Pages

Sunday, March 27, 2016

"AL-QURA'AN"


◐••◑●••📖AL-QURA'AN📖••●◐••◑

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ① •◈••●◐••◑

✍🖊 Hadith:Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne RAB se arz karega , Ya Allah is se razi ho ja to Allah subhanahu us se razi ho jayega
--------------------------------------------------------
  🌷Bismillahirrahmanirrahim🌷
--------------------------------------------------------
✍🖊Hadith: Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah ﷺ Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irsad farmaya Qayamat ke din sahib-e-Quran aayega to Quran apne RAB se arz karega ,YA Allah ﷻ isko zeenat ata farma ( ya isko sanwar de) , phir usko ezzat ka taaj pahnaya jayega , phir wo (Quran) arz karega ya Allah ﷻ isko aur zyada zeenat ata farma ( aur zyada sanwar de) , phir usko ezzat ka joda pahnaya jayega , phir wo (Quran ) arz karega Ya Allah ﷻ is se razi ho ja to Allah ﷻ subhanahu us (sahib e Quran) se razi ho jayega , phir us se kaha jayega ki padhta ja aur (darjat par) chadhta ja aur har aayat ke badle uski neikiya zyada ki jayegi....?
------------------------------------------
📚Jamia Tirmizi, Jild 2, 820-Hasan
------------------------------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ② •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Hadith: jo shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai to usko duguna ajar milega
----------------------------------------------------------
✍🖊  Al Quran: Dekho ye Quran ek naseehat hai, isliye jo chahe isko yaad rakhe, Qabil e Adab warqo mein likha hua jo buland muqam par aur paak hain, un likhne walon ki hatho mein jo buzurg aur neikokar hain (Jo kiramin barara hain)

📚Surah Abasa (80), 11-16

✍🖊 Hadith: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ Sallallahu Alaihi wasallam ne Irshad farmaya jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne mein mahir ho wo shakhs aise likhne wale (farishto) ke saath hoga jo buzurg aur nekokar (Kiramin-Bararah) hain aur jo shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai to usko duguna ajar milega..?
----------------------------------------
📚Jamia Tirmizi, Jild 2,813-Sahih
----------------------------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ③ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Hadith:jisne Quran majid mein se ek haraf padha to usko iske badle ek neki di jayegi aur har neki ka sawab das guna hai
----------------------------------------------------------
✍🖊 Muhammad bin Ka'b Radi Allahu Anhu Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat karte hai ki Rasool-Allah ﷺ Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne Quran majid mein se ek haraf padha to usko iske badle ek neki di jayegi aur har neki ka sawab das guna hai main ye nahi kahta ki Alif-Laam-Meem (ek) haraf hai bulki Alif ek haraf hai Laam ek haraf hai aur meem bhi ek haraf hai ( yani koi musalman Alif-Laam-Meem padhda hai to usko 3 neki milti hain jiska sawab 30 nekiyo ke barabar hota hai)

📚Jamia Tirmizi, Jild 2, 819-Hasan

✍🖊  Uthman Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein se behatreen wo hai jo Quran Majeed padhey ( sikhey) aur padhaye ( sikhaye)
-----------------------------------
📚Sahih Bukhari, Vol 6 , 5028
-----------------------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ④ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊Hadith: Aadmee apne dost ke deen par chalta hai isliye tum dekh liya karo ki kisko dost bana rahe ho.

✍🖊  Al Quran : Eh Imaan walo Mere dushmano aur apney dushmano ko dost na banao , ke (tum to) unkey pass Dosti ke paigham bhejtey ho , halanki tumhare pass jo sachcha deen aaya uskey ye munkir hain .

📚 Surah Al-Mumtahana (60), Verse 1

✍🖊  Hadith: Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah ﷺ Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum apney pahley ki ummaton ki ek ek balisht aur ek ek ghaz mein itteba (pairwee) karogey yahan tak ki wo kisi Goh ( lizard) ki surakh mein dakhil huye hongey to tum bhi unki itteba karoge humney pucha Ya Rasoollallah ﷺ Sallallahu Alaihi Wasallam kya is se Yahud aur nasara murad hai to Aap ﷺ Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir aur kaun. (haan yahi murad hai)

📚Sahih Bukhari, Vol 8, 7320

✍🖊  Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Aadmee apne dost ke deen par chalta hai isliye tum dekh liya karo ki kisko dost bana rahe ho.

📚Sunan Abu Dawud, Vol 3 1405-Hasan

✍🖊  Abdullah bin masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya insaan uske saath rahega jis se wo Muhabbat karta hai.

📚Sahih Bukhari, Vol7 ,6168

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑤ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊  Al Quran : Nabi ﷺ (Sal-Allahu Alaihi wasallam) aur Musalmano ke liye ye baat munasib nahi ki mushriko ke liye bakhshish ki dua kare chahe wo unke rishtedar hi kyu na ho
             
✍🖊  Al Quran : Nabi ﷺ (Sal-Allahu Alaihi wasallam) aur Musalmano ke liye ye baat munasib nahi ki mushriko ke liye bakhshish ki dua kare chahe wo unke rishtedar hi kyu na ho jabki un par zahir ho jaye ki wo dozakhi hain

📚Surah At-Tauba (9), Aayat 113

✍🖊 Saeed bin musaib ne apne walid Musaib Radi Allahu anhu se rivayat kiya ki jab Abu Talib ki wafaat ka waqt qareeb aaya to Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam un ke paas tashreef laaye. dekha to un ke paas is waqt Abu jahal bin hisham aur Abdulah ban abi Umayya bin Mughira mojood they.
Aap ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne unse farmaya ke chacha ! aap aik kalma «La ilaha ilallah » ( Allah ﷻ ke siwa koi mabood nahi) keh dijay taake mein Allah ﷻ subhanahu ke whaan is kalme ki wajah se aap ke haq mein gawahi de sakun. is par Abu jahal aur Abdulah ban Abi Umayya bin Mughira neh kaha Abu Talib ! kya tum apne baap Abdul Mutlib ke deen se phir jao ge? Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam barabar kalma islam un par paish karte rahe. Abu jahal aur Ibn abi Umayyaia bhi apni baat dohrate rahay. Aakhir Abu Talib ki aakhri baat yeh thi ke woh Abdul Mutlib ke deen par hain. unhon neh La ilaha ilallah kehne se inkaar kar diya phir bhi Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mein unke liye astaghfar karta rahon ga. jab tak ki mujhe mana nah kar diya jaye is par Allah ﷻ taala neh ye aayat nazil farmayee

كَانَ لِلنَّبِيِّ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَن يَسْتَغْفِرُوا لِلْمُشْرِكِينَ وَلَوْ كَانُوا أُولِي قُرْبَىٰ مِن بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمْ أَنَّهُمْ أَصْحَابُ الْجَحِيمِ
                           Tarjumah:
Nabi ﷺ (Sal-Allahu Alaihi wasallam) aur Musalmano ke liye ye baat munasib nahi ki mushriko ke liye bakhshish ki dua kare chahe wo unke rishtedar hi kyu na ho jabki un par zahir ho jaye ki wo dozakhi hain

📚 Surah At-Tauba (9), Aayat 113
( Sahih Al Bukhari, Jild 2,1360)

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑥ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊  Al Quran : Kah do Allah ﷻ ke siwa jinka tumhe ghamand hai unhe pukaro, wo na to aasman hi mein zarra bhar ikhtiyar rakhtey hain....

✍🖊  Al Quran : Kah do Allah ﷻ ke siwa jinka tumhe ghamand hai unhe pukaro, wo na to aasman hi mein zarra bhar ikhtiyar rakhtey hain aur na zameen mein aur na unka unmein kuch hissa hai aur na unme se koi Allah ﷻ ka madadgar hai

📚 Surah Saba (34) Verse 22

✍🖊  Hadith: Anas bin malik radi allahu taala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah ﷻ taala Qayamat ke din Dozakh ke sabse kam Azab pane wale se puchega agar tumhe zameen ki sari cheezein mayassar ho to kya tum usko fidye mein(azab se nijat pane ko) de do ge wo kahega ki haan, ALLAH ﷻ subhanahu farmayega ki maine tumse is se bhi aasan cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Aadam ki peeth mein they ki mere saath kisi ko Sharik na karna lekin tumne inkar kiya aur na mana aur shirk hi kiya

📚 Sahih bukhari, Vol8, 6557

✍🖊  Al Quran: Beshak Allah ﷻ usko nahi bakhshta jo uska sharik kare aur shirk ke siwa dusre gunah jise chahe bakhsh deta hai aur Jisne ALLAH ﷻ ka sharik thahraya usne bada hi gunah kiya
------------------
📚 Surah An-Nisa (4) Verse 48
------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑦ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊  AL Quran : Jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur kayee jamatain ban gaye tumhara unse koi taalluq nahi

✍🖊  Al Quran : Usee (Allah ﷻ ) ki taraf ruju kiye raho aur us se darte raho aur mushriko mein se na hona , (aur na ) un logo mein jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur (khud) firqe firqe ho gaye , har firqa usee se khush hai jo unke pass hai

📚 Surah Ar-Room (30), 31-32

✦✍🖊 AL Quran : Jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur kayee jamatain ban gaye tumhara unse koi ta’alluq nahi uska kaam ALLAH ﷻ hi ke hawale hai phir wohi unhey batlayega jo kuch wo karte they

📚 Surah Al Anaam (6) , 159

✍🖊  Al Quran : Sab milkar ALLAH ﷻ ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto aur ALLAH ﷻ ki us meharbani ko yaad karo jab tum ek dusrey ke dushman they to usney tumharey dilon mein ulfat daal di aur tum uski meharbani se bhai bhai ho gaye aur tum Aag ke ghadey (brink of a pit) ke kinarey tak pahunch chuke they to ALLAH ﷻ subhanahu ne tumko us sey bacha liya aur is tarah ALLAH ﷻ apni aaytein khol khol kar sunata hai taki tum hidayat hasil karo

📚Surah Aal-e-Imran (3), 103

✦✍🖊 Ya ALLAH ﷻ , tu mujhe Islam par (As a Muslim) aut de aur mujhe Neik logon mein shamil kar.

📚 Surah Yusuf (12) , 101
----------------------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑧ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : Eh Aqal walo Qasas mein ( tumhare liye) zindagani hai taaki tum ( Qatl aur khooonrezi) se bacho
-------------------------------
✍🖊Al Quran : Momeen tumko maqtulo ( jo qatl kar diye gaye hain) ke baare mein Qasas ka hukm diya jata hai , Aazad ke badle aazad aur gulam ke badle gulam aur aurat ke badle aurat.(Qatl ki jaye) Aur qatil ko uske bhai ki taraf se kuch maaf kar diya jaye to dastur ke muwafiq mutalaba karna chahiye aur usey neki ke saath ada karna chahiye ye tumhare RAB ki taraf se aasani aur meharbani hai phir jo uske baad zyadati kare to uske liye dardnak azab hai
Aur eh Aqal walo Qasas mein ( tumhare liye) zindagani hai taaki tum ( qatl aur khooonrezi) se bacho

📚AL Quran ,Surah Al-Baqara (2), Verse #178-179
-------------------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑨ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 AL Quran: Eh logon tumhare RAB ki taraf se naseehat aur dilon ki beemariyo ki shifa aur momeeno ke liye hidayat aur rahmat aa pahunchi hai

✦ AL Quran: Eh logon tumhare RAB ki taraf se naseehat aur dilon ki beemariyo
ki shifa aur momeeno ke liye hidayat aur rahmat aa pahunchi hai
kah do (Quran) Allah ﷻ ke fazal aur uski rahmat se hai , to us par
unhe khush hona chahiye ye un cheezo se behtar hai
jo wo jama karte hain
------------------
📚 Surah Yunus (10), 57-58
------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑩ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊  Hadith : jo bhi haraf tum surah fatiha aur surah baqara ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi
------------
✦✍🖊 Abdullah bin Abbas Radi allahu anhu ne kaha ki ek din jibril alaihi salam Nabi ﷺ Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke paas baithe huye they ki ek bade zor ki aawaz darwaza khulne ki suni aur apna sir uthaya , to jibril alaihi salam ne kaha ki ye ek darwaza hai aasman ka jo aaj khula hai aur us se pahle kabhi nahi khula phir us se ek farishta utra jibril alaihi salam ne kaha ki ye farishta jo zameen par utra hai wo aaj se pahle kabhi nahi utra aur phir usne kaha ki khushkhabri ho aapko do nooro ki jo aapko inayat huye hain aur ye aapki siwa kisi aur nabi ko nahi mile ek surah fatiha hai aur dusri surah baqara ki aakhri aayatein , aur jo bhi haraf tum usmein se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi

📚 Sahih Muslim, Jild 2, 1877

✍🖊  Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)

📚 Sahih Bukhari, Vol 6, 5009
---------------
Note : is hadith ka mafhum ye hai ki surah fatiha mein jo dua hai aur surah baqara ki aakhri aayaton mein jo dua hai wo isko padhne se qubul hogi
-----------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑪ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : Eh Imaan walo Allah ﷻ se daro aur uski taraf waseela ( yani uska qurb) talash karo

✍🖊 Al Quran : Eh Imaan walo Allah ﷻ se daro aur uski taraf waseela ( yani uska qurb) talash karo aur Allah ﷻ ki raah mein Jihad karo taaki tum kaamyab ho jao

📚 Surah Al-Maaida (5), Aayat 35

✍🖊 Hadith: Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab kabhi hazrat Umar Radi Allahu Anhu ke zamane mein Qahat parhta to Umar Radi Allahu Anhu Hazrat Abbas bin Abdul Mutlib ke waseeley se dua kartey aur farmatey ki Eh ALLAH ﷻ Pahley hum tere pass tere Nabi ﷺ Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka waseela laya kartey they to tu paani barsata tha ab hum apney Nabi ﷺ Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke chacha ko waseela banatey hain to tu hum par pani barsa Anas Radhi Allahu Anhu ne kaha ki phir barish khub barasti
------------------
📚 Sahih Bukhari, vol 2, 1010
------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑫ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 AL Quran : So Jab tum Quran padhne lago to Shaitan mardood se Allah ﷻ ki panah mein aa jaya karo

✍🖊  AL Quran : So Jab tum Quran padhne lago to Shaitan mardood se Allah ﷻ ki panah mein aa jaya karo (yani pahle Auzubillahi-Minash-shaitanirrajeem padh liya karo)
uska zor us par nahi chalta jo imaan rakhte hain aur apne RAB par hi bharosa rakhte hain, uska zor to unhi par hai jo usko dost banate hain aur Allah ﷻ ke saath sharik banate hain
------------------------------------------
📚Surah An-Nahal (16), Aayat 98-100
------------------------------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑬ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : Beshak Har Mushkil ke saath aasani hai

✍🖊 Al Quran : Beshak Har Mushkil ke saath aasani hai, to jab farig hua karo to (Ibadat mein) mehnat kiya karo aur apne RAB ki taraf mutwajja ho jaya karo
--------------------------------------------
📚Surah Ash-Sharh(94) Aayat 6-8
--------------------------------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑭ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : Jisne kisi insaan ko khoon ke badle ya zameen mein fasaad failane ke siwa kisi aur wajah se Qatl kiya to usne tamam insaano ko Qatl kar diya

✍🖊  Al Quran : Jisne kisi insaan ko khoon ke badle ya zameen mein fasaad failane ke siwa kisi aur wajah se Qatl kiya to usne tamam insaano ko Qatl kar diya aur jisne kisi ko zindagi bakshi usney jaise tamam insaano ko zindagi bakshi aur hamare Rasool ﷺ unke paas khule hukm la chuke hain phir bhi unmein se kuch log zameen mein zyadatiyan karne wale hain
---------------------------------------------
📚Surah Al-Maeda (5) Aayat 32
---------------------------------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑮ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : Beshak wo log kafir ho gaye jinhone ye kaha ki Allah ﷻ to wahi Maseeh , maryam ka beta (eesa alaihi salam) hai

✍🖊 Al Quran : Beshak wo log kafir ho gaye jinhone ye kaha ki Allah ﷻ to wahi Maseeh , maryam ka beta (eesa alaihi salam) hai , Kah do ki phir Allah ﷻ subhanahu ke samne kiska bas chal sakta hai , agar wo chahe to Maseeh maryam ke bete aur unki maa aur jitne log zameen mein hain sabko halak kar de. Aur aasmano aur zameen aur in dono ke darmyan ki saltanat Allah ﷻ hi ke waste hai jo chahe paida karta hai aur Allah ﷻ har cheez par qadir hai

--------------------------------------------
📚Surah Al-Maaida (5), Verse 17
--------------------------------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑯ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊  Al Quran: Momeeno ko chahiye ki ALLAH ﷻ hi par bharosa rakhe

✍🖊  Al Quran: Aur ALLAH ﷻ tumhara Madadgaar hai to tum par koi Ghalib Nahi Aa Sakta aur agar wo tumhe chhodh de to phir kaun hai ki tumhari Madad kare ? Aur Momeeno ko chahiye ki ALLAH ﷻ hi par bharosa rakhe

📚 Surah Aal-e-Imaran (3), Aayat 160

✍🖊  Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Nabi ﷺ Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmya chhut lag jana, badshaguni ya ullu (ka bolna) ya safar (ke mahine ki) ki Nahusat hona ye koi  chez nahi hai (Bekar khayal hai)

📚 Sahih Bukhari, Vol 7, 5757

✍🖊  Ibn Abbas Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Nabi ﷺ Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na Shagun lete hain aur apne Rab hi par bharosa rakhte hain
---------------------------------------------
📚 Sahih Bukhari, Vol 7, 6472
---------------------------------------------

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑰ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Mafhum-e-Hadith: Aayat-Al-Kursi ki Fazilat

✍🖊 Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhe Ramazan ki zakat ki hifazat par muqarrar farmaya. (raat mein) ek shakhs achanak mere paas aaya aur galley mein se uthane laga mein ne usko pakad liya aur kaha ke Allah ﷻ ki kasam main tujhe Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein le chaloon ga, is par usne kaha ke Allah ﷻ ki qasam mein bahu mohtaaj hon. mere bachce hain aur mein sakht zaroorat mand hun.

✍🖊 Hazrat Abu hurairah radi allahu anhu ne kaha maine ( uske izhaar muaazrat par ) usko chorh diya subah huyee to Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujh se pucha, eh Abu Hurairah guzishta raat tumhare qaidi neh kya kiya tha? Maine kaha Ya Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam is neh sakht zaroorat aur baal bachon ka rona roya, is liye mujhe is par reham aa gaya. aur mein neh usko chorh diya. Aap ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh tum se jhoot bol kar gaya hai. aur woh phir aeye ga.

✍🖊 Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ke is farmane ki wajah se mujh ko yaqeen tha ke wo phir zaroor aeyega. is liye mein is ki taak mein laga raha.
aur jab woh doosri raat aa ke phir galla uthane laga to mein ne usko phir pakda aur kaha ke tujhe Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein haazir karoon ga, lekin ab bhi is ki wohi iltija thi ke mujhe chorhe de, main mohtaaj hon. baal bachon ka boojh mere sir par hai. ab mein kabhi nahi aaunga.
mujhe reham aa gaya aur mein neh usko phir chorh diya. subah huyee to Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya eh Abu Hurairah tumare qaidi ne kya kiya? Maine kaha Ya Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam usne phir iski sakht zaroorat aur baal bachon ka rona roya. jis par mujhe reham aa gaya. is liye mein neh usay chorhe diya.....

◐••◑●••◈•🅿OST-NO- ⑱ •◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Mafhum-e-Hadith: Aayat-Al-Kursi ki Fazilat

✍🖊 Aap ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne is martaba bhi yahi farmaya ke woh tum se jhoot bol kar gaya hai aur woh phir aeye ga. teesri martaba mein phir is ke intzaar mein tha ke isne phir teesri raat aa kar galla uthana shuru kya, to maine usko pakad liya, aur kaha ki tujhe Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pahunchana ab zurori ho gaya hai. ye teesra mauqa hai. har martaba tum yaqeen dilate rahe ke phir nahi aaoge. lekin tum baz nahi aeye. isne kaha ke is martaba mujhe chorhe to main tumhe aise chand kalimaat sikha dunga jis se Allah ﷻ taala tumhe faida pahuchayega.

✍🖊 Maine poocha woh kalimaat kya hain? usne kaha, jab tum apne bistar par letnay lago to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori parh liya karo. ek nigran farishta Allah ﷻ taala ki taraf se barabar tumhari hifazat karta rahega. aur subah tak shaitan tumare paas kabhi nahi aa sakega. is martaba bhi phir mein neh usko chorh diya. subah huyee to Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya, guzishta raat tumare qaidi ne tumse kya muaamla kiya? maine arz ki Ya Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam usne mujhe chand kalimaat sikhaye aur yaqeen dilaya ki Allah ﷻ Subhanhu mujhe is se faayda pahunchayega.

✍🖊 isliye maine usko chorh diya. Aap ﷺ Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki woh kalimaat kya hain? maine arz kiya ki usne bataya tha ki jab bistar par leto to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori padh lena . (iske padhne se) Allah ﷻ subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega. Sahaba Radi allahu anhu khair ko sab se aage badh kar lene wale they.

Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ( unki ye baat sun kar ) farmaya ke agarche woh jhoota tha lekin tum se ye baat sach keh gaya hai Eh Abu hurairah tum ko ye bhi maloom hai ke teen raton se tumhara muaamla kis se tha? unhone kaha nahi. Aap ﷺ Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke woh Shaitan tha .
--------------------------------------------
📚Sahih Bukhari, Vol 3, 2311
---------------------------------------------

◐••◑●••◈🅿OST-NO-①⑨◈••●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊  Al Quran : Munafiqo ko khushkhabri suna do ki unke waste dardnak azab hai

✍�🖊  Al Quran : Munafiqo ko khushkhabri suna do ki unke waste dardnak azab hai , wo jo musalmano ko chorh kar kafiro ko dost banate hain , kya unke yahan se Ezzat chahte hain ? jabki sari ezzat to Allah ﷻ ke qabze mein hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah An Nisa (4) Verse 138-139
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

✍�🖊  Al Quran :Eh Imaan walo mere dushmano aur apne dushmano ko dost na banao , tum to unke pass dosti ke paigham bhejte ho , halanki tumhare pass jo sachcha deen aaya uskey ye munkir hain..

„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Al-Mumtahana (60), Verse 1
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ②⊙◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊 Al Quran : Eh imaan walo ALLAH ﷻ ke waaste insaaf ki gawahi dene ke liye khade ho jao

✍�🖊  Al Quran : Eh imaan walo ALLAH ﷻ ke waaste insaaf ki gawahi dene ke liye khade ho jao aur kisi qoum ki dushmani ki wajah se insaaf ko hargiz na chorho , insaaf kiya karo, yahi baat taqwe ke ziyada nazdeek hai aur Allah ﷻ se darte raho jo kuch tum karte ho beshak Allah ﷻ us se khabardar hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Al-Maida (5) , Verse 8
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

✍�🖊  Al Quran : Eh Imaan walo Insaaf par Qayam raho , ALLAH ﷻ ki taraf gawahii do , chahe Apni jaano par ho  ya Apney Maan Baap aur rishtedaron par , chahe koi Maaldaar ho ya faqeer , ALLAH ﷻ inka tumse ziyada khair khwah hai.
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
  📚Surah An-Nisa (4) 135
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ②①◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊 Al Quran : Eh Imaan walon zyada badgumaniyon se bachte raho kyunki kuch guman gunah hain

✍�🖊  Al Quran : Eh Imaan walon zyada badgumaniyon se bachte raho kyunki kuch guman gunah hain aur jasusi na kiya karo aur na hi ek dusre ki gheebat kiya karo kya tum mein se koi ye pasand karta hai ki apne murda bhai ka ghosht khaye ? isko tum napasand karoge ( to phir gheebat bhi na karo)aur ALLAH ﷻ se daro beshak ALLAH ﷻ bada tauba qubul karne wala aur nihayat raham wala hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
Al Quran , Al-Hujraat, (49), Verse 12
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
✍�🖊  Hadith: Huzaifa Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya chugalkhor ( Geebat karne wala) jannat mein nahi jayega
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Sahih Muslim, Vol 1, 290
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ②②◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊 Al Quran : Beshak Allah ﷻ ki yaad se hi dilo ko sukun milta hai..

✍�🖊  Al Quran : Beshak Allah ﷻ ki yaad se hi dilo ko sukun milta hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Ar-Rad (13) , Verse 28
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
✍�🖊  Al Quran : Aur Allah ﷻ ko bahut yaad karne waley mardo aur bahut yaad karne wali aurton ke liye (Allah ﷻ ne) bakhshis aur bada Ajar tayyar kar rakha hai hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Al Ahzab (33) : Verse 35
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ②③◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊 Al Quran : Eh imaan walo ALLAH ﷻ ke waaste insaaf ki gawahi dene ke liye khade ho jao...

✍�🖊  Al Quran : Eh imaan walo ALLAH ﷻ ke waaste insaaf ki gawahi dene ke liye khade ho jao aur kisi qoum ki dushmani ki wajah se insaaf ko hargiz na chorho , insaaf kiya karo, yahi baat taqwe ke ziyada nazdeek hai aur Allah ﷻ se darte raho jo kuch tum karte ho beshak Allah ﷻ us se khabardar hai...
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Al-Maida (5) , Verse 8
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
✍�🖊  Al Quran : Eh Imaan walo Insaaf par Qayam raho , ALLAH ﷻ ki taraf gawahii do , chahe Apni jaano par ho ya Apney Maan Baap aur rishtedaron par , chahe koi Maaldaar ho ya faqeer , ALLAH ﷻ inka tumse ziyada khair khwah hai.
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah An-Nisa (4) 135
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ②④◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊 Al Quran : kya tum mein se koi ye pasand karta hai ki apne murda bhai ka ghosht khaye ?

✍�🖊  Al Quran : Eh Imaan walon zyada badgumaniyon se bachte raho kyunki kuch guman gunah hain aur jasusi na kiya karo aur na hi ek dusre ki geebat kiya karo kya tum mein se koi ye pasand karta hai ki apne murda bhai ka ghosht khaye ? isko tum napasand karoge ( to phir gheebat bhi na karo)aur ALLAH ﷻ se daro beshak ALLAH ﷻ bada tauba qubul karne wala aur nihayat raham wala hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Al Quran , Al-Hujraat, (49), Verse 12
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
✍�🖊  Hadith: Huzaifa Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya chugalkhor ( Geebat karne wala) jannat mein nahi jayega
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Sahih Muslim, Vol 1, 290
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ②⑤◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊  Hurmat wale mahine chaar hain aur inmein ( khas karke) apne upar zulm na karo (yani gunah na karo)

✍�🖊  Al Quran : Beshak Allah ﷻ ke yahan mahino ki ginti barah mahine hai , Allah ﷻ ki kitab mein jis din se Allah ﷻ ne zameen aur aasman paida kiye unmein se char hurmat wale hain (Dhul Qaida, Dhul Hijja,Muharram,Rajab) yahi seedah deen hai isliye inmein ( in mahino mein) apne upar zulm na karo ( yani gunah ke kaam na karo)
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah At-tauba (9) Verse 36
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
✍�🖊  Hadith: Abu Bakr Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya saal barah mahine ka hota hai , unmein chaar hurmat ke mahine hain , teen to ek ke baad ek Dhul Qaida, Dhul Hijja aur Muharram aur ek Rajab jo jamadil aakhir aur shaban ke darmiyan hota hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Sahih Bukhari, Vol 6, 5550
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ②⑥◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊 Al- Quran: Kah do, Beshak Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna ALLAH ﷻ hi ke liye  hai...  

✍�🖊  Al- Quran: Kah do, Beshak Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna ALLAH ﷻ hi ke liye hai jo saare jahan ka paalne wala hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Al-Anaam (6) verse 162
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

✍�🖊  Al Quran : Kah do , Eh ALLAH ﷻ baadshahi ke malik jise tu chahta hai sultanat deta hai aur jis se chahta hai sultanat cheen leta hai , jise tu chahta hai ezzat deta hai aur jise tu chahta hai zaleel karta hai sab khubi tere haath mein hai beshak tu har cheez par qadir hai..?

Tu hi raat ko din mein dakhil karta hai aur din ko raat mein dakhil karta hai aur zinda ko murde se nikalta hai aur murde ko zinda se nikalta hai aur jise tu chahta hai behisab rizq deta hai...?
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Aal-e-imran 26-27
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ②⑦◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊 Al Quran : Aaj maine tumhare liye tumhara din mukammal kar diya aur maine tum par apna ehsan pura kar diya

✍�🖊  Al Quran : Aaj tumhare deen se kafir na ummeed ho gaye , isliye unse na daro aur mujhse daro , Aaj maine tumhare liye tumhara din mukammal kar diya aur maine tum par apna ehsan pura kar diya aur maine tumhare waaste islam hi ko deen pasand kiya hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Al Quran , Surah Al-Maida (5) # 3
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ②⑧◈•●◐••◑

----------------------------------------------------
🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷
----------------------------------------------------
✍🖊 Al Quran : Jo usmein ( Makka mein) dakhil ho jata hai wo aman wala ho jaata hai..

✍🖊  AL Quran : Beshak logon ke waste jo sabse pahla ghar muqarrar huwa wo yahi hai jo makka mein barkat wala hai aur sare jahan ke logon ke liye rahnuma hai...

✍🖊 Ismein Zahir nishaniyah hain , Muqam-e-Ibrahim hai, aur jo usmein dakhil ho jaye wo aman wala ho jaata hai aur logon par is ghar ka HAJJ karna Allah ka haq hai jo shaksh us tak pahunchne ki taqat rakhta ho, aur jo inkaar kare to phir Allah ﷻ jahan walon se be parwah hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Aal-e-Imran(3) Verse: 96-97
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ②⑨◈•●◐••◑
----------------------------------------------------
🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷
----------------------------------------------------
✍🖊  Al Quran: jab Jumaa ke din namaz ke liye Azan di jaye to Allah ke zikr ki taraf teji se aa jao

✍🖊 Al Quran: Eh Imaan walon jab Jumaa ke din namaz ke liye Azan di jaye to ALLAH ﷻ ke Zikr ki taraf teji se aa jao aur kharid wa Farokht (karobar) chorh do tumhare liye yahi baat behtar hai agar tum ilm rakhte ho.

✍🖊 Phir jab namaz ada ho jaye to zameen mein muntashir ho jao (yani chalo phiro) aur ALLAH ﷻ ka fazal (yani Rizq) talaash karo aur ALLAH ﷻ ko bahut yaad karo taki tum falaah pao...?
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Jumaa (62), Aayah: 9-10
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ③⊙◈•●◐••◑

----------------------------------------------------
🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷
----------------------------------------------------
✍🖊 Al Quran : Beshak ziyada ezzat wala tum mein se ALLAH ﷻ ke nazdeek wo hai jo ziyada parhaizgaar hai

✍🖊 Al Quran : Eh Logon humne tumhe ek hi mard aur aurat se paida kiya hai aur tumhare Qaumein aur Qabeele banaye taki tumhari aapas mein pahchan ho beshak ziyada ezzat wala tum mein se ALLAH ﷻ ke nazdeek wo hai jo ziyada parhaizgaar hai beshak ALLAH ﷻ sab kuch jaanne wala aur khabardar hai
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Al Quran , Al-Hujrat (49) verse 13
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ③①◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : unhone yaqeenan maseeh ko qatl nahi kiya balki unko Allah subhanahu ne apni taraf utha liya

✍🖊  Al Quran : Aur unke (Ahle kitab ke) is kahne par ki humne maseeh Eesa maryam ke bete (Alaihi salam) ko Qatl kiya jo Allah ﷻ ke Rasool they,halanki unhone unko na Qatl kiya aur na sooli par chadhya balki unko unke jaisee surat malum huyee ,

✍🖊 aur jo log unke baare mein ikhtilaf karte hain wo unke haal se shak mein padhe huye hain aur unke pass bhi is muamle mein koi yaqeen nahi hai , sirf guman hi ki pairwi hai , unhone yaqeenan maseeh ko qatl nahi kiya balki unko Allah ﷻ subhanahu ne apni taraf utha liya aur Allah ﷻ zabardast hikmat wala hai..
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah An-Nisa, Verse 157-158
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ③②◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran:Munafiq namaz mein khade hote hain to  sust bankar khade hote hain , logon ko dikhate hain

✍🖊  Al Quran: Munafiq Allah ﷻ ko fareb dene ki koshish karte hain magar wo (Allah ﷻ ) unko hi fareb deta hai , aur jab wo namaz mein khade hote hain to  sust bankar khade hote hain , logon ko dikhate hain aur Allah ﷻ ko bahut kam yaad karte hain
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah An-Nisaa (4) , Verse 142
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
✍🖊  AL Quran : To aise namaziyo ki kharabi hai jo namaz ki taraf se ghafil rahte hain (yani der se namaz padhte hain ),
jo dikhawa karte hain
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Al-Maun (107) Verse 4-6
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ③③◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : jab tum ALLAH ﷻ ki aayaton ka inkar aur mazaq hote suno to unke saath mat baitho

✍🖊 Al Quran : Aur Allah ﷻ ne tum par quran mein hukm nazil kiya hai ke jab tum ALLAH ﷻ ki aayaton ka inkar aur mazaq hote suno to unke saath mat baitho yahan tak ki kisi dusri baat mein mashgool ho, warna tum bhi un jaise ho jaoge aur ALLAH ﷻ munafiqon aur kafiron ko dozakh mein ek hi jagah ekaththa karne wala hai...
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah An-Nisa (4), Verse 140
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ③④◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : Namaz ke paband raho beshak namaz behayaee aur buri baato se rokti hai...

✍🖊 Al Quran : jo kitab tumhari taraf wahi ki gayee hai (yani Quran) usko padha karo aur namaz ke paband raho beshak namaz behayaee aur buri baato se rokti hai aur Allah ﷻ ki yaad badi cheez hai aur Allah ﷻ janta hai jon tum karte ho
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Ankaboot (29), Aayat 45
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

✍🖊  Beshak Namaz apne muqarrar waqto mein momeeno par farz hai..
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah An-Nisa (4) , #103
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
✍🖊  Hadith: Abdullah bin buraidah Radi-Allahu-Anhu ne apney walid se rivayat kiya ki Rasool-Allah ﷺ Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Hamarey aur unkey (munafiqon ke) darmiyan Ahad Namaz hai to jisne Namaz ko chorh de usney kufr kiya...
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Sunan Ibn Majah, jild 1 , # 1079 -Sahih)
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ③⑤◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : kya ALLAH ﷻ ki zameen wasee ( yani itni badi) nahi thi ki tum usmein hijrat kar jate...

✍🖊  AL Quran : Beshak jo log apne nafso par ( yani apne aap par) zulm kar rahe they jab unki roohein farishto ne qabz kar li to unse pucha ki tum kis haal mein they unhone jawab diya ki hum mulk mein bebas they, farishto ne kaha ki kya ALLAH ﷻ ki zameen wasee ( yani itni badi) nahi thi ki tum usmein hijrat kar jate , ab aiso ka thikana dozakh hai aur bahut hi bura thikana hai..

✍ Haa jo mard aur auratein aur bachche kafi kamzor hain aur nikalne ka raasta nahi pate , aiso ke liye ummed hai ki Allah ﷻ unhe maaf kar de, beshak ALLAH ﷻ maaf karne wala aur bakhshne wala hai..
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Al Quran, Surah An Nisa (4) , 97-99
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
✍🖊 Tafseer ibn kaseer : is aayat ke baad ye hukm aam hai ki har wo shakhs jo hijrat karne par qadir ho phir bhi kafiron aur mushriko mein rahe jaha us par deen ke muaamle mein sakhti ki jati ho to wo zalim hai aur uska bura thikana hai.
"""""""""""""«»»»»»"""""""""""««»»»»»""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ③⑥◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : Agar tum sadqa (khairaat) zahir kar ke do to bhi achchi baat hai aur agar usko chupa kar do aur faqeeroon ko pahucha do to tumahre haq mein wo behtar hai..

✍🖊 Al Quran : Agar tum sadqa (khairaat) zahir kar ke do to bhi achchi baat hai aur agar usko chupa kar do aur faqeeroon ko pahucha do to tumahre haq mein wo behtar hai aur ALLAH ﷻ tumahre kuch gunah dur kar dega aur ALLAH ﷻ tumahre kamon ko khoob khabar rakhne wala hai...
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Baqara (2) , Verse 271
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ③⑦◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊  Al Quran : Allah ﷻ subhanahu aur uske Rasool ﷺ ( Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ki taraf se elan e jung

✍🖊  Al Quran : Al Quran : Allah ﷻ subhanahu sood (ki kamayee) ko mita deta hai aur sadqaat ko bada deta hai aur Allah ﷻ subhanahu kisi bhi nashukri karne wale gunahgar ko pasand nahi karta, jo log imaan laye aur neik kaam karte rahe aur namaz ko qayam rakha aur zakat dete rahe to unke RAB ke yahan unka ajar hai aur un par na koi khauff hoga aur na wo gamgeen honge.

✍🖊 Eh Momeeno Allah ﷻ se daro aur agar tum imaan wale ho to jo kuch sood baqi rah gaya hai usko chodh do, Agar tumne na chodha to Allah ﷻ subhanahu aur uske Rasool ﷺ ( Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ki taraf se tumhare khilaf elan e jung hai aur agar tauba kar lo to asal maal tumhara tumhare liye hai, na tum kisi par zulm karo aur na tum par zulm kiya jayega
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Surah Al-Baqara, Verse 276-279
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""
✍🖊  Hadith: Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Laanat ki hai Sood (byaj) lene wale par aur Sood dene wale par , aur Sood likhne wale par aur Sood ke gawahon par aur farmaya wo sab barabar hain
„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„„
📚Sahih Muslim, Vol4, 4093
"""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ③⑧◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊 Al Quran : Aur tum par Jo Museebat aati hai wo tumhare hi haatho ke kiye huye Kaamo se aati hai

Al Quran : Aur tum par Jo Museebat aati hai wo tumhare hi haatho ke kiye huye Kaamo se aati hai aur wo bahut se gunaah maaf farma deta hai.
Aur tum Zameen mein ALLAH ﷻ ko Aajiz  nahi kar sakte ( Yani tum ALLAH ﷻ ke azab se bach nahi sakte) aur ALLAH ﷻ ke siwa Na koi tumhara kaarsaaz hai aur na koi madadgaar.
…………………………………………………………………
📚Surah Ash-Shura(42), verse 30-31
…………………………………………………………………

✍�🖊 Al Quran : Tum ko  jo bhalayee pahunchti hai wo ALLAH ﷻ subhanahu ki taraf se hai aur tum ko  jo bhi burayee pahuncti hai wo tumhare nafs ki taraf se hai
………………………………………………………
📚Surah An-Nisa (4) Verse 79
………………………………………………………

✍�🖊 Al Quran : ALLAH ﷻ kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga .
………………………………………………………
📚Surah -Al-Baqara (2) Verse 286
………………………………………………………

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ③⑨◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊 Al Quran : Jo Imaan wale hain wo ALLAH ﷻ ki raah mein ladte hain aur jo kafir hain wo shaitan ki raah mein ladte hain isliye....

✍�🖊 Al Quran : Jo Imaan wale hain wo ALLAH ﷻ ki raah mein ladte hain aur jo kafir hain wo shaitan ki raah mein ladte hain isliye tum shaitan ke saathiyo se lado beshak shaitan. ka fareb kamzor hai...

✍�🖊 kya tumne un logo ko nahi dekha jinhe kaha gaya tha ki apne haath roke rakho aur namaz qayam karo aur zakat do phir jab unhe ladne ka hukm diya gaya us waqt unme se ek jamat logo se aise darne lagi jaisa ALLAH ﷻ ka darr ho ya us se bhi zyada darr aur kahne lage eh hamare RAB tune hum par ladna kyu farz
kar diya....

✍�🖊 humein thodi muddat aur mohlat kyu na di , unse kah do ki duniya ka fayda thoda hai aur aakhirat parhaizgaro ke liye behtar hai aur tumhare saath ek dhaage ke barabar bhi na-insafi nahi ki jayegi
……………………………………………………………
📚Surah An-Nisa (4) Verse 76 -77
……………………………………………………………

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ④⊙◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍�🖊 Al Quran : ye tab tak momeen nahi honge jab tak ki apne ikhtilafat mein aapko (Aap ﷺ Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko) munsif ( Judge) na maan le..

✍�🖊 Al Quran : Aapke RAB ki Qasam ye tab tak momeen nahi honge jab tak ki apne ikhtilafat mein aapko (Aap ﷺ Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko) munsif ( Judge) na maan le, phir aapke faisle par apne dilo mein tangee na paye aur khushi se Qubul kare
………………………………………………………
📚Surah An-Nisa (4) Verse 65
………………………………………………………

◐••◑●•◈🅿OST-NO-④①◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : Beshak humne is (Quran) ko Shab--e-Qadr mein nazil kiya hai, Aur Aapko kya Malum ki Shab-e-Qadr Kya hai, Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai ismein farishte aur rooh nazeel hote hain, Apne Rab ke hukm se har kaam par,  wo subah Roshan hone tak salamati ki raat hai
…………………………………………………………
📚Al Quran: Surah Al-Qadr (97)
…………………………………………………………

◐••◑●•◈🅿OST-NO-④②◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : Zakat mufliso aur mohtajon aur uska kaam karne walon ka haq hai aur jinki diljoyee karni hai aur...

✍🖊 Al Quran : Zakat mufliso aur mohtajon aur uska kaam karne walon ka haq hai aur jinki diljoyee karni hai aur gulam ki gardan churhane mein aur
Qarzdaron ke Qarz (ada karne) mein aur Allah ﷻ ki raah mein aur
musafir ko ye Allah ﷻ ki taraf se muqarrar kiya hua hai aur
Allah ﷻ janne wala hikmat wala hai
………………………………………………………
📚Surah Tauba (9) , Verse 60
………………………………………………………

◐••◑●•◈🅿OST-NO-④③◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

✍🖊 Al Quran : Eh Imaan walo Roze tum par farz kiye gaye hain??

✍🖊 Al Quran : Eh Imaan walo Roze tum par farz kiye gaye hain jis tarah tumse pahle logo par farz kiye gaye they taki tum parhaizgar bano
……………………………………………………………
📚Surah Al-Baqara (2) Verse 183
……………………………………………………………

◐••◑●•◈🅿OST-NO- ④⑥◈•●◐••◑

🌷 Bismillahirrahmanirrahim 🌷

Al Quran : Tum ko jo bhi burayee pahuncti hai wo tumhare nafs ki taraf se hai

✍🖊  Al Quran : Aur tum par Jo Museebat aati hai wo tumhare hi haatho ke kiye huye Kaamo se aati hai aur wo bahut se gunaah maaf farma deta hai.
Aur tum Zameen mein ALLAH ﷻ ko Aajiz nahi kar sakte ( Yani tum ALLAH ﷻ ke azab se bach nahi sakte) aur ALLAH ﷻ ke siwa Na koi tumhara kaarsaaz hai aur na koi madadgaar.
____________________________________
📚Surah Ash-Shura(42), verse 30-31
**************************************
✍🖊  Al Quran : Tum ko jo bhalayee pahunchti hai wo ALLAH ﷻ subhanahu ki taraf se hai aur tum ko jo bhi burayee pahuncti hai wo tumhare nafs ki taraf se hai..?
________________________________
📚Surah An-Nisa (4) Verse 79
*********************************
✍🖊 Al Quran : ALLAH ﷻ kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga...?
___________________________________
📚Surah -Al-Baqara (2) Verse 286
*************************************

No comments:

Post a Comment