Pages

Sunday, March 27, 2016

""HAZRAT-E-YUSUِF"" ""عَلَيـهِ السَّــلَام""

🎋🌱🎋🌱🎋🌱🎋🌱🎋🌱
☄HAZRAT-E-YUSUِF☄
عَلَيـهِ السَّــلَام
🎋🌱🎋🌱🎋🌱🎋🌱🎋🌱

✅Part No:-01

☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Hazrat Ishaq عَلَيـهِ السَّــلَام ke Beite Aur Hazrat Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام ke Poute hai..

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Hazrat Yakub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Beite hai..

☢Hazrat Ibne Umar رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ se Riwayat he ki HUZOOR NABI E AKRAM صلى الله عليه وآله وسلم ne Farmaya...

☪"Kareem ibne kareem ibne kareem ibne kareem Yusuf bin Yakub Bin Ishaak Bin Ibhrahim hai"

📚(Mishkaat ul Masabeeh, Jild-2, Safa-417)

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa-166)

✅Apne Dosto Ko Share Kare Taki Woh Bhi Ilm Hasil Kar Sake...

📛Note:-

☣Is Parts Ko Likhne me Aur Hum Tak Pahochane me Jin Hazrat Ne Hissa Liya hai Unke Liye Khaas Duwa Kare Ki Allah Taa'la Unhe Deen O duniya ki Har Doulat se Nawaze Aur Iska Behtateen Azr Duniya'O'Akhirat Me Ata Farmaye Aur Isi Trah Ilme Deen ki Khidmat Karne ka Jazba Ata Farmaye....

آمِيْن يَارَبَّ الْعَالَمِينْ

✅Part No:-02.

☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke 12 Bete hai Yaani Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Gyara 11 Bhai hai.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Khwaab dekhna...

☣Quraan Sareef me ALLAH RABBUL IZZAT Irsaad Farmata hai..

✡"Jab Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام) ne Apne Baap se (ye) kaha ki Ay Abbajaan Mene Gyara(11) Sitaro Aur Suraj Aur Chand ko (Khwab me) dekha ki wo Muje Sajda kar rahe he"

📒(Surah Yusuf, Aayat-4)

☣Gyara(11) Taaro se Murad Aap ke Bhai Aur Chand-Suraj se Muraad Aapke Maa-Baap he, Leqin Khyaal rahe ki Khwaab deikhne se Pehle hi Aap ki Walida ka Intekaal ho chuka tha, Sajda se Muraad Sajda-e-Tazimi he, jo Pehli Ummato me Jaiz tha, Hamari Shariat me Jaiz Nahi.

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-167)

☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ka Khwaab Bayan karne se Mana karna

Quraan Sareef me he ki

✡"(Un ke Baap ne) kaha ki Ay Bete Apna Khwaab Apne Bhaiyo se Hargij Bayan na karna Warna wo Tere liye (Hasad se) Koi Chaal Chalenge, Beshaq Seitaan Inshan ka Khula huwa Dusman he"

📓(Surah Yusuf, Aayat-5)

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne ye Khwaab Barah(12) Saal ki Umar me dekha, Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ko Malum tha ki Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Mansube Nabuwat par Faiz honge to Bhai unse Hasad karenge kyunki Yakub عَلَيـهِ السَّــلَام ko Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se Bahot Zyada Mohabbat thi, Aap ke Bhai Aap se is par Hasad karte the Ye bhi Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke ilm me tha, Isliye Aapne Mana Farmaya ki ye Khwaab Bhaiyo se Na Bayan karna Warna unka Hasad Aur Badh jayega wo Tumhe Nukshan Pahonchane me Seitaan ke Daame Fareib me Aajayenge.

📚 (Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-168)

✅Part No:-03.

☪Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Bhaiyo ka Hasad

Quraan e Kareem me he ki...

☣"Jab (Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Bhai Aapas me) kehne lage ki Beshaq Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Aur un ka Bhai Hamare Baap ko Ham se Zyada Pyare he Aur Ham ek (Puri) Jama'at he Aur Beshaq Hamare Baap Saraahatan (un dono ki Mohabbat me) Bilkul Dube hue he"

📓(Surah Yusuf, Aayat-8)

☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Chunki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se sabse Zyada Mohabbat Karte the Aur unke Baad Hazrat Bin Yamin se, To Dusre Bhaiyo ko us par Hasad Aaya, wo kehne lage Ham to ek Jama'at he, Baap ki Khidmat Zyada kar sakte he Aur unko Zyada Nafa Pahoncha sakte he, ye do he Aur Chote bhi he, ye Apne Baap ki Khidmat Hamari Tarah nahi kar sakte, fir unse Pyaar va Mohabbat Ham se Zyada kyu...?

📚 (Roohul Maani, Jild-7, Safa-179)

📚(Tazkiratul Ambiya Alyhesalam, Safa-168)

✅Part No:-04.

☪Yakub عَلَيـهِ السَّــلَام ki Mohabbat do Beito se Zyada kyu..?

☣Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se Sabse Zyada Mohabbat hone ki Wajah ye thi ki Aap ko Malum ho chuka tha ki Aap ki Tamam Aulaad me se Agar kisi ko Mansube Nabuwwat Hasil hona he to wo yahi Aap ka Beita (Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام) he, Isi liye Aap unse Zyada Mohabbat karte the, unke Baad Hazrat Bin Yamin se, kyunki wo Sab se Chote the

☢Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se Zyada Mohabbat karne ki wajah se hi Unke Bhai Zyada Mukhalif unke hi the, Bin Yamin ke is Tarah Mukhalif nahi the kyunki Khwaab deikhne ka Ma'amla un tak bhi kisi tarah Pahonch chuka tha.

📚 (Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-93)

📚 (Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-169)

✅Part No:-05.

☪Bhaiyo ne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Raah se Hatane ki Thaan li....

Qur'an Shreef me he ki...

☣Behtar ye he ki Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام ) ko Maar daalo Ya kisi Aur Zameen me Feink aavo, Taaki Tumhare Baap ki Tawajjo Sirf Tumhari hi Taraf rahe Aur us ke Baad (Touba karke) Neik log Ban jana...

📓(Surah Yusuf, Aayat-9)

☢Yaani Unhone Maswara kiya ki Agar Tum Chahte ho ki Baap Sirf Tumhare Sath hi Khalis Mohabbat kare to Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Raste se hatana Jaruri he, is ke Bageir Baap ki Kaamil Mohabbat Mayyasar nahi ho Sakti,

☣Wo Musalman the Kafir nahi the Samaj rahe the ki ye Azeem Jurm bhi hoga, lekin Hasad ki Aaag ne Unhe Andha kar rakha tha, wo Apne Irade ko Amal me Lane ka Pukhta irada kar chuke the, Albatta ye Soch rahe the ki Baad me Touba kar lenge Aur Neik ho jayenge.

Qur'ane Paak me Aage he ki..

☢Unme se ek kehne wale ne kaha ki Agar Tum ko kuch karna he to Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام ) ko Qatl na karo Aur Unhe ek Andhey Kuve me Daal do taki koi Raah Chalne wala unhe utha kar le jaaye"

📓(Surah Yusuf, Aayat-10)

☣Ye Roknewala Aapka Sabse Bada Bhai tha, jiska Naam 'Yahuda' tha, usne kaha Qatl ek Azeem Jurm he, Tumhara ye Irada Durust nahi, Albatta Jangal me Kishi Kuve me Daal do, Sayad Waha se koi Gujare to use Nikaal kar sath le jaye, is tarah Tumhara Matlab bhi Pura hoga Aur Yusuf bhi Qatl se Bach jayega, Agar tum ne Apne irade par Amal karna hi he to yahi karo.

📚 (Roohul Maani, Jild-7, Safa-192)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-169, 170)

✅Part No:-06.

☪Bhaiyo ka Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Paas Ijajat talab karna

Quraan Sareef me he ki...

☣(Baap se Jakar) kehne lage ki Ay Hamare Baap Aap ko kya huwa he ki Yusuf (Alayhesalam) ke Ma'amle me Hamara Aetebaar nahi karte Halanki Ham to unke Kheir Khwah he, kal usko Hamare sath bhej Dijiye ki wo Hamare Sath khaaye, Khele Aur Beshaq Ham uski Nigehbaani karenge

☢Yaqub (عَلَيـهِ السَّــلَام ) ne Farmaya ki Beshaq Muje Uske le Jane se Gam hota he to me Darta hu ki Tumhari Gaflat me usko koi Bhediya Na kha jaaye...

☣Unho ne Jawab diya ki Agar inhe Bhediya Kha jaaye Aur Ham ek Jama'at (unke Sath Mojud) ho to Beshaq Ham to (us Wakt) kishi Masraf ke hi nahi (Bilkul hi gaye gujre hue)"

📓(Surah Yusuf, Aayat-11,12,13,14)

☢Unka Saher se Bahar Jane Aur Kheil ki Ijajat Talab karne ka Muksud ye tha ki Ham Dusman se Jang karne ke liye Taiyyari karenge, Doud me Mukabla karenge, Teer Andazi me Maharat Hasil karenge,
Agar wo Sirf Lahu va La'ab ke liye Kheil ki Ijajat talab karte to Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام unhe Kabhi Ijajat na deite, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام chunki Chote the, is liye unhone kaha Ay Hamare Abbajaan Hamare Chote Bhai ko bhi Hamare Sath Jane ki Ijajat do, ye Hamari Jangi Tabeer deikh kar Khus hoga Aur Jangali Mewe, Fal, Ham use tod kar deinge, ye Khayega kyunki Ham Unto ko Chrane Aur unhe Chara khilane ka kaam bhi karenge unme Jangli Darkhto se Fal bhi Hasil karenge,

☣Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Chunki Pehle hi Khwaab deikh chuke the ki Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام par Bhediye ne Hamla Kar diya he Aur wo Zameen bhi Bhediyo wali thi, is liye Aap ne kaha Muje Dar he ki ishe koi Bhediya na kha jaye Aur Tum Bekhabar hi raho.

☢Hazrat Ibne Umar رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ se Marvi he
HUZOOR NABI E KAREEM صلى الله عليه وآله وسلم ne Farmaya ki kisi Shaksh ke Samne esa kalam na karo jisse ushe Jhut ki Rehnumai mile jeise Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Beto ko Malum nahi tha ki Inshano ko Bhediya bhi kha jata he, jab unke Baap ne ye kaha to unhe bhi Jhut bolne ka Mouka mil gaya, Unhone kaha ki ye keishe ho sakta he ki Bhaiyo ki ek Jama'at.. wo Jo Bahot Takatwar ho.. ki Saamne ek Bhai ko Bhediya kha jaye, Agar esa ho jaye to ham kisi kaam ke nahi honge, Hamare hote hue Bhediye ki kya Majal he ki Hamare Bhai ko Kha jaaye..?

📚(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-196)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 170, 171)

✅Part No:-07.

☪Bhaiyo ka Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Taiyyar karna :-

☣Jab Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام kisi tarah bhi Unke Saath Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Bhejne ke liye Taiyyar na hue to Unhone Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko kaha
Kya tum Hamare Sath Bahar Jangal me chaloge..?

☢Jaha Ham Doud me Mukabla karenge Aur Unt wageira Doudane Aur Dusri Jangi Tarabeer me Mukabla karenge..?

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne kaha Ha Jarur jaunga,
Unhone kaha ki tum Baap ko kaho, Aapne Sab Bhaiyo ko Saath liya Aur Baap ke Paas Aagaye, Bhaiyo ne unki Moujudgi me Apne Baap ki Khidmat me Arz ki Yusuf Hamare Sath jana Pasand karta he, Aap use Ijajat de, Aapne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Taraf Tawajjo karte hue Pucha, Tumhara kya Khyaal he...?

☢Unhone kaha Bhai Muje Pyaar va Mohabbat se Sath le jana chahte he, is liye me unke Sath JarurJaunga,

☣Is Tarah Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Bavajood iske Nahi Chahte the ki Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Bhaiyo ke Sath Bheja jaye, Lekin Takdir ke Samne koi Tadbeer kaRagar na hui, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Marji Aur kehne par Bhaiyo ke Sath Bhejne par Aamadagi Zahir Farmayi....

📚(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-196)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-171)

✅Part No:-08.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام par Bhaiyo ka Zulm

☢Jab wo Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Sath le kar chale to jab tak Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Samne the us wakt tak wo Kandhey par utha kar chale, Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام us wakt tak Khade Deikhte rahe Jab tak wo Saamne rahe, jab wo Jungal me Pahonch gaye Aur Apne Baap ki Nazro se ujal ho gaye to Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Zameen par Feink diya Aur Apni Adawat Zahir karne lage,

☣Kabhi Bad-Kalami karte Aur Kabhi maarte, Aap ek Bhai se Bhaag kar Dusre ke Paas aate ki Sayad wo Mere Sath Hamdardi karega Aur Meri Fariyaad Sunega, lekin wahi Aap ko Marna Suru kar deta...

☢Aap ne Unke Irado ko Jab Samaj liya ki ye kya chahte he to Waha se Pukaar kar kaha
"Ay Mere Abbajaan Kaash Aap Yusuf ko deikhte ki Bhai us par kitna Zulm kar rahe he..?
To Aap kitne Ghumzada hote Aur Mere Bhaiyo ke Muj par Mazalim ko Agar Aap deikhte to Yakinan Rote, Ay Mere Abbajaan Ye Kitni Jaldi Aap ke Wade ko Bhul gaye, Kitni Jaldi Aap ki Nasihato ko Bhul gaye"

☣Ye kehte hue Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Roye is Haal me Robil (Aap ka Bhai) ne Aap ko Zameen par Gira diya Aur Sine par Beith gaya Aap ko Qatl karne ka irada kiya, (ALLAHU AKBER)

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Ay Mere Bhai Thaher ja, Muje Qatl na kar, Qatl karna Azeem Jurm he.

✅(SubhanAllah, Nabi ka Makam kitna Buland he.. Nabuwwat ke Elaan se pehle hi Apne Bhaiyo ko Nasihat karke Qatl jeishe Azeem Jurm se Bacha rahe he)

☣Robil(Aap ka Bhai) kehne laga Tuje to Bade khwaab aate the, Ab Tu Apne Khwaabo ko Bula, jo Tuje Mere Hatho se Churaye, usne Aapki Gardan ko Maroda, Aap ko Qatl hi karna chahta tha ki Aapne Bade Bhai 'Yahuda' ko kaha Ay Mere Bhai KHUDA se Dar, Mere Aur Muje Qatl karne wale ke Darmiyaan Hamil ho ja, Aapke Kehne par use kuch Bhai hone ka Khyaal aaya Aur Dil Narm huwa, usne Kaha Ay Mere Bhaiyo kya Tumne Mere Sath Wada nahi kiya tha ki Qatl nahi karenge..? Ab bhi Aashan Kaam karo, Qatl na karo,

☢Wo Gusse me Pehle kiye hue Wade ko Bhul chuke the, Puchne lage kya kare..? Yahuda ne kaha Ye Karib hi Kuwa he usme Feink do Ya to Khud hi Mar jayega Ya koi Kafile wale Gujre to ushe Nikaal kar Sath le jayenge,

☣Waha ek Kuwa tha jo Niche se Khula Aur Upar se Tang tha usme Jab unhone Aap ko Feinkna Chaha to Aap Kuwe ke Kinare se Lipat gaye, Unhone Aap ke Hath Peir Bandh diye, Kameez ko utaar liya kyunki wo Kameez ko Khun se Rang kar Apne Baap ke Saamne Azr Peish karna chahte the, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام unko keh rahe the Mere Bhaiyo Mera Kameez wapis kardo taki Me Kuwe me Nanga na rahu, Lekin Bhaiyo ne Aap ki Baat ko Tasleem na kiya, Aap ko Kuwe me Daalne lage to Aap ne unhe Kaha Ay Mere Bhaiyo Muje Akele Chod jaoge..?

☢Unhone kaha Ab tum Chand, Suraj, Aur Taaro ko Bulao, wahi Tumhari Madad karenge.
Aap ko ek Doul me Daal kar Kuwe me Latka diya gaya Jab Aadhe Fasla tak Doul Pahonchi to Upar se Choud diya gaya us khyaal se ki Zour se Girne par Mar jayega, Lekin Yusuf Alayhesalam Paani me Gire Aur ek Taraf Patther tha, uspar Beith gaye.

📔(Roohul Maani, Jild-7, Safa-197)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-171,172)

✅Part No:-09.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Kuwe Ka Haal...

☢Jab Aap ko Kuwe me Dala gaya to Aap Ro rahe the, Unhone(Bhaiyo ne) Aap ko upar se Aawaz di Aapne khyaal kiya Sayad Bhaiyo ko Mere Haal par Rahem Aa gaya Aap ne unko Jawab diya, Unhone Aap ko Zinda Samaj kar Patther Gira kar Qatl karna chaha Lekin 'Yahuda' ne Fir Mana kar diya,

☣Hazrat YaKub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Paas wo kameez thi, jo Aapke Dadajaan Hazrat Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام ko Jannat se Lakar Pahenayi gayi thi Jab Aap ko Aaag me Dala gaya tha, Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Jab Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Bhaiyo ke Sath Rawana kiya to wo Kameez Aap ne unke Gale me Batoure Taawiz daal di, Bhaiyo ne Jab Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Kuwe me Dala to unki Kameez Utaar li thi, Lekin Fariste ne Aakar unke Gale se wo Taawiz utaar kar usse Kameez Nikaal kar unko Pahenadi jisse Kuwa Jagmaga ne Laga...

☢Hazrat Ibne Umar رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ se Marvi he HUZOOR NABI E AKRAM صلى الله عليه وآله وسلم ne Farmaya Jab Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Kuwe me Dala gaya Aap ke Paas Jibrail عَلَيـهِ السَّــلَام Aaye Aur kehne lage Aap ko Kuwe me kisne Dala he...?

☣Aapne kaha Mere Bhaiyo ne,
Jibrail عَلَيـهِ السَّــلَام Ne Pucha Bhaiyo ne Kyu dala..? Aapne kaha Mere Baap Mujse Mohabbat karte he, Unhone Muj par Hasad kiya,
Jibrail عَلَيـهِ السَّــلَام Ne kaha Kya Tum Yaha se Nikalna Chahte ho..?

☢Aapne Farmaya Ye Ilteja Sirf Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke KHUDA ki Taraf he, Jibrail عَلَيـهِ السَّــلَام ne Kaha Fir Tum KHUDA se Dua karo.

☣Aapne Jab Dua Padhi to ALLAH TA'ALA ne Aapke Ma'amlaat Aasan kardiye, Kuwe se Nikaal kar Misr ki Baadshahi aata Farma di, Jo Aapke Wahem va Gumaan me bhi na thi.

📒(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-198)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-173)

✅Part No:-10

☪Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Beite Route hue Wapis Loute....

Quraan Sareef me he ki

☣"Aur Raat hue Apne Baap ke Paas Rote hue aaye, Bole Ay Hamare Baap Ham Doud karte Nikal gaye Aur Yusuf (Alayhesalam)ko Apne Asbaab(Saamaan) ke Paas chhoda to use Bhediya kha gaya Aur Aap kisi tarah Hamara Yakin na karenge Agarche Ham Sacche ho, Aur uske(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke) Kurte (Kameez) par ek Zhuta khun laga laye, (Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne) kaha (ki nahi) Balqi Tumhare Dilo ne ek Baat Tumhare waste Banali he to Sabr Acha Aur ALLAH hi se Madad Chahta hu Un Bato par jo Tum Bata rahe ho"

📓(Surah Yusuf, Aayat - 16, 17, 18)

☢Unhone(Bhaiyo ne) ek Hiran ko Zabah kiya, uske Khun se Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Kameez ko Rang kar Baap ke Paas laaye Aur Zaahir ye kiya ki Bhediye ke Khane ki Wajah se ye Khun Aaludah ho gaya.

☣Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Kameez ko lekar Apne Chehra par Dala Aur Rone lage yaha tak ki Kameez ke Khun se Aapka Chehra Khun Aaludah ho gaya, Aap keh rahe the ki Mene Aaj tak Itna Hakeem Bhediya koi nahi dekha jisne Mere Beite ko kha liya ho lekin Kameez ko Na Fada ho,

☢Ye kehte kehte Aapne Fir Rouna Suru kar diya yaha tak ki Aap par Behosi Taari ho gayi, Aapke Beito ne Aap par Paani Chidka, Lekin Aap ko Hosh na aaya Aur Na hi Aap ke Jism me koi Harkat peida hui, wo Aapko Pukaar rahe the lekin Aap koi Jawab nahi de rahe the,

☣Yahuda ne Apna Hath Aapki Naak Aur Mooh par Rakha lekin use Shansh ka Chalna Mehsus nahi ho raha tha Aur Na hi Aap ki koi Nabz Chal rahi thi, Yahuda ne kaha Hame Qayamat ke Din Jaza dene wale MAALIKUL MULK se Azaab hi Hasil hoga, Hamne Apne Bhai ko bhi Zaya kar diya Aur Baap ko Bhi Qatl kar diya, wo Tamam Raat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Behoshi me Guzaar di, Shehri ke Wakt Hosh Aaya.

📒(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-201)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-174)

✅Part No:-11.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ka Kuwe se Bahar Aana...

↘Quraane Paak me he ki

☢Aur ek Kafila Gujra to Kafile walo ne Apna ek Paani Laanewala Bheja to usne Apna Doul Dala (Aur Khincha) to wo Bola Aaha kya Khushi ki Baat he ki ye To (Doul me) Ek Ladka he Aur usko ek Sarmaya(Tijarat) Bana kar Chipa liya (Taki koi Daavedaar Na Nikal aaye) Aur jo Kuch wo kar rahe the ALLAH TA'ALA ke Ilm se Kuch Poshida na tha"

📒(Surah Yusuf, Aayat-19)

☣Hazrat Ibne Abbas رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ farmate he ek Kafila Madina se Misr ki Janib Rawana huwa, wo Kafila wale Rasta Bhatak gaye, wo Idhar-Udhar firne lage ki Rasta Mil jaye, Isi Dovraan Unhe wo Kuwa Nazar aaya jisme Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  the, Halanki Wo Kuwa eyse Bayabaan Jangal me tha Jaha Charwaho ke Bageir koi Shaksh na aata, Kafila Walo ne Kuwa deikh kar Apne ek Shaksh Malik Bin Z'ar Khzaai ko Bheja taki waha se Paani le aaye, usne Jab Kuwe me Doul Dala to Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   Usse Lipat gaye, is tarah Aap Bahar Tasreef laaye, Malik Bin Z'ar Khzaai ne Aap ke Husn va Jamaal ko Deikh kar Khusi se kaha Kitni Khusi ki Baat he ye to Ladka he, Yaani Kitna Khubsurat Ladka Hamare Hath me Aa gaya, Jo Hamare liye Bahot Bada Sarmaya Banega.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-105)

✅Part No:-12.

☪Husne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ka Chehra Bahot Haseen tha, Baal Ghungariyale, Aankhe Moti Jesi W Khubsurat, Tamam Aaza(Jism ke Tamam Hisse) me Ajeeb Kism ka Eytedaal paya jata tha, Rang Safeid Gandum Goh Surkhi Mail, Kalaiya Aur Pindaliya Moti, Peit Chota, Naaf choti thi Aur Jab Aap Muskurate the to Aap ke Danto se Noor ki Roshni Nikalti thi, Jab Kalam Farmate to Aapke Samne wale Danto se Noor ki Roshni Nazar aati Aur kisi Shaksh me us wakt ye Awsaaf Nahi paye jate the, Aap ka Husn Ese Jalwagar tha jeise Din ki Roshni...

☢Itne Haseen ladke ko deikh kar Nikaalnewale ko Ta'ajub kyu na hota ki Aap ke Husn Aur Kheir Va Barkat se Mehrumi par to Kuwe ki Diware Aur Patther bhi Roye.....

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-105)

📒(Roohul Maani, Jild-7, Safa-203)

📖(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-176)

✅Part No:-13.

☪Bhaiyo ka Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ko khote Sikko se Bechna....

⬇Quraan Sareef me he ki

☣Aur Bhaiyone use Khote Damo Ginti ke Rupyo par Beich dala Aur Unhe Usme kuch Ragbat na thi"

📓(Surah Yusuf, Aayat-20)

☣Agarche Aap ko Kuwe se Nikalne walo ne Kimti Sarmaya Samaj kar Chipa kar rakha tha ki Misr me Jaakar Use Bech karke Bahot Bada Maal Hasil karenge lekin Aap ke Bhai 3 dino ke Baad Aap ke Haal ka Pata chalane ke liye Aaye ki Yusuf Zinda he ya Mar Chuka he..?

☢Kuwe par Aaye to dekha ki Yusuf Kuwe me to nahi, Idhar-Udhar Dekha to ek Kafila Nazar Aaya Unse Puchne par Pata chala ki Unhone ek Ladke ko Nikala he, Aapke Bhaiyo ne Kaha Ye Hamara Gulam he, Jo Bhag kar Aagaya he, Agar Tum Kharidna chahte ho to Ham Tumhe Sasta Bech dete he Aur Tum ise kisi Door Ilake me le jaao Taki Ise Bhagne ka Maza aaye,

☣Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  bhi Bhaiyo ke Dar se Khamosh the, Aapne bhi Na bataya ki me inka Bhai hu Gulam nahi, Aakhirkaar Aapko 20 ya 22 Khote Dirhamo se Beich diya gaya.

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 176)

✅Part No:-14.

☪Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ka Bhaiyo ko Alwidai-Salam....

☢Jab Aap ke Bhaiyo ne Aap ko Khote Dirhamo se Beich diya to Tajar (Khridne Wale) ko kaha ki ye Chour he Aur Bhaag bhi jata he, to us Tajar ne Aapko Qeid kar liya Aur Aapki Nigehbaani ke liye ek Habsi Gulam ko Aap par Mukararr kar diya, Jab Waha se Jaane lage to Aap Rone lage, Tajar ne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  se pucha Aap kyu Ro rahe he..?

☣Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Farmaya Jin logo ne Muje Becha he Me Unko Alwidai-Salam karna chahta hu, Yaani Esa Salam karna Chahta hu Jo kabhi Na loutne wala karta he,
Tajar ne Apne Gulam ko kaha Isko Apne Maliko ke Paas le Jao taki ye unhe Alwidai-Salam kar aaye,

☢Fir Kafila se mil jana, Mene Aaj tak Itna Farma Bardaar Gulam nahi deikha jo Apne Maliko se Itni Mohabbat Rakhta ho Aur itne Zalim koi Malik nahi deikha Jitne Zalim iske Malik he...

☣Wo Gulam Aap ko Aap ke Bhaiyo ke Paas le aaya Aur Sab Soye hue the, Unme se ek Bheid-Bakariyo ki Hifazat kar raha tha, jo Jaag raha tha,

☢Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  Apne Muhafiz Gulam ke Saath Peir me Bediya lage, Ladkhrate, uske Paas Pahonche, Rone lage,
Usne Pucha Tum kyu aaye ho..?

☣Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Kaha Me Tumhe Alwidai-Salam karne Aaya hu jise Tum Kabhi na dekh sakoge,
(Wo Bola) Haay Afshos, Haay Barbaadi, ye keisa Alwida he (Mumkin he ye Yahuda ho wo kuch Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  se Narmdil rakhta tha)

☢Sab Jaag pade, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ek ek Bhai par Mohabbat se Sar Juka kar Bouse lete hue Gale Mil rahe the,

💚(SubhanAllah.. Unke Zulm ko deikhe Aur Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ki Mohabbat ko deikhe)

☣Aap Chalte hue Farma rahe the
"ALLAH Tumhari Hifazat kare, Agarche Tumne Muje Zaya kar diya, ALLAH TA'ALA Tumhe Apne Gharo me Kayam Va Dayam Rakhe, Agarche Tumne Muje Gharse Nikaal diya, ALLAH TA'ALA Tum par Rahem kare, Agarche Tumne Muj par Rahem nahi kiya"

☢Aap ke Alwidayi Salam, Rakt Aameez Kalamaat, Dukh Bhari Fariyaad ka Asar Bheid-Bakariyo par itna Sadid huwa ki Unke Us Howlnaak Manzar se Hamal Kar Gayi.

📒(Roohul Maani,Jild-7, Hissa-1,  Safa-205, 206)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-177)

✅Part No:-15.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Walida ki Qabr par Rona

☣Bhaiyo ko Aap ne Alwida kar diya to Aapko Gulam ne Pakad kar Apne Sath Chala liya Taki Kafila se Mil jaye, Aapko Bediya laga kar ek Sawari par Sawar karke Sath le jaya ja raha tha, Kan'aan ke Qabrstaan se Jab Aapka Gujar huwa to Apni Walida Raahil ki Qabr ko dekh kar Aap Apne Jazbaat par Kaabu na rakh Sake,

☢Sawari se Utar kar Qabr se Lipat kar Route hue Arz karne lage
"Ay Meri Maa, Qabr se Sar Utha kar Zara Apne Bete ko Bediyo me Jakda huwa to deikho..

☣Ay Meri Maa, Bhaiyo ne Muje Kuwe me Feink diya, Baap se Muje Juda kar diya, Khote Sikko se Muje Bech Dala, Meri Chhoti Umar par bhi Unka Dil na Pigla, Unhe Muj par Kuch Rahem Na Aaya,
ALLAH TA'ALA se Sawal karta hu ki Muje Aur Mere Walid ko Makame Rehmat me Jama kare, Wahi 'Ar rahamul Rahmeen' he.

📒(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-206)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-177, 178)

✅Part No:-16.

☪Gulam ke Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Thappad Maarne par Kehre Khudawandi...

☣Gulam ne Pichhe dekha to Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Na Paya Wapis Aaya to dekha ki Aap(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام) ek Qabr ke Paas Ro rahe he...

☢Usne Kaha Tumhe Bechne walo ne Sach kaha tha ki Tum Ek Bhagode ho (MaazAllah) ye kehte hue Isne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko ek Zourdaar Thappad Maar diya, (Astagfirullah) Jisse Aap Behosh ho kar gir gaye, Fir Jab Aapko Hosh Aaya to Aapne Kaha Muje Kuch Na kahe, Ye to Meri Maa ki Qabr he, Me Apni Maa ko Alwidai Salam karne ke liye Sawari se Utar gaya tha,

☣Aainda Esa Koi Kaam Nahi karunga Jo Tumhe Na Pasand ho, Aapka Chehra Khun se Aaluda tha, Aur Girne ki Wajah se Mitti lagi hui thi, Kaanpte hue RABB ki Bargaah me Arz karne lage

☢Ay ALLAH Agar Meri Koi Khata he to Muje Mere Aabaa Ibhrahim, Ishaq Aur Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ki Hurmat ke Waseele se Maaf karde"

☣Aapki is Halat ko deikh kar Aashman ke Fariste bhi Chilla Uthe Aur ALLAH TA'ALA Ki Bargaah me Aapke liye Fariyad karne lage,

☢ALLAH RABBUL IJJAT ne Irsaad Farmaya
"Ay Mere Farishto Ye Mera NABI he Aur Mere AMBIYA ka Beita he Jo Mujse Fariyaad Kar raha he Aur Mujse hi Imdaad ka Taalib he, Me hi Uska Fariyadras hu, Sab Fariyaad karne walo ki Fariyaad ko Me hi Pahonchta  hu,
Aur Aage Farmaya
"Ay Jibrail Jaao Mere Bande ki Imdaad karo"

☣Jibrail عَلَيـهِ السَّــلَام ne Aakar Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se Kaha Ay ALLAH TA'ALA ke Dost Tumhara RABB Tumhe Salam kehta he Aur Tumhe ye kehta he
"Rone se Rook jao, Tumne Saat(7) Aashmano ke Faristo ko Rula diya he, Kya Tum ye Chahte ho Zameen va Aashmaan ek ho jaaye..?"
(ALLAHU AKBER)

☢ Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Nahi Nahi, Muje ALLAH TA'ALA ne Apni Sifate Hilm(Burdbari) Ata ki he Aur wo Jaldbaazi Nahi karta to Me Bhi Jaldi se Kaam nahi leta, Jibrail عَلَيـهِ السَّــلَام ne Apna Par Mara, Zameen se Surkh Rang ki Hawa Chalne lagi, Suraj ki Roshni Khtm ho gayi, Surkh Aandhi se Andhera Cha gaya, Kafile wale ek Dusre ko deikh nahi sakte the...

☣Tajar ne Kaha Ay Kafile Walo Apni Sawariyo se utar kar Apne Aap ko Halaqat se Bachao, Muje Kai Saal ho Chuke he is Rasta se Gujarte hue Mene Aaj ke Din ki Tarah koi Din Nahi deikha, Sab Apne Apne Gunaho ki Ma'afi Mango, Aaj ki Musibat Yakinan Hamari kisi Gunah ka Natija he, is Wakt Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Muhafiz Habsi Gulam ne Bataya ki Mene Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام) ko Mara tha Jab Mara to usne Apna Sar Aashmano ki Taraf uthaya tha Aur Apne Hontho ko bhi Harkat di thi,
Tajar ne Kaha Afshos Tumhari Barbadi..! Tumne Hame bhi Aur Apne Aap ko Halaq kar diya,

☢Tajar Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Paas Aaya Aur kehne laga Ay Ladke Hamne Tumhe Maar kar Tum par Zulm kiya he, Ay Ladke Agar Tum Badla leina Chahte ho to Badla le lo Ham Hazir he,

☣Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya
"Ham Zalimo se Badla Nahi liya karte, Me to Us Ghraane se Ta'aluq Rakhta hu, jo Zulm karne walo ko Ma'af kar dete he, Unke liye Magfirat ki Dua karte he, Me Tumhe Ma'af kar Raha hu, ALLAH bhi Tumhe Ma'af kare"

☢Aapke Ma'af karne ke Sath hi Andhera Khatm ho gaya, Aandhi Rook gayi, Suraj Roshan ho gaya, Masrik va Magrib Tak Roshni feil gayi, Is Tarah Kafila Misr me Aman se Aagaya.

📒(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-206)

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa-178,179)

☣SubhanAllah NABI ki kya Shaan he.. NABI par Zulm karne wale kese Giraft me Aaye..
Aur NABI Kitna Sabir, ki Zalimo ke liye Dua  kar raha he.

✅Part No:-17.

☪Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ka Bazare Misr me Souda

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ko Misr me laya gaya to Aapko Bazar me Ba'Hesiyat Gulam Becha jane laga to Aapke Husn Va Jamal ki Wajah se Qeemat Badhti chali gayi, Yaha tak ki Aapki Qeemmat Yaha tak Pahonch gayi ki Aap ke Wazan ke Barabar Kasturi, Chandi Aur Resham diya jaye itni Badi Qeemat Ada karne ki Aam logo me Taakat na thi is liye Aapko Misr ke Wazeer ne Itni Kimmat Ada karke Kharid liya, uska Laqab 'Azize Misr' tha....

📒(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام  , Safa-179)

☣Azize Misr ne Jab Aapko Kharida tha us wakt Aapki Umar 17 Saal thi.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-108)

✅Part No:-18.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Naaz va Ne'amat me

✅Qurane Majeed me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he...

☣Aur Misr ke Jis Shaksh ne use Kharida wo Apni Aurat se Bola, Inhe Ijjat se rakho, Sayad Unse Hame Nafa Pahunche, Ya inko Ham Beta Banale, Aur isi Tarah Hamne Yusuf ko is Zameen me Jamaav diya Aur isliye ki Use Baato ka Anjaam Shikhaye Aur ALLAH Apne Kaam par Gaalib he Magar Aksar Aadmi nahi jante"

📖(Surah Yusuf, Aayat-21)

☢Azize Misr ne Aapke Lohe Zabih Par Sa'aadat Va Nazabat ke Nakush(Chap) dekh liye the, Badi Mohabbat se Ghar laya Aur Apni Biwi se kaha ki Bada Pyara Baccha mil gaya he iske Aaram ka Har Wakt khyaal rakhna Iski kisi tarah Dil Aazari na ho,

☣Iski Shakl va Surat kishi Shandaar Mustaqbil ki Gamazi kar rahi he, Ho Sakta he kisi Din Hamare liye ye Mufid Sabit ho ya Ham ise Apna Beta Bana le,
Us Aurat ka Naam 'Raeeil' ya 'Zulekha' tha.

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-180)

✅Part No:-19.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   Ek Martaba phir Imtehaan me....

📖Quraane Majeed me ALLAH TA'ALA Irsaad Farmata he...

☣Aur wo(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ) jis Aurat(Azize Misr ki Biwi) ke Ghar me tha usne use Lubhaya ke Apna Aapa na Roke Aur Darwaze sab Band kar diye Aur Boli Aao me Tumhi se kehti hu, (Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne) kaha ALLAH ki Panah wo Aziz(Azize Misr) to Mera Parwarish Karnewala he Usne Muje Achi Tarah (Ghar me) Rakha Beshaq Zalimo ka Bhala Nahi hota, Aur Beshaq Aurat ne Uska irada kiya Aur woh bhi Aurat ka Irada karta Agar Apne RABB ki Dalil na dekh leta, Hamne Yuhi kiya ki Usse Burai Aur Behayai ko Ferde Beshaq wo Hamare Chune hue Bando me se he"...

📚 (Surah Yusuf, Aayat - 23, 24)

☢Wo Aurat(Azizi Misr ki Biwi) Darwaje Band kar ke Apne ek Butt ko Dhaanp rahi he, wo jo usne Apna Ma'abud Bana rakha tha Aur Yakut se use Saja Rakha tha, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Usse Pucha Tum use kyu Dhaanp rahi ho...? Usne Kaha Muje Apne Ma'abud se Sarm Aati he ki wo Muje Burai me deikhe...

☣Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ne Farmaya Tera Ma'abud to kuch Taakat bhi nahi rakhta  Tuje Sarm Aarahi he kya Muje us Ma'abud Haqiqi se Sarm nahi Aati jo Har Insan ke Har Amal ko deikh raha he..?

☢Mujse Tu Apni Ummid Wabasta na kar,
Tu Kabhi bhi Mujse Apni Hajat me Kaamyab nahi ho sakti....

(SubhanAllah..)

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ne Roshan Dalil ke Tour pe ye Deikha...

☢Hazrat Ibne Abbas رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ se Marvi he Beshaq Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ko Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام   ki Surat deikhai gayi Jinhone Aapke Sina par Hath mara....

📒(Roohul Maani, Jild-7, Safa-214)

☣Hazrat Qatada رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ se Marvi he Aap Farmate he ki Hame Bataya gaya he ki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ko Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام   dikhai diye ki Aap Apni Ungaliyo ko Danto se Kaat rahe he Aur Farma rahe he Ay Yusuf Khyaal Rakhna Esa Kaam Bewakoof karte he Tumhara Naam to Ambiya e Kiraam me likha Ja Chuka he...

📒(Roohul Maani, Jild-7, Safa-214)

☢Zulekha(Azize Misr ki Biwi) ne Agarche Chaha ki Aap ko Gunaho me Mubtila karde Leqin ALLAH ke NABI Nabuwat se Pehle Aur Nabuwwat ke Baad Chote-Bade Gunaho se Paak hote he is liye ALLAH TA'ALA ne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ko Waajeh Aur Roshan Dalil deikha kar Paak va Saaf rakha...

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام  , Safa-181,182)

✅Part No:- 20.

☪Hazrat Yusuf Alayhesalam Par Aurat ka Ilzaam....

⬇Quraan Shareef me he ki....

☢Aur Dono Darwaze ki Taraf Doude (Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Aage Aage Aur Zulekha Piche Piche) Aur Aurat ne (Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام) ka Kurta Piche se (Khinch kar) Cheer diya, phir Achanak Dono ko Aurat ka Khawind(Sohar) Darwaze ke paas mil gaya Tab Aurat ne (Apna Jurm Chipane ke liye Baat banai Aur) kaha Jis Aadmi ne Teri Aurat se Badi(बदी) Karni chahi uski Saza Siwaye uske kya honi chahiye ki use Qeid me dala jaye ya koi Aur Dardnaak Saza di jaye"

📖(Surah Yusuf, Aayat-25)

☣Jab Aurat ne Aapko Andar Bandh kar liya to Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Apne Aapko Gunaho se Bacha ne ke liye Darwaza ki Taraf Bhaagna Suru kiya taaki Darwaza khoul kar Bahar nikal jaaye, Aurat ne Piche Bhagna Suru kiya taaki Aapko Pakadle, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Pakadne me to Kaamyab na ho saki, Albatta Aapki Kameez(Kurta) Piche se usne Pakad li Chunki Aap Doud rahe the, Doudte hue Kameez Pakadne ki Wajah se Piche se Phat gayi....

☢Usi Douraan us Aurat ka Sohar Darwaje par Pahonch gaya, Wo(Aurat) Tohmat ke Dar se Jaldi se Apne Eiyb ko Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki taraf Mansub karne lagi ki ye Tumhari Zovja se Burai ka Irada rakhta tha, is liye Qeid khana me Bhej do ya Shakht Saza do.

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa-185, 186)

✅Part No:- 21.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Sacche hone ki Gawahi....

⬇Quraan Sareef me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he...

☣(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne) kaha us(Aurat) ne Mujko Lubhaya ki Me(Fash Jaau Aur) Apni (Paak Daamani ki) Hifazat na karu (Magar Meine Hargiz Esa nahi kiya) Aur Aurat ke Gharwalo me se ek Gawah ne Gawahi di (Deikha jaaye) Agar Unka(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka) Kurta(Kameez) Aage se Chira he to Aurat Sacchi he Aur Unhone Galat kaha, Aur Agar Unka Kurta Piche se Chira huwa(he) to Aurat jhuti he Aur ye Sacche, Fir jab Azizne Us(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام) ka Kurta Piche se Chira deikha(Haqiqat Ma'alum karli Aur) Bola Beshaq ye Tum Aurato ka Charitr he Beshaq Tumhara Charitr Bura he, (Fir Azize Misr ne kaha ki) Ay Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام) Tum uska Khyaal na karo Aur Aye Aurat Tu Apne Gunaah ki Ma'afi Maang Beshaq Tu Khatawaro me he"...

📖(Surah Yusuf, Aayat-26, 27, 28, 29)

☢Gawahi Dene wala Us Aurat ka Ristedaar ladka tha, Jo Abhi chota Bacha tha uski Umar 3 Maah thi, ALLAH TA'ALA ne ushe Bolne ki Taakat di, us se Gawahi dila kar Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Ilzaam se Bari Qarar diya, Agarche Itni Umar me Bacche ka Bolna hi Aap ki Paak-damani ko Sabit karne ke liye Kafi tha, Lekin ALLAH TA'ALA ne us se Esa Hakimana Jawab dilaya jo Bahot Badi Mazbut Dalil bhi ban gayi,

☣Aage se Kameez ke Phatne ka Matlab ye hota he ki Aap ne Iska Irada kiya, usne Mazahammat ki Girebaan pakad kar Piche kiya to Kameez aage se Phat gayi, Agar Eyshi Surat hoti to Aurat ka Saccha hona Sabit hota, Lekin Piche se Kameez Phatne se Waajeh ho raha tha ki Aapko Zabardasti Kamra me Bandh kiya gaya, Aap Jaan Churane ke liye Bhaage Aapko Piche se Pakad ne ki Koshis ki gayi to Kameez Piche se Phat gayi,

☢Is Jawab Aur Daleel par hi Azize Misr ne Aapko kaha Aap Sacche he, kuch Gam dil me na laaye Aur Apni Zovja ko kaha Ye Tumhara Makr he tum Apne Gunaho ki Maafi Mango.

📚(lRoohul Maani, Jild-7, Hissa-1,Safa-221)

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa-187, 188)

✅Part No:- 22.

☪Baadshah ko Khwaab Aana :-

⬇Quraan Shareef me he ki....

☢Aur Baadshah ne Kaha Meine Khwaab me Deikhi Saat(7) Gaaye Fabahr ke Unhe Saat(7) Dubli Gaaye Kha rahi he Aur Saat(7) Baale(n) Hari Aur Dusri Saat(7) Shukhi Ay Darbariyo Mere Khwaab ka Jawab do Agar Tumhe Khwaab ki Ta'abir Aati ho, Bole Pareshan Khwaab he Aur Ham Khwaab ki Ta'abir Nahi Jante, Aur Bola wo jo Un Dono me se Bacha tha Aur ek Muddat Baad use Yaad Aaya Me Tumhe Uski Ta'abir Bataunga Muze(Qeid-khane me) Bhejo"

📖(Surah Yusuf, Aayat-43, 44, 45)

☣RABB TA'ALA ka Qanoon-e-Qudrat ye he ki Jab kishi Chiz ka Irada Farmata he to uske liye Asbaab Peida Farmata he, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ko Bhi Jab Qeid-Khana se Nikaalne ka Irada Farmaya to uska Sabab ye Peida farmaya ki...

☢Misr ke Baadshah 'Rayaan' ne khwaab dekha ki 7 Moti-Taazi Gaay ek Khusk(Sukhi) Naher se Nikli Aur Saath hi Kamzor Gaay,
Kamzor Gaay Moti Gaay ko Kha gayi Aur usne Deikha ki 7 Baliya jo Daano se Bhar Pur Aur Sabj(Hara/Green) he Aur 7 Dusri Khusk ko deikha jo Sabj par Lapeit kar unpar Galib aa gayi,

☣Baadshah ne Apne Darbari Paadari, Najumiyo(Jyotisho) ko Jama karke Unse Khwaab ki Ta'abir Puchi, Unhone Kaha Agar Khwaab me koi Tartib hoti, Jo Waqe'aat ki Pahechan karti to Ham Ta'abir Batate, Ye Khwaab Bila Tartib he, in me ikhtelaat(Mix) va Fiqr payi gayi he, Is liye Ye Bikhri Soch he, Inki Ta'abir Kuch bhi Baya nahi ki Ja Sakti Lekin Baadshah Bahot Zyada Pareshan tha ki Kamzor ka Taqatwar par Galib aajana Aur Khusk ka Sabz par Galib Aajana, Yakinan kishi Khatra ki Alamat he.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-147)

☢Baadshah ki Pareshani ko dekhkar us Sabiq Qeidi Shaksh ko Yaad Aaya jise Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Farmaya tha ki 'Tu Naja'at payega', usne Kaha Muje Qeid-Khana me Bhejo, waha ek Aalim Shaksh he wo is Khwaab ki Ta'abir Bayan karega to Me Wapis Aakar Tumhe Bataunga, wo Shaksh Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ke Paas Qeid-Khana me Aakar Baadshah ke Khwaab ki Ta'abir Puchne laga,

☣Ek Dusri Riwayat ke Mutabiq, Ye ek Aur Shaksh tha jisne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ka Charcha Soon rakha tha, Baadshah ke Khwaab Bayan karne Aur Pareshani ko deikh kar Kuch Waqt ke Baad Use Yaad Aaya ki Me Qeid-khana me us Shaksh ke Paas Jakar Puchun, jis ke Muta'alaq Mashoor he ki
"wo Khwaabo ki Ta'abir Sahi Bayan karta he".

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-197, 198)

✅Part No:- 23.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ko dekh kar Aurato ne Apne Hath Kaat liye....

⬇Quraan Shareef me hai...

☣To Jab Zulekha ne unka Charcha suna to Un Aurato ko Bula Bheja Aur unke liye Masnade Taiyyar ki Aur Unme Har Ek ko Churi di Aur (Iske Baad) Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام  ) se kaha Unpar Nikal Aao jab Auratone Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام  ) ko deikha Uski Badaai Bolne lagi Aur Apne Haath Kaat liye Aur Boli ALLAH ko Paaki he ye to Jinse Basarse nahi ye to Nahi Magar Koi Mo'azziz Farista(Jo Khubsurat Aurato ki Taraf Nazar utha kar bhi Nahi deikhta), (Tab) Zulekha ne Kaha to ye he wo Jin par Tum Muze Tana deti thi Aur Beshaq Meine Unka Ji Lubhana Chaha to Unhone Apne Aapko Bachaya Aur Beshaq Agar Woh ye Kaam na karenge jo me Unse kehti hu to Zarur Keid me Padhenge Aur Zarur Zillat Uthaenge...

📖(Surah Yusuf, Aayat - 31, 32)

☢Aziz ki Zovja ne un Aurato ki Da'wat ki jo Uske Muta'alak Baate karti thi, Wo Bade Bade Sardaro, Wazeero ki Biwiya thi, Jinki Tadaad 40 thi, Unme 5 Aurate ye bhi thi Jo Bahot Baate karti thi...

1⃣Aziz ko Paani Pilane wale ki Zovja,
2⃣Wazeer e Jeil ki Zovja,
3⃣Rotiya Pakane wali Aurat, jisne itne Arse me Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ko Nahi deikha tha,..
4⃣Aziz ke Janwaro ke Muhafiz(Hifazat karne wale) ki Zovja,..
5⃣Darbaan ki Zovja,

☣Da'wat ki Majlis me Har ek ke liye Nasihat Mukararr thi, Takiye Laga diye, Dastarkhwaan par Tarah Tarah ke Khane chun diye gaye, Fal bhi rakh diye gaye, Falo ya Gost ya Khaas kar Limbu kaatne ke liye Churiya bhi Rakh di gayi, Har Beithak ke Samne Ek Ek Churi rakhi gayi thi...

☢Jab Aurate Aagayi Apni Apni Beithak par Beth gayi, To Aziz ki Zovja ne Aap(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ) ko Hukm diya ki Aap Apne Kamre se Bahar Niklo Aur Un Aurato ki Mehfil ke Samne se Gujar jaao Taaki Ye Aapki ek Jhalak dekh le, Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Pehle hi us Aurat ki ek Saazis ka Sikaar ho chuke the, ALLAH TA'ALA ne Aapko Bari kar diya tha, Ab Yahi Khouf Dil me Aa raha tha ki iska Hukm na Manne par Koi Nayi Musibat na Khadi ho jaye, Aapko Majburan Nikal kar Aurato ke Saamne se Gujarna Padha...

💢Jab Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   Unke Saamne se Gujre...
"To wo Aapko dekh kar itni Dahesat me Aa gayi ki Fal le kar Unko Churiyo se Kaatne lagi thi, lekin Apne Haath Kaat kar Zakhmi kar liye"

☣Ya Unhone Apne Hath is Wajah se Kaat liye ki Aapko deikh kar is Tarah Madhosh hui ki Unhe ye Pata Na Chal saka ki wo Churiya Sidhi Pakad rahi he ya Ulti, (Churi ki) Sidhi Janib Apne Hatho ki taraf kardi Aur Ulti Janib Falo ki taraf karke Falo ko Kaatne ke Garz se Churiyo ko Jeise Chalaya to Haath kat gaye.

☢Ye bhi Mumkin he Kuch Aurato ne Churiya Ulti Chala kar Apne Haath Kaat liye ho Aur Kuchne Fal kaat kar Haatho tak Churiya Chala di ho.

📒(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-127)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 189, 190)

✅Part No:- 24.

☪Haath kaatne ki Wajah Jamaale Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   par Madhosh hona....

☣Un Aurato ne Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ko Umda Jamaal Aur Kaamil Husn ki Wajah se Azeem Samja tha yahi Wajah thi un ke Haath Kaatne ki, Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ko Husn va Jamaal me Baaki logo par is tarah Fazilat Hasil thi Jis tarah Chodhvi(14vi) ke Chand ko Sitaro par Fazilat Hasil hoti he,

☢Ek Martaba Hamare AAQA HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se Pucha gaya
YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhi Wasallam Aapne Unhe(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ko) Keise paya to HUZOOR Sallallaho Alayhi Wasallam Farmaya Eyse hi Jeise Chodvi(14vi) ka Chand...

☣Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   Jab Misr ki Galiyo me Chalte to Aap ke Chehre ki Nooraniyat ki Wajah se Diware Is Tarah Roshan ho jati jis Tarah Suraj ki kirno se Roshni Feil jati he,

☢(Aurato ke Haath kaatne ki) Sabse Badi Wajah ye thi ki un Aurato ne Aap ki Nooraniyat va Resalat ke Aasaar ko dekha Aur Nabuwat ke Reb va Jalaal ka Musahida kiya Aur Jab ye deikha ki ye Shaksh to Farista-Sirat he, isne T'aam ko nahi deikha, Ham Navjawan Aurato ko Nahi deikha, ise Hamari Zara Parwah tak nahi hui, Zaaheri Surat bhi Azeem Aur Sirat bhi Azeem, Bas Yahi deikh kar unhone Ta'ajub kiya Madhosh ho gayi, Apne Hosh va Havaas Kayam na rakh saki, Aur Itna Samaj liya ki ye koi Aam Inshan nahi ye to koi Makarrab Farista he,

☣Haa,  ye kyu na hota, Jab ki NABI ka Makam Faristo se Buland Tareen hota he.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-127)

📒(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-190,191)

✅Part No:- 25.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ka Qeid-khane ki Dua karna Aur us Dua ka Qabool hona...

⬇Quraan Sareef me he ki...

☢Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام ) ne Arz ki Ay Mere RABB Muje Qeidkhana Ziyada Pasand he us Kaam se Jiski Taraf ye Muje Bulati he Aur Agar Tu Mujse unka Makr na Ferega to me Unki Taraf Maail hounga Aur Naadaan Banuga,
To Uske RABB ne Uski Sunli Aur usse Aurato ka Makr feir diya Beshak Wohi (Har ek ki Dua) Sunta Janta he,
Fir Jab kuch Nishaniya deikh dikha kar Pichli Mat Unhe yehi Aai ke Zarur ek Muddat tak ushe Qeidkhane me Dale"

📖(Surah Yusuf, Aayat - 33, 34, 35)

☣Jab Azize Misr ki Zovja(Biwi) ne Misr ki Aurato ke Saamne Kaha ki Agar isne Meri Baat ko na Mana to ise Qeid-khana me Jana padhega Aur Zalil hona Padhega to Da'awat par Bulai hui Tamam Auratone Ijtemai Tour par Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ko Samjana Suru kiya, kehne lagi Tumhare liye ye Behtar nahi ki Tum uske Hukm ki Mukhalifat(khilaaf) karo Kyu ki Mukhalifat ki Surat me Tumhe Qeid-khana me Jana Padhega Aur Zillat uthani Padhegi,
Ab Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ko Chand Muskilaat ka Saamna tha,..

☢Aapne Dua ki
"Ay ALLAH Tu Muje In Aurato ke Makr se Bacha Sakta he, Agar Tera Fazal na ho to Insan ese Gunaho me Mubtila ho kar Jahil ban jata he, Ay ALLAH Muje Jis Kaam ki ye Da'awat de rahi he Us se Behtar Mere liye Qeid-Khana hi he".

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-130)

☣Azize Misr Aur Dusre Tamam Log Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ki Paak Daamani ka Yakin Kar Chuke the....

☢Lekin Aapko Sirf Zaaheri Maslehat ke peishe Nazar Unhone Qeid-Khana Bhejne ka Feishla kiya tha Kyu ki Azize Misr ki Zovja ke Alawa Ab Dusri Aurate bhi Aap par Aashiq ho chuki thi, Ghar-Ghar Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ke Husn va Jamaal ka Charcha ho raha tha wo Loug Apni Aurato ko Rokne me to Naakaam ho gaye, Albatta Aapko Qeid-khane me Bhejne ka Unhe ek Hal Samja tha, Ye Asal me Aapki Apni Dua ka Asar hi tha....

☣Is Tarah Aziz ki Zovja ne Apne Shohar ko kaha Ki ye Ibrani Gulaam muje Badnaam kar raha he ki mene ushe Apni Taraf Mail karna chaha Lekin wo Bach gaya wo Chunki Bahar Nikal sakta he Aur me Gharme Mahbus hu Ya Muje Bhi Baahar Bazaro me Jakar uska Jawab deine ki Ijajat di jaye ya ushe bhi Qeid kar liya jaaye,
To is Tarah Aziz Aur Dusre Wazeero ne Aapko Qeid me Bhijwa diya...

📚(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-237)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-192, 193)

✅Part No:- 26.

☪Qediyo ka Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se Barkat Hasil karna...

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Jab Qeid-Khana me gaye to Waha Qeidiyo ko deikha ki Qediyo ki Ummide Tuti hui he, Shadid Masaib Aur Taveel (Lambe) Gamo me Mubtila he, Aapne Un ko Tasalli dete hue kaha Khus ho jaao, Sabr karo ALLAH TA'LA Sabr ka Ajr Zarur aata farmata he,..

☢Qoum ne kaha Ay Jawan Aap ka Chehra kitna Haseen he...?
Aap ki Surat Kitni hi Khubsurat he...?
Aapke Kitne hi Acche Akhlaq he...?
Jab se Tumne Hame Bataya Sabr par Ajr he Aur Musibat Gunaho ka Kaffara he Aur Masaib Va Aalaam Gunaho se Pakizgi ka Zariya he to Hame Tumhare Qurb Aur Nasaaih se Barkat Hasil ho gayi he,
Unhone Pucha Ay Jawan Tum Koun ho...?

☣Aapne Bataya Me Yusuf Ibne Yakub ibne Ishaaq Ibne Ibrahim (عَلَيـهِ السَّــلَام) hu,

☢Qeid-Khana ke Nazim e Aala(Unche Darje par Kaam Karne wala) ne kaha Ay NavJawan Agar Mere Ikhteyaar me hota to Me Tumhe Aazad kar deta, Ye to Mere Ikhteyaar me nahi, Albatta Tumhare Pados me Rehne wale Qeidiyo par Acha Suluk karunga.

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa-194)

(مَـاشَــاء اَلـلَّـه)

✅Part No:- 27.

☪Azize-Misr ki Aurat par Misr ki Aurato ki Taana-Zani...

⬇Quraan Sareef me he...

☣Aur(Jab Us Wakiye ka Charcha Feila to) Saher me Kuch Aurate Boli ki Aziz ki Bibi Nov-Jawan ka Dil Lubhati he Beshaq Unki Mohabbat Yske Dil me Peir gayi he Hamto Ushe Sarih Khud Raftaa Pate he"

📖(Surah Yusuf, Aayat-30)

☢Wo wakiya Pure Saher me Mashoor ho gaya tha, Kayi Aurate kehne lagi ki Aziz ki Biwi Kitni Galti par he Jo Apne Ghar rakhe hue Nav-jawan se Itni Sadid Mohabbat karti he ki Ushe Kuch Aur Nazar hi nahi aata, uske Dil par Mohabbat ne Is tarah Gheira daal liya he Jis Tarah kishi Chiz ka Gilaaf ushe Apni Lapeit me leita he Aur wo Mohabbat uske Dil Aur Baaki Chizo me Hijaab ikhtyaar kar chuki he ki Siwaye Us Nav-Jawan ke Aur kishi Chiz ka Pata hi Nahi, Ham to Ushe us Nav-Jawan se Sadid Mohabbat karne me Raah Rasta se Bhatka huwa Paate he.

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام  , Safa-188)

✅Part No:- 28.

☪Qediyo ka Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  se Khwaab ki Ta'abir Puchna....

⬇Quraan e Majeed me hai...

☣Aur Uske(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ke) Sath Qeidkhane me Do Jawan Dakhil hue Unme Ek Bola Meine Khwaab Deikha ke Sarab Nichorta hu Aur Dusra Bola Meine Khwaab Deikha ki Mere Sar par Kuch Rotiya he jinme se Parindey Khate he Hame Uski Ta'abir Bataiye Beshaq Ham Aapko Neikukaar Deikhte he"

📖(Surah Yusuf, Aayat-36)

☢Ek Ne Apna Khwaab Bayan kiya ki
"Meine Angoor ki ek Bahot Khubsurat Beyl deikhi Jiski 3 Saakhe he Aur un par Angoor ke Gucche lage hue he, Me unhe Nichor kar Baadshah ko Pila raha hu....

➡(Khyaal Rahe ki Sarab bhi Angoor ke Nichor se hi Banti he is liye us Shaksh ne Angoor Nichor ne ko Sarab Nichor ne se Ta'abir kar diya)

☣Dusre ne Apna Khwaab Bayan kiya ki
"Meine Deikha ki Me Baadshah ke Rasoyi Khana(Khana Banane ka Kamra) se Nikal raha hu Aur Mere Sar par 3 Tokariya Rotiyo ki he jinke Upar se Parinde Kha rahe he"

📚(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-239)

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  Jab Qeid-Khana me Aaye the, Aapne Bataya ki Me Khwaabo ki Ta'abir Bayan karta hu, Kai Lougo ko Aap Pehle Bhi Khwaabo ki Ta'abir Bata chuke the, Jo Sacche Sabit hue the, Is liye Un Do Shaksho ne bhi Aapse Ta'abir Puchi ki Aap Sacche Ta'abir Batate he, Aap Sahibe Ilm he, Aap Bahot Ache Shaksh he, Tamam Qeidi Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ke Acche Afaal par Muttela the, Aap Namaz, Roza ke Paband the, Har Kism ke Neiki ke Kaam karna Aapki Aadat Sareef thi, Aapke Acche Akhlaq kishi par Chupe na the, Aap Marizo ki iyadat karte, Gamnaak Lougo ke Dilo ki Dharish Bandhte...

☣Aapke Fazail va Kamalaat ko deikh kar Un dono Qediyo ne Aap se Haqiqatan deikhe hue Khwaabo ki Ta'abir Puchi Ya Sirf Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ko Aazmane ke liye Man-ghadat Khwaab Bayan kiye,

☢Ek Qoul ye he ki Qeid-Khana me Jab Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Bataya ki Me Khwaab ki Ta'abire Janta hu, To Un Dono ne ek Dusre ko kaha ki Us Ibraani Gulaam ki Aazmaish karni Chahiye, Ham Apne Taraf se Khud Khwaab Bana kar Us Par Peish kare, Unhone Eysha hi kiya Agarche Unhone Koi Khwaab nahi deikha tha Khud hi Khwaab Bana ke Sawal kiya.

☣Hazrat Ibne Mas'ud RadiAllaho Ta'ala Anho ne Farmaya Unhone Koi Khwaab nahi deikhe the Balki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ke Ilm ko Aazmane ke liye Khud hi Khwaab Ghade the.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-134)

📚(Roohul Maani, Jild-7, Safa-238)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-194, 195)

✅Part No:- 29.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ka Khwaab ki Ta'abir Bayan karna :-

⬇Quraane Majeed me hai..

☢(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ne Farmaya) Aye Qeidkhane ke Dono Sathiyo (Ab Khwaabo ki Ta'abir Suno) Tumme Ek to (Qeid se Chhut jayega Aur) Apne Baadshah ko Sarab Pilayega, Raha Dusra, Wo Suli diya jayega to Parinde Uska Sar Khayenge, Huqm ho Chuka us Baat ka Jiska Tum Sawal karte the"

📖(Surah Yusuf, Aayat - 41)

☣Aapne Jab ye Ta'abir Baya ki to woh kehne lage Hamne to koi Khwaab na deikha tha, Aapne Farmaya Huqm ho chuka he is Baat ka Jo tum Sawal karte the,

☢Beshak jo Ta'abir Aapne Bayan Farmayi Use Yakinan Waqeh hona hi tha' Kyunki Aapne Ta'abir Bayan karne se pehle hi Farma diya tha Me Tumhe Tumhara Khana Aane se pehle Khwaab ki Ta'abir Bata dunga kyunki Mere RABB ne Muje Ilm diya he, Yani Aap ne Bahot Wajeh tour par Bata diya ki Khwaabo ki Ta'abir koi Andaaje se Bayan Nahi karta Ye to Mere RABB ka diya huwa Ilm he jis ki Wajah se Me Bayan karta hu.

☣Aapne Unhe Bataya ki ALLAH TA'ALA ne Muje Kaseer(Bahot) Ulum Aata farmaye he ye jo tum ne Suna he Ye to Baarish ka ek Qatra he, Baag ke Phulo me se ek Kali he.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-143)

📒(Roohul Maani, Jild-7, Safa-241)

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام  , Safa-195)

مَـاشَــاء اَلـلَّـه

✅Part No:- 30.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ka Baadshah ke Paas Zikr karne ke Muta'alaq kehna...

⬇Quraan Sareef ke he ki..

☢Aur Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام) ne un Dono me se Jise Bachta Samza(Ki wo Naza'at paayega) Usse Kaha Apne Baadshah ke Paas Mera Zikr karna, To Seitaan ne ushe Bhula diya ke Apne Baadshah ke Saamne Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام) ka Zikr kare to Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام) Kai Baras Aur Qeidkhane me Rahe"

📓(Surah Yusuf, Aayat-42)

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Jab Qeid se Naja'at pane wale Ko Kaha ki Meira Zikr Baadshah ke Samne Karna To ALLAH TA'ALA ne is par Pyaar va Mohabbat se Aapko Tanbiy Farmayi..

☢Aye Mere Pyaare Zara Gour to karo, Tumhe Bhaiyo ke Hatho Qatl hone se kisne Bachaya...?
Tumhe Kuwe se kisne Nikala...?
Tumhe Aurat ke Bohtaan se kisne Bachaya...?

☣Arz ki MERS MOULA  PARWARDIGAAR Ye Tere hi Faizaan the,  RABB TA'ALA ne Farmaya Fir Inshan ke Samne Zikr karne ka Kya Faiyda tha...?
Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Azr peish karte hue Arz kiya Ay Mere MOULA Bas Weise hi Zaban par aa gaya tha....

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Baadshah ke do(2) Gulamo ko Khwaab ki Ta'abir Bayan karne se pehle 5 Saal Qeid-Khana me Guzar liye the Aur Mazeed 7 Saal Aapne Aur Guzare, Yaani 12 Saal ALLAH TA'ALA ke NABI ne Apni Paak Daamani ke liye Qeid-Khana me Guzaar diye,
AMBIYA KIRAAM se Bahot Muskil Imtehaan liye gaye.

📒(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-1, Safa-248)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-196, 197)

✅Part No:- 31.

☪Baadshah ke Khwaab ki Ta'abir Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Bayan karte he....

⬇Quraan e Majeed me hai...

☢(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne) kaha Tum Kheti Karoge Saat(7) Baras Lagaataar(Aur Peidawaar Khub hogi) To jo Kaato use Uski Baalme Rehne do(Taaki Anaaz Khraab na ho) Magar Thoda Jitna Kha lo, Fir Uske Baad Saat(7) Baras Karre(Badi Shakt Musibat) Aaenge ke Kha Jaeige jo Tumne Unke Liye Jama kar rakha tha Magar Thoda jo Bacha lo, Fir Unke Baad ek Baras Aaeiga Jisme Lougo ko Menh(Baarish) Diya Jaayega Aur Usme (Falo Aur Daano se Teil Aur) Ras Nichorege"

📓(Surah Yusuf, Aayat-47, 48, 49)

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Khwaab ki Ta'abir Bayan ki ke 7 Saal Anaaj Tumhe Aam Dastoor ke Mutabik Hasil hoga, fir 7 Saal Qahat hoga, Barise Nahi hogi, Ye Qahat Wale Saal Pehle Saalo ke Jama'a Anaaz ko Khatm kar deinge, uske Baad Fir ek Saal Khushaali ka Dourdourah, Barise Kaseer(Zyada) hogi, Jinki Wajah se Angoor, Zeytoon, Ganne Aur Tal Wageira ki Kaseer Peidawaar hogi, Jinse Tum Ras Nikaaloge Aur Baaz se Teil Nikaaloge,....

☢Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne khwaab ki Ta'abir Bayan ki Aur Sath Sath iske liye Ehtyaati Tarabir bhi Bayan ki ke Pehle 7 Saalo ki Peida hone wale Anaaz ko Be-Darig Istemaal na karna Sirf Itna Anaaz Saaf karna Yaani Bhusha Aur Daano ko itni Mikdaar(Hadd) me Alaihda karna jis se Tumhari Zaruriyaat puri ho sake, Baaqi Anaaz Baliyo(Khoso) me hi Rehne deina, Isse Kharch me Ehteyaat Hogi Aur Daane Kire Makodo se bhi Mahfooz rahenge.

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa-198, 199)

☪Makame NABI Kitna Buland he...

☣Jo Ta'abir Kisi Paadri ya Jyotish ko bhi Na Aa Saki wo Ta'abir ALLAH ka NABI Bata raha he., Aur Jab Saail ne Ta'abir puchi to ushe ye Na Kaha ki 7 Saal Baad Meri Keishe Yaad Aa gayi...??
Aur ye bhi na Kaha ki Pehle Badshah ko kaho ki Muje Begunah Qeid me dala huwa he.. Muje Pehle Qeid-khana se Nikalo to Ta'abir Bataunga,
Nahi Nahi.. SABIR NABI ne koi Shart na Lagai Aur Na hi Us Shaksh ko Ta'ana diya, Balqi Usko Khwaab ki Ta'abir Batayi..

🌹SubhanAllah...

✅Part No:- 32.

☪Baadshah ka Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Bulana Aur Aapka Inkaar karna :-

⬇Quraan Sareef me he ki....

☢Aur (Jab Us Aadmi ne Aakar Khwaab ki Ta'abir Baadshah ko Sunai to ) Baadshah Bola ke Unhe Mere Paas le Aao to Jab Unke Paas Elchi Aaya (To Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne) Kaha Apne Baadshah ke Paas Palat ja Fir Usse Puche Kya Haal he Un Auratoka Jinhone Apne Haath Kaate the(Me Chahta hu Ki Pehle Iska Feisla ho jaaye) Beshaq Mera RABB Unka Fareib Janta he, (Is Par) Baadshah ne(Un Aurato ko Bula kar) Kaha Ay Aurato Tumhara Kya Kaam tha Jab Tumne Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام ) ka Dil Lubhana Chaha Boli ALLAH ko Paaki he Hamne Unme koi Badi(बदी) (Burai ki Baat) Na Paai (Ye Soon kar) Aziz ki Aurat Boli Ab Asli Baat Khul Gayi Meine Unka Ji Lubhana Chaha tha Aur wo Beshaq (Apne Bayan me) Sacche he, Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام ) ne Kaha Ye Meine Is liye kiya ki Aziz ko Malum ho jaaye ke Meine Pith piche Uski Khyanat na ki Aur ALLAH Dagabaazo ka Makr nahi Chalne deta....

📓(Surah Yusuf, Aayat - 50, 51, 52)

☣Hazrat Yusuf Alayhesalam ka Sabr deikhe, 12 Saal Qeid me rehne ke Ba-wajood Jab Qeid-Khana se Nikalne ka Peigaam milta he to Aap Khushi se Jaldi Nikalne ki Bajaaye Inkaar karte hue ye kehte he ki Pehle Ma'amala Ki Chaan-Bin karle Fir Me Qeid-Khana se Bahar Aaunga, Agar Aap Jaldi se Baahar Aajate to Mumkin Tha ki Baadshah ke Dil me us Tohmat ke Haqq hone ka Waswasa Baaqi rehta, Waqiya ki Tehqeeq ke Baad Baadshah ko Yaqin ho gaya, Aurato ne Aap ki Paak Daamani ka Wajeh Eylaan Farma diya, Aziz ki Zovja jisne Abhi tak Iqbal Jurm nahi kiya, Ab wo bhi Apni Galti ka Eyteraaf karte hue Aapko Paak Daaman Aur Saccha kehne lagi, Is Tarah Baadshah par ye Haqiqat Khul kar Saamne Aa gayi ki Aap Sacche he....

☢Baadshah ne kaha Unko Mere Paas le aao Iski Wajah ye thi ki Use Jab Ma'alum huwa ki Aap Bade Saaheibe Ilm he to usne Kaha Eysha Sahibe Ilm Qeid me Rahe ye keishe ho Sakta he...?? Is se Ilm ki Fazilat Hasil hui ki ALLAH TA'ALA ne Aapke Ilm ko Duniya me Masa'aib se Chutkara Hasil Karne ka Zariya Banaya to Ye Keishe ho sakta he.. ki Dini Ulum Aakherat ki Muskilaat se Chutkara Dilane ka Zariya Na Ban Sake..??

📒(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-151)

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام , Safa-199, 200)

🌹SubhanAllah...

✅Part No:- 33.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Qeid-Khana se Nikal kar Wazeer e Khzaana Aur Wazeer e Aazam....

⬇Quraan e Paak me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he..

☣Aur Baadshah bola Unhe Meire Paas le Aao ke Me Unhe Apne Liye Chun lu Fir Jab Usse Baat ki, Kaha Beshaq Aaj Aap Hamare Yaha Mo'azziz(Badi Izzat wale Aur) Mo'atamid(Imaanat Daar) he, Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام ) ne Kaha Muze Zamin ke Khzaano Par Kar de Beshaq Me Hifazatwala Ilmwala hu, Aur yu hi Hamne Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام ) ko Us Mulk Par Qudrat Bakhsi Usme Jaha Chahe rahe Ham Apni Rahmat Jise Chahe Pahunchaye Aur Ham Nekiyoka Neg Zaae Nahi Karte, Aur Beshaq Aakherat ka Sawab Unke liye Behtar Jo Imaan laae Aur Parhezgaar Rahe"

📓(Surah Yusuf, Aayat - 54, 55, 56, 57)

☢Baadshah ne Mo'azzin ki ek Jama'at Behtareen Sawariya Aur Sazo-Saamaan Aur Nafees Libaaz de kar Qeid-Khana Bheje Taaki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Nihayat Ta'azim va Taqrim ke Sath Iwaan Saahi(Baadshah ke Mahel) me laaye, Un logo ne Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Khidmat Me Hazir hokar Baadshah ka Peigaam Arz kiya Aapne Qabool Farmaya Aur Qeid-Khana se Nikalte waqt Qediyo ke liye Dua Farmayi, Jab Qeid-Khane se Baahar Tasreef laaye to Us ke Darwaze par likha..

☣Ye Musibato ka Ghar he Zinda lougo ke liye Qabr he Aur Dusmano ki Badgoi Balki Unke liye Khus Hone ka Makam he Aur Saccho ke Imtehaan ki Jagah he"

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-159)

☢Fir Gusl kiya, Aa'la Libaas Pahena Aur Saahi Mahelaat ki Taraf Rawana hue, Jab Qilla ke Paas Pahonche To Farmaya Meira RABB hi Kaafi he Uski Panah Badi Aur Uski Sana'a Bartar, Uske Siwa koi Ma'abud nahi, Fir Qilla Me Dakhil hue

☣Baadshah ke Saamne Pahonche to ye Dua ki
"Ay Mere RABB Tere Fazl se Iski Bhalaai Talab Karta hu Aur Iski Aur Dusro ki Buraai se Teri Panah Chahta hu"

☢Jab Baadshah se Nazar Mili to Aapne Arbi Me Salam Farmaya, Baadshah ne Pucha Ye Kon si Zaban he...? To Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Ye Meire Chacha Hazrat Ismail عَلَيـهِ السَّــلَام ki Zaban he, Fir Aapne Ibraani Zaban me Dua ki, Usne Fir Pucha ye Kon si Zaban he...? Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Ye Meire Abbajaan Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ki Zaban he, Baadshah Dono Zabane Nahi Samaj saka (Iske) Bawajood wo 70 Zabane Janta tha, Fir Usne Jis Zabaan me Hazrat Se Guftagu ki Aapne ushi Zaban me Ushe Jawab diya,

☣Is Waqt Aapki Umar Sareef 30 Saal thi Is Umar me Itne Saare Ulum deikh kar Baadshah ko Bahot Heirat hui Aur Usne Aapko Apne Barabar Jagah di, Baadshah ne Darkhwast ki ke Hazat iske Khwaab ki Ta'abir Apni Zabaan Mubarak se Suna de.

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Ta'abir Farmaayi Aur Ta'abir Farmane ke Baad Farmaya ki Laazim ye he ki Anaaz Jama kiye Jaaye Aur Un Farakhi ke Saalo me Kasrat se Kheti karai jaye Aur Anaaz unke Khousho me Jama kar liye jaaye Aur Aaya ki Peidawar se Khams(5va Hissa) liya Jaaye is se Jo Jama Hoga Wo Misr Aur Misr ki Itraaf ke Lougo ke liye Kaafi hoga Aur Fir ALLAH ki Makhluq Har Taraf se Tere Paas Anaaz Kharid ne Aayegi Aur Tere Haa(Yaha) Itni Khzaaine Amwaal(Maal va Milkat) Jama honge Jo Tujse Pehlo ke liye Jama na hue, Baadshah Ne Kaha Iska Intezaam kon karega..? Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Zameen ke Khzaane Mere Hawale Kar de Me Inki Hifazat Bhi Karunga Aur ALLAH TA'ALA ke diye hue Ilm se Unka Behtar Intezaam karunga,

☣Baadshah ne Samaj liya tha ki Aap se Zyada Is Mansab ke Laayak Aur koi Nahi ho Sakta, Is liye Usne Aapke Irsaad ke Mutabiq Aapko Tamaam Khzaain ka Wazeer Mukararr kar diya.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-159)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 201, 202)

✅Part No:- 34.

Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Taaj-Poshi...

☣Ek Saal ke Baad Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Bula kar Aap ki Taaj-Poshi ki Aur Talwaar Aur Mahar Aapke Saamne Pesh ki Aur Aapko Takht par Takht Naseen kiya jo Jawaheraat se Saza tha, Aur Apna Mulk Aapke Supurd kar diya, Lekin Taaj Aap ne ye keh kar Wapis Kar diya ki ye Mera Aur Mere Aabaa(Baap-Dada) Ka Libaas nahi, Albatta Angoothi jo Batoure Mahar Istemaal Hoti thi use Aur Takht ko Aapne Qabool kar liya ki Takht ke Zariye Tumhari Saltanat Mazboot karunga Aur Mahar ke Zariye Tumhare Amoor ki Tadbeere Sar-Anjaam dunga,...

☢Qatfeer(Azize Misr) ko Be-dakhal karke Aapko Uski Jagah Waali Banaya Aur Tamaam Khazaain Aapke Supurd kar diye Aur Saltanat ki Tamam Amoor Aapke Haath me de diye Aur Khud ek Taabi ki Hesiyat me ho gaya, Aapki Raay me Dakhl nahi deta tha Aur Aap ke Hukm ko Manta tha Is Tarah Aap Wazeer e Aazam Ban gaye Tamam Ikhteyaarat ke Maalik Ban gaye.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-162)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa - 203)

✅Part No:- 35.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Hukumat ke Asraat....

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Adal va Insaaf ki Buniyado par Apni Hukumat Ko Kayam kiya, Isi liye Aapki Hukumat Din-Ba-Din Mazboot Hoti chali gayi, Tamam Mardo Aur Aurato ke Dilo me Aap ki Mohabbat Peyda hui Aur Aap ne Qahat-Saal ke Aane wale dino ke liye Anaaz ke Zakhire(Bhandaar) Jama karne ki Ta'abir Farmayi Uske Liye Bahot Bade Aur Aalishan Anbaar Khane(Maal Jamaa karne ki Jagah) Ta'amir karaye Aur Bahot Kaseer(Zyada) Zakhaair Jama kiye...

☢Jab Acche Saal Guzar gaye Aur Qahat ka Zamana Aaya to Aapne Baadshah Aur uske Khuddam ke liye Rozana Sirf ek Waqt ka Khana Mukararr Farmaya, Ek Roz Dopher ke Waqt Baadshah ne Hazrat se Bhuk ki Sikaayat ki, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Ye Qahat Saali(Qahat ke Saal) ki Ibteda(Suruaat) ka Waqt he, Kyunki Pehle Saal me Logo ke Paas Zakhire (Bhandaar) the, Sab Khatm ho gaye, Baazaar Khali ho gaye, Chunki Qahat ke Saare Zamana me Aapne Khud bhi Kabhi Mutmaeen ho kar Khana Nahi khaya tha, Waqeif haal logo ne Aap ki Khidmat me Arz kiya ki Itne Kaseer Khazaano ke Malik ho kar bhi Aap Bhuke Rehte he...?

☣Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Is Andesha se ki Mutmaeen ho jaau to Kahi Bhukh ko Na Bhul Jaau....

📳Subhan AL'LAAH , Kya Paakiza Akhlaq he, In Pakiza Akhlaq ki wajah se hee Baadshah bhi ek Waqt ke khane par Bachat kar raha tha, Usne Bhi Aapke Jawab par koi Mazahmmat nahi ki...

✅Part No:- 36.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Hukumat ke Asraat....

☢Tamam Ahl-e-Misr Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se Anaaz Kharidne lage, Tamam Daraham va Dananir Yaani Unka Naqadi Maal va Doulat Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Paas Jama ho gaya, Dusre Saal Unhone Apne Zevraat Aur Jawahar se Anaaz kharida, Is tarah un logo ki Tamam Zevraat va Jawahar Aapke Paas Aagaye, Tisre Saal Apne Jaanwar de kar Anaaz Kharida, Yaha tak ki Misr me koi Shaksh kisi Jaanwar ka Malik na raha, Tamam Jaanwar bhi Aapki Milkiyat me Aagaye,

☣Chothe(4the) Saal Apne Gulam Aur Londiya de kar Anaaz Hasil huwa, Panchve(5ve) Saal Tamam Gulaam Aur Londiya de kar Aapse Anaaz Kharida, Is Saal Misr ke Lougo ke Paas Siwaye Apni Jaan Aur Aulaad ke kuch Bhi Baaqi na raha tha Tamam Milkiyat Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Paas Aa chuki thi, Chatte(6te) Saal Jab Un logo ke Paas Aur Kuch na Bacha to Unhone Apni Aulaad Aapke Paas Gulaam ke Tour par de kar Anaaz Hasil kiya,

☢Aur Saatve(7ve) Saal wo Log Khud Anaaz Hasil karne ke liye Aapki Gulamiyat me Aagaye, Misr me Mardo Aur Aurato me se koi Shaksh bhi Eysa na tha jo Aap ki Gulamiyat me Na Aaya ho Tamam Lougo ki Zabaan par tha ki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Jeisi Azmat va Jalalat kisi Baadshah ko Mayassar nahi Aasaki...

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Baadshah ko kaha Ki Tumne Dekh liya he, ALLAH TA'ALA ka Mujh par kesa karam he..
Usne Muj par Esa Aheshan e Azeem Farmaya Ab Unke Haqq me Teri Kya Raay he..?

☢Baadshah ne Kaha Jo Aap ki Raay he Ham to Aapke Taabe he,
Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Me ALLAH TA'ALA ko Gawah Bana kar Aur Tumhe Gawah bana kar ye Elaan karta hu ki Me Tamam Ahl e Misr ko Aaazad kar raha hu Aur Inki Tamam Milkiyat Aur Jaagire inhe Wapis Kar raha hu,..

🌹(SubhanAllah...)

☣Tamam Lougo ko Aap ke Gulaam Aur Kaneeze Banane me ALLAH TA'ALA ki Hikmat ye thi ki kisi ko ye Kehne ka Mouqa na ho ki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Gulaam ki Shaan me Aaye the Aur Misr ke ek Shaksh ke Kharide hue the, Kyunki Ab To Misr ke Tamam Misri Aapke Kharide hue Aur Aaazad kiye hue the, Un par Ye Zaaher karna tha ki Aazaad Shaksh kisi Majburi se Gulamiyat me Aane se DarHaqiqat Gulaam nahi Banta Jeise wo Log Haqiqat me Gulam nahi bane the, Sirf Un par Gulaam hone ki ek Hesiyat Kayam ki gayi thi ki Aapki Shaan me koi Harf na keh sake....

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa - 162, 163)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-203, 204)

✅Part No:- 37.

☪Azize Misr ki Zovja ki Murad Puri hona

☢Baadshah ne Pehle Wazeere Aazam Yaani Azize Misr ko Bedakhal kar diya tha, Baad me wah Jald hi Fout(Inteqaal) ho gaya tha, Iski Zovja Jisne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Apni Taraf Maail karne ki Koshis ki thi Lekin wah Na-kaam rahi Aur Aap(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام) Paak-Daaman rahe, Lekin Ab Qeid-Khana se Nikalne par Usne Bhi Khule Dil se Apni Galti ka Eyteraaf kar liya tha, Aap ko Saccha kehne lagi thi...

☣Aziz-e-Misr Ki Maut Ke Baad Baadshah ne Us Aurat ka Nikaah Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se kar diya Aapne Mulakaat par Ushe ye kaha kya ye Behtar nahi us se jo tu Mutaalba kar rahi thi...?

☢Yaad rahe Azize Misr Chunki Na-Mard tha, Isliye wo Abhi tak Baakrah thi, Mohabbat Use Sirf Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se thi, Wo koi Badkaar nahi thi, Us Aurat se Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke 2 Bete Peyda hue, Ek Ka Naam "Ifraeem" Aur Dusre ka Naam "Maysaa"tha.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-162)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-205)

✅Part No:- 38.

☪Anaaz Lene ke liye Aapke Bhaiyo ka Jana..

⬇Quraan e Majeed me he ki...

☢Aur Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام) ke Bhai Aaye to Uske Paas Hazir hue to Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام) ne Unhe Pahechan liya Aur Woh Usse Anjaan rahe, Aur Jab Unka Saaman Mohayya kar diya Kaha Apna Soutela Bhai Mere Paas le Aao kya Nahi deikhte ho ke Me Pura Naapta hu Aur Me Sabse Behtar Mehmaan Nawaz hu, Fir Agar Use le kar Mere Paas na Aao To Tumhare liye Mere Yaha Naap nahi Aur Mere Paas Na Farakna, Bole Ham Uski Khwaaish karenge Uske Baapse Aur Hame ye Zarur Karna"

📖(Surah Yusuf, Aayat - 58, 59, 60, 61)

☣Kanaan Ka Ilaka is Qahat ke Chapet me tha Aur logo ki tarah Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Farzando(Beito) ne bhi Barbaadi ki Mayusi liye Misr ka Rukh kiya, Kyunki Anaaz ki Taqsim ka Sab kaam Hazat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Nigraani me ho raha tha, is liye wo Aap ki Khidmat me Hazir hue Aur Apni Majburiyo ka Izhaar karke Anaaz ke liye Darkhwast ki,

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se unki Mulakaat Agarche lambe Arse baad hui thi Lekin Aapne Dekhte hi Apne Bhaiyo ko Pahechan liya Magar wo Aapko Na Pahechan sake Aur Pahechante bhi kyu...? Unke Wahem va Gumaan me bhi ye nahi Aa Sakta tha ki Saahana Libaas me Taiyyar Kurshi par Bheitha huwa jiske Hukm ki Ta'amil ke liye Senkado, Hazaaro Mulazim Dast-Bast khade he, Ye wo Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام he Jisko Lambe Arse se Unhone Ek Tarikh Kuwe me Feinka tha, Aur Fir Sirf '20 Khote Dirhamo' ke Badle me Kafila walo ke Hath Beich diya tha...

☣Aapne Khud to Apne Aap ko bhi Zaaher nahi kiya tha, Jab ALLAH TA'ALA ne Hukm deina tha ushi Waqt Zahir karna tha is liye Abhi Ajnabi ki Surat me Tamam Kalam ho raha tha, Unhone Apne Walid Aur Bhai ka Hissa bhi Talab(Maanga) kiya tha kyunki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ek Shaksh ko Ek Unt(Camel) ka Boja Anaaz deite the, Aapne unse Pucha ki Tumhare Walid Aur Bhai ke Na Aane ki kya wajah he..?

☢To Unhone bataya ki Hamare Baap Budhe he wo to Aane ki Takaat hi nahi rakhte, Albatta Hamare Chota bhai Baap ki Khidmat Guzari ke liye hi Ghar rah gaya he, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Is Martaba Unka Anaaz bhi Tumhe de raha hu, Lekin Aainda Tum Apne Bhai ko Bhi Saath lana, Kya Tum Deikhte nahi ho Me Kitna Safiq Aur Maherbaan Aadil hu... ki Peymane Bhar bhar kar deta hu Aur Kitna Bada Mahemaan Nawaz hu, Lekin ye bhi Khyaal rakhna ki Agar Aainda Tum Apne Bhai ko Saath Na laaye to Tumhe bhi Anaaz nahi Milega....

📔(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-166, 167)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa -206, 207)

✅Part No:- 39.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Bhaiyo ki Raqam Wapis kardi...

⬇Qurane Paak me he ki...

☢Aur Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام) ne Apne Gulamo se kaha Unki Punji Unki Khurjiyome(Boriyo me) rakh do Sayad wo ushe Pahechane Jab Apne Ghar ki Taraf Lout kar jaae, Saayad Wo Waapas Aaye"

📖(Surah Yusuf, Aayat-62)

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Bhaiyo ki Raqam louta di thi, Iski ek Wajah ye thi ki Jab Saaman Kholenge to Raqam usme deikh kar Wapis Aayenge, Kyunki wo NABI(Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام) ke Beite he, Imaan wale he, Aur wo Wapis Lotana Apni Zimmadari Samajte hue Fir Aayenge,

☢Dusri Wajah ye thi ki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Ghar ke Haalaat ka Pata chal gaya tha to Aap ki Shaan ke Layak Nahi tha ki Aap Apne Bhaiyo Aur Walide Mukarram se Raqam le kar Anaaz de is liye ki Aap Aadil Baadshah the Aur Aap ke Bhai Imaan wale the Aur Khandaane Nabuwat the, Aap par Wajib ho chuka tha ki Aap Apne Iqrba'a(Sabandhi) se Sila Raham kare Aur Muskil Halaat me Un ka Haath Batae.

📔(Roohul Maani, Jild-7, Hissa-2, Safa-10)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa- 207)

✅Part No:- 40.

☪Chote Bhai ko Sath lejane ki Baap ke Huzre me DarKhwaast....

⬇Qurane Majeed me he ki...

☢Aur Jab Unhone Apna Asbaab(Saamaan) Khola Apni Punji paai ke Unko Feir di gayi Hai Bole Ay Hamare Baap Ab Ham Aur kya Chaahe ye he Hamari Punji ke Hame Wapas kar di gayi Aur Ham Apne Ghar ke liye Galla(Anaaz) laaye Aur Apne Bhai ki Hifazat kare Aur Ek Untka Bouz Aur Zyada Paaye, yeh dena Baadshah ke Samne kuch nahi, (Baap ne)Kaha me Hargiz ushe Tumhare Saath na Bhejunga jab tak Tum Muje (Is Baat ka) ALLAH ka ye Ahad na de do ke Jarur Ushe le kar Aaoge Magar ye ke Tum Ghir jaao fir jab Unhone Yaqub(عَلَيـهِ السَّــلَام  ) ko Wada diya kaha ALLAH ka Zimma he Un Baato par jo Ham keh rahe he"...

📖(Surah Yusuf, Aayat - 65, 66)

☣Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام   ke Beto ne Aapki Khidmat me Arz kiya ki Misr ke Baadshah ne Hamare Saath Bahot Acha Suluk kiya he, Hamari Raqam bhi Wapis kardi gayi he, Ummid he ki Wapis nahi lega, Agarche Hame Jaakar Pata Karna he ki Wapis karne ka Sabab kya he...? Lekin Agar ham Chote Bhai Bin-Yamin ko Sath Na le gaye to Hame Anaaz nahi milega, Is liye Hamare Saath Bhai ko Bhej do Ham iski Hifazat karenge....

☢Qahat ki Wajh se Anaaz lane ki Mohtaji bhi thi Aur Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ne Bin-Yamin ki Bageir Anaaz dene se bhi Inkaar kar diya tha, Is liye Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام   ne Saath Bhejne ka Feisla kiya Lekin Sabse Badi Wajah ye thi ki ALLAH TA'ALA ne Wahi ke Zariye Aapko Bataya tha ki Aap Saath Bhej de Me iski Hifazat karunga Aur Aap tak Ise Wapis Pahoncha dunga....

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-208)

✅Part No:- 41.

☪Beto ko Bhejte Waqt Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ki Ehtiyati Tarabeer...

⬇Quran Sharif me ALLAH TA'ALA Irsaad Farmata he...

☢Aur (Baap ne) kaha Ay Mere Beto (Tum Sab Saher ke) Ek Darwaze se Na Dakhil hona Aur Juda-Juda Darwazo se Jana Me Tumhe ALLAH se Bacha nahi Sakta Hukm to Sab ALLAH hi ka he Meine Usi par Bharosha kiya Aur Bharosha Karnewalo ko Ushi par Bharosha Chahiye, Aur Jab Woh(Saher me) Dakhil hue Jaha se Unke Baap ne Hukm diya tha, Wo kuch Unhe ALLAH se Bacha na Sakta Haa Yaqub (عَلَيـهِ السَّــلَام ) ke Jiki ek Khwaaish thi jo Usne Puri karli Aur Beshaq woh Saahibe Ilm he Hamare Shikhae se Magar Aksar Log Nahi Jante"

📖(Surah Yusuf, Aayat-67, 68)

☣Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Nazarbad se Bachne ke liye Ehteyaati Tarabeer ke Tour par Unhe Farmaya ki ek Darwaze se Dakhil na hona Balki Saher ki Mukhtilaf(Alag) Darwajo se Dakhil hona taaki Tumhe Nazar na lag jaaye kyunki Tamam (Bhai)Bade Qadawar Bahadur Aur Khubsurat the Aur Taadaad bhi Zyada thi Yani 11 bhai the....

📚 (Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-209)

✅Part No:- 42.

☪Bin-Yamin ki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  se Mulakaat...

❗Waqiya Thoda Bada he Itmenaan se padhe...

⬇Qurane Majeed me he ki..

☣Aur Jab woh Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام) ke Paas gaye, Usne Apne Bhai(Bin-Yamin) ko Apne Paas Jagah di, kaha Yaqeen Jaan Me hi Tera Bhai hu, to ye(Teire Sath) jo kuch Karte he Uska Gam na Kha"

📖(Surah Yusuf Aayat-69)

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ko Jab Ma'alum huwa ki Tamam Bhai Fir Misr me Aaye he, Ab Apne Sath Bin-Yamin ko bhi laaye he to Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ne Unki Badi Izzat va Takreem ki, Unko Saahi Mehmaan Khano me rehne ki Jagah ka Hukm diya Aur Un ki Mehmaan Nawazi Bahot Achi Tarah se ki, Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Bhaiyo ne Aap se Mulakaat ke Douraan bataya ye Hamara Bhai he, Jise Aapne Laane ka Hukm diya tha Ham Saath le aaye he,

☣Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ne Farmaya Tumne Acha kiya he, Ab Mere Paas bhi jo Anaaz he wo dene me koi Kasr nahi hogi, Bhaiyo ne Aapko Apne Baap ka Peigaam bhi diya kyunki Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام   ne Beito ko Alwida karte hue Farmaya tha ki Baadshah ko Meira Salam kehna Aur ye kehna ki "Hamare Baap Aap ke liye Dua kar rahe the Aap Par Rehmate Nichawar kar rahe the Aur Aapne jo Hamare Saath Acha Suluk kiya he wah uska Sukriya Ada karte he"..

☢Aur Saath hi Ek Khat bhi diya Khat ko Padhte hue Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Gamgeen ho gaye, Lekin Apne Jazbaat ko Qaabu me rakha taaki Bhaiyo par Kuch Baat Zaaher na ho, RABB TA'ALA ki Taraf se Abhi Zaher karne ka Hukm Nahi tha,..

☣Aapne Apne Bhaiyo ki Da'awat ki, Gulamo ko Hukm diya ki Dastarkhwaan ko is Tarah Tarteeb diya jaaye ki 2-2 Bhai ek Saath Beithe, Is Tarteeb se Bithaane par Bin-Yamin Akele rah gaye, Rone lage Aur kehne lage ki Kaas Aaj Mera Yusuf(عَلَيـهِ السَّــلَام) Zinda hota to Muje Saath Bithata, Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Bhaiyo ki Taraf Tawajjo karte hue Farmaya Tumhara ye Bhai Akela rah gaya he, Unhone Kaha Iska (Saga) Bhai Halak ho gaya he, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Farmaya Acha Me hi Ishe Apne Saath Bitha leita hu, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Bin-Yamin ko Dastarkhwan par Apne Saath Bitha kar khana khaya,

☢Fir Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Apne Gulamo ko Hukm diya ki Sone ke liye 2-2 Bhaiyo ko Ek-Ek Kamra de do, Aaraam ke Waqt Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Aapka ye Bhai Akela he, Ise Mere Paas hi Chod do, Me Ise Apne Kamra me Sula deita hu, Jab Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne deikha ki ye(Bin-Yamin)Apne Bhai par Bahot Afsos karta he to Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام   ne Farmaya "Kya Tum Pasand nahi karte ki Tumhare Fout-Suda Bhai ke Badle Me hi Tumhara Bhai Ban Jaau"...

☣Bin-Yamin ne Route hue kaha "Tumhare Jeisa Bhai kishe Milega..? Yaani Itne Safeeq Aur Maherbaan ho, wo Shaksh Kitna hi Khus-Bakht hoga jise Tumhare jeisha Bhai Mil jaaye, Lekin Tum Raahil Aur Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Bete to Nahi ho"

☢Me to Is liye Ro raha hu jo Mere Baap Aur Meri Maa ka Beita tha, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ye Manzar ko dekh kar Rone lage, Uthe Aur Bhai ko Gale laga liya, Ab Pahechan karaane ka Waqt Aa chuka tha, is liye Apne Bhai ko bataya
"Beshaq Me hi Tumhara Bhai Yusuf hu",

(SubhanAllah...)

☣Dono Bhaiyo ne ek Dusre ko Apne Haalaat se Muta'ala kiya, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Apne Bhai ko Tasalli dete hue kaha Na Gamzadaa ho jo ye kiya karte the.

☢Asal me Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Chahte the ki Bhai ke Dil me Dusre Bhaiyo ke Khilaaf Zahen me koi Baat na rahe, Kyunki
"Aapke Dil me Bhaiyo ke Khilaaf koi Adawat Baaqi nahi thi, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Dil Bhaiyo me Mukammal Saaf ho Chuka tha"...

☣Ab Bhai bhi wo Jawani ki Umar wale Haasad ya Zalim nahi the, Balki wo bhi Kaafi Had tak Nek ho chuke the, Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام to Suru se hi Bhaiyo ke Haqq me Duago the...

📒(Roohul Mani, Jild-7, Hissa-2, Safa-23)

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-177, 178)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-211, 212)

✅Part No:- 43.

☪Bin-Yamin ko Paas Rakhne Ka Heyla(Trick)...

⬇Qurane Kareem me ALLAH TA'ALA Irsad Farmata he...

☢Fir Jab Unka Saaman Mohayya kar diya, Pyala Apne Bhai ke Kajaave(Bori) me rakh diya, fir Ek Munaadine Nida ki Ay Kafilewalo Beshak Tum Chor ho, Bole Aur Unki Taraf Mutawajja Hue Tum kya Nahi Paate, Bole Baadshah ka Paymana nahi Milta Aur jo Ushe Laaega Uske Liye Ek Unt ka Bouz he Aur Me Uska Zaamin hu, Bole KHUDA ki Kasam Tumhe Khub Malum he ke Ham Zamin me Fasaad karne na Aaye Aur Na Ham Chor hay, Bole Fir kya Saza he uski Agar Tum juthe ho, Bole Uski Saza ye he ke Jiske Asbaab me Mile wohi Uske Badle me Gulaam Bane, Hamare Yaha Zalimo ki Ye Saza he, to Awwal Unki Khurjiyo(Boriyo) se Talasi Suru ki Apne Bhai ki Khurji(Bori) se Pehle Fir Us(Pyala ko) Apne Bhai ki Khurji(Bori) se Nikaal liya, Hamne Yusuf ko ye Tadbeer Batayi Baadshahi Kaanun me use Nahi Pahunchta tha ki Apne Bhai ko le le Magar ye ke KHUDA Chahe, Ham Jise Chahe Darjo Buland kare, Aur Har Ilmwale se Upar ek Ilmwala he"

📓(Surah Yusuf, Aayat - 70, 71, 72, 73, 74, 75, 76)

☣Jo Pyala Bin-Yamin ke Saaman me rakha gaya tha wah Baadshah ke Ya Jaanwaro ke Paani Pine me Istemaal hota tha, Aur Use Anaaz Naapne ka Kaam liya jata tha, Itna Kimti tha jis se Chori ki Hadnafaz ho sakti thi, wo Pyala Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Hukm se rakha gaya tha Aap hi Us Waqt Hukmraan the wo Pyala Aapke Zeire Tasreef hi tha,..

☢Ye Pyala Bin-Yamin ko Bata kar Unki Marzi se rakha gaya tha is liye ki Jab Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Unhe kaha ki Walide Mukarram Pehle Meri Judai se Pareshani he to Ab Tumhari Judai se Aur Zyada Pareshani hogi Lekin wo(Bin-Yamin) Fir bhi Waha rehne par Bazr the, Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Bin-Yamin ko Bataya ki Agar Tum Yaha rehna Chahte ho to iska ek hi Heyla(Trick) he ki Tumhare Saaman me Pyala rakh kar Uske Badle Tumhe Yaha rakha jaaye....

☣To Bin Yamin ne Raza-Mandi ka Izhaar kiya ki Mere Muta'alaq jo bhi kaha jaye Muje Manzur he lekin Me Yaha hi Rahunga.

☢Jis Tarah Hamari Sariyat me Chori ki Had(/Saza) Haath Kaatna he, Is Tarah Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ki Sariyat me Us Shaksh ko Maal ke Badle Gulaam rakha jata.

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne ye Heyla(Trick) Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ki Sariyat ke Muta'abiq kiya Aur wo bhi ALLAH TA'ALA ki Masiyat se Kyunke RABB TA'ALA ne Khud Irsaad Farmaya
"Ye Heyla(Trick) Hamne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Shikhaya"

☢Aur Jis Shaksh ne Aawaz de kar ye kaha tha ki Agar koi Shaksh Wo Pyala Dhund kar laayega to Ushe Batoure Inaam ek Unt ka Boja diya jayega Usne bhi Aapke Hukm se hi ye Eylaan kiya tha,

☣Ahle Misr Jante the ki ye Kaanoon Misr ka Nahi, Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Ka Mansha ye nahi tha ki Bhaiyo ko Chori ke Ilzaam me Matham kiya jaaye, Is liye Aapne Apne Khadim ko Sab kuch Bataya huwa tha, Tamam Kaam Aapke Hukm se ho rahe the, Jab Yusuf Alayhesalam ke Bhai Anaaz lekar Nikle to Piche se Unko Pukaar kar kaha gaya...

☢Ay Kafile walo Beshak Tum Chor ho,
Kehne wale ka Matlab ye tha ki
Ay Kafile walo Kya Tum Chor to nahi ho...?? Ye koi Ilzaam nahi tha, Balki Sawal tha,

☣Jab Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Bhaiyo se Pucha gaya kya tum Chor to nahi...? to Unhone Jawab diya
"KHUDA ki Kasam Tumhe Khub Ma'alum he ki Ham Zameen me Fasaad karne Nahi Aaye Aur Na hi Ham Chor he"

☢Aapke Bhai Kasam Utha kar kyu na kehte Jabki wo Neik the,
Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Kuwe me Fenkne wale Zamana ki Tarah Nahi the, wo Bhi Hasad ki Wajah se jo, Warna Is Waqt bhi wo Kisi ka Maal nahi Khate the Aur Tamaam Aamaal unke Acche the, Sirf Yusuf Alayhesalam ko Hasad ki Wajah se Kuwe me Fenkne wala Jurm Sarjad huwa tha, Ab to Unke Ahwaal se Waajeh tha ki ye kisi ke Maal me Tasarruf nahi karte na kisi ka Maal Khate he Aur Na hi logo ki Khetio me Apne Jaanwar Chhodte he, Yaha tak ki Agar unka Kisi Kast Suda Kheti se Guzar hota to Apne Jaanwaro ke Mooh Baandh dete the taaki wo Kisi ki Kheti ko Barbaad na kare Aur Hamesha Neki ke Kaamo me Masgool rehte jin logo ki ye Sifaat ho wo Kese Zameen me Fasaad Feila Sakte he Khaas Karke Dusre Mulk me Jaha Unhe Apni Izzat ke Paas karne ki Zyada Zarurat thi Jabki wo ye Bata bhi chuke the ki Ham ALLAH TA'ALA ke NABI Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Beite he, Pehli Dafa Jab Unki Punji(Raqam) Unke Saamaan me Rakh kar Wapis Louta di gayi thi to wo Ushe Wapis le Aaye the.(Agar Chor hote to Raqam Wapis Na Loutate..)

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-180)

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa- 213, 214, 215)

✅Part No:- 44.

☪Bin-Yamin ko Saath le Jaane ki Darkhwast ka Inkaar :-

⬇Quran E Majeed me he...

☢Bole Ay Aziz Uske ek Baap he Budhe Bade, to Ham me Uski Jagah kisi ko lelo Beshaq Ham Tumhare Ahesaan Dekh rahe he, kaha KHUDA ki Panah ke Ham le Magar Usi ko Jiske Paas Hamara Maal Mila, Jab to Ham Zaalim Honge"

📓(Surah Yusuf, Aayat - 78, 79)

☣Agarche Bhai Pehle Bata Chuke the Agar Kisi se Pyala Baramad ho jaaye to wo Gulaam Ban jaayega, Lekin Unki Sariyat me Ma'af Karna Aur Fidiya dena bhi Jaiz tha...

☢Is liye Unhone kaha Ki Iske Baap Badi Umar ke Aur Azeem Martabe ke Maalik he, Isliye Ye Ma'af karne ke Kaabil he Ya Iska Fidiya le liya jaaye Aur Ham me se Kisi ek ko Apne Paas Batoure Gulam rakh liya jaaye, Jab Ham Fadiya de denge to Apne Paas Gulaam rakhe hue Bhai ko Chhuda lenge Ya Use Ma'af kar diya jaaye Aur Ham me se kishi ek ko Gulaam Bana liya jaaye,

☣Aapka Ma'af Farma dena Ham par Bahot Bada Ahesaan hoga, Ham Aapke Pehle bhi Ahesaan dekh chuke he kyunki Aapne Pehle Hamari Raqam bhi Wapis louta di, Anaaz bhi diya, Izzat va Takreem se Apne Paas Bulaya, Mahemaan Nawazi ki, Sa'ahaana Makano me rehne ki Jagah di, Kitne hi Ahesaan Aapke Hamare Saamne he,

☢Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Saaf Alfaaz me Jawab diya Ham to Sirf Use Apne Paas Rakhenge Jis se Hamara Saaman mila he, Dusre ko Apne Paas Rakh kar Zaalim nahi Ban Sakte

☣Aur Haqiqatan Sara Ma'amla ALLAH TA'ALA ke Hukm se Chal raha tha, Abhi Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ko Aur Imtehaan me Mubtila karna Maksud tha, Isliye Ma'af nahi kiya, Ma'af to Tab kiya jata Jab koi Jurm hota, Jab Jurm hi koi nahi to Ma'af karne ka Makshud hi Kuch nahi tha,

☢Shayad ALLAH TA'ALA ne Aap ko Hukm diya tha ki Abhi Ma'af nahi karna Dargujar nahi karna Aur koi Badla Nahi lena kyunki Yaqub Alayhesalam ko Abhi Aur Shadid Mehnat me Mubtila karna he.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-186)

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa-217, 218)

✅Part No:- 45.

☪Bade Bhai ka Misr me Rehna Aur Dusro ko Wapis Bheijna....

⬇Quran e Kareem me hai...

☣Fir Jab Usse Na-Ummid hue Alag Jaakar Sargoshi karne lage Unka Bada Bhai Bola Kya Tumhe Khabar nahi ke Tumhare Baap ne Tumse ALLAH ka Ahad le liya tha Aur Usse Pehle Yusuf  ke Haqq me Tumne Kesi Takshir ki to Me Yahase Na Talunga Yaha tak ki Mere Baap Ijazat de ya ALLAH Muje Huqm Farmaye Aur Uska Huqm Sabse Behtar he, Apne Baap ke Paas Loutkar Jaav Fir Arz Karo ke Aye Hamare Baap Beshaq Aapke Bete ne Chori ki Aur Ham to Itni hi Baatke Gawah hue the Jitni Hamare Ilm me thi Aur Ham Geib ke Nigehbaan na tha, Aur Us Basti se Puchh dekhiye Jisme Ham the Aur Us Kaafle se Jisme Ham Aaye Aur Ham Beshaq Sacche he"

📓(Surah Yusuf, Aayat - 80, 81, 82)

☢Ibtedaai Tor par Jab Bhaiyo ki Darkhwast ka Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne inkaar kiya to Yahuda Gussa me Aagaya Aur ye Jab Gusse me Aata tha to Uske Jism ke Baal Khade ho jate the, Agar Gusse ke Haal me ye Chikh Marta to Haamela Aurato ke Hamal gir jate, Us Waqt tak Uska Gussa Thanda Nahi hota tha Jab Tak Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ki Aulaad me se hi koi Shaksh Uske Jism ko Haath na lagata,

☣Usne Apne Dusre Bhaiyo ko kaha Tum Baazar ke Logo se Mukabla karo, Unhe Mere Qareeb na Aane do Me Azize Misr se Mukabla karta hu, Me Use Aapke Qareeb Nahi Aane dunga, Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Apne Chote Bete ko Kaha Ki Jaakar Uske Jism ko Chhu do, Jab Usne Yahuda ke Jism ko Haath lagaya to Uska Gussa Thanda ho gaya,

☢Jab Ye Loug Bin-Yamin ko Chhudane me Na-kaam hogaye to Logo se Alag hokar Ek Dusre se Maswara karne lage ki Ab kya kiya jaaye Kyunki Apne Walide Mukarram se Bahot Pukhta Wada karke Aur Bada Showq dila kar Bin-Yamin ko le gaye the Aur Pehle Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Ma'amle me Un par Tohmat Aaid ho Chuki thi ki "Tum Jhute ho",

☣Ab Bahot Pareshan the ki Agar Ab Isi Tarah Wapis jate he to Baap Bahot Zyada Pareshan honge Aur ye Baat bhi Madde Nazar thi ki Ghar wale Anaaz ke liye Mohtaaj he, Wapis Jana bhi Zaruri he Aur Agar Sab Nahi jaate to Baap Khyaal Karenge ki Kahi Sab Fout to nahi ho gaye Aur Agar Bin-Yamin ke Bageir Sab Wapis Lout te he to Apne Baap ko kese Mooh Dikhayege..??

☢Aakhirkaar Sabse Bade Ne Kaha Tum Chale Jaao Me Nahi Jata ya to Muje Baap Ijazat de to Wapis Jaunga ya ALLAH koi Feisla Farmade,

☣Yahuda ne kaha Tum Jaakar Baap ko Batao Tumhare Bete ne Chori karli he Yaani Uski Taraf Chori ko Mansub kar diya gaya he, Aap Basti se Puchhle ya Kafilewalo se Puchle, Ham Sacche he, Hamare Saamne Jo Baat he wahi Baya kar rahe he.

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-218, 219)

✅Part No:- 46.

☪Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ka Farmaan :

⬇Quraan Sareef me he ki...

☣(Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام) ne kaha Tumhare Nafs ne Tumhe Kuch Hila bana diya to Acha Sabr he Qarib he ke ALLAH Un Sab ko Mujse Milaaye Beshaq wohi Ilm wa Hiqmat wala he, Aur Unse Mooh Feira Aur Kaha Haay Afshos Yusuf Ki Judai Par Uski Aankhe Gam se Safeid ho gayi to woh Gussa Khaata raha"

📓(Surah Yusuf, Aayat-83, 84)

☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Beito ke Kalaam ko Radd kar diya Aur Farmaya ki Tum ye Heyla(Trick) Bana rahe ho..?? ye kese ho Sakta he Misr ka Baadshah Meire Beite ko Chori ke Ilzaam me Apne Paas Gulaam Bana le...? Jabki Uske Kanoon me ye he hi Nahi ki Kisi ko Chori ke Iljaam me Gulaam Banaya Jaaye, Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Judaai Par Gam Kha rahe he, Halanki Taaza Gam Bin-Yamin ka he.

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-220)

✅Part No:- 47.

☪Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Beito ne Aapki Pareshani ko deikh kar kaha :

⬇Quran Sareef me he...

☢Bole KHUDA ki Kasam Aap Hamesha Yusuf ki Yaad karte rahenge Yaha Tak ke Gour-Kanaare Jaa Lage ya Jaanse Guzar jaye, Kaha Mein to Apni Pareshani Aur Gam ki Fariyaad ALLAH hi se Karta hu Aur Muje ALLAH ki woh Shaane Ma'alum he jo Tum nahi Jaante

📓(Surah Yusuf, Aayat- 85, 86)

☣Beto ne Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام se kaha Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Yaad me Itna Gam karte he Aur Route he Aap to Is se Mareez ho jayenge ya Gam me Fout ho Jayenge, Pehle hi Aap Itni Pareshani me Mubtila he, Hame Dar he ki Aapki Takleef Badh jayegi, Is liye Aap Bahot Gam na kare Aur Na Roye,

☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Mein Uska Zikr Tumhare Saamne to Nahi kar raha Meine to Jisse Zikr karna he Usse kar raha hu Yaani Meri Fariyaad ALLAH TA'ALA se he, ALLAH TA'ALA ki Rehmat Aur Uske Aheshaanaat ko jo Mein Janta hu Tum Nahi Jaante,  Kyunki ALLAH TA'ALA ne hi Khushi Aata Farmani he, Usi ne Gamo ko Door karna he Jo Tumhare Waham wa Gumaan me bhi Nahi,

☣Isse Wajeh Ishara Us Taraf tha ki Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Milne ki Badi Kumi Ummid he, RABB ne Jo Ilm Muje diya he wo Tumhe Nahi diya.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-197,198)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-222)

✅Part No:- 48.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Aur Bin-Yamin ki Talaas ke liye Beto ko Bhejna :

⬇Qurane Majeed me he...

☣Ay Beto Jaav Yusuf Aur Uske Bhai ka Suraag lagao Aur ALLAH ki Rehmat se Na-Ummid na ho Beshaq ALLAH ki Rehmat se Na-Ummid nahi hote Magar Kafir log, Fir Jab wo Yusuf ke Paas Pahonche Bole Ay Aziz Hame Aur Hamare Gharwalo ko Musibat Pahunchi, Aur Ham Be-Qadr Punji(Raqam) lekar Aaye he to Aap Hame Pura Naap Dijiye Aur Ham par Kheiraat kijiye Beshaq ALLAH Kheiraat walo ko Sila Deita he"

📓(Surah Yusuf, Aayat-87, 88)

☢Jab Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Bataya ki ALLAH TA'ALA se jo Mei Janta hu Tum Nahi Janate ho to uske Baad Beito se Farmaya Jaao Yusuf Aur uske Bhai ko Talaas karo...

☣Is se Pehle Aaj tak Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Talaas karne ke Muta'alaq Baap ne Beto ko Nahi kaha, Aaj kyu kaha...?
Bin-Yamin ke Muta'alaq Ma'alum he ki wo Azize Misr ke Paas Chori ke Ilzaam me Gulaam hone ki Heysiyat se Paband he, Fir ye kehne ka Matlab kya he ki Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Aur Uske Bhai ko Talaas karo, Unka Suraag lagaao..??

☢Bas Aapko Ma'alum tha ki Is Martaba Bin-Yamin ke Saath Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ka Pata bhi Chal Jaayega ALLAH TA'ALA ki Taraf se Aazmaish ka Waqt Khatm hone wala he..

☣Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya ALLAH TA'ALA ki Rehmat se Na-Ummid na ho, Isse bhi Wazeh ho raha tha ki Ab ALLAH TA'ALA ki Rehmat ka Waqt Aa Chuka tha, Ab Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Mulaqaat se Raahat hogi...

☢Bhaiyo ne (Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se) Kaha Ham Be-qadr Yaani Thodi Miqdaar me Punji(Raqam) le kar Aaye he, Aap Hamari Punji ko Na dekhe Balki Apni Maherbaani ko deikhe, Hame Pura Naap kar Anaaz de kyunki Hamara Khandaan Bahot Musibat me he.

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-222, 223)

✅Part No:- 49.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Apne Aapko Zaahir kar diya :

⤵Quran e Kareem me he...

☢Bole Kuch Khabar he Tumne Yusuf Aur Uske Bhai ke Saath kya kiya tha Jab Tum Naadan the, Bole Kya Sach-Much Aap hi Yusuf he Kaha Ha Me Yusuf hu Aur Ye Mera Bhai Beshaq ALLAH ne Ham par Aheshan kiya, Beshaq Jo Parehzgaari Aur Sabr kare to ALLAH Neko ka Neg Zaae Nahi karta"

📓(Surah Yusuf, Aayat - 89, 90)

☣Jab Bhaiyo ne Aakar Anaaz ka Muta'alba kiya Aur Isare se kaha Ham par Rahem kare, Maqsud Kuch ye bhi Tha ki Bin-Yamin ko Chhod do Lekin Zaahir Tour par Nahi keh rahe the, To ALLAH TA'ALA ne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Wahi ya Ilhaam ke Zariye Muta'ala kar diya ki Unko Unke Baap ne Is liye Bheja he ki Yusuf Aur Uske Bhai ko Talaas karo, to Aap ne Jab dekha ki ye Majra ko Zaher nahi kar rahe to Aapne Khud hi Kalaam ka Aagaaz(Suruaat) kar diya,

📙(Tafseere Abiul Saud, Jild-4, Safa-303)

☢Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Khud Bhaiyo se kaha wo Khat jo Tumhe Baap ne Meire liye diya he wo Muje de do, Unhone Jab Khat diya Jisme Tehreer tha ki

☣Hamara Khandaan Suru se Hi Masa'ib wa Aalaam ki Aazmaisho se Guzar raha he, Me Us Dada Ibhrahim KHALEELUALLAH ka Pouta hu Jiske Haath-Peir Bandh kar Aaag me Daal diya gaya tha, ALLAH TA'ALA ne Unhe Naja'at di, Meira Ek Pyara Beta Yusuf tha, Jise Uske Bhai Saath le gaye lekin Wapis Aakar Uske Khun (se) Aaluda Kameez Pesh kar di ki Ushe Bhediya kha gaya he, Ro-Ro kar Meri Aankho ki Binaai Zaya ho gayi,

☢Fir Uske Dusre Bhai Bin-Yamin ko Anaaz Lene ke liye ye Saath le Gaye, Chori ke Ilzaam me Tumne Use Apne Paas Rakh liya he, Hamare Khaandaan ka Peisa Chori karna Nahi Aur Naa hi Hamara Khandaan Chori karne ke liye Peida kiya gaya he, To Mere Beite ko Wapis kardo, Warna me Tumhare Khilaaf RABB ke Huzur Dua Karunga"

☣Ye Khat Padhte hi Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Par Zyada Raqt Taari ho gayi.

📚(Tafeeere Kabeer, Jild-18, Safa-202,
Roohul Ma'ani, Jild-7, Safa-48)

☢Hazrat Yusuf Alayhesalam Saahi Takht par Jalwagar the Aur Aapke Bhai Bade Adab va Ahetaram se Aapse Anaaz Ka Mutaalba kar rahe the,

☣Yusuf Alayhesalam Apne Khandaan ke Raqt-Ameez Manzar ko deikh kar, Apne Baap ki Pareshan Haali Aur Raqt-Ameez Khat dekhne ke Baad ALLAH TA'ALA ke Hukm ke Muta'abik Khabar deni he,
Yusuf Alayhesalam in Alfaaz me Bhaiyo ke Saamne Apne Aap ko Zaher karne ke liye Kalaam Suru Farma rahe he

☢Kya Tumhe Ma'alum he ki Tumne Yusuf Alayhesalam Aur Uske Bhai ke Saath kya Suluk kiya...??
Jab Yusuf Alayhesalam ne Bhaiyo se Pucha to Unhone Aapke Kalaam se Ya Aapke Muskurane ki Wajah se Danto ki Chamak se Pahenchante hue Pucha Kya Aap Yusuf to nahi...??

☣Yusuf Alayhesalam ne Farmaya Ha me Yusuf hu Aur ye Meira Bhai he, ALLAH TA'ALA ne Ham par Ahesaan kiya he, Imtehaan leine ke Baad Hame ye Mansub Aata kiya he Jo tum Deikh rahe ho, Saath Saath Bhaiyo ko Kaha ALLAH TA'ALA Taqwa Aur Sabr karne wale Nek Logo ke Ajr ko Zaya nahi karta, Isara tha ki Agar tum ne bhi Taqwa Hasil kiya to ALLAH TA'ALA ka Karam Tum par ho Jayega

📚(Tafeeere Kabeer, Jild-18, Safa-204)

📚(Roohul Ma'ani, Jild-7, Hissa-2, Safa-49)

📚 (Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-224, 225)

✅Part No:- 50.

☪Bhaiyo ki Ma'azrat(Ma'afi) Aur Aapka Ma'af karna :

⬇Qurane Kareem me He....

☢(Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Bhai) Bole KHUDA ki Kasam Beshak ALLAH ne Aapko Ham par Fazilat di Aur Beshak Ham Khatawar the, Kaha Aaj Tum par Kuch Malaamat nahi ALLAH Tumhe Ma'af kare Aur wo Sab Maherbaano se Badh kar Maherbaan he"

📓(Surah Yusuf, Aayat - 91, 92)

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Apne Bhaiyo ke Saamne Zikr kiya ki "Me Yusuf hu ALLAH TA'ALA ne Ham par Ahesaan kiya Aur jo Shaksh Bhi Gunaaho se Bachta he Aur Logo ki Azeet(Satane) par Sabr Karta he ALLAH TA'ALA Use Zaya Nahi karta"

☢To ye Sunkar Aapke Bhaiyo ne Aapke Kamaalaat ka Eyteraaf karte hue kaha :

☣ALLAH ne Aapko Ham Par Ilm, Hosla-Mandi, Aqal, Fazal va Kamaal, Husn Aur Baadhshahat Me Fazilat Aata ki, Aur Beshak Hum Khtawaar the

☢Bhaiyo ne Azr Peish kiya ki Hamne Aapko jo Kuwe me Dala, Aapko Becha, Gharse Nikala Aur Aapko Walid(Baap) se Door kiya, Ye Sab Hamari Khatae he, Bhaiyo ki Ma'azrat par Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Farmaya :

☣Aaj Tum par Kuch Nahi (Yaani Na Tum Par koi Aar he Aur Na Kuch Tobikh(Salah) he, Yaani ye Aelaan Aaj se Me Hamesha ke liye kar raha hu Kabhi Bhi Tumhe Maazi(Piche) ke Waqiyaat par Aar nahi dilaai jayegi) ALLAH TA'ALA Tumhe Ma'af kare, Aur wo Sab Maherbano se Badhkar Maherbaan he"

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Bhai Jab Bahot Ziyada Nadim(Afshos) ho rahe the Aur Arz kar rahe the ki Tum to Hame Subah va Saam Apne Dastarkhwaan par Bitha kar Khana Khilaate rahe Lekin Hamne Aap se Jo Kaam kiye Hame To Unse Bahot Badi Mazammat ho rahi he, to Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Fyazi ka Muzahira Karte hue Kaha Mere Bhaiyo Tum Nadim kyu hote ho...?? Muje to Tumhare Aane se Bahot Badi Khushi Hui he, Kyunki Me Misr ka Hukmuraan bhi Ban gaya hu Aur Misri Loug Meire Gulaam Ban kar Aazaad hue, Lekin Fir bhi Unke Zaheno me Ye Baat Zaroor hogi ki 20 Dirham ka Kharida huwa Gulaam Misr ka Hakim Ban Gaya he, Lekin Aaj unke Saamne Ye Wajeh ho chuka he ki Tum Mere Bhai ho, Me Ibrahim عَلَيـهِ السَّــلَام ka Par-Pouta hu, Koi Gulaam Nahi tha, Taqdeer Aur RABB ki Taraf se Aazmaish ki Wajah se Gulamiyat se Mutassif huwa, Aaj Tumhare Aane Aur Mere Zaaher karne se Sab Logo ki Nazar me Muje Azmat Mili he, Meri Sarafat Aur Khandaane Nabuwwat ka Ek Fard hone ki Hesiyat se Meira Bol-Bala huwa.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-205)

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa-226)

✅Part No:- 51.

☪Misr se Kameez ki Rawangi :-

⬇Quran Sareef me hai..

☣(Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne kaha) Mera ye Kurta le Jaao, Use Mere Baap ke Mooh par Daalo Unki Aankhe Khul Jayegi Aur Apne Sab Gharbharko Meire Paas le Aao"

📓(Surah Yusuf, Aayat-93)

☪Wo Kameez Konshi thi...??

☢Ye Aam Kameez thi Jo Aapne Zeib-tan(Pahen) kar rakhi thi Ya wo Kameez thi Jo Hazrat IBRAHIM عَلَيـهِ السَّــلَام ko Aaag me Pahenaai gayi thi Aur Jannat se Laai gayi thi, Baad me Hazrat Ishaaq عَلَيـهِ السَّــلَام Aur Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Paas Pahoch gayi, Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Bhaiyo ke Saath Bhejte Waqt Aapke Gale me Batoure Ta'awiz daali thi, Ab Zibrail عَلَيـهِ السَّــلَام ne Aakar Aapko Kaha ki Ye Kameez Apne Walid ki Taraf Bhej do Taaki Unhe Iske Zariye Nazar Wapis Mil jaaye.

📚(Tafseere Abu Al Saud, Jild-4, Safa-305)

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Bhaiyo ko Kaha Ki Tum Gharwalo ko Meire Paas le Aao Us Waqt Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Gharke Afraad Jinme Mard, Aurate, Bacche Yaani Aapki Aulaad Ya Aulaad ki Aulaad Wageira 72 se 96 tak the.

📚(Roohul Ma'ani, Jild-7, Hissa-2, Safa-53)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-227, 228)

✅Part No:- 52.

☪Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Aur Aapke Khandaan ki Misr me Aamad Aur Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se Mulaqaat :-

⤵Quran Sareef me he...

☢Fir Jab wo Sab Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام) ke Paas Pahunche Usne Apne Maa Baap ko Apne Paas Jagah di Aur Kaha Misr me Dakhal ho ALLAH Chahe to Amaan ke Saath...

📓(Surah Yusuf, Aayat-99)

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Apne Walide Mukarram ko Aur Unke Khandaan ke Bulane ke liye Apne Bhaiyo ke Saath 200 Sawaariya Aur Kaseer (Ziyada) Saaman Bheja tha, Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Misr ka Irada Farmaya Aur Apne Khandaan ko Jama kiya, (Mashoor Qoul ke Muta'abik 72 ya 73 Mard-Aurato ki Taadad thi),

☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Misr ke Qareeb Pahonche to Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Misr ke Baadshah Aazam (Khyaal Rahe ki Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Is Waqt Azize Misr yaani Wazire Aazam the, Farq ye tha ki Aap Baadshah the Aur Walid Bin Rayaan Baadshah Aazam tha ) ko Apne Walide Mukarram ki Tasreef Aawari ki Ittelaa(Khabar) di Aur 4000 Laskari Aur Bahot se Misri Sawaro ko Hamraah le kar Aap Apne Walid ke Isteqbaal ke liye Rawana huwe,...

☣Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Apne Bete Yahuda ka Sahara liye Tasreef La rahe the, Jab Aap ki Nazar Laskar par Padhi Aur Aapne Dekha ki Bade Zarq-Barq Sawaro se Sahrapar ho Rahe he to Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Farmaya Ay Yahuda Kya ye Firown e Misr he (Misr ke Baadshah ka Laqab Firown tha) Jiska Laskar Is Shaano Showkat se Aa raha he...?
Arz kiya Nahi ye to Aapke Farzand Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام he Jo Aapke Isteqbaal ke liye Aa rahe he...

☢Hazrat Jibrail عَلَيـهِ السَّــلَام ne Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ko Mut'ajib deikh kar Arz kiya Hawaa ki Taraf Nazar Farmaye Aapke Sarur me Showkat ke liye Malaika(Fariste) Hazir hue he, Jo Muddato Aapke Gam ke Sabab Rote rahe he, Malaika ki Tasbeeh se Aur Ghodo(Horse) ke Hanhaane se Ajeeb Kefiyat Peida hoti thi, Ye Moharram ki 10wi Tarikh thi, Jab Dono Hazraat Ek-Dusre ke Qareeb hue to Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Arz karne ka Irada Zahir kiya, To Hazrat Jibrail عَلَيـهِ السَّــلَام ne Arz ki Aap Toqif(Thehre) kijiye Walid e Mukarram ko Pehle Salam karne ka Mouka de, Chunanche Hazrat Yaqub Alayhesalam ne Farmaya

"اسلام عليك يا مذهب الاحزان"

☣Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ki Pehle Salam karne me Hikmat ye thi ki Wajeh ho Jaaye ki Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ALLAH TA'ALA ke Huzur Banisbat Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se Ziyada Mukarram he, Ek Dusre se Mulaqaat hui to Khushi ka ye Aalam tha ki Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ne Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Gale se Lagaya Aur Unka Bousa liya.

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-210)

📚(Tafseere Roohul Ma'ani, Jild-7, Safa-57)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-231, 232)

SubhanAllah...

✅Part No:- 53.

☪Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ke Beito ka Aapse Ma'afi Talab Karna :-

⤵Quran e Majeed me he..

☢(Beite) Bole Ay Hamare Baap Humare Gunaah ki Ma'afi Mangiye Beshak Hum Khataawar he, (Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ne) Kaha Jald Mei Tumhari Bakhsis Apne RABB se Chahunga Beshak Wohi Bakhshne wala Maherbaan he"

📓(Surah Yusuf, Aayat- 97, 98)

☣Beto ne Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  se Apne Gunaho ki Magfirat Talab karne ki Darkhwast ki ke Aap Hamare Baap he, Safeeq he, Ham Khataawar he, Aap Dargujar karte hue Hamare Liye ALLAH TA'ALA se Hamari Galtiyo ki Ma'afi Talab kare, Agar Aapne Hamare liye Dua Naa ki to Ham Galtiyo ki Wajah se ALLAH  TA'ALA ki Giraft me Aakar Halaak ho jayenge, Aap Agar Rahem Nahi karenge to Ham Par Aur kon Rahem Karega..

☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Waada Farmaya Ki Me Jaldi hi Tumhari Bakhshees Apne RABB se Talab karunga Aur Hamesha Talab karta Rahunga.

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-230)

✅Part No:- 54.

☪Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ki Binaai Wapis Aana :-

⤵Quran Sareef me hai..

☢Jab Kaafla Misr se Juda huwa, Yaha Unke Baapne kaha Beshak Mei Yusuf ki Khusbu Pata hu Agar Muje ye na Kaho ke Sat'hiya gaya he, Beite Bole KHUDA ki Kasam Aap Apni Ushi Puraani Khud Rafatgime he, Fir Jab Khushi Sunanewala Aaya Usne woh Kurta Yaqub(عَلَيـهِ السَّــلَام ) ke Mooh par Dala Usi Waqt Uski Aankhe Fir Aai Kaha Mei Na Kehta tha ke Muje ALLAH ki wo Shaane Ma'alum he Jo Tum Nahi Jante"

📓(Surah Yusuf, Aayat - 94, 95, 96)

☣Jab Misr se Kameez ko Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ke Ghar lane ke liye Nikala Gaya to Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Uski Khusbu Soongli, Aapne Beito ke Bageir Dusre Ahle Khana(Khandaan) ko kaha Muje Yusuf ki Khusbu Aa rahi he Agar Tum Meri Raay ko Zaif na Samjo,

☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Itni Door se Khusbu Keishe Soongli...??
Iska Jawab Wajah he ki ALLAH TA'ALA ki Qudrat se koi Baeed nahi Aur Khususan Jab Aap ko Kameez se Uthne Wali Jannat ki Khusbu Aayi To Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Farmaya ki ye Khusbu Us Jannati Kameez ki Bageir Kisi Aur ki Nahi ho sakti..

☣To Ahle Khana(Khandaan walo) ne Kaha Tum to Abhi Yusuf ki Puraani Mohabbat me hi Warafta(Mubtila) ho, Aap Unko Kabhi Bhool nahi sakte Aur Na hi Aapke Dil se Wo Nikal Sakte he...

☢Kameez Laane Wala Aur Khus-Khbari Dene wala Aapka Beita Yahuda tha, Usne Aapki Ankho Par Kameez ko Daal diya Ya Aapko Kameez de di Aur Aap ne Khud hi Kameez ko Apni Aankho Par Lagaya, Kameez Aankho ko Lagane se Binaai Wapis Apni Asli Halaat Par Aagayi,

🌹(SubhanAllah..)

☣Yaqub Alayhesalam ne Khus Khabari Laane wale Shaksh se Pucha Tu ne Yusuf ko Kese Haal me Chhoda he...??

☢Usne Kaha Wo To Misr ke Baadshah he,  Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Farmaya Muje Baadshahat se kya Garz..? Ye Batao Tumne Ushe Kis Din Par Chhoda..?

☣To Usne Kaha ISLAM par,
To Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Farmaya Ki Ab Ne'amat ki Takmeel hui ki Khus-Khabari kaamil Hasil ho gayi.

☢Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام  ne Tamam Ahle Khana(Khandaan Walo) ko Aur Aane wale Tamam Beito ko Kaha  Jab Mene Tumhe Misr Bheija tha Aur Tumhe Hukm diya ki Yusuf ko Talaas karo, Aur Meine Tumhe ALLAH ki Rehmat se Na-Ummid hone se Mana kiya tha, To Meine Us Waqt Tumhe Kya Na Kaha tha ki ALLAH TA'ALA se Jo Me Janta hu Wo Tum Nahi Jante, Yaani Muje ye Ma'alum tha ki Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام  Zinda he....

📚(Roohul Ma'ani, Jild-7, Hissa-2, Safa-54, 55)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-228, 229)

🔴AAJ AURTO KE DUPATTE SER PAR ODHKAR GHOOMNE WALE AHLE KHABEES AUR 40 DIN AUR 4 MAHINA LOTA BISTAR LEKAR GHOOMNE WALE DEVBANDI KAHE KI HUZUR ﷺ KO KISI BAT KA IKHTIYAR NAHI UNHE HAZRATE YUSUF عَلَيـهِ السَّــلَام KE DIYE HUWE KURTE KA IKHTIYAR NAZAR NAHI AAYA TO JAB HAZRATE YUSUF عَلَيـهِ السَّــلَام KE HATHO SE DIYE HUWE KURTE KI YE SHAAN HAI TO MERE NABI ﷺ TO AMBIYA KE SARDAR HAI AAPKE IKHTIYAR KA AALAM KYA HOGA ???

❤ISI LIYE IMAM-E-ISHQ MOHABBAT NE IRSHAD FARMAYA....

🍃MALIK-E-QOUNEN HAI WO PAS KUCH RAKHTE NAHI..

🍂DO JAHA KI NE'MATE HAI INKE KHALI HATH ME...

🌹SubhanAllah..

✅Part No:- 55.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Khwaab ka Pura hona :-

⤵Qurane Kareem me hai.

☢Aur Apne Maa-Baap ko Takht Par Bithaya Aur Sab Uske liye Sajde me Gire Aur Yusuf (عَلَيـهِ السَّــلَام) ne kaha Ay Mere Baap Ye Mere Pehle Khwaab ki Ta'abir he Beshak Use Mere RABB ne Saccha kiya Aur Beshak Usne Mujpar Aheshaan kiya ke Muje Qeid se Nikala Aur Aap Sabko Gaanv se le Aaya Baad iske ke Seitaan ne Mujme Aur Mere Bhaiyo me Nachaki Kara di thi Beshak Mera RABB Jis Baat ko Chahe Aashan karde Beshaq Wohi Ilm Hikmatwala he"

📓(Surah Yusuf, Aayat-100)

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Bachpan me jo Khwaab dekha ki Muje Chand-Suraj Aur 11 Sitaare Sajda Kar rahe he, Wo Khwaab Aapka Pura ho gaya ki Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Jab Apne Ahal wa Eyaal ke Saath Misr me Aaye to Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne Unhe Apne Takht par Jalwagar kiya to Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ko Aapke Maa-Baap Aur 11 Bhaiyo ne Sajda kiya Isi Wajah se Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ne kaha ye Meire Pehle Khwaab ki Ta'abir he,

🔴Khyaal rahe ki Baaz Hazrat ne Farmaya...

☢Beshak ALLAH TA'ALA ne Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Walida(Maa) ko Zinda karke Qabr se Nikala Taaki Ye bhi Yusuf Alayhesalam ko Sajda karle ki Unka Khwaab Saccha ho jaaye

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-201)

🚫Note ➖ Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام se Mulaqaat hone ki Wajah se ALLAH TA'ALA ko Sabne Sajda kiya Yaani Ye Sajda Dar-Haqiqat ALLAH TA'ALA ko tha, RABB ka Shukriya Ada kiya gaya ki Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام mil gaye he.

📚(Tazkiratul Ambiya عَلَيـهِ السَّــلَام, Safa-236)

✅Part No:- 56.

☪Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ki WISAL Aur Qabr :-

☢Misr me Jaakar Hazrat Yaqub (عَلَيـهِ السَّــلَام) 24 Saal rahe, Jab Aap ke Wisal ka Waqt Qareeb Aagaya to Aapne Apne Beto ko Wasiyat ki ke Muje Shaam(Mulk e Shaam) me Apne Baap Hazrat Ishaaq عَلَيـهِ السَّــلَام ke Pehlu me Dafan karna, Aap par Jab Wafaat Taari hui to Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Khud Apne Walide Mukarram ka Jisme Athar le kar Shaam(Mulk e Shaam) me gaye Aur Apne Dada Ishaaq عَلَيـهِ السَّــلَام ke Saath Aap Ko Dafan karke Wapis Misr me Aagaye....

📚(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-216)

☣Khayaal Rahe ki Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Ek Bhai ka Naam "Aysh" tha, Ye Dono Bhai (ki) ek Saath Wiladat hui thi Aur Usi Din Unki bhi Wafaat hui, Dono Bhaiyo ki Umare 145 Saal thi, Dono hi Apne Baap Ishaaq عَلَيـهِ السَّــلَام ke Pehlu me Ek Saath Dafan kiye gaye, Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ka Taabut Khaas Kism ki Lakdi ka Banwaya gaya tha Jisme Misr se Shaam(Mulk e Shaam) Aapko le kar gaye the.

📚(Tafseere Khazainul Irfaan)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-237)

✅Part No:- 57.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Wafaat :-

☢Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Baad 23 Saal Aap Zahiri Hayaat me rahe, Jab Aap ki Wafaat ka Waqt Qareeb Aagaya to Aap Aakhirat ki Taraf Zyada Mutawajja Rehne lage, Daimi Mulk ki Taraf Jaane ka Isteyaaq Zyada hone laga, RABB TA'ALA ke Huzoor Arz kiya...

🔘Ay Meire RABB Beshak Tune Muje Ek Saltanat di Aur Muje Kuch Baato ka Anjaam Nikaalna Shikhaya Aye Aasmano Aur Zamin ke Banane wale Tu Mera Kaam Banane wala he Duniya Aur Aakheirat me Muje Musalman Utha Aur Unse Mila jo Tere Qurbe Khaas ke Laayak he"

📚(Quran Sareef, Surah Yusuf, Aayat-101)

☣Jab Aap ko Wahi ke Zariye Ma'alum Ho gaya ki Ab Aap ki Wafaat ka Waqt Qareeb Aa chuka he to Aapne ye Dua ki ke :

☢Ay ALLAH Muje Apne Khaas Qurb wale Lougo ke Saath Mila"
Is Dua ka Ta'aluq Mout ke Baad ALLAH TA'ALA ke Muqarrabin se La-Haqq hone ke Saath he...

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-238)

✅Part No:- 58

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Qabr :-

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Wafaat ke Baad Misri Logo me Tanaaja'e(Wiwaad) ho gaya Har ek ki Khwaaish thi ki Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام Hamare Mohalla me Dafan kiye Jaaye Taaki Wo Aap se Barkat Hasil Kar Sake,

☣Unke Darmiyaan Ladai Bhadak uthi, Aakhirkaar Kuch Logo ne Mil kar Faisla kiya ki Aap ko Sange-Marmar ke Sanduq me Baandh kar ke Daryaa-e-Neel me Dafan kiya Jaaye Taaki Us Paani se Tamaam Saher Wale Ek Jeishi Barkat Hasil Kare.

☢Pehle Aapko Daryaa-e-Neel ki Daai(Right) Janib Dafan kiya gaya to Us Taraf ka Ilaqa Sarsabj (Raseela) va Saadaab rehne laga Aur Dusri Janib Khusk, Fir Aap ke Sanduq ko Nikal kar Neel ki Baayi(Left) Janib Dafan kar diya gaya, Ab Is Taraf Khushaali ka Dour Aagaya Aur Dusri Janib Khuski rehne lagi, Fir Aap ko Daryaa-e-Neel ke Darmiyaan me Dafan kiya gaya, Yaha Tak ki Dono Janib Sarsabj(Raseela) va Saadaab ho gaye, Aapka Jism Athar Isi Tarah Daryaa-e-Neel ke Darmiyaan Raha, 400 Saal Baad Jab Hazrat Musaa عَلَيـهِ السَّــلَام ne Bani Israil ko Saath le kar Misr se Rawangi Ikhteyaar ki to Aapke Jisme Athar ko bhi Saath le gaye Yaha tak ki Shaam(Mulk e Shaam) me Apne Aaaba(Baap-Dada) ke Saath Dafan kar diya gaya.

📚(Khatib wa Madarikul Tanzeel)

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-238)

🌹SubhanAllah...

☣Un Lougo ke Keise Paakiza Aqeede the ki Unhe Ma'alum tha ki NABI ki Zahari Hayat me Jis Tarah NABI se Barkat Hasil Ki Jaati he Ushi Tarah Duniya se Rukhsat hone ke Baad bhi Un se Barkat Hasil hoti he.....

✅Part No:- 59.

☪Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Aulaad :-

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Wafaat ke Pasmaandgaah(Bache huwo) me 2 Beite Aur 1 Beiti thi, Ek Bete Ka Naam 'Ifrahim" Aur Dusre Bete Ka Naam "Meysaa" tha,

☣Ifrahim ke Beite ka Naam "Nun" Aur Nun ke Beite ka Naam "Yusa'a" tha, Jo Hazrat Musaa عَلَيـهِ السَّــلَام ke Zamane tak Zinda rahe Aur Daryaai Safar me Unke Saath the, Yaani Hazrat Khijr عَلَيـهِ السَّــلَام ki Mulaqaat ke liye Jate hue Hazrat Musa عَلَيـهِ السَّــلَام ne Apne Saath "Yusa'a Bin Nun" ko rakha tha,

☢Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ki Beiti ka Naam "Rahmat" tha, Jo Hazrat Ayyub عَلَيـهِ السَّــلَام ke Nikaah me Aayi thi.

☣Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Duniya se Tasreef le Jane ke Baad Misr ki Hukumat Bani Emaalqa ke Haath me Aagayi, Hazrat Musaa عَلَيـهِ السَّــلَام ke Zamana Tak Bani Israil Unke Zeire Tasallat rahe he, Hazrat Musaa عَلَيـهِ السَّــلَام ne Aakar Unhe Naja'at dilaai.

📚(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-239)

✅Part No:- 60

📌LAST PART....

☣Hazrat Yaqub عَلَيـهِ السَّــلَام Aur Hazrat Yusuf عَلَيـهِ السَّــلَام ke Waqiyaat Yaha par Khatm hote he.

☢InshaAllah, Aage Bhi Bhot Se Parts Alag-Alag Topic par Jari hai...

☣Kisi Post Par Agar Hamse Kishi Tarah ki Lagjis, Galti, Kutahi, Be-Adabi Hui ho to ALLAH RABBUL IJJAT Apne Pyare MEHBOOB HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Sadke me Mu'af Farmaye..
Aameen Ya RABBUL AALAMIN.

☢Ho Sake to Is Faqeer ke Haqq me Aur Humare G.E.A.H  Team Ke Sabhi Logo ke liye Dua Jarur Kare

«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»«»
●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●
         ◆◆TO BE CONTINUED◆◆
               ◆◆ POSTED BY ◆◆
    ●●GULAM-E-AALA-HAZRAT●●
◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆
💝💝 TALIB E DU'AA
👤👤 Jamaluddin Raza
◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆
●●●VISIT ALL PAGES●●●
💻 https://www.facebook.com/GULAM-E-AALA-HAZRAT-1765594710320274/

💻 https://plus.google.com/116611277293695153777

📑www.gulam-e-aala-hazrat.blogspot.com
●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●

No comments:

Post a Comment