Pages

Sunday, April 3, 2016

⊙◎◆•ILME-E-GHAIB•◆◎⊙

Ilme e Ghaib

GAIB ki Taareef aur is ki IQSAAM (TYPES): Gaib woh chupi huwi cheez hai, jis ko INSAAN na to Aankh, Kaan, Naak wagera, ya kisi Hawaas se Mehsoos kar sake, aur na Bila Daleel Aqal main Aasake.

For E.g: Khanon ki lazzaten (TASTE), aur in ki Khushbuwen hamare liye GAIB nahin, q k Yeh Aankh se Chupay hone k Baawajood, dusre Hawaas (Naak, zabaan) se Mehsoos ki ja sakti hain

Ab Gaib kya hoga... Jinnat, Malaika (Farishtey), aur Jannat aur Dozakh Wagera hamare liye is waqt GAIB hain..Q k Yeh na Hawaas se maalooom hosakte hain, aur na hi Bila Daleel E Aqal se..

Ab GAIB hote hain, 2 tarah k..
1) Woh GAIB, jis par koi Daleel Qaim hosake, Yaani Dalael se maaloom hosake.
. For E.g: Jese Jannat, Dozakh aur ALLAH TA'ALA ki Zaat o SIFFAAT... k In Baaton ka Andaza, Is DUNIYA ki Cheezen dekh k aur QURA'ANI AAYAAT dekh kar pata chalta hai..
2) Dusra GAIB woh jis ko Kisi DALEEL se Bhi Maaloom na kiya ja sake..

FOR E.g:

QAYAMAT ka ILM, K Kab hogi??,
INSAAN kab Marega??,
Aur Aurat k Pait main Larka hai ya Larki, Bad Bakht (Buri) Aulaad hai, Ya NAIK BAKHT (NAIK) AULAAD, yeh woh Baaten hain, jin ko Daleel se bhi maaloom nahin kiya ja sakta...

Isi Dusrey GAIB (TYPE) ko Mafateh-AL-GAIB, kaha jata hai..
Aur is ko Parwardigar e Aalam ne Farmaya,
فلا یظھر علی غیبہ احدا الا من ارتضی من رسول۔
(Parah#29, Surah#72, Aayat#26,27)

Iski Tafseer Bezaawi main is hi Aayat k Tehet, Gaib ki Kuch yun Taareef ki gai hai:

"GAIB se Muraad woh chupi huwi CHEEZ hai, jis ko Hawaas na Pa saken aur na Badahatan usko Aqal chahe"
(Anwar ul Tanzeel, Jild#1, Page#28)
Tafseer Kabeer Suarh Baqar k Shoru main Isi Aayat k Ma Tehet hai:

" Aam Mufassareen ka Qol hai, k GAIB woh hai, jo Hawaas se Chupa ho, Phir GAIB ki 2 Qismen hoti hai, Ek to woh jis par Daleel ho, dusri woh jis par koi Daleel nahin"
(Tafseer-ul-Kabeer, Jild#1, Page#27, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot)

Tafsser ROOH ur Bayaan main Shoru SURAH E BAQAR k Ma Tehet hai:

" GAIB woh hai, jo HAWAAS aur AQAL se poora poora chupa ho, is tarah k kisi Zariye se bhi IBTADA'AN, KHULLAM KHULLA maaloom na hosake,
GAIB ki 2 QISMEN (TYPES) hain, Ek woh jis par koi Daleel na ho, woh hi is Aayat se Muraaad hai, k ALLAH TA'ALA k Paass GAIB ki Kunjiyaan (CHABIYAAN) hain,

dusri Qisam woh jis par Daleel Qaim ho, Jese ALLAH TA'ALA aur Uski Siffaat, woh hi is Jagah Muraad hai"
(Tafseer Rooh-ul-Bayan, Jild#1, Page#32)

RESULT:

Rang (COLOUR) Aankh se dekha jata hai, Boo (SMELL) Naak se Soonghi jaati hai, aur Lazzat (TASTE) zaban se, aur Aawaaz Kaan se Suni jaati hai.

Rangat (COLOUR), Zabaan aur Kaan k liye GAIB hai, aur BOO (SMELL), Aankh k liye GAIB hai, Agar koi ALLAH ka Banda, Lazzat aur Boo ko In ki Shaklon main Aankh se dekh le, to woh bhi ILM E GAIB E IZAFI hai..
jese Aamaal QAYAAMAT main Mukhtalif Shaklon main Nazar aaen ge, Agar koi In SHAKLON ko Yahaan dekh le to yeh bhi ILM E GAIB hai..

Jese HAZRAT SHIEKH ABDUL QADIR JILANI farmate hain:

"Koi Mahina aur Koi Zamana, Aalam main nahin Guzarta, magar woh Hamare pass ho kar Ijazat le kar Guzarta hai" (ALLAH ki ATA se)

Isi tarah koi Cheez Filhaal mojood na hone ya Bohat door hone ya kisi aur wajah se Nazar na aasake, to woh bhi GAIB hai, q k jab woh CHEEZ nazar nahin aarahi to kisi ko kiya maaloom k woh kiya hai, to agar kisi ne us cheez ko bager Hawas k jaan liya to woh b ILM E GAIB hai.

Jese HUZOOR (ALEH SALAAM) ne aaenda Peda hone waali cheezon ko Mulahiza Farma liya,
HAZRAT UMAR (RAZI ALLAH ANHU) ne Nihawand main HAZRAT SAARIYAH ko Madine PAAK se Dekh liya, aur un tak apni Aawaaz puhncha di, Isi Tarah koi Shakhs agar KARACHI main Beth k Punjab dekh le, ya aesi koi jagah dekhe ya us ka batae jo Hawaas se maaloom na ho, to yeh sab ILM E GAIB main hi Daakhil hai..

Agar koi Cheez Aalaat (Instruments) ki madad se maaloom ki jae, to woh ILM E GAIB main Shumaar nahin hoti,

FOR E.G
Kisi Aalay (Instrument) k Zariye Aurat k Pait ka Bacha Maaloom karte hain, Ya Telephone aur Radio k zariye se Door ki Aawaaz sun lete hain, is ko ILM E GAIB nahin keh sakte,
Q k ILM E GAIB ki Taareef main Arz kar diya gaya hai k jo HAWAAAS se Maaloom na hosake, aur Telephone aur Radio main se Jo Aawaaaz nikli woh Aawaaz Hawaas se Maaloom hone k Kaabil hai, Aalay se jo Pait k Bachay ka Maaloom kiya gaya yeh b ILM E GAIB na huwa, Q k Jab AALA (ANSTRUMENT) zaahir kar diya gaya, to ILM E GAIB kesa??
Yeh Thi TAAREEF aur IQSAAM ILM-E-GAIB ki, IN’SHA ALLAH Next Topic main hum aap ko ILM-E-GAIB k Saboot denge, QURA'ANI AAYAAT, AHADEES, ULAMA-E-UMMAT, Aur khud BAD AQEEDAH FIRQAH'Z ki Kitaabon se,..

Aur phir Bad Aqeedah logon k kiye gae Etarazaat k jawabat bhi dengey..
Aayat#1:

وعلم ادم الاسمآء کلھا ثم عرضھم علی الملاءکۃ

TARUMA: "Aur ALLAH TA'ALA ne Aadam ko Tamaam Ashiya (Cheezon) k naam Sikhae phir Sab Ashya Malaika (Faishton) par Pesh Kin"
(PARAH#1, SURAH#2, Aayat#31)

Tafseer E Madarik main Isi Aayat k MA Tehet hai.

" HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko Tamaam Cheezon k naam bataney k Maenay (Meaning) yeh hain k ALLAH TA'ALA ne unko woh tamaam Jinsen Dikha din jis ko Peda kiya hai, aur unko bata diya k is ka naam GHORA (HORSE) hai, aur iska naam OONT (CAMEL) hai, aur is ka naam Falaan hai (wagera wagera),

Ibn-E-ABBAS se marwi hai k In ko har cheez k naam sikha diye yahaaan tak k Piyaali wagera k bhi"
(Tafseer-e-Madarik, Jild#1, Page#45, Matboo’a Maktaba-tul-Quran Wal Sunnah, Peshawar)

Tafseer E Khazaan main isi Aayat main Yeh hi mazmoon (Topic) bayaan farmaya:

" Kaha gaya k HAZRAT ADAM (ALEH SALAAM) ko tamaam farishton k naam sikha diye aur kaha gaya hai k in ki Aulaad k naam aur kaha gaya k in ko Tamaam Zabanen sikha di gain"
(Al-Baab ut Taaweel Fi Ma’ani ut tanzeel Al Maroof, Tafseer-e-Khazin, Jild#1, Page#24, Matboo’a Dar-ul-Ma’arfah, Beroot)

Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai:

" HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko tamaam cheezon k Ausaaf aur un k Haalaat sikha diye aur yeh Mashoor hai k Murad E Makhlooq main se har Haadis ki Jins k Saaray naam hain, jo Mukhtalif Zabaanon main honge, jin ko Aulaad E Aadam Aaj tak Bol rahi hai, For E.g: Arbi, Farsi, Romi, wagera (tamam ki tamaam Zabaanen jo aaj tak is dunya main Istimaal huin aur hoti rahengi)
(Tafseer-e-Kabeer, Jild#1, Page#397, Matboo’a Dar ul Ehya, At Turas ul Arabi, Beroot)

Tafseer Abu Saood main isi Aayat k Ma tehet hai:

"Kaha gaya k HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko Guzishta (Past) aur Aaenda (Future ki) tamaam Cheezon k naam bata diye, aur kaha gaya hai k Apni Saari Makhlooq k naam bata diye Aqli, Khayaali aur wehmi cheezen bi bata din, aur Un cheezon ki zaat k naam, un k Khaasay, unki Pehchaan, ILM k Qawaaid, Hinron k Qaanoon, un k Auzaaron (Instuments or Weapons) ki Tafseel aur un k Istamaal k tareeqay ka ILM, HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko ILHAAM farmaya..
(Tafseer Abi ul Saood, Jild#1, Page#84, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas al Arabi, Beroot)

Imam Hussain Bin Mas’ood Magwi 816 Hijri main likhtey hain:

Tarjuma: “Aur yeh Qol bhi hai k jo kuch huwa aur jo kuch Qiyaamat tak honey waala hai sab k naam murad hain”
(Tafseer Mu’aalim ut Tanzeel, Jild#1, Page#61, Matbooa’ Dar ul Ma’arfah, Beroot)

Ger Muqallidon k Imam Muhammad Bin Ali Shokani 1250 Hijri main likhtey hain:

Tarjuma: “ ALLAH TA’ALA ka Farmaan "کلھا" ki taakeed ka faedah yeh hai k ALLAH TA’ALA ne Hazrat Aadam (Aleh Salam) ko tamam Naam sikha diye aur is se jo kuch honey waala hai aur jo kuch ho chuka hai, koi shey bhi khaarij nahin”..
(Tafseer Fatah ul Qadeer, Jild#1, Page#24, Matboo’a Dar ul Fikar, Beroot)

Tafseer E ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma Tehet hai:

" Aur HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko Cheezon k haalaat sikhae, aur jo kuch in main Deeni o Duniyawi NAFA'A hain, woh batae, aur in ko Farishton k naam, inki Aulaad aur Hewaanaat aur Jamadaat k naam batae, aur har cheez ka banana bataya, tamaam Shehron (Cities), aur Gaaon (Villages) k naam, Parindon (Birds) aur Daraakhton (Trees) k naam, jo ho chuka, ya jo kuch bhi hoga, un k naam aur ALLAH TA'ALA jo kuch QAYAAMAT tak Peda farmae ga, un k naam aur Khane Peenay ki Cheezon k naam , Jannat ki har Ne'mat, Garz yeh k har Cheez k naam Bata diye, HADEES main hai k HAZRAT AADAM ko 7 Laakh Zabanen sikhai gain..
(Tafseer Rooh ul Bayaan, Jild#1, Page#136, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas al Arabi, Beroot)

IN Tafaaseer se Maaloom huwa k Maakaan Aur Maayakoon k Saare Uloom HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) ko diye gae, Zabaaanen (Languages), Cheezon k Nafa o Zarar (Profit n Loss) banane k tareeqay, Aalaat (Instruments) ka Istamaal sab Dikha diye..

Lekin ab mere NABI (Sallalaho Aleh Wassallam) k Uloom to dekho, HAQ yeh hai k yeh ILM E AADAM, meray NABI (Sallalaho Aleh Wassallam) k ILM k Darya ka Ek Qatra hai..

SHEIKH IBN-E-ARBI, FATOOHAAT-E-Makiyah k Baab Daham (10) main farmate hain:

Tarjuma: “HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) k pehle KHALEEFA aur NAAEB, AADAM (Aleh Salaam) hain"

Maaloom huwa k HAZRAT AADAM (ALEH SALAAM) , HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) k Khaleefa hain.

Khaleefa usko kehte hain jo Asal ki Ger Mojoodgi main uski Jagah Kaam Kare,

HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Pedaish se Qabal saare Ambiya HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) k naaeb the..

Yeh baat Molvi Qasim Sahab (Deoband k baray Aalim) ne apni Kitaab Tehzeer Un Naas main likhi aur maani hai..

Jesa k hum bayaan kar chukay hain, k Khaleefa k ILM ka yeh Haal hai, to Aap Khud Sochen K NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ka ILM kitna hoga...

Aayat#2:

ویکون الرسول علیکم شھیداً۔
Tarjuma: "Aur Yeh RASOOL Tumhare Nigehbaan Aur Gawah hain" (Parah#2,Surah#2,Aayat#143)

Tafseer-E-Azeezi main Isi Aayat k Ma tehet hai.

" Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) apne Noor-E-Nabuwat ki wajah se Har Deendaar k Deen ko Jaantay hain, k deen k kis darjay tak puhncha hai, aur is k Eemaaan ki Haqeeqat kiya hai, aur konsa Hajaab is ki taraqqi k Maanay hai, pas HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) tumhare Gunahon ko Tumhare Eemaani Darjaat ko aur tumhare Naik O Bad Aamaal aur Tumhare Ikhlaas aur Nafaaq ko pehchaante hain, Lihaza in ki Gawahi dena main Ba hukum Sarah Ummat k HAQ main Kabool aur Wajib UL AMAL hai ".
(Tafseer-e-Azeezi, Parah#2, , Jild#1, Page#518)

TAFSEER-E-ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma Tehet hai.

" Yeh is Bina par hai k Kalma Shaheed main Muhaafiz aur Khabardaar k Maaenay (Meaning) bhi Shaamil hain, aur Is maaenay (Meaning) k Shaamil karne main is Taraf Ishara hai k Kisi ko Aadil kehna aur Safai ki Gawahi dena Gawah k Haalaat par Muta'ala Hone se Ho sakta hai.. aur HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Musalmaanon par GAWAHI dene k Maaenay (Meaning) yeh hain k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) har Deendaar k Deeni Martabay ko Pehchaante hain, Pas HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam), MUSALMAANON k GUNAAHON ko, In k Eemaan ki Haqeeqat ko In k Achay Buray Aamaal ko In k IKHLAAS aur Naffaaq wagera ko NOOR-E-HAQ se Pehchante hain, aur HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Ummat bhi QAYAAMAT main Saari UMMATON k Haalaat jane gi, magar HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) k NOOR se ".
(Tafseer-e-Rooh-ul-Bayaan, Jild#1, Page#136, Matboo’a Dar ul Ehya ut turas al arabi, Beroot)

Tafseer-E-Khaazan main isi Aayat k Ma Tehet hai.

" Phir QAYAAMAT main HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Bulaya jawe ga, Pas RAB TA'ALA, HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) se Aap ki UMAT k Haalaat Puchay ga, to Aap unki Safai ki Gawahi denge, aur In ki Sachai ki Gawahi denge ".
(lbaab ul taweel fi maani ul tanzeel al maroof, tafseere khazin, jild#1, Page#87, Matboo’a dar ul kutub ul Ilmiyah, Beroot)

Tafseer-E-Madarik PARAH#2, Surah Bakar main isi Aayat k Ma tehet hai.

" Phir HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Bulaya Jawega, aur Aap ki UMMAT k Haalaat puche jaaenge, Pas Aap unki Safai bayaan karenge, aur un k Aadil hone ki GAWAHI denge, Lihaza HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) tmhari Adaalat ko jaante hain ".
(Tafseer-e-Madarik, Jild#1, Page#88, Maktabah tul Quran wal sunnah, Peshawar)

Is Aayat aur In Tafaseer main Farmaya gaya k QAYAAMAT k Din Dusre AMBIYA ki UMMATEN, BARGAH-E-ILAHI main Arz karengi, k Hamare pass tera koi Pegambar na Puhncha.

In UMMATON k NABI Arz karenge k KHUDAYA hum in main gae, teray Ehkaam Puhnchaye, magar In logon ne KUBOOL na kiye. RAB TA'ALA ka AMBIYA ko Hukum hoga, k Chunkay tum Muda'i ho, apna Koi GAWAH lao, woh apni GAWAHI k liye UMMAT-E-MUSTAFA (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Pesh karen ge, MUSALMAAN GAWAHI denge, k KHUDAYA tere Peghambar sachay hain, inhon ne tere Ehkaam puhnchaye the.

Ab do baaten Tehqeeq k laek hain,

1) yeh k MUSALMAAN GAWAHI k kaabil hain ya Nahin??

Answer: Faasik O Faajir aur Kaafir ki GAWAHI kabool nahin hoti, Musalmaan Parhezgaar ki Gawahi kabool hoti hai..

2) Dusri yeh k Musalmaano (UMMAT-E-MOHAMMADI) ne apne se Pehle ka zamaana nahin dekha tha, phir Gawahi kis tarah de rahe hain??,

Answer: Musalmaan Arz karenge k KHUDAYA hum se tere MEHBOOB MOHAMMAD (Sallalaho Aleh Wassallam) ne farmaya tha, k Pehle k Peghambaron ne TABLEEG ki thi, is ko Sun kar hum GAWAHI de rahe hain, tab HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko bulaya jawe ga, aur HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) 2 baaton ki Gawahi denge,

Ek yeh k yeh Log (MUSALMAAN), FAASIK ya FAAJIR nahin, taa k in ki GAWAHI kabool ho, Balkay MUSALMAAN aur Parhezgaar hain, dusra yeh k Haan Hum ne In se (Musalmaan se) kaha tha k Pehle NABIYON ne apni QOUM tak Ehkaam-E-ILAHI puhncha. tab GAWAHI kabool hogi.

Is WAqiye se chand baaten saamne Aatin hain, Ek yeh k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) QAYAAAMAT tak k Musalmaanon k Eemaan, Aamaal, ROZAY, NAMAZ-O-NIYAT, se bilkul KHABARDAAR hain, warna pehli Yaani Safai ki Gawahi kese Mumkin hai, agar ek MUSALMAAN ka bhi koi bhi Haal aap se chupa rahe.(Yaani ILM-E-GAIB)..

Jese HAZRAT NOOH (ALEH SALAAM) ne apni QOUM k Aane Waali Nasal ka Haal maaloom farma liya tha, k KHUDA in ki Aulaad bhi agar huwi to woh Kaafir hogi. Dekhiye (PARAH#29,SURAH#71,AAYAT#27), lihaza tu in ko Garak kar de..

HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ne jis Bachay ko QATAL farmaya, uska Aaenda ka Haal maaloom kar liya k Agar Zindah raha to Sarkash hoga...

Ab AMBIYA ko itna ILM haasil tha, to aap khud sochen k IMMA UL AMBIYA k ILM ka kiya Mukaam hoga, aur Un se kisi ka Haal kese chup sakta hai..

Ab dusra point dekhen k Gawahi k waqt, Guzishta Peghambar aur Unki Ummat k Haalaat HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne BA-NOOR-E-NABUWAT dekhe the, aur Aap ki GaWAHI dekhi huwi thi, Q k Agar sirf suni hoti, to aesi GAWAHI to MUSALMAAANO ne bhi di thi..

Teesra Point yeh k ALLAH jaanta hai, k AMBIYA sachay hain, phir bhi Gawahiyaan de kar faisla farmata hai, Kiya ALLAH ko sachai Maaloom nahin???

BESHAK ALLAH ko Maaloom hai k AMBIYA sachay hai, unhon ne Tableeg ki..

magar phir bhi ALLAH ne tehqeeq ki Aur Gawahi li isi tarah agar HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne kuch Muqadmaat main Tehqeeq ki ya GAWAHI li to is se yeh laazim nahin k NABI (Sallalaho Alehe Wassallam) ko maaloom nahin, Balkay Muqadmaat Ka QAEDAH hi yeh hota hai, k Tehqeeq ki jae aur GAWAHI li jae..

Aayat#3:
Tarjuma: " Aur Ae MEHBOOB tum ko in sab par Nigehbaan bana kar hum la denge ". (PARAH#5,Surah#4,Aayat#41)

Tafseer Nesha Poori main isi Aayat k Ma Tehet hai.
" Is liye Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Rooh Mubarak tamaam Roohon aur Dilon aur Nafson ko dekhne waali hai, Q k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya k ALLAH ne jo pehle peda farmaya woh mera NOOR hai".

Tafseer ROOH UL BAYAAN main Isi Aayat k Ma Tehet hai.
" HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) par Aap ki ummat k Aamaal Subah-O-Shaaam pesh kiye jaate hain, Lihaaza Aap UMMAT ko Un ki Alaamaat se Jaante hain, aur In k Aaamaal ko Bhi, Is liye Aap in par GAWAHI denge".
(Tafseer-e-Rooh-ul-Bayaan, Jild#2, Page#257, Matboo’a Dar-ul- Ehya ut Turas ul Arabi, Beroot)

Tafseer Madarak main Isi Aayat K Ma Tehet hai.
" HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) Gawah hain, Mominon par Un k Eemaan k Kaafiron par un k Kufar k Aur Munaafiqon par un k Naffaaq k".
(Tafseer-e-Madarik, Jild#1, Page#253, Matboo’a Maktaba-tul-Quran wa Sunnah, Peshawar)

Is Aayat aur In Tafaaseer se Maaloom huwa k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) Az Awwal ta Qayaamat tum logon k Kufr-o-Eemaan-o-Naffaaq-o-Aamaal wagera sab ko Jaante hain, is liye Aap sab ki Gawahi denge, Yeh hi to ILM-E-GAIB hai..

Aayat#4:

من ذا الذی یشفع عندہ الا باذنہ یعلم ما بین ایدیھم وما خلفھم۔

Tarjuma: “Woh kon hai jo us k yahaan Sha’fa’at karey Bager us k Hukum k, jaanta hai jo kuch un k aagey hai, aur jo kuch un k peechey hai”..
(Surah Bakarah, Parah#3, Aayat#255)

Tafseer-e-Neshapuri main isi Aayat k Ma-tehet hai..
Tarjuma: “Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) Makhlooq k pehley k Awwal Maamlat bhi jaantey hain aur jo Makhlooq k Baad-e-Qayaamat k Ehwaal hain who bhi jaantey hain”..

Rooh-ul-Bayaan main isi Aayat k Ma-tehet hai:
Tarjuma: “Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) Makhlooq k pehley k Halaat jaantey hain, ALLAH TA’ALA k Makhlooq ko Peda karney k pehley k Waqiyaat aur un k Peechey k Halaat bhi jaantey hain, Qiyaamat k Ehwaal Makhlooq ki Ghabrahat aur RAB TA’ALA k Ghazab wagerah”..
(Tafseer-e-Rooh ul Bayaan, Jild#1, Page#43, Matboo’a Maktabah Islamiyah, Quetta)

Is Aayat auur in Tafaseeer se Maloom huwa k keh Ayat ul Kursi main من ذالزی se le kar الا بما شآء tak 3 sifaat Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko bayaan huwin.

Baqi Awal wa Aakhir main sifaat e Ilaahiya hain.

Is main farmaya gaya hai k Khuda Ta'ala k pas koi bagher ijazat kisi ki shafa'at nahi kar sakta aur jinko shafa'at ki ijazat hai wo Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) hain aur Shafee k liye zaroori hai k gunehgaaron k anjaam aur unke haalaat se waqif ho taa k Na’ehel ki Shafa’at na hojaey aur mustahiq shafa'at se mehroom na reh jain.

Jese tabeeb k liye zaroori hai ke qabil e ilaaj aur laa'ilaaj mareezon ko jane to farmaya gaya

یعلم ما بین ایدیھم

k jisko hum ne Shafi banaya hai.Usko tamam ka ilm bhi diya hai kion keh shafa'at E kubraa k liye ilm e ghayb laazim hai.

Is se maloom hua ke jo kehty hain k Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) qayamat main munafiqeen ko na pehchanenge. Yaa Huzroor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko apni bhi khabar nahi keh mera kya anjam hoga.mehez ghalt aur bay-deeni ha.jesa k ainda ata hai

ولا یحیطون بشی ء من علمہ الا بما شآء

Aur wo nahi paatey uske ilm main se magar jitna Woh chahey.

Tafseer Rooh ul bayan main isi ayat k matehet ata hai:

Tarjuma:"Ahtamal ye bhi hai ke is zameer se Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) muraad honge yaani Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) Logon k halaat ko mushahida farmany walay hain aur unke samne k haalaat janty hain unke ikhlaaq unky maamlaat aur unke qissay waghera aur unke peeche k haalaat bhi janty hain.

Aakhirat k ahwaal jannati ,dozakhi, logon k haalaat aur wo log Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k maaloomat main se kuch bhi nahi janty magar isi qadar jitna k Huzoor chahen.

Auliya-e-Allah ka ilm, Ilm-e-Ambiyaa k samne aisa ha jese aik qatra 7 samandaron k samne aur Ambiya ka ilm Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k ilm k saamne isi darja ka hai aur humare AAQA Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ka ilm Rabul Alameen k samne isi darjay ka.

passs har Nabi aur har Rasool aur har Wali apni apni istedad aur qabiliyat k mavafiq Huzoor se he lete hain aur kisi ko ye mumkin nahi k Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) se agay barh jai.".

Tafseer e Khazn main isi ayat k matehet hai:

Tarjuma: "Yani Khuda Ta'ala unko apne ilm par itlaa deta hai aur wo Ambiya va Rasool hain. Taa k unka Ilm e ghayb par Mutala'a hona unki Nabuwat ki Daleel ho jese Rab ne farmaya hai k Passs Zahir Nahi Farmata apne Ghayb Khas par kisi ko siva'ay us rasool k jis se Rab Raazi ho."

Tafseer Mua'lam ul tanzeel main isi ayat k matehet hai:

Tarjuma: "Yaani ye log ilm e ghayb ko nahi Ghair sakty magar jis qadar keh Khuda chahey jiski khabar rasoolon ne di ".

Es ayat aur in tafaseer se itna malom hova ha keh is ayat main yaa to khuda ka ilm murad hai keh khuda ka ilm kisi ko hasil nahi haan jisko Rab he dena chahey to usko ilm e ghayb hasil hota hai aur Rab ne to Ambiya ko diya aur Ambiya k zariya se baaz mo'mineen ko diya.

Lihaza unko bhi Ba-Ataa-ey Elaahi ilm ghayb hasil hova.kitna diya uska zikar ayinda ayega.
Yaa ye muraad hai keh Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k ilm ko koi nahi paa sakta . magar jis qadar Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) hi dena chahen to Ata farma dain.

Lihaza az Hazrat e Aadam taa roz e qayamat jisko jis qadar ilm mila . wo Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k ilm k darya ka ek qatra hai.

is main Hazrat e Adam aur farishton waghera ka ilm bhi shamil hai.

aur Hazrat e Aadam (Aleh Salam) k ilm ki wus’at hum
علم ادم ki ayat k tehet bayan kar chuky hain.

Aayat#5:
وما کان اللہ لیطلعکم علی الغیب ولکن اللی یجتبی من رسلہ من یشاء۔
Tarjuma: "Aur ALLAH ki yeh Shaan nahin hai k Ae Aam logon tum ko GAIB ka ILM de, haan ALLAH chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko chahe".
(PARAH#4, Aayat#179)

Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai.
Tarjuma: " Khuda Ta'ala tum main se har kisi ko ILM-E-GAIB nahin dene ka ko Matla'a kare, is KUFAR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin ALLAH ne Pegambari k liye jis ko Chun leta hai, Pas Us ki taraf Wahi farmata hai, aur Ba'az Gaiyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai, Ya un k liye Aese Dalael farmata hai, jo GAIB par Rehbari karen"
(Anwaar Ul Tanzeel, Jild#1, PAGE#308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)

Tafseer E Khazan main hai:
Tarjuma: " Lekin ALLAH chun leta hai, Apne RASOOLON main jise ko chahta hai, Pas Unko Khabardaar karta hai, Baaz ILM-E-GAIB par."
(Al Baab Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazan, Jild#1, PAGE#308, Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)

Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai.
Tarjuma: " Lekin In Baaton ka Batareek, GAIB par Matla'a hone, k Jaan lena, Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai".
(Tafseer Ul Kabeer, JILD#9, PAGE#111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot)

Tafseer E Jalalen main hai.
Tarjuma: " Maaenay (meaning) yeh hain k ALLAH apne Rasoolon main jis ko Chahta hai, Chun leta hai, pas In ko GAIB par Matla'a Kar deta hai"....

" KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka, Taa k Faraq karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo. Lekin ALLAH jis ko chahta hai, Chaant leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a farmata hai, jese NABI (ALEH SALAAM) ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya".
(Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)

Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI (ALEH SALAAM) ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya..

ROOH Ul BAYAAN main hai.
Tarjuma: " Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB Zaahir nahin hote Bager RASOOL (ALEH SALAAM) k Waastay se".
(Tafseer E ROOH Ur Bayaan, JILD#2, PAGE#162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot)

Is Aayat aur In tamaam Tafaseer se Maaloom huwa k KHUDA ka KHAAS ILM E GAIB, Pegambar par Zaahir hota hai, Ba'az Muffassareen ne jo farmaya k Ba'az GAIB, Is se Mura'ad hai k ILM-E-ILAHI k muqaablay main Ba'az ILM..

(Beshak ILM-E-ILAHI k Muqaaablay HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ka ILM nahin), Par ALLAH k Ba'az Uloom jo ALLAH ki Ata se HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Ata kiye Gae, Woh is Dunya ki Tamaam Makhlooqaaat se Zyadah hai, Garz k Yeh baat Saabit huwi k HUZOOR (Sallalaho Alehe Wassallam) ko ALLAH TA'ALA ne ILM-E-GAIB Ata kiya..

Aayat#6:

Tarjuma: " Aur tum ko Sikha diya jo kuch tum na jaante the, aur ALLAH ka tum par bara fazal hai".
(Surah Nisa, Aayat#113)

Tafseer-E-Jalaleen, Page 97, main hai.

Tarjuma: "Yaani Aahkaam, aur ILM-E-GAIB"

IMAAM Hussain Bin Mas'ood Bagwi 516 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " (Aur ALLAH ne aap ko woh sab Ilm Ata kar diye jo, aap nahin jaante the) Yaani Ehkaam main sab, aur ILM-E-GAIB main se.
(Tafseer Mo'allam Ul Tanzeel, Jild#1, Page#479, Matboo'a Darul Ma'arfa'a, Beroot)

Ab yeh jo baat likhi gai hai, yeh Tafseer aaj se Taqreeban 900 saal pelhle likhi gai, agar yeh baat galat hoti, to Kiya in likhne waale sahab ko roka na jaata???

Tafseer e Khazin main hai:

Tarjuma: “ALLAH ne Aap per Quran utara aur Hikmat utari aur Aap ko in k Bhedon per Mutla farmaya, aur in ki Haqeeqaton per Waaqif kiya”
(Al baa but tanweel fi Ma’ani ut Tanzeel ul Maroof, Tafseer-e-Khazin, Jild#, Page#403, Matboo’a Dar ul Ma’arfah, Beroot)

Tafseer-E-Madarik main hai.

Tarjuma: " Deen aur Shariyat k Umoor Sikhae, aur chupi huwi baaten, Dilon k Raaz batae".
(Tafseer-E-Madarik, Jil#1, Page#282, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshawar)

Jaame Al Bayaan main hai:

Tarjuma: " Yaani Aap ko woh sab baaten bata din, jo Qura'an k Nuzool se pehle Aap na jaante the".
(Tafseer-E-Tibri, Jild#5, Page#270, Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)

Is Aayat aur in Tafaseer se maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko tamaam Aaenda aur Guzishta Waakiyaat ki Khabar di gai, Yaani ILM-E-GAIB..

Kalma ما Arabi Zabaan main Umoom k liye hota hai to Aayat se maloom huwa k Shari’yat k Ehkaam Duniya k saarey Waqiyat logon k Eemaani halaat wagerah jo kuch bhi Aap k Ilm main na tha, sab hi bata diya, is main yeh Qaid lagana k is se Murad sirf Ehkaam hain apni Taraf se Qaid lagana hai, jo Quran o Hadees aur Ummat k Aqeeday k khilaaf hai..

Aayat#7:
ما فر طنا فی الکتاب من شیٔ۔
Tarjuma: “Hum ne is Kitaab main kuch Utha na rakha”..
(Surah al In’aam, Aayat#38)

ان القرآن مشتمل علی جمیع الاحوال
Tarjuma: “Quran e Kareem tamaam Halaat per Mushtamil hai”..
(Al Baa but Tanveel Fi Ma’ani ut Tanzeel ul Maroof Tafseer e Khazin, Jild#2, Page#111, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)

Tafseer Anwar ul Tanzeel main isi Aayat k Ma-tehet hai:
Tarjuma: “Kitab se Murad Looh e Mehfooz hai, q k yeh Looh e Mehfooz in baton per Mushtamil hai jo Aalam main hota hai, her Zaahir aur Baareek, is main kisi Hewaan aur Jamaad ka Maamla chora na gaya”..

Tafseer e Arais ul Bayaan main isi Aayat k Ma-tehet hai:
Tarjuma: “Yaani is Kitaab main Makhlooqaat main se kisi ka Zikar na chora gaya, lekin is Zikar ko koi nahin dekh sakta, magar who jin ki Ma’arfat k anwar se taaeed ki gai ho”..

Is Aayat aur in Tafaseer se maloom huwa k kitaab main Duniya o Aakhirat k saarey halaat mojood hain, ab Kitaab se murad ya to Quran hai ya to Looh e Mehfooz, aur Quran bhi Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k ilm main aur Looh e Mehfooz bhi, is hum aagey aur Describe karengey..

To Nateejah yeh nikla k tamaam Duniya o Aahkirat k halaat Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k Ilm main huwey, q k saarey Uloom Quran aur Looh e Mehfooz hain, aur Quran o Looh e Mehfooz Huzoor k Ilm main…
Aayat#8:

ولا رطب ولا یا بس الا فی کتاب مبین۔

Tarjuma: “Aur nahin hai koi Tar o Khushk jo Roshan Kitaab main na likha ho”..
(Parah#7, Surah#6, Aayat#59)

Rooh ul Bayan main hai:

Tarjuma: “Woh Looh e Mehfooz hai k ALLAH ne us main saari hosakney waali cheezen jama farma deen, un Faedon ki wajhon se bandon ki taraf Lotney hain, in ko Ulama e Rabbani jaantey hain”..
(Tafseer-e-Rooh ul Bayan, Jild#3, Page#57, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas ul Arabi, Beroot)

Tafseer-e-Kabeer main isi Aayat k Ma-tehet hai:

Tarjuma: “Is likhney main chand faeday hain ek yeh k ALLAH TA’ALA ne in Halaat ko Looh e Mehfooz main is liye likha tha, taa k Malaekah Khabardaar hojaen, in Maloomat main Ilm-e-Ilaaahi jaari honey per pas yeh baat in farishton k liye puri Puri Ibrat ban jae jo Looh e Mehfooz per Muqarrar hain, q k woh Farishtey un Waqiyat ka us Tehreer se Muqabilah kartey hain, jo Aalam main naey naey (New, New) hotey rehtey hain, to us ko Looh e Mehfooz k Mawafiq paatey hain”..
(Tafseer-e-Kabeer, Jil#5, Page#12, Matboo’a Dar-ul-Ehya ut Turas ul Arabi, Beroot)

Tafseer-e-Khazin main isi Aayat k Ma-tehet hai:

Tarjuma: “Dusri Tawajjiyah yeh hai k Kitaab e Mubeen se Murad Looh e Mehfooz hai, q k ALLAH TA’ALA ne us main jo kuch hoga, aur jo kuch Aasamaan o Zameen ki Pedaish se Pehley ho chuka sab ka ilm lika diya aur in tamaam cheezon k likhney se is kitaab main faedah yeh hai k Farishtey is k ilm k jaari karney per wakif hojaen”..
(Al Baa but Taweel Fi Ma’ani ut Tanzeel ul Maroof, Tafseer-e-Khazin, Jild#2, Page#119, Matboo’a Dar ul Kutub ul Ilmiyah, Beroot)

Tafseer-e- Madarik main hai:

Tarjuma: “Woh kitaab ya to Ilm-e-Ilaahi hai ya Looh-e-Mehfooz”
(Tafseer-e-Madarik, Jild#1, Page#363, Matboo’a Maktaba tul Quran wa Sunnah, Peshawar)

Tafseer-e-Tanweer ul Muqiyas main Tafseer-e-Ibn-e-Abbas main isi Aayat k Ma-tehet hain:

Tarjuma: “Yeh Tamaam Cheezen Looh e Mehfooz main hain, k in ki Miqdaar aur un ka Waqt bayaan kar diya gaya hai”..
(Tafseer Tanweer ul Muqiyas Man Tafseer IBn-e-Abbas, Page#142, Matboo’a Al Maktabah Hukkaniyah, Peshawar)

Is Aayat aur in Tafaseer se Maloom huwa k Looh e Mehfooz main har Khushk o Tar Adna o Aala Cheez hai, aur Looh e Mehfooz ko Farishtey aut ALLAH TA’ALA k Khaas Bandey jaantey hain, aur ILM-E-MUSTAFA (Sallalaho Alehe Wassallam) in sab ko Gheray huwey hai, Lihaazah yeh Tamaam Uloom Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k Ilm k Dariya k Qatrey hain…

Aayat#9:

نزلنا علیک الکتاب تبیاناً لکل شیء۔

TArjuma: “Aur hum ne tum per yeh Quran Utara k her Cheez ka Roshan Bayaan”..
(Parah#14, Surah#16, Aayat#89)

Tafseer-e-Hussiani main isi AAyat k Ma-tehet hai:

Tarjuma: “Hum ne aap per yeh kitaab Quran Deen o Duniya ki her Cheez ka Roshan Bayaan bana ker Bheji, Tafseeli o Ijmali”..
(Parah#14, Surah#16, Aayat89)

Is Aayat aur Tafseer se Maloom huwa k Quran e Kareem main her Adna o Aala cheez hai, aur Quran Rab-e-Ta’ala se Mehboob (Aleh Salam) ko sikhaya الرحمن علم القرآن yeh tamaam cheezen Ilm-e-Mustafa (Sallalaho Alehe Wassallam) main Aaen..

Aayat#10:
وتفصیل الکتاب لاریب فیہ
Tarjuma: “Aur Looh-e-Mehfooz main jo kuch likha hai, Quran sab ki tafseel hai, is main kuch shak nahin”..
(Parah#11, Surah#10, Aayat#37)

Jalalen main isi Aayat k Tehet hai:
Tarjuma: “Yeh Tafseeli Kitaab hai is main who Ehkaam aur un k Siwa Dusri Cheezen bayaan ki jaati hain, jo ALLAH TA’ALA ne likh din”
(Tafseer-e-Jalalen, Page#272, Matboo’a Dar ul Hadees ul Qaherah, Misar)

Jamal main isi Aayat k Tehet hai:
Tarjuma: “Yaani Looh-e-Mehfooz main tafseel hai”..
Rooh ul Bayaan main yeh hi aayat:
Tarjuma: “Yaani yeh Quran in Shar’ai aur Haqeeqat ki Cheezon ki tafseel hai, jo Saabit ki jaa chuki hain, aur Taweelat-e-Tajammiyah main hai k is tamaam ki Tafseel hai jo Taqdeer main aa chuki hain, aur is kitaab main likhi ja chuki hain, jis main Rad-o-Badal nahin hota, q k woh Kitaab Azli o Abadi hai”..
(Tafseer-e-Roh ul Bayan, Jild#4, Page#64, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas ul Arabi, Beroot)

Is Aayat o Tafseer se Saabit huwa k Quran e Kareem main Ehkaam e Shariyah aur tamam Uloom Mojood hain, is Aayat se pata chala k Quran main saarey Looh e Mehfooz ki tafseel hai, aur Looh e Mehfooz main saarey Uloom hain,
ولا رطب ولا یا بس الا فی
Aur Quran Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k Ilm main hai, الرحمٰن علم القرآن lihaazah Saara Looh-e-Mehfooz Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k Ilm main hai q k Quran Looh e Mehfooz ki Tafseel hai..
Aayat#11:

ما کان حدیثاً یفتری ولکن تصدیق الزی بین یدیہ و تفصیل کل شی ء۔

Tarjuma: “Yeh koi Banawat ki baaat nahin, apney se Agley Kalaamon ki Tasdeeq hai aur her cheez ka Mufassil bayaan”..
(Parah#13, Surah#12, Aayat#111)

Tafseer-e-Khazin main hai:

Tarjuma: “Yani is Quran main jo aap per utara gaya, Ae Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) her us cheez ki tafseel hai jis ki Aap ko Zarurat ho, Halaal aur Haram Sazaen aur Ehkaam aur Qissay aur Nasihaten aur Misalen, in k ilaawa woh cheezen jin k bandon ko apney Deeni o Duniyawi maamlaat main zarurat perti hai”..
(Al Baab ul Taweel Fi Ma’ani ul Tanzeel al Maroof Tafseer-e-Khazin, Jild#2, Page#562, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)

Tafseer-e-Hussaini main hai:

Tarjuma: “Yani is Quran main her us Cheez ka Bayaan hai, jis ki Deen o Duniya main Zarurat ho, (Kitab ul Aejaz la bin Siraqah) main hai , Aalam main koi cheez aesi nahin jo Quran main na ho”..

Ab jis Hasti per Quran Utara gaya hoga, us Hasti ka Ilm kitna hoga..!!

Aayat#12:

Tarjuma: “Rehman ne apney Mehboob ko Quran sikhaya, Insaaniyat ki jaan Muhammad ko peda kiya, Makaan o Mayakoon us ko sikhaya, ALLAH ne insaan yaani Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) ko peda farmaya, aur in ko bayaan yaani saari agli pichli baton ka bayaan sikha diya”..
(Parah#27, Surah#55, Aayat# 1-4)

Tafseer-e-Khazin main isi Aayat k Tehet hai:

Tarjuma: “Kaha gaya hai k insaan se murad Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) hain, k in ko agley Pichley Umoor ka bayaan sikha diya gaya, q k Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko aglon aur pichlon ki, aur qiyaamat k din ki khabar de di gai”..
(Al-Baab ul Taweel Fi ma’ani ul tanzeel al maroof, tafseer-e-Khazin, Jild#4, Page#208, Matboo’a Dar ul Ma’arfah, Beroot)

Rooh ul Bayaan main hai:

Tarjuma: “Yaani hamarey Nabi (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Rab Ta’ala ne Quran aur apni Rabwiyat k bhed sikha diye, jesa k khud Rab Ta’ala ne farmaya k Aap ko sikha den woh baaten jo Aap na jaantey they”..
(Tafseer-e-Rooh ul Bayaan, Jild#9, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas ul Arabi, Beroot)

Imam Hussain Bin Mas’ood Bagwi (516) Hijri main likhtey hain:

Tarjuma: “Ibn-e-Kesaan farmaatey hain! Is Aayat main Insaan se murad Hazrat Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) hain, aur bayaan se murad jo kuch ho chukka hai, aur jo kuch honey waala hai, q k Huzoor Nabi e Kareem (Sallalaho Alehe Wassallam) Awwaleen o Aakhareen aur Yom e Hashar ki khabar detay hain”..
(Tafseer e Mu’allam ul Tanzeel, Jild#4, Page#267, Matboo’a Dar ul Ma’arraffah, Beroot)

Imam Abi al Farj Abdur Rehman Bin Joozi 597 Hijri main likhtey hain:

Tarjuma: “Insan se Murad Hazrat Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) hain, aur bayaan se murad hai jo kuch pehley ho chukka, aur jo Aaendah honey waala hai, aur yeh Ibn e Keesaan ka Qol hai”.
(زاد المسیر، ج ۸، ص 106، مطبوعہ مکتب الاسلامی، بیروت)

Tafseer e Madarik main hai:

Tarjuma: Insaan se Murad Jins-e-Insaani hai, ya Aadam (Aleh Salam) ya Huzoor (Aleh Salam)
(Tafseer e Madarik, Jild#2, Page#265, Matboo’a Maktaba tul Quran Wa Sunnah, Peshwar)

Mu’allam ul Tanzeel main is Aayat k tehet hai:

Tarjuma: “Kaha gaya k is Aayat main Insaan se murad Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) hain, aur bayaan se murad hai k Aap ko woh tamaam Baaten sikhaen jo Aap na jaantey they”..
(Tafseer Mu’allam ul Tanzeel, Jild#4, Page#267, Matboo’a Dar ul Ma’arfah, Beroot)

Allama Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maliki Qurtubi 668 hijri main likhtey hain:

Tarjuma: “Hazrat Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) aur Ibn-e-Keesaan farmaatey hain, k yahaan Insaan se murad Tajdaar e Kaainat (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Zaat-e-Giraami hai, aur bayaan se Muraad Halaal o Haraam aur Hidaayat o Gumrahi ko Juda karney waala Bayaan hai, aur yeh bhi kaha gaya hai k is se murad jo kuch ho chukka aur jo aaendah hoga, q k Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) Awwalleen o Aakhareen aur Yom-e-Hashar ki khabar detay hain”..
(Al Jami ul Ehkaam ul Quran, Jild#17, Page#152, Matboo’a Dar ul Ehya ut turas ul Arabi, Beroot)

In Aayaton aur Tafaseer se Maloom huwa k Quran main sab kuch hai, aur is ka saara Ilm Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Ata kiya gaya…

Aayat#13
Al-Quran
ما انت بنعمۃ ربک بمجنون۔

Tarjuma: “ Tum apney Rab k Fazal se Majonoon nahin”..
(Parah#29, Surah#68, Aayat#2)

Tafseer e Rooh ul Bayan main isi Aayat k Ma-tehet hai:

Tarjuma: “Yaani Aap se woh Baaten Chupi huwi nahin hain, jo Azal main thin, aur jo Abad tak hongi, q k jin k Ma’enay (Meaning) hain chupna, balkey Aap (Sallalaho Alehe Wassallam) us ko jaantey hain jo ho chukka aur khabardaar hain us se jo hoga”..
(Tafseer-e-Rooh ul Bayaan, Jild#9, Page#340-341, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas ul Arabi, Beroot)

Is Aayat o Tafseer se Ilm e Gaib e Kulli saabit huwa…

Aayat#14:

Tarjuma: " Aur Ae MEHBOOB agar tum in se puchoge, to kahenge k hum to Yun hi Hansi Khel main the".
(PARAH#10, SURAH#9, AAYAT#65)

Tafseer Dar Mansoor O Tarbi main isi Aayat k Ma Tehet:

Tarjuma: " HAZRAT MUJAHID (Razi ALLAH Anho) se riwayat hai, is Aayat k Nuzool k Baaray main hai k Ek Munaafiq ne kaha k MUHAMMAD (Sallalaho Aleh Wassallam) Khabar dete hain, k Falaan ki Oontni (Camel) Falaan JANGAL main Hai, In ko GAIB ki kiya KHABAR".
( Al-Dur ul Mansoor Fi Tafseer, Al-Maasoor, SURAH TOBA, Aayat#65, Jild#3, PAGE#456, Matboo'a Darul Qutub Ul ILMIYA, Beroot)

Bad Aqeedah logon se Darkhuwast hai k Baar baar parhen, k Ek Munaafiq ne kaha tha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko GAIB ki Kiya khabar..

GUSTAAKHON tum b Munaafiqon k Aqaid pe chalte ho.. hosh karo.. ALLAH ka KHOF karo..

IMAAM MUJAAHID Bin Jabar Al Makhzoomi At'Taba'i, 104 HIJRI main.. (Yaani Aaj se taqreeban 1300 saal pehle) likhte hain:

TARJUMA: " IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) is Aayat ki Tafseer main Farmatay hain, k Ek MUNAAFIQ ne kaha MUHAMMAD (ALEH SALAAM) humen yeh HADEES sunaate hain k FALAAN SHAKHS ki Oontni (Camel) FALAAN Waadi main FALAAN FALAAN din hai, Yeh GAIB ko Kiya Jaanen".
(Tafseer MUJAAHID, Tehet, Surah TOBA, Aayat#66, JILD#1,PAGE#283, Matboo'a Al Mansooraat, Ul ILMIYA, BEROOT)

IMAAM ABU JAAFAR BIN JAREER TIBRI 311 Hijri main IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) se Riwayat nakal karte hain:

Tarjuma: " Inhon ne farmaya k Munaafiqeen main se ek SHAKHS ne kaha k MUHAMMAD (ALEH SALAAM) hum se bayaan karte hain k FALAAN ki Oontni Falaan Falaan Waadi main hai, Bhala woh GAIB ki Baaten kiya jaanen".
(Jaamay Ul Bayaan, Fi TAfseer Ul Qura'an, Al Maroon Tafseer Tibri, Surah TOBA, Aayat#65, Jild#10, PAGE#196, Matboo'a Daarul Haya, Beroot)

Is Aayat aur Tafseer se Saaf Maaloom huwa k
HUZOOR (ALEH SALAAM) k GAIB se Inkaar karna MUNAAFIQEEN ka Kaam tha, Jis ko QURA'AN ne Kufar qarar diya..

Imam Yousuf Bin Ismail Nibhaani (Rehmatullah Aleh) likhtey hain:

Tarjuma: “ Hazrat Moosa Bin Uqbah aur Arwah bayaan kartey hain k Nabi Akram (Sallalaho Alehe Wassallam) Gazwah e Bani Mustalaq se lotey to Madinah Shareef k Qareeb sakht Aandhi aai, Qareeb tha k Saara lashkar Rait main Dab kar Dafan hojaata, Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Yeh Aandhi ek Munaafiq ki Moat k liye bheji gai hai (Yeh Ilm-e-Gaib nahin to kiya hai ??),

chunaa chey hum Madinah Munwwarrah puhnchey to Munaafiqeen ka Sardar Mar chukka tha, us Munaafiq ka naam Rafa’a Bin Zaid Bin Taaboot tha, Shaam k waqt yeh Aandhi thi, to logon ne apni Sawariyon ko ikhatta kiya un main se Nabi (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Oontni Ghum ho chuki thi, jis ki wajah se logon main us ki talash k liye Bhaag dor per gai, ek Munaafiq ne Ansaar ki majlis main kaha Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) to humen barey barey Waqiyat ki khabaren deta hai, ab ALLAH inhen in ki Oontni k baarey main q nahin batata ??,

phir woh Munaafiq uth khara huwa, aur Nabi e Kareem (Sallalaho Alehe Wassallam) k pass gaya taa k AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Guftugu suney to us ne Dekha k ALLAH ne us ki yeh baat Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko bata di hai, us waqt Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Jab k woh Munaafiq sun raha tha k, “ek Munaafiq shakhs ne yeh Har’sah’zai ki hai k Muhammad Rasool ALLAH (Sallalaho
Alehe Wassallam) ki Oontni Ghum hogai hai, ALLAH ab AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ko q nahin bata deta k woh Oontni is waqt kahaan hai, Sun lo ALLAH ne mujhey Aagah kar diya hai k woh Oontni is waqt kahaan hai?? Aur is main koi shak nahin k koi Bizzat Gaib ki baaten nahin jaan sakta siwaey ALLAH TA’ALA k (Yaani Atai Ilm-e-Gaib Huzoor ko hai),

Sun lo..! woh Oontni saamney ki Ghaati main hai, Aur us ki Muhaar ek Darakht (Tree) main atki huwi hai, yeh sun kar log us Oontni k pass gae aur usey pakar ker le aaey, woh Munaafiq bhaagta huwa un logon k pass aaya, jin ki mojoodgi main us ney woh baat kahi thi, woh sab log usi jagah bethey they, un main se koi bhi abhi tak uth ker kahin na gaya tha, Woh Munaafiq kehney laga, “Main tumhen Qasam de ker puchta hun, k kiya tum main se koi abhi tak is majlis main se utha nahin, aur woh baat ja ker kisi ne unhen batai hai ???, sab ne kaha: “nahin , hum se koi abhi tak is majlis main se nahin utha”, woh shakhs phir kehney laga: “Meri baat to Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) bayaan farmaa rahey they, Ba-khuda main ab tak Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) k Amar-e-Nabuwwat main Shak karta tha, main ab Gawahi deta hun k Muhammad ALLAH k RASOOL hain”..
(Hajjatullah Ali ul Aalameen Fi Mujizaat Syed ul Mursaleen, Page#366, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)
(Dalael un Nabuwwah, Imam Behki, Jild#4, Page#59-60, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)
(Naeem ur Riyaz Fi Sharah Shifa ul Qazi Ayaz, Jild#4, Page#195, Matbooa’ Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)
(Sharah ul Allama ur Zarqani Ali ul Mawahib ul Ludniyah, Jild#7, Page#207, Matboo’a Dar ul Ma’arfah, Beroot)
(Khasais ul Kubra, Jild#1, Page#391-392, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)

Imam Abdul Malik Bin Hasshaam 213 Hijri main likhtey hain:

Tarjuma: “
Ek kehney waala kehta hai k Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) yeh Gumaan kartey hain k Aasmaan se in k pass WAhi ati hain magar woh yeh nahin jaantey k un ki Oontni kahaan hai,
Qasam Ba-khuda! Main wohi jaanta hun jo ALLAH TA’ALA mujhey sikhaata hai, ab us ne mujhey is Oontni k Mutalliq bata diya hai, woh is Ghaati main hai, is ki Nakeel ek Darakht k saath uljhi huwi hai..

Sahaba-e-Karam (Razi ALLAH Anhu) us Ghaati main gaey unhon ne Wohi Oontni ko paaya, Jahaan Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, aur bilkul usi haalat main paya, jis tarah Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya tha”..
(Al Seerat un Nabwiyyah Al Maroof Seerat Ibn-e-Hasshaam, Jild#3, Page#60, Matboo’a Dar ul Jeel, Beroot)

Imam Nibhani (Rehmatullah Aleh) likhtey hain:

Tarjuma: “Aehki aur Abu Naeem Aasim Bin Umer Qatadah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat kartey hain k mujhey Ansar k kuch logon ne bataya k Nabi e Kareem (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Oontni Tabook ki jang main Ghum hogai, to ek Munafiq jis ka Nifaaq Mashhoor o Maroof tha, us ne kaha kiya Muhammad (Sallalaho Alehe Wasallam) Nabuwwat k Mud’ee nahin ?? Woh tumhen Aasmaaan ki Khabren detay hain, Halaankey unhen Pata nahin k Oontni kahaan hai??,

yeh sun ker Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, (Ammarah Bin Hazan bhi us waqt wahaan Mojood tha) k ek Shakhs ne kaha k Muhammad (Sallalaho Alehe Wassallam) tumhen Aasmaan ki khabren detay hain, halaankey unhen Maloom nahin k khud in ki apni Oontni kahaan hai, Ba-khuda! Main to wohi jaanta hun, jo Mujhey Khuda batata hai, ALLAH TA’ALA ne mujhey bata diya hai k meri Oontni Falaan Ghaati main hai, is ki nakeel ek Darakht main Phansi huwi hai, yeh sun ker Sahaba e Karam (Razi ALLAH Anhu) gaey, aur usey pakar ker le aey, Ammarah Lot ker ghar aaey, aur Ahl-e-Khan ko Nabi (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Munaafiq k Mutalliq Guftugu bayan ki to ek Shakhs ne jo k Ammarah k ghar main tha, bataya k waqai ek Munaafiq ne Aap k aaney se pehley yeh baat ki thi”..
(Hujjatullah Ali ul Aalameen Fi Mujizaat e Syedul Mursaleen, Page#366, Matboo’a Dar ul Qutub ul Ilmiyah, Beroot)

Is Aayat aur Tafseer se Saaf Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) k GAIB se Inkaar karna MUNAAFIQEEN ka Kaam tha, Jis ko QURA'AN ne Kufar qarar diya..

Aayat#15:

فلا یظھر علی غیبہ احد الا من ارتضی من رسول۔

Tarjuma: " Tu Apne GAIB par kisi ko Musallat nahin karta siwae apne Pasandeedah Rasoolon k".
(Parah#29, Surah#72,Aayat#26)

Tafseer e Kabeer main isi Aayat k Tehet hai:

Tarjuma: “ Yani Qayamat k aaney ka waqt un Gaibon main se hai jis ko ALLAH TA’ALA kisi per zaahir nahin farmaata, pas agar kaha jaawey k jab tum ne is Gaib ko Qayamat per Mehmool ker liya to ab Rab Ta’ala ne kesay farmaya, “magar PAsandeedah Rasoolon ko” halaankey yeh Gaib to kisi per bhi zaaihr nahin kiya jaata, to hum kahengey k Rab Ta’ala Qayamat k Qareeb zaahir farmaawey ga”..
(Tafseer-e-Kabeer, Jild#10, Page#678, Matboo’a Dar ul Ehya ut Turas ul Arabi, Beroot)

Tafseer Azeezi main Isi Aayat k Ma Tehet, Page 173 pe hai:

Tarjuma: " Jo cheez Tamaam MAKHLOOQAAT se Gayab ho, Woh Gayab e Matlaq hai, jese Qayaamat k Aane ka Waqt, aur Rozaana aur har cheez ki Pedaaishi aur Shar'ai Ehkaam aur Jese Parwardigaar ki Zaat-O-Siffaat Bar Tareeq tafseel, is Qisam ko RAB TA'ALA ka Khaas GAIB kehte hain. Pas Apne Khaas GAIB par woh kisi ko Matle'a nahin karta, Is k Siwa Jis ko pasand farma de, aur Woh RASOOL hote hain, chahey Farishtey ki Jins se hon ya INSAAN ki jins se, Jese HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Apne Ba'az GAIB Zaahir farmata hai".

Tafseer-E-Khaazan main isi Aayat k ma Tehet hai:

Tarjuma: " Siwae is k Jis ko apni Nabuwat aur Risaalat k liye Chun liya, pas Zaahir farmata hai, jis par Chahta hai GAIB, Taa k inki Nabuwat par Daleel pakri Jaaway, in GAIB ki cheezon se jis ki woh Khabar dete hain, Pas yeh in ka Mojaza hota hai".
( Al-baab ut Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer-E-Khazan, JILD#4, Page#319, Matboo'a Darul Ma'arfah Beroot)

ROOH Ul BAYAAN main yahi Aayat:

Tarjuma: " Ibn-E-SHIEKH ne farmaya k RAB TA'ALA is GAIB par jo is se khaas hai, kisi ko Matle'a nahin farmata siwae burgazeedah RASOOL k aur jo GAIB k RAB se KHAAS nahin, us par Ger RASOOL ko bhi Matle'a farma deta hai".
(Tafseer ROOH Ul BAYAAN, JILD#10, Page#236, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Is Aayat aur In Tafaseer se Maaloom huwa k KHUDA TA'ALA apne Pasandeedah RASOOLON ko ILM-E-GAIB Ata karta hai.. Aur Sab se Ziyadah MEHBOOB ALLAH k Nazdeeq, HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) hain..

to jo Bad Aqeedah log, HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Shaan kam karne ki koshish karte hain.. unko ALLAH TA'ALA k Azaab se darna chahiye..

Aayat#16:

فاوحی الی عبدہ ما اوحی۔

Tarjuma: “Ab Wahi farmai apney bandey ko jo Wahi farmai”..
(Parah#27, Surah#53, Aayat#10)

Majarij un Nabuwwah Jild#1 main hai:

Tarjuma: “ Me’raj main RAB ne Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) per jo saarey Uloom aur Ma’arfat aur Basharaten aur Ishaarey aur Khabren aur Karamaten o Kamalaat Wahi farmaey woh is Ibhaam main daakhil hain, aur sab ko shaamil hain, in ki ziyaadati aur Azmat ki wajah se hi in cheezon ko bator-e-Ibhaam zikar kiya , bayan na farmaya, is main is taraf ishaarah hai k In Uloom e Gaibiyah ko siwaey Rab Ta’ala aur Mehboob (Aleh Salam) k koi nahin Ihaata kar sakta, haan jis Qadar Huzoor ne bayan farma diya woh Maloom hai”..
(Madarij un Nabuwwah Farsi, Jild#1, Page#170, Matboo’a Nooriyah Rizawiyah, Publishing Bilal Ganj, Lahore)

Is Aayat aur Ibaarat se Maloom huwa k Me’raj main Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ko woh uloom ata huwey jin ko na koi bayan kar sakta hai ,aru na kisi k khayal main aasaktey hain, Maakaan o Maayakoon to sirf Bayaan karney k liye hai warna is se bhi kahin ziyaadah ki ata huwi..

Aayat#17:

وما ھو علی الغیب بضنین۔
Tarjuma: " Aur yeh NABI, GAIB batane main Bukheel nahin".
(Parah#30, Surah#81, Aayat#24)

Yeh jab hi hosakta hai, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB ho, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko is se Matle'a farma dete hon.

Mu'aalim U Tanzeel main isi Aayat k Ma tehet hai:
Tarjuma: "HUZOOR (ALEH SALAAM) GAIB aur Aasmani Khabron par aur in Khabron aur Qisson par Bukheel nahin hain. Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k Pass GAIB aata hai, pas woh is main tum par Bukhal nahin karte, Balkey tumhen Sikhate hain, aur Tum ko KHABAR dete hain, Jese k Kaahin chupate hain, wese nahin Chupaate".
(Mu'aalim U Tanzeel, JILD#4, PAGE#422, Matboo'a Darul Kitaab Ul Ilmiya, Beroot)

Tafseer-E-Khazan main hai:
Tarjuma: "Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k pass ILM-E-GAIB aata hai, to tum par is main Bukhal nahin farmate, Balkay tum ko Sikhate hain".
( Lubaab U Taaweel , Al Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer-E-Khazan, JILD#4, PAGE#357, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot)

Is Aayat o Ibaarat se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko ILM-E-GAIB sikhate hain. Aur Sikhae ga wohi, jo khud jaanta hoga..

Aayat#18:

وعلمنہ من لدنا علماً۔

Tarjuma: " Aur inko apna ILM-E-LADNI Ata kiya, (Yaani HAZRAT KHIZAR ko)".
(Parah#15, Surah#18, Aayat#65)

Tafseer e Be-Zaawi main hai:

Tarjuma: " HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ko woh ILM sikhae jo, hamare saath Khaas hain, bager hamare batae koi nahin jaanta aur woh ILM-E-GAIB hai".
(Tafseer-E-Be Zaawi, JILD#3, PAGE#510, Matboo'a Darul fikar, Beroot)

Tafseer IBN-E-JAREER main ABDULLAH IBN-E-ABBAS se Riwayat hai:

Tarjuma: "HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ne farmaya tha, HAZRAT MOOSA (ALEH SALAAM) se k tum mere saath Sabar na kar sako ge, Woh KHIZAR, ILM-E-GAIB jaante the, k Unhon ne Jaan liya".
(Jaame Ul Bayaan, Fi Tafseer Ul Qura'an, Al Ma'aroof, Tafseer Tibri, JILD#15, PAGE#323, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

ROOH UL BAYAAN main hai:

Tarjuma: " HAZRAT KHIZAR ko jo Ladni ILM sikhaya gaya, woh ILM-E-GAIB hai aur is GAIB k Muta'alliq Khabar dena hai, KHUDA k Hukum se, jese us taraf IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) gae hain".
(Tafseer-e-ROOH Ul Bayaan, JILD#5, PAGE#321, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

No comments:

Post a Comment