ke baare me batakar un se is ki taabeer puchhi.
Us me ek shakhs ne puchha ‘Tum kaha se aaye ho?’ Aap ne jab use bataya ‘Main Makka se aaya hu.’

To us ne kaha ‘Tumhare waha Banu Haashim kabeele me Muhammad ibne Abdullah naam ka shakhs hai aur ye khwab is baat ki nishani hai ke usne elane nabuwwat kiya hai.’

Hazrate Abu bakr Siddiq radiallah ta’ala anhu foran waha se nikal kar Makka pahunche aur sidhe Huzoore akram sallallahu alaihi wasallam ke waha gaye aur Aap se puchha ‘Kya aapne elane nabuwwat kya hai?’

To aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke ‘Us najoomi ne tumhe jo bataya wo sach hai.’
Hazrte Abu bakr radiallah ta’ala anhu ko pata tha ke unho ne Makka me ye baat kisi ko nahi batai thi. Is liye ye sunkar aap foran kalma padhkar musalman ho gaye.

Is tarah aap mardo me sab se pehle eimaan laaye aur saabikeen me saamil hue.

Aap ki biwi Qutaylah bint Abdul Uzza eimaan na laai to aap ne use tallaq de diya.
Aur apne bete Abdur Rehman ko bhi isi wajah se chhod diya.

3 saal baad jab Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne islam ki daawat ko zaahir aur aam karna shuru kiya tab sab se pehle aap ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki taraf se logo ko jama karke islam ki daawat di.

Ye sunkar Quraish ke kuchh naujawano ne aap par hamla karke aap ko jakhmi kar diya.
Is ke baad aap ki waalida bhi musalman ho gai.

Aap ki daawat aur mashware se bahut saare log islam me dakhil hue,
Jin me Hazrat Usman ibn Affan, Zubair ibn Awwam, Talha ibn Ubaidullah, Abdur Rehman bin Awf, Sa’ad ibn Abi Waqqas, Abu Ubaidah ibn Jarrah, Abdullah bin Abdul Asad (Abu Salama), Khalid ibn Sa’id aur Abu Huzifah ibn Mughirah radiallahu ta’ala anhuma mashhoor hain.

Aap ne 8 gulamo ko aazad karaya jo musalman ho gaye the.
Jin me mardo me Hazrate Bilal Habashi ibn Ribah, Abu Fakih, Ammar ibn Yasir aur Abu Fuhaira aur aurto me Lubainah, Nahdiah, Umm Ubais, Harisah bint Muammil saamil hain.

Is ke liye aap ne 40,000 dinar kharch kiye. Aap ke waalid ne kaha ‘Tum budhe aur kamzor gulamo ko aazad karate ho jis se hame koi faida nahi hoga.’ Aap ne farmaya ‘Main to ALLAH ki raza ke liye musalmano ko aazad karata hu.’

Jab Ahle Makka ke zulm badhne lage 6 Nabawi (615 A.D.) me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ijazat se aap hijrat karke Abyssinia gaye.

8 Nabawi (617 A.D.) me jab Quraish ne Banu Haashim se tamam ta’aalluqat tod diye aur Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko bahut taklif dene lage aur aap ka bahar aana jaana mushkil ho gaya

tab ye sunkar Hazrate Abu Baqr ne wapis Makka aane ke liye socha. Aap Qara ke sardar Ibne Daghinna ki madad aur hifazat se Makka wapas aaye.

12 Nabawi (621 A.D.) me Me’araj ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ashaba ko me’araj ki baaten bayan kar rahe the. Hazrate Abu Baqr radiallahu anhu thoda der se aaye.

Aap aakar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke qareeb jaakar bethe. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne phir se shuru se pura bayan shuru kiya.

Aur Hazrate Abu Baqr radiallahu anhu har baat par farmate ‘Sadaqata Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam.’
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne khush hokar aap ko ‘Siddiqe akbar’ ka laqab ata farmaya ya’ni Tamam Siddiq me sab se bada.

Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne ashaba se farmaya ‘Anqareeb ALLAH ke hukm se hame Makka se hijarat karni hai.’

Is ke kuchh din baad jab Huzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam hijrat ke liye ALLAH ta’ala ka hukm hua aur aap Hazrate Abu Baqr Siddiq radiallahu anhu ke ghar pahunche aur abhi aap ne darwaze par ek hi baar halki si dastak di ke Siddeeqe akbar ne foran darwaza khol diya.

Aap ne farmaya ‘Abu Baqr, Hame hijrat ka hukm mila hai. Kyat um hijrat ke liye tayyar ho?’

Siddeeqe akbar ne farmaya ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Maine to tab se tayyari kar li hai jab aap ne hijrat ke liye farmaya tha. Aur roz raat ko main jaagta rehta tha ke agar hijrat ke liye nikalna ho to mere aaqa ko der na ho.’

Hijrat ke liye Makka se nikalne ke baad kuchh door jaane par ek shakhs mila jo Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko nahi pehchanta tha. Us ne puchha ‘Aye Abu Baqr, Tumhare saath ye kaun hai?’

Siddiqe akbar ne socha ke agar main Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke baarre me ise ko bata dunga to shayad ye shakhs mere aaqa ko nuqsan pahunchaye.

Aap ne us se kaha ke ‘Ye mujhe sahi rasta batane wala hai.’
Ye sunkar wo shakhs chala gaya.

Phir aap Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke saath chalne lage. Aap kabhi Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki dahini taraf ho jaate, kabhi baai taraf, kabhi aage, kabhi pichhe chalte ke kisi bhi taraf se koi dushman Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko nuqsan na pahuncha sake.

Phir raaste me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Gaare Saur me rookne ke liye socha. Hazrate Abu Baqr Siddiq ne kaha ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Is pahad par chadhte waqt kankar –patthar se aap ko taklif ho sakti hai. Aap ijazat den to aap mere kandho par beth jaaye. Main aap ko lekar upar chadhunga.’

Is tarah aap Huzoor sallallahu alaihi wasallam ko apne kandho par bithakar upar chadhne lage. Raaste me aap kabhi Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke dahine paanv ko chumte, kabhi baayen paanv ko chumte.

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne puchha ‘Abu Baqr, Kya kar rahe ho?’
Aap ne farmaya

‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Main me’raj kar raha hu. Aap ki me’araj ye hai ke aap Rabb ta’ala ke paas la-makaan tak pahunche aur Siddiq ki me’araj ye hai ke wo aap ke kadmo tak pahuncha

Phir Gaare Saur me pahunche to ALLAH ta’ala ke hukm se ek makdi ne gaar ke darwaze par jaal bana diya aur ek kabootari ne gaar ke bahar ande diye.

Kaafir aap ka pichha karte hue waha pahunche to ye sab dekhkar ye socha ke agar koi andar gaya hota ye ande aur jaal yaha na hote aur wapas chale gaye.
Hazrate Siddiqe akbar ne gaar ko saaf kiya aur dekha ke gaar ki deewaro me bahut saare surakh hain.

Aap ne apna jhabba phadkar un surakho ko band kar diye ke koi jaanwar aakar mere aaqa ko nuqsan na pahunchaye. Magar ek surakh baqi reh gaya.

Aap ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam se kaha ‘Aap aaram farma len.’ Aur jab Huzoor sallallahu alaihi wasallam letkar aap ki god me aaram karne lage to aap ne us surakh par apna paanv rakh diya.

Thodi der me ek azdaha ne aakar aap ke paanv par kaata. Aap ne bardasht kar liye ke mere aaqa kko khalel na ho. Baar baar kaatne par aakhir me aap ki aankh se be-ikhiyar aansoo nikal gaye.

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke chehra e anwar par jab aansoo gire to aap ne farmaya ‘Abu Baqr, Kya baat hai?’
Aap ne saari baat batai to Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne aap ko pair hatane ke liye farmaya.

Pair hatate hi surakh se azdaha bahar aaya aur salaam pesh karke aur kahne laga ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Main ek zamane se aap ke deedar ke liye gaar me rehta tha aur maine hi bahar aane ke liye ye sab surakh banaye the.

Magar aap ke saathi ne ye sab surakh band kar diye aur ek surakh par apna paanv rakh diya to majbooran mujhe aap ke dost ko kaatna pada.’
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Siddiqe akbar ke jakhm par apna luaabe dahen lagaya aur aap ko foran aaram ho gaya.

Is tarah 3 raat tak gaar me qayam karne ke baad Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne wapas Madina ke safar shuru kiya aur dono Madina pahunche.

Is tarah aap ko ‘Saani isnain’ ka laqab mila.

Is tarah 13 Nabawi (622 A.D.) me aap ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke saath Makka se Madina hijrat ki.

Hijrat ke baad aap dusre ashaba ke saath Masjide Nabawi ki taameer ka kaam karte rahe.

2 Hijri me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke saath aap ki beti Hazrate Aaisha ka nikah hua.

Aap ke baare me pyare Aaqa sallallahu alaihi wasallam farmate hain ke
(1) Abu bakr ‘Afzalul bashar ba’adal ambiya’ hain ya’ni ‘Ambiya ke baad tamam insaan me sab se afzal.’

(2) Agar Abu bakr ka Eimaan meri tamam ummat ke Eimaan ke saath wazan me kiya jaaye to Abu bakr ka Eimaan gaalib aaye.

(3) Hazrate Abu bakr ka ye martaba sirf uski ibadaat ki wajah se nahi hai, balke ALLAH ta’ala ne uske dil me jo khas rakha hai uski wajah se hai.

(4) Abu bakr ke mujh par bahut ehsan hain. Us ne islam ke liye apni jaan aur maal bhi qurban kiye hain aur apni beti mere nikah me di hai aur Abu bakr ne Bilal Habsi ko aazad karaya hai.’

Aap Ashra e mubashara me se hain.

(1) Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne aap se farmaya ‘Abu Baqr, Jannat me dakhil hone walo me tum sab se pehle rahoge.’

(2) Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ‘Jab ALLAH ta’ala kisi mo’min ke liye bhalai ka irada karta hai to us me koi khaslat paida farmata hai jis ke sabab wo jannati ban jaata hai aur aisi 360 khaslate hain.’

Hazrate Abu Baqr ne puchha ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Kya mujh me aisi koi khaslat hai?’
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ‘Abu Baqr, Tumhe mubarak ho ke tum me wo tamam khaslat maujood hai.’

Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Siddeeqe akbar ko apni angoothi mubarak di aur farmaya ki ‘Is par LA ILAHA ILLALLAH kar laao.’

Jab aap ne wapas aakar angoothi Huzur ki khidmat me pesh ki to us par likha tha ‘LA ILAHA ILLALLAH MOHAMMADUR RASOOL ALLAH’ aur uske saath hi Siddiqe akbar ka naam bhi likha tha.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne puchha ‘Abu Bakr, Humne to LA ILAHA ILLALLAH likhwane ko kaha tha magar tum hamara naam aur apna naam bhi likha laaye.’

Abu Bakr ne arz kiya ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Mera dil ko ganwara nahi tha ki Khuda ke naam ke saath aap ka naam na ho. Is liye saath me aap ka naam to mene hi likhwaya magar mera naam maine hargiz nahi likhwaya aur mujhe khud ko pata nahi ye kaise aur kis ne saath me likha.’

Itne me Hazrate Jibriel Ameen alaihissalaam haazir hue aur arz kiya ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, ALLAH ta’ala ne farmaya hai ki Siddiq ko ganwara na tha ke aap ka naam hamare naam se juda kare. Is liye Siddiq ne aap ka naam hamare naam ke saath likhwaya aur hum ne siddiq ka naam aap ke naam ke saath likhwa diya.

Jab bhi azaan me aap Huzoor sallallahu alaihi wasallam ka naam mubarak sunte to foran mohabbat ke saath durood shareef padhkar dono angoothe ko chumkar apni aankho se lagate

Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne ashaba se farmaya deen ke liye maal jama karne ki zaroorat hai. Aap logo se jitna ho sake utna maal raahe khuda me den.’

Sab ashaba kuchh maal lekar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki baargah aaye.

Hazrate Umar Farooq apne tamam maal me se aadha hissa lekar aaye.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne puchha ‘Umar, Gharwalo ke liye kya chhoda hai?’

Unho ne kaha ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Aadha maal aap ki baargah me laaya hu aur aadha maal ghar walo ke liye chhodkar aaya hu.’
Itne me Hazrate Abu Baqr aaye aur apna maal rakha.

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne puchha ‘Abu Baqr, Ghar walo ke liye chhoda hai?’

Aap ne farmaya ‘Ghar walo ke liye ALLAH aur uske Rasool ko chhodkar aaya hu.’
Ye sunkar Hazrate Umar Farooq sochne lage ‘Main soch raha tha ke is baar Siddiqe akbar se aage nikal jaaun, magar is baar bhi Siddiqe akbar hi aage nikal gaye.’

Itne me Hazrate Jibriel alaihissalam aaye. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne unko dekhkar puchha ‘Aye Jibriel, Tum ne ye kaisa libas pehna hai aur tumhare kurte me ye babool ka kaanta kyun lagaya hai?’

Hazrate Jibriel alaihissalam ne farmaya ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Aap ke Siddiqe akbar ne apne kurte me babool ka kaanta lagaya hai. Is liye ALLAH ta’ala ne sab farishton, Gilman, Hooron ko ye libas pehanne ka hukm kiya hai.’

Ek baar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne apne ashaba ko farmaya ke kya main tumhe wo amal na batau jo tunhe Jannat me le jaaye?

Ashaba ne kaha ke ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam, Aap is amal ke bare me hame zaroor bataiye.
Aap ne farmaya ke Jo shakhs bina ujrat ke masjid me Azan deta wo jannat me jaaega

Ye sunkar Hazrate Abu bakr Siddiq radiallahu ta'ala anhu aage aaye aur farmaya ke ‘Aye Allah ke Habeeb sallallahu alaihi wasallam, Ye kaam sab ke liye mumkin nahi kyun ki Hazrate Bilal radiallahu ta'ala anhu hi roz har namaz ke liye Azaan pukarte hain. Aap kuchh aur bhi batayen.’

Ye sunkar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ‘Jo shakhs Imaam ke bilkul pichhe khade hokar namaz padhta ho wo bhi jannat me jaayega.’

Ye sunkar aap ne kaha ke ‘Aye mere aaqa, Ye bhi mumkin nahi kyun ke Hazrate Bilal azan dene ke baad Iqamat padhte hain aur wo hi Imam ke bilkul pichhe namaz padhte hain. Aap kuch aur bhi bataie.

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ‘Jo shakhs bina ujrat ke jhadu lagaye aur safai kare wo jannat me jaayega.’
Aap ne kaha ‘Aye mere aaqa, ye amal mumkin hai.’

Is ke baad Hazrate Abu Bakr ne Masjide nabawi me roz safai karna shuru kar diya. Aap din me 2-3 baar jhadu lagane lage.
Ek baar Hazrate Umar Farooq radiallahu anhu ne aap ko safai karte dekha to socha ke Kal main fajr ke waqt thoda jaldi aakar masjid me safai kar lunga.

Dusre din Hazrate Umar andhere hi me masjid me dakhil hue aur safai shuru karne ke liye jhadu talash karne lage. Lekin andhere ki wajah se bahut talash karne ke baad bhi jhadu na mila.

Itne me aap ke kadmo ki aawaz se Hazrate Abu bakr jo waha so rahe the, unki aankh khul gai aur aap ne apne sar ke niche se jhadu nikala aur masjid me safai karna shuru kar diya.

Jhadu lagane ki aawaz sunkar Hazrate Umar ne puchha ‘Kaun hai jo masjid me jhadu laga raha hai?
To Hazrate Abu bakr ne jawab diya ‘Main Abu bakr hu

Hazrate Umar ne puchha ‘Aap masjid me kab aaye?’
To Hazrate Abu bakr ne kaha ‘Ye sawal aap us se puchhe jo raat ko ghar gaya ho. Main to raat bhar masjide nabawi hi me tha.’

Ye sunkar Hazrate Umar jaan gaye ke Hazrate Abu Bakr ko pata chal gaya tha ke mere dil me aaj masjid me safai karne ka khayal aaya tha aur isi liye aap puri raat masjid hi me rooke the.

Ek baar aap ke bete Abdur Rehman ne aap se kaha ‘Abba jaan, Jange Badr me main kaafiro ke saath tha aur jang ke dauran aap meri talwar ke niche aa gaye the aur maine aap ko is liye chhod diya ke aap mere waalid hain.’

Aap ne farmaya ‘Aye mere bete, Agar us waqt tum meri talwar ke niche aa gaye hote to main tumhe qatl kar deta kyun ke us waqt tum mere aaqa sallallahu alaihi wasallam ke dushmano ke saath the.’

Ek baar aap Hazrate Ali radiallahu anhu ko muskura rahe the. Hazrate Ali ne wajah puchhi to aap ne farmaya ‘Hamare Aaqa sallallahu alaihi wasallam ne ye farmaya hai ke jannat ki sanad aap ke haath se ata ki jaayegi. Main aap ke buland martabe ke bare me sochkar muskura raha tha.’

Hazrate Ali ne farmaya ‘Aaqa sallallahu alaihi wasallam ne mujh se ye bhi farmaya hai ke usi ko jannat ki sanad ata ki jaaye jis ke dil Siddiqe akbar ki mohabbat ho.’

Aap ne Jange Badr, Jange Uhad, Banu Nadir, Banu Quraiza, Jange Khaibar, Gazwa e Khandaq, Fateh Makka, Jange Hunain, Jange Ta’if aur Jange Tabuk me apna maal bhi diya aur saamil bhi hue.

Jange Badr me aap har waqt Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bahut qareeb rahe aur bahaduri ke saath kaafiro se aap ki hifazat karte rahe.

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne 7 Hijri (July 628 A.D.) me aap ki sardari me islami lashkar ko kaafiro ke muqabale ke liye bheja. Najd ke qareeb jang me musalmano ko fateh haasil hui. Kai kaafir mare gaye aur kai qaid kar liye gaye.

Aap Suleh Hudaibiyah ke mauqe par Bai’at al-Ridwan me bhi saamil hue.

9 Hijri me jab Hajj farz hua to Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne aap ko Ameerul Hujjaj banakar ashaba ko aap ke saath hajj ke liye bheja.

10 Hijri me Hajjatul wida ke mauqe par bhi aap Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke saath rahe.
Jab ye aayat naazil hui ‘Aaj ke din ham ne tumhare liye tumhara deen mukammal kar diya aur tumhare liye deene islam pasand kiya.’ To ashaba khush hue ke ALLAH ta’ala ne deene islam ko mukammal kar diya.

Magar aap gamzada ho gaye. Jab puchha gaya to farmaya ke ‘Ye sahi hai ke deene Islam ko ALLAH ta’ala ne mukammal kar diya hai. Magar deen mukammal hone ke baad mumkin hai ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ham se anqareeb parda farmayenge. Main ye sochkar gamzada hu.’

Huzoor sallallahu alaihi wasallam jab kahi bahar jaate to Hazrate Abu Baqr ko imaamat ka hukm karte aur sab ashaba aap ke pichhe namaz padhte.
Jab Huzoor shadeed beemar hue aur apne hujre bahar nikalna mushkil hua to aap ne Siddeeqe akbar ko imaamat ka hukm diya.

Aap jaise hi musalle par pahunche to aansoo bahate hue gir pade aur farmaya ‘Mujh me itni himmat nahi ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki maujoodgi me imaamat kar sakun.’
Ye sab sunkar Huzoor sallallahu alaihi wasallam ashaba ka sahara lekar hujre se bahar aaye aur taklif bardasht karke namaz padhai.

Dusre din phir jab aap ko imaamat ka hukm mila aur phir aap tayyar na ho sake to Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne hujre se paigam bheja ke ‘Aye Abu Baqr, Aaj tumhe in ashaba ki imaamat karni hi hai.’

Phir aap ne dil ko sakht karke namaz ke liye imaamat ki.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne apne hujre ke darwaze se Siddeeqe akbar ke saath namaziyo ki safo ko dekha to aap bahut khush hue

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke wisal ke baad sab ashaba gamzada the aur Hazrate Umar Farooq radiallahu ta’ala anhu ne to farma diya tha ke ‘Agar kisi ne mere saamne ye kaha ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ka inteqal ho gaya hai aur Aaqa sallallahu alaihi wasallam hamare darmiyan me nahi hain to main talwar se uski gardan kaat daalunga.’

Aise maahol me sab khamosh the tab Hazrate Abu Baqr uthkar aage aaye aur Khutba padhne ke baad ashaba se farmaya ‘Agar koi Muhmmad sallallahu alaihi wasallam ki ibadat karta ho to wo maan sakta hai ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam inteqal karke chale gaye hain aur jo Rabbe Muhammad ki ibadat karta ho to wo jaan le ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne sirf zaahiri taur par parda kiya hai.’

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke parda farmane ke baad Hazrate Umar Farooq ke mashware par aap ko khalifa banaya gaya.
Aap 13 Rabi ul awwal 11 Hijri (8 June 632 A.D.) ko sab se pehle Khalifa hue.
Aap ka daure khilafat 2 saal 4 maah ka raha.

Aap ki khilafat ke ibtadai daur me 2 fitne hue.
(1) Musaylimah bin Habeeb aur Tulaiha bin Khuwailid ne nabuwwat ka jhuta dawa kiya.
(2) Kuchh kabeelo ne Zakat dene se aur islami qanoon ko maane se inkar kiya.

Hazrate Khaalid bin Walid ki sardari me islami lashkar ne Jange Buzakha me Tulaiha bin Khuwailid ko haraya aur Najd me Baaghi Malik ibn Nuwairah ko qaid karke qatl kiya aur Jange Yamama me Musaylimah bin Habeeb ko qatl kiya.

Is ke baad Khaalid bin Walid ki sardari me islami lashkar ne Sassani saltanat aur Byzantine (Rom) saltanat par hamla karke fateh haasil karke fars (Iran), Iraq aur Shaam tak islami saltanat failai

Hijri (632 A.D.) me Jange Yamama me taqreeban 70 ashaba shaheed hue jo Haafize Qur’an the. Hazrate Umar Farooq radiallahu anhu ne aap se farmaya ‘Is tarah Haafize Qur’an kam hote rahe to Qur’an ki hifazat karna mushkil hoga. Behtar hai ke ham Qur’an ko jama karke Kitaab bana len.’

Is tarah Hazrate Umar Farooq ke mashware se Qur’an majeed ko jama karke kitaab banana ka kaam shuru kiya gaya, jo Hazrate Usman Ghani ke zamane me mukammal hua.

Aap ne Bait-ul-Maal ki shuruat ki.

Aap ki 4 biwiya, 3 bete aur 3 betiya hain.

(1) Qutaylah bint Abd-al-Uzza se
1 beta –Abdullah
Aur 1 beti - Asmā
(2) Umme Rumman se
1 bata - Abdur Rehman
Aur 1 beti - Aaisha
(3) Asma bint Umays se
1 beta - Muhammad
(4) Habibah bint Kharijah se
1 beti -Umme Kulsum

* Sirf aap hi aise sahabi hain jinke walidain aur aulad bhi ashaba hain.

Aap Huzoor Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ke tareeqat ke 2 khalifa me se hain.
Aap se ‘Siddiqiya’ silsila jaari hai.
Jis se Tayfuriya, Madariyya, Khwajaganiyya aur Naqshbandi silsile ta’aaluq rakhta hain.

Aap ne 5 Jamadil aakhir ko gusl kiya aur shardi ki wajah se aap ko bukhar aa gaya. Jab tabeeyat kuchh zyada kharab hui to ashaba ne aap ko kisi hakeem ko bulakar dikhane ke liye kaha.

Aap ne kaha ‘Maine hakeem ko bataya to us ne kaha hai ke main jo karta hu wo hi hota hai

Phir Aap ne apni beti Hazrate Aaisha radiallahu ta’ala anha se wasiyat farmai ke meri maaliki ke jo khajoor ke darakht hain wo tum apne 2 bhai aur 2 baheno ko de dena.

Hazrate Aaisha radiallahu ta’ala anha ne tasleem kiya aur puchha ‘Mere ilawa aap ki 1 hi beti Asmā hai to aap dusre kis ke baare me bata rahe hain?’
Aap ne farmaya ‘Habibah bint Kharijah haamila hain aur in sha Allah unko beti hogi. Is tarah tumhare ilawa tumhari 2 bahen hongi.’

Aap ne wisal ke din Hazrate Usman Ghani se Hazrate Umar Farooq ko khalifa banane ki wasiyat ki.

Aap ne wisal se qabl ye wasiyat farmai ke ‘Mera janaza ko Hazoor sallalahu alaihi wasallam ke Roza mubarak ke saamne rakh dena aur ijazat talab karna. Agar darwaza khul jaae aur ijazat mil jaae to mujhe Hujra mubarak ke andar dafn karna. Warna aam qabrastan me dafn kar dena.’

Ashaba e kiraam ne aisa hi kiya. Jab aap ka janaza Roza e Aqdas ke saamne rakha gaya, To darwaza khul gaya aur Roza mubarak se aawaz aai ‘Dost ko dost ke paas le aao.’

Aap ‘Gare yaare nabi’ hain ya’ni Nabi e paak sallallahu alaihi wasallam ke sab se qareebi dost.

Aap ko Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne har khas mauqe par aur mehfil me saath aur qareeb rakha.
Hijarat me bhi Pyare Aaqa sallallahu alaihi wasallam ne sirf aap ko saath liya.
Aur wisal ke baad mazaar me bhi aap ko qareeb rakha.

Aap ka wisal 22 Jamaadil aakhir 13 Hijri 23 August 634 A.D. ko 63 baras ki umr me Madina me hua.
Aap ki namaze janaza Hazrat Umar Farooq radiallah ta’ala anhu ne padhai.

Aap ko Roza e Rasool me Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke bagal me dafn kiya gaya hai.

ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me
Aur Hazrat Hazrate Abu Baqr Siddique radiallah ta’ala anhu aur Ashaba ke waseele se

Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.

🌹AAMEEN YA RABBUL AALMEEN🌹
🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺

No comments:

Post a Comment